Log in

View Full Version : MuNdA's Collection


Pages : [1] 2 3 4 5 6 7

ShArArTi MuNdA
11-03-2008, 11:50 PM
Hey guys i thought to make a thread of my own where i will post all poetry of ma collection so if u guys want u can leave ur comments and suggestions in here as well....Thanks


Gaye mausamon ki khabar nahi, naye mausamon ka pataa nahi
Wo mere sheher se chalaa gaya kisi gul ne mujh se kahaa nahi

Yehi soch kar meri aankh se kabhi koi ashk bahaa nahi
Rahe aankh mein hai wohi ghattaa, jo baras gaee wo ghattaa nahi

Is dil mein aas ka ik dia, wo gaya to ham ne jalaa lia
Wo dia jo dil mein udaasiyon bhari aandhiyon se bujhaa nahi

Main charaagh sa hoon bujhaa bujhaa, shab-e-hijr teerah-o-taar hai
Main ne khud chuni hai ye teergi mujhe us se koi gilaa nahi

Mutawaqqo hijr k sog mein hi guzar na jaoon main jaan se
Mujhe koi de ye khabar k haan wo gayaa nahi, wo gayaa nahi


" Dil Haar Gaya "

Kehne ko wo pehli chaahat thi
Wo jis mein junoo(n) tha, shiddat thi
Paakeeza thi, anmol thi wo
Khaabon k jahaa(n) ki ulfat thi
Mehboob ko bhi ma'loom na tha
Aaisi khaamosh mohabbat thi
Khaamosh rahi be-kaar hui
Na jeet hui na haar hui
Phir waqt ne apni chaal chali
Wo furqat se do-chaar hui
Kaisi khaamosh mohabbat thi
Gulzaar se phir wo khaar hui
Furqat se junoo(n) mein aag lagi
Is dil k sukoo(n) mein aag lagi
Ashkon ki larri aankhon se bandhi
Is jism k khoo(n) mein aag lagi
Phir waqt ne apni chaal chali
Dil se wo khumaar-e-preet gaya
Honton se wafa ka geet gaya
Kehne ko wo pehli chaahat thi
Us ka bhi zamaana beet gaya
Hijraa(n) ki shabon se larr larr kar
Dil haar gaya, gham jeet gaya .



Tum ko to ma'loom hi hoga zamaane ka chalan !
"Jaane waale ko bhulaana", ham bhi seekhein ge ye fan !

Qais ka qissa ho ya meri wafa ki daastaa(n)
Ishq ki shidat wohi hai, shehr ho chaahe ho ban

Wo bechaara bhi amaawas ki shabon mein bujh gaya
Chaand, jo khud ko kaha karta tha, "main hoon shab-shikan"

Zindagi k aakhri ayyaam, yaadon k azaab
Aur barrh jaati hai yaaro umr-e-rafta ki thakan !

Larrkiyon ki zindagi mein hai hi kya is k siva !
Chand sapne, chand dhoke aur nazron ki chubhan !



"Harjaai"

Jab usey nigaahon ne
Pehli baar dekha tha,
Us se guftgu ki thi
Dil ko us ki soorat ne
Apni or kheincha tha
Phir ehed mohabbat ka
Main ne us se baandha tha
Jab wo narm lehje mein
Dil ki be-qaraari ki,
Neend se bicharrne ki,
Muntazir nigaahon ki,
Karvattein badalne ki
Daastaa(n) sunaata tha
Aarzu ye hoti thi
Hashr tak ki fursat ho,
Dard-e-dil ki baatein hon,
Us ka narm lehja ho
Aur meri samaa'at ho
Haan magar samaa'at ko
Us ki is kahaani se
Ab nahi hai dilchasbi
Kiyun k aaj kal dil ko
Aik aur soorat ka
Bhol-pan bulaata hai
Dharrkanein barrhaata hai
Aur udhar wo be-chaara
Ab bhi apne seene mein
Pyaar ka dia le kar
Be-qaraar phirta hai
Ab kabhi jo milne ko
Wo mujhe bulaata hai
Sochti hoon ukta k
"Phir wohi mohabbat ki
Raagni sunaaye ga,
Phir mujhe bataaye ga
Intezaar kitna tha"



YooN to milte hain jahaN mein kaee iqsaam k phool
Aap se ham ne sada paye hain dushnaam k phool

Bheij dein ab to mohabat bhare paighaam k phool !
Zard hone se bacha lein dil-e-nakaam k phool !

Ishq ka jurm hai kaisa k mehek uTTha hooN
Haar ban kar hain gale mein kisi ilzaam k phool

Bakhsh de eik nazar inko to khil jayeN ge.....!!!
Raah mein kabse khaRa huN main teri, thaam k phool

Dekh kar us se gul-andaam ko jaana, kya hain
Baagh k paas to hote hain faqat naam k phool

Shauq aankhoN ko masalne ka unhein hai kitna
Gul bicHaye to kaha, "ye bhala kis kaam k phool"

Kya ajab fan hai ye ash'aar ka likhna *******
Ranj k, dard k sehraaoN mein ilhaam k phool

ShahTaJ
11-04-2008, 12:30 AM
nice collection

Humaila
11-04-2008, 01:05 AM
Zabardast.. :=)..
Thanks4sharing..

ShArArTi MuNdA
11-04-2008, 02:49 AM
nice collection

Thanks ShahTaj jeee

ShArArTi MuNdA
11-04-2008, 02:49 AM
Zabardast.. :=)..
Thanks4sharing..

Thanks humaila jee

ShArArTi MuNdA
11-04-2008, 12:30 PM
" Khwaahish "

Aaise TooT k baadal barsa
Saawan rut ka
Zarra zarra bheeg chuka hai
Lekin mann k banjar ban mein
Dhool uRaati
Loo chalti hai
ArmaanoN k bargad aaise
Sulag rahe hain,
Mann se tan tak
In ka dhuwaaN phail raha hai
Aaisi rut mein
Bas ye khwaahish be-kal kar de,
Is se pehle
Is dhuwwein mein, dhool mein mera
Dam gHuT jaaye,
Is se pehle
Ye sab mujh ko paagal kar de,
Aa mujh ko bhi jal thal kar de....!!!

ShArArTi MuNdA
11-04-2008, 12:32 PM
Ghazal yooN to baRi acHi bana di
Haqeeqat ista'aaroN mein cHupa di

JunooN ne zindagi karni sikha di
Jo mushkil raah mein aaee, haTa di

Jise bhi aag andar ki dikha di
Bujhana ik taraf, us ne hawa di

Tujhe khudse hamesha door samjha
Tujhe har moR par ham ne sada di

HawaaoN se thi utri pind-e-waaiz
Suni, sun kar hawaaoN mein uRa di

Ye baaghi nafs jaisa de k us ne
Idhar iblees ki pakh bhi laga di

Mere rone pe ik muskaan us ne
Laga, jaise ba-taur-e-khooN-baha di

Bhala maazi se kya lena hai mujhko
Magar "maazi" ne ye "haalat" bana di

Mohabbat ki to ki jaise ibaadat
Nazar Daali to yooN jaise rida di

Khafa kitnoN ko ******* kar dia hai
Ghazal yooN to baRi acHi bana di !!

ShArArTi MuNdA
11-04-2008, 12:34 PM
Wo meri aankhoN ko eik sapna dikha gaya hai
Wo mere dil ko udaas rehna sikha gaya hai

Bohat c raatoN k baad utre gi ye khumaari
K apni aankhoN se mai wo ham ko pila gaya hai

Kise hai fursat k taan-e-barbat ko sun k jhoome
Ye us ka haNsna to kaee naghme jaga gaya hai

K uski zulfoN se ho gaee hain ghaTaayeN haasid
K mauj-e-darya ko us ka chalna jala gaya hai

Wo subh-e-raushan, naseem-e-gulshan, lateef shabnam
Sahar k taara payaam us ka suna gaya hai

ShArArTi MuNdA
11-04-2008, 12:35 PM
" Khaali-Pan "

Likhne baiTh gaya huN
Aur ye soch raha huN
Likhna kya hai
Jazbe ghaR looN
GhaR k likh looN koi kahaani
Koi kahaani pehli deed ki
Pehli deed k ishq junuN ki koi kahaani
Koi kahaani khaamoshi ki
Tanhaai ki koi kahaani
Koi kahaani ana k ooNche meenaaroN ki koi kahaani
Chand adu ki baatein,
Chaarah-gar k shikwe
Aur ba-naam-e-qurb rafu ki koi kahaani
Koi kahaani gham-e-jahaN ki,
Majboori ki koi kahaani
Koi kahaani kehte kehte
Dil k gham ko sehte sehte
Be-his patthar ho jaane ki koi kahaani
Koi kahaani mann k khaali-pan mein ghaRne baiTh gaya huN
Koi kahaani
Likhne baiTh gaya huN
Aur ye soch raha huN
Likhna kya hai
Aaj chalo main ye uljhan bhi likh deta huN
Sab likha, ab khaali-pan bhi likh deta huN

ShArArTi MuNdA
11-04-2008, 12:38 PM
Husn par marna to is dil ki zaroorat ho gaya
Pehle aadat tha par ab jaise tabeeat ho gaya

Kaar-e-dunia se ye jaaN pehle hi sad-mushkil mein thi
Is pe un ka dekhna dil ki museebat ho gaya

Ishq ka hona, k tha barbaadiyoN ki ik naveed
Aaise kaar-aamad hua, saamaan-e-fursat ho gaya

Bach gaya jo koi cheerah-dastiyoN se waqt ki
Wo yahaN qurbaN-ba-paa-e-ehl-e-sarvat ho gaya

Ham ko jeevan to dia par kaam itne de diye
AcHa khaasa waqt tha "do din ki mohlat" ho gaya

Sang they khalwat mein wo aur ye dua thi kucH na ho
Kuch na karte karte bhi kufraan-e-ne'mat ho gaya

She'r kehna wo bhi ******* jaise kam-aagaah ka !!
Ittefaaqan zariya-e-izhaar-e-fitrat ho gaya

Diwa
11-04-2008, 01:09 PM
Da good work keep it up.

Nida-H
11-04-2008, 01:28 PM
very nice..

! HEER
11-04-2008, 02:31 PM
wow nice munna well done

ShahTaJ
11-04-2008, 05:01 PM
nice

Hani
11-04-2008, 06:56 PM
nice

ShArArTi MuNdA
11-05-2008, 11:56 PM
Da good work keep it up.

Thanks Diwani jiii

ShArArTi MuNdA
11-05-2008, 11:56 PM
very nice..

Thanks Ruby

ShArArTi MuNdA
11-05-2008, 11:57 PM
wow nice munna well done

Thanks Heer Jee

ShArArTi MuNdA
11-05-2008, 11:57 PM
nice

Thanks ShahTaj JEee

ShArArTi MuNdA
11-05-2008, 11:58 PM
nice

Thanks Hani jiii

ShArArTi MuNdA
11-06-2008, 12:00 AM
Ishq mera daastaan-e-shamma o parvaana tha
Vasl ko ye jeet samjha, dil bhi ik deewaana tha

Wo nazar k paas tha to ye haqeeqat-na-shanaas,
Hijr se na-aashna dil, be-khud o mastaana tha

Har luTeira morid-e-ilzaam Thehraaya gaya
Jab k khud saaqi yahaaN ghaarat-gar-e-mai-khaana tha

Dil dayaar-e-yaar hai to dil gul o gulzaar hai
Dil-nasheeN jab tu na tha ye dil na tha veeraana tha

Dard ki shiddat bayaaN to main kiye deta magar
Haasil-e-qaamoos koi lafz gham-paimaa __ na tha

Ishq mera sar-ba-sehra, dil mera paa-ba-rasan
Dasht tha itraaf mein, dil taalib-e-kaashaana tha

Jism jaise be-nafas ho yaa dil-e-be-ishq ho
Baat to hai eik hi k mai na thi, paimaana tha

ShArArTi MuNdA
11-06-2008, 12:01 AM
Wehshat mein kiyuN cHoR raha hai paagal ! ghar
Ishq mein to khud ho jaata hai jangal, ghar

Kab hai waisi ThanDak is mein par phir bhi
Yaad dila deta hai tayra aaNchal ghar

Phir kehta hooN pagli ! rasta takna mat
Nikal paRein to kab aate hain baadal ghar !

Kya pardeis mein itni zyaada raunaq hai !
Kya ho jaata hai aankhoN se ojhal ghar !

LafzoN mein bhi maayoosi ki kaalak hai
Dil jalta hai, seena ban gaya kaajal--ghar

Tum na ho to ik dunia ka saamaaN heich
Tum ho ge to hoga yaar mukammal ghar

YooN na ho k shaamil ho jaye bhooloN mein
Shaam hui jaati hai ******* ! chal chal ghar

ShArArTi MuNdA
11-06-2008, 12:04 AM
Karam be-daad jaisa ho bhale sayyaad jaisa ho
Bandhe hain zulf se ham ab sitam, eejaad, jaisa ho

Wafa k dam pe ham ko mom karne ka wohi soche
Wo jis ka hausla kucH aahan o faulaad jaisa ho

HaseeN khwaaboN ki jannat to bana li tu ne aai aashiq !
KahiN anjaam par tera bhi na Shaddaad jaisa ho !

Jo aa jaaye to ham ko cHoR kar na phir kabhi jaaye
Khudaaya ! kaash k dilbar bhi apni yaad jaisa ho

Kise parvaa hai apni zindagi ki, aaj ki, kal ki !
Mohabbat ho gaee yaaro ! ab is k baad jaisa ho

Aai koh-e-zeest tujh ko kaaTna phir kaisa mushkil hai !
Agar ho haath mein teisha, jigar Farhaad jaisa ho

Nawaazein pyaar ya talvaar, sar hai aap k dar par !
Ab is k baad jaanaaN aap ka irshaad jaisa ho !

Wohi ******** teri mehfil k logoN mein, sanam ! ho ga
Wohi, jis ki haNsi ka rang bhi faryaad jaisa ho

ShArArTi MuNdA
11-06-2008, 12:07 AM
Dil they magar suraagh-e-haraarat koi na tha
Baatein bohat theeN, harf-e-sadaaqat koi na tha

Chaarah-gari k fan ki numaaish-gari to thi
Par zakhm yaaN baraaye jaraahat koi na tha

Likkha sach ik ne shaah k baare mein aur phir
Poore sheher mein haath salaamat koi na tha

Umraa se bair jin ko raha, doghle they sab
Un mein kabhi khilaaf-e-amaarat koi na tha

Ik jaaN ba-juz, anaaj ki qeemat na thi koi
Ik zar ba-juz, mayaar-e-adaalat koi na tha

Muta'assireen-e-ishq they, baiThe they khud mein gum
Aur kaam ham ko hasb-e-rivaayat koi na tha

******* ! jo mar rahe hain to apni hi maut ham
Ham they hamaari wajh-e-halaakat, koi na tha

ShArArTi MuNdA
11-06-2008, 12:09 AM
Sachi adaalatoN ki kahaani bhi jhooT hai
Sab qaatiloN ki aaNkh ka paani bhi jhooT hai

YaaroN ki do-rukhi ka abas gham ho jaan par!
Hai waqt wo k dushman-e-jaani bhi jhooT hai

Afraat-e-zar ki kohna kahaani jo khaam thi
Phir jins ki ye taaza giraani bhi jhooT hai

Ye daagh eik lafz hai, marham bhi eik lafz
Chaara-gari bhi, zakhm-e-nehaani bhi jhooT hai

Harza-saraai hain ye mohabbat k mo'jizey
Ulfat naee bhi makr, puraani bhi jhooT hai

Hai maut maut, is mein koi dil-kashi nahi
Yaaro! nigaar-khaana-e-Faani* bhi jhooT hai

Is barf-zaar-e-dil mein ugaate ho she'r tum!
******* tumhaari sho'la-bayaani bhi jhooT hai

Humaila
11-06-2008, 12:13 AM
great sharing .. Naughty..

ShArArTi MuNdA
11-06-2008, 01:46 AM
Thanks Humaila Jeee

ShahTaJ
11-06-2008, 04:24 AM
nice sharing
keep it up

ShArArTi MuNdA
11-06-2008, 09:47 AM
Thanks

ShArArTi MuNdA
11-06-2008, 11:53 PM
Hua mushkil ye dard-e-dil cHupaana
So ab cHoRo mujhe tum aazmaana !

Jo tum bhoole se dekho aasmaaN ko
Sitaare bhool jaayeN jagmagaana

Hai itna farq kaaghaz aur dil mein
Hai aasaaN ik pe likkhe ko miTaana

Zara Allaah se ab lau laga lein.....
Hua hai ishq-e-jananaaN puraana

HueeN kab mom deewaarein k in ko
Gaya be-kaar dard-e-dil sunaana

Shanaasa hona hoga aandhiyoN se
Charaagh-e-aas dil mein mat jalaana !

Jinhein is dil ki gehraai se chaaho
To bas laazim hai un pe door jaan

ShArArTi MuNdA
11-06-2008, 11:56 PM
" MaaN Bhi Kitni Saada Hai... "

Aaj eik beTe ne
Pehli pehli baar apni
MaaN se jhooT bola hai
MaaN bhi kitni saada hai
Hai usey yaqeeN kitna,
" Wo jo us ka beTa hai
Hargiz us k aage wo
JhooT keh nahi sakta "
HaaN magar wo kya jaane
Jab zara zara, beTe ba-shaoor ho jaayeN
MaaoN se wo kucH baatein
Phir cHupaane lagte hain
Aur ba'z baatoN mein
JhooT bol jaate hain
HaaN magar wo kya jaane
MaaN bhi kitni saada hai
Aur jo us ka beTa hai
Us se jhooT keh kar ab
Gham-zada sa hai kiyuN k
Aaj pehli baar us ne
MaaN se jhooT bola hai
HaaN magar jab aaise hi
JhooT baar-ha bola
To phir us k andar se
Ranj miTta jaaye ga
Aur jhooT kehne ka
KucH bhi gham nahi hoga
Par jo eik jhooT us ka
MaaN k saamne aaya
To wo kitna roye gi
Aur phir ye soche gi,
" Us k pyaar mein aakhir
Kaun c kami aaee
Ab jo us k beTe ne
Pehlki baar jeevan mein
Us se jhooT bola hai "
MaaN bhi kitni saada hai
Eik jhooT beTe ka
Us k saamne aaye
To wo ye samajhti hai,
" Aaj us k beTe ne
Pehla jhooT bola hai "
HaaN magar wo kya jaane
MaaN to itni saadda hai....

ShArArTi MuNdA
11-06-2008, 11:57 PM
Aaj wo phir mujhe bulaata hai
Roz hee dil jise bhulaata hai

Hosh maazi se kis tarha lauTe!
Waqt yaadoN ki mai pilaata hai

Ashk-aalood in nigaahoN mein
Chaand ka aks jhilmilaata hai

Deed ki aas k diye shab bhar
Dil jalaata kabhi bujhaata hai

Khwab, tabeer se tahi aakhir
Koi palkoN pe kyuN sajaata hai ?

Ashk, ash'aar se saja kaaghaz
Yaas ki shab mein jagmagaata hai

Raah mein zeest ki, siva gham k
Kaun hai, saath jo nibhaata hai ?

Ishq se jis qadar bachey koee
Doob utna hi is mein jaata hai

Dard jeevan ka baaNT kar Maula
Khaas bandoN ko aazmaata hai

ShArArTi MuNdA
11-06-2008, 11:58 PM
Un sureeli sadaaoN ka mausam
Bholi bhaali adaaoN ka mausam

Us ki zulfoN ki cHaaoN ka mausam
Kho gaya hai ghaTaaoN ka mausam

Bachpane ki thi rut mohabbat ki
Hai jawaani sazaaoN ka mausam

Band ik baar jo kiaa dar ko........
Phir na aaya wafaaoN ka mausam

Meri is khaak par hai shaam utri
Ye hai mausam balaaoN ka mausam

Shehr mein ghuT raha hai dam mera
Koi laa de wo gaaoN ka mausam

Be-wafaai rutoN ki fitrat hai.....
Kaash badle jafaaoN ka mausam

MaaN k baare mein itna jaana hai
MaaN to hai bas duaaoN ka mausam

Sar ko haathoN pe le k chal Zaamil
Aa gaya intehaaoN ka mausam...!!!

ShArArTi MuNdA
11-07-2008, 12:01 AM
Mere khwab saare ujaR gaye, mere yaar mujh se bicHaR gaye
Meri khwahishoN k jo phool they, bane ashk aaNkh se jhaR gaye

Mujhe aaj tak na khabar hui yahaN meri raah hai kaun si
Main ne jis taraf bhi safar kia ye qadam zameen mein gaR gaye

Mujhe seiNchte they jo khoon se unhein mujh se cHaaoN na mil saki
Jinhein mujh se sukh ki umeed thi wohi ik azaab mein paR gaye

Mere jism o jaan ki haalatein, ye hain raahatein, wo kasaafatein
Mujhe jab talak ye pata chala mere khadd o khaal bigaR gaye

Mere paas husn-e-kalaam tha, yahaN maal o zar ko salaam tha
Ye to raushni ka jahaan tha, mere nain raat se laR gaye

ShahTaJ
11-07-2008, 12:06 AM
bohat khoob

ShArArTi MuNdA
11-07-2008, 04:20 PM
Thanks ShahTaj JEee

safa
11-07-2008, 07:51 PM
bohat khoob

Hani
11-07-2008, 11:10 PM
nice

A L i
11-09-2008, 12:54 AM
nice choice S M

ShArArTi MuNdA
11-09-2008, 01:03 AM
Thanks Safa .... Hani & Ali

ShArArTi MuNdA
11-10-2008, 12:42 AM
" Hai Umr-e-RavaaN In AankhoN Mein "

Tha ishq jawaaN in aankhoN mein
They khwaab ravaaN in aankhoN mein

Milte huey dekha phir, un ko
Phir, un ki judaai dekhi thi
Tha zabt nehaaN in aankhoN mein
Rehti thi dua in honToN par
Milne ka gumaaN in aankhoN mein

Phir, aas ko marte dekha tha
Tha zabt jahaaN in aankhoN mein
They ashk ayaaN in aankhoN mein

Phir, jal k bujhe diye ashkoN k
Phirta tha dhuaaN in aankhoN mein

Ab waqt hua un baatoN ko
Un subhoN ko aur un raatoN ko
Mujh mein jo sulagta rehta ho
Aaisa to nahi hai ab kucH bhi !

CHaai hai amaaN in aankhoN mein
Par neend kahaaN in aankhoN mein...!!!

ShArArTi MuNdA
11-10-2008, 12:43 AM
Ab to kehte hain ye tanhaai se haare hue ham
Gham hi ho jayeN hamare k tumhaare hue ham

Ism-e-aa'zam sa koi apni zubaN par aya
Aap ka naam lia charkh k taare hue ham

Sirf hamraah-e-haqiqat to kaThin tha hona
Safha-e-dehr pe khwaboN k sahaare hue ham

Ishq mein eik zara maat hui hai ham ko
Aaise baiThe hain k hain jaan bhi haare hue ham

Wo to katraa k havadis hi nikal jate hain
Varna har aan adam ko hain sidhaare hue ham

Jaan dete hain kahiN hijr k maare hue log
Sher likhte hain yahaN paaoN pisaare hue ham

Aakhri daur-e-zamana hai or ab aaye hain
Waqt-e-kohna ki sadaaoN k pukaare hue ham

Koi dushvaar zubaN hain koi dushvaar sukhan
Khaam, be-fikr dimaaghoN pe utaare hue ham

Umr ******* ki nahi sirf shumar-e-shab o roz
Eik jivan hain mohabat mein guzaare hue ham

ShArArTi MuNdA
11-10-2008, 12:44 AM
sehma sehma dara dara sa hay
ye dil tere baad bujha bujha sa hay

shab bhar teri yaad ne sonay na diya
aao gay kisi roz ye gumaan gumaan sa hay


is duniya main mukafat_e_amal bhi hay
ab yaqeen aaya k khuda khuda sa hay

tumharay baad wehshatoun ki zad main hoon
tumhara haal bhi jaana bura bura sa hay

mujh ko kehta hay takleef hogi na sooch mujhe
us ko bhi mera kheyaal zara zara sa hay

ShArArTi MuNdA
11-10-2008, 12:46 AM
kabhi yaad aaon to poochna
apne dil_e_nadaan se
kaheen baith k akailay main
tanha or aaram se,
kise uns tha teri zaat se
kise ishq tha tere naam se
teri chah tha
tera naseeb tha
jo kabhi tujhe bhi aziz tha
milay jo fursat gardish_e_aiyaam se
to ye bhi poochna
us ghar k dar_o_baam se
yahan qaid jo ik shaks tha
wo mar gaya kis k naam pe
zara yaad kar k wo koun tha
jise teri be rukhi ka gila natha
k us ki wafaoon ka tere paas koi sila natha.
jo jee outha tha tere lams se
wo bikhar gaya tere gham se
kabhi yaad aaon to poochna
kaheen baith k akailay main
tanha or aaraam se
apne dil_e_nadaan se....!!!

ShArArTi MuNdA
11-10-2008, 12:48 AM
Kab talak dard k toofaaN ko samoeiN khud mein
Ab ye aankhein hi baras jaayeN to kya acha ho

Raaz dil ka sar-e-mehfil na ayaaN ho jaye
Koi keh de, wo chalay jaaeN to kya acha ho

Nahin maujood koi rah mein nishaan-e-manzil
Raastay apne badal jaayeN to kya acha ho

Toot kar ham to hain bikhre huay par dil nadaaN
Ab bhi bole, "wo palaT aayeN to kya acha ho"

Ab talak kis k liye seint seint rakhe hain
Khwaab ye saare bikhar jaaeN to kya acha ho

! HEER
11-10-2008, 04:08 PM
nice munna
bhot khub sab ek se bhar ke ek hai keep it up (y)

ShArArTi MuNdA
11-10-2008, 04:43 PM
nice munna
bhot khub sab ek se bhar ke ek hai keep it up (y)


Heer jee Thanks for stoppin by on ma thread... aapki pasandeedgi ka shukriya :)

AYAZ
11-10-2008, 04:43 PM
good collection munda

ShArArTi MuNdA
11-10-2008, 04:49 PM
good collection munda


Arey MR aaap yahan welcome welcome :p
Thanks MR for lykin it ;)

-|A|-
11-10-2008, 07:15 PM
yaar app ka collection aweSome hai Boss..!!
Keep shareing haan ..!!

-|A|-
11-10-2008, 07:17 PM
its ur Own ghazals colelctiopn Mundda?

ShArArTi MuNdA
11-11-2008, 01:51 AM
its ur Own ghazals colelctiopn Mundda?

Thanks Stranger bro for stopin by and some of it yea gud time memories but not all............. Thanks for ur reply. keeep vistin ;)

ShArArTi MuNdA
11-12-2008, 04:01 PM
ik baar ke milne ko joo payar samajhte hai.
pagal hai magar khud koo hushyaar samajhte hai.

chahat ki ibadat ko jo roog samajhta hai .
hum ese masiha ko bimar samajhte hai.

tufan se nahee darte lehroo se nahee darte.
hum loog bhawar koo bhi pat war samajhte hai.

is dil ke farishte ko is khawab ke rishte ko.
tum khel samajhte hoo hum payar samajhte hai.

ShArArTi MuNdA
11-12-2008, 04:02 PM
Ghum ki tazheek uratay huye dar lagta hai,
apni roodad sunatay huye dar lagta hai

Ab tu apnon main bhi milta nahi kuch apna pan,
Ghair ko apna batatay huye dar lagta hai

Dena par jaay na mujhko bhi kaheen iska hisaab,
paaon matti main jamatay huye dar lagta hai

jaag utthay tu jaganay ka sabab poochin gay
sonay walon ko jagatay huye dar lagta hai

jab se dekha hai Mah o mehr ko gehnaay huye
apna ghar baar sajatay huye dar lagta hai

ghar ki taqseem se hoti hai diloon ki taqseem
koi deewar uthatay huye dar lagta hai

Dhoop se bachtay hain per roshni chin jati hai
Sehen main peir(tree) lagatay huye dar lagta hai

Pehle jaisa nahi ******* woh adab kiya kahiye
Ab kisi bazm main jatay huye dar lagta hai

ShArArTi MuNdA
11-12-2008, 04:04 PM
Jo lafz bhi laga hai woh pathar laga mujhe
is baar doston se bara dar laga mujhe

choukhat pe apnay naam ki takhti nahi mili
barsoon purana ghar bhi naya ghar laga mujhe

sahil se keh raha tha main piyasa bala ka hoon
woh aik aadmi jo samandar laga mujhe

apni uraan saray jahan ko dikhaonga
parwana keh raha hai kabhi par laga mujhe

tasveer keh raha hai jisay mera aks hai
tasveer keh rahi hai palat kar laga mujhe

yeh husn e ittafaq nahi inqalab hai
khanjar nahi tha jo kabhi khanjar laga mujhe

teraak ban ke meri tehoon tak utar gaya
******* samandaron ka shanawar laga mujhe.

ShArArTi MuNdA
11-12-2008, 04:05 PM
ratjagon ki halat main khuaab dekhnay walay
ro rahay hain ujlat main khuaab dekhnay walay

chashm e num ke khultay hi kis qadar huye masroof
roz o shub ko fursat main khuaab dekhnay walay

anginat khayalon se, khuaab se huye mehroom
maal o zar ki soorat main khuaab dekhnay walay

jaagtay hi loogon ki nafraton se mil bethay
aapki mohabbat main khuaab dekhnay walay

aur kitna sona hai faisla na kar paay
Umr ki adalat main khuaab dekhnay walay

jaag uthay tu youn jagay,so sakay na jee bhar ke
janay kis zaroorat main khuaab dekhnay walay

so sakay na jee bhar ke aik pal ko bhi *******
khuaabgah e shohrat main khuaab dekhnay walay

ShArArTi MuNdA
11-12-2008, 04:06 PM
Roothi hui hai humsay fasl e bahaar kab say
achay dinoon ka humko hai intizar kab say

koocha ba koocha dar dar khana ba khana dekho
phirtay hain maaray maaray hum bedeyaar kab say

larzaan naheef tan per malboos ke bajay
pehnay huye hain raahi Gard o ghubaar kab say

sabza dekha ke humko phainka tamazaton main
detay rahay hain dhoka yeh apnay yaar kab say

rasta dekhao gay tum manzil milay gi tum say
hum tum pe kar rahay hain yeh aitbaar kab say

hain jin ke pait khali yeh wohi jantay hain
nanay javeen ke talib hain beqaraar kab say

dushman ko kiya khabar hai ******* he janta hai
dushman se ho gaya hai ******* ko pyaar kab say

ShahTaJ
11-12-2008, 11:00 PM
nice colection

ShArArTi MuNdA
11-12-2008, 11:46 PM
nice colection

Thanks

SHAYAN
11-12-2008, 11:48 PM
V Nyc Bro

ShArArTi MuNdA
11-12-2008, 11:50 PM
Thanks Shayan mian :p

ShArArTi MuNdA
11-13-2008, 04:16 PM
Gham-e-heyat ka jhagra meta raha hai koi,

Chaley ayo ke duniya se ja raha hai koi,

Azal se keh do ke ruk jaye do ghari,

sunna hai aane ka wada nebha raha hai koi,

woh is naaz ke sath bethey hain laash ke pass,

jesay roothe howe ko mana raha hai koi,

palat ker na aa jaye phir saans nabzon main,

itne haseen haton se mayyat saja raha hai koi,

ShArArTi MuNdA
11-14-2008, 01:11 AM
itna hi hai baat k mere sath tu nahi
aisa nahi lekin k tere baad tu nahi

guzrenge kabhi jab ham us raah se tere
tujhko salam denge k fariyad tu nahi

ham ho sake aabad nahi iska gam nahi
gham hai k mere baad bhi aabad tu nahi

apni manaye khair k maula ki raah ham
teri manaye khair k mere raah tu nahi

rab ashikon k ham pe mehrba hue shayed
ham hai nahi aabad aur barbaad tu nahi

itni hi hai hasrat k kare tu kubul pyar
gam iska nahi ham kubul yaar kyu nahi

gairo ki harkato pe lab o jumbishe teri
ek apni hi kismat ki tarafdaar tu nahi

apni kusus zindgi safar dar safar badar
mere safar me teri koi raah kyu nahi

sanso pe tera naam hai wo bhi gunah tar
jitey hai magar zinda ham yaar kyu nahi

janey khuda ya janey tu ya janey sitamgar
kabil tere sitam k ham hi yaar kyu nahi

ShArArTi MuNdA
11-14-2008, 01:21 AM
Jitnay ankhon say door jatay ho
tum mujhe utna yaad aatay ho

sach kaho mujhko yaad kar ke tum
ansooun ke diye jalatay ho

roz miltay ho dair say aakar
sabr kion mera aazmatay ho?

Khuaab main bhi hai cher chaar wohi
tum mujhe kis qadr satay ho

roz aik tazah aarzo ka mehel
main banata hoon tum giratay ho

subko milta nahi hai moun manga
rait se kion mehel banatay ho

din ke deewar o dar pe tum *******
shub ki tasveer kion lagatay ho

ShArArTi MuNdA
11-14-2008, 01:29 AM
Meray humrah chal rahay ho tum
meri qismat badal rahay ho tum

Paaon ko mat nikalo chaadar say
Hadd se agay nikal rahay ho tum

Dhoop main tou jalla he kartay thay
Chandni main bhi jall rahay ho tum

Her khusshi aarzi khushi hai miaan
ghum ke sanchay main dhal rahay ho tum

baat yeh bhi baray kamaal ki hai
kha ke thokar sambhal rahay ho tum

aaj kioun is qadar ho tum khamoosh
khush gulu kitnay kal rahay ho tum

burdbari tumhara sheva hai
phir bhi ******* machal rahay ho tum

ShArArTi MuNdA
11-14-2008, 01:31 AM
Gehri neendon wala ghar hai
sub se pyaara apna ghar hai

tanha,veeraan,toota phoota
kiya dunya main aisa ghar hai?

iski kiya tabeer banay gi
maine khuaab main dekha ghar hai

sub ki Qismat hai berbadi
kiya tera kiya mera ghar hai

berbadi aabadi kion ho?
her ghar ab tu mehnga ghar hai

mitti ke deewar o dar hain
mera tere jaisa ghar hai

main bhi hoon mitti k ghar main
mera bhi mitti ka ghar hai

meri tanhai mat poocho
main tanha hoon tanha ghar hai

din ho jiska raat ke jaisa
******* kis ka aisa ghar hai?

ShArArTi MuNdA
11-14-2008, 01:38 AM
Tu mil gaya tu tujh se kinara karain gay hum
Bhoolay se bhi na tujh ko pukara karain gay hum

her shaam bhool jaingay apni takaan ko
ab khud pe din ka bojh utara karain gay hum

Takleef ab na dengay kisi aur shakhs ko
guzray gi jaisi umr guzara karain gay hum

jo tujhko na pasand hai Ay husn e bemisaal
ab koi aisa roop na dhara karain gay hum

Aafaat main rahain jo dekhaai kabhi na dain
aisi rida main paaon pasara karain gay hum

Hum chand se nigah milatay nahi kabhi
jugnoo ko kis tarah se sitara karain gay hum

saaray jahan se humko sar o kaar hi nahi
******* khud apna aap sudhara karain gay hum

ShArArTi MuNdA
11-16-2008, 01:20 AM
Bheer main ik ajnabi ka samana acha laga
sab se chup kar vo kisi ka dekhna acha laga


surmai ankhon k niche phool se khilne lage
kahte kahte kuch kisi ka sochna acha laga


baat to kuch bhi nahi thi lekin us ka ek dam
haath ko honton pe rakh kar rokna acha laga


chay main chini milana us ghari bhaya bahut
zer-e lab vo muskurata shukriya acha laga


dil main kitne ahad bandhe the bhulane ke use
vo mila to sab irade torna acha laga


beirada lams ki vo sansani pyari lagi
kam tavajjo ankh ka vo dekhna acha laga


nim shab ki Khamushi main bhigti sarkon pe kal
teri yadon k jalo main ghumna acha laga


us adu-e-jan ko '*******' main bura kaise kahun
jab bhi aya samne vo bevafa acha laga

Nida-H
11-16-2008, 02:04 PM
Nice collection shararti..keep it up !!!!

ShArArTi MuNdA
11-17-2008, 12:33 AM
Thanks Ruby Jee

ShArArTi MuNdA
11-17-2008, 12:41 AM
Aasmaan pay jitnay sitaray hain ..
Darakhtoon pay jitnay pattay hain ..
BARISHOON kay jitnay qatray hain ..
Samandar main jitnay seep hain ..
Itnay hi ansoo meray tumharay naam kay ..
Itni hi duaa'en ..
Har din har shab..
Meri hatheliyoon pay bichtay hain ..
door asmaan tak ..
Tumhari taqdir ki
eik naie khekashaan ..
Sajatay hain ...

ShArArTi MuNdA
11-17-2008, 12:42 AM
Aaj sarmaa kee pahlee barish hay
Har soo andhera chaya hay
Mairee amawas zindgee kee tarah
Rastey sunsaan aur soonay hain
Mairey khalee ghar kee tarah
Badil bhee khul kay barsaa hay
Mairee bheegee aankhon kee tarah
Hawaa kitnee yakh basta hay
Honton pay aaney walee
Sard aahon kee tarah
Dil main rah janey walee
Kuch duaaon kee tarah
Es ajeeb mosam main
Ajab hay dil kaa haal mairey
Yaad tumharee aatee hay
Jaisey sarmaa kee pahlee barish
Saath main sardee laatee hay
Kuch waisey hee tere yaad kay juloo main
Ek gahraa sanataa aayaa hay
Ab dil kay barf zaron main
Har aahat madoom howee hay
Har umeed mohoom howee hay
Ab tairee yaad kee shidat main
Ab tairey hijar kee hidat main
Hum chup chaap phighaltey hain !!!

ShArArTi MuNdA
11-17-2008, 12:42 AM
hijr key mausam main, yeh barish ka barasna kaisa !
aik sehra sey samandar ka guzarna, kaisa ?

aey meray dil na paraishaan ho, tanha ho kar!
woh teray saath chala kab tha, bicharna kaisa?

Jab shajar saath na de, haar samajh bethay toh !
zard pattoon ka hawaoon sey, ulajhna kaisa ?

chal muhabbat kay samandar main utar jatay hain !
pyar karna hai toh phir maut sey darna kaisa ?

Bewafa kehnay ki bhi jurat na karna aey dil !
us nay iqraar kia kab tha, mukarna kaisa ?

ShArArTi MuNdA
11-17-2008, 12:45 AM
Raat hui kia jal thul barish
Dho gai sara kajal barish

Mein hoon dharti banjar payasi
Tum ho eik mukammal barish

Aao in aankhoon mein utro
Dekho meray sanwal barish

Sab per tumhara nam likha hay
Khushbu chand hawa jul barish

Do deewanay naach rahay thay
Eik mein aur eik pagal barish

ShArArTi MuNdA
11-17-2008, 12:46 AM
Kabhi Hum Bheegte Hain Chahaton Ki Taiz Baarish Mein...
Kabhi Barson Nahin Milte Kisi Halki Se Ranjish Mein...

Tumhi Mein Dewtaon Ki Khu Boo Nahin Thi Warna...
Kami Koi Nahin Thi Mere Andaaz-E-Parastish Mein...

Ye Pehle Soch Lo Phir Aur Bhi Tanha Na Hojana...
Usey Chhoone Ki Khuwahish Mein Usey Paane Ki Koshish Mein...

Buhat Se Zakham Hain Dil Mein Magar Aik Zakham Aisa Hai...
Jo Jal Uthta Hai Raaton Mein Jo Lo Deta Hai Baarish Mein...

Nida-H
11-17-2008, 12:59 PM
very nice..

momal ali
11-17-2008, 03:12 PM
:zabardast::withrose: very nice collection manna pra bhai

ShArArTi MuNdA
11-18-2008, 01:45 AM
Thanks Ruby & Mahum Ali

Hani
11-18-2008, 01:59 AM
nice

ShArArTi MuNdA
11-23-2008, 12:30 AM
Thanks Hani Jiiii

ShArArTi MuNdA
11-23-2008, 12:30 AM
Kion Aankh Jhuka Li Main Nay


Mujh Say Mat Pooch K Kion Aankh Jhuka Li Main Nay
Teri Tasveer Thi Jo Tujh Say Chupa Li Main Nay

Jis Pay Likha Tha K Tu Merey Muqaddar Main Nahin
Apnay Maathay Ki Woh Tehreer Mita Li Main Nay

Har Janam Sab Ko Yahan Sachha Pyaar Kahan Milta Hai
Teri Chahaat Main Tu Umar Bita Li Main Nay

Mujh Ko Jaanay Kahan Ehsaas Merey Lay Jaayen
Waqt K Haathon Say Ek Nazm Utha Li Main Nay

Gherey Rakhti Hai Mujhay Ek Anokhi Khushbu
Teri Yaadon Say Har Ek Saans Saja Li Main Nay

Jis K Shairon Ko Woh Sun K Buhat Rooya Tha
Bas Woh He Ek Ghazal Sab Say Chupa Li Main Nay

ShArArTi MuNdA
11-23-2008, 12:33 AM
main bhii shaayad buraa nahin hotaa
vo agar bevafaa nahin hotaa

bevafaa bevafaa nahin hotaa
Khatm ye faasalaa nahin hotaa

kuchh to majabuuriyan rahii houngi
youn koi bevafaa nahin hotaa

jii bahut chaahataa hai sach bolein
kyaa karein hausalaa nahin hotaa

raat kaa intazaar kaun kare
aaj-kal din mein kyaa nahin hotaa

guftaguu un se roz hoti hai
muddaton saamanaa nahin hotaa

ShArArTi MuNdA
11-23-2008, 12:34 AM
main bhoul jaoun ab yahii munaasib hai
magar bhuulana bhi chahoun to kis tarah bhulaoun
ki tum to phir bhi haqiiqat ho koi Khvaab nahin
yahaan to dil kaa ye aalam hai kyaa kahoun
kamabaKht
bhulaa sakaa na ye silasilaa jo thaa hii nahin
vo ik Khayaal
jo aavaaz tak gayaa hii nahin
vo ek baat
jo main kah nahin sakaa tum se
vo ek rabt
vo ham mein kabhii rahaa hii nahin
mujhe hai yaad vo sab
jo kabhii huaa hii nahin
agar ye haal hai dil kaa to koi samajhaye
tumhein bhulaanaa bhii chahoun to kis tarah bhulaoun
ki tum to phir bhii haqiiqat ho koi Khvaab nahin

ShArArTi MuNdA
11-23-2008, 12:34 AM
main chaahataa bhii yahii thaa vo bevafaa nikale
use samajhane kaa koi to silsilaa nikale

kitaab-e-maazii ke auraaq ulaT ke dekh zaraa
na jaane kaun saa safaah mudaa huaa nikale

jo dekhane mein bahut hii qariib lagataa hai
usii ke baare mein socho to faasalaa nikale

ShArArTi MuNdA
11-23-2008, 12:35 AM
TUM CHAHOO TO


Tum Chaho To Munjhay Apnay seenay Main Chupa Saktay Ho
Tum Chaho To Mujhay Apnay Dil Ki Her Baat Bata Saktay Ho
Tum chaho To Mujhay Sehra Se Nikal Saktay Ho
Tum Chaho To Mujhay Saiban Day Saktay Ho
Tum Chaho To Mujhay Taptai Dhuop Se Bacha Saktay Ho
Tum Chaho To Mujhay Apnay Wajood Main Chupa Saktay Ho
Tum Chaho To Ik Diya Roshni Ka Jala Saktay Ho
Tumhain Maloom Hai Yeh Zindagi Kuch Din Ki Hai
Tum Chaho To Isay Hanas Kay Guzar Saktay Ho
Tum Chaho To .Mujhay Apni Zindagi Bana Saktay Ho
Tum Chaho To Mujhay Apnay Seenay Main chupa Saktay Ho
Tum Chaho To Mujhay Apnay Dil Ki Her Baat Bata Saktay Ho
Tum Chaho To Kiya Nahin Kar Saktay
Tum Chaho To Sab Kuch Kar Saktay Ho

Baat Tumharay Chahnay Ki Hai

ShArArTi MuNdA
11-24-2008, 12:53 AM
Raat sunti rahi mein sunata raha,
Dard ki daastaan mein batata raha,
Log logoon se chahat nibhatay rahay,
Ik wo tha mera dil jalata raha,
Dhoop chaoon si uski tabiyat rahi,
Wo nigahein milata raha churata raha,
Ik mein hi piyasa raha dosto,
Log peetay rahay mein pilata raha,
Dil k mehman khanay mein ronaq rahi,
Koi aata raha koi jata raha,
Hum-maktab ne sara sabak parh lia,
Mein tera naam likhta raha mitata raha

Nida-H
11-24-2008, 02:20 PM
very nice collection..!! :coffeecup:

SHAYAN
11-25-2008, 12:41 AM
Zabardast Yaar V Nyc:hatoff:

SHAYAN
11-25-2008, 12:43 AM
Raat sunti rahi mein sunata raha,
Dard ki daastaan mein batata raha,

V Nyc

ShArArTi MuNdA
11-25-2008, 01:10 AM
Thanks Ruby & Shayan jiiii

ShArArTi MuNdA
11-25-2008, 01:11 AM
AAOO GEY NA

AAOO GEY NA????

Mainey kabhi darakhtoun pe apna aur tum hara naam nahi likha,

Mainey kabhi koi phoul shakh se toud key,

Apni kitab main nahi rakha,

Woh baatain jo humney kein thein,


Zahen key dareechey main chupa k rakh chouri hain,

Woh kissey jo tumney sunaye they,

Mainey kabhi nahi douhraye,

Woh raahain jahan tum merey humrah they,

Wahan tanha palat key janey ka hosla na howa,

Tumharey baad main muskraya,

Mager,mera dil muskara na saka,

Tumharey baad jee raha houn,


Mager , zeesat kerney ka hoosla nahi

Kabhi tumhain fursat miley,

To tajdeed-e-muhabbat k din,

Ghalat fahmioun kee deewar dhaa key,

PALAT ANNA...................(*******)

AAOO GEY NA......................??.....(*******)

ShArArTi MuNdA
11-25-2008, 01:13 AM
ACHA THA


ACHA THA

Jahan phouloun ko khilna tha wahin khiltey to acha tha

Tumhi ko humney chacha tha,,thmhi miltey to acha tha

Koi aa ker humhain poochey tumhain kesey bhulaya hai

Tumharey khat ko ashkoun se shab-e-gham main jalaya hai

Hazaroun zakham esey hain key ager siltey to acha tha

Tumhi ko humney chaha tha,,thumhi miltey to acha tha

Tumhain jitna bhulaya hai tumhari yaad aye hai

Bahar-e-nou jo aye hai wohi khushbou hi laye hai

Tumharey laab meri khatir ager hiltey to acha tha

Tumhi ko humney chaha hai tumhi miltey to acha tha

Jahan phouloun ko khilna tha wahin khiltey to acha tha

Tumhi ko humney chaha tha,,tumhi miltey to acha tha...............

ShahTaJ
11-25-2008, 01:25 AM
nice collection

ShArArTi MuNdA
11-25-2008, 01:25 AM
APNEY RAAB SE AIK DUA

Merey sarey khawab jala dey

Meri puri zaat bhuja dey

Merey sarey rang mita dey

Meri ankhoun ko pani bana dey

Jitni chahey mujhey saza dey

LAKIN MEREY MALIK......

Uskey khawab na jaal jayain

Uskei neend na urr jaye

Uska rang na madham ho

Uska roup salamat rakhna

Uskey dukh................................

Meri jhouli main bhar dena

AUR MEREY HISEY KI SARI KHUSHIYAN.........

USKI MUTTHI MAIN DEY DENA........................................

ShArArTi MuNdA
11-25-2008, 01:26 AM
nice collection

Thanks ShahTaj jiiii

ShArArTi MuNdA
11-25-2008, 01:27 AM
KAMI MEHSOUS HOTI HAI



Rukoun to apney ghar teri kami mehsous hoti hai

Chaloun to darbadar teri kami mehsous hoti hai

Abhi to es kader teri kami mehsous hoti hai

Kahin bhee ho nazer teri hi kami mehsous hoti hai

Kesi gham se guzarna ho k dariya paar jana ho

Koi bhee ho safer teri kami mehsous hoti hai

Hawa ko baat kerny ki ijazat bhee nahi aab to

Kharey hain chup shajer teri kami mehsous hoti hai

Tujhey to mil gaye houngein sathi naye lakin

Mujhey har mour pe teri kami mehsous hoti hai

Kesi ko lamha bhar teri kami mehsous hoti hai

Kesi ko umer bhar teri hi kami mehsous hoti hai

Kesi se guftagou main hi jo tera naam aa jaye

To phir sham-o-saher teri hi kami mehsous hoti hai

Kabhi milney milanaey ka koi tehwar aye to

Mujhey bas tout ker teri kami mehsous hoti hai

Zamaney ho gaye lakin abhi meri negahoun main

Chupa hai koi daar teri kami mehsous hoti hai

Muhabat maar gaye lakin merey ujrey hoye dil ka

Khula rehta hai daar teri hi kami mehsous hoti hai

ShArArTi MuNdA
11-25-2008, 01:29 AM
TO LOUT ANA

Koi guzra hoawa lamha,

Koi beeti hoye sayaat,

Tumharey dil key band dareechey main chali aye,

tumhey essa lagey,

Key muddat baad,

Tumhain;dheeemi sei; meethi sei

Kasak mehsous hoti hai

Tumhain kuch yaaad aata hai,

To; merey bhouley hoye saathi,

Merey Nameherban,

PALAT ANA; PALAT ANA,

Key meri samayatain aab bhee

TUMHARI AAHATOUN KI MUNTAZIR HAIN.....................

ShahTaJ
11-25-2008, 01:47 AM
nice munda jii

ShArArTi MuNdA
11-25-2008, 07:23 PM
nice munda jii

Thanks ShahTaj jiii

ShArArTi MuNdA
11-25-2008, 07:27 PM
Mila wo bhi nahi kerte, mila hum bhi nahi kerte
Bewafai wo bhi nahi kerte, bewafai hum bhi nahi kerte

UnhAin ruswai ka dukh hai, humain tanhai ka dukh hai
gila wo bhi nahi kerte, gila hum bhi nahi kerte

Gali k kisi morr pe akser takrao ho hi jata hai
ruka wo bhi nahi kerte, ruka hum bhi nahi kerte

Unhain jab dekhte hain sochte hain kuch kahain un se
suna wo bhi nahi kerte, kaha hum bhi nahi kerte

Humain wo dekhte hain, unhain hum dekhte hain
raha wo bhi nahi kerte, raha hum bhi nahi kerte.

ShArArTi MuNdA
11-25-2008, 07:31 PM
Kion Aankh Jhuka Li Main Nay


Mujh Say Mat Pooch K Kion Aankh Jhuka Li Main Nay
Teri Tasveer Thi Jo Tujh Say Chupa Li Main Nay

Jis Pay Likha Tha K Tu Merey Muqaddar Main Nahin
Apnay Maathay Ki Woh Tehreer Mita Li Main Nay

Har Janam Sab Ko Yahan Sachha Pyaar Kahan Milta Hai
Teri Chahaat Main Tu Umar Bita Li Main Nay

Mujh Ko Jaanay Kahan Ehsaas Merey Lay Jaayen
Waqt K Haathon Say Ek Nazm Utha Li Main Nay

Gherey Rakhti Hai Mujhay Ek Anokhi Khushbu
Teri Yaadon Say Har Ek Saans Saja Li Main Nay

Jis K Shairon Ko Woh Sun K Buhat Rooya Tha
Bas Woh He Ek Ghazal Sab Say Chupa Li Main Nay

Nida-H
11-25-2008, 07:36 PM
very nice..

ShahTaJ
11-25-2008, 07:37 PM
nice janab

ShArArTi MuNdA
11-26-2008, 05:23 AM
very nice..

Thanks Ruby jiii

ShArArTi MuNdA
11-26-2008, 05:25 AM
nice janab

Thanks janab

-|A|-
11-29-2008, 06:17 PM
Ali laash passh yaar..!

ShArArTi MuNdA
11-30-2008, 11:11 PM
Thanks Bro for visitin here. ;)

ShArArTi MuNdA
11-30-2008, 11:14 PM
TUMHAIN HUM PIYAR KERTEY HAIN

SUNO JANA..!

Bohat hi be sukooni hai humari zaat main,

Bohat masroof rehna paar raha hai,

Bohat se kaam hain,

Jo apney zimey ley rakhey hain,

Mager;mager enhi sarey jamheeloun main,

Tumhari yaad ka woh aik JOUGNOU,aab bhee chamkey to,

Yeh ankhain bheeg jati hain,

Tumhari yaad key rosahn sitarey aab bhee timtamtey hain,

To dil kuch bhuj sa jata hai,

Main sab kuch chour key.

Woh aik jougnou, ek tara,

Hatheli main daba key,

Hawa key sang, apney sare dukh sukh bant aataa houn,

Hawa ko sab pata hai,

Merey dil ki khaber hai,

Meri palkoun key ansoun,

Khud main jazab ker key nuum se ho jata houn,

.................................................. .(*******)

SUNO JANA............!

Bohat hi besakouni hai humari zaat main,

lakin ................................!

Tumhain hum yaad kertey hain,

Tumhian aab bheeee

BOHAT HUM PIYAR KERTEY HAIN............................

ShArArTi MuNdA
11-30-2008, 11:15 PM
SJAYE BETHEY HAIN

Hountoun per jo apney tabbasum ka singhar sjaye bethey hain

Seeney main woh apney dardoun ka ambhar sjaye bethey hain

Kesey batlain hum enko es dil key sheeshey main kia kia

Kuch pather jesey chehroun key hum yaar sjaye bethey hain

Maloom hai tum na aaoo geii aur humko khoub rulaoo geii

Phir bhee hum teri hasrat main ghar baar sjaye bethey hain

Jab baraf pari ho jazboun per aur ous pari ho phouloun per

Hum apni ankhoun main ashkoun key angar sjaye bethey hain

Din dhalta hai,sham aati hai tu lout key ghar nahi aataa hai

To kia hum baam-o-daar beekar sjaye bethey hain.............??

Kia haal kalam likh sakta hai lakin phir bhee likhtey hain

HUM TERY WISAL K LAMHOUN KEY ANWAR SJAYE BETHEY HAIN....................

ShArArTi MuNdA
11-30-2008, 11:20 PM
EK PAGLEY KA KISSA

Ek saal purana kissa hai

Ek larka tha deewana sa

Karta tha bari maan maani bhee

Woh shoukh shoukh sa chanchal sa

Mehka mehka sa pagal sa

Ek roz muhabbat ker betha...........

Aur aab key saal ka kissa hai

Aab woh maazi ka hissa hai

Woh piyar pe jan ko waar gaya

Aur apney aapko maar gaya

Sarey jaag se to jeet gaya

BAAS APNEY PIYA SE HAAR GAYA........................

ShArArTi MuNdA
11-30-2008, 11:21 PM
AAB BHULANA MEREY BAAS MAIN NAHI HAI

Tumhain kisney kaha jana.......

Main tumko bhoul jaounga

Main to kaal bhee tumhara tha

Jab tum meri na thei

Main to aab bhee tumhara houn

Jab tum lamha bhar k liye meri hoye ho

AUR

Main aney waley kal main bhee

Tumhara hi rahoun ga

JAB.................................TUM

Merey reh na sakooo gey

Soo, kisney kaha jana..

MAIN TUMKO BHOUL JAOUNGA..............................(*******)

ShArArTi MuNdA
11-30-2008, 11:23 PM
MAIN MUHABBAT SE DARNEY LAGA HOUN

Woh pehli yaad,

Pehli judai,

Pehli muhabbat,

Woh pehli dafa phout ker roona,

Uskey jatey sammey,

Ankhoun ko mazbooti se meechna,

Woh hasrat se takna,

Woh dil ka tarasna........

Woh palkain barasna,

Woh maan ka kurlatey hoye iltaja kerna,

MAAT JAOO,,,,,LOUT AAOO,

Aur zuban per rasmi sa alwida jumla,

Woh pehli dafa, dil ka kamzoor parna,

Youn lagna key nabz ruk jaye gei,

Daar se bahir nikal key,

Bari hasratoun se...................

Uskey naksh-e-paa dekhna,

Main kesey bhula doun.

Key pehli yaad,

Pehli juddai,

Pehli rafaqat,

Pehli sangat se nikla nahi houn,

Aur aab,

Main muhabbat se daar sa gaya houn...............

Main ander se maar sa gaya houn....................

Hani
12-01-2008, 12:24 AM
superub sharing............:rose5:

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 12:41 AM
Thanks 4 visitin Hani jiii

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:31 AM
raaton mein gar na ashk bahaoun to kyaa karoun
ik pal bhii us ko bhoul na paaoun to kyaa karoun

main ne sunaa hai un ko andhere nahiin pasand
raaho.n me.n ab mai.n dil na jalaoun to kyaa karoun

tumhiin kaho ki chhod de jab zindagii bhii saath
phir maut ko gale na lagaoun to kyaa karoun

sochaa to thaa ki chhod doun us kii galii '*******'
lekin kahin qaraar na paaoun to kyaa karoun.........

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:32 AM
main bhii shaayad buraa nahin hotaa
vo agar bevafaa nahin hotaa

bevafaa bevafaa nahin hotaa
Khatm ye faasalaa nahin hotaa

kuchh to majabuuriyan rahii houngi
youn koi bevafaa nahin hotaa

jii bahut chaahataa hai sach bolein
kyaa karein hausalaa nahin hotaa

raat kaa intazaar kaun kare
aaj-kal din mein kyaa nahin hotaa

guftaguu un se roz hoti hai
muddaton saamanaa nahin hotaa

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:33 AM
main bhoul jaoun ab yahii munaasib hai
magar bhuulana bhi chahoun to kis tarah bhulaoun
ki tum to phir bhi haqiiqat ho koi Khvaab nahin
yahaan to dil kaa ye aalam hai kyaa kahoun
kamabaKht
bhulaa sakaa na ye silasilaa jo thaa hii nahin
vo ik Khayaal
jo aavaaz tak gayaa hii nahin
vo ek baat
jo main kah nahin sakaa tum se
vo ek rabt
vo ham mein kabhii rahaa hii nahin
mujhe hai yaad vo sab
jo kabhii huaa hii nahin
agar ye haal hai dil kaa to koi samajhaye
tumhein bhulaanaa bhii chahoun to kis tarah bhulaoun
ki tum to phir bhii haqiiqat ho koi Khvaab nahin

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:34 AM
main chaahataa bhii yahii thaa vo bevafaa nikale
use samajhane kaa koi to silsilaa nikale

kitaab-e-maazii ke auraaq ulaT ke dekh zaraa
na jaane kaun saa safaah mudaa huaa nikale

jo dekhane mein bahut hii qariib lagataa hai
usii ke baare mein socho to faasalaa nikale

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:35 AM
Main Wohi Hoon Jise Tum Piyar Kiya Kerte The
Din Mein So Baar Mera Naam Liya Kerte The

Kiya Baat Hai Kiyoon Mujh Se Khaffa Bethe Ho
Kiya Kissi Aur Ko Dil Apna Dein Bethe Hoo

Faasale To Pehle Na Hua Kerte The AnMoL
Main Woh Hoon Jispe Tum Aetbaar Kiya Kerte the

Mujh ko Maaloom Hai Gum Hay Koi Sogaat Nahein
Tum Mujhe Apna Kahoo Aise Bhi Haalaat Nahein

Aur Ager Bhool Gaye Ho To Koi Baat Nahein
Zakham To Pehle Bhi Is Dil Pe Lagga Kerte The

Main Wohi Hoon Jise Tum Piyar Kiya Kertte The
Din Mein So Baar Mera Naam Liya Kerte The

Dil Mein Aata Hai Tumhein Terpa Doon
Derd Jo Tumne Diya Hai Wo Tumhein Loata Doon

Aur Ager Jurm Na Samnjho To Ye Dohra Doon
Tum Mujhe Hasil-E- Armaan Kaha Kerte The

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:35 AM
Har Sham Os Say Milnay Ki Aadat Se Ho Gai
Phir Rafta Rafta Os Say Mohabbat Si Ho Gai


Shayad Uay Taza Taza Jodai Ka Tha Asar
Har Shakl Yaak Bayaak Tari Sorat Se Ho Gai


Ek Naam Jhilmilanay Laga Dil Kay Taq Par
Ek Yaad Jaysay Baisay Rahat Se Ho Gai


Khud Ko Saja Sanwar Kar Rakhnay Ka Shooq Tha
Phir Apnay Aap Say Mujhay Wahshat Se Ho Gai


Main Nay Koi Bayanay Safai Nahi Diya
Bus Chup Raha To Khud He Wazahat Se Ho Gai


Aelbum Main Koi Chor Gaya Koi Apnay Aap Ko
Es Tarha Ghaibana Rafaqat Se Ho Gai

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:37 AM
Khauf saa aane laga hai chehron se,

Dil kuchh iss tarah bujha teray baad,

Jaan sulagti rahi tanha tanha,

Koyi pursaan na raha teray baad,

Yaad kerkay tujhay ro letay hain,

Ab jo uth ti hai ghata teray baad

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:37 AM
Zikr-e-shab-e-firaq se wehshat usay bhi thi
Meri tarah kisi se muhabbat usay bhi thi

Mujh ko bhi shauq tha naye chehroon k deed ka
Rasta badal k chalne ki adat usay bhi thi

Us raat dair tak wo rahaa mahv-e-guftagu
Masruf main bhi kam tha faraaghat usay bhi thi

Sunata tha wo bhi sab se puraani kahaniya
Taza rafaqaton ki zarorat usay bhi thi

Mujh se bichhar ke sheher main ghul mil gaya wo shakhs
Halan k sheher bhar se raqabat usay bhi thi

Wo mujh se barh k zabt ka aadi tha, jee gaya
Warna har ek saans qayamat usay bhi thi

Asrar na jaan khud ko nakam k bad-zauq
Wo mana nahi par tujh se muhabat usay bhi thi

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:39 AM
MAAA
Umer Bhar Seene Se Laga Kar Pala Hai Maa Ne
Ghalat Batoon Pe Thora Thora Mara Hai Maa Ne

Abhi Tak Wo Bachpane Ki Yadein Hain Baqi
Aur Wo Bachpane Ki Batein Hain Baqi

Ke Jab Mein Ne Bola Tha Maa Pehli Baar
Maa Ki Aankhon Mein Bhara Tha Kitna Pyar

Paida Howa Tha To Kuch Nahi Tha Mein
Maa Ki Wajha Se Aaj Hoon Kya Kya Mein

Lalach To Kuch Nahi Meri Maa Ko Magar
Acha Ho Jo Dedoon Dil Tohfay Mein Agar

Maa Ko Choorte Hain Aise Kuch Log Hotay Hain
Phir Auroon Ke Liyay Wo Hamesha Sog Hotay Hain

Kuch Logoon Ke Liyay Maa Ko Choorte Nahi
Chahay Kuch Ho Jaye Moo Mortay Nahi

Maa Se Hamesha Hamein Sukh Milte Hain
Phir Bhi Us Ko Hamse Dukh Milte Hain

Kash Qurbaan Karoon Mein Sab Us Ki Sada Pe
Aur Wo Mujhe Pyar Karay Meri Issi Ada Pe


Maa Se Mujhe Meri Koi Juda Na Karay
Karoon Pyar Kissi Aur Se Khuda Na Karay

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:40 AM
mujhase tuu puuchhane aayaa hai vafaa ke maanii
ye terii sadaadilii maar na Daale mujhako.............!
kal kii baat aur hai main ab saa rahuun yaa na rahuun
jitanaa jii chaahe teraa aaj sataale mujhako..............!
tark-e-ulfat kii qasam bhii koi hotii hai qasam
tuu kabhii yaad to kar bhuulanevaale mujhako

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:40 AM
wafa ke waday wo saray bhula gaya chup chap
wo mere dil ki deewarein hila gaya chup chap
ghum e hayat ke taptay hoye bayaban mein
humhien chor ke wo tanha chala gaya chup chap
najanay wo kon sa wo badnaseeb lamha tha
jo ghum ki aag mein mujh ko jala gaya chup chap
mein jis ko chahta hon wo zakham deta hai
wo phool aese chaman mein khila gaya chup chap

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:41 AM
Ankhoon mein raha dil mein utar ker nahi daikha
kashti ke musafir ne sumander nahi daikha........!
pathar mujhe kehta hai mera chahane wala...........!
main mom hoon uss ne mujhe choo ker nahi daikha
yeh phool mujhe koi warasat mein mile hain
tum ne mera kantoo(n) bhara bistar nahi daikha
maa(n) baap ki jagir ho ya mehboob ki galyaa(n)
jo chod diya phir usey mod ker nahi daikha......!

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:42 AM
INTEZAAR to hai us shaks ko mera
halka sa ehsaas to hai be dard sahi
woh mera humraaz to hai woh aaye na aaye mere paas
lekin shidat se mujhe us ka intezaar to hai
abhi nahi to kya hua mil hi jayenge kabhi
mere dil main us se milan ki aas to hai
pyaar ki gawahi mere aansoon se na maang
barasti nahi aankhen magar dil uddas to hai

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:43 AM
Apne sath hi sada mujhko paaoge tum…!!

Thak jaao gar pathreele raaston pe chalte hue
Kabhi soch na lena ki wahan tanha ho tum
Moond kar palkon ko apni jo tum dekhoge
Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum

Har waqt bura kat jaat hai, yaqeen karna
Ankhon main kabhi tum ashk na bhar lena
Ghum barh jaaye, muskurahat khone lage
Apni duaaon main mujh ko paaoge tum

Ishq naam to nahin hai milan ka, deedar ka
Dil se dil ka mil jaana hai naam-e-mohabbat
Jo yaad aa jaaye meri, na samjhna ki door hoon
Apne seene main dhadakta mujh ko paaoge tum

Waqt ki garmi jo jhulsaane lage wujood
Meri chahat ki nami ko mehsoos karna
Jo sard hawaain zamane ki aane lagen paas
Meri wafaaon ki garmi ko mehsoos karna
Main tumse juda to nahin hoon mere humdum
Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum !!

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:44 AM
Kuch dil Se.......

Raaste badal jaate hain, manzilain badal jaati hain,

Kyun nahin badalte dil jo taqdeerain badal jaati hain

Dil wohi rehta hai, yaadon ki anginat karchaiyaan le ke,

Aankhon ki nami chupa kar, nazrain badal jaati hain

Rooh rehti hai har lamha ashkbaar, lab hanste hain,

Bahar aur andar ki kis tarah fizaain badal jaati hain

Koi hota hai rafta rafta zindagi se door, bohot door

Haathon ki yeh lakeerain kyun aksar badal jaati hain !!

Hani
12-01-2008, 01:44 AM
Asrar na jaan khud ko nakam k bad_zauq
Woh mana nahi par tujhse mohabbat usey bhi thi...............

Superub Collection...................:0028:

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:44 AM
Na jaanu main......



Jaane kya hai dil ke andar jo chupke se toot raha hai

Ek meherbaan ka haath jaise hathon se chooth raha hai

Lamha lamha guzar ke dafan ho raha hai seene main

Seh kar ye dard kuch ajab maza aane laga hai jeene main

Jaane yeh kis rehguzar pe qadam humne badhaaye hain

Jaana tha kis manzil par, jaane kis aor nikal hum aaye hain

Ek khalish hai dil ko ghere, ek ajab si khaamoshi chaayi hai

In chubhti tanhaaiyon main aaj yaad teri bohot aayi hai !!

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:45 AM
Asrar na jaan khud ko nakam k bad_zauq
Woh mana nahi par tujhse mohabbat usey bhi thi...............

Superub Collection...................:0028:



Thanks HANI JIII

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:45 AM
kuch bhi to naheen wesa
jesa tujhe socha tha
jitna tujhe chaha tha,
socha tha tere lab par
kuch harf duaaon ke
kuch phool wafaaon ke
mehkain ge meri khatir
kuch bhi to naheen wesa
jesa tujhe socha tha,
mehsoos yeh hota hai
dukh jhele the jo ab tak
benaam musaafat main
likhne ki muhabat main
parhne ki zaroorat main
besood reyaazat thi
befaiz ibaadat thi
jo khawaab bhi dekhe the
in jaagti aankhon ne
sab khaam khayaali thi
phir bhi tujhe paane ki
dil ke kissi goshe main
khawaaish to bacha li thi
lekin tujhe pa kar bhi
or khud ko ganwa kar bhi
is habas ke mosam ki khirki se hawa aayi
na phool se khushboo ki koyi bhi sada aayi
ab neend hai aankhon main
naa dil main wo pehli si taaza sukhan aaraayi
naa lafaz mere nikle
naa harf_o_muaani ki daanash mere kaam aayi
naadeeda rafaaqat main
jitni bhi azeeyat thi
sab mere hi naam aayi
kuch bhi to naheen wesa
jesa tujhe socha tha
jitna tujhe chaha tha

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:46 AM
teri yadoon ki mehak,
sath liye akser hum ,
door khuwaboo k jazeeray main uter jatey hain,
kyun k main janta hon,
hum aur tum
sirf khuwaboo main he mil saktey hain,
mainay socha hai is baar tumharay humraah,
aik aisi jaga utroonga,
aur tumhain apnay paas bitha ker,
aankho main aakhain daal ker,
bari himmat ker k tum say keh donga,
tumsay keh donga k tum meri ho
tum jo chahho to,
mera yakterfa muhabbat ko sahara dey do,
zindagi yun to bohut thori hai muhabbat k liye
tum jitna bhi piyaar mujhay dey sako sara dey do,
kuch to bolo,
kuch to bolo
kahin aisa na ho k sehar hotey he hum wapis us dunya mian lout jain
bus yehi chund khiyalaat liye
teri yadoon ki mehak sath liye
akser hum door khuwaboo k jazeray main uter jatey hian
kyun k hum aur tum sirf khuwaboo main he mil saktey hain

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:47 AM
Mujah ek bar keh dou bass
Tumhain mujh sai mohabbat hai
Main sari umar ki apni mohabbat ka
Sila is ko samajh loun ga
Yeh baqi zindagi sari betanai ko
Mohabbat ka woh ek lamha hi kafi hai
K Jis lamhai tumhain izhar karna hai
Tum in sadiyoun sai us lamhai ko chun laina
Main is lamhai main sadiyoun ko samoon doun ga

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:47 AM
Suna hay ab kay woh udaas rehti hai,
Us se kahon kay woh udaas na ho Kion kay!
Us ki udaasi k sath,
us ki aankhain bhee Num num si lagtee hain,
Us k honth bhee Chup chup say lagtay hain,
Us k yeh chup honth or num aankhain,
Meree kamzori hain,
Us se kaho!
Woh udaas na ho,
Jo woh chahti hai,
mujh se lay lay,
Be shak Chahay mujhay na,
apne munn pasand sathi k sang ho jaye,
Kion kay!
uski Udasi Meri Kamzori Hai

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:48 AM
jab bhi aati hai teri yaad kabhi shaam ke baad
aur barh jaati hai afsurdadili shaam ke baad

ab iraadon pe bharosa hai na tauba pe yaqeen
mujh ko le jaaye kahaan tashnalabi shaam ke baad

yun to har lamha teri yaad ka bojhal guzra
dil ko mahasus hui teri kamii shaam ke baad

yun to kuch shaam se pahle bhi udaasi thi '******'
ab to kuch aur barhi dil ki lagi shaam ke baad

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:49 AM
ai mohabbat tere anjaam pe rona aya
jaane kyon aaj tere naam pe rona aaya

yun to har shaam umeedon mein guzar jati thi
aaj kuch baat hai jo shaam pe rona ayaa

kabhi taqdir ka maatam kabhi duniya ka gila
manzil-e-ishq mein har gaam pe rona ayaa


jab hua zikr zamaane mein mohabbat ka '******'
mujh ko apane dil-e-naakaam pe rona aaya

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:50 AM
Main jis kay dil ki kitab banta
Main jis ki chahat ka khawab banta
Main hijar mosam ki lambi raaton main yaad
Ban kar azaab banta
Koi to hota?
Jo meri khwaish main uth kar raaton ko khoob rota
Dukhon ki chadar lapait kar hajoom duniya say door hota
Main rooth jaata manata mujh ko kay chahe mera kasoor hota
Koi to hota?
Jo mujh ko dil ka karar kehta
Ragoo ka apni fishar kehta
Udaas mosam main tazgi ki biyar ban kar
Jo meri bahoon ko arzoo ka diyar kehta
Koi to hota?
Dua say apni jo dukh bhi meray samait leta
Woh iss jahan say ghamon ka meray hisab leta
Woh sari duniya ki rafaqaton kay tamam rishtay
Koi to hota?
Main jis kay itna kareeb hota
Na paas koi rakeeb hota
Main tanha uss ka habbib hota
Yeh silsila bhi ajeeb hota
Koi to hota? KÄħH
Koi to hota?

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:51 AM
Akhir Kyun


Ye Tanhayi Ye Barbaadi
Mera Hi Muqaddar Kiyun
Kiyun Mujh Se Meri Har Khushi Roothi
Kiyun Ye Udaasi Azaab-e-JaaN Ban Ke Tooti
Kiyun Merey Hi Naseeb Mein Ye Kaali Siyaah Raatein Hain
Kiyun Maayoosiyon Ki Soghaatein Hain
Kiyun Aazmaayishon Mein Ghira Hua Hoon Mein
Kiyun Sunsaan Rahoon Mein Kharha Hua Hoon Mein
Kiyun Ye Baar Baar Kaheen Se Roshni Nazar Aati Hai
Dorhta Hoon Jab Us Taraf
Kiyun Mujh Ko Thaka Kar Kho Jaati Hai
Kiyun Ye Tanhaayi Ke ImtihaaN Meri Zindagi Hain
Kiyun Karabnaak Raaton Ke Azaab Meri Zindagi Hain
Kiyun Merey Hi Safar Ke Her Morh Pe Kayi Raastey Hain
Kiyun Ye Sab Ek Saath Hi Mujhey Pukaartey Hain
Kiyun Mein Her Awaaz Pe Dorh Parhta Hoon
Aur Phir Us Hi Morh Pe Aa Girtaa Hoon
Kiyun Ye Musaafatain Merey PeroN Ka Muqaddar Hain
Kiyun Sooni Meri Hi Saari Reh Guzar Hain
Kiyun Mujhey Manzil Ka NishaaN Nahee Milta
Kiyun Mujhey Jeeney Ka ArmaaN Nahee Milta
Kiyun Mein Bhattak Raha Hoon Taareek RaahoN Mein
Koi Kiyun Nahee Chupaa Leta Mujhey Apni BaahoN Mein
Kiyun Mujhey Koi Pukaar Ke Chup Jata Hai
Kiyun Meri Be Basi Pe Muskurata Hai
Aakhir Kiyun ?
Kiyun Meri Taraf Barh Ke Lot Jata Hai
Kiyun Phir Mujhey Kaheen Aur Se Sada Sunayi Deti Hai
Kiyun Kaheen Aur Se Ek Kiran Dikhaayi Deti Hai
Ye Saarey SARAAB Mera Hi Naseeb Kiyun
Aakhir Kiyun ?
Kiyun Merey Jism Se Ab Talak Lipti Ye Zeest Ki Zanjeer Hai
Kiyun Mujhey Wo Maut Nahee Deta Jo Kaatib-e-Taqdeer Hai
Kiyun Meri Hasti Ghamon Ke Samandar Mein Doobti Hai
Kiyun Meri Aankh Lahoo Ban Ke Rooti Hai
Kiyun Mujhey Apna Hi Pata Nahee Milta
Kiyun Mujhey Rastaa Nahee Milta
Koi Mujhey Bata De
Kab Tak Mein Apni Khushiyaan Khiraaj Mein Deta Rahoon Ga
Kab Tak Mein ArmaanoN Ki Chitaa Mein Sulagta Rahoon Ga
Aakhir Kab Tak Mein Manzilon Ka NishaaN Dhoondtaa Rahoon Ga
Kab Tak! Aakhir Kab Tak Roz Jeeta Roz Martaa Rahoon Ga
Koi To Merey Sawalon Ka Jawab De De
Koi To Ho
Koi To Meri Luti Hoyi Khushiyon Ka Hisaab De De
Kiyun AasmaaN Se Merey Liye Koi Naveed Nahee Aati
Kiyun Mujhey Nazar Koi Umeed Nahee Aati
Kiya Muflisi Hi Mera Jurm Hai
Kiya Ye Hi Wajah-e-Karb-o-Gham Hai
Kiya Maal-o-Daulat Hi Khushiyon Ke Khareedaar Hain
Kiya Isi Se Sajey Hoye Musarraton Ke Bazaar Hain
Kiya Isi Se Zindagi Mein SakooN Miltaa Hai
Kiya Isi Se Chahaton Ko JunooN Miltaa Hai
Kiya Ye Hi Hai Wo Sab Kuch Jo Kaamyaab Zindagi Ki Nishaani Hai
Kiya Ye Hi Hai Wo Chahat Jo Baaqi Reh Jaani Hai
Kiya Ye Hi Asal Kahani Hai
Kiya Ye Hi Her Ek Dukh Ka DarmaaN Hai
Kiya Ye Hi Manzil Ka NishaaN Hai
Koi Mujhey Bata De
Khuda Ke Liye Koi To Bata De
Kiyun Mujhey Bhataktaa Dekhtey Rehtey Ho
Kiyun Sulagtaa Dekhtey Rehtey Ho
Aakhir Tum Bhi To Jazbaat Rakhtey Ho
Phir Kiyun Mujhey Karb Mein Mubtilaa Dekhtey Rehtey Ho
Bilkta Dekhtey Ho, Sisaktaa Dekhtey Rehtey Ho
Kiyun Merey Haathon Ki Lakeeron Mein Koi Naam Nahee
Kiyun Meri Tammana'on Ko Kaheen Aaraam Nahee
Kiyun Merey Hi Khuwabon Ko Taabeer Nahee Milti
Kiyun Meri Iltijaa'on Ko Taaseer Nahee Milti
Kiyun Meri Hi Rooh Pe Taaziaaney Barastey Hain
Kiyun Meri Hasraton Ke Chiraagh
Muheeb SaayoN Mein Dhaltey Hain
Zabt Kho Chuka, Mein Bohut Jee Chukaa
Mein Haath Jorhey Kharhaa Hoon
Meri Zaat Pe Faqat Itnaa Karam Kar Do
Sirf Ek Baar, Bus Ek Baar Mujh Pe Rehm Kar Do
Mujhey Meri QABAR Ka Pata Bata Do

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:51 AM
Mujhay appnay zabat pay naz tha sar-e-bazam-raat yeh kia hoa
meari aankh keasay chalak gai yeh hay gham kay bura hoa

Meri zindagi kay charag ka yeh andaz koi naya nahi
kabhi teargi kabhi roshani na jala hoa na bhoja hoa

Aap keun na mujh ko samjh sakay yeh appnay app say pochiay
meari dastan-e-hayat ka hay warq warq khula hoa

mujhay dushman-e-jaan bhi pukhta kar-jafa milla
na koi zarab galat lagi na koi nishana khata hoa

mujhay hamsafar milla bhi to sitam zareef meri tarah
kai manzlon ka thaka hoa kai raston ka luta hoa

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:52 AM
kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hoee honton me dabee baat na pooch

mein jis ke waastay lar jaaon is khudae se
mujhay khud se hai pyaari yeh kis ki zaat na pooch

wo kis ada se mere saamnay se guzraa abhi
kis tarhan meinay sambhaly mere jazbaat na pooch

waqat jo badlay to insaan badal jaatay hain
kya nahi dikhlaatay yeh gardish-e-halaa na pooch

wo kisi ka ho bhi gaya or mujhay khabar na hoe
kis tarhan usnay churaya hai mujh se haath na pooch

Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaee hai me nay maat na pooch

ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:53 AM
Kaash ke mera kisee per aitebaar hota
Aitebaar na sahee yaqeen hee hota
Na janee kyoon marey iss yaqeen per
Nafratoon ki dhund chaa gaie
ke jis ke uss par rasta nahii milta
Kash ke amawas kee kali ratoon main
Umeed ka jugnoo...
merii nigha see aujhal na hota
Kya yeh behissi hai ya anna parastii
apnee zaat main anmool hone ka zoam
Ya apney aap ko thukra denee ka gham
kash ke mera mohabbaton per na sahii
Nafratoon per hi aitebaar hota
Kaheen door samandar main seepii ko
Rait key zarrey ka dard
yaa kisi chehrey per kerb key asaar
Kash ke mera zakhm se uthti hoi teesson per aitebaar hota
Na yeh be-hisi hai na ye anna-parasti
Shayad ke apne aap ko
thukhra denee ka ghamm
Kash ke mera apney app per aitebaar hota

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:54 AM
Aakhri ayyaam mein saarey hisaab likhoon ga
Mein bhi aik din kitaab-e-hayaat likhoon ga

Kahin khushi ka tazkara, kahin dukhoon ki dastan
Kitaab-e-zeest kay mei sarey hi baab likhoon ga

Kis tarha ham par shabaab aayaa tha
Kis tarha dhal gaya yeh aaftaab, likhoon ga

Terey hissey ki saari taabeerein
Apney ujrey jo khuab, likhoon ga

Dil kay har zakhm ko kuredoon ga
Chahatoon kay azaab likhoon ga

Terey faraaq mein jo mehw-e-khayaal guzrey hein
Woh aankhoon mein sajey saarey saraab likhoon ga

Jo baarha tashnagi barhaatey rahey
Woh mosamoon kay ataab likhoon ga

Haqeeqatoon sey mera waasta nahi...
Lagta hai saarey wehem-o-khuab likhoon ga

Hani
12-01-2008, 01:54 AM
kahan se miliein apko itni zabardast poetry?

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:54 AM
Aik Baat Kahoon Agar Suntey Ho
Tum Mujh Ko Achay Lagtey Ho
Kuch Chanchal Say Kuch Chup Chup Sey
Kuch Pagal Pagal Lagtey Ho
Hain Chahnay Walay Aur Bohut
Per Tum Main Hay Aik Baat Bohut
Tum Apnay Apnay Lagtay Ho
Aik Baat Kahoon Ager Suntay Ho
Tum Mujh Ko Achay Lagtay Ho
Yeh Baat Baat Pay Kho Jana
Kuch Kehtay Kehtay Ruk Jana
Yeh Kis Uljhan Main Rehtay Ho
Kia Baat Hay Hum Say Keh Dalo
Aik Baat Kahoon Ager Suntay Ho
Tum Mujh Ko Achay Lagtay Ho

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:56 AM
kahan se miliein apko itni zabardast poetry?



HANI JII Thanks for lyking my collection... its all my favt collection u can visit here anytime u will get somethin new always.. wesey 2day m free so bas poetry hi post ker raha houn... ;) u will get all my collection up here in next few hours n days also ;)

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:57 AM
Kaho woh dasht kesa tha?
jidhar sab kuch luta aye
jidhar aankhein ganwa aye
kaha selaab aisa tha, bohot chaha k bach nikloon magar sab kuch baha aye

kaho woh hijr kesa tha
kabhi chhoo ker ussay dekha
tu tum ne kiya bhala paya?
kaha bas aag jesa tha, ussay chhoo ker tu apni rooh, yeh tann mann jala aye

kaho woh wasl kesa tha?
tumhein jab chhoo liya uss ne
tu kiya ehsaas jaga tha
kaha ikk raastay jesa, jidhar se bas guzarna tha, makaa.n laikin bana aye

kaho woh chaand kesa tha?
falak se jo utar aaya
tumhari aankh mein basnay
kaha woh khwab jesa tha, nahee ta'beer thi uski, ussay ikk shab sula aye

kaho woh naam kesa tha?
jissay sehraao.n aur chanchal
hawaao.n per likha tum ne
kaha bas mausamo.n jesa, najanay kiss tarha, kiss pal, kisi ro mein mita aye.

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:57 AM
AA keh wabasta hein us husn ki yaadein tujh se
Jis ne iss dil ko pari khana bana rakha tha
Jis ki ulfat mein bhula rakhi thi dunya hum ne
dahar to dahar ka afsana bana rakha tha
Aashna hein teray qadmon se woh raahein jin par
us ki madhosh jawaani ne anaayat ki hei
Kaarwan guzrey hein jin sey usee ranaai key
jis kee in aankhon ne bay-sood ibaadat ki hei
Tujh se khailee hein woh mahboob hawaein jin mein
uss ke malboos ki afsurda mahak baaqi hei
tujh peh bhi barsa hei uss baam se mahtaab ka noor
jiss mein beeti hui raaton ki kasak baaqi hei
Tu ne dekhi hei woh paishaani woh rukhsaar woh hont
zindagi jin ke tasawwur mein luta di hum ne
Tujh pe uthi hein woh khoi hui saaahir aankhein
Tujh ko maaloom hei kyun umr ganwa di hum ne

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:58 AM
Yaadoon se rishta kal bhi thaa yaadoon se rishta aaj bhi hai
Dil kal bhi apna dukhta thaa aur afsurdaa sa aaj bhi hai
Woh ishq jo hum tum karte thay woh ishq tu zinda ab bhi hai
Kal tak jo hijar sataata thaa us hijar ka pehra aaj bhi hai
Tum door huye majboori mein hum toot gaye is doori mein
Kabhi waqt mile tu aa jaana dil ka darwaaza khula aaj bhi hai
Woh saahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde saahil per
Woh naam darakhtoon per likhna woh khwaab suhaana aaj bhi hai
Tum khush rehna dil ki duniya apni tu chalo barbaad hoi
Dil gham ka maara kal bhi thaa aur gham ka maara aaj bhi hai
Yeh ashk nahin hain aankhoon mein yeh taaray jhilmil karte hain
In aankhoon mein jo kal tak thaa woh chaand sa chehra aaj bhi hai
Ab shikwa kisi se kya karna taqdeer mein jo likha thaa mila
Gham kal bhi mera sarmaaya thaa gham mera warsa aaj bhi hai

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:59 AM
main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi
main toot-ta tha to chun kar sambhal rakhti thi

har aik maslay ka hal nikal rakhti thi
zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi

main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha
woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi

bas aik woh thi jisay ghaow main dikhata tha
bas aik woh thi keh jo andmal rakhti thi

woh mairay dard ko chunnti thi apni pooron say
woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi

woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main
mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi

duain us ki balaon ko rook laiti thin
woh mairay chaar soo hathon ki dhaal rakhti thi

ik aisi dhun kay nahi phir kabhi main nay suni
woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi

usay nadamatain mairi kahan gawara thin
woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi

bichar kay uss say main dunya ki thokaron main hon
woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi

sahar tha naam , ujalay ghulam thay us kay
woh zindagi kay andhairay ujaal rakhti thi

woh muntazir mairi rehti thi dhoop main shaid
main laut-ta tha to chaon nikal rakhti thi

Hani
12-01-2008, 01:59 AM
zaror read karonga because mujhe to kuch poetry copy bhi karni hy...

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 01:59 AM
tum mujh say poochtay ho
ka mujhe tum say piyar hai kitna
piyar ka na to koi wazan hai
aur na he koi qeemat
aur na he koi paemana
magar haaan!!!!!!!!
itna zaroor hai...
kay meri her raat mein
teri soochon ka mela lagta hai
her cheez tujhi say waabasta lagti hai
her chahrah teri he shabhi deta hai
her sans tere he naam say
mehkti hai meri
meri her ek dharkan tere naam ka
raqs karti hai
her qatrah khoon ka wajod mein
rawaan hai ragoon mein mere
tum is izteraab ko kiya naam do ge???????

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 02:05 AM
zaror read karonga because mujhe to kuch poetry copy bhi karni hy...

Zarooor Janab shoq se aapkey liye hi tu post ker raha houn...... keep visitin n enjoy.

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 02:06 AM
Teri Socho Mai Teri Soch Ke Mehver Mai Kiya Hai
Tu Mujh Se Sunn Teri Khudi Ki Tamanaa Kiya Hai

Mai Teri Rooh Mai Uttra Tha Kahan Kab Kaise
Tujhe Maloom Hai Sun-ney Ka Bahana Kiya Hai

Mai Terey Hijr Mai Sadiyan Guzaar Sakta Hon
Ye Chaar Din Ki Judayee Ka Nibhana Kiya Hai

Mai Teri Zaat Pe Khud Ko Bhi Waar Sakta Hon
ye Suraj Chand Sitaron Ka Lutana Kiya Hai

Apni Ulfat Ke Ek Lamhey Se Nawaz Mujhe
Us Ek Lamhey Mai Sadiyon Ka Guzar Jana Kiya Hai

Her Ek Jannam Mai Musalsal Mera Hasil
Tum Ho Terey Liye Faqat Ek Umr Lutana Kiya Hai

Meri Dua Mere Allah Tak Bhi Puhanchey Gi
Mujhe Zamii Ko Is Falaq Ko Hilana Kiya Hai

Meri Ankhon Ki Jheelon Mai Wo Izteraab Aaya
Ke Samander Ke Tufanon Ka Fasana Kiya Hai

Kahi Phir Se Na Ankhain Toot Barsain Sawan Si
Mujh Se Na Pooch Ke Ashkon Ka Fasana Kiya Hai

To Kisi Shajar Ke Ujjrey Hovey Pattey Se Pooch
Tujhe Ro Ro Ke Sunaye Ga Fasana Kiya Hai

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 02:06 AM
wo mere paas hai kia paas bulaoon us ko
dil main rehta hai kehan dhoondne jaon us ko

ajj phir pehli mulaqaat se aaghaz keroon
ajj phir door se hi dekh k aaon us ko

qaid ker loon usse aankhoon k naha khaane main
chahta hoon k kisi se na milaaon us ko

usse dniya ki nigahoon se keroon main mehfooz
wo wehaan ho k jehan dekh na paoon us ko

chalna chaahe to rekhe paaoon mere sine pe
bethna chahe to annkhooon pe bithaoon us ko

wo mujhe itna sabak , itna sabak lagta hai
kabhi gir jaaye to palkoon se uthhaoon us ko

mujhe maloom hai akhir to juda hona hai
lakin ik baar to sine se lagaoon us ko

yaad se us ki nahi khaali koi bhi lamha
phir bhi darta hoon kahin bhool na jaoon us ko

mujh pe yeh raaz isi aik hawale se khula
baat us ki hai mager kaise bataoon us ko

yeh mera dil , mera dushman , mera deewan dill
chahta hai ke sabhbi zakham dikhaoon usko

aaj too dhoop main taizi hi bohat hai warna
aapne saye se bhi ' ****** ' bahlaoon us ko

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 02:07 AM
aisi he sard shaam thi wo bhi
jab wo mahndi rachaye haathon mein
apni aahat ke khauf se larazaan
surKh aanchal mein muunh chipaaye hue
apne khat mujh se lene aai thi
us ki sahmi hui nigaahon mein
kitni khaamosh iltijaayein thien
us ke chehre ki zard rangat mein
kitni majburiyon ke saaye the
mere haathon se khat pakarte he
jaane kya soch kar achanak wo
mera shana pakar kar roi thi
us ke yaaqut rang honton ke
kap_kapaate hue kinaaron par
sainkdon(hundred) ankhe fasaane the
sard shaamon mein der tak aksar
jab ye manzar dikhai deta hai
ek lamha hinai haathon se
mujh ko apni taraf bulata hai
hum_nasheen ruth kar na jaa mujh se
aisi he sard shaam thi wo bhi

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 02:08 AM
main wohi hoon jisay tum pyar kiya kertey thay
din main so baar mera naam liya kerte thay
aj kya baat hai kion mujh se khafa bethey ho
kya kisi aur ko dil apna bana bethey ho
faslay itnay to pehlay na hoa kerte thay
main wohi hoon jisay tum pyaar kiya kertey thay
mujh ko maloom hai gham hai koi sogaat nahi
tum mujeh apna kaho aysay bhi haalaat nahi
aur ger bhool gaey ho to koii baat nahi
zakham to pehlay bhi is dil pe laga kertey thay
main wohi hoon jisay tum pyaar kiya kertey thay
jee main aata hai main aaj tumhain tarpa doo
dard jo tum ne diya hai woh tumhain lota doon
aur ger jurm na samjho to ye dohra doon
tum mujeh hasil-e-armaan kaha kertey thay
main wohi hoon jisay tum pyaar kiya kerty thay

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 02:09 AM
Jab Yaad Meri Aaye To Rukna Mat,
Mere Paas Laut Aana !!
Jab Raat Ka Diya Bhuj Jaye,
Or Kuch Saaf Nazer Na Aye...
To Derna Mat,
Mere Paas Laut Aana !!
Jab Bin Badal Barsat Ho Jaye,
Or Tumhien Raasta Na Mil Paye,
To Udaas Mat Hona...
Mere Paas Laut Aana !!
Jab Saans Ki Doori Toote,
Or Koi apna Tumhien Lotey,
To Mayyoos Mat Hona...
Mere Paas Laut Aana !!
Jab Dil Tumhara Toote,
Or Kisi Ka Sath Tum Se Chote,
To Aanso Mat Bahana...
Mere Paas Laut Aana !!
Apni Khushi Se Chor Ke Gayi Ho Tum...
Mere Jazbat,Pyar,Aitbar
Ko Tor Ke Gayi Ho Tum...
Phir Bhi Meri Yaad Agar Aaye,
Or Aankhien Tumhari Bher Ayein,
To Shermindah Mat Hona...
Mere Paas Laut Aana !!
Bas Itna Kehna Chahta Hoon,
Ke Hamesha Intizar Karoonga...
Is Kaeenat Se Ziada Pyar Keronga !!
Magar Jab Tumhien Meri Yaad Aaye,
To Rukna Mat...
Mere Paas Laut Aana !!

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 04:38 AM
Koi achi se saza do mujh ko
Chaloo aisa karo bhola do mujh ko

Tum se bichron tu maut ajaye
Dil ki gehraiyon se dua do mujh ko

Sukh Mein Tere Saath Chaalengay
Dukh Mein Sab Munh Morengay

Duniya Waale Teray Bankar Tera Hi Dil Toorengay
Dete Hain KHUDA Ko Dhokha Insaan Ko Kiya Chhoorengay

Mana ke har eik ki zindagi mein ghum ate hain magar
Jitne ghum mujhe mile utni meri umer na thi..

Mairi tarahan to bhi kisi bewafah se piyaar kare
Woh tujhe dil se bhoolade aur tu intezaar kare..

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 04:39 AM
usey anjaan raston se guzer jane ki khuahish thi
mohobat mein ammer hone ki , mer jaane ki khuahish thi
wo kehta tha jewan tergi hay
aur humein is tergi mein rang bherne hein roshni k
aurye hum ko mukhtiser se chand lamhe jo muyesar hain
ye lamhian humain mohobat se aabad kerne hain
kisi ko door sr dekhna aur kisi se baat kerni hay
jahan ye din guzar jaye wahin pe raat kerni hay
wo kehta tha mohobat ka koi mosam nahi hota
ye her mosam ka jazba hay jo kabhi kam nahi hota
adhoori si mohobat hay,humein takmeel kerni hay
mohobat ko naye dhabb se baser kene ki khuahish usey shab bher jagaati hay
najane konsi chahat usey her pal bulaati hay
shanasa tha per her ik se bohot anjaan rehte the
bohot aabad tha lakin bohot weraan rehta tha
usey her shakhs ko heraan ker jane ki khuahish thi
mohobat mein ammer hone ki , mer jane ki khuahish thi

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 04:40 AM
Aik waham tha dil main
Shayad kabhi milo tum
kuch dair ruk ker poocho
beetay dinoon ka moosam
aawaz main ho larzish
aankhoon main ho tajassus
Mazay ka koi lamha
shayad atak gaya ho
sab bhool ker bhi shayad
kuch yaad agaya ho
phir main tumhain bataoon
apni khushi ki baatain
har dukh ko chupa ker dil main
aasoodgi ki baatain
wo chand chudhween ka
taroon bhari wo aankhain
dilkash haseen shamain
maasoom wardatain
wo piyaar ka tasawwor
wo bandagi ki batain
Wo rooz rooz marna
Aur zindagi ki baatain
Tum dukh say muskurao
Dheeray say muskurao
Dheeray say paas aao
Sar ko jhuka kay apnay
Chup chaap loot jao
Phir main bhi muskuraon
Maan kay diyay jalaon
Duhraon apnay dil main
Taa'luq say haqeeqat
Aik khuwab zindagi ka
Haan umer bhar jo daikha
Kabhi ho saka na pora
Younhi rah gaya adhoora
Aik khuwab-e-zindagi tha

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 04:40 AM
chalo kuch dair intezaar karein
shayed kai us kai dil sey bad gumani ki barf pighal jaye
shayed kai us ki ana ka sooraj aik din dhal jaye
shayed kai woh kuch ham sey milney ko machal jaye
chalo kuch dair intezar karein
ho skata hai woh ana ki deewar gira daley
ho sakta hai woh aihd-e-dosti nibha daley
ho sakta hai woh hamein aakhree bar bula daley
chalo kuch dair intezar karein
mumkin hai apni qismat main bhi koi kamal ho jaye
us ka dil bhi hamaree tarah dard sey be haal ho jaye
khushiyoun ki aarzoo main dard sey nidhaal ho jaye
chalo kuch dair intezar karein
muqadar ki tareek ratoun kai janey ka
us bichrey dost kai lout aaney ka
us ko bhi khayal aaye hamein mananey ka
chalo kuch dair intezar karein
kuch dair aur khud ko be qarar karein
chalo tumharey liye shikast ka iqraar karein
chalo kai phir tajdeed-e-dosti aik baar karein
chalo kuch dair intezar karein

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 04:42 AM
Yeh mumkin hai ke hamaray darmiyan koi
Galat fehmi bhi na rehti...
Jo apne dil mein Choti si..
Khalish hai... Kham ho jati
Bata daitaa ke mujh ko aaj bhi us ki zarorat hai
Jo is Jewan ka hasil hai...
to bus Us ki Mohabaat hai.
Bata daiata ke logon ki sabhi bateein fasaney hain
sabhi qiseey puraneey hain....
Mein keh daita....
Zara si baat per yoon rothna !! Acha nahin hotaa
Mohabat kerney walon mein..
Galat fehmi to hoti hai..
Par................Jhagra nahin hotaa..
Mein har eik baat keh daitaa
Khalish bhi door ho jati
Mein is ka hath pakrey hi
Use ki Hamqadam hotaa..
Woh agee hath to kertaa!!!!!
Woh mujh se baat to kertaa!!!!!.................

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 04:42 AM
kia baat kahon un ankhon ki
jin ankhon pe main marta hoon

woh ankhen jheel si ankhen hain
jin main doob ke rooz ubherta hoon

mujhe dekhne ke liye uthiti hain
miltey hi nazar woh jhuktin hain

sare jahan main aesi ankhen nahi
jin ankhon pe main marta hoon

in ankhon main koi ansoo na aee koi
kabhi koi gham na pass aae koi

sada muskuratin rahen ye
har dam ye dua main karta hoon

kia baat kahon un ankhoon ki
jin ankhon pe main marta hoon

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 04:43 AM
Too Nahin To Zindagi Mein Aur Kya Reh Jaayega
Door Tak Tanhaaeeyon Ka Silsila Reh Jaayega

Dard Ki Saari Tahe Aur Saare Guzre Haadse
Sab Dhooan Ho Jaayenge Ik Faakeya Reh Jaayega

Yun Bhee Hoga Wo Mujhe Dil Se Bhula Dega Magar
Ye Bhee Hoga Khud Usee Mein Ik Khala Reh Jaayega

Daayre Inkaar Ke Iqraar Kee Sargoshiyaan
Ye Agar Toote Kabhee To Faaslaa Reh Jaayega

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 04:43 AM
Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Si Beth Jati Hai
Khud Bhi Jalti Hai Mujhey Bhi Saath Jalati Hai

Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To
Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manati Hai

Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deti Hai
Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunati Hai

Us Ek Pal Ke Sadqey Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurati Hai

Subh Ki Kiran Lagti hai Zindagi Se Piyari Lagti Hai
Meri Bahon Mein Aatey Hoye Jab Wo Bohut Sharmati Hai

Meri Yaad Ke Mausam Ko Palkon Pe Sajaye Rakhti Hai
Beetey Hoye Her Pal Ki Khabar Mil Kar Mujhey Batati Hai

Merey Bagher Kesey Guzri Us Ki Kal Ki Raat
Us Ki Aankh Ka Phela Kajal Saari Kahani Sunati Hai

Is Shehar Ke Sawan Mein Barish Ki Raat Jab Aati Hai
Be Ikhtiyaar Hi Ek Shakhs Yaad Bohut Aa Jata Hai

Mein Us Ke Naam Ki Nisbat Se Mooatbar Hun Apni Zaat Mein
Merey Kahayl Ka Her Ek Saaz Geet Usi Ke Gati Hai

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 04:46 AM
Kuch Dil Se............


Muhabatoon mein her ek lamha wisaal ho ga ye tay hua tha,
Bicher ke bhi ek doosre ka khayal ho ga ye tay hua tha,


Ye kya ke sansein ukher gayi hain, saffer kay aaghaz sey hi yaro,
Koi bhi thuk ker na raastey mein nidhaal ho ga ye tay hua tha,


Wohi hua na badaltay mausam mein tum ne hum ko bhula dia na
Koi bhi rot ho, na chahatoon ko zawal ho ga ye tay hua tha,


Juda huey hain tu kia hua ke yahi to dastoor-e-zindagi hai
Judaiyon mein na qorbatoon ka malal ho ga ye tay hua tha,


chalo ke ab sari kashtiyon ko jala dein gumnam sahailoon per,
ke ab yahan say na wapsi ka sawal ho ga ye tay hua tha,

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 04:47 AM
Jo bhi dukh yaad na tha yaad aaya,
Aaj kya janiye kya yaad aaya,

Phir koi haath hai dil par jaise,
Phir tera ahd-e-wafa yaad aaya,

Jis tarah dhund mein lipte hue phool,
Ek ek naksh tera yaad aaya,

Aisi majboori ke aalam mein koi,
Yaad aaya bhi to kya yaad aaya,

Yaad aaya tha bichhadna tera,
Phir nahi yaad ke kya yaad aaya,

Jab koi zakham bhara daag bana,
Jab koi bhool gaya yaad aaya,

Ye mohabbat bhi hai kya rog,
Jisko bhoole woh sada yaad aaya..!!!

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 04:49 AM
Yeh mumkin hai ke hamaray darmiyan koi
Galat fehmi bhi na rehti...
Jo apne dil mein Choti si..
Khalish hai... Kham ho jati
Bata daitaa ke mujh ko aaj bhi us ki zarorat hai
Jo is Jewan ka hasil hai...
to bus Us ki Mohabaat hai.
Bata daiata ke logon ki sabhi bateein fasaney hain
sabhi qiseey puraneey hain....
Mein keh daita....
Zara si baat per yoon rothna !! Acha nahin hotaa
Mohabat kerney walon mein..
Galat fehmi to hoti hai..
Par................Jhagra nahin hotaa..
Mein har eik baat keh daitaa
Khalish bhi door ho jati
Mein is ka hath pakrey hi
Use ki Hamqadam hotaa..
Woh agee hath to kertaa!!!!!
Woh mujh se baat to kertaa!!!!!.................

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 04:50 AM
Yeh wafa bhi kya khata hai mujhe sochna parhe ga
Usse mujh se kyun gila mujhe sochna parhe ga

Dil e muztarib hua hai teri yaad se gurezaan
Yeh maqaam kaun sa hai mujhe sochna parhe ga

Woh mile to beqaraari hai na mile to beqaraari hai
Mere Dil ko kya hua hai mujhe sochna parhe ga

Dar -e- Dil pe di hai dastak sahb -e- intezaar kis ne
Koi aashna sada hai mujhe sochna parhe ga

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 04:51 AM
"BEWAFAII KI YEH INTEHA HOGAYEE
ke tujhse juda hokar bhi jeeney ki aadat hogayee

tum laut ke aaogey humsey milney
roz dil ko behlaney ki aadat hogayee

terey waadey pe kya bharosa kiya humney
keh shab bhar tera intezaar karney ki aadat hogayee

khushi mein bhi hum kya muskuratey keh
teri judaai mein roney ki aadat hogayee

kaafiley nikal gaye humein chhor keh
keh ab tou tanha safar ki aadat hogayee

har morh par mili ghum ki parchhaiyaan
zindagi se samjhota karney ki aadat hogayee

jaantey thay keh nahi hosaktey kabhi tum hamarey
phir bhi khuda se tujhey maangney ki aadat hogayee

paiman-e-wafaa kya hai humey kya maloom *******
keh bewafaaon se dil laganey ki aadat hogayee

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 04:52 AM
Mein bhool jayoon tumhein ab yehi munasib ha
Gar bholana bhi chahoon tu kis tarah bholoon
Ke tum tu phir bhi haqeeqat ho,koi khuawab nahin
Yahan tu dil ka ye aalum ha kya kahoon kambhakht
Bhola saka na ye wo silsila,jo tha he nahin
Wo ek khayal jo awaz taak gaya he nahin
Wo ek baat jo mein kah nahin saka tum say
Wo ek rubt jo hum mein kabhi raha he nahin
Mujhe ha yaad wo sub jo kabhi howa he nahin
Agar ye haal ha dil ka tu koi samjhaye
Tumhein bhulana bhi chahoon tu kis tarah bhoolon
Ke tum tu phir bhi haqeeqat ho koi khawab nahin

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 04:53 AM
Chehra mera tha, nigahain uss ki
Khamoshi main bhi woh batain uss ki
Mere chehre per gazal likhti gaen
Sher kehti hui aankhain uss ki
Sookh lamhon ka pata dene lageen
Tez hoti huen saansein uss ki
Esse mosam bhi guzare hum ne
Subhein jab apni thein, shamein uss ki
Neend iss soch se tooti aksar
Kis tarha kat tein hain raatein uss ki
Dur reh kar bhi sada rehti hain
Mujh ko thaame hue banhein uss ki!

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 04:54 AM
Muhabbaton Kay Diay Roh Main Jalata hai
Tumhara Qarb Meray Saray Ghum Mitata Hai
Yeh Aik Hum Hain Jo Teray LIay taraptay hain
Yahain Kisi Kay Liay Kon Ghum uthata Hai ?
Meray Dukhoon KAy samandar saY us ka Kia Rishta ?
Woh Sirf Apni Hi Rodawad-e-Ghum Sunata hai
Wagarna Shiar-e-Sukhan say Hamara Kia Nata !
Hamaray Zehan Main Aik Naam Jagmagata Hai
Agar Woh Rotay Tu Karta Hon Minatin Uss Ki
Agar Main Rooth Jaon Tu Woh Kab Mujhe manata Hai !
Meri Wafa Pay Abhi Tak Yaqeen Nahi hai Us Ko
Mera Rafeeq Mujhe Ab Bhi Azmata hai
Yeh Kis ka naam darakta hai Meri Sansoon Main
Yeh Kon Hai Jo nay RastaY Dekhata hai ?
Ussi Ki Rahatin Mujh Ko Aziz Hain
Woh Aik Shaks Jo Har Pal Mujhe Rulata Hai

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 04:55 AM
Tute huye dilon ki dua mere saath hai
duniya teri taraf hai Khudaa mere saath hai

avaz ghunghron ki nahi hai to kya hua
saagar ke Tuutne ki sada mere saath hai

tanhai kis ko kehte hain mujhko pata nahi
kyaa jane kis hasin ki dua mere saath hai

paimana samane hai to kuchh Gam nahin "*******"
ab dard-e-dil ki koi dava mere saath hai.

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 04:58 AM
Wo apni hai ya begani.. achha lagta hai,
Do pal uske saath bitana.. achha lagta hai,
Roz bahane kar ke jana.. achha lagta hai,
Ik jhalak bhi uski pana.. achha lagta hai,
Kahne ko jab chaanhu.. haan kar degi wo,
Lekin phir bhi uska.. na na achha lagata hai,
Uski baat kuchh alag hai.. mujhko kuchh bhi kah le,
Aashiq, pagal ya deewana.. achha lagta hai,
Usko log shama kahte hain.. muskati hai wo,
Mujhko kahte hai parwana.. achha lagta hai,
Rishta hai na jane.. mera usse kaya,
Mere khawabo me bhi uska aana.. achha lagta ha

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 04:58 AM
WAAHMA (Doubt)
Tu her ik baat pay hans daiti hey
or meiN sooch meiN parr jata hooN
Yeh teri saad-o-masoom hansi
ankh ki bhool, sama'at ka fasooN
teri aadat, tera andaz na hoo
Bay takaluf teray hoontooN ki chatak
meri khush fehmi ka ijaz na hoo
Mein sarabooN koo b dariya samjooN
tu fakat shouk ki parwaz na hoo

Tu her ik baat pay hans daiti hey
or meiN sooch meiN parr jata hooN
Yeh teri sada-o-baybak hansi
meiN jisay khawb say taabeer karooN
woo haqeeqat meiN koi raaz na hoo
teray bay-sakhta hansnay ki adda
teri tunhaee ki awaz na hoo
Mein jisay husan-e-tabeeat janooN
teray jazbaat ki ghumaz na hoo

Tu her ik baat pay hans daiti hey
or meiN sooch meiN parr jata hooN
Yeh teri sada-o-purkar hansi
meri hasti, meri duniya ka sakooN
kisi toofan ka aghaz na hoo
Mein mohabat ki talab ka mara
tu faqat husan-e-nazar baaz na hoo
Yeh na hoo, meiN tu soo-aymber jeetooN
or teray Qasar ka dar baaz na hoo

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 04:59 AM
zindagi kiya hai ye likhta hoon batane ke liye
har koi shakas yahaan aata hai jaane ke liye

har bashar apne muqadar ka hai katib lakin
apni qismat pe bigarta hai bahane ke liye

main nahi maanta dastoore zamana jo hai
maanta hoon main har ik baat zamane ke liye

koun jaana hai mere dard ki gehraayoun ko
muskurata hoon haqeeqat ko chupane ke liye

jo mohabat ko sakoon kehte hain dewaane hain
piyaar hota hai faqat dil ko jalane ke liye

waqat har zakham ko bhar deta hai chalte chalte
maai zaroori nahi har baat bhulane ke liye

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:00 AM
Aao Hum Tum Wafa Karain
Wafa Mushkil Hi Sahi
Na Mumkin Tu Nahi

Wafa K Phool Khiltay Hain
Agar Un Ko Tamnna Ki
Dhoop Milay

Aao
Umeed e Aaftab Ko Dhonday
K Dhondna Mushkil Tu Nahi

Aao Hum Tum Wafa Karain
Wafa Mushkil Tu Nahi

Aao Aitmad Karain
Aitmad Karna Mushkil Sahi
Na Mumkin Tu Nahi

Aao Hum Tum Wafa Karain
Wafa Mushkil Hi Sahi
Na Mumkin Tu Nahi

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:01 AM
Yeh aankhain bhi ek dariya bahati hain
Sab jaanta hoon magar phir bhi ...
Kyun tumko bhula nahin paata...
Is dil se teri tasveer hata nahin paata....
Muskurane ki koshish karta hoon lekin
Ankhon ke motiyon ko chupa nahin paata...
Jab sochta hoon ki ..
Tum ho kisi aur ka muqaddar
Jalan si hoti hai jise mita nahin paata....
Jab barasta hai saawan toot ke kahin...
Yeh aankhain bhi ek dariya bahati hain....
Sulagti hai rooh teri ek jhalak ko.....
Is khwaaish se main dil ko bacha nahin paata...!!!

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:01 AM
"Mana Ke Ab Ke Shayad Tabiyet Badal Gayee
Kaisay Kahien Ke Uss Ki Mohabbat Badal Gayee

Bay Sakhta Charagh Ko Mainay Bujha Diya!!!
Tareekiyoon Se Meri Adawat Badal Gayee

Aayee Bahaar Tou Sab Chehray Uter Gaye
Lagta Hai Meray Shehar Ki Aadat Badal Gayee

Mausam Ki Dil Kashi Ka Shayad Sabab Tha Woh
Woh Kia Badla Kay Harr Rutt Badal Gayee

Kab Khatam Huaa Hai Yahan Imtahan Mera
Itna Zaroor Hai Ke Wehshat Badal Gayee

Palkoon Mein Chupalay Ashkoon Ko Sikander Ab
Kay Barish Main Bheegnay Ki Riwayat Badal Gayee

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:02 AM
Ab Agar Lout Kar Aatey Ho To Kis Liye?
Ab Agar Mujhe Apna Banatey Ho To Kis Liye?

Dil Ki Har Dharkan Mein Basaya Tha Tujhe
Ab Agar Tum Dil Ko Jalatey Ho To Kis Liye?

Har Waqt Muntizar Rehti Thi Aankhain Meri,
Ab Agar Tum Saamney Atey Ho To Kis Liye?

Tujhe Paaney k Saarey Khuwaab To Toot Chukay,
Ab Agar Tum Sapney Sajatey Ho To Kis Liye?

Zamana Thukraya Tha Tere Pyar Ki Khatir
Ab Agar Tum Jaan Lutatey Ho To Kis Liye?

Ek Arsa Khoon k Aansoo Rulaya Hai Mujhey,
Ab Agar Tum Ashak Bahatey Ho To Kis Liye?

Roshni Ki Tamana Thi Or Andhera Mila Mujhey,
Ab Agar Chiraagh Jalatey Ho To Kis Liye?

Zindagi k Safar Mein Tanha Tha Main *******,
Ab Agar Tum Hamsafar Banatey Ho To Kis Liye?

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:03 AM
Aaj Tum Mujh Se Poochti Ho K Kon Hoon Main
Ek Din Iska Jawab Zamanay Se Dila Doon Ga Main


Aaj Mere Chehrey Ko Kuch Bhool see Gaye Ho Tum
Ayeney Mein Dekho Ge Tu Khud Ko Dikhla Doon Ga Main


Aaj Tum Sahil Per Khari Dekhti Ho K Main Tufan Mein Hoon
Ger DooB Gaya Tu Wajood-e-Sager Ko Hila Doon Ga Main


Aaj Yeh Naaz Hai Khud Per K Tumhein Chahta Hoon Main
Tumhari Yadein, Batein Sabhi Kuch Bhula Doon Ga Main


Aaj Yeh Teri Yaad Dilatey Hain Bohat Rulatay Hain Mujhe
Ik Na Ik Din Tere Khat Teri Chokhat Pe Jalaa Doon Ga Main

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:04 AM
chalo aaj rasme-a-mohabbat kuch yun nibha di jaaye
dil ki baat aaj labo se ki jaaye.............

likh do tum apna naam mere gore badan per apni ungaliyon se
aaj kyu na ek nayi shararat ki jaaye..........

mile jab saanse saanso se hokar purnam
aao un saanso ki mehak aaj labo se pee jaaye............

kar rahi hai sargoshiya.n kuch behati si hawa
aaj sawan ke badalo mein bheeg kar mohabbat ki jaaye

dekha hai teri aankho mein bhi kuch betabiyo.n ko
kyo na aaj en betabiyo.n per ek kahaani mohabbat ki likhi jaaye

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:05 AM
Mumkin hey teray baad b ayee hooN baharaiN
Gulshan meiN teray baad tu ja kar nahiN daikha

Yeh tu mumkin hey k woo saath rahay, baat na hoo
Yeh bhala kiyooN hoo k woo baat karay, dil na dukhay

Kuch tu hotay heiN mohabat meiN janooN k assar
or kuch loog b dewana bana daitay heiN

Tujhey kia kahabar k kaisay mujhey gham hee gham mila hey
Tujhey kia sunaooN kaisay mera dil hee bujh gaya hey

Woh kabhi apni jaffa pay na hooa sharminda
Hum samajtay rahay "pathar b pigal jatay heiN"

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:05 AM
Zindegi Youn Hoi Basar Tanha
Qaafla Saathh Aur Safar Tanha

Apnay Saye Se Chonk Jaatay Hain
Umer Guzri Hai Is Qadar Tanha

Raat Bhar Boltay Hain Sannatay
Raat Kaatay Hoi Kidhar Tanha

Din Guzarta Nahin Hai Ro Ro Ke
Raat Hoti Nahin Basar Tanha

Hum Ne Darwazay Tak To Daikha Tha
Phir Na Janay Gaye Kidhar Tanha

Zindegi Youn Hoi Basar Tanha
Qaafla Saath Aur Safar Tanha!

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:06 AM
Yeh Ek Piyara Sa Jo Rishta Hai..
Yeh Ek Piyara Sa Jo Rishta Hai
Kuch Mera Hai, Kuch Tera Hai

Kahen Likha Nahin Kahen Parha Nahin
Kahen Dekha Nahin, Kahen Suna Nahin

Phir Bhi Jana Pehchana Hai
Kuch Mera Hai, Kuch Tera Hai

Kuch Masum Sa, Kuch Ulbela
Kuch Apna Sa, Kuch Begana

Kuch Chunchul Sa, Kuch Shurmila
Kuch Sukh Sa, Kuch Sunjida

Kuch Uljha Howa, Kuch Suljha Suljha
Kuch Masti Bhara, Kuch Khafa Khafa

Kuch Mera Hai Kuch Tera Hai
Yeh Piyara Sa Jo Rishta Hai

Kabhi Kari Dhoop Main Saya Hai
Kabhi Andheri Raat Main Jugnu Hai

Kabhi Bin Badal Barsaat Hai
Kabhi Bhatkee Hawaon Ka Reh-Bur Hai
Kabhi Rasta Hai, Kabhi Manzil Hai

Kuch Mera Hai Kuch Tera Hai
Yeh Piyara Sa Jo Rishta Hai

Kabhi Dhagay Say Isay Bandha Nahhin
Kabhi Ehad-o-Paiya'n Main Jukra Nahin
Kabhi HaQ Bhi To Apna Jutaya Nahin

Phir Bhi Yeh Kitna Piyara Hai
Jisay Hum Nay Sachey Moti Ki Tarha
Dil Ki Sepi Main Qaid Kiya
Sub Ki Nazron Say Dhanp Liya

Kabhi Maan Diya, Kabhi Aitbar Kiya
Sub Kuch Hi Is Par War Diya

Kuch Mera Hai Kuch Tera Hai
Yeh Piyara Sa Jo Rishta Hai.

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:07 AM
Deewaron se mil kar rona acha lagta hai
Hum bhi pagal ho jaengay aisa lagta hai

Duniya bhar ki yaadain humse milnay aati hain
Shaam dhalay is soonay ghar main mela lagta hai

Kitnay dinon k piyasay hongay yaaron socho toh
Shabnam ka qatra bhi jin ko darya lagta hai

Kis ko "*******" pathar maroon kon paraya hai
Sheesh mahal main ik ik chehra apna lagta hai

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:07 AM
MeiN tujhey chahta nahiN laiken

Phir b jub pass tum nahiN hootiN
Khud koo kitna oodas pata hooN
Gum say apney hawas pata hooN
Janay kia dhun samayee rehti hey
ik khamooshi see chayee rehti hey
Dil say b guftgoo nahiN hoti
Phir b jub pass tu nahiN hoti

MeiN tujhey chahta nahiN laiken

Phir b shab ki taveel khalvat meiN
Teray oukat soochta hooN meiN
Teri her baat soochta hooN meiN
Kon say phool tuj koo bhatay heiN?
Rung kia kia pasand atay heiN?
Khoo sa jata hooN teri janat meiN
Phir b shab ki taveel khalvat meiN

MeiN tujhey chahta nahiN laiken

Phir b ehsas say nijat nahiN
Soochta hooN tu runj hoota hey
Jaisay dil koo koi daboota hey
Jis koo is darja chahta hooN meiN
Jis koo itna sarahta hooN meiN
Us meiN teri see koi baat nahiN
Phir b ehsas say nijat nahiN

MeiN tujhey chahta nahiN laiken

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:08 AM
Mujh ko ik hamdam mila tha,ik safar ki raat main
Main bohat baykhud hoa tha,ik safar ki raat main

jany kis ki yaad thi k ik manzar dekh kar
toot kar main roo para tha!ik safar ki raat main

Woh k jis sayy umar bhar ki Doryian mansoob hain
Mery seenay sy laga tha ik safar ki raat main

Har taraf phaily hoye thy yaad-e-gham k silsilay
Kitna mushkil raasta tha, ik safar ki raat main

ghar sy bahar paon rakhty hi Laraz uth-ta hai Dil
Hadsa aisa hoa tha Ik safar ki raat main

Aaj bhi Gungunata hon usy tanhai main
Geet jo humny suna tha Ik safar ki raat main

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:16 AM
DHARKAN,,

Na raasta sujhayi deta hai

Na manzil dikhayi deti hai

Na lafz zubaan per aate hain

Na dharkan sunayi deti hai

Ek ajeeb si kaifiyat ne

Aan ghera hai mujhe.....

Ke her surat main ......

Teri surat dikhayi deti hai

Yeh milna aur bicharr jaana

Kab apne bas ki baat hai

Kismat hi milati hai hum ko

Kismat hi juddai deti hai

Her baar yeh hi hota hai

Koi humain bataye to sahi

Jo tum se nahi keh paate hain

Dharkan se sunayi deta hai

Tum jaante ho kya tum se kahen

Bechain bohat Dil hota hai

Jab paas nahi hote ho

Door saari KHUDAYI hoti hai

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:16 AM
Haseen titliyoun ko sataya nahin kertey
Kabhi pariyoun say dil lagaya nahin kertey

Zulm kertey hain aksar yehi husan walay
In ko chahat ka naghma sunaya nahin kertey

Tor deytey hain dil ko sada hi situmger
Or waja beywafee bhi bataya nahin kertey

Mehektey rahay hain yeh dil kay chaman main
Mager in pay haq bhi jataya nahin kertey

Jalna hay ulfat ki rasmoon main lakin
Perwanay shama ko bujhaya nahin kertey

Mohabbat hay kya yeh humm say poocho
Kabhi rah-e-wafa ko bhulaya nahin kertey

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:18 AM
ya charagh chahtoon k
jo hawa main jal rahay hain
inhain kub talak sambhalain
chalo phir say tooor dalain
wo tamam ehd-0-paymaan
k main tujh main jee raha hoon
k to mujh main bus raha hai
chalo phir say sochtay hain
k amin tujh say na shanasa
k to mujh say ajnabi hai
wo jo rasm_e_doosti hai
wo rahay to jaan salamat
na rahay to phir bhi janaan
tayra ghum sanbhlnay ko
abhi zindagi pari hai

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:19 AM
kucch to apnee nishaaneeyan raakh jaa
in kitaabon mein titliyaan rakkh jaa

log tanha na laut jaayein kaheen
tu raaston mein kahaaniyan rakkh jaa

ho raha hai agar juda mujhse
meri aankhon pe ungliyaan rakkh jaa

aaj toofan bhi akelaa hai
tu kinaaron pe kashtiyaan rakkh jaa

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:20 AM
meri ajab hai zindagi kisi se kya gila karun
taqdeer ruth jaye to mere khuda mein kya karun
halat ne naseeb ne gham bhar diye hain is kadar
na manzilon ki kuch khaber, mein karwan ko kya karun
mil jaye doobne se bhi akhir to ek sahil kaheen
toofan ki hai arzoo toofaan ki duwa karun
manzil ki thi talash to gard e safar mili mujhe
ankhein baras parein meri kali ghata ko kya karun

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:21 AM
Dil Hay kay tere yaad say ghafil hi nahi hota
kia meray terapnay ka tujhay ehsaas hi nahi hota
aa dekh kia beeti hay teray deewany per
heyat baykeif ka pemana khatam hi nahi hota
din hay kay kat jata hay fursat mein kisi tour
raat hoti hai kay talluay shams hi nahi hota
mumkin hay kay bholay say kabhi yaad na kya ho ga
tu bata kay tujhay mere yaad hay kay kabhi tu tenha hi nahi hota

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:23 AM
Kaha us ne,
mujhay "tab" waqa'i tum se mohobbat thee,
kaha main ne
mujhay to aaj bhee tum se mohobbat hai,
wo "tab" kee baat kartee hai,
main "ab" kee baat karta huuN
magar jo faasla "tab" aur "ab" k darmeyaN haa'el hai
wo ham se tu milkar bhee sameta ja nahiN sakta
wo ab tak aa nahiN saktee
main tab ko paa nahiN sakta!

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:24 AM
Kaha tha na
Mujha Iss Tarha Sotay howae Mat Chor kar jana
mujhe baeshak jaga daena, bata daena
keh mohabat keh safar mein saath meray chal nahin saktein.
Judai keh Safar mein saath meray chal nahin saktein
tumhein rasta badalna hai..
Meri Hud sae nikalna hai..
Tumhein kis baat ka dar tha
Tumhein jane nahin daeta.. kahin par qaid kar laeta..

Aray pagli, Mohabbat ki tabiyat mein zabardasti nahin hoti..
Jisae rasta badalna ho, osae rasta badalnay sae..
Jisae hud sae niklna ho, oosae hud sae nikalnae sae..
Na koi rok paya hai , Na koi rok payae ga..

tumhein KIS baat ka dar tha..
Mujhe baeshak jaga daetae,
Mein Tum ko daekh hi laeta, Tumhein koi Dua daeta.
Kamazkam yeh toh na hota
Meray saathi haqiqat hai,
tumharae baad khonae ko kuch nahin baqi...

Magar mein Ab khonae sae darta hon..
Mein ab sonae sae darta hon..................Mein Ab Sonae Sae Darta Hon..

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:26 AM
~*~Tum jaa to raheho~*~




tum jaa to rahe ho par itna to bata do
is dil se kya kahun ise kaise samjaun
is ke totne ki awaz to na ayegi tumhe
par uske tukdon ko le kar mai kahan jaoon


tum jaa to rahe ho par itna to bata do
un yaadon ka mai kya karun
tumhare likhe khaton ko main kahan jalaun
kisey baar baar sataoon kisey manaoon


tum jaa to rahe ho par itna to bata do
meri siskiyon mein bhi tumhara hi naam hai
in ashkon ko mai kahan chhupaun
tum shumaar ho abhi tak pardanasheeno mein
log sabab puchenge to bolo mai kya bataun


tum jaa to rahe ho par itna to bata do
tujhe bhulaane ke kaunse tareeke apnaoon
meri dhadkan, har saans ki rawangi ho tum
tujhe bhoolane ki koshish mein kahin mar na jaoon

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:28 AM
Aisa kyun hota hai ?
K manzil to hoti hai magar raasta nahin,
Raasta hota hai magar hamsafar nahin,
Hamsafar hota hai magar zindagi nahin.


Aisa kyun hota hai ?
K khwahish to hoti hai magar justajoo nahin,
Justajoo hoti hai magar aas nahin
Aas hoti hai magar zindagi nahin.


Aisa kyun hota hai ?
K neend hoti hai magar raat nahin,
Raat hoti hai magar sakoon nahin,
Sakoon hoti hai magar zindagi nahin.


Aisa kyun hota hai ?
K log milte hain magar shanaasa nahin,
Shanaasa milte hain magar dost nahin,
Dost milte hain magar qadar nahin,
Aur jab qadar hoti hai to zindagi nahin.


Shaayad yehi karobaar-e-qudrat hai
Lekin aisa har kisi ke saath nahin hota – hai na ?

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:31 AM
Manzilay Bhi Us Ki Theen
Rasta Bhi Us Ka Tha
Ek Main Akela Tha
Kaafila Bhi Us Ka Tha..
Saath-Saath
Chalnay Ki Sooch
Bhi Us Ki The, Phir Raasta
Badalnay Ka
Faisla Bhi Us Ka Tha....
Aaj Kion Akela Hoon,
Dil Sawal Karta Hai, Loog Tu Us K Thay
Kia KHUDA Bhi Us Ka Tha....?

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:31 AM
bus ik waqt ka khanjar meri talash mein hai
jo roz bhes badal kar meri talash mein hai!!

mein katra hoon mera alag wajood toh hai
hua kare jo samundar meri talash mein hai!

mein devta ki tarah qaid apney mandir mein
wo mere jism ki bahaar meri talash mein hai

mein jiss ke haath mein ik phool dekhney aya tha
usi ke haath ka pathar meri talash mein hai!!

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:35 AM
Jo tum nain thaan hi li hai
Hamaray dil se niklo gai
To itna jaan lo piyaray
Samander samney ho ga agar sahil se niklo gai
Sitaray jin ki ankhon ne humein aik saath daikha tha
Gawahi dainey ayen gai
Pooranay kaghzon ki balkoni se bohot lafz jhanken gai
Tumhen wapis bulain gai
Kai waadey fasadi karz khuwabon ki terhan rastey mein
Rokein gai
Tumhein daman se pakrien gai
Tumhari jaan khaien gai
Chupa ker kis terhan chehra
Bhari mehfil se niklo gai
Zara phir soch lo janaan
Nikal to jao gai shayad
Magar mushkil se niklo gai.....!!!

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:37 AM
kal halki halki barish thi
kal sard hawa ka raqs bhi tah
kal phool bhi nikhray nikhray thay
kal un ma tumhara aks bhi tha
kal badal kalay gehray thay
kal chand pa lakhon pehray thay
kuch tukray tumhari yaadoon kay
bari dair se dil ma thehray thay
kal yaadein uljheen uljheen theen
kal taar ye sab suljhai thay
kal yaad bohat tum aye thay
kalyaad bohat tum aye thay

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:38 AM
aaj phir yad us ki mujhe aai hai,
aaj phir sang apne lakhon gam lai hai,
aaj phir matam hoga mere dil ka,
na jane kab tak yeh silsila rahe ga,
aaj phir bahoot door shanaiyan baje gi,
jaise ki mera dil pe churiyan chalage,
aaj phir koi hase ga to koi roe ga,
na jane kon jage ga to koi soe ga,
aaj phior kismat meri mujhe wohin lai hai,
jahan par likhi hui abhi tak judai hai

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:38 AM
Agar hum kahen aur woh Muskuraa dein
Hum un key liyeh, zindagani lutaa dein
Har ik morh par hum Ghamon ko saza dein
Chalo zindagi ko muhabat bana dein
Agar Khud ko bhuule to kuch bhi na bhuule
Key Chaahat mein unki Khudaa ko bhulaa dein
Kabhii Gham ki aandhi jinhen choh na paaye
Wafaa ke hum woh nasheman banaa dein
Qayaamat ke diwaney Kehtey hain humsey
Chalo unkey chehrey se pardaa hataa dein
Sazaa de silaa de, banaa de mitaa dey
Magar woh koii faisalaa to sunaa dein

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:39 AM
Sukun mil gaya aaj mujhe badnaam ho kar
Tere har ek ilzaam pay yuN bezabaan ho kar
Kya hua gar bulaya mujhe beizzat karne ke liye
Khush hun main teri mehfil me mehman ho kar
Log parh hi lenge mohabbat teri aankhoon main
Chahe karle lakh inkar tu anjaan ho kar
Ilzaam mujh par lagakar khud roye ja raha hai
Kya payega mera hamdard shar e aam ho kar
Mil to gaya suboot mujhe teri mohabbat ka
Ab afsos nahi tere ishq me nakam ho kar

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:41 AM
Aik baar tum AaO
kay khowab bahut sey hai
betaab neghaO main
neendO ki kamoshi main
hoontho ki pakhroo per
kuch unkahi baatey
kuch khowab hai un dekhey
guzzre huey mausam ki
aik yaad ka saya hai
kya hum ney tumey khoya
kya hum ney tumry paya hai

Aik baat jO dill main hai
wo baat batani hai
Aik baar to AaO tum .....

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:41 AM
jab yun hi kabhi baithay baithay
kuch yaad achanak aa jaye
har baat pay dil bezar sa ho
har cheez se dil ghabra jaye
karna bhi mujhe kuch aur hi ho
kuch aur hi mujh se ho jaye
kuch aur hi soochoon main dil mein
kuch aur hi hoontoon pay aa jaye
aise hi kisi ik lamhay mein
chupkay se kabhi khamooshi mein
kuch phool achanak khil jayain
kuch beetay lamhay yaad aayain
us waqt teri yaad aati hai

jab chandni dil k aangan mein
kuch kehnay mujh se aa jaye
aik khabeeda se chootay koi
ehsaas pay mere chaa jaye
jab zulf pareshan cehehray par
kuch aur pareshan ho jaye
kuch dard bhi dil mein honay lagay
aur saans bhi bhoojal ho jaye
aise hi kisi ik lamhay mein
chupkay se kabhi khamooshi mein
kuch phool achanak khil jayain

jab shaam dhalay chaltay chaltay
manzil ka na koi naam milay
hansta hua ik aagahaz milay
roota hua ik anjaam milay
palkoon k laraztay ashkoon se
is dil ko koi peeghaam milay
aur sari wafoon k badlay
mujh ko hi koi ilzaam milay
aise hi kisi ik lamhay mein
chupkay se kabhi khamooshi mein
kuch phool achanak khil jayain
kuch beetay lamhay yaad aayain
us waqt teri yaad aati hai
shiddat se teri yaad aati hai

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:42 AM
Aansoo.........
Maray Pehloo May Jo Beh Niklay Tumharay Aansoo
Ban Gay Sham-e-Mahabbat Kay Sitaaray Aansoo
Dekh Sakta Hay Bhala Kon Yeh Yeh Pyaray Aansoo
Meree Aankho May Na Aajay Tumharay Aansoo
Apna Chera Moon Garaibaan May Chupati Q Ho?
Dil Ki Dharkan kahin Sun Lay Na Tumharay Aansoo
Shama Ka Aks Jhalakta Hay Jo Har Aansoo May
Ban Gay Bheegi Hoowe Ratoun Kay Taray Aansoo
Meen Ki Boondoun Ki Tarha Ho Gay Kaisay Sastay?
Motiun Say Kahin Mehengay Thay Tumharay Aansoo
Saaf Iqraari Mahabbat Ho Zubaa Say Qiunkar
Aankh May Aagay U Sharam K Maaray Aansoo
Hijar Abhi Door Hay May Paas Houn A Jaani Wafa
Q Hooway Jaatay Hain bechain Tumharay Aansoo
Subah Tak Dekh Na Lay Koi Yeh Bheega Aanchal
Meree Chughli Khahin Kha Day Na Tumharay Aansoo
Apnay Damaan-w-Graibaan Ko May Q Paish Karoun
Hain Meray Ishq Ka Inaam Tumharay Aansoo
Dami Rukhsat Hay Qareeb A Ghami Furqat Khush Ho
Karnay Waalay Hain Judai K Ishaaray Aansoo
Sadqay Is Jaani Mahabbat K May Aamir Jiskay
Raat Bhar Behtay Rahay Shoq k Maaray Aansoo

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:47 AM
Hum ro na saky!!!

Ghum Mila Toh Ro Na Sakhey,
khushi Mili To Hans Na Sakhey,
Yeh kaisa Raaz Hey Zindegi Ka,
Hum Samaj Na Sakhey,
jis ko chaha,Apna Na bana Sakhey...

Aap chaly Gaye,
Phir Bhi Dil se Nikhaal Na Sakhey,
Par jub Aap Thy,
Pass Bhi Na Aa Sakhey,
Ab Aapki Yaadon ko
Seene Se Lagaa ke Phirthey Hain,
Saamne Aap ko Paa kar Bhi
Gale Na Lagaa Sakhey,
Yeh kaisa Raaz Hai Zindagi ka,
Hum na Samaj Sakhey,

jis Ko Chaha Aapna Na Bana Sakhey...
Ab Palkon ko Band karke ,
Pal Mein Apke pass Hote Hein,
Magar jab Ankhon ke Samne Thay,
jee Bhar ke Dekh Bhi Na Sakhey,
Dil Dard se Bharaa Huaa Tha
Lekin Ro Na Sakhey,
Yeh kaise Raaz Zindegi ka,
Hum Na Samaj Sakhey,

Na Chup Rah Sakhe Na Pyar jataa Sakhey...
Ab Aap K Saath ke Liyeh
Har Pal Tarapte Hein,
Magar jab Aap Tarap Rahey the,
To Saath Na Dey sakhey,
Dil To Rotaa Raha Par
Ankhon Se Ansoo Na Bahein!!
Pyaar K is Riwaj ko Na Samaj Sakhey...
Dil itni *** Kha kar Bhi
Aap Hee ko Chahta kyon Hai,
Hum Samaj Na Sakhey,

Aap ke Laakh inkaaron K Baad Bhi....
Aap Humarey Nahin Hein!
Ye, Dil ko Samjha Na Sakhey,
Laakh Chaaha Humne..
Phir Bhi Aapko Bhula Na Sakhey...
Aap Humein Bhool Gaey,
Magar Hum Na Bhoola Sakhey..
Jaise Khuwaab Zindagi,
Aur Zindagi khuwaab Na Ho Sakhey,
Waise Aap Humare Na Ho Sakthey,
Aur.....
Hum kisee Aur ke Na Ho Sakhhe...

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:50 AM
Jo maanga tha du'a mein ro ro kai wo mila nehi
Es liye ab kuch maangna ki chahat nehi
Aanso kai samandar jis ka leya baha diye Hum nai
wohi ajj humara nehi
Humhe bhi ab kio shikayat nehi
kyon ka ab humhe jeena ki chahat nehi
Bohat kar leya Atibaar logo per
Ab hum ko kesi per bhi Atibaat nehi
zindagi Na janey kab da dai dhoka
es liye ab es zindagi per bhi hum ko barosa nehi
Bohat intizaar kar leya us ka
per wo aya hi nehi
Jise ro ro kar du'a mein maanga wo mila nehi
es liye ab kuch maangna ki chahat nehi

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:54 AM
Mujhye mat batana
Ki tum ne mujhaye chorne ka iradah kiya tha
To kiyon
Aur kiss wajeh se
Abhi to tumhare bichrne ka dukh bhi kam nahin hua
Abhi to main
Baton ke,wadon ke shehr-e tilismaat men
Ankh par khush gumani ki patti liye
Tu ko peyron ke peeche,darakhton ke jhund
Aur deewar ki pusht par dhooondne men magan hon
Kahin par tumhaari sada aur kahin par tumhari mehak
Mujh par hansney men masroof hai
abhi tak tumhaari hansi se nabrad aazma hon
Aur iss jang men mera hathyaar
Apni wafa par bharosa hai aur kuch nahin
Issye kund karne ki koshish na karna
Mujhaye mat batana....................

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:54 AM
Na Umeedain Kisi Se Rakhtey To Acha Hota
Aitbar Na Kisi Pe Kartey To Acha Hota
Sabaq Daita Hai Zamana Yeh Auron Ko Giraney Ka
Sahara Na Kisi Ko samjhtey To Acha Hota
Yaqeen apni Kamyabi ka kisi Ko Kab Hota Hai
Taqdeer k Muqabil Na Hotey To Acha Hota
Sochtey They Aitbar Andha Ho Ga DeWaNa Tum Per
Na Khuwaab Jagtey Main Daikhtey To Acha Hota
Na Chatey Tum Kisi Ko Na Koi Tumheen Poojta
Na achey Kisi Ko Lagtey To acha Hota
Darya Mohabbat Ka Kab Koi Paar Karta Hai Dost
Na Mohabbat Kisi Se Kartey To Acha Hota

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 05:55 AM
Teri yaadon ke kuch Haseen sapne
Iss nazar mein Saja liye main ne
Tujh ko lekin khabar naa huwi
Kitne Waade wafaa kiye main ne
Meri aankhon mein jitne Gohar the
Hanste hanste baha diye main ne
Teri yaadon mein iss kadar khoya
Ghair apne sab bhula diye main ne
Dard apnon ne jis Qadar bhi diye
Hans ke dil mein basa liye main ne
Apne chehre ke saare ranj-o-alam
Muskura ke chupa liye main ne
DiL ki mashal jo jal uthi wasee
Saare sapne jala diye main ne.........

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 06:06 AM
Mujhay Yaad Hay
Pichley Saal Inhi Dinoun Main
Main Nay Tumhain Apney Andar
Saatween Baar Qatal Kar K Waheen Kaheen
Kisi Weeraaney Main Dafan Kia Tha
Or Tumhaari Qabar
Faramoshi K Bhaari Patharoun Say Bhar Di Thi
Or Us Say Pehlay Aik Baar
Door Daraaz Say Aaney Waaley Kisi Dev-Heekal
Parindey K Pairoun Say
Tujhay Baandh Kar Urha Dia Tha
Or Phir Us Say Bhi Pehlay Inhi Dinoun Main
Main Nay Tumhain Mukammal Taur Par Jala Kar
Tumhaari Raakh Aik Taiz Raftaar Daryaa Main
Bahadi Thi..
Lakin Is Saari Jaan Kaahi K Bawajood Tum Aaj Phir
Hamaisha Ki Tarah Meri Aankhoun Main Aankhain Daaley
Meray Dil Ko Apni Muthi Main Jakrhey
Meray Saamney Kharey Ho!!

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 06:07 AM
Koi Mera Bhi Hone Laga Hai
Suno ! Tumhein Pata Hai
Koi Mera Bhi Hone Laga Hai
Koi Mujhe Bhi Chahne Laga Hai
Koi Mujhe Bhi Sochne Laga Hai
Suno ! Tumhein Pata Hai
Woh Ajnabi Hai Par
Apna Apna Sa Lagne Laga Hai
Tumhari Tarah Us ne Mujhe
Koi Khawaab Nahi Dikhaye
Phir Bhi Na janee Kyun
Dil Usi Ki Taraf Murnee Laga Hai

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 06:08 AM
Ab yeh hunar bhi aazmane do
Mujhe zara maazi ko bhulane do
Nai mohabbaton mein thoda waqt lagega
Is dil ko abhi samjhaane do
Taaza zakhmon ki baat mat chedo
Purane zakhm bhar jaane do
Barasti baarish mein khayal uska
Phir zara khud ko manane do
Abhi in aankhon ko band rehne do
Naye khwab zara sajane do

Bikhar rahi hai meri zaat use kehna
kabhi mily tu yehi baat use kehna
wo sath tha to zamana tha humsafar mera
magar ab koi nahi mere sath use kehna
wo phir bi na lote to ay mehrban
hamari zeesat ke hallat use kehana
har jeet us ke nam kar raha hoon main
main manta hoon apni haar use kehna

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 06:08 AM
Kitna Pyaar diya usse per milla kuch bhi nahin
Itni gehri Chahat ka hasil o hasool kuch bhi nahin
Woh hum se khafa the to Jaan nikal gayi thi hamari
Hum un se khafa hain to un ko malaal kuch bhi nahi
Is qadar dukh diye hain na jaane kis khata par
Par hum bhi Sabar kargaye aur kiya sawal kuch bhi nahi
Us ki khushi main Hansne wale Khaas hain us ke liye
Dukh main us ke saath hum, hamari misaal kuch bhi nahi!!!

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 06:09 AM
ham apne ikhtiyar ki had se guzar gaye
chaha tumain to pyar ki had se guzar gaye

likhe gayeen naseeb main kuch aise hijratain
har ajnabi dyar ki had se guzar gaye

jagi hai apne dil main gulabon ki arzuu
jab mosam e bahaar ki had se guzar gaye

ab zakhm haye dil ka kahan tak shumar ho
yeh zakhm to shumar ki had se guzar gaye

teri nigah e mast se ham itni pee gaye
itni kay har khumar ki had se guzar gaye

ahsas mar chuka hai khushi hai na gham koee
jaise kay jeet haar kee had se guzar gaye

hasrat se moj e gham be hamain dekhti rahee
ham behr e b kinaar ki had se guzar gaye

ati hain saaf saaf nazar gham ki manzilain
yeh qaflay ghubaar ki had se guzar gaye

woh log roz e qyamat se kia darain
jo teray intzaar ki had se guzar gaye

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 06:12 AM
Mat poocho aalam hamare DIL ki be-basi ka
Qayamat ki bheer hai aas paas,dil main magar tanhaai hai.

Yoon dil ke aangan main uski yaad ki aahat hui
jaise door kisi waadi main,bajti koi shehnaai hai.

Kha kar dhokha khud apni hi taqdeer ke haaton ham
Kya ilzaam de kis ko ham , hamari kismat hi harjaai hai.

Tere laut aane ki raah dhekhan bann gai hai meri aadat
khushi to nahi kismat main haan magar , gam se aashnaai hai.

Yeh bhi nahi ki ki khawoob main agar tujh ko choo loon
tu to nahi hai aya par yaad teri ,ham se milne aai hai.

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 06:12 AM
Dil Ki Batain , Bata Deti Hain , Aankhain
Dharkanon Ko Jaga Deti Hain, Aankhain

Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Cheroon Ka Kabhi
Dil Ko Tu , Deewana Bana Deti Hain ,Aankhain

Woh Hum Se Baat Nahi Karte , Tu Na Kare
Haal Sara Unke Dil Ka , Suna Deti Hain Aankhain

Gham Sada Rehta Nahi , Aadmi Ke Saath
Ashk Bana Kar , Chalka Deti Hain Aankhain

Aata Hai Jab Dor - E - Jawani , Tu Ae Dosto
Sunder Sapne Zehan Mein ,Basa Deti Hain Aankhain

Mana Ke Neend Aati Hai , Aankhon Hi Ke Raste
Magar Kabhi Kabar ,Hasaeen khab Dekhati Hain Aankhain

Shukar Hai , Khuda Ne Ata Ki , Aankhon Ki Neamat Humain
Dard -O-Gham ,Sare Dil Ke , Chupa Deti Hain Aankhain.

humaa
12-01-2008, 02:23 PM
nice

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 08:31 PM
Thanks Humaa Jeee

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 10:30 PM
Farz Mera Tha Aur Main Nibhaata Raha
Zakham Khaata Gaya Muskurata Raha

Beech Dariya Main Us Ne Nazar Pher Li
Main Kinaaron Se Nazrein Milata Raha

Raat Amavas ke Ghangor Sannate Main
Mere Kamre Main Chaand Aata Jata Raha

Dost Sab Aandhiyon Ke Mureed Ho Gaye
Main Chiraagon Ko Apne Jalata Raha

Mere Bistar Pe Phoolon Ki Chaadar Rahi
Raat Bhar Neend Ko Aazmaata Raha

Aye Munir Itne Ghum Haadson Ne Diye
Umr Bhar Unko Apna Banata Raha

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 10:31 PM
Dil jo tuta to yeh khayal aaya
Ishq me hum ne kiya sila paaya

Waqt apna ho to hote hein sabhi apne
Chhorr jata hai bure waqt mein apna saaya

Baste the kabhi aankh mein khwabon ki tarah jo
Mein aaj un lamhon ko aanswon meN baha aaya

Aaj mujh ko who udaas buhut maaloom huwa
Aaj mein mushkil se shear keh paaya

Meri sanson meN basa tHa khushboo ki tarha
Woh, jise mein chah ke bhi na bhula paaya

Zindagi khatm huwi jaati hai "*******"
Hai tujhe kis waqt khuda yaad aaya

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 10:32 PM
Dil Tu Kehta Hai Zamanay Se Chupa loon Tujh Ko
Dil Ki Dharkan Ki Tarha Dil Mein Basa loon Tujh Ko

Koi Ehsaas Judai Ka Na Rehne Paey
Iss Tarha Khud Mein Meri Jaan Sama loon Tujh Ko

Tu Jo Rothay Kabhi Mujh Se Mere Dil K Maalik
Sari Duniya Se Khafa Ho k Mana Loon Tujh Ko

Jab Bhi Daikhoon Tere Chehre Pe Udassi Ka Samaa
Yehi Chahoon K Kissi Tarha Hassa loon Tujh Ko

Tu Jo Thak Har K Lotay Tu Yehi Khawahish Hai
In Palkoon Ki Chaoon May Sula loon Tujh Ko..

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 10:33 PM
Is Zamanay Say Ham Na Koi Gilla Rakhein Gein
Dil Lagayin Gey Na Shart-e-Wafa Rakhein Gein
Na Dekhain Gey Kabi Dil Par Laga Zakhm Unhey
Dard Othey Ga Magger Dil Ko Daba Rakhein Gein
Jan Be Dein Gey Agger Ik Ishara Kar Dey
Ham Osay Apnay Liye Be Na Bacha Ke Rakhein Gein
sab Hata Dein Gay Tere Rah Ki Rakawatein Hamdam
Ghar Ke Darwazay Ko Har Waqt Khola Rakhein Gein
Un Ki Har Baat Ko Bholay Say Na Bholay Gein
Un Ki Yadoo Ko Be Senay Say Laga Rakhein Gein
Toot Be Jai Umeed Jo Tere Aanay Ki
Ik Diya Phir Be Hawaoo Mein Jala Rakhein Gein

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 10:34 PM
Kal raat janay kia hua,
Kuch dair pehlay neend say
Kuch ashk milnay aa gai
Kuch khwab bhee tootay huay
Kuch loog bhee bhoolay huay
Kuch rasta bhatkay huay
Kuch gerd main liptay huay
Kuch bay-tarah phailay huay
Kuch khaul main simtay huay
Berabt si soochain kai
Bhooli huee batain kai
Ik shaks ki yadain kai
Phir dair tak jaga raha
Sochoon main gum baitha raha
Ungli se thanday farsh per
Ik naam hee likhta raha
Kal raat bhi woh raat thi
Kuch dair pehlay neend say
Main dair tak rota raha

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 10:35 PM
Youn Na Mil Mujh Se khafa Ho Jaise
Saath Chal Aise Mooj-e-Saba Ho Jaise

Log Youn Dekh K Hans Dete Hain
Tu Mujhe Bhool Gaya Ho Jaise

Ishq Ko Shirk Ki Had Tak Na Barha
Youn Na Mil Humse Khuda Ho Jaise

Ab Toh Mout Bhe Aayegi Is Naaz Se
Mujh Pe Ehsaan kiya Ho Jaise

Aisi Anjaan Bani Bethi Ho Tum
Tum Ko Kuch Pata Bhe Na Ho Jaise

Hichkiyaan Raat Ko Aati He Rahi
Tum Ne Phir Yaad kiya Ho Jaise

Zindagi Beet Rahi Hai Youn Hi
Ik Be-Jurm Saza Ho Jaise!!!!!!..

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 10:35 PM
LOVE IT

tere baare mein jab socha nahiin thaa
main tanhaa tha magar itna nahiin thaa

teri tasviir se kartaa thaa baatein
mere kamare mein aaiinaa nahiin thaa

samandar ne mujhe pyaasaa hii rakhaa
main jab seharaa mein tha pyasaa nahiin thaa

manaane-ruuthne ke khail mein ham
bichhar jaayenge ye sochaa nahiin thaa

sunaa hai band kar li us ne aankhein
kayee raaton se vo soyaa nahiin thaa

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 10:36 PM
MEREY LEAY TO HURF-E-DUA HO GYA WOH SHAKHS
SAREY DUKHO.N KI JESEY DAWA HO GYA WOH SHAKHS

MEIN ASMAAN PE THA TO ZAMEE.N KI KASHISH THA WOH
UTRA ZAMEEN PER TO HAWA HO GAYA WOH SHAKHS

MEIN US KA HATH DEKH RAHA THA KEY DAFA'ATAN
SIMTA SIMAT KEY RANG-E-HINA HO GAYA WOH SHAKHS

PHIRTA HEY LEY KEY AANKH KA KASHKOL DERBADER
DIL KA BHARAM LUTA TO GADA HO GAYA WOH SHAKHS

YOON BHI NAHIN KEY PASS HEY MEREY WOH HUM-NAFS
YEH BHI GHALAT K MUJH SE JUDA HO GAYA WOH SHAKHS

PARHTA THA MEIN NAMAZ SAMJH KER USEY "MuNdA"
PHIR YOON HOUA KEY MUJH SE QAZA HO GAYA WOH SHAKHS

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 10:37 PM
Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya.
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya.
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu bohot yaad aaya.
Mere jeevan ki her khushi main wohi tha bus.
aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya.

ShArArTi MuNdA
12-01-2008, 10:38 PM
Humse aaya na gaya..tumse bulaya na gaya
faasla pyaar me dono se mitaya na gaya

woh ghari yaad hai jab tumse mulaqat huyi
ek ishara huya do haath badhe baat huyi

pyaar ka baagh lagaya tha ujarne ke liye
is tarah ujdha ke humse basaya na gaya

yaad rah jati hai aur waqt guzar jata hai
phool khilta hai aur khilta bhi hai aur khilke bikhar jata hai

sab chale jaate hain kab dard-e-jigar jata hai
daag jo tune diya dilse mitaya na gaya

Humse aaya na gaya..tumse bulaya na gaya
faasla pyaar me dono se mitaya na gaya

tum bulaogay nahi ham bhi aaengay
fasla u hi rahega mitaya na jaeyga

-|A|-
12-02-2008, 07:24 PM
nICE yaar ALi

SHAYAN
12-02-2008, 11:08 PM
Gr8 Yar V Nyc:2191un:

Hani
12-03-2008, 12:36 AM
Superub ...............:thumbsup:

ShArArTi MuNdA
12-03-2008, 12:58 AM
Thanks ASAD... SHAYAN N HANI JIII

ShArArTi MuNdA
12-03-2008, 01:01 AM
MUJHE IS SAKHAS KI PARWA BOHOT HAI
JO SAMAJH LO TO YAHI RISHTA BOHOT HAi
WAHI EK BAAT JO SAB SE CHUPAI
USI EK BAAT KA CHARCHA BOHOT HAI
MERI KHAWAHISH KABHI PURI NA HOGI
WAGARNA HUM NE TO CHAHA BOHOT HAI
KAHA TAK AUR MERA SATH DEGA
WO PEHLE HI YAHA RUSWA BOHOT HAI
TERE JAISA KOI MILTA NAHI HAI
TERE JAISA MAGAR DHUNDA BOHOT HAI
CHALO AB MAUT KE SAAMAAN KAR LE
KE JINA TO YAHA MAHNGA BOHOT HAI
WO MERE PAAS KAB THEHRA HAI
WO MERE PASS SSE GUZRA BOHOT HAi

ShArArTi MuNdA
12-03-2008, 01:03 AM
Patahr tha magar baraf ke galon ki tarah tha
Ik shakhs andheron mein ujalon ki tarah tha
Khawabon ki tarah tha na khiyalon ki tarah tha
Woh ilm_e_riyazi kay sawalon ki tarah tha
Uljha hua aisa ke kabhi sulajh nahi paya
Suljha hua aisa ke misalon ki tarah tha
Woh mil to gaya tha magar apna hee mukaddar
Shatranj ki uljhi hui chalon ki tarah tha

ShArArTi MuNdA
12-03-2008, 01:03 AM
Mohabbat bakhsh daiti hai
kabhi raanaiyan aisi
kay jaisay dhoop kay hotay
kabhi badal baras jaye
kay jaisay bin kahay koi
kahin dil main utar jaye
kahin pariyon ki waadi main
baray say takht per baithay
koi phoolon kay daman say
koi rangon kay anchal say
saron per saaebaan kar day

mohabbat bakhsh daiti hai
kabhi tanhaiyan aisi
kay jaisay aag si barsay
jo sara tan jala rakhay
kay jaisay dhoop kay honton ko
sholay phir jala baithain
kay jaisay rastay main hee
koi rahi bhatak jaye
kay jaisay man kay andar kuch,
chanak say toot sa jaye
kay jaisay dil pighal jaye
Mohabbat kia hai phir socho!
kia raanayi? ya Tanhai ?

ShArArTi MuNdA
12-03-2008, 01:14 AM
Hanstay Hanstay Roo Perhti Thi
Kitny Pagal Wo Larki Thi
Us K Hoont To Chup Rehtay Thay
Aankho Se Baatain Karty Thi
Chat Per Dhoop Mian Baithay Baithay
Din Bhar Wo Sapnay Bunty Thi
Uljhi Yaadain Suljhanay Main
Saari Raat Ganwa Dete Thi
Kitna Tha Thehraoo Us Main
Lekin Wo Kitny Gehri Thi
Ek Din Chaltay Chaltay Us Nay
Mujh Se Koi Baat Kahi Thi
Aur Phir Raasta Aik Nahi Tha
Us Ki Manzil Aur Koi Thi
Bilkul Waisay Phool Khilay Hain
Jaisay Wo Haansty Rehty Thi
Aab To Bhool Gaya Hoon Shayad
Us Per Aik Ghazal Likhi Thi

ShArArTi MuNdA
12-03-2008, 01:15 AM
Muhabbat jab se wo karne lagay hain
Hum apne aap se darne lagay hain
Dilon mein khaak si urnay lagi hai
Hawa mein rang se bharnay lagay hain
Hamein palkein jhapakna aa gaya hai
Kabhi jeene kabhi marne lagay hain
Hamare paas kehne ko nahi kuch
Magar baatein bohot karne lagay hein......

ShArArTi MuNdA
12-03-2008, 01:15 AM
merey mohsinon merey doston mujhey zindagi ki dua na do
main to pyar ke qaabil nahin mujhey dil mein itnee jagah na do
mujhey shauq-e-zeest na rahaa mujhey zindagi ne diya hai kya
main maroon yeh mujh ko haq to hai, main jiyun yeh mujh ko saza na do
woh baney thay merey jo humsafar wohi chal diye mujhey chor ker
main jahan se aaya hoon ghamzada, mujhey phir waheen se sadaa na do
is zindagi ki shaam ka, mujhey dar tha is anjaam ka
mujhey aik ansoo ki tarah kaheen aankh se tum giraa na do
KAMI is dayaar mein ik saya-e- diwaar main
main jo so gayaa hun chain se mujhay neend se phir jaga na do

ShArArTi MuNdA
12-03-2008, 01:16 AM
khush thay kuch aisay teRi rafaqat k shauq maiN
manzil ganwa di ham ne musaafat k shauq maiN
nafRat hi pehaR-e-daaR mili haR makaam paR
jis daR pe ham gaa'ey haiN mohaabat k shauq maiN
ham baarga-e-ishq maiN maqbool youN hu'ey
khud se bichaR gaa'ey teRi quRbat k shauq maiN
lautay haiN ab tou saath hai ranj-o-alam ki bheeR
niklay thay ghar se ik musaRat k shauq maiN
apnay chamaN se raabta bilkul nahi raha
sehRa norad ho gaey daulat k shauq main
daamaN maiN hasRatooN k siwa kuch nahi
aisay lutay haiN ham teRi chahat k shauq maiN

ShArArTi MuNdA
12-03-2008, 01:18 AM
Aati hai teri yaad bhi hum ko kabhie kabhie
Hoti hai khwabon mein bhi mulaqat kabhie kabhie
Kuch apna hosh rehta hai na dunia ka humain
Jab hoti hai ankhon se barsat kabhie kabhie
Hota tou hoga tujhe humari chahat ka ahsas
Hoti tou hogi tu bhi betab kabhie kabhie
Yeh alag baat hai mujhe adat hai muskranay ki
Guzar jati magar ansoon mein raat kabhie kabhie
Kis kambakht ko zarorat hai teri tasweer ki
Ansoon se ban jati teri tasweer kabhie kabhie
Dunia kahne lage gi kafir humain bhi
Tere takhaul ko kia hai sajda kabhie kabhie
Na pa saka woh sakoon-e-dil tere sath bhi
Jo mil jata hai tere baad kabhie kabhie
Likh tou leta hon mein hal-e-dil magar phir bhi
Hoti hai lafzoon ki kami mehsoos kabhie kabhie

ShArArTi MuNdA
12-03-2008, 01:19 AM
CHEHRA maira tha nigahain us ki
khamoshi main bhi woh batain us ki
mairay chehray per ghazal likhti gain
share kehti hoi ankhain us ki
shokh lamhoon ka pata dainay lagin
taiz hotti hoi sansain us ki
aisay mousam bhi guzary hum nay
subhain jab apni thin shamain us ki
dehan main us k yeh alam tha kabhi
ankh mehtaab ki yadain us ki
rang jo ainda woh aye to sahi
phool to phool hain shakhain us ki
faisla mouj-e-hawa nay likha
andhian mairi baharain us ki
khud pey bhi na khulti ho jis ki nazar
kon janta zabanain us ki
nend is soch say totti aksar
kis tarhan katti hain raatain us ki
door reh kar bhi sada rehti hain
mujh ko thamay hoay bahain us ki

Hani
12-03-2008, 01:23 AM
v.nice

ShArArTi MuNdA
12-03-2008, 01:24 AM
Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai
woh mera teri aankhon ke samandar main uttar jaana
aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana
teri awaaz ke saher se na nikal paana
tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana
bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
na teri yaad main reh ke tere saath ka sochoon
bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai
ke jin se tais utth ti hai ke jin se dard hota hai
magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
tere hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai
to tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna
tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai
woh tera paas na hona bohat mehsoos hota ha

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.