Log in

View Full Version : MuNdA's Collection


Pages : 1 2 3 4 [5] 6 7

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:39 AM
Aaj bahut khush the wo....
Mere behte hue aansuo par aaj...
Usne apna Aashiyana to bana liya..

Meri tanhaii aur khamoshi par aaj..
Usne apni mehfill ko to saja liya...

Us Be-reham ko Ehsas kara de koi...
ki Humne gamo ka kadwa ghoont to pi liya...
Hume apne hoto ko sada ke liye to si liya....

Aur koi Shikwa-shikhayat nahi usse BAS sochte hai yahi...
Ki kya hume tadapta chor kar wo khushi se ji liya..

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:41 AM
Hum teri chah mein ae yaar wahan tak pauhnche
Hosh bhi na raha kahan tak pauhnche
Sadyion sadiyon na pauhnchi ki sari duniya,
Ek ghunt mein wahan tak pauhnche
Na mir, ghalib the jo wahan tak pauhnche
Who koi aur the jo wahan tak pauhnche
Chand par ab tak bahot hai pauhnche
Par kitne hai jo apne pyar tak hai pauhnche ?

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:42 AM
Tum meray to na thay
lakin main dewani
haqiqat ko na jani
kaisi khata kar bethi jo
dil mein tujhay basa bethi jo
tum ko apna jan liya
lakin...
tum khushboo thay aur main hawa
khushboo aur hawa ka sangamm
akhir mein bas itna thehra..
khushboo hawa kay sath rahay
chand lamhay sath day
lakin phir...
apni khushi say
apni manzil ki taraf murrh jaey
hawa say nata torr jaey
aur akaila chorr jaey.

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:42 AM
mera furkat-o-hizr ka zamana yaad aaya
woh shama jali to andhera yaad aaya

khoon nikal gaya,jakhm rah gaye daman mai
jakhm jo bhar gaye to khoon yaad aaya

roshani ke liye nikala tha ufook ki or
paav uthe jo thode to khar yaad aaya

har taraf tera hi jikr,tera hi ehsas
woh aksar aasuo mai tujhe bhulana yaad aaya

dekha aasmaan ki taraf,jafa ka puchane sabab
baat baat par tera,wafa ka wada yaad aaya

phool khile panchi ude,naye din nikale
pairahan ka woh tumhara gila khat yaad aaya

gulshan khil gaye,raat ho gayi fir roshan
aah nikalati rahi,mera andhera ghar yaad aaya

mar gaye marnewale,aa gaye aur chale bhi gaye
duniya ko to aftaab tera mar mar ke jina yaad aaya

mera furkat-o-hizr ka zamana yaad aaya
woh shama jali to andhera yaad aaya

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:42 AM
Mujhay har waqt tera hi khayaal rehta hai
Tu ayai naa ayai dil ko intizaar rehta hai

Main tujh se nafrat bhi karna chahoon magar,
Dil mein har dam tera hi pyaar rehta hai

Dil mein teri aas,teri pyaas hai
Isiliye to dil baiqaraar rehta hai

Main kisi aur se mohabbat karne lagoon
Dil mein is baat kai liye inkaar rehta hai

Duaa hai tera chehra jald hi dikh jaa aai
Dil auroan ke chehroan se baizaar rehta hai

Main tujhai yaad karti rehti hoon
Dil mein teri yaadoan ka bazaar rehta hai

Tu mujhai milaiga zaroor...
Yehi khayaal najaanai kyoon har baar rehta hai

Duniya tujhai baiwafaa samajhti hai
Isi liye duniya se maira taqraar rehta hai

Meri aankhoan mein teri tasveer ho jaisai
Aankhoan mein har dam tera khumaar rehta hai

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:44 AM
Hum ke tehray ajnabi inti madaratooN kay baad
Phir banaiN gay aashna kitni mulaqtooN kay baad

Kab nazar maiN aayay ge bay dagH sabzay ki bahar
Khoon kay dhabay dhulaiN gay kitni barsatoon day baad

Dil to chaha per shikast-e-dil nay muhlat hi na dee
Kuch gilay shikvay bhi ker latay munajatoN kay baad

Thay bohat bay dard lamhay khatam-e-dard-e-ishq kay
Theen bohat bay mahr subhain maharbaaN ratooN kay baad

Un say jo kehnay giay thay FAIZ jaaN sadqa kiay
Unkahi hee reh gay.ii wo baat sub batoon kay baad

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:46 AM
jub us nay mujh say yay poocha

keh mujh ko yaad kertay ho?

Tum apni soach ka aangun

kabhi aabaad kertay ho?

To main nay us ko batlaaya

keh tujh ko yaad to kerta

magar.......

Pehlay bhulaa to doon

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:51 AM
yun jurme mhobbat ki saza dyti hai dunya

husty howy chehro ko ruladyti hai dunya

aarmaan muchalty huwy darty hain dilo main

jazbaat ka yun khoon baha dyti hai dunya

har soch pe aankho main ummad aaty hain aanso

assy bhi wafaaon ka sila dyti hai dunya

marne ki tamnna ho tu marny nahin dyti

jeeety hain tu jeeny ki saza dyti hai dunya

kab tak koi ahesaan masseha uthaaye

har gaam pe ek naya zakahm bana dyti hai dunya

es trhaan andhyroo main kaami aayge kysse

jo deep jalati hoon bugha dyti hai dunya

such baat jo kheta es ahed main ay naz

us sakhs ko solee pr chda dyti hai dunya

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:52 AM
Ghair se be-aabruu hone ki khuu-e-dil nahiiN

kyuN bhalaa jaauN wahaN jo yaar ki mehfil nahiiN



haq mohabbat ka karuNgaa hashrr ke din bhi adaa

saaf keh duuNgaa khudaa se tu mera qaatil nahiiN



hum to kar letey haiN ghazloN se Ghalat dil ki jalan

voh bhi to jeete haiN jinko yeh hunar haasil nahiiN



kyuN naii'N aate jawaab-e-khat meiN paigaam-e-kazaa

ab kyaa hum muflis teri nafrat ke bhi qaabil nahiiN



dil pe kya guzari kahuN kya uske mooNh se jab suna

raah ka patthar hai "maikasH" tu meri maNzil nahiiN

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:52 AM
sukun na dhoondhiye nafrat ke reigzaaraun mein

yeh gul khila tha yaheen pyar ki bahaaraun mein



na dil ko chain na aaraam rooh ko haasil

hai koi khaas kami jayse in nazaaraun mein



har ek simt se koi fishaar kheenchay hai

hazaar haathaun ke jayse ho dil sahaaraun mein



dilon ke beech kayi faasilon ke dairai hein

sabhee bhatakte hein veeraan khaarzaaraun mein



huyee hai jab se terey dard se shanasaayi

shumaar apna bhi hota hai beqaraaraun mein

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:53 AM
Log kahte hain huyi thi baarish us roz
Unhe kya pata ghum-e-haazir mein roya tha koi
Yu saaye dekh kar khush hote hain sab
Unhe kya pata kal dhoop mein soya tha koi
Katra katra kar ke muskarate hain sabhi
Unhe kya pata chashma-e-tar ka roya tha koi
Manzil-e-aakhir ko chalte hain ab wo
Unhe kya pata in rahoon par khoya the koi

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:54 AM
rastaa...

To naam hay ,

bay panhaa qurbatoon ka

lazawal mohbatoon ka,

woh qurbatien

woh mohbatien,

jo ragoon mein dharak rahi hein

her aahan bharak rahi hein

phir najanay kaisay...?

Hum aur tum

in "raston" ko

doureion kay

aur nazdeikuon kay

paymanay mein naptay hein

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:55 AM
Likh diya apney dar pay kisi nay
iss jagha piyar karna mana hey
piyar agar ho bi jaye kisi ko
uss ka izhar karna mana hey

un ki mehfil main jo bi jaye
pehlay nazrain woh apni jhukaye
woh sanam ji khuda ban gaye hain
un ka didar karna mana hey

jaag uthain gey tu aheen bharain gey
husan waloun ko ruswa karain gey
soo gaye hain jo furkat kay maray
un ko bayedar karna mana hey

hum nay ki arz aye banda parwar
kioun sitam dhaa rahay ho ya hum per
baat sun ker humari woh bolay
hum say taqrar karna mana hey

likh diya apney dar pay kisi nay
iss jagha piyar karna mana hey
piyar agar ho bi jaye kisi ko
uss ka izhar karna mana hey

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:55 AM
amar ker lo woh sab lamhey
jo ham ne yooN guzarey hain
saher ker lo woh sab ratein
jahan apni hi dunya thi
jahan sanseN bhi apni theeN
jahan sapney bhi apney tHay
safer ker lo woh sab rastey
jahan kuch bhi wafaein hain
jahan khushboo hai pyaroN ki
jahan yadein hain yarooN ki
fikr ker lo zara ek pal
ke tum ne kis ko kHoya hai
usey tum dhoondh pao gai
kabhi phir dekh pao gai
taher jao jahan ho tum
ke us bin tum adhoorey ho
kabhi phir mil na pao gai
usey dhoondo gai yadooN mein
usey is pal bula lo tum
keh yeh lamhey tumharey hain

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:56 AM
yun kissi ko dukh dard sunaoon apney
apni ankhoon se be mein zakham chupaoon apney

mein toh qaeem hoon tere gham ki badolat warna
yun bikhar jaoon ke khud haath na aoon apney

sochta hoon ke bhooja doon mein ye kamrey ka diya
apney saye ko be kyun saath jagaoon apney

oss ki talwar ne wo chaal chali hai aesi
paoon katey hein magar haath bachaoon apney

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:56 AM
Meray dard ki kahani meri hasraton sey poocho,
mein luta hoon kaisey meray doston sey poocho,
jo khuda tha meray dil ka,mera dil usi ney tora,
yeh ghamo ki sarhadon par mujhey kis ney la chora,
ussey mein ney kitna chaha dharkano sey poocho,
mein luta hoon kis tarah meray doston sey poocho,
yeh saza meray naseeb ney dee meri aashiqui ki,
diya jis ko dil ussi ney meray dil sey dillagi ki,
mein kahan kahan jala hoon meri hasraton sey poocho,
mein luta hoon kis tarah meray doston sey poocho

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:57 AM
Jisko maine de di apni ye zindagi,
Woh shakhs hi mera qaatil nikla

Wafaparasti main na koi kami ki,
In wafaon se na kuch haasil nikla

Ishq, mohabbat, qasme waade,
In lafzon ka asar uspe baatil nikla

Hum to toofan se darte rahe lekin,
Jisne duboya mujhe, wo saahil nikla !!

momal ali
02-18-2009, 11:42 AM
Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata,
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata,

Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rahti Hai Nigahe,
Kya Baat Hai Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata,

Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein,
Jo Dur Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata,

Main Apni Hi Uljhi Hui Raho Ka Tamasha,
Jate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata,

Woh Naam Jo Barso Se, Na Chehra Na Badan Hai,
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata...!!!

its 1 of my fvt sm jee vrey nyc

momal ali
02-18-2009, 11:48 AM
Baatain Tere ILHAAM Hain Jadoo Teri Awaaz
Rug Rug Main Utarti Hoyi Khushbo Teri Awaaz

Behtay Chalay Jatay Hain Tah-e-Aab Sitaray
Jaisay Kahain Utri Ho Lab-e-Joo Teri Awaaz

Main Shaam-e-Gharibaan Ke udaasi Ka Musafir
SehraaoN Main Jaisay Koi Jugnoo Teri Awaaz

Lafzoon Main Chupaaye Howay Bay-Rabt Dilaasay
Chunti Rahy Shab Bhar Meray Ansoo Teri Awaaz

Ye Hijr Ke Shab Bheeg Chali Hai K Meray Baad
Rooti Hai Kahain Khool K Gesoo Teri Awaaz

MOHSIN K Khayaloon Main Utarti Hai Sar-e-Shaam
Rim Jhim Ke Tarah Bandh K Ghunghroo Teri Awaaz...
beautifull :;party:

momal ali
02-18-2009, 11:51 AM
Kisi jhooti wafa se dil ko behlana nahin aata
Mujhe ghar kaghazi phoolon se mehkana nahin aata

Main jo kuch hoon wohi kuch hoon, jo zahir hai wohi baatin hai
Mujhe jhoot se dar-o-deewar ko chamkana nahin aata

Bohat kamzooriyan hain mujh main, ek yeh bhi kamzori hai
Mohabbat ho kisi se to mujh ko batana nahin aata...

ver beautifull

momal ali
02-18-2009, 11:55 AM
..Kabhi yubhi to ho.....
Suni har manzil ho...Koi na mere sath ho......
Aur Tum aao.....!!!!
Kabhi yu bhi to ho........
Ye badal aise tut ke barse......
Mere dil ki tarah ....aur Tum aao...!!!!
Kabhi yu bhi to ho.......
Dariya ka sahel ho......
Pure chand ki raat ho.......Aur Tum aao...!!!!
Kabhi yu bhi to ho.......
Pariyo ki Mehfil ho......
Koi tumhari baat ho...Aur Tum Aao...!!!!
Kabhi yu bhi to ho.........
Tanhaai ho.....Dil ho....Bandhan ho.......
Barsaat ho.......
Aur aane ko tumhara dil bhi tarse.....AUR TUM AAO...!!!!!
Kabhi to aisa ho....KI.....Tum Aao...!!!!

wow juc luvt it man bohat khubsurat

D.M
02-18-2009, 11:57 AM
nyc sharing SM

momal ali
02-18-2009, 12:05 PM
Hum ke tehray ajnabi inti madaratooN kay baad
Phir banaiN gay aashna kitni mulaqtooN kay baad

Kab nazar maiN aayay ge bay dagH sabzay ki bahar
Khoon kay dhabay dhulaiN gay kitni barsatoon day baad

Dil to chaha per shikast-e-dil nay muhlat hi na dee
Kuch gilay shikvay bhi ker latay munajatoN kay baad

Thay bohat bay dard lamhay khatam-e-dard-e-ishq kay
Theen bohat bay mahr subhain maharbaaN ratooN kay baad

Un say jo kehnay giay thay FAIZ jaaN sadqa kiay
Unkahi hee reh gay.ii wo baat sub batoon kay baad

awesum

Nida-H
02-18-2009, 12:50 PM
very nice collection..

life2
02-18-2009, 09:54 PM
nice......

Sab ne chaha ke usay hum na milein
Hum ne chaha ke usay gham na mile
Agar khushi milti hai usay hum se juda ho kar
To yehi dua hai usay hum na milein

ShahTaJ
02-19-2009, 03:14 AM
zaberdast collection

dur-e-shahwar
02-19-2009, 04:17 AM
nyce

ShArArTi MuNdA
02-19-2009, 07:11 AM
awesum

Thanks mahum jeee

aapnki pasandeedagi ka bohat shukriya

ShArArTi MuNdA
02-19-2009, 07:12 AM
nyc sharing SM

Thanks DM bro

ShArArTi MuNdA
02-19-2009, 07:12 AM
very nice collection..

Thanks Ruby

ShArArTi MuNdA
02-19-2009, 07:13 AM
nice......

Sab ne chaha ke usay hum na milein
Hum ne chaha ke usay gham na mile
Agar khushi milti hai usay hum se juda ho kar
To yehi dua hai usay hum na milein


Thanks life

ShArArTi MuNdA
02-19-2009, 07:14 AM
zaberdast collection

Thanks Shahtaj jeee

ShArArTi MuNdA
02-19-2009, 07:14 AM
nyce

Thanks radika

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:09 AM
rang barsaat ne bhare kuch to
zakhm dil ke hue hare kuch to
fursat-e-bekhudi ganeemat hai
gardishein ho 9* pare kuch to
kitne shoreedah sar the parwaane
shaam hote hi jal mare kuch to
aisa milna nahin tera milna
dil magar justujoo kare kuch to
aao! Dharam koi ghazal chherein
jee bahal jayega are kuch to

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:10 AM
qurbatooN mein bhi juda'ee ke zamaanay maaNge
dil wo be-mehr keh roonay ke bahaanay maaNge

hum na hotay to kisi aur ke churchay hotay
khuqat-e shehr tau kehnay ko fusaanay maaNge

yeh-hi dil tha keh turusta tha maraasim ke lya
ab yeh-hi turk-e talug ke bahaanay maaNge

zindagi hum tere daghooN se rahe sharminda
aur tu hai keh sada aina khaanay maaNge

dil kisi haal per qaanay hi nahin jaan-e faraz
mil gaye tum bhi tau kya aur na jaane maaNge

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:10 AM
Ajnabi si rahon ka musafir

ajnabi ajnabi si rahon ka
ek ajnabi musafir ....
mujh se pooch betha hai ...
rasta bata doge ????
ajnabi ajnabi si rahon ke ..
ajnabi musafir sun!!!!
rasta koi bhi ho ...
wasta koi bhi ho ...
manzilein nahi miltiiin ....
manzilein to dhoka hein ..
manzilein jo mil jaein ..
justujoo nahi rehti ..
zindagi ko jeene ki arzoo nahi rehti....

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:11 AM
aaj to be-sabab udaas hai jii
ishq hotaa to ko_ii baat bhii thii

jalataa phirataa huu.N kyuu.N do-paharo.n me.n
jaane kyaa chiiz kho ga_ii merii

vahii.n phirataa huu.N mai.n bhii Khaak ba-sar
is bhare shahar me.n hai ek galii

chhupataa phirataa hai ishq duniyaa se
phailatii jaa rahii hai rusvaa_ii

ham_nashii.n kyaa kahuu.N ke vo kyaa hai
chho.D ye baat niind u.Dane lagii

aaj to vo bhii kuchh Khaamosh saa thaa
mai.n ne bhii us se ko_ii baat na kii

ek dam us ke haath chuum liye
ye mujhe baiThe baiThe kyaa suujhii

tuu jo itanaa udaas hai '*****''
tujhe kyaa ho gayaa bataa to sahi

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:11 AM
Tazaad-e-jazbaat mein yeh naazuk muqaam aaya to kya karo gey
main ro raha hoo'n tum hans rahe ho, main muskuraya to kya karo gey

mujhey to iss darja waqt-e-rukhsat sukoo'n ki talqeen kar rahe ho
magar kuch apney liye bhi socha, main yaad aaya to kya karo gey

utar to saktey ho paar lekin ma'aal par bhi nigaah kar lo
khuda na karda sukoon-e-sahil na raas aaya to kya karo gey

abhi to tanqeed ho rahi hai, merey mazaq-e-junoo'n pe lekin
tumhaari zulfoo'n ki barhami ka sawaal aaya to kya karo gey

abhi to daaman chura rahe ho , bigar ke "Ali" se jaa rahe ho
magar kabhi dil ki dharkanoo'n mein shareek paya to kya karo gey

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:12 AM
Dil se agar kabhii teraa aramaan jaayegaa
ghar ko lagaake aag ye mehamaan jaayegaa

sab honge us se apane ta'arruf kii fikr men
mujh ko mere sukuut se pahachaan jaayegaa

is kufr-e-ishq se mujhe kyon rokate ho tum
imaan vaalo meraa hii imaan jaayegaa

aaj us se main ne shikavaa kiyaa thaa sharaaratan
kis ko khabar thii itanaa buraa maan jaayegaa

ab us muqaam par hain merii beqaraariyaan
samajhane vaalaa hoke pashemaan jaayegaa

duniyaa pe aisaa vaqt paregaa ke ek din
insaan kii talaash men insaan jaayegaa

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:12 AM
kohishe hazar hoti thi
par jawaab ek hi hota tha
hasti thi yeh duniya saari
aur yeh dil hamesha rota tha
ek tumhari jhalak ke liye
yeh raat raat na sota tha
in jagti aankhon mein
tumhara hi sapna hota tha
hote the izhaar roz magar
inkaar hi jawaab hota tha
kyon girke uthti thi main
yeh kabhi na maine socha tha
sochti bhi to kaise
bhaane izhaar ke hi sahin main
tumhare paas bhi to hoti thi....

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:13 AM
Zindagi hai nadan isiliye chup hoon
Dard hi dard subah shaam isiliye chup hoon
Keh du zamane se dastan apni
Usme aayega tera naam
isiliye chup hoon

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:14 AM
na woh daur hai, na woh hausle, na woh josh hai , na shabaab hai
meri aankh mein magar aaj bhi tere saath jeene ka khwab hai

na wafaaon ki hai mahak kahin, na mohabbaton ka gulaab hai
yahan umr guzre gi kis tarah, yahan saans lena azaab hai.

kabhi loot lete hain dost hi, kabhi mehrbanon ke hain sitam
yahan kaise jaanen kisi ko hum ki sabhi ke rukh pe naqaab hai.

jahan tha khuloos ka gulsitaan, jahan chashma pyar ka tha rawan
wahin ab fareb ka dasht hai,wahin nafraton ka saraab hai

teri khamshi ka yeh silsila,teri be - rukhi ki yeh inteha
" na kalaam hai,na payaam hai, na sawal hai , na jawaab hai

nahin jin mein zabt ka hausla,jo bikharne lagte hain pa ke ghum
wohi log kahte hain bus yehi ki ilaaj ghum ka sharaab hai.

yeh dayar -e- ishq hai ae saba , yahan dard-o-ghum hi hain hukmraan
yahan bhool se bhi jo aa gaya bus usi ka khana kharaab hai

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:15 AM
Youn Na Mil Mujh Se khafa Ho Jaise
Saath Chal Aise Mooj-e-Saba Ho Jaise


Log Youn Dekh K Hans Dete Hain
Tu Mujhe Bhool Gaya Ho Jaise


Ishq Ko Shirk Ki Had Tak Na Barha
Youn Na Mil Humse Khuda Ho Jaise


Ab Toh Mout Bhe Aayegi Is Naaz Se
Mujh Pe Ehsaan kiya Ho Jaise


Aisi Anjaan Bani Bethi Ho
Tum Ko Kuch Bhi Na Pata Ho Jaise


Hichkiyaan Raat Ko Aati He Rahi
Tum Ne Phir Yaad kiya Ho Jaise


Zindagi Beet Rahi Hai Youn Hi
Ek Be-Jurm Saza Ho Jaise!!!

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:16 AM
ab naye saal kii mohalat nahiin milne vaalii
aa chuke ab to shab-o-roz azaabon vaale


ab to sab dashnaa-o-Khanjar kii zubaaN bolate hain
ab kahaan log muhabbat ke nisaabon vaale


zindaa rahane kii tamannaa ho to ho jaate hain
faaKhtaaon ke bhii kirdaar uqaabon vaale

na mere zaKhm khile hain na teraa rang-e-hinaa
mausam aaye hii nahiin ab ke gulaabon vaale

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:16 AM
merii zindagii hai zaalim, tere Gam se aashkaaraa
teraa Gam hai dar-haqiiqat mujhe zindagii se pyaaraa


vo agar buraa na maane to jahaan-e-rang-o-buu men
main sukuun-e-dil kii Khaatir koii Dhuudhh luun sahaaraa


ye falak falak havaayen ye jhukii jhukii ghataayeN
vo nazar bhii kyaa nazar hai jo samajh na le ishaaraa

mujhe aa gayaa yaqiin saa yahii hai merii manzil
sar-e-rah jab kisii ne mujhe daffa'atan pukaaraa


main bataauuN farq naasih, jo hai mujh men aur tujh men
merii zindagii talaatum, terii zindagii kinaaraa


mujhe guftaguu se barkar Gam-e-izn-e-guftaguu hai
wahii baat puuchhte hain jo na kah sakuun dobaaraa


koii aye 'Shakeel' dekhe, ye junuun nahiin to kyaa hai
ke usii ke ho gaye ham jo na ho sakaa hamaaraa

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:17 AM
Dil mein ek lahar si uthi hai abhi
Koi taza hava chali hai abhi

Shor barpa hai khana e dil mein
Koi deewar si giri hai abhi

Bhari duniya mein jee nahi lagta
Jane kis cheez ki kami hai abhi

Kuch to najuk mizaz hai hum bhi
Aur kuch *** bhi nayi hai abhi

Waqt acha bhi aayega dost
Gham na kar zindagi padi hai abhi

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:17 AM
Udaasi

Udasi tum usay kehna
Hawa key hath mein kuch bhi nahi hey
Aur
Sada weran phirtee hey
Tera bichra howa
Ujhrey howay shehroon mein akser bhagta phirta hey
Akser jagta phirta hey
So nahi paya hey
Aur udasi tum usay kehna
Tumhi dukh mein nahi ho
Hum bhi apni RAAKH
Hathoon mein liay aur siskiyaan leti howi Tanhayee key baal kholay bayn kerty hain

Udasi! Tum usay kehna
Tumhi dukh mein nahi tenha
Yahan bhi hawa key hath mein kuch bhi nahi hey
Khala jo zaat ki her char dewari key ander hey
Khabhi bhi bher na payee ga
Yahan bhi her sada Weeran phirty hey
Udasi tum usay kehna
Udasi tum usay kehna!

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:17 AM
Ankh mein ansoo ka aur dil mein lahoo ka kaal hay
Hay tammna ka wohi jo zindgi ka haal hay

Yun dhuwan deiney laga hay jism aur jaan ka aalaoo
Jeisey rag rag mein rawan ik aatish-e-siyaal hay

Pheiltey jatey hain Daam-e-narsii k dairey
Tery mery darmiyan kin hadsoon ka jaal hay ?

GHir gai hay doh zamanoon ki kashaa kaash mein hiyat
Ik taraf nanjeer-e-mazii aik janib haal hay

Hijrr ki rahoon AKBAR Manzil-e-deedar tak
Yun jeisey darmiyaan ik roshni ka saal hay

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:18 AM
ye aalam shauq kaa dekhaa na jaaye
vo but hai yaa Khudaa dekhaa na jaaye

ye kin nazaron se tum ne aaj dekhaa
ke teraa dekhnaa dekha naa jaaye

hameshaa ke liye mujh se bichhar jaa
ye manzar baarahaa dekhaa na jaaye

Galat hai jo sunaa par aazmaa kar
tujhe ai baavafaa dekhaa na jaaye

ye maharuumii nahiin paas-e-vafaa hai
ko_ii tere sivaa dekhaa na jaaye

yahii to aashnaa banate hain aaKhir
ko_ii naa_aashnaa dekhaa na jaaye

'Faraz' apne sivaa hai kaun teraa
tujhe tujh se judaa dekhaa na jaaye

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:18 AM
is men koii shikavaa na shikaayat na gilaa hai
ye bhii koii Khat hai ki mohabbat se bharaa hai

kyaa yaad dilaayenge mujhe mere sitamgar
har naqsh-e-sitam Khud mere siine pe likhaa hai

mujh ko merii aavaaz sunaaii nahiin detii
kaisaa ye mere jism men ik shor machaa hai

chehare me.n hai aaiinaa ki aa_iine men chehraa
maaluum nahiin kaun kise dekh rahaa hai

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:19 AM
bhuul shaayad bahut barii kar lii
dil ne duniyaa se dostii kar lii

tum muhabbat ko khel kahte ho
ham ne barbaad zindagii kar lii

us ne dekhaa barii inaayat se
aankhon aankhon men baat bhii kar lii

aashiqii men bahut zaruurii hai
bevafaaii kabhi kabhii kar lii

ham nahiin jaanate chiraagon ne
kyon andheron se dostii kar lii

dharakanen dafn ho gaii hongii
dil men diivaar kyon kharii kar lii

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:19 AM
Qissa aik raat ka
woh ajab raat thi
jab do dil do dost
juda ho rahai thai

aaisai lagta tha
waqt tham sa gaya hai
hawayain ruk c gayin
chand b takta ja raha tha
dil chahta tah kai ik baar
palt kai dekhoon
un aankhoon ko
jo abb tak mera peecha kar rahi theen
kisi ki aankhoon ka hisaar kheenchai jaa raha tha apni tarf
khirki sai takk rahi thi woh ankhain
kai abb palt kai dekhoon ge
uss ki umeedoon ki saari shamoun ko
bhujatai howai main chalti ja rahi thi
kai tha mujahi yaqeen kai
agar ik baar main palt gayi
tou phir kabhi na purr paoon ge
kabhi na ja sakoon ge
phir shayed kahin sai awaaz aayi
kiyun darti ho tum
jub dil o jaan uss darr pai rakh aayi ho
phir kiyun palatnai sai darti ho

na janai phir kaisai aik dam sai
kaun sai lamhai
ik hulchul c howi
aur qadam jumm sai gaayai
aur aankhoon kai saamnai
aanosoun mai lipta
ik chehra nazar aaya

buhut kuch kehna cha raha ho jaisai
hoont thai khamoosh
aansoo keh rahai thai daastaan saari

woh lamha aur aaj ka din
zindagi ussi jaga ruki hai
kai ussi aik raat mai
saari zindagani hai apni

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:20 AM
Khudaa kare ki muhabbat me.n vo mukaam aaye
kisii kaa naam luu.N lab pe tumhaaraa naam aaye

tumhaaraa pyaar mere gesuuo.n kii ulajhan ho
tumhaare vaaste dil kaa chiraaG roshan ho
sahar nazar se mile zulf leke shaam aaye

merii Khayaalo.n kii tasviir huu-ba-huu ho tum
mere huzuur nigaaho.n kii aarazuu ho tum
isii tarah se nigaah uThe salaam aaye

jahaa.N talak ye ha.Nsii guna-gunaatii raat chale
nazar nazar se mile, dil se dil kii baat chale
hamaare dil kii ta.Dap kuchh to apane kaam aaye

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:20 AM
dhuup ke saath gayaa saath nibhaane vaalaa
ab kahaa.N aayegaa vo lauT ke aane vaalaa

ret par chho.D gayaa naqsh hazaaro.n apane
kisii paagal kii tarah naqsh miTaane vaalaa

sabz shaaKhe.n kabhii aise to nahii.n chiiKhatii hai.n
kaun aayaa hai parindo.n ko Daraane vaalaa

aariz-e-shaam kii surKhii ne kiyaa faash use
pardaa-e-abr me.n thaa aag lagaane vaalaa

safar-e-shab kaa taqaazaa hai mere saath raho
dasht pur_haul hai tuufaan hai aane vaalaa

mujh ko dar_pardaa sunaataa rahaa qissaa apanaa
agale vaqto.n kii hikaayaat sunaane vaalaa

shabanamii ghaas ghane phuul larazatii kirane.n
kaun aayaa hai Khazaano.n ko luTaane vaalaa

ab to aaraam kare.n sochatii aa.Nkhe.n merii
raat kaa aaKhirii taaraa bhii hai jaane vaalaa

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:21 AM
her ik ruh mey ik gham chupa lagey hai mujhey
ye zindagi to koi ba'dua lagey hai mujhey


jo a'nsoo mey kabhi raat bheeg jati hai
bohot kareeb wo awaz lagey hai mujhey

mey so ja'on to meyri band aankhon mey
tamaam raat koi jhankta lagey hai mujhey

mey jab bhi is key khayal mey kho sa jata hun
wo khud bhi baat karey to bura lagey hai mujhey

mey sochta tha ké lautun ga ajanabi ki tarhan
ye meyra ga'on to pehchana sa lagey hai mujhey

bikher gaya hai kuch is tarhan sey admi ka wajood
her aik fard koi saanéha lagey hai mujhey

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:21 AM
kuch door humaray saath chaloo
hum dil ki kahani keh dain ge
samjhey na jisey tum ankhoon se
wo bat zubani keh dain ge
pholoon ki tarha jab hontoon pe
ik shookh tabasum bhikhrey ga
dheerey se tumharey kanoon main
ik baat purani keh dain ge
izhar-e-wafa tum kaya janoo
ikrar-e-wafa tum kia jano
hum zikar karain ge ghayroon ka
aur apni kahaani keh dain ge

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:22 AM
Hijer Ki Raat Katti Dard Kay Saye Na Gaye
Woh Mairay Shahr Main Ik Baar Bhi Aye Na Gaye

Kiss Qadar Ghaow Thay Jo Mahw Hoye Waqt Kay Saath
Kitnay Arman Thay Jo Dil Say Mitaye Nah Gaye

Yeh Husseen Log Yeh Mausoom Say Komel Chehray
Hum Say Iss Bar Bhi Palkoon Mein Chupaye Na Gaye

Ishq Ki Taan Peh Goonjay Thay Hazaroon Naghmay
Hussn Kay Saaz Peh Dow Char Bhi Goye Na Gaye

Tum Mein Jo Piyar Kay Andaz Hain Neeli Chirrya
Woh Kissi But Kissi Aowtar Mein Paye Na Gaye

Dhal Chukka Ahd-e-Jawani tou Taira Piyar Milla
Hum Say Khundraat Mein Insaan Bussaye Na Gaye

Geet Hum Nay Bhi Bahut Piyar Kay Likhay Ae Jaan
Kiya Kaheen Jin Ko Sunanay Thay Sunnaye Na Gaye..!!

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:22 AM
Dil bhi bujha ho sham ki parchaiyan bhi hon
mar jaiye jo aise main tanhaiyan bhi hon


ankhon ki surkh lahar hai mauj-e-suparadagi
ye kya zarur hai ke ab angaraiyan bhi hon


har husn-e-sada lau na dil main utar saka
kuch to mizaj-e-yar main geharaiyan bhi hon


duniya ke tazakire to tabiyat hi le bujhe
bat us ki ho to phir sukhan araiyan bhi hon


pahale pahal ka ishq abhi yad hai 'Faraz'
dil khud ye chahata hai ke rusvaiyan bhi hon

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:23 AM
jab bhi ati hain khayalon mey tumhari ankhein
bheeg jati hain gham se humari ankhein

tum mere pas nhi phir bhi tumhara chehra
sochti rehti hain ye dard ki maari ankhein

hum is aas per ankhon ko khula rakhte hain
laut aye na kisi roz tumhari ankhein

ashq sagar bane, tehreer bani hai zanjeer
jab se bichri hain tumhari pyar se pyari ankhein

silsila toot bhi sakta tha bisaarat ka kabhi
dekh leti na agar ankh tumhari ankhein

gaate gaate humein aik shaks ki yaad ati hai
bheeg jati hain sar e bazm humari ankhein

manzil e ishq mey aisa bhi muqaam aya hai
le gai ankhon ke badle wo humari ankhein

jane kia baat hai jo dekhti rehti hai Umer
meri ankhon ki taraf shehar ki sari ankhein..

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:24 AM
BOHOT HAIRAAN HOTA HOON



Buhat hairaan hota hun

Kisi se jab ye sunta hun

Ke tu raaton ko tanha dair tak

Taaron ki chaaon mein

Ab aksar apne gher ki chutt pe bethi khuab bunti hai

Main aksar sochta hun,

tu miley to tujh se ye poochun

Andheron se tumhari dosti kese hui aakhir ??

Tumhein too shaam ki perchaaiyon se khauf aata tha

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:24 AM
Wo jin kay liya alwidha kaha saab ko
Rabita to rakha magar youn kay saab
bedill ho gay hum say
saab ko nafrat hogai hum say
haal to poochtay magar youn jesay
hum say koi nata koi rishta bhi na ho unka
unko jaab batlaya kay hum door saab say hogay hain to
unhooN nay kaha itnay bejaan lafzoon say
asi bhi kiya adam bezari?
To hum sochtay hi reh gay ab hum inhaiN ya kesay kahaiN
ya bezari nahiN thi ..unhaiN kiya batatay ya kiya tha

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:43 AM
~***~*~ HAWAA ~*~***~



Shikan chupp hey..
Badan khamosh hey..
Galon pe waisi tamtamahat bhi nahi lekin..
Main ghar se kaisey niklon gi???
Hawa...chanchal saheli ki tarah bahar khari hey..
Dekhtey hi muskuraye gi..
Mujhey choo kar teri har baat paa le gi..
Tujhey mujh se chura le gi..
zamaney bhar se keh de gi..
Main tujh se mil k aayi hoon..
Hawa ki shookhyan yeh..
Aur mera bachpana aisa..
K apney aap se bhi main..
teri khushboo chupati phir rahi hoon..

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:47 AM
Musaffir K Rasstey Badltey Rahey
Muqader Main Chalna Tha Chaltey Rahey

Koi Phool Sa Haath Kandhey Pay Tha
Meray Paaon Sholon Pay Chaltey Rahey

Main Rasttey Main Uljha Raha
Diyey Uski Rahoon Main Jaltey Rahey

Woh Kya Tha Jissey Hum Ney Thukra Diya
Mager Umer Bher Haath Maltey Rahey

Mohabbat,Adavar,Wafa,Bayrukhi
Kiraye K Gher Thay Badltey Rahey

Suna Hai Unhin Bhi Hawa Lug Gai Hai
Hawaon K Jo Rukh Badlatey Rahey

Lipat K Chiraghoon Sey Hum So Gaey
Hum To Pholon Main Carvan Badltey Rahey

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:47 AM
Yaad karte hain jab woh din hum aaj bhi
hain kitne tanha tere bin hum aaj bhi
kaisi doori huee hai jaana kya bataaon main
guzre lamho main thay jo sapne kabhi
toote sitaare ki tarha gire hain woh aaj bhi

aisi hawa chali thi, dekho chalti hai wo aaj bhi
leke jaati hai kis taraf humne jaana na aaj bhi
aag kaisi jali thi jo jalti gayee
kaisa toofan tha jo ruka na kabhi
meri khushion ne rukh badla aaj bhi

tum thay anjaan ho bekhabar aaj bhi
hum thay maherbaan tumpe hain fida aaj bhi
baat kehdi thi lekin rahi ankahee
milay to sunayenge fasaane kabhi na kabhi
mil jaye do ghari fursat k, maangte hain dua aaj bhi

pal do pal, badalti hai apna rasta kismat aaj bhi
aazmaati hai, leti hai imtihaan aaj bhi
ibtida hansi se huee, intihaa main sabar likha
humne to har mushkil lamhe ko safar ka dost samjha
kya hai chhupa us aakhri din main, uska hai intizaar aaj bhi

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:47 AM
Zakhm dey ker malaal matt Karna
Yaar mera khayyal matt karna

Jaag ker tum siyah raatoun mein
Maand apna Jamaal matt karna

Haal-e-dil jatana nigahoun sey
Lub sey koi sawaal matt karna

Na kabhi khoun k ashk tum roona
Zeest apni muhaal matt karna

Hijr ki raat gar muqadar hai
To phir shouq-e-wisaal matt karna

Bawafa bhi raho sitamger bhi
Koi aisa kamaal matt karna

Zindagi ban gayee hai sazaa
Marr bhi Gaya main to malaal matt karna

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:48 AM
Mein tumein yaad bhi…


MeiN tumeiN yaad bhii aaya keh naheiN

shehar sey door safar kartey hoey

rah chaltey ya kaheeN beth key sastaatey hoey

aatey jaatey hoey, bey wajah kaheiN ruktey hoey

seeRiiyaan chaRtey hoey, zulf ko suljhaatey hoey

ghar mein aaey kissi mehmaaN ki tawaazoh kartey

chaaey deytey hoey, haathoN sey piyaalii girtey

meiN tumheiN yaad bhii aaya keh naheiN

ghoomtey phirtey hoey, long driving kartey

chooRiiyaan leytey hoey, eid ki shopping kartey

ghar sey jaatey hoey ya shaam ko ghar aatey hoey

beykhiyaalii mein kissi khiyaal mein khho jaatey hoey

duniya daarii sey bohat duur nikal jaatey hoey

meiN tumheiN yaad bhii aaya keh naheiN

pichhley do chaar jo din guzrey heiN

kia kahooN kitney kaThin guzrey heiN

intezaar itna kiya hai keh saddii ho jaisey

beybasii apney moqadar mein likhhii ho jaisey…

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:51 AM
MeiN tumeiN yaad bhii aaya keh naheiN

shehar sey door safar kartey hoey

rah chaltey ya kaheeN beth key sastaatey hoey

aatey jaatey hoey, bey wajah kaheiN ruktey hoey

seeRiiyaan chaRtey hoey, zulf ko suljhaatey hoey

ghar mein aaey kissi mehmaaN ki tawaazoh kartey

chaaey deytey hoey, haathoN sey piyaalii girtey

meiN tumheiN yaad bhii aaya keh naheiN

ghoomtey phirtey hoey, long driving kartey

chooRiiyaan leytey hoey, eid ki shopping kartey

ghar sey jaatey hoey ya shaam ko ghar aatey hoey

beykhiyaalii mein kissi khiyaal mein khho jaatey hoey

duniya daarii sey bohat duur nikal jaatey hoey

meiN tumheiN yaad bhii aaya keh naheiN

pichhley do chaar jo din guzrey heiN

kia kahooN kitney kaThin guzrey heiN

intezaar itna kiya hai keh saddii ho jaisey

beybasii apney moqadar mein likhhii ho jaisey…

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:52 AM
Usay Roktey Bhi To Kis Liye

usay rooktay bhi too kis liye?

wo jo sher-e-dil tha ujar gia

wo jo khawab tha wo bikhar gia

kabhi moosmoon ki nazar lagi

kabhi wahamoon nay dara dia

kabhi manziloon ke sarab nay

kabhi zindgi ki kitab se humain jis nay chaha mita dia

bas isi liye

wo jo ja raha tha dour tak

usay dekhtay hi rahay magar
nahi di sada.....

usay rooktay bhi too kis liye?????

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:56 AM
"Tere Firaq Ke Lamhey"


Tere Firaq Ke Lamhey Shumaar Kartay Hoy
Bikhar Gaya Hoon Tera Intazaar kartay Hoy

Tu Mein Khosh Hoon Koi Osay Ja Ke Khe dena
Agger Wo Khosh Hai Mujhe Beqraar Kartay Hoy

Mein Mukrata Hoa Ainay Mein Obhar Aoo Ga
Wo Ro Paray Gee Achanak Sighaar Kartay Hoy

Tumhay Khaber He Nahe Hai Koi Toot Gaya Hai
Mohabbat Ko Bohat Pedaar Kartay Hoy

Wo Khe Rahi Thi "Azeem" Sumandar Nahe Hai Ankhein Hain
Mein Un Mein Doob Gaya Aitbaar Kartay Hoy

Mujhe Khabar Thi Kia Ab Lout Kar Na Aao Ga
Tujh Ko Yaad Kia Dard Par Kartay Hoy

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:57 AM
Tu bewafa mere dil ki sada me shamil hai..
nazar se dur hai lekin..Dua me shamil hai...

Main aitbaar tumhara karoon to kaise karoon...
Daga, fareb, tumhari...ada me shamil hai......

Tumhare haath se ye umr bhar na chutega..
mere lahoo ka rang...Rang-e-heena me shamil hai...

wo maar dalega mil kar gale mohabbat se...
zeher khuloos ka uski dawa me shamil hai....

khuda ka shukr hai ke mitne ka gham to dur hua..
humara zikr ,kisiki wafa me shamil hai....

Mehek rahi hai mere dil ki wadiyan dekho....
kisike pyar ki khushbu hawa me shamil hai....

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:57 AM
Us Key Hatoo Pey Hena Paoon May Payail Hoogi..
Us Key Hathoo Pey Hena Paoon May Payail Hoogi

Ek Dewaar Magar Beach May Hayail Hoogi

Us Key Jalwoon Key Bhot Pass May Hoonga Leykin!

Wo Kisi Aur Ki Taqdeer Ka Hasil Hoogi

Surkh Kaproon Pey Sajey Taar Na Hoon Gay Merey!

Us Key Annkhoon May Merey Piyar Ki Jhilmil Hoogi

Jatey Jatey Wo Mujhey Piyar Say Dekhey Gi Jab..?

Rootey Rootey Wo Meri Rooh May Shamil Hoogi

Mujh Say Wo Dour Bhot Dour Chali Jaye Gi....!

Yea Kahani Bhi Sir-e-Bazm Mukammal Hoo Gi........
Us Key Hatoo Pey Hena Paoon May Payail Hoogi..

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:58 AM
apna ehsaas mar na jaye kahin

dard had se guzer na jaye kahin

un ko dekhe huye hoin sadiyan

un ka chehra bekher na jaye kahin

ab ke awaz doon to aa jana

dil dewana sudher na jaye kahin

un ka wada to hai mager dil ko

darr hai ke kafer muker na jaye kahin

dard,jugnoo, hawa,gilley shikway

yeh mukader sawer na jaye kahin

meri duniya hai dard ki surat

gull ki surat nikher na jaye kabhi

khak se aab tak tu aa pohchey

ab yeh derya uter na jaye kahin

yeh muhabbat bhi ek balla tehri

hum ko derr hai woh derr na jaye kahin

is liye muskuraye phirta hoon

un ki aakh bhi na bhar jaye kahin

dil se guzra to hai mager shakil

apni jaan se guzer na jaye kahin

ShArArTi MuNdA
02-20-2009, 08:58 AM
Tanha si ho gayi hoon mein sab kuch hote hue
saari umar guzaari hai meine to rote hue

din to kat te rahe hai mere gammon ko samone mein
raatein guzari hai meine,aashko ki mala pirote hue

eh mere Khuda kya taqdeer banayi hai toone meri
tamaam umar kateghi kya meri gamon ko dhote hue

kisi ne loota chain mera,kisi ne meri neendo ko loota
har din guzra hai mera,kuch na kuch khote hue

jholi pailaye khadi hoo tere dar pe
aapne paas bulale kabhi yu hi sote hue!

life2
02-20-2009, 10:34 PM
nice..

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 02:28 AM
nice..

Thanks

Hani
02-21-2009, 03:47 AM
good

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 05:38 AM
good

ahan

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:30 AM
Subah ka taara hoon
Pal ka nazaara hoon

Karay na deedaar koi
Shub ka kinaara hoon

Gira chaandni kay aanchal say!
Seher ka sanwaara hoon

Hoon shab ki musaafat say choor
Umeed ka sahaara hoon

Roop hoon na singhaar koi
Manzil ka ishaara hoon

Basaaye na koi aankhon main
Akaash per bechaara hoon

Karay na dhhurti nazar
Kab main sharara hoon

Ginay shab bhur taaray koi
Main subah ka haara hoon

Sajaaye mah-o-maher jamaal naya!
Main nazar ka utaara hoon

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:30 AM
Kaise hua yeh....!!!!
Ek Pal Mai Hua Sab Khatam
Kaisey Hua Yeh?
Kal Khushi Aur Ajj Gham
Kaisey Hua Yeh?

Jo Chahat Ki Tasweer
Buni Thi Maine Aankhon Mai
Ek Anchahi Taqdeer
Judi Thi Meri Raahon Sai
Kal Tak THi Jis Ki Chah'
Dil Ki Chupi Panahon Mai
Ek Shaq Sa Ubhar Kai Aya
Us Ki Sachi Wafa'aon Mai

Na Woh Rahe Wasy Na Ham
Kaisey Hua Yeh?
Kal Khushi Aur Ajj Gham
Kaisey Hua Yeh!

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:30 AM
Ik Safr Ki Raat Mein...


Mujh ko ik hamdam mila tha,ik safar ki raat main
Main bohat baykhud hoa tha,ik safar ki raat main

jany kis ki yaad thi k ik manzar dekh kar
toot kar main roo para tha!ik safar ki raat main

Woh k jis say umar bhar ki Doryian mansoob hain
Mery seenay sy laga tha ik safar ki raat main

Har taraf phaily hoye thy yaad-e-gham k silsilay
Kitna mushkil raasta tha, ik safar ki raat main

ghar sy bahar paon rakhty hi Laraz uth-ta hai Dil
Hadsa aisa hoa tha Ik safar ki raat main

Aaj bhi Gungunata hon usy tanhai main
Geet jo humny suna tha Ik safar ki raat main

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:31 AM
Hamare Lab Mohabbat Mein Sile The,
Warna Tumse To Kitne Gile The,

Dilon Mein Doriyan Itni Nahi Thi,
Na-Khuda Hum Me Jitne Faasle The,

Hamare Hi Lahoo Se Jal Rahe The,
Teri Raahon Mein Jitne Bhi Diye The,

Mohabbat Ke Safar Mein Kya Bataun,
Safar Kya Bas Junoon Ke Silsile The,

Usse Malum Hai Hum Uski Khatir
Chiragon Ki Tarah Shab Bhar Jale The,

Judayi Hum Par Bhi Aasan Nahi Thi,
Hum Apne Aap Se Bichhde Hue The...

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:31 AM
Hamari Mohabbat Par Wo WaQt Bhi Aaye Hai,
Khud Qatal Hue Aur Khud Qaatil Kehlaye Hai,

Roye To Hai Ruswai Chup Rehne Pe Dam Toote,
Phoolon Ke Haathon Humne Wo Zakham Bhi Khaye Hai,

Apno Ki Mohabbat Ki Itni Si HaQeeQat Hai,
Jitna Bhi Gale Mile Utne Hi Paraye Hai,

Is Daur Me Bach Kar Bhi Kahan Jayein,
Jo Aag Barsate Hai Wo Apno Ke Hi Saaye Hai...

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:32 AM
Thak jaao gar pathreele raaston pe chalte hue
Kabhi soch na lena ki wahan tanha ho tum
Moond kar palkon ko apni jo tum dekhoge
Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum

Har waqt bura kat jaat hai, yaqeen karna
Ankhon main kabhi tum ashk na bhar lena
Ghum barh jaaye, muskurahat khone lage
Apni duaaon main mujh ko paaoge tum

Ishq naam to nahin hai milan ka, deedar ka
Dil se dil ka mil jaana hai naam-e-mohabbat
Jo yaad aa jaaye meri, na samjhna ki door hoon
Apne seene main dhadakta mujh ko paaoge tum

Waqt ki garmi jo jhulsaane lage wujood
Meri chahat ki nami ko mehsoos karna
Jo sard hawaain zamane ki aane lagen paas
Meri wafaaon ki garmi ko mehsoos karna
Main tumse juda to nahin hoon mere humdum
Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum !!

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:32 AM
Us ki aankhoo mein mohabbat ka sitara ho ga
eik din ayee ga woh shahks hamara ho ga

tum jahan mere liye seepiyaan chunti ho gi
woh kisi aur hi duniya ka kinara ho ga

Zindagi! ab ke mera naam na shamil kerna
Gr yeh tai hai ke yehi khail dobara ho ga

jis ke honay se meri sans chala kerti thi
kis tara us ke bagair apna guzara ho ga

yeh achanak joh ujala sa hua jata hai
dil ne chupke se tera naam pukara ho ga

Ishq kerna hai to din raat use sochna hai
aur kuch zehn mein aya to hasaara ho ga

yeh joh pani mein chala aya sunehri sa garoor
us ne deriya mein kahin pao utara ho ga

kon rota hai yahan raat ke sunaatoo mein
meray jaisa hi koi hijr ka mara ho ga

mujh ko maloom hai junhi main qadam rakhoo ga
zindagi tera koi aur kinara ho ga

joh meri rooh mein badal se garajte hain "Wasi"
us ne seene mein koi dard utara ho ga

kaam mushkil hai magr jeet hi loo ga us ko
mere mola ka "Wasi" junhi ishara ho ga

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:33 AM
Wo Mujhko Chhod Jana Chahta Hai,
Magar Koi Bahana Chahta Hai,

Jisse Dil Ki Tarah Is Dil Mein Rakha,
Wohi Ab Dil Dukhana Chahta Hai,

Wo Apni Hansi Gairon Ko Dekar
Khud Apna Gam Bhulana Chahta Hai,

Main Jiski Yaad Mein Duniya Ko Bhooli
Wo Hi Mujhe Bhulana Chahta Hai,

Use Kya Hoga Meri Maut Ka Ehsaas,
Jo Mujhe Qafan Odhana Chahta Hai...

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:33 AM
kaha us ne zamana dard hai aur tum dawa jaise
laga"tum se mohabbat hai"muje us ne kaha jaise

talab ki us ne jab muj se mohabbat ki wazahat to
bataya,dashat k honton per baarish ki dua jaise

suno kyoun dil ki basti ki taraf se shor uthta hai?
Bataya,haadsa ehsas k ghar main howa jaise

kaho ae gul kabhi khushbu ka tum ne aks dekha hai?
Kaha,qos-e-qaza k sare rungon ki sada jaise

suno khawaish ki lehron per sanbhlna kyoun howa mushkil?
Bataya,panioun per khawab ki rakhi bina jaise

bahala tum rooh ki in kirchiyoun main dhondte ho kya?
Kaha,ye itni roshan hain k suraj hai diya jaise

suno aankhon hi aankhon ka biyan kaisa laga tum ko?
Laga phoolon se sarghoshi si kerti hai saba jaise

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:34 AM
Galiyoun se meri tum ne guzar ker nahin dekha
Gham yeh hai k khushioun ne mera ghar nahin dekha

Mehroom hai woh pyar ki daulat se abhi tak
Dil jis ne kahin apna laga kar nahin dekha

Gumnaam hai woh phool gulistaan-e-jahan main
Khushboo ki tarah jis ne bikhar kar nahin dekha

Aaiine faqat us ki tasalli k liye hain
Dulhan ki tarah jis ne sanwar kar nahin dekha

Yeh sach hai mera qatal sar-e-aam hai
Kis ka tha meri peeth mein khanjar nahin dekha

Dil cheer ker nikle hain yeh akshar mere
Afsos inhen aap ne phadh kar nahin dekha

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:35 AM
Amar Ker Lo Woh Sab Lamhay
Jo Hum Nay Youn Guzaray Hain
Sahar Ker Lo Woh Sab Raatain
Jahan Apni He Dunya Thi
Jahan Sansain Bhi Apni Theen
Jahan Sapnay Bhi Apnay Thay
Safer Ker Lo Woh Sab Rastay
Jahan Kuch Bhi Wafain Hain
Jahan Khushboo Hai Pyaron Ki
Jahan Yadain Hain Yaroon Ki
Fikr Ker Lo Zara Ek Pal
Ke Tum Ne Kis Ko Khoya Hai
Osay Tum Dhoondh Pao Gay
Kabhi Phir Dekh Pao Gay
Teher Jao Jahan Ho Tum....!!!!

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:35 AM
Gham-e-Hijar Se Na Dil Ko Kabhi Humkinaar Karna
Mein Phir Aaoyoun Ga Palat Kar Mera Intezaar Karna

Mujhe Darr Hai, Mere Aansoo Teri Aankh Se Na Jhalkien
Zara Sooch Kar Samajh Kar Mujhe Sogawaar Karna

Ussey Dhoond Sab Se Pehlay Jo Mila Nahien Hai Tujh Ko
Yeh Sitarey Aasmaan Kay Kabhi Phir Shumaar Karna

Mere Shaher Ki Fiza Mein Koi Zahar Bhar Gaya Hai
Tere Husn Par Hai Laazim Ussay Khusgawaar Karna

Mein Uthayoun Gaa Na Ihsaan Tere Baad Na-Khuda Ka
Mujhe Tu Ney Hi Daboya, Mujhe Tu Hi Paar Karna

Mere Bad-Naseeb Waaz, Teri Zindagi Hi Kya Hai
Na Kisi Sey Dil Lagaana, Na Kisi Sey Pyaar Karna

Kabhi Iqtidaar Bakhshey Jo Khuda Qateel Tujh Ko
Jo Rawish Hai Katiloon Ki, Woh Na Ikhtiyaar Karna

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:36 AM
Tum Meri Aankh ke Tevar na Bhulaa Paaoge ----------------
An Kahi Baat ko Samajhoge to Yaad Aaongaa --------------

Humne Khushiyon ki tarah Dukh Bhi Ikhatey Dekhe -------------
Safaah-e-ziist ko Palatoge to Yaad Aaongaa ----------

Isii Andaaz main Hotey Thay Mukhaatib Mujh Se ------------------
Khat kisi aur ko Likho gay to Yaad Aaongaa --------------

Sard Raaton ke Mehakte huai Sannnaaton mein -------------
Jab kisii Phool ko Choomogay to Yaad Aaongaa ----------------

Ab teray Ashk main Honton se Churaa letaa hoo -----------------
Haath se Khud inhen Ponchhoge to Yaad Aaongaa -------------

Shaal Pehnaegaa ab kaun December mein Tumhein ----------------
Baarishon main kabhi bheegogay to Yaad Aongaa ----------------

Aaj to Mehfil-e-Yaaraan pe ho Magaroor bohat --------------
Jab kabhi Toot ke Bikhrogay to Yaad Aaongaa -------------

Haadsay Aayenge Jeevan mein to tum hoke Nidhaal ---------
Kisi Deevaar ko Thaamogay to Yaad Aaongaa

Is main Shaamil hai meri Bakht ki Taareeki bhi --------------
Tum Siyaah Rang jo Pahnogay to Yaad Aaongaa ---------------

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:36 AM
Mujhay bas itna kehna hai

Mujhay bas itna kehna hai
Kabhi main yaad aaoon to
Kabhi tanhai ki raatain
Tumhain ziada sataein to
Kabhi titli na bolay to
Aur jugnoo lout jaye to
Kabhi jab dil bhi bhar jaye

Koi jab sunn na paye to
Agar sab dost sathi bhi
Jo tum se rooth jaaein to
Kabhi jab khud se lar lar kar
Thakan se choor ho jao
Kabhi chahtay huay bhi khud akelay
x Ro na paao to
Apni aankhon ko band karna
Mujhay aawaz de dena
Aur phir meray tasawwur se
Jo chaho batain keh dena
Meray kaandhay pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena
Phir khud main jab loat jao to
Us he duniya chalay jana
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon main
Hamain dil se pukaro gay
Hamain tum saath pao gay.......

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:36 AM
MuHabbat ke anokhe they sabhi andaaz, kya karte?
Rahay hum bhi gurezaaN, aap bhi naaraaz, kya karte?

Sanam tujh se muHabbat ka bhala aaghaz kya karte
LaboN per baat ayi, par na thi aawaaz kya karte?

Mire aHbaab kyaa karte, mire dam-saaz kyaa karte?
Mujhe jab dard hi tha raas, chaara-saaz kya karte?

Hujoom-e-shehr me hum kho gaye kuch chain paane ko
Akele me satati thi tiree aawaaz kya karte?

Dil-e-naazuk hamara us ne pal me torr Daala tha
Usey bhaati thi TooTe kaanch ki aawaaz, kya karte?

Ham us ke saamne chup saadh kar baiThaa kiye, phir bhi
"Jafaa-kaarii se pesh aaya woh Heelaa-saaz, kyaa karte?"

Saja kar sau tabassum aik Ghum tum se chupati thi
Magar ANMOL ke tum jaan kar woh raaz, kya karte?

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:37 AM
"Aazma Liya Maine"


Khud ko kitna jala liya maine
yeh dil kahan laga liya maine

Dard jitne is dil main hain
hansi main chupa liya maine

Jo mere kabhi ho na sake
unko apna bana liya maine

Sirf unse nazar milaakar bhi
sabse nazar bacha liya maine

Behte aansoo ko moti kehkar
ashkon ko khoob saja liya maine

Aaj ho gaya main phir se tanha
unko nahi, khud ko aazma liya maine

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:43 AM
har chand sahaara hay teray pyaar ka dil ko
rehta hay magar, ik khauf ajab sa dil ko

wo aaien to hairaan, wo jaaein pareshaan
ya Rabb, koi samjhaaey, ye kia ho gia dil ko

yaa'n saans ka lena bhi, guzar jaana hay jee se
yaa maarka-e-ishq bhi, ik khel tha dil ko

wo khwaab jo dekha na kabhi le urra neendein
wo dard utha dil mein, ke khaa gia dil ko

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:48 AM
KAHO wo jahan kaisa tha jidhar sab kuch luuta aaye
jidhar aankhain ganvaa aaye ?


KAHA sailaab jaisa tha buhut chaaha ke bach
niklen magar sab kuch baha aaye.


KAHO wo chaand kaisa tha, falak se jo utar aaya
tumhari aankhon mai basne.


KAHA wo khuaab jaisa tha.nahi taa'beer thee us ki,
usai ek sahab sulaa aaye.


KAHO wo ishq kaisa thaa,bina soche bina samjhe
bina parkhe kiya tum ne?


KAHA tittli ke rang jaisa,buhut kacha anokha sa
jabhi us ko bhula aaye

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:48 AM
Ban Jaun Agar Tum Sa Tumhe Kaisa Lagega,
Har Pal Main Rahun Tumse Khafa Kaisa Lagega,

Padhte Ho Tum Jo Namazon Ko Khushi Se,
Ho Jaye Agar Tumse Qaza Kaisa Lagega,

Tum Dosti Mein Khud Ko Mitane Pe Ho Raazi,
Mil Jaye Par Ek Dost Ko Saza Kaisa Lagega,

Khud Se Bhi Zyada Ho Yaqeen Tumko Kisi Par,
Wo Shakhs Hi De Jaye Daga Kaisa Lagega,

Tum Auron Ki Mehfil Ka Diya Banke Jalo Par,
Tanhayi Mile Tumko Sila Kaisa Lagega...

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:49 AM
Kal Raat Bazam Mein jo Milla Gulbadan Saa Tha
Khushboo Say Uss kay Lafaz Thai Chehra Chaman Sa Tha

Daikha Ussay Tu Bool Paray Uss Kay Khud o Khaal
Poocha Ussay Tu Chup sa raha, Kam Sukhan Sa tha

Tunhaiyoon Kee Rutt Mein Bhi Lag'ta Tha Mut'mayeen
WOh Shakhas Apni Zaat Mein Ik Anjuman Sa Tha

SOocha Ussay Tu Mein Kaiee Rungoon mein Khoo Gaya
Alam Tamaam Uss Kay Haseen Payr'han Saa Tha

Jo Shaakh Shaakh Thee woh Ussi Kay Laboon See Thi
Jo Phool Khil Gaya Tha Woh Ussi Kay Dehan Saa Tha

Woh Sadgi Pehan Kay Bhi Dil Mein Utar Gaya
Uss Ke Har Ik Ada Mein Ajab Bhoolpan Saa Tha

Asaan Samajh Rahay Thai Ussay Shehar e Jaan Kay Loug
Mushkil Tha Iss Qadar Kay Mairay Apnay Fun Sa Tha

wo guftagoo thee uss ke ussi kay liyeah hee thee!
kehnay ko youn tu mein bhi shareek e sukhan saa tha

taray thay chandini meiN k tuhmat kay daagh thay
Mohsin kal asmaan bhi mairay kafaaN sa tha

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:50 AM
So Wo Aansu Hamare Aakhri Aansu The,
Jo Humne Gale Milkar Bahaye The,
Na Jane Waqt Un Aansuon Se Kis Taur Pesh Aya,
Magar Meri Fareb-E-Waqtki Behki Hui Aankhon Ne,
Uske Baad Bhi,
Aansu Bahaye Hai,
Mere Dil Ne
Bahut Se Dukh Rachaaye Hai,
Magar Yun Hai Ke
Mah-O-Saal Ki Is Rayeigaani Mein,
Meri Aankhein,
Gale Milte Hue Rishton Ki Furqat Ke Wo Aansu,
Shayad,
Phir Na Ro Paayein...

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:50 AM
sitam sikhlayay ga rasm-e-wafa, aisay nahi hota
sanam dikhlayain gay rah-e-khuda, aisay nahi hota

gino sab hasratain jo khoo.n hui hain tan kay maqtal main
mayray qatil hisab-e-khoo.n baha, aisay nahi hota

jahan-e-dil main kaam aati hain tadbeerain na taazeerain
yahan paiman-e-tasleem-o-raza, aisay nahi hota

har ik shab har gharhi guzray Qiamat, yun tu hota hai
magar har subh ho Roz-e-jaza, aisay nahi hota

rawan hai nabz-e-daura.n, gardishon main aasma.n saray
jo tum kehtay ho sab kuch ho chuka, aisay nahi hota

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:50 AM
Kaaton se bhara mera aashiyaana ho gaya hai
Phoolon ko dekhe to ek zamaaana ho gaya hai

Hansi uski sun kar hoti thi subah meri
Khamoshi se aaj kal dostaana ho gaya hai

Chanchal si aahat uski aati hai khwabon mein
Sona mere liye to bas bahaana ho gaya hai

Thi zinda meri basti uske eh-do-karam se
Bichadne ke baad to ye viraaana ho gaya hai

Kehte hai 'tan.viir' ke peena chhod de
Jabki khali mera paimaana ho gaya hai

Sunaata tha haal-e-dil zamaane ko pehle
Ab to ye kissa bhi puraana ho gaya hai

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:51 AM
teri yaad mein jeete jeete aik zamana beet gaya
hum ko apne aap se bichre aik zamana beet gaya

paani ke parde par tum ne naam wafa ka likha tha
paani ki lehron ko takte aik zamana beet gaya

ankhon mein kuch khwab basa kar hum ne jeena chaha tha
ankhon mein khwabon ko sulagte aik zamana beet gaya

jate jate phir milne ki aas na dete acha tha
phir milne ki aas mein jalte aik zamana beet gaya

kon sune faryaad kisi ki, kon kisi ka dard sahe
apne aap se baten karte aik zamana beet gaya

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:52 AM
ye kis Khalish ne phir is dil mein aashiyaana kiya
phir aaj kis ne suKhan ham se Gaayebaana kiya

Gam-e-jahaan ho, ruKh-e-yaar ho ke dast-e-uduu
salook jis se kiya hamane aashiqaana kiya

the Khaak-e-raah bhi ham log qahar-e-tuufaan bhi
saha to kya na saha aur kiya to kya na kiya

Khusha ke aaj har ik muddai ke lab par hai
vo raaz jis ne hamein raand-e-zamaanaa kiya

vo hilaagar jo vafaajuu bhi hai jafaaKhuu bhi
kiyaa bhi "Faiz" to kis but se dostaana kiya

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:52 AM
SaaNs lena bhi sazaa lagtaa hai
Ab to marnaa bhii ravaa lagtaa hai

Sar-e-bazaar hai yarooN ki talaash
Jo guzartaa hai khafaa lagtaa hai

Mausam-e-gul meN sar-e-shaaKh-e-gulaab
Sho’la bhaRke to baja lagtaa hai

Muskuraata hai jo is aalam meN
Ba-Khuda mujhko Khuda lagta hai

Itnaa manuus huuN sannTe se
Koii bole to buraa lagtaa hai

Anjum-o-maah ka kyaa zikr nadeem
Mehr mohtaaj-e-ziaa lagta hai

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:53 AM
Wo DiN BhI kYa tHaY kAy SaArEy GuLaB mErEy ThEy
TuMhArI aAnKhO mAiN kUcH dIn Jo KhuWaB mErEy ThEy

ChHUpA k PaRhTeY tHeY jO aPnI kHuWaBgAh MeY tUm
TaMaAm AkS dArOn-E-kItAab MeReY tHey...

YeH dIn Jo AaJ kHuShI k hAiN dAsTarAs MeY tErI
YeH kAL ki BaAt Hai SaB hUmrAkAb mErEy ThEy

Wo sAb KhAyAl jO sHaMiL tHeY rAtJaGo'n MaiN tEreY
Wo TuMkO yAaD aGaR hO'n JaNaB MeRey ThEy

BaUhAt KaRrA tHa MoHaBbAt Ka ImTeHaN mAgaR.!
TuMhAiN jO yAaD tHeY sArEy JaWaB mErEy ThEy..

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:54 AM
YEH ZINDGI..

Yeh zindgi bari ajeeb si
kabhi gulzar si kabhi bezar si
kabhi khushi hamaray sath sath
kabhi gamoon ki barsat si
ye zindgi bari ajeeb si

kabhi tofanoon main bhi hain rastay
kabh manzaloon ka pata nahi
kabhi do qadam pe zindgi
kabhi sadioon tuk intezar si
ye zindgi bari ajeeb si

kabhi har pal imtehan hai
kabhi bin managy eman hai
kabhi kuch nahi kabhi sab kuch si
ye zindgi bari ajeeb si
kabhi gulzar si kabhi bezar si...

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:54 AM
Kya Hua Mujh Mein Agar Jurrat-E-Izhaar Nahi,
Aap Nazron Ki Zubaan Bhi To Samajhte Honge,

Mujhko Malum Nahi Husn Ki Tarif, Magar,
Mere Nazron Mein Haseen Wo Hai Jo Tujh Sa Hai,

Bhula Diya Mujhe Zalim Hai Aadataan Bhi Magar,
Wo Baat Jisse Ke Yaad Aao Mujh Mein Thi Bhi Nahi,

Bas Itni Daad Dena Baad Mere, Mere Ulfat Ko,
Ke Yaad Aao To Apne Aapko Tum Pyaar Kar Lena,

Duniya Nahi Beshumar Adam Ko Diye Hai Gam,
Aye Dost Chiz To Bhi Koi Yaadgaar De,

Charag-E-Zindagi Ko Ek Jhonke Ki Zaroorat Hai,
Tumhe Meri Qasam Hai Phir Zara Daaman Ko Lehrana...

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:55 AM
Kaha us nay bharosa dil pay itna nahi kartay
Kaha mai nay mohabat mai kabhi soacha nahi kartay
Kaha us nay bahut khush rang dunya k nazaray hain
Kaha mai nay jo tum ho sath hum kuch diakha nahi kartay
Kaha us nay mai tum say door hon lakin tumhari hon
Kaha mai nay k sapnay dil ko behlaya nahi kartay
Kaha us nay teri chahat tujhay ruswaian day gi
Kaha mai nay k shohrat say hum ghabraya nahi kartay
Kaha us nsay samajh jao sanbhal jao aye diwanay
Kaha mai nay k diwanay ko samjhaya nahi kartay

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:56 AM
Ye Aankhein Teri Jaise Do Kanwal,
Kehti Hain Chupke Se Koi Gazal

Ye Aankhein Teri Aur Inki Gehrayee,
Sunaati Hai Jaise Ye Dastaan Koi,

Ye Aankhein Teri Aur Inka Dard,
Dekha To Bas Tadap Uthe Hum

Ye Aankhein Teri, Yaane Paimaane Do,
Khuda Ke Hain, Ye Nazraane Do,

Ye Aankhein Teri, Koi Jaadoo Hain Inmein,
Dekhe To Bhool Jaayein Log Apne Raste,

Ye Aankhein Teri, Nahi In Jaisi Kahin,
Deewaana Kiya Hume In Aankhon Ne Teri...

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:56 AM
Usay Kisay Wafa Ke Roz O Shab Dil Kion Sunata Hia
Jisay Paani Ziada Dein Woh Poda Sookh Jata Hia

Meri Tareef Kar Jata Hia Mere Samnay Aa Ker
Mera Dushman Kabhi Yon Bhi Meri Ghairat Jagata Hia

Yeh Ik Rishta Humein Joray Huvay Hia Ek Mudat Se
Jisay Hum Yaad Rakhtay Hian Humein Woh Bhool Jata Hia

Dar O Dewar Se Ab Tak Mehak Yadoon Ki Ati Hia
Dia Umeed Ka Dil Mein Abhi Tak Timtimata Hia

Milay Safdar Kisi Mor Per Tau Use Se Yeh Kehna
Usay Angan Puranay Ghar Ka Ab Wapas Bulata Hia

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:57 AM
Mere Dilko Tune Beqarar Kiya,
Mere Chain Ko Tune Farar Kiya,

Meri Neend Ko Tune Koson Paar Kiya,
Mere Mausam Ko Tune Bahar Kiya,

Meri Zindagi Ko Tune Lachar Kiya,
Aankhon Ke Teer Ko Tune Dilke Paar Kiya,

Meri Dhadkano Ko Tune Badha Kiya,
Mere Badan Ko Tune Naar Kiya,

Mere Phool Khwabon Ko Tune Khar Kiya,
Mere Chaman Ko Tune Sharar Kiya,

Mere Jazbaat Ko Tune Taar Taar Kiya,
Meri Khushi Ko Tune Gam Gusaar Kiya,

Aye "Naaz" Kaisa Tune Waar Kiya,
Meri Jeet Ko Tune Haar Kiya...

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:57 AM
Hamare khwab se behter khayal bunta ha
aajeeb shakhs ha pani se jal bunta ha
woh lafz lafz main bunta ha mohjizoon ka wajood
kahanian bhe jo daikho kamal bunta ha
hado k war se bachna mahal ha us ka
jo apne hath se kaghiz ki dhal bunta ha
woh kal k aane ki mutlaq khaber naheen rakhta
jo g k mazi main batoon se hal bunta ha
laboon pe aahni tale laga liye us ne
jo apni soochoon main lakhoon sawal bunta ha
urooj us ki nighaown main kab mohabat ka
mohabatoon ka woh her pal zawal bunta ha

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:57 AM
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi

Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:58 AM
Eis taraah ki batoon say...
Manziloon say pehlay hi...
Sath choott jatay hain...
Loog rooth jatay hain...
Yeh tumhain bata doon main...
Chahtoon kay rishtay main...
Phir girah nahi lagti...
Lag bhi jaey to ous main...
Woh kashish nahi rehti...
Eik pheeka pheeka sa...
Rabta to rehta hai...
Tazgi nahi rehti...
Rooh kay taluuq main...
Zindagi nahi rehti...
Baat woh nahi banti...
Dosti nahi rehti...
Lakh bar mil kar bhi..
Dil kabhi nahi miltay...
Zehen kay jharokoon main...
Yaad kay darichoon main...
Titliyoon kay rangoon main...
Phool phir nahi khiltay...
Eis liyay main kehti hoon..
Eis tarah ki batoon main..
Ehtiyaat kartay hain ... !!
Eis tarah ki batoon say ...
Ijtenaab kartay hain .... !!

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:58 AM
Sukoon-E-Jaan Ke Liye Ab Main Dua Kaise Karun,
Dard Jab Tune Diya Hai To Gila Kaise Karun,

Aksar Lauta Hoon Manzil Se Yehi Soch Ke Main,
Ab Muqammal Ye Safar Tere Bina Kaise Karun,

Mere Sheron Mein Ye Asar Kahan Tha Pehle,
Karz Main Teri Jafaon Ka Ada Kaise Karun,

Zindagi Bhar Ki Wafaon Ka Sila Hai Yaaron,
Dil-E-Barbaad Ke Zakhmon Ki Dawa Kaise Karun,

Thi Koi Meri Hi Hathon Ki Lakeeron Mein Kami,
Apni Taqdeer Ka Ab Tujhse Gila Kaise Karun,

Meri Nas Nas Mein Basa Hai Jo Lahoon Banke Dost,
Uski Yaadon Se Kinara Main Bhala Kaise Karun,

Ab Munasib Hai Yehi Usko Bhula Dun,
Haan, Magar Phoolko Khushbu Se Juda Kaise Karun...

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:59 AM
Ek Raah Par Saari Umr Chale,
Ek Dooje Ko Par Na Samajh Sake,
Jeevan Ka Safar Anjaan Safar,
Be Ronaq Be Armaan Safar,
Jeewan Ke Kisi Bhi Dukh Sukh Mein,
Wo Mere Sath Shareek Nahi,
Hum Dono Mein Ek Jazba Hai,
Par Jazbon Mein Tehreek Nahi,
Hai Jaari Magar Anjaan Safar,
Main Sochti Hoon Ek Din Yunhi,
Wo Mujhse Juda Ho Jayega,
Pehle Main Mar Jaun Ya Shayad Wo Mar Jayega,
Phir Log Kahenge Ke Un Ka Ye Rishta Kitna Sacha Tha,
Par Kisko Khabar Sara Jeevan Mein Tanha Thi Wo Tanha Tha...

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 07:59 AM
Ek Shakhs Paas Reh Kar Bhi Samjha Nahi Mujhe,
Is Baat Ka Malaal Hai Shikwa Nahi Mujhe,

Main Usko Bewafai Ka Ilzaam Kaise Dun,
Usne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe,

Kya Kya Ummidein Bandh Ke Aaya Tha Samne,
Usne To Aankh Bhar Ke Bhi Dekha Nahi Mujhe,

Patthar Samajh Ke Paanv Ki Thokar Bana Liya,
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe,

Kab Theherna Tha Mujhko Aaj Uske Paas,
Achha Hua Ke Usne Bhi Roka Nahi Mujhe...

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:01 AM
Kahan Tha Itna Azaab Ashna Mera Chehra
Jale Chirag To Bujhne Laga, Mera Chehra

Woh Tere Hijar Ke Din Woh Safeer Sadiyon Ke
Tu Un Dinoon Mein Kabhi Dekhta Mera Chehra

Judaiyon Ke Safar Mein Rahe Hain Saath Sada
Teri Talash, Zamane, Hawa, Mera Chehra

Mere Siwa Koi Itna Udaas Bhi To Na Tha
Khizaan Ke Chand Ko Achaa Laga Mera Chehra

Kitaab Khol Raha Tha Woh Apne Maazi Ke
Warq Warq Pe Bikharta Gaya Mera Chehra

Sehar Ke Noor Se Dhulti Hui Teri Aankhein
Safar Ke Gard Mein Lipta Hua Mera Chehra

Hawa Ka Akhri Boosa Tha Ya Qayamat Thi?
Badan Ke Shaakh Se Phir Gir Pada Mera Chehra

Jise Bujha Ke Hawa Sogwar Phirti Hai
Woh Shama-E-Shaam-E-Safar Thi Ke Mera Chehra

Yeh Log Kyon Mujhe Pehchante Nahi Mohsin
Main Sochta Hoon Kahaan Reh Gaya Mera Chehra...

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:02 AM
"Mein Apne Dil ko Dard se bharta chala gaya.

mein kis se miloon koi bhi dil ko bhata nahi
yeh zindage abb apni,dora hai per khari hai

khuloos dil se nibhaen jo koi ehad karein
yeh log kaise zamane talash kerte hain

muddaton un ko fakat un ko satane ke liye
geet gaye dil aashufta nawa ne aae dost

dil gawara nahi kerta hai shikast umeed
har tagafal pe nawazish ka guman hota hai

ilahi bhej de aise mein jaan tamanna ko
sakoot shab ka satana hai aur dil ki kahani hai

woh yun dil se guzarte hain ke aahat nahi hoti
woh yun awaaz dete hain ke pehchani nahi jaati

dil apni khirkanon ko chupa jaye kis tarah
pehle pehal ka khat likhna jae kis tarah

bharne ko teri mang mein zar-taab keh-kashan
mein apne dil ko dard se bharta chala gaya

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:02 AM
Meri Ankhoon Kay Samandar Main Jalan Kaisi Hai
Ajj Phir Dil Ko Tarapnay Ki LaGan Kaisi Hai

Ab Kisi Chaat Pay Chiragon Ki Qatarin Bhi Nahi
Ab Teray Shehar Ki Galioyon Main Guthan Kaisi Hai

Baraf Kay Roop Main dhaal Jain Ge Saray Rishtay
Mujh say Pocho Kay Muhabbat Main Agan kaisi Hai

Main Teray Wisal Ki Khuwahish Ko na Marnay Doon Ga
Mausam-e-Hijar Kay lehjay Main Takan Kaisi Hai

Raigzaron Main Jo Banti Rahi Kantoon Ki Rida
Uss Ki Majboor Sii Ankhoon Main Kiran Kaisi Hai

Mujhe Masoom Si Pagal Larki Pay Taras Aata Hai
Usay Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi Hai...

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:02 AM
Mila Wo b nahi karte, Mila Hum b nahi karte
Wafa Wo b nahi karte, Wafa Hum b nahi karte

Unhein Ruswai ka Dukh, Hamein Tanhai ka Darr
Gila Wo b nahi karte, Shikwa Hum b nahi karte

Kisi Morr per Takrao ho jata hai aksar
Ruka Wo b nahi karte, Thera Hum b nahi karte

Jab b dekhte hain Unhein, Sochte hain kuch kahein unse
Suna Wo b nahi karte, Kaha Hum b nahi karte

Lekin! ye b Sach hai k Mohabbat Unhain b hai
Izhaar Wo b nahi karte, Kaha Hum b nahi karte

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:03 AM
suno acha nahi hathon ki lakeeron say ulajna
suno acha nahi hathon ki lakeeron say ulajna
dil ki dharkan ko jhutlana piyar ki batoon say ghabrana
uski yaad main gum rehna aur ik lafz na tum kahna
udaas din udaas raaat tanha tanha yun jeena
mannat mangna aur diye jalana
ashkon ko apnay yun bahana
woh jub samnay aye too chup chup k usko dekhna
woh jub chala jaye to uski ahhat ko panaa
sunooo acha nahi hathon ki lakeeron say ulajhna
sunoo acha nahi muhabbat main adhi raah say palatna
gar muhabbat hai too izhaar karooo
apnay dil ko na tum bayzar karoo
waqt kab thama hai jo ab thamay ga
woh kab mila tha jo ab milay ga
buss ik soch main gum rehna
ik tarfa muhabbat main na tum rehna
suno acha nahi hathon ki lakeron say ulajna

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:03 AM
Tujhe Ishq Ho Khuda Kare,
Koi Usko Tujhse Juda Kare,

Tere Honth Hasna Bhul Jayein
Teri Aankh Purnam Raha Kare,

Tu Uski Baatein Kiya Kare
Tu Usko Dekh Kar Roka Kare
Wo Nazar Jhuka Kar Chala Kare,

Tujhe Hijr Ke Wo Jarri Lage
Tu Milan Ki Har Pal Dua Kare,

Tere Khwab Bikhre Toot Kare,
Tu Kirchi Kirchi Chuna Kare,

Tu Nagar Nagar Phira Kare,
Tu Gali Gali Sada Kare

Tujhe Ishq Ho Phir Yakeen Ho,
Use Tasbiyon Par Padha Kare,

Main Kahon Ishq Dhong Hai,
Tu Nahi Nahi Kiya Kare...

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:04 AM
Kaha Tha Na!
Mujhe Tum Is Tarah Sote Hue Mat Chhod Kar Jaana,
Mujhe Beshak Jaga Dena,
Bata Dena,
Mohabbat Ke Safar Mein Sath Mere Chal Nahi Sakti,
Judayi Mein, Hijr Mein Sath Mere Jal Nahi Sakti,
Tumhe Rasta Badalna Hai,
Meri Had Se Nikalna Hai,
Tumhe Kis Baat Ka Dar Tha,
Tumhe Jaane Nahi Deta,
Kahin Par Qaid Kar Leta,
Arey Pagal
Mohabbat Ki Tabiyat Mein Zabardasti Nahi Hoti,
Jisse Rasta Badalna Ho
Use Rasta Badalne Se,
Jise Had Se Nikalna Ho
Use Had Se Nikalne Se
Na Koi Rok Paya Hai,
Na Koi Rok Payega,
Tumhe Kis Baat Ka Dar Tha,
Mujhe Beshak Jaga Dete,
Tumhe Main Dekh Hi Leta,
Tumhe Koi Dua Deta,
Kamse Kam Yun To Na Hota
Mere Sathi! Haqeeqat Hai,
Tumhare Baad Khone Ke Liye Kuch Bhi Nahi Baaqi,
Magar Khone Se Darta Hoon...

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:04 AM
Is bars ki ibtida bhi mein ney tumhi sye ki hay….
Tumharay naam ki hatheli per dua key haroof ,
Kuch youn likhay hain_
Key….
Teri umar ki deviyon ko tund hawa ki nazar na lagay,
Teri ankhon mein qos-e-qazah ho,
Jugnoo hon or taray hon.

Teray safar ki kahaniyon mein,
Chaoon key zikar saray hon.
Dhoop ki hidatein na hon,
Piyas ki shidatein na hon.

Sakoon key tamam darya teray raston sey ho ker guzrain
Tabhi barishon key rang
Tujhey chahaton ki naveed sonp dein.
Or kabhi jab tu bey-mehr saaton ki tarah,
Bichar jaye bikhar jaye..
Tu tab
Zindagi tujhey –milaya karey sameta karey.

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:05 AM
ab to uth saktaa nahin aankhon se baar-e-intizaar
kis tarah kaate koi lail-o-nahaar- e-intizaar

unkii ulfat ka yaqeen ho unke aane kii ummiid
hon ye dono suuraten tab hai bahaar-e-intizaar

merii aahen naa-rasaa, merii duaein naa-qubuul
yaa ilaahii kya karo main sharmsaar-e- intizaar

unke khat kii aarzuu hai, unkii aamad kaa khayaal
kis qadar peilaa hua hai kaarobaar-e- intizaar

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:05 AM
Main Usse Mohabbat Karta Tha Use Ehsaas Dilaya,
Aur Usne Mujhe Apni Mohabbat Ka Yakeen Dila Diya,

Ghar Se Be-Ghar To Doston Mein Khwar Karva Diya,
Jabse Usne Mujhe Uski Mohabbat Mein Giraftar Karva Diya,

Uski Ek Jhalak Se Hi Karar Aa Jaye,
Jaise Kisi Pyase Ko Pet Bhar Pani Pila Diya,

Mohabbat Mein Meri Hi Kami Thi Ye Ehsaas Dila Diya,
Jabse Maine Use Chand Ki Aagosh Mein Lipta Hua Paya...

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:05 AM
uski hasrat hai jise dil se miTa bhee na sakooN
dhoonDne usko chala hooN jise paa bhee na sakooN

meharbaaN hoke bula lo muJhe chaaho jis waqt
maiN gaya waqt naheeN hooN ke fir aa bhee na sakooN

daal kar kHaak mere khooN pe qaaTil nikaah
kuCh ye meHndi naheeN meri ke chupaa bhi na sakooN

zauf meiN taa maye agiyaar ka shikwaa kya hai
baat kuCh sar to naheeN hai ke utha bhee na sakooN

zabt kambakht ne aur aake gala ghonTa hai
ke use' haal sunawooN to suna bhee na sakooN

zaher milta hee nahiN muJhko sitamgar warna
kya kasam hai tere milne ki ke khaa bhee na sakooN

uske pehlooN meiN jo le jaake sulaa dooN dil ko
neeNd aisi use' aaye ke jagaa bhee na sakooN

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:06 AM
kuchh ishq thaa kuchh majbuurii thii so maiN ne jiivan vaar diyaa
maiN kaisaa zindaa aadmii thaa ek shakhs ne mujhko maar diyaa

ek sabz shaakh gulaab kii thaa, ek duniaa apne khwaab kii thaa
voh ek bahaar jo aaii nahiin uske liye sab kuchh vaar diyaa

ye sajaa sajaaya ghar saathi merii zaat nahiiN meraa haal nahiiN
aye kaash tum kabhi jaan sako, jo is sukh ne aazaar diyaa

maiN khuli huii sachchaaii, mujhe jaanne vaale jaante haiN
main ne kin logon se nafrat ki aur kin logoN ko pyaar diyaa

vo ishq bohat mushkil thaa magar, aasaaN na thaa yuun jiina bhii
us ishq ne zindaa rahne kaa mujhe zarf diyaa, pindaar diyaa

maiN rotaa huuN aur aasmaaN se taare tuut kar dekhtaa huun
un logon par jin logoN ne mere logon ko aazaar diyaa

mere bachchon ko allah rakhe in taazaa havaa ke jhokon ne
main khushk peD khizaan ka tha, mujhe kaisaa barg-o-baar diyaa

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:06 AM
tumhara khat mila jaanan



Tumhara Khat Mila Jaana
Wo Jis Mein Tum Ne Poocha Hai
Ke Ab Haalaat Kesay Hain?
Meray Din Raat Kesay Hain?

Meherbaani Tumhari Hai
Ke Tum Ne Is Tarah Mujh Se
Meray Haalaat poochay Hain
Meray Din Raat Poochay Hain
Tumhain Sab Kuch Bata Doon Ga

Tumhain Sab Kuch Bata Doon Ga
Mujhay Itna Batao Ke
Kabhi Saagar Kinaray Par
Kisi Machhli Ko Dekha Hai
Ke Jisko Lehrein Paani Ki
Kinaray Tak To Laati Hain
Magar Phir Chhor Jaati Hain

Meray Haalaat Aisay Hain
Meray Din Raat Aisay Hain.

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:07 AM
hum bhi khud dushman-e jaaN thay pehle
tum magar dost kahaN thay pehle

ab wahaN khaak ooratee hai khizaaN
phool hi phool jahaaN thay pehle

ab jo deewar bunay baithay hain
soorat-e mooj rawaaN thay pehle

kuch sharabee keh hein ab rah nasheeN
ronaq-e buzm-e maghaaN thay pehle

hum keh hein aaj ghobaar puss-e ro
munzil hum sufraaN thay pehle

ab kise waza-e mohabbat ka khayal
aur hi loag yahaan thay pehle

ab to khudh per bhi nahin zaam-e wafa
tujh se hum shikwa kinaaN thay pehle

bun gya kafla chaltay chaltay
wurna tunha hi rawaan thay pehle

dolat-e ghum tau moyashar thi Faraz
itne muflis bhi kahaan thay pehle

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:07 AM
tujh se mil ker bhi kuch khafa hein hum
be-maruwut nahin tau kya hein hum

hum ghum-e karwaan mein baithe thay
laug sumjhe shikasta pa hein hum

is turhan se humein raqeeb milay
jaise mudat ke aashna hein hum

raakh hein hum agar yeh aag bujhi
juz ghum-e dost aur kya hein hum

khud ko sunte hein iss turhaaN jaise
waqt ki aakhri sadaa hein hum

kyon zamane ko dein Faraz ilzaam
wo nahin hein tu be wafa hein hum

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:08 AM
Iss dil kay jharokay main ik roop ki raani hai
uss roop ki raani ki tasweer banani hai


hum ehl-e-mohabat ki vehshat ka wo darma.n hai
hum ehl-e-mohabat ko azaar jawaani hai


yaa.n chaand kay daaghon ko seenon main chupatay hain
dunia kahay deewana, yay dunia dewaani hai


ik baat magar hum bhi pochain jo ijazat ho?
kyoon tum nay yay gham day kar pardes ki thhani hai?


sukh lay kay chalay jana, dukh day kay chalay jana
q husn kay maato.n ki yay reet puraani hai


hudia dil-e-muflis ka, chhay sher ghazal kay hain
qeemat main tu halqay hain, Insha ki nishani hain

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:08 AM
Dard jaaga nahi kitnay din ho gaye
Dil yeh dhadka nahi kitnay din ho gaye

Ar taraf uski dhundli si parchaaiyaan
Usko dekha nahi kitnay din ho gaye

Kab se galiyaan umeedoon ki weeraan hain
Koi guzra nahi kitnay din ho gaye

Aarzoon ki raatein andheri huin
Chand nikla nahi kitnay din ho gaye

Jaanay kya gham hai "unko " in dinon
Hanstay dekha nahi kitnay din ho gaye

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:09 AM
kaun is raah se guzartaa hai
dil yuuN hii intizaar kartaa hai

dekh kar bhii na dekhne vaale
dil tujhe dekh dekh Dartaa hai

shahar-e-gul meN kaTii hai saarii raat
dekhiye din kahaaN guzartaa hai

dhyaan kii siiDhiyoN pe pichhle pahar
koii chupke se paaoN dhartaa hai

dil to meraa udaas hai naasir
shahar kyuuN saaeN saaeN kartaa hai

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:09 AM
In Udaas RaahOn Par
Is Akailey Dil Key Saath
Kar Liya Safar Kitna
Aur Kitna Baaqi hAi

wO jO Aik Tara Sa
dOor Jhilmilata hAi
RaaSta Dikhata hAi
Aur dOob jAta hAi
Tab Akailey Pan Sey Dil
Yeh Sawaal Karta hAi

jUgnOoun Ki Khwaahish Mein
TitliyOn Kii Chahat Mein
Kar Liya Saffar Kitna
Aur Kitna BaaQii hAi ??

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:10 AM
Khud Ko Dil Main Basanay Ki Ijazat De DO..

Mujh Ko Tum Apna Banany Ki Ijazat De Do..

Tum Meri Zindagi Ka Ik Haseen Lamha Ho..

Pholon Se Khud Ko Sajany Ki Ijazat De Do..

Main Kitna Chahta Hoon Kis Tarah Bataon Tumhain..

Mujhay Ye Aaj Batany Ki Ijazat De Do..

Tumari Chand Si Ankhon Main Chand Sa Chahra..

Mujhy Ye Sham Sajany Ki Ijazat De Do..

Mujhay Qaid Kar Lo Apny Dil Main..

Ya Phir.




Mujhay Khud Ko Qaid Karnay Ki Ijazat De Do..

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:10 AM
vo baate terii vo fasaane tere
shaguftaa shaguftaa bahaane tere

bas ek zaKhm nazzaaraa hissaa meraa
bahaare terii aashiyaane tere

bas ek daaG-e-sajdaa merii qaayenaat
jabiine terii aastaane tere

zamiir-e-sadaf me kiran kaa muqaam
anokhe anokhe Thikaane tere

faqiiro kaa jamaghaT gha.Dii do gha.Dii
sharaabe terii baadaaKhaane tere

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:11 AM
ruuH kii baat sunii, jism ke tevar dekhe
iltiijaa hai voh is aag meN jal kar dekhe

tum voh daryaa jo chaDhe bhii to ghaDii bhar ke liye
maiN voh qatra huuN jo gir ke bhii samandar dekhe

chubhtaa mahaul, ghuTii ruuH, gurezaaN lamhe
dil kii hasrat hai kabhii in se nikal kar dekhe

kaise kar le voh yaqiiN tujh par fareb-e-Gam-e-zaat
terii raahoN meN jo tashkiik ke patthar dekhe

baat ho sirf haqiiqat kii to sah le lekin
apne KhwaaboN ko bikharte koii kyuuN kar dekhe

hamse mat puuchhiye kyaa nafs pe guzrii Ummiid
ek ek saaNs se laDte hue lashkar dekhe

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:12 AM
Rah-e-shauq se ab haTaa chaahataa huu.N
kashish husn kii dekhanaa chaahataa huu.N

koii dil-saa dard aashanaa chaahataa huu.N
rah-e-ishq me.n rah_numaa chaahataa huu.N

Tujhii se tujhy chhiinanaa chaahataa huu.N
ye kyaa chaahataa huu.N ye kyaa chaahataa huu.N

Khataao.n pe jo mujh ko maa_il kare phir
sazaa aur aisii sazaa chaahataa huu.N

vo maKhmuor nazare.n vo mad_hosh aa.Nkhe.n
Kharaab-e-muhabbat huaa chaahataa huu.N

Vo aa.Nkhe.n jhukii.n vo ko_ii muskuraayaa
payaam-e-muhabbat sunaa chaahataa huu.N

tujhe dhuu.NDhataa huu.N terii justajuu hai
mazaa hai Khud gum huaa chaahataa huu.N

kahaa.N kaa karam aur kaisii inaayat
'Majaz' ab jafaa hii jafaa chaahataa huu.N

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:13 AM
hamara kyaa hai keh hum tou charagh-e-shab kii tarah
agar jalay bhii tou bus itni roshnii hogi
keh jaisay tund andhairon kii raah main jugnoo
zara sii dair ko chamkay chamak kay khoo jaye
phir uss kay baad kisi ko na kuch sujhayee day
na shab katay na suragh-e-sehar dikhayee day

hamara kyaa hai keh hum tou pas-e-ghubaar-e-safar
agar chalay bhi tou bas itnii raah tay hog
keh jaisay taiz hawaon kii zad main naqsh-e-qadam
zara sii dair k ubhray ubhar kay mit jaaye
phir uss kay baad na rastaa na rah-guzar milay
had-e-nigah talak dasht-e-bekinaar milay

hamarii simt na dekho keh koii dair main hum
qabeela-e-dil-o-jaan say bicharrnay waalay hain
basay basaaye howay shehar apnii ankhon kay
misal-e-khaanaa-e-veeraan ujarrrnay walay hain
hawa kaa shor yehii hai tou dekhtay rehnaa
hamarii umar kay khaimay ukharrnay walay hain

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:13 AM
Os ke bina ab chup chap rehna acha lagta hai,

Khamoshi sey dard ko sehna acha lagta hai,

Jis hasti ki yaad mein Aanso barstey hain,

Samne os ke kuch naa kehna acha lagta hai,

Mil kar os se Bichar naa jaaon dar rehta hai,

is liye bas door hi rehna acha lagta hai,

janti hon keh chahat mein bas Aanso milte hain,

Kuch bhi ho ab is zehar ko peena acha lagta hai,

Os ka milna naa milna Qismat ki baat hai,

Pal Pal os ki yaad mein roona acha lagta hai,

Os ke bina sab khushiyan Ajeeb si lagti hain,

Roo Roo kar os ki yaad mein sona acha lagta hai ....

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:14 AM
Muhabbat mein aazmaeish nahein ki jaati
isse nibhaney ki famaeish nahein ki jaati

Piyar mein aatey hein qaddam qaddam sakht muqam
dil ke zakhmon ki tu numeish nahein ki jaati

Hijjar mein jo milne lagge wassal ka lutff
tu phir milne ki khawaish nahein ki jaati

Aggar nah milna hi ho waqt ka taqqaza
esse mein tu milne ki laghzish nahein ki jaati

Khush naseebi se jo mill bethein do dil
tu zamane mein uski zaibaeish nahein ki jaati

Jin ko ho millna aur woh mill nah paein
dil se kabhi bhi woh hasarat-o-yaas nahein jaati

Piyaar tu hey muqaddron ka khel
jo nah mill sake piyar tu gujaresh nahein ki jaati

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:14 AM
Tab Kamre Mein Band Ho Jana Aur Chhup ke Chhup ke Ro Lena
Jab Ankhein Bhegi Hon Jain Aur yaad Mein Meri Bhar Aain

Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena Aur Chhup ke Chhup ke Ro lena
Jab Palkein Karab Se Mondi Hon Aur sab Samjhein Tum Sote Ho

Tab Moun Par Takiya Rakh Lena Aur Chhup ke chhup ke Ro Lena
Yeh Duniya Zaalim Duniya Hai, Yeh baat Buhat Phelay Gi

Tum Sab Ke Saamne Chup Rehna Aur Chhupke chhupke Ro Lena
Jab Barish Chehra Dho Dale Aur Ashk Bhi Bondein Lagti Hon

Who Lamha Har giz Mat Khona Aur Chhup ke Chhup ke Ro Lena

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:15 AM
Koi lotade mere, bachpan kei voh din

Raat katati thi jabh maa ki gaud mein

Toe sawera hota tha unki chaw mein

Koi lotade mere, bachpan kei voh din

Jabh sirf mein tha aur mera bachpan tha

Na koi gum tha aur na koi uljan thi

Janha jindagi khel khel mein aage badhti thi

Na apno ka aabhas tha na paraye ka ehsas tha

Janha pata na chalta tha kabh raat hui aur kabh din


Koi lotade mere bachpan kei voh din

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:15 AM
Teri Aankhon Main Meray Dil Ka Naqsha Ho Bhi Sakta Hai
Jisey Dewaar Samjha Hai Woh, Woh Rasta Ho Bhi Sakta Hai

Zamana Ghor Sey Daikhey Jisey Is Ney KHUDA Samjha Hai
Woh Is Key Haath Ka Pathar Trasha Ho Bhi Sakta Hai

Nazar Sey Door Reh Kar Bhi Kisi Soch Mein Rehna
Kisi Key Pass Rehney Ka Tareeqa Ho Bhi Sakta Hai

Woh Apni Sard Mohri Sey Mujhey Had Mein To Rakhta Hai
Mera Had Sey Guzarney Ka Irada Ho Bhi Sakta Hai

Bhari Dunya Ka Maila Sath Ho To Kon Sii Mushkil
Magar Eik Shakhs Mailey Mein Akaila Ho Bhi Sakta Hai

Yeh Seedhii Raah Par Chalna Khaan Sey Seekh Aaye Ho?
Yeh Rasta Dostii Ka Hai Yeh Ttaira Ho Bhii Sakta Hai

Main Apney Jism O Jaan Ko Sath Rehtey Dekh Kar Samjha
Nibhaana Ho Jisey Mushkil Wo Rishta Ho Bhi Sakta Hai

Machalta Thokrien Khata Huaa Paani Ka Eik Dharaa
Teray Dil Tak Pohanchney Ka Bahana Ho Bhi Sakta Hai

Nikal Kar Band Kamrey Sey Zara Baazar Mein Aao
Agar Tum Daikhna Chaho Tamasha Ho Bhi Sakta Hai

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:16 AM
Hum Hi Mein Thee Na Koi Baat
Yaad Hi Na Tumko Aa Sake
Tumne Hamein Bhula Diya
Hum Na Tumhe Bhula Sakey

Tum Hi Na Sun Sakey Agar
Kisa-e-Gham Sunega Kaun
Kis Ki Zubaan Khulegi Phir
Hum Na Agar Suna Sakey

Shauk-e-Visaal Hain Yahan
Lab Pay Sawaal Hain Yahan
Kis Ki Majaal Hain Yahan
Tum Se Nazar Mila Sakay

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:17 AM
Shehar Ka Shehar Agar Aaye Bhii Samjhaney Ko
Is Sey Kya Farq Pray Ga Teray Dewaney Ko

Jis Qadar Weham Hain Sab Us Key Atta Karda Hain
Liye Phirta Hon Kisi Aur Key Butt-Khaney Ko

Yeh Hunar Wo Hai Jo Dil Sey Kabhi Seekha Na Gya
Too Nay To Jorr Liya Torr Kay Paimaney Ko

Kya Koii Khail Hai Be-Naam O Nishan Ho Jana
Waisey Shama Bhii Tyaar Hai Jal Janey Ko

Wo Ajab Shakhs Tha Kal Jis Sey Mulaqaat Hoii
Main Milla Hon Kisi Jaaney Hoye Anjany Ko

Aaj Key Dukh Bhi Kisi Sey Nahi Jhailay Jatey
Yaad Mat Kar Kisi Bhooley Hoye Afsaanay Ko

Door Tak Raat Kii Aankhon Mein Khien Neend Nahien
Itna Sanata Hai K Aaye Koii Tarpanay Ko

Zindgii Bhar Mein Koii Shaey To Mukamil Kar Lien
Aao Labraiz Karien Sabr Key Paimanay Ko

Yeh Alag Baat K Eik Boond Muqadar Mein Na Thi
Sar Pey So Baar Ghata Chaaii Rhii Chaaney Ko

Shaam Honey Ko Hai Jalnay Ko Hai Sham E Mehfil
Saans Lainey Ko Bhi Fursat Nahien Parwaney Ko

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:17 AM
Main titli ko sula doon ka zara tum shaam hony do...

main jugnoo ko jaga doon ga zara tum shaam hony do...

kahan aaghaz hona hay kahan anjaam hona hay..

hunar saray sikha doon ga zara tum shaam hony do...

mujhy itni maharat hay k in sada say lafzoon mien...

tumhien dilkash bana doon ga zara tum shaam hony do...

"tumhari shaam kab ho gi" ye tum nay mujh say poocha hay...

tumhien sab kuch bata doon ga zara tum shaam hony do...

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:18 AM
Kisi se be-sabab uljha nahi tha,
Woh pehle to kabhi aisa nahi tha,

Woh phir bhi yaad rehna chahta tha,
Agar-chay mai usey bhola nahi tha,

Buhat aala tha zurf uska lekin,
Woh meri zaat ko samjha nahi tha,

Woh jis berukhi se chal diya,
Mai itna bhi gaya guzra nahi tha,

Usay mai kyun bura thehraon yaaro
Woh acha tha, faqat mera nahi tha......

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:18 AM
Teri yaad ne rakha man aangan mein qadam
machalnay lagay phir dil k armaan meray
phir chhoo gaya teray qurb ka ahsaas mujhey
khushboo se banay hein jism o jaan meray
shayed tu rasta bhool parray meray ghar ka
mehw e intezar hein dil o jaan meray
abr e muhabbat hi nah barsa, meray shehr mein warna
weeranay yeh ban jatay, gulistaan meray
tujhey pa ker kho diya, yeh zabt nhi mera?
aur kia kia lo gay tum imtehaan meray!
jub nah samjha wo lafzon ki zubaan kabhi
zakhm dil k ban gaye tarjumaan meray
chiragh e lahu se ghar mein roshni ker loon
aao kisi shab ban k mehmaan meray

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:19 AM
~**tumhara lehja badal raha hai**~



tumhara lehja badal raha hai
wohi hai dharti, falak wohi hai
ye dil samandar, bhanwar se nainan
yaqeen wohi hai, guman wohi hai
ye chand aur kehkashan wohi hai
tumhari surat, tumhari moorat
tumhari batain wohi hain laikin
buhat dinon se yun lag raha hai
samaáton main utar ke sooraj phigal raha hai
tumhara lehja badal raha hai

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:19 AM
kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch

wo kis adaa se merey saamnay se guzraa abhi
kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch

waqat jo badley to insaan badal jaatey hain
kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch

wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui
kis tarhan usney churaya hai mujh se haath na pooch

Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaai hai mainey maat na pooch

ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:19 AM
MOhabbat Jab LahO Ban Kar
RagoO Mei Sarsraey tO
kOi BhOla hOaa Chehra
Achanak Yaad Aaey tO
Qadam Mushkil Se uthte hOn
Erada Dagmagaey tO
kOi Madam Se Laihje Mei
Tumhee Wapas Bulaey tO
Thaihar Jana
Samaj Lena
Ke Ab Wapas Palatne Ka Amal Aagaaz hOta hai
Kabi Tanhaeiyo Ka Dard
Aankhoo Mei Samaey tO
kOi Lamha Guzashta Chahtoo Ka
Jab Sataey tO
Kisi Ki Yaad Mei ROna
Tumhe Bi Khoo’n Rolaey tO
Agar Tum Se Tumhara Dil
Kisi Dam Rooth Jaey tO
Kabi Anhoniyo Ka Dar
Parindo kO Uraey tO
Hawa Jab Peir Se Ik Zard Sa
Patta Giraey tO
Thaihar Jana
Samaj Lena
Ke Ab Wapas Palatne Ka Amal Aagaaz hOta hai

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:20 AM
Be-sabab tu nahe tairee yadain
Tairee yadon say kya nahe seekha
Zabt ka hosla barha laina
Ansoaon ko khain chopa laina
Kanptee doaltee sadaon ko
Chup kee chader say dhanp ker rakhna
Be-sabab bhi kabhi kabhi hasna
Jub bhi ho baat koi talkhee kee
Mozo-e-goftagoo badal daina
Be-sabab tu nahe tairee yadain
Tairee yadon say kya nahe seekha ..!

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:21 AM
Dard Kia Hota Hai Batain Gain Kisi Rooz
Tanha Ki Ghazal Tum Ko Sunain Gain Kisi Rooz

Thi Un Ki Zidd K Main Jaoon Un Ko Mananay
Mujh Ko Yeh Veham Tha Woh Bolain Gain Kisi Rooz

ALLAH Qasam Main Nay Tu Soocha Bhi Nahin Tha
Woh Itna Merey Dil Ko Dukhain Gain Kisi Rooz

Har Rooz Aainay Say Yeh Hi Poochta Hoon Main
Kia Rukh Pay Tabbassum Bhi Sajain Gain Kisi Rooz

Urrnay Do In Parindoon Ko Azaad Fiza Main
Tumharay Hoon Gain Agar Lout Hi Ayein Gain Kisi Rooz

Apnay Sittam Ka Dekh Lena Khud Hi Assar Tum
Zakhm-E-Jigar Tamaaam Dekhain Gain Kisi Rooz

ShArArTi MuNdA
02-21-2009, 08:21 AM
Aadmi Aadmi Se Milta Hai
Dil Magar Kam Kisi Say Milta Hai

Bhool Jati Hoon Mein Sitam Us Ke
Woh Kuch Is Saadgi Say Milta Hai

Mil Ke Bhi Jo Kabhi Nahi Milta
Toot Ker Dil Usi Say Milta Hai

Aaj Kia Baat Hai Ke Phoolon Ka
Rung Teri Hasi Say Milta Hai

Silsila Fitna-E-Qayamat Ka
Teri Khush-Qaamti Say Milta hai

Karobaar-E-Jahaan Sanwarte Hein
Hoosh Jab Bekhudi Say Milta Hai

Nida-H
02-21-2009, 03:02 PM
very nice collection..

safa
02-21-2009, 04:16 PM
nice collection

-|A|-
02-22-2009, 08:02 PM
its loveLy

!«╬Ĵamil Malik╬«!
02-22-2009, 09:15 PM
very nce collection bhai saahib

(¯`•¸♥Faryal♥¸•´¯)
02-23-2009, 08:10 AM
very nice sm

ShahTaJ
02-24-2009, 04:39 AM
very nice collection

ShArArTi MuNdA
02-24-2009, 05:05 AM
very nice collection..

Thanks Ruby

ShArArTi MuNdA
02-24-2009, 05:06 AM
nice collection

Thanks Safa

ShArArTi MuNdA
02-24-2009, 05:06 AM
its loveLy

Thanks Asad

ShArArTi MuNdA
02-24-2009, 05:07 AM
very nce collection bhai saahib

Thanks Malik

ShArArTi MuNdA
02-24-2009, 05:07 AM
very nice sm


Thanks Faryal

ShArArTi MuNdA
02-24-2009, 05:07 AM
very nice collection

Thanks Shahtaj

ShArArTi MuNdA
02-24-2009, 08:15 AM
Jub Tumhein Yaad Karta Hoon To

Aankh Bheeg Si Jaati Hai

Dil Dharakna Bhool Jaata Hai

Saansein Rukne Lagti Hain

Zindagi Apni Khatam Si Lagti Hai

Dunya Berang Lagne Lagti Hai

Dil Aawara Sa Ho Jaata Hai

Sochta Hoon Jo Mere Saath Huya

Kisi Ke Saath Na Ho

Us Waqt Ek Hi Dua Karta Hoon

Apne KHUDA Se Tumhare Liye

Tum Jahan Bhi Raho Khush Raho

Tumhare Dil Ka Mausam Aabad Rahe

Tumhein Itni Khushiyaan Milein

Jo Aaj Tak Kisi Ko Na Milli Haun

Tum Se Milay Mujhe Gham

Wo Main Sambhal Ke Rakhoon Ga Apne Paas

Tumhare Gham Ko Banaaoun Main Apni Khushi

Rahoon Ga Tumhare Gham Ke Saath Khushi Khushi

ShArArTi MuNdA
02-24-2009, 08:22 AM
Aey Khuda Yeh Teri Duniya
Aey khuda...
yeh teri duniya kesi hai
sabh rishtey naatey jhootey hain

lalach se bhari yeh kainat
hawas ke marey loug yahan

sachai ka koi naam nahi
dhokey bazi aam yahan

apney apnon ko loot'tey hain
insan diloon se khailtey hain

lamhoon main umeedain tortey hain
sabh tu jhotey wadey kartey hain

rondatey hoey ikk dojey ko
zindagi ke peechey bhagtey hain

aytamad aur pyar to khwab hoey
sabh bailli hain bass paison ke

na samjh hain sabh nadaan hain
iss baat se yeh anjaan hain
yeh duniya tu faani hey
thokra deygi hayat onhe
aur kardeygi reza reza
sheeshoon ke wasih inh mehloon ko

main dhukhi tu hoon per mayoos nahi
mujhe ghum tu hey per naumeedi nahi

aafi ke dil main ikk aas hey
millainge sachey loug yahan
milleyga sacha pyar ossey

zindagi ki talaash hey
apney rabb pe khud se ziada aitamad hey !!

ShArArTi MuNdA
02-24-2009, 08:23 AM
Aik Pall Bhi Woh Mujhe Sochta Na Hoga
Mainey din raat apney jisski yaad ke naam kiye hain
woh to ikk pall bhi mujhe sochta na hoga

jiski tasveer main har aik shae main hoon dekhti rehti
ikk nazzar bhi woh shaks mujhe dekhta na hoga

yeh labb jo sada osska naam ley kar mangtey hain duaian
mera naam bhi woh to kabhi laita nahin hoga

ossey sadain daita rehta hey yeh pagal dil mera
aik pukar bhi kabhi dil oska mujhe daita nahi hoga

meri ankhain dekhti hain har pall rasta oska
woh to youn pall pall mera inteezar karta na hoga

jiskey liye mera bhawla mann tarasta rehta hey
shabb-e-tanhai main meri terah woh tarapta nahin hoga

haathon ki lakeeron main ossko dekha hey mainey
kabhi bhi mujhe woh shaks aisey talaash karta na hoga

osska ehsas beh raha hey mujh main laho ki manidd
mujhe woh apney ansoun main bhi pata nahin hoga

apney naam ko main osske naam se jor daiti hon
merey aur osske rishtey ka ossey kheyal bhi ata nahi hoga

jissko mana hey mainey sabab mussarat-e-zindagi
woh to mujhe apna dukh bhi maanta nahin hoga

ban chukka hey woh meri manzil meri taqdeer
kabhi bhi juda rastoon ko meri terah woh aik karta nahi hoga

itni door hey mujhse phir bhi merey kitney kareeb hey
oss ne to kabhi mujhe mehsoos hi kia nahi hoga

tumne to Ali apney wajood ko rang dia hey oski chah main
kabhi socha hey tumne woh shaks tumse pyar karta bhi hoga?

ShArArTi MuNdA
02-24-2009, 08:24 AM
Chaha Hey Ossey
Chaha hey ossey chahti hoon sada chahoon gi
main tu ossko hi iss duniya main apna manongi

chahe sirf aanso aur takleef mili hey osske damman se
main phir bhi ossey apni mossarat aur saqoon manongi

main jisske liye kuch bhi nahi, hoon beymaini
ossi shaks ko apney dono jahan manongi

beshak woh mujhe chor dey zamaney ki khattir
oss ke aik isharey per main yeh kainat thokra doungi

osska har aik zulm-o-sitam seh loungi kuch na bolongi
apney aansoun se oss ke dil ke dagh mitta doungi

aik bhi aanch oss per main aney na doungi
main khud jal kar ossey karri dhoop se bacha loungi

kisi ko osey zamaney main bora kehney na doungi
main sabhi ilzam osske apney ser ley loungi

osske qadmon main rakh dongi sabhi khushiyan hayat ki
main apney khoon se osski zindagee main rang bhakairon gi

udas honey na doungi kabhi na doungi ossey roney
oss ke hissey ke ashq bhi hassi khushi main baha loungi

choora loungi osske haath se sabhi ranj-o-dukh ki lakeerain
apney anchal main sabhi raaz osske main chuppa loungi

main to dard aur mayosi ko apney ceeney se laga loungi
khushi kia jo kuch bhi hey mera oss per qurban-o-nichawar kar daloungi

tallhee aur fasla hi sahi osske merey rishtey main
torna chahe bhi koi to na tor paye main itna pokhta banaongi
***** to khud ko oss ke naam kar jayegi
fanna bhi ho jaye to kia sada ossi ki kehlaye gi

ShArArTi MuNdA
02-24-2009, 08:24 AM
Duniya Ke Afsaney Main
Har ikk shaks ki iss duniya ke afsaney main
mohabbat ki ikk apni dastan hoti hey

sabh ke dilon pe kisi ke naam ki mohrain hain lagi hotin
har aik ko zaroor kisi na kisi se pyar hota hey

tamam omr kuch pyar ko chupaney main guzar daitey hain
to kuch kholla izhaar kar ke duniya main badnam hotey hain

dil hotey hain kuch tootey hoey zakhmi aur piyasey
aur kahi dilon ke bhag to shadaab hotey hain

paata hey koi duniya main manzil aur khushian sabhi
kuch ki kamai to bas dard aur ghum hi hotey hain

qismat waley to sacha pyar apna paa hi laitey hain
pyar ko haar kar bhi kuch loug jeet jatey hain

guzartey hain omr kuch kisi ko bhool janey main
kisi ki zindagi to sirf kisi ki yaad hoti hey

kuch sonatey hain mohabbat ke kissey namm ankhoon se
aur kuch pyar ki kahani sonatey muskuratey hain

koi kisi ki yaad main tarapta rehta hey
aur kisi ki bewafai main koi neel bahata hey

dekha jaye to zindagi ki kathin rahon main
har koi roswa aur tanha hi hota hey

duniya ke iss wasih afsaney main
har ikk ki apni aik dastan hoti hey

ShArArTi MuNdA
02-24-2009, 08:24 AM
Ikk muskurahat si chehrey pey sajja rakhi hey,
oss main aik baat chuppa rakhi hey.

matt pocho mujhse meri dastaan,
jo humne zamaney sey iss dil main chuppa rakhi hey.

mera dil bhi kisi sagar sey kam nahi,
bohatsey raz iss main chuppa rakhain hain.

zinda main houn lekin aisi zindagi main keya,
jiss ki khowaish na tamanna ho mujh main.

abh tou jee rahi houn main,
iss jaltey diye ki terah,
jaltey rehna mukaddar hey mera.

meri qismatt ki baat na chero,
bass ghum aur dukh bharey hain iss main.

tujh ko ghum suna ke kia karoun gee main,
ikk dair ki hamdardi hi milley gi mujhe.

kabh tukhrai gi yeh bewafa zindagi mujh ko,
bas yehi ikk aas hey mujh main.

iss muskaan sey ghum chuppa rakhey hain,
dukh apney zamaney sey chuppa rakhey hain.

ShArArTi MuNdA
02-24-2009, 08:25 AM
Insan Ki Zindagi Main

insan ki zindagi main kion,
anjaney loug atey hain.

apna keh kar humain,
woh dil main samatain hain.

phir kisi bhi mor per kion woh,
thokar mar daitey hain?

humain akela woh kion,
sabh main chor jate hain?

sabhi sapne, sabhi arman,
kuch lafzon main kion tor jate hain?

chotey se diloon ko woh,
kion choor kar jate hain?

bhari duniya main humko woh
kion roswa chor jate hain ?

ShArArTi MuNdA
02-24-2009, 08:26 AM
Jee jaan se jisey chahain
jisey sabh kuch apna manain
har cheez qurban kar dalain
wohi tu log hotey hain
jo sabab roswai ka hotey hain
wafa ke badley main humain
bewafai inaam daitey hain

hassti basti duniya humari
woh tabah-o-ujar kar jatey hain
wohi zalim humara dil
hamesha tor jatey hain

janey kesey woh bedard
humko bhool jatey hain
sabhi naatey, sabhi bandhan
woh tor jatey hain

magar phir bhi dil-e-nadaan ko ikk aas hoti hai
ke woh pathar dil ikk dinn pallat hi ainge
apney kiye hoey wadey
woh zaroor nibhainge

kartey hain hum kion inteezar onka
najaney kion yeh dil onhe bholla nahi pata
woh dekh paatey kion nahi sacha pyar humara

woh youn kion tarpatey hain
humain kion thokratey hain
aiseyhi chor kar kion chaley jatey hain

ShArArTi MuNdA
02-24-2009, 08:27 AM
Sunoo
Sunoo dharkan ki
sada lamha lamha barhi ja rahi hai.
or eysay main!...
jaan jee~~
bhoolanay chalay ho meri zaat ko tum..
magar yeh tu souchoo
nahi bey sabaab hai yeh dil ka machalna..
tu such kyn na keh don?
mujhay bhool jana tu mumkin nahi hai
meri yaad ab bhi hai..
tumheen ab bhi
is ka matlab main yaad
a raha hon....

ShArArTi MuNdA
02-24-2009, 08:28 AM
Souchta raha
Mian in key baray mian sada souchta raha......
who a key chal diyay'mian khara souchta raha

who meri wafaoon ko jafa souchtay rahay..........
mian in ki jafaaon ko wafa souchta raha.

yadoon mian is ki omer guzari hai is liya............
ab souchta hon' dostoo! kia souchta raha.

who jo pareendha habaass key zindaan main qaid tha..........
ay gi kis taraf sey hawa, souchta raha.

ankheen gazal tu laab pey muhabat ki mehak............
zulfoon ko teri kali ghata souchta raha.

ek nay rastay pey tujhay a key *****..........
barsoon talak he betha raha, souchta raha

ShArArTi MuNdA
02-24-2009, 08:28 AM
Hai kuch khabar
Mian ney poucha kesay ho?
badlay ho key wesay ho?
roop who he andaz who he
ya phir is mian kami hai koi?
hijar ka kuch ehsas tu ho ga?
koi tumharay pass tu ho ga?
mainn bichra who majboori thee
kab manzoor mujhay yeh doori thee
sath hamra kab choota hay,
ruh ka rishta kab toota hay.
ankh sey jo ansoo behta hai
hai tum ko khabar kia kehta hai?
phool wafa k khil jain gey.
ek din phir hum mil jain gey.........

safa
02-24-2009, 04:46 PM
nice

life2
02-24-2009, 09:58 PM
Samandar May Gehrai Ki Tarah
Pyar May Judai Ki Tarah
Dosti May Chahat Ki Tarah
Mohabbat May Ki Wafa Ki Tarah
Meri Zuban Pay Ap Rehtay Ho Dua Ki Tarah

ShahTaJ
02-25-2009, 01:28 AM
ahan nice collection

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 03:52 AM
nice

Thanks Safa

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 03:54 AM
Samandar May Gehrai Ki Tarah
Pyar May Judai Ki Tarah
Dosti May Chahat Ki Tarah
Mohabbat May Ki Wafa Ki Tarah
Meri Zuban Pay Ap Rehtay Ho Dua Ki Tarah


Thanks life2

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 03:54 AM
ahan nice collection

ahan thanks shahtaj jee

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 07:44 AM
Tum meri wafaaon Ka sila Kyon Nahi Dete"
Ya phir meri saanso ko ghata kyon nahin Dete"?

Hai Khaak hui jal kar, hasrat e mohabbat,
Chingaariyon ko Bujhhti, hawa kyu nahi dete?

Jeene ka maqsad ab to, kuch bhi nahin baki,
marne ka bahana bhi bata kyun nahin dete?

Badhne laga hai dard andheroN sa zameen par
Tum ummeed-e-shama koi, jala kyon nahi dete?

Mujhe had se guzarne ka koi shauq nahi hai
meri had kya hai mujhko bata kyon nahi dete.

Rookhsat hui ja rahi hain khushiyan sabhi
Tum bachi hui aas ko bhi baha kyon nahin dete?

yadon ka dariya simat kar ek boond reh gaya hai,
is boond ko aankhon se baha kyon nahi dete.

ruk ruk ke subakne se to achha yahi hoga
ek baar hee jee bhur ke rula kyon nahi dete

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 07:44 AM
Bheer Mein Rishtoon Ki Is Dil Ko Akela Dekha,
Zindagi Aisa Bhi Humnein Tera Chehra Dekha,
Ab To Band Hone Ki Aankhoon Ko Ijaazat Dede,
Barsoon Aankhoon Ne Tera Jaag Ke Rasta Dekha,
Gareebi Tujhe Kaise Main Na Kaatil Samjhoon,
Main Ne Hi Karte Tujhe Khoon-E-Tamanna Dekha,
Umr Bhar Saath Chale Phir Bhi Rahe Hum Tanha,
Hum Ne Kurbat Mein Bhi Ek Faasla Aisa Dekha,
Usne Bahoon Mein Sama Rakhhe The Darya Lekin,
Humne Saahil Ko Dekha To Woh Bhi Pyaasa Dekha !!!

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 07:45 AM
sadma tou hai mujhe bhi ke tuj se juda hon mein
lekin yeh sochta hon ke ab tera kia hon mein

bikhra para hai tere hi ghar mei tera wajood
be-kar mehfilon mei tujay dhondta hon mein

kia janay kis ada se lia tu ne mera naam
dunya samaj rahi hai ke sab kuch tera hon mein

lekin yeh sochta hon ke ab tera kia hon mein
sadma tou hai mujhe bhi ke tuj se juda hon mein

le mere tajurboon se sabaq aay mere raqeeb
do char saal umer mei tuj se bara hon mein

lekin yeh sochta hon ke ab tera kia hon mein
sadma tou hai mujhe bhi ke tuj se juda hon mein

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 07:47 AM
mugh say parda hai to phir khawab main aatay kion hoo
piyar ki shama maray dil main jalatay kion hoo

alwida kehnay ko aay ho to phir milna kaysa
hai bicharna too galay mugh ko lagatay kion hoo

dost hokay rakahy aasa zarore to nahi
dil hi jab mil na saka hath milatay kion hoo

na laga paoon gi main ilzam uspar logon
maray mujrim ko maray samnay latay kion hoo

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:18 AM
Dil Husn k Sholon Say Jala Kyun Nahi Dete,
Tum Mujhko Mohabat Ki Saza Kyun Nahi Dete,

Bheegi Hui Palkon Pe Guzar Jatay Ho Chup Chaap
Jo Dil Pay Guzarti Hai Bata Kyun Nahi Dete,

Ro Ro K Shab-E-Hijr Guzaro Ge Kahan Tak,
Tum Unki Mohabat Ko Bhula Kyun Nahi Dete,

Aey Phool Se Chehro Zara Itna To Bata Do,
Tum Zakhm To Dete Ho Dawa Kyun Nahi Dete,

Wo Dard Jo Seenay Main Chupa Rakha Hai,
Us Dard Ko Aankhon Say Baha Kyun Nahi Dete..

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:18 AM
Mil Kar Bhi Ussay Hasrat-E-Mulaqat Reh Gai,
Badal To Ghar Aaye Thay Barsaat Reh Gai,

Wo Aaj Yun Mila K Hamain Janta Na Ho,
Lab To Meray Khulay Thay Magar Baat Reh Gai,

Main Haar K Bhi Khush Hoon k Tum Jeet To Gaye,
Qismat Main Meri Maat Thi So Maat Reh Gai,

Daman Main Kya Rakha Hai Is K Siwa Bas,
Bakhshay Jo Tu Nay Zakhm Wo Sougaat Reh Gai,

Kya Kya Badal Rahay Hain Yahan Mousam Khabar Nahi,
DiL K Nagar Main Raat Thi So Raat Gai..

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:19 AM
Teri Awaz Mere Char Su Abhi Tak Hai,
Wo Soz-o-Saaz Mere Char Su Abhi Tak Hai,

Bas Ek Nazar Meri Simt Tumne Dekha Tha,
Wo Nigah-E-Naaz Mere Char Su Abhi Tak Hai,

Wo Char Pal Mere Pas Tum Kharay Thay Magar,
Ye Fakhr--o-Naaz Mere Char Su Abhi Tak hai,

Tamam Logon K Jhurmat Main Munfarid Tum Thay,
Ye Imtizaaz Mere Char Su Abhi Tak Hai,

Wo Door Mujhsay Chala Gaya Kaisay,
Ye Ek Raaz Mere Char Su Abhi tak Hai...

__________________

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:19 AM
Main Tere Hath Pe Rach Jaunga Rangon Ki Tarah,
Tu Mera Nam Kabi Hathon Pe Saja K To Dekh,

Main Tere Jism May Mehkunga Gulabon Ki Tarah,
Aa Kabi Mujhko Dil May Basa K to Dekh,

Main Tere Lab Pe Chha Jaunga Muskurahat Ki Tarah,
Apnay Honton Se Mera Naam Bula K To Dekh,

Main Teri Aankh May Bas Jaunga Kajal Ki Tarah,
Tu Meri Yaad Ka Ek Khuwab Saja K To Dekh,

Main Bikhar Jaunga Char Su Khushion Ki Tarah,
Apnay Naam se Mera Naam Mila K To Dekh.

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:20 AM
Baton Baton May Bicharnay Ka Ishara Kar Kay,
Khud Bhi Roya Wo Hamsay Kinara Kar Kay,

Sochta Rehta Hun Tanhai May Anjam-E-Khulus,
Phir Usi Jurm-E-Dosti Ko Dubara Kar Kay,

Jagmaga Di hain Tere Shehr Ki Galiyan MainE,
Apnay Har Ashq Ko Palkon Pay Sitara Kar Kay,

Dekh Laitay Hain Chalo Hosla Apnay Dil Ka,
Aur Kuch Roz Tere Saath Guzara Kar Kay,

Aik Hi Seher May Rehna Hai Magar Milna Nahi,
Dekhtay Hain Ye Aziyat Bhi Gawara Kar Kay..

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:20 AM
Ishq Bekaar Mohabbat Barbaad
Shola-E-Dil Ki Hararat Barbaad

Main Usay Bhool Na Paaya Ab Tak
Saal-a-Saal Ki Mehnat Barbaad

Koi Sunta Hi Nahi Qissa-E-Dard
Harf Barbaad, Hikayat Barbaad

Wo Hai Naraz Abhi Tak Mujhsay
Minnat Zaaya, Samaajat Barbaad

Us Pay Khulta Hi Nahi Haal Mera
Saari Tashrih-O-Wazahat Barbaad

Kyun Barbaad Karay ga Wo Mujhko
Main Hoon Khud Apni Badolat barbaad

Ab Bhi hain Us Ki Gali K Phairay
Barish, Sang-E-Malamat Barbaad

Ab Bhi Aabad Hain Yadain Uski
Ehtamam-E-Gham-o-Furqat Barbaad

Be-Talab Usnay Talab Ki Poori
Ho Gaie Saari Ibaadat barbaad

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:20 AM
Chalo Aao Phir Kisi Din Mulaaqat Kar K Dekhain,

Beeti Hui Baaton Ko Phir Yaad Kar K Dekhain,

Kuch Gham Bhi Bhool Jayein Kuch Doorian Bhi Kam Hon,

Aik Shaam Aik Doojay k Naam Kar K Dekhain,

Jo Reh Gai Thin DiL Main Jo Tumko Thi Bataani,

Phir Milay Na Milay Mouqa Wo Baat Kar k Dekhain,

yun Baaton hi Baaton Main Wo Baat Bhi Ho Jaaye,

Jiss Baat Main Wo Baat Ho Wo Baat Kar K Dekhain..

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:21 AM
Wo muje se meri Udasyon ki waja pouchta hai
Kitna pagal hai Raat ke Sanatoon ki waja pouchat hai

Wo muje se mere Aansoo ki waja pouchta hai
Kitna pagal hai Barish ke Barasne ki waja pouchta hai

Wo muje se meri pasand pouchta hai
Kitna pagal hai khud apne hi bare main pouchta hai

Wo muje se meri wafa ki inteha pouchta hai
Kitna pagal hai Sahil pe khara Samander ki Gehrai pouchta hai

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:27 AM
Vadda nahin kerta ke sath nibha paoon ga main
Sath tere umer bher zindagi bita paoon ga main

Kya pata ab ke mosam ka kab rukh apna palte
Nahin pata mujhe kab bewafa ho jaoon ga main

Door hum bhi nahin hona chahte aap se mager
Kya pata kab ki baar fanna ho jaoon ga main

Tere liye sansein abhi tu sath de rahi hain
Maloom nahin kab mout ke pass chala jaon ga main

Abhi tu sath tere rehte hain hum saaye ki tarah
Nahin keh sakta kab tumhe tanha chor jaon ga main

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:28 AM
Sawaal Puche Jaye To Jawaab Nahin Milta
Waqt Se Maango To Hisaab Nahin Milta

Hansino Se Maango To, Piyaar Nahi Milta
Binaa Husn Ke Ishq Ka, Khiitaab Nahi Milta

Dil To Miltey Hai,dil-e-betaab Nahi Miltaa
Andhero Main Jo Nikley,vo Aaftaab Nahi Milta

Gam-e- Ishq Choopane Ko Nikaab Nahi Milta
Raat To Ho Jati Hai, Magar Khuwaab Nah Milta

Dost Mil Jaatey Hai, To Umair Nahi Milta
Anjaam Mil Jaatey Hai, To Aagaaz Nahi Milta

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:29 AM
BaNdh Lu hAth sE yA sEEny pr sAjaLun tUmkO,
G mE aAtA hy tAwiZ bAnaLuN tUmkO,

Phir tUmhAy sAnwArU tUmhAy bArhtA dEkhUn,
Q nA aNgAn mE chAmbeLi sA LagaLun tUmko,

JaisAy bALo mE chUnA kArtA hy ph0oL kOi,
GhAr k guLdAn mE phoLon sA LagaLun tUmko,

KiA ajAb khuAhiSiEn uThTi hAin mErAy DiL mE,
Kr k mAnAsA hAwAon mE uChaLun tUmk0,

Is kAdAr tOt kAr mUjhEy tUm pAr pyAAr aAtA hy,
ApNi bAhOn mE bhArU mAr hi daLu tUmk0,

KabHi khUabO ki tArhA aNkh k pArdy mE rAhO,
KabHi khUahiSh ki tArhA DiL mE buLaLun tUmk0,

Hy tUmhAry LiyE DiL mE kUch aKidAt aiSi,
ApnAy hAthO mE duAoN sA uThaLun tUmk0,

JؤaN dEnAy ki IjAzAt b nhi dEtAy hUmKo,
WؤrNa mAr jAuN abBi mAr k mAnaLun tUmKo,

JiS tArhA rAt k sEenAy mE hy mhtAb kA nO0r,
ApnAy DiL k mAkAn0 mE sAjALun tUmk0...

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:31 AM
Tumhein Khud Par To Qaabo Ho Sakta Hai...

Lakin,

Kiya Tum Hawaa Ko Thaam Sakti Ho?

Kiya Tum Mosmoon Se Bach Sakti Ho?

Kiya Tum Pholon Se Rangoon Se
Nazar Chura Sakti Ho?

Kiya Tum Rutoon Ko Badal Sakti Ho?

Kiya Tum Aag Ki Tapish Say Bach Sakti Ho?

Kiya Tum Chaandni Ke Husn Say Bach Sakti Ho?

Agar Tum Ye Sab Kar Sakti Ho,

Main Tum Say
Ehad Karta Hon Kay
Tum say
Muhabbat Karna Chhoorr Don Ga...!!!

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:31 AM
Kahin milay to
usey ye kehna

Main saray arman
jala chuka hon

Jo sholy bharke thy khwahisho k

Wo anson se
bujha chuka hon

Kahen mily to
usey ye kehna

K chaak daman ko
si raha hon
Bari he mushkil se
G rha hon

Dia jo nafrt ka
zehr tu ne
Samjh k amrat
main p raha hon

Kahin mily to
usey ye kehna

Wo jazbe mery
kuchal gaya hay

Jafa k sanchey mein dhal gaya hay

Na badley
mosam bhi itni jaldi


Wo jitni jaldi
Badal gaya hay

kahen miley to usey ye kehna.

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:32 AM
shaam ka wasl hon
ab kahi dhal jaonga!
kuch daer thehronga
es basti mey phir
door nikal jaonga!
meri khawahisho ki
tamanao ko dekh
ae dilbar!
tu nay samjha k
pholo say behel jaonga!
kaisi ki ae baywafa
baywafai tu nay!
koi aisi bat nai
rafta rafta sambhal
jaonga!
jo aag lagadi tu nay
meray seenay mey!
es aag ko andar he
samaye jal jaonga!
apnay laho say
taza karonga yadain
uski tofani!
uski yadain he dilmey
liye dunya say
nikal jaonga!

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:33 AM
Suna hai wo!mujy bhulany ki koshesh ma hai,
wo sari yadain metany ki koshesh ma hai,
jo kbi oski zindagi thin,wo aksar chandni raton mai,
mera hath tham kr kha krti the,
ye sunehri pal meri zindagi hein,
suna hai ye pal osko bhut sataty hain,
rulaty hein,
suna hai wo!ye pal bhulany ki koshesh mai hai,
isy ye koi keh dy,
jo log zindagi bn jaty hein,
wo bholny ki koshesh mai,
hamesha yad rhty hein.

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:33 AM
Hijr ki piyas may qatra b buht hota hai,
deed k wastay lamha b buht hota hai,
Jin k milny ki nahi dour tak koi ummeed,
un k kho jany ka khadsha b buht hota hai,
Tm agr pas nahi ho to koi bat nahi,
sirf ehsas ka dhoka b buht hota hai,
Jin pe hota hai buht maan'buht gehra maan,
wo badal jaen to sadma b buht hota hai,
Or phr khud hi palat aata hon may rastay say,
wrna chalne ka irada to buht hota hai,
Pas hota hon to chone nhi deti khud ko,
dur ho jaon to shikwa b buht hota hai,
Jin k kho janey pe kho jaty hain sb hosh-o-hawas,
un k mil jany ka nasha b buht hota hai,
Ab koi aur talab dil may nahi hai WASI,
ab teri yad ka saya b buht hota hai....

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:33 AM
Kash ye dil hota dhadkan na hoti,
na kisi k lye tarapta na isme jalan hoti.

Kash ye rat hoti magar neend na hoti,
na khwab me usko dekhta na hamein takleef hoti.

Kash k pani hota magar pyas na hoti,
na yun lub tarastey na piney ki aas hoti.

Kash k darya hota magar gehrai na hoti,
hum tair jatey agar ye sachai na hoti.

Kash ye rishtey hotey magar doori na hoti,
hum chor detey sub kuch agar ye majburi na hoti.

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:34 AM
Yaad aye gi wafaein jab tum ko jane jana,,,,
Roya karo ge tum bhi kar k koi bahana,,,,
pocha kare ga jab koi waja udas dil ki,,,,,
haas kar sunao ge tum par kar koi fasana,,,,
rotha karo ge jab kisi pyare ki baat par tum,,,,,
yaad aye ga wo tum ko hans kar tum ko mera manana,,,
apno ko zakham de kar gero pe jan lutana,,,,
sikha ya fan kaha se hum ko bhi kuch batana,,,,
yaad aye ga jab tum ko guzra howa zamana,,,
barbaad kar k dunia apne chahane walo ki me

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:34 AM
Masrof hain wo din raat unhain waqt kahan hai.

Wo hm se krain bat unhain waqt kahan hai.

Betab-i-a dil ka unhain andaza kahan.

Wo samjhain mera jazbat unhain waqt kahan hai.

Bholay se he wo pochnay a jaein mera haal.

Aaa gardish-e halaat unhain waqt kahan hai.

Es dil main sulagty howa sholon ko wo dakhain.

Aaa waqt-e mulaqat unhain waqt kahan.

Mojoon main tarapta hwa main doob raha houn

Thamein wo mera hath unhein waqt kahan hai.

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:35 AM
Bo0hat muddat k baad kal shabb,
Kitaab-e-maazi ko0 mein ne kho0la,
Bohat se Chehre nazar mein utrey,
Bo0hat se naamo0n pe dil paseja,
Ek aisa safha bhi us mein aaya,
Ke Jis ka unwaan tha
"Sirf Tum"
Likha hua tha Jo0 aansuo0n se,
Kuch aur aanso0 bhi us pe tapke,
Phir iss se aage main parh na paaya,
Kitaab-e-maazi ko0 band kar ke,
Tumhari Yaado0n mein kho0 gaya mein,
Agar tum milte to0 kaisa lagta...
Inhi khayaalo0n mein so0 gaya
mein...

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:36 AM
Khamoshi se bhikharna aa gaya hai,

Hamay ab khud ujarna aa gaya hai,

Kisi ko bewafa kehtay nahi hum,

Hamay bhi ab badalna aa gaya hai,

Kisi ki yaad main rotay nahi hum,

Hamay chup chap jalna aa gaya hai,

Gulabon ko tum apne paas hi rakho,

Hamay kanton pe chalna aa gaya hai...

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:38 AM
Ajab Sham Khari Hai Kahin Se Ajao,

Bari Udas Ghari Hai Kahin Se Ajao,

Kisi Se Milna Aur Mil k Bichar Jana,

Saza Ye Itni Bari Hai Kahin Se Ajao,

Bara Kathin Hai Ye Hijr Ka Mosam,

Judai Bol Pari Hai Kahin Se Ajao,

Zmana Jise Smjhta Hai Moteon Ki Chamak,

Wo Ansuon Ki Larri Ha Kahin Se Aa Jao..!!

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:38 AM
Dil to kehta hai zindagi ki kahani likhon,

Wo kahani mei such ki zubani likhon,


Apne jazbat ko mei sumandar likhon,

Apni sochon ko mojo ki rawani likhon,


Kabhi dil ki khushi ka muharak likhon,

Kabhi gham ko ankho se behta pani likhon,


Upke mananay ko uski mohbt likhon,

Apne routh jane ko apni nadani likhon,


Apni jaan ko uski aamanat likhon,

Uske naam apni ye zindagani likhon.....

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:39 AM
piyar ki raaho mey
bhi ye haadsa hojaega!
kia khabar thi wo
achanak he juda
hojaega!
hum jisay her roz
parhtay thay namazo
mey!
kia khabar thi ek
din humsay qaza hojaega!
baykhabar thay hijr
phirta hay wafa k
bhaes mey!
kia khabar thi sans
layna bhi saza hojaega!
aashqi ki rah mey
do din khushi k kaat kar!
kia khabar thi dil
dard say aashna hojaega!

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:40 AM
Bachpan k dukh kitne ache hote thay,,,
Tab dil nahi khilonay tota kerte thay,,,,,

Wo khushian bhi janay kaisi khushiyan thien,,,,,
Titli pakar ker uchla kerte thay,,,,,

Chotay thay to maqr-o-faraib b chotay thay,,,,,
Dana dal ker chiriyan pakra kerte thay,,,,,

Apne jal jane ka bhi ehsas na tha,,,,,
Jalte sholon ki taraf lapka karte thay,,,,,

Ab aik anso giray to ruswa ker deta ha,,,,,
Bachpan main to ji bhar k roya kerte thay,,,,,

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:42 AM
"Ek rat khwab me

Mainy dekha

Chand sey pucha

Chupkay sey

Aaj muje ek bat batao

Apny dil ka hal sunao

Kya ha koi aisa jo

Tum ko acha lagta ho

Apna apna lagta ho

Dil k pas jo basta ho

Chand ney apka naam liya

Mainy dil ko tham liya

Jab sey dekha ha ye sapna

Tab sey chand

Raqeeb ha apna.

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:42 AM
Mere sabr ka na le imthan,

Meri khamoshi ko sada na dy,

jo tery begair na je saky,

Usay jeny ki dua na dy,

Tu Aziz Dil-o-nazar se hai,

Tu qareb rag-o-jan se hai,

Mery jism-o-jan ka ye fasla,

Kahen waqt or barha na dy,

Tujy bhol ke na bhula sakon,

Tujy chah k b na pa sakon,

Meri hasraton ko shumar kar,

Meri chahaton ka sila na dy,

Tujy kbi mily ager fursaten

Meri sham phir se sanwar de,

yun JUDAiy0N ki sza na day...

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:43 AM
Kuch dur to mere Saath chalo,
Phir beshak raah badal lena...

Kuch pal to mere Saath jeo,
Phir beshak chah badal lena...

Kuch der to thamo mera haath,
Kuch der raho tum mere sath,

Yeh yaadein mujh ko tum de do,
Phir beshak rah badal lena...

Kandhe peh tere sir rakh loon,
Aankhon ko apni bund ker loon,

Palkon ki chilman girney do,
Phir beshak rah badal lena......

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:44 AM
Hm safar chor k na ja mujhay.
ja raha hai to yad na aa mujhay...
mujh say milna jo nahi tujh ko agar...
yeh yaqeen aa kar kabhi dila mujhay...
mujh ko jalta dekh na pai ga tu...
lamha lamha u b na jala mujhay...
thaam kar meray hathon ko keh daina...
may tera nahi tu bhool ga mujhay...
may kahan tak samaintun ga inhain...
khawb itnay na dikha mujhay...
roop rung mai bas jaon .....
is trhan sanson mai basa mujhay...

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:44 AM
Mousam ka tqaza b hai mil jao zra aa kr,
Ek bar Tumhy dekhain Dil ka b erada hai..

Fasla to hai mgr fasla nhi,
Mujh se Tum juda sahe Dil se Tu juda nhi..

Hr pal Tu khushbu me khilay,
Mehkain sda dn rat Tere,
Khud ko kbhi tanha mt samjhna,
Meri dua hai sath Tere..

Udaas is qder thay k soay nhi raat bhr,
Palkon se likh rhay thay Tera naam chand pr..

APP thehry hain aa k ankhoon me,
Neend se keh do intezar kray...

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:45 AM
Hum nazuk nazuk dil walay bs aisay he to hoty hain,

kbhe hasty hain kbhe roty hain,

kbhe dil main khawab pirotay hain,

kbhe mehfil mehfil phirtay hain,

kbhe zat main tanha hoty hain,

kbhe chup ke mohar sajaty hain,

kbhe geet labon par latay hain,

kbhe sab ka dil bhelaty hain,

kbhe khud main tanha hotay hain,

kbhe shab bhar jaagtay rehty hain,

kbhe lambi taan k soty hain,

hum nazuk nazuk dil walay

bus...

Kuch aisay he to hotay hain.....

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:45 AM
Hum Tujh Se Shoq-E-Molaqat Nahi Rakhte,

Magar...

Mile Koi Aur tujh Se Ye Acha Nahi Lagta,

Hum tujhe Chahate Bhi Nahi Hain,

Magar...

Chahe Koi Aur tujhe Ye Acha Nahi Lagta,

Tere Kafle Main Chalne Ki Arzo Nahi,

Magar...

Chale Koi Aur Sath tere Ye Acha Nahi Lagta,

Didar tera Itna Pasand Nahi Humain,

Magar...

Dekhe Koi Aur tujhy ye acha nahi lagta....

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:51 AM
Sawal yeh nahin taron main roshni kyun hai,
Sawal yeh hai kay tareek zindagi kyun hai...?

Sawal yeh nahin kyun dukh kay silsilay hain daraaz,
Sawal yeh hai k itni si ye kushi kyun hai...?

Sawal yeh nahin awargi hai mera mizaj,
Sawal yeh hai mujhay raat dhundti kyun hai...?

Sawal ye nahin darpaish maslay hain bohat,
Sawal ye hay mujhay in ki aagahi kyun hai...?

Sawal ye nahin kis ko pukarta hun main,
Sawal ye hay k awaaz guunjti kiun hai....?

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:51 AM
Mohabat ka guman hota bohat hai,
Ke ab ye lafz bhi ruswa bohat hai,

Udasi ka sabab main kiya btaon,
Gali kuchon main sannata bohat hai,

Na milnay ki Kasam kha k bhe main ne,
Tujhay har raah main dhoonda bohat hai,

Ye aankhain aur kiya dekhain kisi ko,
In aankhon ne tujhay dekha bohat hai,

Najany kyon bacha rakhay hain aansoo,
Abhi shayad mujhay rona bohat hai,

Tujhay malum to ho ga meri jaan,
Tujhay is na cheez ne chaha bohat hai....

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:52 AM
Chale wo kadam-kadam jo saath mere,
To uske sath se pyar ho jaye...

Thame jo pyar se haath mera,
To apne haath se pyar ho jaye...

Jis raat aye khwabon me vo,
Us suhani raat se pyar ho jayE...

Jis baat me aye zikr uska,
To usi baat se pyar ho jaye...

Jab pukare pyar se naam mera,
To apne hi naam se pyar ho jayE,

Hota hai itna khubsurat ye pyar agr,
To kash use bhi mere pyar se pyar ho jaye.....!

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:52 AM
Barsoon K Intizaar Ka Anjaam Likh Dia...

Kaagaz Pay Shaam kaat K Phir Shaam likh dia....

Bikhri Pari thi Toot K Kaliyaan Zameen Per...

Tarteeb day k Mein nay Tera Naam likh Dia...

Asaan Nai thi Tark-E-Mohabbat ki Dastaan...

Jo Ansoon Nay Aakhri Paigam Likh Dia...

Allah! Zindagi say Kahan tak Nibhaaon Mein...

Kis Bewafa kay Sath Mera Naam likh dia...

Taqseem ho Rahi thi Khudai ki Naimatein...

Ek Ishq Bach Gaya so Mere Naam Likh dia...!!!

ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 08:53 AM
Tum ko malom bhi shaid kabhi ho k na ho,
Meri raten teri yadon se hari rhti hen,
Meri saansen teri khushbu me basi rehti hen,
Meri ankhon me tera sapna saja rehta hai,
Mere dil me tera aks bana rehta hai.
Tum ko malom b shaid kabhi ho k na ho,
Meray angan me lage phool gvahi den ge,
Mene arsay se kisi phool ko dekha b nhi,
Tujh ko socha hai to phir tujh ko hi socha hai faqat,
Teray siwa kisi or ko socha hi nhi,
Tum ko malom b shaid kabhi ho k na ho....

safa
02-25-2009, 05:52 PM
very nice

!«╬Ĵamil Malik╬«!
02-26-2009, 07:23 PM
kya baat hai yar

Hani
02-26-2009, 08:15 PM
v.nice

ShahTaJ
02-26-2009, 08:22 PM
very nice collection

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 04:13 AM
very nice


Thanks

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 04:13 AM
kya baat hai yar


Thanks

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 04:13 AM
v.nice

Thanks

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 04:14 AM
very nice collection

ahan.... Thanks

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:04 AM
Aisa Nahi Kay Hum Ko Mohabbat Nahi Mili
Haan Jasisi Chahtay Thay Woh Qarb Nahi Mili

Milnay Ko Zindaagi Main Kai Hum Safar Hai
LIkin Tabyaton Say Tabyat Nahi Mili

Chehron Kay Har HazOOm Main Hum Dondtay Rahay
Soorat Ko Nahi Mili Kahin Seerat Ko Nahi Mili

Woh Yek Beik Mila Tu Bhout Deir Tak Humain
Alfaz Dondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili

Uss Ko Gila RAha Kay Towaja Na Di Ussay
LIkin Humain Khud Apni Rafaqat NAhi Mili

Har Shaqs Zindagi Main Bhout Durr Say Mila
Koi Bhi Chiz Hasb-e-Zarorat Nahi Mili

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:04 AM
Anjana Musafir

Betha tha neem ki chaaoun main ek shaam
Ek pari aayee aur kaha kay aarzoo kiya hai
Kaha kay aankh num hai dil jall raha hai
Bas! ek meethi si khushbo-e-Hina hai
Kehti hai `MUSAFIR` yeh khushbo kiya hai
Kaha kay pagli! sirf ek khayal hai bas
Masoom lafzoon main chupi ek tasveer ayaan hai
Poochti hai Musafir! yeh jadoo kiya hai
Kaha kay Har Nazar na aanay waali cheez jadoo hai
Masoom! poochti hai tumhain aakhir justujoo kiya hai
Kaha kay usay pana mayri khwahish nahin,
Usay mehsoos karna mayri justujoo hai
Ab tum bhi lout jaao pari
Sooraj bhi ghar ko chal diya hai…

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:05 AM
Bass Itna Kehna

Mujhe bass itna kehna hai, kabhi main yaad aoon to
Kabhi tanhayee ki raatain, tumhai zyada satayen to
Kabhi titli na bole to, aur jugnu lot jaye to
Kabhi jab dil bhi bhar jaye, Koi jab sun na paye to
Kabhi sab dost saathi bhi jo tum se rooth jayen to
Kabhi jab khud se lad ker thakan se chur ho jao to
Kabhi chahte huwe bhi khud akele roo na pao to
Apni aankhon ko band kerna mujhe awaz de dena
Phir mere tasawwur se jo chahai baatain keh dena
Mere kandhe per sir rakh ker tum jitna chahe ro lena
Jab main khud lout jaon to apni dunya chale jana
Magar bass itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khusyoon main
Humain dil se pukaro ge
Humain tum saath pao ge.

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:05 AM
Apne haatho se

apne haatho se u chehre ko chupate q ho,
mujh se sharmate ho tou saamne atay q ho…

tum kabhi mere tarha kar bhi lo ikraar-e-wafa,
pyar karte ho tou phir pyar chupate q ho…

ashq aankho mei mere dekh k rote q ho,
dil bhar aata hai to phir dil ko dukhate q ho…

in se vaabasta hai jab mera muqadar phir tum,
mere shano se ye zulf hatatay q ho…

roz mar mar k mujhe jeenay ko kehte q ho,
milne aatay ho to phir laut k jatay q ho…

apne haatho se u chehre ko chupate q ho,
mujh se sharmate ho tou saamne atay q ho…

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:24 AM
hum ko toh muskuraney ki adat si hai
ansoo ko chupaney ki adat si hai

doua na hi doua kaam karti hai hum par
ab toh zakham khaney ki adat si hai

sub kehtey hein gham se koi rishta nhin humara
kya karein mehfil mein ganey ki adat si hai

zor nhin chalta kyun ke bebas hein hum
iss bebasi mein dil ko rulaney ki adat si hai

raat guzarti hai humari tanhai ke saath
tanhai ko sun jaganey ki adat si hai

mar jaoon toh mere moonh par kafaun daley rakhna
zamaney se moonh chupaney ki adat si hai

ajj hein toh kal wo log nhin rehtey
logoon ko yahan aney janey ki adat si hai!!

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:25 AM
taluk torta hoon to mukamal tor deta hoon
jise me chordeta hoon mukamal chordeta hoon

muhabat ho ke nafrat ho, bhara rehta hoon shidat se
jidhar se aye ye darya, udhar hi mor deta hoon

yakein rakhta nahi hoon mein kisi kache taluk par
jo dhaga tootne wala ho us ko tordeta hoon

mere dekhe howe sapne kahein lehrein na lejaein
gharondey reet ke tameer kar ke chordeta hoon

hai ab tak wahi bachpan, wahi takhreebkari hey
kafas ko tor deta hoon, parindey chor deta hoon

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:25 AM
dil jo toota to ye khayal aya
ishq mein hum ne kya sila paya

waqt apna ho toh hotey hein sabi apney
chor jata hai boorey waqt mein apna saya

bastey the kabi ankh mein khwaboon ki tarah jo
mein ajj un lamhoon ko ansoo mein baha aya

ajj mujh ko wo udaas bahot maloom houa
ajj mein mushkil se sher keh apya

meri sansoon mein basa tha khushbu ki tarah
wo jisey mein chah ke be na bhoola paya

zindagi khatam houi jati hai
Aai Khuda..Main tujhay iss waqt yaad aaya...!!

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:26 AM
hai agarche shehar mein apni shanasai bahot
phir be rehta hia humein ehsaas_e_tanhai

ab yehi socha hai ke apni zaat mein simtey rahein
hum ne kar ke dekh li sub se shanasai bahot

moonh choopa kar asteen mein der tak rotey rahe
raat dhalti chandni mein oss ki yaad ayi bahot

qatra qatra ashq_e_gham ankhoon se akhir be gaye
hum ne palkoon ki unein zanjeer pehnai bahot

apna saya be juda lagta hai apni zaat se
hum ne iss dil se laganey ki saza pai bahot

ab to seel_e_dard tham jaye sakhoon dil ko miley
zakham_e_dil mein aa chali hai gehrai bahot!!

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:26 AM
bichar k mujh se kabhi tu ne ye bhi socha hai
adhura chand bhi kitna udas lagta hai

ye wasl ka lamha hai ise rayegan na samajh
k is k bad wahi duriyon ka sahara hai

kuch aur der na jharta udasiyon ka shajar
kise khabar tere saye main kaun baitha hai

ye rakh-rakhao muhabbat sikha gai us ko
wo ruth kar bhi mujhe muskura k milta hai

main kis tarah tujhe dekhun nazar jhijhakti hai
tera badan hai k ye ainon ka dariya hai

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:27 AM
Pal bhar mein tamam umer ki sochein badal jati hain
jin rahon per chaltey hain wohi, rahein badal jati hain

karney ko kia nahi kartey log muhabbat mein
sirf hamarey liye hi kyun? rasmein badal jati hain

woh aisa hai k us ka naam sunney k tasawwur say hi
hamari tamaam tar sAatein badal jati hain

sochti hoon jane kaise? kah paoon ghi main us say
milti hoon to dil ki sari batein badal jati hain

chahe "Manzil" "Dushwar" ho aur "Duur" bhi
humsafer us jaisa ho to musaftein badal jati hain

yun to "Raat" ka alam haseen hota hai, madhosh bhi
magar"chand" dekhoon to meri ratein badal jati hain

mat chaho, k mujhe aadat nahi itna chahne walon ki
yeh na ho log kahein, jald hi adatein badal jati hain

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:28 AM
mosum ki tarah janey kyun kuch log badal gaye
ab sarey mosum dil ke janey kyun khizan ho gaye

ajeeb se dasht_o_sehra mein bhatak rahe hein hum
seraab ho ke samundar se janey kyun pyasey ho gaye

jalti houi rait mein nangey paoon chaltein hein ab toh hum
tapti houi dhoop mein janey kyub besaibaan ho gaye

bar mudat ke baad ik roshni ki chamak joh mil thi humein
wo chandi ki roshni wo tarey sub janey kyun andhera ho gaye

meri mohabat ko na karey ga shumaar wo kabi apni zindagi mein
hum oss ajnabi ke pyar mein janey kyun dewaney ho gaye

koi malal na koi yaad baqi rahi hai ab dil mein humarey
oss ko tamam yadein lota kar janey kyun jaan se gaye

guzrey dinoon ki chand yadoon ko be ajj hum ne dafun kar diya
aur sub kuch bhoola kar hum bi janey kyun ajnabi ho gaye

humein ab na pukarna phir se ae dosto kabi
iss bewafa duniya mein reh kar janey kyun hum be bewafa ho gaye

bahaar phir se na ayegi ab iss ujrey houey chaman mein
phuloon ke khilney ke janey kyun wo sarey mosum beet gaye!!

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:28 AM
wo khwab tha bikhar gaya khayal tha mila nhin
magar ai dil ko kya houa kyun bujh gaya pata nhin

har ik din udaas tamam shub udasiyan
kissi se kya bichar gaye ke jesey kuch bacah nhin

wo saath tha to manzilein nazar nazar chiraag thiin
qadam qadam safar mein ab koi be lub doua nhin

hum apney iss mizaaj mein kahin be ghar na ho sakey
kissi se hum miley nhin kissi se dil mila nhin

hai shor sa har ta raf ke sarhadoon ki jung mein
zameen pe admi nhin falak pe kya khuda nhin!!

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:29 AM
Apni Ankhon mein Basakar tujh ko
Teri Ankhon mein Khud ko pana chahte hain

Duriyon ka Ehsas na ho zara bhi
Aise hum tujh mein Samana chahte hain

Bekhudi kuch toh kam ho meri Sanson mein
Madhosh teri Sanson ko Thamna chahte hain

Khamosh Fasana Apne Dil ka
Unke Lafzon mein Sunana chahte hain

Kitne kareeb wo Khushnaseeb Pal hain "****"
Yakeen aise Manzar ka khud ko Dilana chahte hain

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:31 AM
Tujhay ishq ho Khuda karay………..
Koi tuj ko us say juda karay
Teray hont hansna bhool jayain
Teri aankh purnam raha karay
Too Usi ki batain kia karay
Too Usi ki batain suna karay
Tujhay hijr ki woh jhari lagay
Too Milan ki har pal dua karay
Too nagar nagar phira karay
Too gali gali sada karay
Tujhay ISHQ ho phir Yaqeen ho
Ussay Tasbeehon pay parha karay
Main kahoon ishq dhong hay
Too nahin nahin kaha karay

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:32 AM
tum bhi Khafaa ho log bhii beraham hain dosto
ab ho chalaa yaqiin ke bure ham hai.n dosto

kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa kare.n
aaNkhen to dushmanon kii bhii pur_nam hain dosto

apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise
apanii talaash me.n to ham hii ham hain dosto

kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa
kuchh shahar ke chiraaG bhii maddham hain dosto

is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
ab dil kii raunaqen bhii koii dam hain dosto

sab kuchh sahii 'Faraz' par itanaa zaruur hai
duniyaa mein aise log bahut kam hain dosto

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:32 AM
Sham Dhaltey Hi Chiraghon Ko Jala Layta Hoon
Yun Teri Yaad Main Her Roz Mana Layta Hoon

Tasavraat Ki Mehfil Main Saja Ker Akser
Teray Aany Ka Jashan Main Khud Hi Mana Layta Hoon

Jab Kabhi Peeta Hoon Gham-e-Doran Ka Main Paymana
Teri Tasveer Nighaon Main Sajja Layta Hoon

Khuda Karey Koi Ruswa Na Ho Muhabbat Main Kabhi
Akser Is Dua Pay Hathoon Ko Utha Layta Hoon

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.