PDA

View Full Version : MuNdA's Collection


Pages : 1 2 3 4 5 6 [7]

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 05:10 AM
Mairay jaanay pay aey jaana’n…

Paraishaa’n tum nahee’n hona…

Kabhi chhup ker nahee’n rona…

Judaaii zeher hoti hay…

Mujhay ma’loom hay laikin…

Firaaq-o-hijr ka mausam yaqeenan beet jaaey ga…

Yaqeenan wasl k lamhay…

Dobaara laut aaey’n gay…

Wohi shaamai’n, wohi raatai’n…

Wohi qissay, wohi baatai’n….

Wohi phir daastaa’n ho gi…

Mohabbat meherbaa’n ho gi…!!

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 05:30 AM
Suno Larki..
Abhi Tum Ishq Mat Karna
Abhi Guriya Se Khelo Tum
Tumhari Umar Hi Kya Hai
Faqt Satra Baras Ki Ho
Abhi Masoom Bachi Ho
Nahin Maloom Abhi Tum Ko
K Jab Yeh Ishq Hota Hai
To Insaan Kitna Rota Hai
Sitaray Toot Jatay Hain
Saharay *** Jatay Hain
Abhi Tum Nay Nahin Dekha
K Jab Sathi Bichartay Hain
Tu Kitna Dard Milta Hai
K Har Furqat K Mousam Main
Hazaron Ghum Ubhartay Hain
Hazaron Zakhm Khultay Hain
Suno Larki.. Meri Maano
Parhai Par Tawajo Do
Kitaabon Main Gulabon Ko
Kabhi Bhoolay Say Mat Rakhna
Kitabain Jab Bhi Kholo Gi
Yeh Kanton Ki Tarhan Dil Main
Chubhain Gay Khoon Bahayen Ge
Tumhain Pehron Satayen Ge
Kisi Ko Khat Nahin Likhna
Likhai Pakri Jati Hai
Bari Ruswai Hoti Hai
Kisi Ko Phone Mat Karna
Sadayen Dil Dukhati Hain
Woh Awazain Satati Hain
Meri Nazmain Nahin Parhna
Yeh Mehshar Utha Dein Gi
Tumhain Pagal Bana Dein Gi
Suno Larki..
Meri Mano
Apni Taqdeer Say Tum
Khul K Mat Larna
Abhi Guriya Se Khelo Tum
Abhi Tum Ishq mat kerna..

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 05:31 AM
zaraa sii baat pe har rasm tor aayaa thaa
dil-e-tabaah ne bhii kyaa mizaaj paayaa thaa

muaaf kar naa sakii merii zindagii mujh ko
vo ek lamhaa ki maiin tujh se tang aayaa thaa

shaguftaa phuul simaT kar kalii bane jaise
kuchh is tarah se tuune badan churaayaa thaa

guzar gayaa hai ko_ii lamhaa-e-sharar kii tarah
abhii to main use pahachaan bhii na paayaa thaa

pataa nahiin ki mere baad un pe kyaa guzarii
main chand Khvaab zamaane mein chhor aayaa tha

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 05:32 AM
hans ke bolaa karo bulaayaa karo
aap kaa ghar hai aayaa jaayaa karo

muskurahaT hai husn kaa zevar
ruup barhataa hai muskuraayaa karo

had se barh kar hasiin lagate ho
jhuuThii qasmen zaruur khaayaa karo

hukm karanaa bhii ek saKhaavat hai
ham ko Khidamat ko_ii bataayaa karo

baat karanaa bhii baadashaahat hai
baat karanaa na bhuul jaayaa karo

taa ke duniya kii dil_kashii na ghaTe
nit naye pairahan mein aayaa karo

kitane saadaa mizaaj ho tum ’****’
us galii mein bahut na jaayaa karo

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 05:33 AM
Kaha ussnay
Tab waqai mujhey tum sey muhabbat thi
Kaha mainay
Main tu ab bhi tum sey muhabbat kerta hoon
Woh tab kii baat kerti hai
Main ab ki baat kerta hoon
Magar iss ab aur tab ke darmeyaan jo faasla hai
Woh hum donno se mil ker bhi samaita jaa nahi sakta
Woh ab tak aa nahi saki
Main tab ko paa nahi sakta

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 05:35 AM
kisi kamzor lamhey mai
ager tm se yeh keh doon mai
mujhey tum se mOHABBAT hay
tmm yeh mat samajh laina
k…..!!!!!
mainey sach kaha ho ga
aisi dilnashin baaton ko
aisi adaaon mai kehna
mujhey bachpan se aata hay
meri aankhain,mera chehra
mera yeh be sakhta lehja
yeh sab kuch jhoot kehta he mager
is jhoot main ik sach baaqi hay
k…..!!!!!!
MUJHEY TuM SE mOHABBAT HE

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 05:38 AM
Nazar ka apna mizaj thehra
Jigar ka apna mizaj thehra
Safar ka apna mizaj thehra
To ghar ka apna mizaj thehra
Hum…..Safar kay rahay na ghar kay rahay
Hamara apna mizaaj thehra
.
Hamari Mae ka mizaj apna
Hamari lae ka mizaj apna
.
Hamari aankhoon kay khaab apnay
Dard apnay azaab apnay
Meray lahoo rang gulaab apnay
Sawaal apnay, Jawaab apnay
.
Hamaray aangan main chalnay wali HAWA ka apna mizaaj thehra
Hamaray seenay main jalnay wali WAFA ka apna mizaaj thehra
Kisi ki choukhat pay jhuknay wali ANAA ka apna mizaaj thehra
Hamaray sajdoon ko gin’nay walay KHUDA ka apna mizaaj thehra
.
Ajab riwajoon, Ajab mizajoon kay iss nagar main
Tumhara apna mizaaj thehra, Hamara apna mizaaj tehra

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 05:41 AM
Ik roz koi to soche ga
Farzanon ki is basti main
Ik shakhs tha pagal pagal sa
Par baten theek hi kehta tha
Barish ki tarah par shor na tha
Darya ki tarah chup rehta tha
Jin se use pyar bala ka tha
Taane bhi unhi ki sehta tha
Ik roz koi to soche ga

Dunya ne use kuch bhi na diya
Par us ne jag ko pyar diya
Jaan rote rote kho betha
Dil hanste hanste haar diya
Jo nazm likhi bharpoor likhi
Jo sher diya shahkar diya
Kyoon jite ji dargor hua
Kis chah pe tan man har diya
Tha dushman kon bechare ka
Kis ranj ne us ko maar diya
Ik rooz koi to soche ga

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 05:41 AM
terii Khushbuu kaa pataa kartii hai
mujh pe ehasaan havaa kartii hai

shab kii tanhaa_ii me.n ab to aksar
guftaguu tujh se rahaa kartii hai

dil ko us raah pe chalnaa hii nahii.n
jo mujhe tujh se judaa kartii hai

zindagii merii thii lekin ab to
tere kahane me.n rahaa kartii hai

us ne dekhaa hii nahii.n varnaa ye aa.Nkh
dil kaa ehavaal kahaa kartii hai

beniyaaz-e-kaaf-e-dariyaa angusht
ret par naam likhaa kartii hai

shaam parte hii kisii shaKhs kii yaad
koochaa-e-jaaN mein sadaa kartii hai

mujh se bhii us kaa hai vaisaa hii suluuk
haal jo teraa ana??? kartii hai

dukh huaa karataa hai kuchh aur bayaa.N
baat kuchh aur huaa kartii hai

abr barase to inaayat us kii
shaaKh to sirf duaa kartii hai

masalaa jab bhii uThaa chiraaGo.n kaa
faisalaa sirf havaa kartii hai

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 05:42 AM
terii hii tarah hamein yaad aane vaalaa ho
tere sivaa bhii ko_ii to sataane vaalaa ho

har ek subah yahii dil mein huuk uThatii hai
hamen bhii naaz se ko_ii jagane vaalaa ho

vo kis ummiid mein ghar mein rahein ki jis ghar mein
na aane vaalaa ho ko_ii na jaane vaalaa ho

har ek se nazaren milaa_ii hain un ke kuuche mein
ki jaise ab ko_ii ham ko bulaane vaalaa ho

hai dosto ke liye aa_iinaa nazar merii
nazar milaaye jo nazarein milaane vaalaa ho

ki jaise ko_ii balaa mujhape aane vaalii hai
haraas kahataa hai ko_ii bachaane vaalaa ho

hamaare shahar mein kyaa kyaa saje-sajaaye hain ghar
hamaare ghar ko bhii koii sajaane vaala ho

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 05:42 AM
tere qadamon pe sar hogaa qazaa sar pe khari hogii
phir us sajde kaa kyaa kahanaa anokhii bandagii hogii

nasiim-e-subah gulashan mein gulon se khelatii hogii
kisii kii aakharii hichakii kisii kii dillagii hogii

dikhaa duuNgaa sar-e-mahafil bataa duuNgaa sar-e-mahashar
vo mere dil mein honge aur duniyaa dekhatii hogii

mazaa aa jaayegaa mahashar mein phir sunane-sunaane kaa
zubaaN hogii vahaaN merii kahaanii aap kii hogii

tumhen daanistaa mahafil mein jo dekhaa ho to mujarim
nazar aaKhir nazar hai be-iraadaa uTh ga_ii hogii

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 05:43 AM
Rat bher tanha raha din bhrer akaila main hi tha.
Shaher ki aabadiyon mein apne jaisa main hi tha.
Main hi dariya,main hi toofan,main hi tha her mauj bhi.
Main hi khud ko pi gaya sadiyon se pyasa main hi tha.
Kis liyy katra ke jata hai musafir dam to le.
Aaj sookha pairr hoon kal tera saya main hi tha.
Meri dhadkan sunne wala dil na tha dunia ke pas
Sab ki aahat, sab ki dadkan sunne wala main hi tha
Kitne jazbon ki nirali khushboein theen mere paas.
Koi un ko chahne wala nahin tha main hi tha

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 05:43 AM
tere baare mein jab sochaa nahiin thaa
main tanhaa thaa magar itanaa nahiin thaa

terii tasviir se karataa thaa baaten
mere kamare mein aaiinaa nahiin thaa

samandar ne mujhe pyaasaa hii rakhaa
main jab seharaa mein thaa pyasaa nahiin thaa

manaane ruuthane ke khel mein ham
bichhar jaayenge ye sochaa nahiin thaa

sunaa hai band kar li us ne aaNkhen
kaii raaton se vo soyaa nahiin thaa

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 06:09 AM
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 06:09 AM
Pooch Lo Tum Bhi Iss Zamaane Se,
Pyaar Chhupta Nahin Chhupane Se
Paas Aate Ho Choote Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Se Kabhi Bahane Se
Pyar Dil Mein Hai To Laao Zabaan Pe,
Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se.
Tumhein Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwane Se.
Chalo Ek Dua To Apni Poori Huye,
Mil Liye Apne Ek Deewane Se.
Roye Jaate Ho, Bas Roye Jate Ho,
Kya Hoga Ye Dhan Lutane se

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 06:10 AM
apanii rusvaaii,,,, tere naam ka charchaa dekhuuN
ek zaraa sher kahuuN aur main kyaa kyaa dekhuuN

niind aa jaaye to kyaa mahafilen barpaa dekhuuN
aaNkh khul jaaye to tanhaaii kaa sehra dekhuuN

shaam bhii ho gaii dhundhlaa gaii aaNkhen bhii merii
bhoolne vaale main kab tak teraa rastaa dekhuuN

sab ziden us kii main puurii karuuN har baat sunuuN
ek bachche kii tarah se use haNstaa dekhuuN

mujh pe chhaa jaaye vo barasaat kii Khushbuu kii tarah
ang ang apnaa usii rut mein mehektaa dekhuuN

tuu merii tarah se yaktaa hai magar mere habib
jii men aataa hai koii aur bhii tujh saa dekhuuN

main ne jis lamhe ko puujaa hai use bas ek baar
Khvaab ban kar terii aaNkhon mein utartaa dekhuuN

tuu meraa kuchh nahiin lagtaa hai magar jaan-e-hayaat
jaane kyon tere liye dil ko dharaktaa dekhuuN

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 06:15 AM
ujre hue loagon se gurezaan na hua kar
haalaat ki qabron pe ye qatbe bhi parha kar.

har waqt ka hansna tujhe barbaad na kar de
tanhaaee ke lamhon mai kabhi ro bhi liya kar,

ae dil tujhe dushman ki bhi pehchan kahan hai.
too halqa e yaaran mai bhi mohtaat raha kar.

us shakhs ke tum se bhi marasim hain to hoonge
woh jhoot na bole ga mere saamne aa kar.

ab thookre khaye ga kahan ae game ahbaab
main to kaha tha mere dil mai hi raha kar.

is shab ke muqaddar main seher hi nahi
dekha hai kayee baar chiragon ko bujha kar

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 06:18 AM
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,

Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,

Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,

Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi…..

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 06:19 AM
chaaNdnii raat mein chaaNd ke saamne
ruKh se pardaa haTaanaa Gazab ho gayaa
chaaNdanii chhup ga_ii chaaNd sharmaa gayaa
aap kaa muskuraanaa Gazab ho gayaa

dil kii dharkan merii tez hone lagii
raat aaNkhon mein kaaNTen chubhone lagii
vasl kii raat mein baat hii baat mein
yuuN teraa ruuTh jaanaa Gazab ho gayaa

jhuum kar kaalii kaalii ghaTaa jab uThii
raat apanii to karavaT badlate kaTii
kuchh to mausam ne bechain rakkhaa hame.n
kuchh teraa yaad aanaa Gazab ho gayaa

apane hisse mein tuufaaN kii taqadiir thii
zindagii apanii maujon kii zanjiir thii
Duub jaane kaa apne hamen Gam na thaa
us kaa saahil pe aanaa Gazab ho gayaa

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 06:19 AM
baadalon kaa kaafilaa aataa huaa achchhaa lagaa
pyaas kii dharatii ko har saavan baraa achchhaa lagaa

us bharii mahafil mein us kaa chand lamhon ke liye
mujh se milanaa baat karanaa dekhanaa achchhaa lagaa

jin kaa sach honaa kisii suurat se bhii mumkin na thaa
aisii aisii baaten aksar sochnaa achchhaa lagaa

vo to kyaa aataa magar Khush_fahamiyon ke saath saath
saarii saarii raat ham ko jaagnaa achchhaa lagaa

pahale pahale to nigaahon mein koii jachtaa na thaa
raftaa raftaa duusraa phir tiisraa achchhaa lagaa

Rubab
04-03-2009, 05:54 PM
zabrdast colection munda g

life2
04-03-2009, 11:35 PM
nice munda.

yeh jo raat din ka hai khail sa,usay daikh, us par yakeen na kar
nahi aks koi bhi mustaqil,sare aina,usay bhool ja

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 03:14 AM
Pasand kerney ka shukriya Rubab & Life2

keep visiting

ShahTaJ
04-04-2009, 04:04 AM
zaberdast janab
keep it up

dur-e-shahwar
04-04-2009, 04:13 AM
v nyc keep it up

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 04:26 AM
pasand kerney ka shukriya Shahtaj jeee n radika jee

keep visiting

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 05:50 AM
tere jesa mera bhi haal tha na sukoon tha na qarar tha
ye ho umr thee mere humnahen ke kisi ko mujh se bhi pyar tha
mein samajh raha hon teri kasak tera mera dard hai mushtarak
isi gam ka to bhi aseer hai isi gam ka mein bhi shikar tha
faqat ek dhun thee ke raat din isi khawab zaar mein gum rahen
wo surror aisa surror tha wo khumar aisa khumar tha
kabhi lamha bhar ki guftugo meri os ke sath na ho saki
mujhe fursaten na mil saken wo hawa ke rath pe sawar tha
hum ajeeb tarz ke log thai hamare aur hi rog thai
mein khizan mein tha os ka muntazir ose intezar bahar tha
ose parh ke tum na samajh sake ke meri kitab ke roop mein
koi qarz tha kaii roz ka kaii ratjagon ka odhar tha

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 05:50 AM
samay samay kii Khalish mein teraa malaal rahe
judaaiiyon mein bhii yun aalam-e-visaal rahe

anaa kii jang mein ham jiit to gaye lekin
phir us ke baad bahut der tak nidhaal rahe

raah-e junun mein yahii zaad-e-raah hotaa hai
ke justajuu bare divaanagii bahaal rahe

hasiin raaten bhii mahaken tumhaarii yaadon se
kare dinon mein bhii pal pal teraa Khayaal rahe

tuu ek baar zaraa kishtiyan jalaa to sahii
hai kyaa majaal ke ek lamhaa bhii zavaal rahe

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 05:51 AM
Khuwab Aankhon Sey Ab Koi Chura Ker Ley Jaye
Qaber K Sookhey Huwey Phool Utha Ker Ley Jaye

Muntazir Phool Main Khushbu Ki Tarah Hun Kab Say
Koi Jhonkay Ki Tarah Aaye Ura Ker Ley Jaye

Yeh Bhi Pani Hey Mager Aankh Ka Aisa Pani
Jo Hatheli Sey Rachi Mehndi Chura Ker Ley Jaye

Main Muhabbat Sey Mahakta Hua Khat Hun Mujh Ko
Zindagi Apni Kitaabon Mein Chupa Ker Ley Jaye

Khaak Insaaf Hey Nabeena Butoon Key Aagey
Raat Thaali Mein Charaaghon Ko Sajaa Ker Ley Jaye

Un Say Kehna K Main Paidel Nahi Aaney Wala
Koi Baadal Mujhay Kaandhey Peh Bitha Ker Ley Jaye

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 05:52 AM
sar jhukaaoge to patthar devataa ho jaayegaa
itanaa mat chaaho usay wo be-wafaa ho jaayegaa

ham bhii dariyaa hain hame.n apanaa hunar maaluum hai
jis taraf bhii chal pa.De.nge raastaa ho jaayegaa

kitanii sachchaa_ii se mujhase zi.ndagii ne kah diyaa
tuu nahii.n meraa to ko_ii duusaraa ho jaayegaa

main Khudaa kaa naam le kar pii rahaa huu.N dosto.n
zahar bhii is me agar hogaa davaa ho jaayegaa

ruuTh jaanaa to mohabbat kii alaamat hai magar
kyaa Khabar thii mujh se wo itanaa Khafaa ho jaayegaa

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 05:52 AM
Zikr-e-shab-e-firaaq se vahashat use bhii thii
merii tarah kisii se muhabbat use bhii thii

mujh ko bhii shauq thaa naye cheharon kii diid kaa
rastaa badal ke chalane kii aadat use bhii thii

us raat der tak vo rahaa mahv-e-guftaguu
masruuf main bhii kam thaa faraaGat use bhii thii

sunataa thaa vo bhii sab se puraanii kahaaniyaan
taazaa rafaaqaton kii zaruurat use bhii thii

mujh se bichhad ke shahar main ghul mil gayaa vo shakhs
haalaanke shahar bhar se raqabat use bhii thii

vo mujh se badh ke zabt kaa aadii thaa jii gayaa
varnaa har ek saans qayaamat use bhii thii

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 05:53 AM
Teri tasweer meri ankhon main basee kyun hai
Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai

Teri yadoon say wabasta meri takdeer hai lekin
tujhe naa paa ker meri takdeer roothi kyun hai

Mujh ko hai khaber asaan nahin tujhe haasil karna
phir bhi yeh intizaar yeh bekarari kyun hai

Barson guzar gaye meray tanhayee main lekin
Meri baanhon ko aaj bhi tera intizaar kyun hai

Teri chahat ki kasam khoon kay aansoon royaa hon
Ab nahin hai kuch bakee phir yeh jaan bakee kyun hai

Khatam huwa mera yeh afsana ek baat batadoo lekin
Anjaam tha malooom mujh ko phir yeh muhabbat kyun hai

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 05:54 AM
Khud ko is dil main basane ki ijazat de do,
Mujh ko apna banane ki ijazat de do,
tum meri zindagi ka haseen sapna ho,
Pyar se khud ko sajane ki ijazat de do,
tumhe kitna chahti hoon kaise btaon tumhe,
Mujhe ye aaj btane ki ijazat de do,
Mujhe kaid kar lo apne ishq main,
yeh jaan tum pe lutane ki ijazat de do,
nahe hai shak tum ko bhulne ka magar,
Mujhe ye duniya bhulane ki ijazat de do.

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 05:55 AM
Kal raat jaanay kia hua

Kuch dair pehlay neend say

Kuch ashk milnay aa gae

Kuch khuwaab bhi tootay hue

Kuch log bhi bhoolay hue

Kuch raasta bhatki huein

Kuch gard mein lipti huein

Kuch bay terha phailee huein

Kuch khoul mein simti huein

Bay rabt si soochein kai

Bhooli hue baatein kai

Ek shaks ki yaadein kai

Phir dair tak jaaga raha!

Soochoon mein gum baitha raha

Unglee say thanday farsh per

Ek nam bus likhta raha

Kal raat bhi wo raat thi

Kuch dair pehlay neend say

Mein dair tak roota raha

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 05:56 AM
Kuch aesey log jo zehan sey bhulaaey nahi jaatey
kuch aesey lamhey jo dil sey mitaatey nahi jaatey

dard ki chaadreiN meri ghazloN ko dhaaNp leti heiN
mujh sey sheiroN meiN naey rang dikhaey nahi jatey

be’basi barrh ke meri aaNkhoN meiN utar aati hey
meri haNsi sey merey aaNsu chupaaey nahi jaatey

teri tehreeroN sey aati hey terey haathoN ki mehak
be’wafaa mujh sey terey khat jalaaey nahi jaatey

wafaa ki raahoN meiN bujhney ke baad ye jaana hey
sar-e-hawa deeye mohabbat ke sajaey nahi jaatey

aey merey Khuda taqdeer ko itna to batayaa hota
dukhoN ke pahaarr insaanoN pe giraaey nahi jaatey

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 05:58 AM
Thak jaao gar pathreele raaston pe chalte hue
Kabhi soch na lena ki wahan tanha ho tum
Moond kar palkon ko apni jo tum dekhoge
Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum

Har waqt bura kat jaat hai, yaqeen karna
Ankhon main kabhi tum ashk na bhar lena
Ghum barh jaaye, muskurahat khone lage
Apni duaaon main mujh ko paaoge tum

Ishq naam to nahin hai milan ka, deedar ka
Dil se dil ka mil jaana hai naam-e-mohabbat
Jo yaad aa jaaye meri, na samjhna ki door hoon
Apne seene main dhadakta mujh ko paaoge tum

Waqt ki garmi jo jhulsaane lage wujood
Meri chahat ki nami ko mehsoos karna
Jo sard hawaain zamane ki aane lagen paas
Meri wafaaon ki garmi ko mehsoos karna
Main tumse juda to nahin hoon mere humdum
Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum !!

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 05:59 AM
woh khaloos tha ke khumar tha
woh janoon tha ke saraab tha
mujhey sochney mein zaman laga
mujhey munzilon ne bhoola diya
mujhey jis masiha pe maan tha
mujhey us ne sooli charha diya

kai humsafar kai rahguzr
mujhey rastey mein miley magar
meri tushnagi kuch aur hai
meri justajoo koi aur hai

woh jo roshni ki tarha barhey
magar ansuon mei sama sakey

jo subha ki pehli kiran bane
mere dil ka aangan nikhaar de
jo muhabbaton ki ravaytein
laho ki bali se sanwaar de
mujhey us wafa ki talaash hai
mujhey us wafaki talaash hai

magar is jahan-e-kharab mein
yahan khahishon ke saraab mei
mujhey kaun de aisy wafa
mein kahan se laoon woh wafa
inhi uljhanon mein ghira hua
yehi sochta mein chala gya

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 06:00 AM
dafn seene meN rakheN wasl ke armaaN kab tak
aatish e hijr jalayegi miri jaan kab tak

tangi e zeest ka ho jaye use kaash ahsaas
ghaflat e yaar kahaN tak shab e hijraaN kab tak

aaeenah bandi e dil kaGHzi gul se kijaaye
aik seHraa meN tamanna e gulistaaN kab tak

aoj per aaj he tuGHyani e beHr e jazbaat
aik kooze meN daba rakkhenge toofaaN kab tak

her ghaRi dil pay diye jaate heN dastak aalaam
bin bulaye chale aayenge yeh mehmaaN kab tak

ab woh KHamosh he , tha shab meN shareek e maatam
saath deta mira aaKHir dil e naalaaN kab tak

daafa e naar e shikam Arq e badan he jiska
pet per bandhega patthar wahi dehqaaN kab tak

le liya qatl ka ilzaam hameeN ne sar per
husn ko dekhte ab aur paraishaaN kab tak

jo nah milti hameN GHurbat meN ***** manzil
koo ba koo phirte younhi be sar o saamaaN kab tak

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 06:01 AM
Sukoon bhi kum hua, neend bhi hay kum kum phir
Qareeb anay laga dooriyoon ka mousum phir

Bana rahi hay teri yaad mujh ko silk e guher
Piro gae hay meri palkoon mein ajj shubnum phir

Wo naram lehjay mein kuch keh raha hay phir mujh say
Chi’ra hay payar k komal surroon mein mud’dham phir

Tujhay manaoon k apni anna ki baat sunoon
Ulajh raha hay meray faisaloon ka raishan phir

Na us ki baat mein sumjhoon na wo meri nuzrein
Mu’aamlaat e zabaan ho chalein hein mubhum phir

Yeh aanay wala na dukh bhi us k sir hi gaya
Cheekh gaya meri angishtari ka neelum phir

Wo eik lumha k jub saray rung eik hue
Kisi bahaar nay dekha na aisa sungum phir

Bohot aziz hein aankhein meri usay, laikin
Wo jaatay jaatay inhein ker gaya hay pur num phir

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 06:13 AM
Us Ko Mera Halka Sa Ehsaas To Hey
Be Dard Sahi Woh Meri Humraaz To Hey

Woh Aaye Na Aaye Mere Paas Lekin
Shidat Se Mujhe Ss Ka Intezaar To Hey

Abhi Nahi To Kya Hua Mil Hi Jayengey Kabhi
Merey Dil Main Us Se Milney Ki Aas To Hey

Pyaar Ki Gwahi Merey Aansuoon Se Na Maang
Barasti Nahi Aankhen Magar Dil Uddas To Hey

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 06:14 AM
kabhi chanda ki nagri se koi paigham aye to
kabhi taron ke honton par kisi ka naam aye to
kabhi tareek shab mein koi jugnu jagmagata hai
mujhe woh yad ata hai

kabhi jab saans se uthhta dhuan mehsoos hota ho
ajab si aanch pe harr ki ruan mehsoos hota ho
tab us ke pyar ke sawan mein tann mann bheeg jata hai
mujhe woh yad ata hai

kabhi raton ko uth uth kar buhat bechain hote hon
agar jo laitna chahen to bass takiye bhigotey hon
koi roothi hui sab neend ki parian bulata hai
mujhe woh yad ata hai

kabhi jab titlion ke pankh bhi be rang ho jayen
meri sari baharen bhi khizan ke sang ho jayen
tabhi ik aas ka panchhi dar e dil khatkatata hai
mujhe woh yad ata hai

woh jis ke dhyan ki kirnen hamen harr subh jagati hain
usi ki yaad ke saye mein shaamen muskurati hain
mujhe chhu ke jo harr shab sang se heera banata hai
mujhe woh yad ata hai

kabhi ziddi si koi yaad daaman thham baithey to
kabhi kaga hamari chhat pe subh o sham baithey to
kabhi bhatka koi wada jo darwaza bajata hai
mujhe woh yad ata hai

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 06:19 AM
faasale aise bhii ho.nge ye kabhii sochaa na thaa
saamane baiThaa thaa mere aur vo meraa na thaa

vo ki Khushbuu kii tarah phailaa thaa mere chaar suu
mai.n use mahasuus kar sakataa thaa chhuu sakataa na thaa

raat bhar us kii hii aahaT kaan main aatii rahii
jhaaNk kar dekhaa galii me.n koii bhii aayaa na thaa

aks to maujuud the par aks tanahaaii ke the
aainaa to thaa magar us me.n teraa cheharaa na thaa

aaj us ne dard bhii apane alahadaa kar diye
aaj main royaa to mere saath vo royaa na thaa

ye sabhii viiraaniyaa.N us ke judaa hone se thii.n
aaNkh dhuNdhalaai hui thii shahar dhu.Ndhalaayaa na thaa

yaad karake aur bhii takaliif hotii thii "****"
bhuul jaane ke sivaa ab koi bhii chaaraa na thaa

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 06:20 AM
jab shaam aagan main utar aae mujhe yaad karlena
jab chandni har so bikhar jae mujhe yaad karlena

shub bhi gahri ho aankhain bhi be khuaab hun
aur kisi ki yaad tumhain satae tu mujhe yaad karlena

kabhi asa ho aansoo chunne wala koi na ho
aur rone ko bhi je chahe mujhe yaad karlena

jab koi bhi na aae maseehaee ko
dard jab had se barh jae mujhe yaad karlena

tum asa karna gum rehna tamam saal khud main
magar jab khizan ka mosam aae mujhe yaad karlena

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 06:20 AM
Saaya banke saath chalenge iske bharose mat rehna,
Apne hamesha apne rahenge iske bharose mat rehna

Saawan ka mahina aate hi Baadal to chaa jaayenge,
Har Haal me lekin Barsenge iske bharose mat rehna

Suraj ke Manind Safar par roz nikalna padta hai
Baithe Baithe Din Badlenge Iske Bharose mat rehna,

Saaya banke saath chalenge iske bharose mat rehna,
Behti Nadi mein Kache Ghade Hain,Rishte Naate Husn Wafaa

Dur Talak yeh Behte Rahenge, Iske Bharose mat rehna…
Saaya banke saath chalenge iske bharose mat rehna,

Punjabi_Majnu
04-04-2009, 10:01 AM
Wah Wah ! Niceee

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 08:32 PM
Thanks Punjabi

life2
04-05-2009, 11:51 PM
good.

AB TO ANKHO MAI SAMATI NAHI SOORAT KOI
GOORH SE MAINE TUMHE KASH NA DEKHA HOTA

SHAYAN
04-05-2009, 11:54 PM
Awsum Keep It U..:flower4u:

ShahTaJ
04-07-2009, 03:46 AM
very nice
keep it up

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 03:49 AM
Thanks everyone

keep visiting

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 07:29 AM
Abhi hijr ka qayaam hai aur December aan pahuncha hai
Ye khabr shahar mein aam hai December aan pahuncha hai

Aangan mein utar aayi hai manoos si khushboo
Yadon ka azdahaam hai December aan pahuncha hai

Khamoshiyon ka raaj hai khizaan taak mein hai
Udasi bhi bahot aam hai December aan pahuncha hai

Tere aanay ki ummid bhi ho chuki maadoom
Naye saal ka ahtamaam hai December aan pahuncha hai

Khunak rut mein udasi bhi chaukhat pe khadi ahi
Jaday ki udaas shaam hai December aan pahuncha hai

Tum aao tou mere mausamon ki bhi takmeel ho jaye
Nayi rut tou sar e baam hai December aan pahunchahai

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 07:29 AM
gham kee barish ney bhee tere naqsh ko dhoya nahin
tu ne mujh ko kho diya,mein ne tujhe khoya nahin

neend ka halka gulabi sa khumar ankhon mein tha
yoon laga jaise wo shab ko dair tak soya nahin

har taraf deewar-o-dar aur un mein ankhon ke hujoom
keh sake jo dil kee halat wo lab-e-goya nahin

janta hoon ek aise shaks ko mein bhee ****
sham se pathar ho gya lekin kabhi roya nahin

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 07:38 AM
Deewaron Se Milkar Rona Acha Lagta Hai,
Hum Bhi Paagal ho jayenge Aisa Lagta Hai,

Duniya Bhar ki yadein hamse Milne Aati hain,
Shaam Dhale Is sune ghar me Mela Lagta Hai,
ham bhi paagal hojayenge aisa lagta hai,

Kitne Dinon Ke Pyaase Honge Yaron Socho to,
Shabnam ka Katra Bhi Jinko Darya Lagta hai,
ham bhi paagal hojayenge aisa lagta hai,

Kisko ***** pathar marron, Kaun Paraaya hai
Sheesh Mahal Me Ek EK Chehra Apna lagta hai..
ham bhi paagal hojayenge aisa lagta hai,

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 07:39 AM
Jab Yunhi Kabhi Baithay Baithay, Kuch Yaad Achanak Aah jahe
Her Baat Say Dil Bayzar Sa Ho, Her Cheez Say Dil Ghabra Jahe

Karna Bhi Mujhe Kuch Aur He Ho, Kuch Aur He Mujh Say Ho Jahe
Kuch Aur He Sochoon Main Dil Men, Kuch Aur He Hontoon Par aaHe

Aisay He Kisee Aik Lamhay Men, Chupke Say Kabhi Khamoshi Men
Kuch Phool Achanak Khil Jahen, Kuch Betay Lamhe Yaad aaHen

Ab Yaad Tumhari Aatee Hay …

Jab Chandni Dil Kay Aangan Men, Kuch Kahene Mujh Say Aa jahe
Ik Khwabedaa Se Chote Koi, Ehsaas Pay Mere Chaa jahe

Jab Zulf Parishaan Chehray Per, Kuch Aur Parishaan Ho Jahe
Kuch Dard Bhi Dil Mein Hone Lage, Aur Saans Bhi Bojhal Ho jahe

Aisay He Kisee Aik Lamhay Men, Chupkay Say Kabhi Khamoshi Men
Kuch Phool Achanak Khil Jahen, Kuch Betay Lamhe Yaad aaHen

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 07:40 AM
Aab voh manzar na voh chayray hi nazar aatay hain
mujh ko maloom na tha khawaab bhi mar jatay hain

janay kis haal main hum hain kay hamay daikh kay sab
eik pal kay liyeah ruktay hain ,guzr jatay hain

saqiyah tu nay tow maykhanay ka yeah haal kiya
rind aab muhtasib-e-shayher kay guun gaatay hain

tannah_tashna na do sab kay kuch sockhta_jaan
shidaat_tashna labbi say bhi bayhaak jatay hain

jaisay tajdideed taalauq ki bhi rut ho koi
zakham bhartay hain tu ghamkhaur bhi aa jatay hain

ehtiyaat ahal_muhabaat kay isi shayher mein loog
gul ba dast aatay hain aur pa ba RASAN jatay hain

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 07:41 AM
Tum jo hotay to humain kitna sahara hota
hum nay aroon ko na youn dard main pukara hota

mujh ko ya soch hi kafi hai julanay k liy
main na hota to koi or tumhara hota

or hum baith k khamoshi say rooay jatay
shaam hoty, kisi durya ka kinara hota

dil say daikhi nahi jaty khamoshi ghur ki
kis tarhan ujra hua shahur gawara hota

chand hota k mairy jaan sitara hota
hum nay ik tairay siwa dil say utara hota

too nay socha hai kabhi kitna muhabbat k baghair
rooh farsa dil weeran ka nazara hota

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 07:48 AM
bara dushwar hota hay
zara sa faisla kerna,

ke jiwan kahani ko
kahn se yaad rakhna hay
kahn se bhool jana hay,

issay kitna batana hay
issay kitna chupana hay,

kahan ro ro ke hansna hay
kahan hans hans ke rona hay,

kahan awaz daine hay
kahan khamosh rehna hay,

kahan rasta badalna hay
kahan se loot anna hay,

bara dushwar hota hay

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 07:49 AM
YuN dost saarey apney apney rastey badal gaey
kuch peechey ruk gaey to kuch aagey nikal gaey

haalaat ki dhoop zaraa si deir ko teiz kya hui
jitney wafaa ke peikar they saarey pighal gaey

waadoN ke taarey raatoN sey baahar na jaa sakey
iraadoN ke din nikalney sey pehley hi dhal gaey

wafaaoN ke rang shabnam ke qatroN ney dho deeye
mohabbat ke phool jazboN ki ’shiddat’ sey jal gaey

taanoN ke teer dunya ki kamaanoN pe jab charrhey
sabar ke daaman haathon sey yak’dam phical gaey

aaNkheiN khuleiN to khaaboN ko bura laga magar
kuch deir wo reh ke muztarib khud hi behal gaey

pehley pehal to ajeeb lagey badley huwey chehrey
phir yuN huwa ke waqt ke saath hum bhi sambhal gaey

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 07:51 AM
Agar guftagu ka aghaaz mein karta
Jharaktee bigartee magar maan jaati

Jo mein barh kar us kay qadam rok leta
Woh paaon patakhtee magar maan jaati

Agar chaand kaliyaan usay paish karta
Woh daman jhataktee magar maan jaati

Mein kehta "chalo tum ko ghuma kar laoon"
Akartee jhijhaktee magar maan jaati

Jo mein us ko taktaa … zameen ko woh takti
Anguthaa ragarrti magar maan jaati

Jo peechay say aanchal ka phanda banata
Bohat tilmilaati magar maan jaati

Woh ghussay may jo mujh say naraaz hoti
Bikharti tarapti magar maan jaati

Mein kehta keh parhnay ka choro bahana
Woh safhay palatti magar maan jaati

Jo kehta keh "rahon pe chaliye sambhaal kar"
Uchaalti matakti magar maan jaati

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 07:55 AM
Bay Baat Bigartey Rehtey Ho,
Bay Chain Hamesha Rehtey Ho,
Yeh sab Nishani ISHQ Ki Hai,
Kiya ISHQ Kise Say Kerte Ho?

Kiyoon Ratoon Ko Jagtey Rehtey Ho?
Aur Tarey Bhi Tum Gintey Ho,
Yeh sab Nishani ISHQ Ke Hai,
Kiya ISHQ Kise say Kertey Ho?

Zikar Jo Mera Chalta Hai,
Chehrey ka Rang Badalta Hai,
Bay chain say Tum Ho Jatey Ho,
Kiya ISHQ "MUJH" Hi Say Kertey Ho ?

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 07:55 AM
Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak
Jaate hue rota woh mujhe chorr gaya tha

Armano ki Duniya ke anmol se sapne
pal main woh mere saamne sab torr gaya tha

Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi
Besabab Duniya se meri rukh morr gaya tha

Din ki tanhayi ka gham, raaton ki uddasi hamraah
Saare ghamon se rishta mera jorr gaya tha

Aey kaaaaash koi jaa ke usse pooche
Yahan kis ke sahare pe mujhe chor gaya tha

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 07:58 AM
Yun Tu Ghum Sab Ki Zindagi Main Hai…
Zabt Lakin Kisi Kisi Main Hai…
Usne Ghazal Sun Kar Kaha Meri…
Kitna Dukh Teri Shairiii Main Hai…

Chand Kehtay Hain Hum Na Phool Tujhay…
Karliya Jo Ka Tuu Kabool Tujhay…
Koi Rakhta Nahin Kisi Ko Yaad…
Yaar Hum Bhi Na Jayee Bhool Tujhay…

Raat Huee Jab SHaam K Baad…
Teri Yaad Aayee Har Baat K Baad…
Khamoosh Reh Kar Bhi Humne Dekha…
Teri Awaaz Aayee Har Sans K Baad…

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:00 AM
Ab Key Saal Kuch Aisa Kerna
Apney Pichaley Ghuzrey Mah Key
Dukh Ka Andaza Kerna
Meri Yaadein Taza Kerna
Saada Sa Ek Kaghaz Ley Ker
Bhoolay Basray Pal Likh Leyna
Phir Iss Beetay Ek Ek Pal Ka
Apney Guzrey Ek Ek Kal Ka
Ek Ek Mor Ka Ihaata Kerna
Saray Dost Ikatthay Kerna
Sari Subhein Hazir Rakhna
Sari Shamein Pass Bulana
Aur Ilawa Unn Ke Dekh
Ik Ik Yaad Gumman Mein Rakhna
Phir Mohtat Qiyaas Lagana
Gar To Khushian Barh Jati Hein
To Phir Tum Ko Meri Taraf Sey
Best Of Luck For Any Time
Aur Aggar Gham Barh Jaaein To
Mat Beykar Takaluf Kerna
Dekho Phir Tum Aisa Kerna
Meri Khushian Tum Laylena
Mujh Ko Apnay Gham Daydena
AB KE SAAL KUCH AISA KERNA

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:09 AM
Yeh Mojza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhey
Keh Sang Tujh Peh Girey Or Zakham Aye Mujhey

Main Apney Paoon Taley Rondta Hoon Saye Ko
Badan Mera Hi Sahi, Dopehr Na Bhye Mujhey

Main Gher Sey Teri Tamman Pehn Ker Jab Nikloon
Barhana Sheher Main Koi Nazar Na Aye Mujhey

Wohi To Sab Sey Zyada Hey Nukta Cheen Mera
Jo Muskra Key Hamesha Agley Lagye Mujhey

Who Mera Dost Hey Sarey Jahan Ko Hey Maloom
Dagha Karey Who Kisi Sey To Sharam Aye Mujhey

Who Meherban Hey To Iqrar Kyon Nahi Kerta
Who Badguman Hey To 100 Baar Azmye Mujhey

Barangey Aud Miley Gi Usey Meri Khushboo
Who Jab Bhi Chahey Barey Shoq Sey Jalye Mujhey

Main Apni Zaat Main Neelam Ho Raha Hoon Qateel
Gham-E-Hayat Sey Keh Do Khareed Lye Mujhey

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:19 AM
Kaise kahain k jaan se pyara nahi raha,
Ye aur baa tab woh hamara nahi raha,

Ansoo tere b khushk hoye aur mere b,
Nam ab kisi nadi ka kinara nahi raha,

Kuch din tumhare laot k ane ki aas thi,
Ab us umeed ka b sahara nahi raha,

Reste Meh-o-Najoom k tabdeel ho gye,
In khidkiyon main aik b tara nahi raha,

Samjhe the dosron se bohat mukhtlaf tujhe,
Kya maan lain k tu b hamara nahi raha?

Hathon pe bujh gai hamuqaddar ki kehkshan,
Ya rakh ho gya woh sitara nahi raha,

Tum aitbar is k lye kyon udas ho,
Ik shakhs jo kabi b tumhara nahi raha,

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:20 AM
Meri sari zindagiko besamer uss ney kiya
Umer meri thee mager iss ko baser iss ney kiya

Mein bohat kamzore tha iss mulk mein hijrat key baad
Per mujhey iss mulk mein kamzore tar iss ney kiya

Rahber mera bana gumrah kerney key liyey
Mujh ko seedhey rastey sey darbadar iss ney kiya

Shehar mein wo muatber meri gawahi sey howa
Phir mujhey iss shahar mein na muatber iss ney kiya

Shehar ko barbad ker key rakh diya iss ney Munir
Shehar per yeh zulm merey namm per iss ney kiya

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:21 AM
kahin be kinar se rat jage, kahin zarnigaar se khuwab de !
Tera kya usool hai zindagi ? Mujhe kon iska jawab de !

Jo bicha sako tere waste, jo saja sake tere waste,
meri dastaras mein sitare rakh, meri mutthiyon ko gulab de…

ye jo khuwahisho ka parind hai, isse mosamo se garz nahi…
ye urre ga apni hi moj mein, isse aab de ke sarab de !

Kabhi yun bhi to ho tere rubaru, mein nazar mila ke ye keh sako…
meri hasraton ko shumar ker, meri khuwahishon ka hisaab de !

Tujhe chu ke bharak utthe, mere jsim-o-jan mein chirag se…
issi aag mein mujhko rakh ker, issi shaulgi ko shabab de…

teri ek nigah ke faiz se meri kasht-e-hurf chamak utthe…
mera lafz lafz ho kehkashan mujhe aesi ek kitaab de…

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:27 AM
udaas mosam k ratjagoon main
hir aik lamha bhikhar giyaa hay
hir aik rasta badal giya hay
phir asay mosam main kon ayee
koie tu jayee
tairay nagar ki musafatoon ko sameeyt layee
tairee gali main hamaree sochian bhakheer ayee
tujhay batayee k koon kaysay
uchalta hay wafa k moti
tumharee janib
koie tu jaye mairee zuban main tujhay boulayee
hamaree halat tujhay batayee
tujhay roulaye
tu apnay dill ko bhi cheen ayee

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:28 AM
Waqt e rukhsat kahin taray kahin jugnu aaye

Haar pehnane mujhay phool se baazu aaye

Bas gayi hai mere ehsaas mein ye kaisi mehak

Koi khushboo main lagaon teri khushboo aaye

Main ne din raat khuda se ye dua maangi thi

Koi aahat na ho dar pe merey aur tu aaye

Us ki baaten ke gul o lala pe shabnam barse

Sab ko apnane ka us shokh ko jadu aaye

Us ne choo kar mujhe pathar se phir insaan kiya

Muddaton baad meri aankh me aansoo aaye

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:29 AM
Shabnami Raat suhaani hai, laut aao!

Aik ghazal tum ko sunaani hai, laut aao!

Phir nayaa khwaab daikhna hai seher honay tak,

Phir nayee shamaa jalaani hai, laut aao!

Naa main barbaad hui hoon, naa ruswaa tum,

Naa-mukammal ye kahaani hai, laut aao!

Tum se mil kar he main bicchrroon, koi laaz’mi to nahi,

Phir bhi ek rasm nibhaani hai, Laut Aao….! !!

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:30 AM
Apne Hathoon Ki Lakiron Mai Sajale Mujh Ko
Mai Hun Tera Naseeb Apna Banale Mujh Ko

Mai Jo Kanta Hun Tu Chal Mujh Se Bacha Kar Daman
Mai Hun Gar Phool Tu Jore Mai Sajale Mujhko

Mai Khule Dar K Kisi Ghar Ka Hun Saman Pyare
Tu Dabe Paun Khabhi Aake Churale Mujhko

Tarke Ulfat Ki Qasam Bhi Koi Hoti Hai Qasam
Tu Khabhi Yaad Tu Kar Bhoolne Wale Mujhko

Mujhe Se Poochne Aya Hai Wafa K Maani
Ye Teri Saaada Dili Mar Na Dale Mujhko

Mai Samandar Bhi Hun,moti Bhi Hun,gotazun Bhi
Koi Bhi Nam Mera Le K Bulale Mujhko

Kal Ki Baat Or Hai,mai Ab Sa Rahun Ya Na Rahun
Jtna Jee Chahe Tera,ajj Satale Mujhko…………….

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:30 AM
Ham issy jeet hi lain gy dil ko yeh yaqeen tha
Yeh khail bhi haar gaye ham koyi gumaan hony tak

Moom ka badan nah hota ya dhoop nah itni teez hoti
Ham tojhulas ke reh gaye koyi saaibaan hony tak

Ham hi kamfeham thy ya zindgi hi dushwaar thi
Intzaar mein ham reh gaye is ke aasaan hony tak

Koyi aisa dar milta keh jaan se hi guzar jaty
Ham to khud pathar rahy us but ke jaan hony tak

Umrr bhar tarasty rahy nazr-e-iltafaat ko
Ham kaheen ke nah rahy us ky mehrbaaN hony tak

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:32 AM
Laho ronay se darta hon juda honay se darta hon
meri aankhain batati hain k main sonay se darta hon

meri ongli pakar lena mujhay tanha nahi karna
ye duniya eak mela hai tumhain khonay se darta hon

jub hansti ho tu keun palkon k goshay bheeg jatay hain
tumhain maloom hai main es tarha ronay se darta hon

ye jub se khawaab dekha hai mujhay tum choor jao ge
main ab darta hon khawabon se main ab sonay se darta hon

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:34 AM
sach baat maan leejiye chehre pe dhuul hai
ilzaam aaiinoN pe lagaanaa fazuul hai

terii navaazisheN hoN to kaaNTaa bhii phuul hai
Gham bhii mujhe qubuul, Khushii bhii qubuul hai

us paar ab to ko’ii teraa muntazir nahiiN
kacche GhaRe pe tair kar jaanaa fazuul hai

jab bhii milaa hai zaKhm kaa tohfaa diyaa mujhe
dushman zaruur hai vo magar baa-usuul hai

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:39 AM
Rkhsat howa to baat meri maan kar gaya
jo uss ke paas tha sab mujhay daan kar gaya

bichhra kuchh iss adaa se ke rutt hi badal gayi
ekk shakhs saare shehar ko veeran kargaya

dilchasp waqeya hai kal ekk azeez dost
apne mufaad par mujhay qurbaan kargaya

ab shehar bharr main koi bhi pehchanta nahi
woh appne saath mujh ko bhi anjaan kargaya

Tazeer Ehtemam-e-Chaman Kon De Geya…
Mujh Ko Gulaab Jaisa Kafan Kon De Geya?….

Dekhey Woh Khad-o-Khal Tu Soocha Hai BarHaa….
Sahraa Ki Chandni Ko Badan Kon De Geya?….

Terey Hunar Mein Khilqat-e-Khushboo Sahi Magar….
Kantoon Ko Umer Bhar Ki Chubhan Kon De Geya?….

Meri Jabeen Ki Sari Lakeerein Teri Ataa….
Laykin Teri Quba Ko Shikan Kon De Geya?…..

Jangal Se Poochti Hai Hawaon Ki Barhami…
Jugnoo Ko Teregi Mein Kiran Kon De Geya?……

Kiss Ne BAsaye Ankh Mein Ashkon Ke Qafley….
Be Ghar Musafiron Ko Watan Kon De Geya?……

Tujh Se tu Khair Pal Ki Musafat Ka Saath Tha….
Merey Badan Ko Itni Thakan Kon De Geya?……

Tora Hai Kiss Ne Nook-e-Sinaa Per Sakoot-e-Sabar….
Lub Bistagi Ko Taab-e-Sakhan Kon De Geya?…..

**** woh Kayenaat Ghazal Hai Usey Bhi Dekh!….
Mujh se Na Pooch Mujh Ko Yeh Funn Kon De Geya?

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:41 AM
Kia Howa Husn Hum Safar Hai Ya Nahin
Ishq Manzil Hi Manzil Hai Raasta Nahin

Gham Chupanay Say Chup Jaaye Aisa Nahin
Be Khabar Tu Nay Aaina Dekha Nahin

Do Parinday Urray Aankh Nam Ho Gaye
Aaj Samjha K Main Tujh Ko Bhula Nahin

Ehl-E-Manzil Abhi Say Na Mujh Par Hanso
Paaon Tootay Hain Dil Mera Toota Nahin

Tark-E-May Ko Abhi Din Hi Kitnay Howay
Aur Kuch Kaha May Ko ***** Tu Achha Nahin

Choor Bhi Day Ab Mera Sath Aye Zindagi
Mujh Ko Nidamat Hai Tujh Say Shikwa Nahin

Tu Nay Touba Tu Kar Li Magar Aye *****
Tujh Ko Rehmat Par Shayad Bharoosa Nahin

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:42 AM
Mujhe Uss Se Ab Bhi Mohabbat Hai
Magar Na-jaane Kyun
Ab Uss Mohabbat Mein Woh Pehli Si Shiddat Nahi Rahi

Mujhe Ab Bhi Uss Ka Intizaar Rehta Hai
Mager Na-jaane Kyun
Ab Uss Ke Intizaar Mein Sitaron Ke Saath
Haal-e-DiL Kehne Ki Aadat Nahi Rahi

Mujhe Ab Bhi Uss Ki Yaad Aati Hai
Mager Na-jaane Kyun
Uss Ki Yaad Mein Roney Ki Khwaahish Nahi Rahi

Main Uss Se Ab Bhi Milna Chahta Hoon
Mager Na-jaane Kyun
Ab Uss Se MilneKi Tarap BaaQi Nahi Rahi

Sochta Hoon ! Kitna Badal Gaya Hoon Main
Bilkul Uss Jaisa Ho Gaya Hoon Main …

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:42 AM
Kya hua jo tumhara sath nahi
Mere hathoun mein tumhara hath nahi

Mere liye tumhari yaadein hi kafi hain
Muhabbat mein zarori mulaqat nahi

Mein sari umer tarsa hoo chahat ke liye
Mere naseeb mein shayad yehi sogaat nahi

Iss andaaz se bikher ke phir simat na saka
Mujhey samaitne wala koi haath hi nahi

Jis ki dosti peh naz thaa, wo dost bhi gaya
Kis garv se kaha maine koi baat nahi.

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:44 AM
Chehre pe mere zulf ko phailao kisi din
kya roz garajte ho baras jao kisi din

raazon ki tarha utro mere dil me kisi shab
dastak pe mere hath ki khul jao kisi din

pedon ki tarha husn ki barish me naha lo
badal ki tarha jhum ke ghar aao kisi din

khushboo ki tarha guzro mere dil ki gali se
pholon ki tarha mujh pe bikhar jao kisi din

phir hath ki khairat mile band qabaa ko
phir lutfe shabe wasl ko dohrao kisi din

guzren jo mere ghar se to ruk jayen sitare
is tarha meri raat ko chamkao kisi din

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:45 AM
Tooti haay merri neend mager tum ko iss say kiyaa
Bajtay rahay hawaoon say daar tum ko iss say kiyaa

Tum mooj mooj misb-e-saba ghoomtay rahoo
kat jain merri sooch kay par ,tum ko iss say kiyaa

Auroon kaa haath thammooo, unhian rastaa dikhaaoo
Mein bhool jaon apna hee ghar, tum ko iss say kiyaa

Tum nay tu thaak kaay dasht mein kheemaay lagga liaay
Tanhaa kattay kissi kaa safar, tum ko iss say kiyaa

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:46 AM
ab ye hogaa shaayad apanii aag men Khud jal jaayenge
tum se duur bahut rah kar bhii kyaa paayaa kyaa paayenge

dukh bhii sachche sukh bhii sachche phir bhii terii chaahat men
ham ne kitane dhoke khaaye kitane dhoke khaayenge

aql pe ham ko naaz bahut thaa lekin ye kab sochaa thaa
ishq ke haathon ye bhii hogaa log hamen samajhaayenge

kal ke dukh bhii kaun se baaqii aaj ke dukh bhii kaii din ke
jaise din pahale kaaTe the ye din bhii kaT jaayenge

ham se aabalaa-paa jab tanhaa ghabaraayenge saharaa men
raaste sab tere hii ghar kii jaanib ko muD jaayenge

aaNkhon se ojhal honaa kyaa dil se ojhal honaa hai
mujh se chouT kar bhii ahal-e-Gam kyaa tujh se chouT jaayenge

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:49 AM
Ye kab kehta hoo’n k tum merey galey ka haar ho ja’o
Wahee’n se laut jana tum jaha’n baizaar ho ja’o

Mulaqato’n mai waqfa isliye hota zaroori hai
K tum ik din judai k liye tayyar ho ja’o

Boht jaldi samajh mai aane lagte ho zamane ki
Boht aasan ho thorhe bohot dushwar ho ja’o

Bala ki dhoop se aaya hoo’n mera haal to dekho
Bas ab aisa karo tum saya e deewar ho ja’o

Abhi parhne k din hain likkh bhi lena haal e dil apna
Magar likhna tabhi jab layaq e izhar ho ja’o

Hasee’n phoolO’n,chamakte jugnuo’n, taaro merey lafzo!
Kahee’n se urh k aa’o zeenat e ashaar ho ja’o

Milo logo’n se lekin iss tarah milna nahee’n atcha
Musafir bas mai jaisey subho k akhbaar ho ja’o

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:50 AM
apni ruswai tere nam ka charcha dekhun
ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun
nind a jaye to kya mahfilen barpa dekhun
ankh khul jaye to tanhai ka sahra dekhun
sham bhi ho gai dhundhala gai ankhen bhi meri
bhulnewale main kab tak tera rasta dekhun
sab ziden us ki main puri karun har bat sunun
ek bache ki tarah se use hansta dekhun
mujh pe cha jaye wo barsat ki khushbu ki tarah
ang ang apna usi rut main mahakta dekhun
tu meri tarah se yakta hai magar mere habib
ji main ata hai koi aur bhi tujh sa dekhun
main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar
khwab ban kar teri ankhon main utarta dekhun
tu mera kuch nahin lagta hai magar jan-e-hayat
jane kyon tere liye dil ko dharakta dekhun

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:55 AM
Tum se dil lagaya thahum ne chaand raaton mein
Ek faraib khaya tha hum e chaand raaton mein

Jab barhe andherey to yaad ayi un ki bhi
Who jinhein bhulaya tha hum ne chaand raaton mein

Is gharhi humein bhi tha kuch yaqeen muhabba ka
Jab tumhein bulaya tha hum ne chaand raaton mein

Tere rooth janey ki yaad hai adaa hum ko
Jab tujhey sataya tha hum ne chaand raaton mein

Un se door reh kar bhi hum ***** zinda they
Khud ko aazmaya tha hum ne chaand raaton mein

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:56 AM
Bhari mehfil main tanha rehna acha lagta hai
Terey barey main sochtey rehna acha lagta hai .
Kabhi phulon main ,kabhi kaliyon main
Tujh ko hi dhundtey rehna acha lagta hai
Meree zindagi ki khushiyan tumhee say hain wabasta
Rab say sirf tumhein hi mangna acha lagta hai
Hamarey darmiyan hai sadiyon ka fasla
Kuch is tarhan guftugu karna acha lagta hai
Tumhrey baghir zindagi ka koi tasavur nahi hai
Kuch is tarhan tumhari tamanna karna achha lagta hai
Tum hi ko chaha,tum hi ko chahtey hain
Tumhi ko chahtey rehna acha lagta hai

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:57 AM
barishoun k mousam mai
waqat k andhairoun mai
main ne os say pocha tha
chor to na jao gay?
hath tham kar os nay
kan main ye bola tha
kaisay chor sakta houn?
tum to jaan ho meri…
or………….
aj aisa hai…
waqat ki tamazat main
wahshatoun k mousam mai
main ne os say pocha hai
chor k he jana tha
muskurati galiyoun mai
to aas kiun jagai thi?
meray in sawaloun per
na wo chonka na he thehra
chaltay chaltay itna kaha
mousam k khail hain sab
waqat ka tagayur hai….

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 08:58 AM
Aye Moj-e-hawa ab tu hi bata,
Woh yaar hamara kesa hai..?

Jo bhool gaya hum ko kab se,
Woh jaan se pyaara kesa hai..?

Kia us k jeewan lamhon main,
Koi lamha mera baqi hai..?

Kia uski jaagti aankhon main,
Meri yaad se pheli udasi hai..?

Kia woh bhi meri tarhan unhi,
Shab bhar jaaga karta hai..?

Kia woh bhi saay-e-Rehmat main,
Hamain Rab se maanga karta hai..?

Agar aesa nahin to tuu hi bata,
Hum yaad usse q karte hain..?

Woh hum se bichar kar khush hai agar,
To hum pal pal q martey hain..

ShahTaJ
04-10-2009, 03:23 AM
very nice
keep it up

SHAYAN
04-10-2009, 04:44 AM
V.Nyc Munda... Gr8...:0026:

ShArArTi MuNdA
04-10-2009, 04:46 AM
Thanks Shahtaj & Shayan

ShArArTi MuNdA
04-10-2009, 06:49 AM
Raabta laakh sahi kaafla e saalaar k saath……
hum ko chalna hay magar waqt ki raftaar k saath

gham lagay rahtay hain har aan khushi k peechay
dushmani dhoop ki hay saya e deewar k saath

kis tarha apni muhabbat ki main takmeel karoon
gham hasti bhi tau shamil gham e yaar k saath

lafz chunta hoon tau mafhoom badal jata hay
ik na ik khof bhi hay jurat e izhaar k saath

bukhsh daay mujhko bhi aizaz e masiha o mansoor
mainay bhi piyar kia hay rasn o daar k saath

dusmani mujhsay kiay jaa magar apna ban kar
jaan lay lay mari sayad magar piyar k saath

do ghari aao mil aain kisi ghalib say kateel
hazrat e zoq tau wabasta hain darbaar k saath …………

ShArArTi MuNdA
04-10-2009, 06:50 AM
Gir jaey jo dewaar tu matam nahi kartay
kartay hain bohat loog magar hum nahi kartay

hai apni tabiyat main tu khami ye he hai
hum ishq tu kartay hain magar kum nahi kartay

nafrat se tu behtar hai k rastay he juda hon
bekaar gozar gahon ko baham nahi kartay

har saans main douzakh ki tapish se hai magar hum
soraj ki tarha aag ko madham nahi kartay

kia ilm k rotay hon tu mar jatay hon
wo loog jo kabhi aankhon ko num nahi kartay

ShArArTi MuNdA
04-10-2009, 06:52 AM
Chaaraa e dil dard ki khwahish nahin karne doon ga
Khud to zakhmon ki numaish nahin karne doon ga

Dil ke sehraa mein banaun ga alag tera mehal
Tujh ko aankhon mein rehaaish nahin karne doon ga

Apni chaahat mein sharakat mujhe manzoor nahin
Ab tujhe bhi teri khwahish nahin karne ddon ga

Khud bikhar jaoon ga ek din khushboo ki tarah
Apne yaaron ke ye sazish nahin karne doon ga

Torh doon ga mein kisi roz ye mehvar bhi *****
Khoon ko khaak mein gardish nahin karne doon ga

ShArArTi MuNdA
04-10-2009, 06:53 AM
Ghar chorneylagey toh koi yaad aaa gaya
Ansoo nikal parey toh koi yaad aa gaya

Ghar ko baananey wala toh koi matti mein so gaya
Hisey jo batt gaey toh koi yaad aa gaya

Jin k liey thukraa diya wohi
Thukraa kar chal diey toh koi yaad aa gaya

Din bhar toh ous ki yaad sey ghafil rehey magar
Jalney lagey diey toh koi yaad aa gaya

Ab ous k shehar janey ka sochey bi kis tarhaa
Jab paaoon cut gaey toh koi yaad aa gaya

Ous ne bi toh kiey thay magar nibhaey nehi
Wadey kabi kiey toh koi yaad aa gaya

ShArArTi MuNdA
04-10-2009, 06:54 AM
hoton pe muhabbat ke fasaaney nahi aatey
saahil pe samundar ke khazaaney nahi aatey
palkein bhi chamak uthti hain sotey mein hamari
aankhon ko abhi khvaab chhupaane nahi aatey
dil ujdi huyi ek saraaye ki tarah hai
ab log yahaan raat jagaaney nahi aatey
udney do parindon ko abhi shokh havaa mein
phir laut ke bachapan ke zamaane nahi aatey
iss shehar ke baadal teri zulfon ki tarah hain
ye aag lagaatey hain bujhaaney nahi aatey
ahbaab bhi ghairon ki adaa seekh gaye hain
aatey hain magar dil ko dukhaane nahi aatey

ShArArTi MuNdA
04-10-2009, 07:14 AM
Har roz dekhta hu tumhe naino ke jharokhon se,
Har roz iss dil ko tum naye hi nazar aate ho..

Kya bat hai tere husn mein samjhaye koi mujhe,
Kyu har baar aur bekarar mujhe kar jaate ho..

Kehna chahty hai kitni batein tumse dil ki apne,
Par tum toh nigahen milane se bhi katrate ho..

Dekha hai tumhe chupke chupke mujhe dekhte hue,
Phir pas aane se mere kyu ghabraate ho..

Aise na karo, izhaar-e-dil mushkil hua jaaty hai,
Kyu dil ki mere uljhano ko tum badhate ho..

Jo bat tere dil mein hai, wahi hai bat idhar bhi,
Keh bhi do usse, kyu dil ko itna tadpate ho..

Lab khamosh hain khamosh sahi, parwah kisko hai,
Nigahon se kaho kab mujhe haal-e-dil sunate ho..

ShArArTi MuNdA
04-10-2009, 07:14 AM
Mai Titlyo’n Ko Sula du’n Gi,Zara Tum Sham Honay Do
Mai Jugnoo’on ko Jaga Du’n Gi,Zara Tum Shaam Honay Do

Mery Nam’naak Aankhon Ko na Tum daikho Haqarat Se
Mai Tum Ko Bhi Rula Don Gi,Zara TumShaam Honay Do

Kahan Aaghaz Hota Hai Kahan Anjaam Hota Hai
Hunar Saaray Sikha Du’n Gi,Zara Tum Shaam Honay Do

Jo Tum Ne Mujh Se Poochha,Kaha Ho Gi Tumhari Sham
Jahan Ho Gi Bata Du’n Gi,Zara Tum Sham Honay Do

ShArArTi MuNdA
04-10-2009, 07:15 AM
Sakoot-e-ja’n ka Matlab bata do Phhir Chalay Jana
Ya Phhir Sargoshyan Dil Ki Suna Do,Phhir Chalay Jana….

Jo Mera Or Tumhara Waqt Guzra Hans’nay Ronay mai
Use Poory tarah se Tum Bhula Do,Phhir Chalay Jana….

Bas Ik Murda Hansi Se apny Aankho’n Ko Chhupanay Ka Jo…
Funn Aata Hai Tum ko,Wo Sikha Do,Phhir Chalay Jana….,,

Mere In Roz-o-Shab ka Faqat Ik Unwan Bas Tum ho
Mujhe Tum doosra Unwan La Do,Phir Chalay Jana…

ShArArTi MuNdA
04-10-2009, 07:16 AM
Wo Dil Ka Bura Na be-Wafa Tha
Bas Mujh Se Yunhi Bichhar Gya Tha

Wo Meri Ghazal ka Aaina Tha
Har Shakhs Ye Baat Janta Tha

Me Us Ki Ana Ka aasra Tha
Wo Muj Se Kabi na Rooth’ta Tha

Ik Baar Bichhar K Jab Mila Tha
Wo Muj Se Lipat K Ro Para Tha

Kya Kuchh na Us Se Kaha Gya Tha
Us Ne To Labo’n Ko See Lya Tha

kehnay Ko To Judda Tha mujh Se
Wo Meri Rago’n Mai Goonjta THa

Us Ne Jo Kaha,Kya Dil Ne
Inkaar Ka kis Mai Hosla Tha

ShArArTi MuNdA
04-10-2009, 07:16 AM
Gum Sum Hua Aawaz Ka Darya Tha Jo Ik Shakhs
Pathar Bhi nahi Ab Wo,Sitara Tha Jo Ik Shakhs

Aey Tez Hwa Koi Khabar Us K Jeenay K???
Tanha Safar-e-Shauq Pe Nikla Tha Jo ik Shakhs

Sehra ki Tarah Dair Se Pyasa Tha Wo Shayad
Badal Ki Tarah Toot K Barsa Tha Jo Ik Shakhs….

Hathon Mai Chhupaye Huey Phirta Hai Kai Zakhm
Sheeshay K Khilono se Behelta Tha Jo Ik Shakhs…

Murr Murr K Use Daikhna Chahain Meri aankhain
Kuchh Door Mujhe Chhornay AAya Tha Jo Ik Shakhs…

Ab aakhri Satron Mai Kahin Nam Hai Uska
Ehbaab Ki Fehrist Mai Pehla Tha Jo Ik Shakhs..

ShArArTi MuNdA
04-10-2009, 07:17 AM
Yeh Dard mit gaya to phir?yeh zakham sil gaya to phir?
bichar k sochta ho main woh phir se mil gaya to phir?
mai titlion k sheher main loton to mujhay fiker hai
woh phool jo khila nahi,who phol khil gaya to phir
tumhain bhi kuch nahi mila mujhay bhi kuch nahi mila
tamam umer k liye yeh dard ml gaya to phir?
mai is liye to aj tak sawal nahi kar saka
agar meray sawal ka jawab mil gaya to phir?
yeh theek hai k lout ker meray he dil mai aao gay
mager ye sochlo zara badal gaya yeh dil to phir…?

ShArArTi MuNdA
04-10-2009, 07:19 AM
Qalam Dil Mein Dubota Hoon Chund Lafzon Ko Likhta Hoon
Jo Batein Dil pe Lagti Hain Unhi Baton Ko Likhta Hoon

Mein Shayir Hoon Meri Veeraniyan Jab Hadd Se Barhti Hain
Ussi Lamhe Dhunwan Uthta Hai Aur Aahon Ko Likhta Hoon

Mein Lafzon Ko Nahi Ehsas Ko Tehreer Karta Hoon
Na Ghazlon Ko Na Nazmon Ko Faqat Jazbon Ko Likhta Hoon

Kabhi Tanha Jo Hota Hoon Takhayyul Mein Bhi Rehta Hoon
Purane Dard Ke Lamhe Nayi Sochon Ko Likhta Hoon

Kabhi Aisa Bhi Hota Hai Shab Bhar Jaagta Hoon Mein
Jo Dilse Munsalik Rehti Hain Unn Yaadon Ko Likhta Hoon

Lahoo Dilse Nikalta Hai Kaleja Moonh Ko Aata Hai
Kisi Ko Kya Khabar Jab Bhi Kabhi Ghazlon Ko Likhta Hoon

ShArArTi MuNdA
04-10-2009, 07:20 AM
Hay Zakham Agar Dill Ka To Bhar Kyu Nahi Jata ! ! ! !
Har Waqat tujhay Khonay Ka Dar Kyu Nahi Jata ! ! ! ! !

Chirya’n To Palat Aati Hein Ghar Shaam Say Pehlay !!
Ek Jugnoo Magar Shaam Ko Ghar Kyu Nahi Jata ! ! ! !

Main Tujh Ko Ganwa’n Aie Ho’n Bay Simat Safar Mein
Yeh Bhoajh Meray Dill Say Utar Kyu Nahi Jata! ! ! ! ! ! !

Hay Mujh Say MOHABBAT Bhi Anaao’n Ka Bharam Bhi
Hay Mera To Phir Mujh Pay Bikhar Kyu Nahi Jata ! ! ! !

Har Waqat You’n Mujh Say guray’Zaa’N Na Hua Kar!!
Kuch Dair Meray Paas Thehar kyu nahi jata! ! ! ! ! ! !

~wish munda~
04-11-2009, 12:48 AM
aray yaar kamal hai

life2
04-11-2009, 01:12 AM
nice..munda.

ShahTaJ
04-11-2009, 04:37 AM
zaberdast janab
keep it up

ShArArTi MuNdA
04-11-2009, 06:09 AM
Thanks all of you

A L i
04-14-2009, 11:37 AM
very nice Bro

life2
04-14-2009, 11:36 PM
..
tum bhi Khafaa ho log bhii beraham hain dosto
ab ho chalaa yaqiin ke bure ham hain dosto

kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa karen
aankhen to dushmanon kii bhii pur_nam hain dosto

apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise
apanii talaash men to ham hii ham hain dosto

kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa
kuchh shahar ke chiraaG bhii maddham hain dosto

is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
ab dil kii raunaqen bhii ko_ii dam hain dosto

sab kuchh sahii 'Faraz' par itanaa zaruur hai
duniyaa men aise log bahut kam hain dosto

Jhuki Palkein
04-15-2009, 02:48 PM
Uff ! Mind Blowing Sharings Munda Jee .

Dil Choo Liya :rose5wd:

Jhuki Palkein
04-15-2009, 02:49 PM
Nice One Life Jee !! :)

life2
04-15-2009, 11:56 PM
vo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraaG thin
qadam qadam safar me.n ab koii bhii lab duaa nahin

ShArArTi MuNdA
04-17-2009, 04:06 AM
Thanks Jhuki palkein jeeeee n nice sharing life2 jee

ShArArTi MuNdA
04-17-2009, 06:39 AM
Suno A Chand Si larkee…!!!

Abi Tum Keh Rahi Thi na..

Tumhain Mujh Se Muhabbat Ho nai Sakti

Chalo mana K Ye Sach hai

Magar a Chand Si Larkee

Mujhay Itna batao Tum

K Jab Mausam badaltay hain

Gulo’n main Rang Bhartay Hain

To Phir Kyon Muztarib Ho Kar

Akailay Pan Se Ghabra kar

Mujhay aawaz Daity Ho

Suno a Chand si larkee

Tumharay Saamnay Koi

Mera jab naam laita hai

To Phhir kyon Chonk jaaty ho

Chalo mana Tumhain Mujh Se Muhabbat Ho Nahi sakty

Magar….

maira Dawa hai Chahat mai

Jahan Nafrat nahi Hoty

Wahan aksar Ye Daikha hai

Agar Kuchh Waqt Kat jaye

To Weh’shat Bhaag jati hai

Muhabbat Jaag jaty hai

ShArArTi MuNdA
04-17-2009, 06:39 AM
Chehray Pe MairyZulf Ko Phailao Kisi Din
Kyon Roz Garajtay Ho Baras Jao Kisi Din

Razon ki tara Utro mairay Dil mai Kisi Shab
Dastak Pe mairy Hath ki Khul Jao Kisi Din

Khushyon Ki tarah Guzro Mery Dil Ki Gali Se
Phoolon Ki Tarah Mujh Pe Bikhar jao Kisi Din

Guzrayn jo mairay ghar Se To Ruk jayen Sitaray
Is Tarah Mery Rat Ko Chamkao Kisi Din

Main Apni Har Ik Sans Usi Rat Ko De Du’n
Sar Rakh K Mairay Seenay Pe So Jao Kisi Din

ShArArTi MuNdA
04-17-2009, 06:41 AM
Dil pe karte hain dimagon pe asar karte hain
ham ajab log hain zehnon main safar karte hain

jab sarape pe kahin us ke nazar karte hain
mir sahab ki tarah umr basar karte hain

bandishen ham ko kisi hal gavara hi nahin
ham to vo log hain divar ko dar karte hain

vaqt ki tez-kharami hamain kya rokegi
janbish-e-kalk se sadiyon ka safar karte hain

naqsh-e-pa apana kahin rah main hota hi nahin
sar se karte hain mohim jab koi sar karte hain

ham-nashin khub hai ye mahafil-e-yaranke yahan
vo saliqa hai ke aibon ko hunar karte hain

kya kahen hal tera ai mutamaddin duniya
janvar bhi nahin karte jo bashar karte hain

ham ko dushman ki bhi taqlif gavara na hui
log ehbab se bhi sarf-e-nazar karte hain

marqadon pe to charagan hai shab-o-roz magar
umr kuchh log andheron main basar karte hain

tazakara mir ka Galib ki zaban tak aya
aitaraf-e-hunar, arbab-e-hunar karte hain

ShArArTi MuNdA
04-17-2009, 06:42 AM
samunder mein utarta hoon to…aankhein bhiig jaati hain
teri aankhoon ko parhta hoon to…aankhein bhiig jaati hain

tumhara naam likhne ki ijaazat chinn gaii jab se
koii bi lafz likhta hoon to…aankhein bhiig jaati hain

teri yaadoon ki khushboo khirkioon mein raqs karti hai
tere gham mein sulagta hoon to…aankhein bhiig jaati hain

main hans ke jheel leta hoon judaii ki sabhi rasmein
gale jab uske lagta hoon to…aankhein bhiig jaati hain

na jaane ho giya hoon is qadar hassaas kab se
kisi se baat karta hoon to…aankhein bhiig jaati hain

woh sab guzre hue lamhaat mujh ko yaad aate hain
tumhain yad kerta hoon to…aankhein bhiig jaati hain

main saraa din bohat masroof rehta hoon magar yoonhi
qadm chokhat par rakhta hoon to…aankhein bhiig jaati hain

har ik muflis ke maathe par alam ki daastaanein hain
koii bi chehraa parhta hoon to…aankhein bhiig jaati hain

barhe logoo ke oonche badnumaa aur sard mahaloo ko
gariib ki aankhoon se taktaa hoon to…aankhein bhiig jaati hain

tere koochay se mera talluk ab waajbi saa hai
magar jab bi guzarta hoon to…aankhein bhiig jaati hain

hazaroo mausmoo ki huqmraani hai mere dil par
"wasi" main jab bi hanstaa hoon to…aankhein bhiig jaati hain

ShArArTi MuNdA
04-17-2009, 06:43 AM
jO Tabasum Sey They gUlfishaaN wOhii Lab Hansii kO Tras Gye
hUmii Shehar e Yaar e Hiyaat They hUmiii Zindgii kO Tras Gye

Yeh Ajeeb Subah e Bahaar hAi kOii Zindgii Kii Kiran NAhii
hUmii Khaliq e Mehr o maaH They hUmii rOshnii kO Tras Gye

Yeh Chaman hAi Kaisa Chaman K JahaaN Tahii Damnii Hii Naseeb hAi
Yeh Bahaar Kaisi Bahaar hAi K Kali Kalii kO Tras Gye

Na Karam Na kOii Ataab hAi kOii Is Adda Ka Jawaab hAi
Kabhi dOstii kO Tras Gaye Kabhi dUshmanii kO Tras Gaye

wOhii ManzilOn Sey Bhatak Gaye Na JunOon Key Sath jO Chal Sakey
jO Faraib e hOsh Main Aa Gaye Raah e AaGahi kO Tras Gaye

hAi Ajab NaSeeb Yeh Ishq Ka Wafa Mili Na Jafa Milli
Teray Iltafaat Ki Kya Khabar Teri Be-rUkhii kO Tras Gaye

Main Payam Kaafir e Ishq, Meri Ghum Rahii Bhi hAi BandaGii
Key Fida e Ka’aba o Dair Bhi Meri Kaafrii kO Tras Gaye

ShArArTi MuNdA
04-17-2009, 06:43 AM
wo mery pas hy kya pas bulaoN us ko
dil meiN rehta hy, kahaN dhuNdny jaoN us ko

aaj phir pehli mulaqaat se aaghaz kruN,
aaj phir door se hi dekh k aoN us ko

qaid kr luN usy aankhoN k nihaN khanoN meiN,
chahta huN k kisi se na milaoN us ko

usy duniya ki nigahoN se kruN maiN mehfoz
wo waahaN ho, k jahaN dekh na paoN us ko

chalna chahy to rakhy paaoN mery seeny pr,
baiThna chahy to aankhoN pe biThaoN us ko

wo mujhy itna subuk, itna subuk lagta hy,
kabhi gir ja’ay to palkoN se uThaoN us ko

yaad se us ki nahiN khali koi bhi lamha
phir bhi darta huN kahiN bhool na jaoN us ko,

aaj to dhoop meiN tezi hi bohat hy werna,
apny sa’ay se bhi ***** bachaoN us ko…

ShArArTi MuNdA
04-17-2009, 06:45 AM
Hum Apnay Ikhtiyar Ki Had Say Ghuzar Gaye
Chaha Tumhain Tu Pyaar Ki Had Say Ghuzar Gaye

Likhi Gayein Naseeb Main Kuch Aisi Hijratain
Har Ajnabi Deyaar Ki Had Say Ghuzar Gaye

Jagi Hai Apnay Dil Main Gulaboon Ki Aarzoo
Jab Mousam-E-Bahar Ki Had Say Ghuzar Gaye

Ab Zakhm Haye Dil Ka Kahan Tak Shumar Ho
Yeh Zakhm Tu Shumar Ki Had Say Ghuzar Gaye

Teri Nigha-E-Mast Say Hum Itnay Pee Gaye
Itni K Har Khummar Ki Had Say Ghuzar Gaye

Ehsaas Mar Chuka Hai Khushi Hai Na Gham Koi
Jaisey K Jeet Haar Ki Had Say Ghuzar Gaye

Hasrat Say Mouj-E-Gham Bi Humain Dekhti Rahin
Hum Behr-E-Bar Kinaar Ki Had Say Ghuzar Gaye

Atti Hain Saaf Saaf Nazar Ghum Ki Manzilain
Yeh Qaflay Gubaar Ki Had Say Ghuzar Gaye

MOHSIN Woh Loog Rooz-E-Qayyam Say Kia Darain
Jo Terey Intizaar Ki Had Say Ghuzar Gaye

ShArArTi MuNdA
04-17-2009, 06:45 AM
aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya

kuch din to mera aks raha ayeenay main naqsh
phir yoon huwa k khud mera chehra badal gaya

jab apnay apnay haal pay ham tum na reh sakay
to kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya

kadmon talay jo ret bichi thi woh chal pari
us nay churaaya haath to sehra badal gaya

koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi
jaatay hi aik shakhs kay kiya kiya badal gaya

ik sarkhoshi ki moj naykaisay kiya kamal
wo bay niaaz saara ka saara badal gaya

uth kar chala gaya koi wakfay kay darmiaan
parda utha to saara tamaasha badal gaya

hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
baaton main apni baat ko kaisay badal gaya

kehnay ko ik sehan main deewar hi bani
ghar ki fiza makaan ka naqsha hi badal gaya

shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha woh
manzil kay paas aakay jo rasta badal gaya

qayem kisi bhi haal pay dunyaa nahin rahi
tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya

manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya

andar kay mosaamon ki khabar us ko hojaye
us no bahaar naaz ka chehra badal gaya

aankhon main jitnay ashaq thay jugnoo say ban gaye
woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gaya

apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log
na janay kon shehar ka naqsha badal gaya

ShArArTi MuNdA
04-17-2009, 06:46 AM
Mohabbatka asar ho ga ghalat fehmi mein mat rehna
Woh badlein ge chalan apna ghalat fehmi mein mat rehna

Tasali bhi usse dena yeh mumkin hai main lout aaon
Magar yeh bhi usse kehna ghalat fehmi mein mat rehna

Tumhara tha, tumhara hoon, tumhara hi rahonga main
Mere bare mein iss darja ghalat fehmi mein mat rehna

Muhabbat ka bharam toota to ab chup chup ke rotay ho
Tumhein maine kaha tha na ghalat fehmi mein mat rehna

ShArArTi MuNdA
04-17-2009, 06:47 AM
Meri zindagi to firaq hai wo azal say dil mein makeen sahi
Wo nigah-e-shoq say dur hain, rag-e-jaan say laakh qareeb sahi

Gham-e-zindagi say farar kia, yeh sakun keon yeh qarar kia
Gham-e-zindagi bhi hai zindagi, jo nahi chain to nahi sahi

Hamain jaan deni hai aik din, wo kisi tarhan wo kahin sahi
Hamain aap khenchey daar par, jo nahi koi to hamein sahi

Sar-e-toor ho sar-e-hashr ho, hamain intazar qabool hai
Wo kabhi milain, wo kahin milain, wo kabhi sahi, wo kahin sahi

Na ho in pay jo mera bas nahi keh yeh ashiqi hai hawas nahi
Main unhi ka tha, main unhi ka hon wo meray nahi to nahi sahi

Jo ho faisla wo sunaey usay hashr pay na uthaey
Jo karain gay aap sitam wahan, wo abhi sahi wo yaheen sahi

Usay dekhnay ki jo lau lagi to ***** dekh he lain gay ham
Wo hazaar ankh say dur ho, wo hazaar parda nasheen sahi

ShArArTi MuNdA
04-17-2009, 06:47 AM
Wehshaton ke mor par le aai mujh ko zindagi
Aik pal bhi tere bin na bhai mujh ko zindagi

Mukhtasir se waqt main dekhi bahar-e-arzoo
Char din ko gulsitan main laai mujhko zindagi

Apne hi andar utarnay ka mujhe rasta mila
Tujh se milker de gai gehrai mujh ko zindagi

Justujoo main chand ki, urnay ki koshish kar to lee
Laikin uske baad na raas aai mujhko zindagi

Main ne poocha zindagi se ishq ka anjaam to
keh gai hai kaam main ruswai mujhko zindagi

Ab to chunnay hain mujhe yadon ke moti umr bhar
De gai soghat main tanhai mujh ko zindagi

ShArArTi MuNdA
04-17-2009, 06:48 AM
Kisi se besabab uljha nhi tha.

Wo pehly to kbi aisa nhi tha

Wo phr bi yad rehna chahta tha

Agerchay mei usy bhola nhi tha

Usy b raston ka sb pata tha

Safar mera b ye pehla nhi tha

Bohat aala thaus ka zarf lekin

Wo meri zat ko samja nhi tha

Mein usko dost rakhna chahta tha

Magr wo aap hi mana nhi tha

Wo jaisy berukhi se chal para tha

Mein itna b gya guzra nhi tha

Usy mein kion bura theraon yara.

Wo acha tha,faqt mera nahi tha.

ShArArTi MuNdA
04-17-2009, 07:03 AM
kabhii aah lab pe machal ga_ii kabhii ashk aa.Nkh se Dhal gaye
yeh tere he Gam k chiraaG the kabhii bujh gaye kabhii jal gaye

main Khayaal-o-Khvaab kii mahafile.n na baqadr-e-shauq sajaa sakaa
tere ik nazar k saath hii mere sab iraade badal gaye

kabhii rang main kabhii ruup main kabhii chaa.Nv main kabhii dhuup main
kahii.n aafataab-e-nazar hain vo kahii.n maahataab main Dhal gaye

jo fanaa huye Gam-e-ishq main u.nhe.n zindagii kaa na Gam huaa
jo na apanii aag main jal sake vo paraa_ii aag main jal gaye

yaa u.nhe.n bhii merii tarah junuu.N to phir un main umjh main ye farq kyaa
main giraft-e-Gam se na bach sakaa vo huduud-e-Gam se nikal gaye

ShArArTi MuNdA
04-17-2009, 07:04 AM
Saans lena hua mohaal mujhe
iss mohobbat say ab nikaal mujhe

ab main teri hee zimma daari hoon
kho naa jaoo kaheen sambhaal mujhe

ab behelta nahin main lafzon say
ab na daina koi misaal mujhe

sab kay baray main sochta hoon magar
khud ka rehta nahin khayal mujhe

jatay jatay wo kiss liye paltaa
ab sataaye ga ye sawaal mujhe

saaf keh day jo tere dil main hai
in bahaanon say ab naa taal mujhe

ShArArTi MuNdA
04-17-2009, 07:04 AM
Mujhay yaad koi dua nahi, Meray humsafar abhi soach lay
Tu meri jabeen pay likha nahi, meray hum safar abhi soach lay

Abhi rasta bhi hai dhool main, abhi faiza bhi hai bhool main
Abhi mujh ko tujh say gila nahi, meray hum safar abhi soach lay

Main janam janam say naraz hoon, main janam janam say udas hoon
Main kabhi bhi khul k hansa nahi, meray hum safar abhi soach lay

Tu hai khawab khawab pukarta, meri ankh main nahi ashk bhi
Main k mudatoon say jiya nahi, meray hum safar abhi soach lay

Tujhay khushboon ki hai arzoo, tujhay roshni ki hia justujoo
Main hawa nahi, main diya nahi, meray hum safar abhi soach lay

Tujhay ansoon ko pata nahi, tujhay rutjagoon ka gumaan nahi
Tujhay is say aagay pata nahi, meray hum safar abhi soach lay

Kaheen sakta hai darmiyaan, na zameen milay ge na aasmaan
Tujhay ra’asatoon ka pata nahi, meray hum safar abhi soach lay

Mujhay dhondta he phiray ga tu, na jiye ga roz maray ga tu
Main kabhi bhi ghar pay mila nahi, meray hum safar abhi soach lay

Kahoo ! Loutna hai kabhi yahan, mera dard sun meray meharbaan
Meray pass waqt zara nahi, meray hum safar abhi soach lay…………..!!!

ShArArTi MuNdA
04-17-2009, 07:06 AM
Bujhay Dil say kissi ka muskara deena bohat Mushkil
Kissi k wastay sub kuch luta dena bohat Mushkil

kissi ka khawab aankhoon mein saja leena bohatg aasan
kissi ka durd ankhoon mein chupa lena bohat Mushkil

zara mushkil too hoota haa kissi ka dil chura lena
chura kar dil kissi ka phir Jita deena bohat Mushkil

kissi ki yaad k mooty mery aankhnoon mein Rukhsaan hain
Yeh Gohar,ansoonon k sung baha deena bohat Mushkil

Basa ookaat kahani chupkay say essay banty hay
jis ka hur kissi ko suna deena bohat mushkil

Charag e dil kissi bhi kaam per madham naa hoo gaee
k iss bujhtay dil ki low barha deena bohat mushkil

ShArArTi MuNdA
04-17-2009, 07:07 AM
Chaha Tu Bohot Hai Lakin Woh Mile Hi Nahi
Lakh Koshish Ki Maghar Yeh Fasla Mita Hi Nahi

Najaney Zamaney Ney Majbor Is Qadar Kar Diya
Key Woh Mere Kisi Sada Pey There Hi Nahi

Main Tamam Tar Khoshishon Key Bawajood Har Gaya
Woh Usey Mil Gaye Jis Ney Is Ko Manga Hi Nahi

Her Ek Sey Poocha Terey Na MilnayKa Sabab
Her Ek Ney Kaha Woh Terey Liye Bane Hi Nahi

Mere Hum Nasheen Mere Hum Nawaz Yeh Dua Hai Koi Gila Nahi
Tujhey Zindage Main Woh Sukhoon Miley Jo Mujhey Kabhi Mila Hi Nahi.

ShArArTi MuNdA
04-17-2009, 07:08 AM
AJEEB larki hoon khud ko jalana chahti hoon
Main khud ko rakh kar key kahin bhool jana chahti hoon

Mere naseeb ki khushiyan bhi kab mili muj ko
Bas ab to umer bhar aansoo bhahana chahti hoon

Najane kitni Mohabbat hai ranj-o-gham se muje
Koi bhi dard ho dil main chupana chahti hoon

Baha baha key ye aansoo bikher chuki hoon bohat
Simat key zaat main ab muskurana chahti hoon

Jise ek umer dil main chupa key rakha hai
Wo raaz aaj main sab ko batana chahti hoon

Wahee hai yaad jo acha kaha hai logon ne
Baqi sarey sitam bhool jana chahti hoon

Muje zamane ne pather samaj liya hai
Main ek larki hoon sab ko batana chahti hoon

Jo mujse rooth chuki hain zamane ki khushiyan
To main bhi un khushiyon se rooth jana chahti hoon

Tu apne Dil key her ek dar ko khool de
Main dard ban ker tere dil main aana chahti hoon

ShArArTi MuNdA
04-17-2009, 07:09 AM
rukhsat hua to aankh mila kr nahiN gya
wo kyuN gya hy ye bhi bata kr nahiN gya

wo youN gya k bad-e-saba yaad aa gaei
ehsaas tak bhi ham ko dila kr nahiN gya

youN lag raha hy jesy abhi laot aa’ay ga
jaty hu’ay charagh bujha kr nahiN gya,

bas ik lakeer khainch gya dermiyan meiN,
deewar raasty meN bana kr nahiN gya,

shayad wo mil hi ja’ay magar justuju hy shart,
wo apny naqsh-e-paa to miTa kr nahiN gya

ghar meiN hy aaj tak wohi khushbu basi hui,
lagta hy youN j kesy wo aa kr nahiN gya

tab tak to phool jesi hi taza thi us ki yaad
jab tak wo pattioN ko juda kr nahiN gya

rehny diya na us ne kisi kaam ka mujhy
aur khak meiN bhi mujh ko mila kr nahiN gya

wesi hi be-talab hy abhi meri zindgi
wo khaar-o-khas meiN aag laga kr nahiN gya

Ali ye gila hi raha us ki zaat se,
jaty hu’ay wo koi gila kr nahiN gya

ShArArTi MuNdA
04-17-2009, 07:10 AM
Meri Zindgi Bhe Meri Nhe Yeh Hazar Khanoun Mein Batt Gaii
Mujhey Eik muti Zameen They Yeh Zameen Kini Simat Gaii

Teri Yaad Ay To Chup Rhon Zara Chup Rhon To Ghazal khon
Yeh Ajeeb Aag Ki Bail Thi Meray Tan Badan Sey Lipat Gaii

Mujhe Likhne Wala Likhe Bhe Kya mujhe Parhne Wala Parhe Bhe
KyaJhaan Mera Naam Likha Gya Whaan roshnai Ulat Gaii

Na koi Khushi na Malal Hai Key Sabhi Ka Eik Sa Hi Haal Hai
Teray Sukh Key Din Bhe Guzar Gye Meri Gham Kii Raat Bhe Kat Gaii

Meri Band PalkonPar toot Ka koi Phool Raat Bikhar Gya
Mujhey Siskiyoun Ney Jagga Deya Meri Kachi Neend Uchat Gaii

ShArArTi MuNdA
04-17-2009, 07:13 AM
Khud ko is dil main basane ki Ijazat Day Do
Mujh ko tum apna bananay ki Ijazat Day Do

Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho
Phoolon say khud ko sajanay ki Ijazat Day Do

Main kitna chahte hoon kis tarha bataoon tumhain
Mujhay yeh aj batanay ki Ijazat Day Do

Tumhari raat si zulfon main chand sa chehra
Mujhay yeh sham sajanay ki Ijazat Day Do

Mujhay Qaid kar lo apnay ishq main.!
Yeh jaan tum pe lootanay ki Ijazat Day Do

Nahi hai shauk ****** ko bhoolnayka mager
Mujhay yeh duniya bhoolanay ki Ijazat Day Do

life2
04-18-2009, 11:19 PM
sopper munda.

Wo b hum ko toot k chahey!
Hum itnay “ANMOL” na thay….

ShArArTi MuNdA
04-18-2009, 11:33 PM
Thanks life2 jeee

keeep visiting

life2
04-18-2009, 11:50 PM
thanx.

life2
04-18-2009, 11:52 PM
tahnx

dur-e-shahwar
04-20-2009, 09:47 PM
v nyc

ShArArTi MuNdA
04-22-2009, 04:57 AM
Thanks

momal ali
04-22-2009, 06:25 AM
Osum collection sm ji :Brilliant:

(¯`•¸♥Faryal♥¸•´¯)
04-22-2009, 07:14 AM
very nice

ShArArTi MuNdA
04-22-2009, 08:09 AM
Thanks Mahum & Faryal

ShArArTi MuNdA
04-22-2009, 08:22 AM
kitne ajeeb rishtey hai yahan pe
do pal milte hai saath saath chalte hai
jab mod aaye toh bach ke nikalte hai
kitne ajeeb rishtey hai yahan pe
do pal milte hai saath saath chalte hai
kitne ajeeb rishtey hai yahan pe
yaha sabhi apni hi dhun main deewane hai
kare wahi jo apna dil ki hi mane hai
kaun kisko pooche kaun kisko bole
sabke labon par apne tarane hai
le jaye nasib kisiko kahape
kitne ajeeb rishtey hai yahan pe
khwaabon ki yeh duniya hai khwaaboh main hi rehna hai
raahen le jaye jaha sangh sangh chalna hai
waqt ne hamesha yaha naye khel khele
kutch bhi ho jaye yaha bas khush rehna hai
manzil lage kareeb sabko yahan pe
kitne ajeeb rishtey hai yahan pe
do pal milte hai saath saath chalte hai
jab mod aaye toh bach ke nikalte hai
kitne ajeeb rishtey hai yahan pe

ShArArTi MuNdA
04-22-2009, 08:25 AM
Phir Chand Nikla Phir Raat Thami
Phir Dil nay kaha Bus Teri Kami
~~~~~~~~
Phir Yad ka jhonke mehek gaye
Phir Pagal Arma Behek Gae……
Phir Dil ne kaha bas teri Kami
~~~~~~~~~
Phir Guzre lamho ki bate
Phir jagi jagi si raate
Phir Theher gai palko pe nami
Phir Dil na kaha bus tari kami

ShArArTi MuNdA
04-22-2009, 08:28 AM
suna hoga bohat tum ne ….

kahiN aankhoN ki rim jhim ka

kahin palkoN ki shabnam ka…

parha hoga bohat tumne ….

kahiN lehjay ki barish ka

kahiN sagar ke aansoo ka…

magar tum ne kabhi humdam …

kahin daikhay? kahin parkhay?

kisi tehreer ke aansoo??…!!

mujhe teri judaai ne …

yehi mairaaj bakhshi hai…

ke main jo lafz likhta hooN …

woh saray lafz rotay hain

ke main jo harf bunta hooN …

woh saray bain kartay hain

mere sang is judaai main …

mere alfaz martay hain

sabhi tareef kartay hain …

meri tehreer ki lekin..

kabhi koi nahin sunta …

mere alfaz ki siski…

falak bhi jo hila daalay..

mere lafzoN main hain shamil …

usi taseer ke aansoo…

kabhi daikho mere humdam…

meri tehreer ke aansoo..!!!

ShArArTi MuNdA
04-22-2009, 08:28 AM
Dua ko haath uthayen to dil larazta hai
ke pad na jaye khud apni nazar wahan ke jahan
naseeb likkha gaya
pattharon ke harfon se
hatheliyon ki lakeeron ke syaah khalaon me
kabhi shabon ke kisi karbnaak lamhon me
koi karaah jo ajaaye bhool kar labb pe
to haul haul se jate hain hausle saare
ke taar taar samaa-at ke zakhm pehle hi
dukhe huye hai sadaon ki narasayi se
kaise batayen ke jeeven ke kaarzaar me hum
shikaste zaat ki tasveer me muqeed hain
janam liyaa hai to ab tak kai zamano se
hum ek tai-shudaa taqdeeer me muqeed hain

ShArArTi MuNdA
04-22-2009, 08:30 AM
Khush haal se tum bhi lagte ho
yun afsurdaa to hum bhi nahi
par janne wale jante hain
khush hum bhi nahi
khush tum bhi nahi
tum apni khushi ke pehre me
aur daame ghurur me jakde huye
hum apne zom ke narghe me
anaa haath hamare pakde huye
ik muddat se ghaltan o pench
tum rabt o gurez ke dharo me
hum apne aap se uljhe huye
pachhtawon ke angaaron me
khamosh se tum
hum mohar ba lab
jag beet gaye takk beet gaye
suno khel adhuraa chhodte hain
binaa chaal chale
binaa maat kiye
jo bhaagte bhaagte thakk jayen
woh saaye rukk bhi sakte hain
chalo todo qasam
iqraar karen
hum dono jhukk bhi sakte hain

ShArArTi MuNdA
04-22-2009, 08:30 AM
Kal halki halki barish thi
Kal sard hawa ka raqs bhi tha

Kal phool bhi nikhray nikhray thay
Kal un pe aap ka aks bhi tha

Kal badal kalay gehray thay
Kal chand pay lakhon pahray thay

Kuch tukray aap ki yaad kay
Bari dair say dil main thehray thay

Kal yaadain uljhi uljhi thin
Aur kal tak yeh na suljhi thin

Kal yaad bohut tum aye thay
KAL YAAD BOHUT TUM AYE THAY!!!

ShArArTi MuNdA
04-22-2009, 08:36 AM
Dil K Khali Mandar Me
Waqt K Samandar Me
Dukh K Sub Jazeeroo’n per
Waqt Jab Guzaro Gay
Yeh Hunar Alfazoo’n K
Tum Bhi Seekh Jao Gay

Tum Bhi Jan Jao Gay
Dhoondhna Zaroori Hay
Khak Bharay Dheeroo’n Me
Khoodna Zaroori Hay
Bhaid Jaisay Logo’n Ko
Khoojna Zaroori Hay

Khushk Sada Baatoo’n Ko
Shelf Ki Kitaboo’n Ko
Aur Kitabi Chehroo’n Pe
Khali Khali Ankhoo’n Ko
Parhna Seekh Jao Gay

Kitaboo’n Jaisy Logo’n Me
Risalo’n Jaisay Logo’n Me
Likhna Seekh Jao Gay

Tum Bhi Seekh Jao Gay
Aisa Waqt Aya To !!!!!!!!

ShArArTi MuNdA
04-22-2009, 08:48 AM
Mujhe aawaz de lena

Kabhi jab ankh chalkay to
Kabhi jab dil na sambhlay to

Mujhe aawaz de lena

Kabhi jab door ho koi
Bohat majboor ho koi
Koi aawaz na de to

Mujhe aawaz de lena

Koi ansoo na ponchay to
Koi hansnay se rokay to
Koi tum ko sataye to

Mujhe aawaz de lena

Kabhi jab din na guzray to
Kabhi jab raat tarpaye to
Kabhi din main andhera ho

Mujhe aawaz de lena

Main tere pass hota hoon
Main tere sath rehta hoon
Magar phir bhi guzarish hai

Mujhe aawaz de lena

ShArArTi MuNdA
04-22-2009, 08:53 AM
Wo Keh Ke Chalay Itnee Mulaqat Bohot Hay
Main Nay Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay

Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana
Aisay Main Kahan Jao Gay Barsaat Bohot Hay

Wo Kehnay Lagay Jana Mera Zarori Bohot Hay
Nahi Chahti Dil Toron Tera, Per Majboree Hay

Gar Hoi Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena….
Main Nay Kaha Hojao Chup, Itnee Kahi Baat Bohot Hay

Samajh Gaya Hoon Sab Aur Kuch Kaho Zarori Nhi
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zarori Nhi

Phir KAbhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Lot Ke
Sari Zindagi Tanhayee Ke Liye, Aaj Ki Raat Bohot Hay

ShArArTi MuNdA
04-22-2009, 08:53 AM
Aankh sey barsey, to barsaat na qaaboo aaye
tum ney bakhshey they jo sadmaat, na qaaboo aaye

ham ney mar mar ke guzaarey hain judaayi main terii
ye sulagtey hoye din raat na qaaboo aaye

aaina TooT key jese ho zameeN par bikhra
aese bikhrii hai mrii zaat na qaaboo aaye

go keh muThii main raheeN waqt ki saarkash ghariyaan
par trey wasl key lamhaat na qaaboo aaye

Ranj main chhor gaya saath mra saaya bhi
aesey bigrey mrey haalaat… na qaaboo aaye

ham ney chaaha tha tumhaiN bhool key jee lein lekin
is dil-e-wehshii ke jazbaat na qaaboo aaye

aik sey aik naya dard miley hain humko
yeh muqaddar ki mudaraat na qaaboo aaye

ShArArTi MuNdA
04-22-2009, 08:54 AM
Mujhe Tum Yaad Aatay Ho ….

Muqaddar k sitaron per,

Zamanon k ishaaron per,

Udaasi k kinaron per,

Kabhi veeran sheron mein,

Kabhi sunsaan raahon per,

Kabhi hairaan aankhon mein,

Kabhi beejan lamhon mein,

Tumhari yaad chupke se koi Sarghosi karti hai,

Ye palkein bheeg jati hain,

Main palkon ko jhukati hon,

bazahir muskurati hon,

Faqt itna hi kehtii hon….

Mujhe kitna satatey ho..

Mujhe tum yaad aatay ho ….

ShArArTi MuNdA
04-22-2009, 08:55 AM
BhulTaa Kon Hai Waqt K Gha’oo Ko
Hijar K Tand’o’Tufan Ki Bai’yaqeen Laher Main
Wasaal K Khuwab Ki Dob’tee Naa’oo Ko
BhulTaa Kon Hai…!

BhulTaa Kon Hai
Apne Qateel K Qateel’Kha’Doo’Khaal Ko
Dukh Utha’te Dinoon Or Maa’hoo’Saal Ko
BhulTaa Kon Hai….!

BhulTaa Kon Hai
Omeer Ki Shaak Par Kheel’nee Wali Us Aa’wale Shaam Ko
Hum Pee Bai’Sabab Jo Laga Hai’’Us Elzaam Ko
BhulTaa Kon Hai……!

Phir Tere Naam Ko
BhulTa Kon Hai…….!

ShArArTi MuNdA
04-22-2009, 08:56 AM
Yeh jo deewanay se do-chaar nazar aatay hain

Inn mein se kuch sahib-e-israar nazar aatay hain

Teri Mehfil ka bharam rakhtay hain so jatay hain

Warna yeh log to bedaar nazar aatay hain

Merey daamin mein shararon k siwa kuch b nahi

Aap phoolon k khareedar nazar aatay hain

Door tak koi sitara hai na koi jugnoo

Marg-e-umeed k aasaar nazar aatay hain

Kal jinhen choo nahi sakti thi farishton ki nazar

Aaj woh ronaq-e-bazaar nazar aatay hain

Hashr mein kon gawaahi meri de ga *****

Sab tumharay hi tarafdaar nazar aatay hain

ShArArTi MuNdA
04-22-2009, 08:56 AM
Agar tumhain muqadar shikast ki thokr laga day..
Or agar tum laut aaoo,,
To main tumharay kamzor jism se intiqam k bajaye,,
Tumhari shikast per apnay naam ki mohar laga doon gi,,,

Or!!

Apni fatah ki muskurahat,
Tumharay shikast khurda hoonto per saja doon gi,,

Or suno!!

Mayus mat hona,,
Main tumharay girtay ansoo ko,,
Apnay phoolo k daman main samet lon gi,,
Apnay Zakhmon se mat ghabrana,,

Main tumharay zakhmon ko,,
Apni chahatoon ki qaba main lapet lon gi,,
Yehi mere zarf ka Imtihan hoga,

Or suno…

Yehi mera intiqaam hoga….!

K@IN@@T
04-22-2009, 12:46 PM
hmmmmmmmmmm niceeeeeeeeeeeee

Zara_Ansu
04-22-2009, 09:24 PM
nice

ShArArTi MuNdA
04-24-2009, 04:09 AM
Thanks Hafsa n Zara jeee

Irfa
04-24-2009, 05:03 PM
nice

ShArArTi MuNdA
04-25-2009, 09:52 AM
Thanks all

ShahTaJ
04-25-2009, 11:15 PM
very nice

Irfa
04-27-2009, 04:00 PM
nice

ShArArTi MuNdA
04-28-2009, 08:12 AM
Thanks

ShArArTi MuNdA
04-29-2009, 08:16 AM
Hum nazuk nazuk Dil waley,
Bus aisey hi to hotey hain,

Kabhi hanstey hain, Kabhi Rotey hain,
Kabhi dil main Khuwab pirotey hain,

Kabhi mehfil menfil phirtey hain,
Kabhi zaat main tanha hotey hain,


Kabhi Chup ki mohar sajate hain,
Kabhi geet labon per latey hain,

Kabhi sub ka dil behlatey hain,
Kabhi khud main tanha ho jatey hain..........!!!!

ShArArTi MuNdA
04-29-2009, 08:17 AM
Kabhi kuch baat kehdena or kehna chalo chhoro
Kabhi kuch kehte - kehte keh dena chalo chhoro

Yeh ada'ain tumhari khaas lagti hain na janay kyun
Kabhi socha k keh dalun kabhi socha chalo chhoro

Jatana bhi nahi aata keh yeh tumse kaisa rishta hai
Tumharay sath chalta main, phir socha chalo chhoro

Meri beqarari ka aalam kya hai kise jakar bataun main
Tha ye socha tumko bataunga phir socha chalo chhoro

Kha'hish hai yeh meri tumhain jee bhar kar daikun main
Tumhari tasweer banata main, phir socha chalo chhoro

Jo tum rooth jao gee to ghazal keh kar mana lunga
Aisay jo manaoon to kehti ho achchha chalo chhoro

Rahe gi ummeed jab tak yeh hamaray eik honay ki
Dar hai tum keh na do ummeed ko chalo chhoro

ShArArTi MuNdA
04-29-2009, 08:22 AM
Qurbaton main bhi judaaii kay zamaanay maangay
Dil woh be-mehar keh ronay kay bahaanay maangay

Hum na hotay tou kisi aur kay charchay hotay
Khalqat-e-shehar tou kehnay ko fasaanay maangay

Yehi dil thaa keh tarasta thaa maraasim kailiye
Ab yehi tark-e-talluq kay bahaanay maangay

Main woh mehroom keh jaisay koii veeraana ho
Tuu woh khush-fehm, kharaabon say khazaanay maangay

Apna yeh haal keh jii haar chukay, lut bhi chukay
Aur muhabbat wohii andaaz puraanay maangay

ShArArTi MuNdA
04-29-2009, 08:23 AM
Tum ju chaho

Tum ju chaho sab mumkin hai
Tum na chaho kuch bi nahi
Tum ju chaho sab kuch hon main
Tum na chaho kuch b nahi
Tum ju chaho ho sakti hai roshan ye andheri rahain
Tum na chaho phiron batakta kocha kocha gali gali
Tum gar chaho khil sakte hai phool in ujri shahkon par
Tum gar na chahe tu bahare dard khazaye ban jayen gi
Tum ju chaho muje ko samblo, na chaho tu toot ke bikhron
Jan meri ………….gar tum chaho
Ham tum dono mil sakte hai
Na chaho tu rul sakte hai
Bas itna………………….
Tere chahne na chahne se
Sab mumkin…………ya kuch bi nahi hai………….

ShArArTi MuNdA
04-29-2009, 08:23 AM
Agar roone ko ji chahe tu ham roo b nahi sakte
Tume pa bi nahi sakte tumhe kho bi nahi sakte

Khawahish hai ke dil ka ujhala pan har dam rahe qayam
Magar ye daag-e-hijran hai jinhe dho bi nahi sakte

Ajeeb sa khauf hai raaton main dil tanha musafir hai
Jagaye khud ko na jaage ke ham soo bi nahi sakte

Tumhara samna hote hi kia ho jata ham ko?
Ke kuch kehna bi hai mushkil tu chup ho bi nahi sakte

ShArArTi MuNdA
04-29-2009, 08:24 AM
Aarzoo Thi Humein Itnaa Zahe Qismat Mil Jaaye
Saari Duniya Mein Kisi se To Mohabbat Mil Jaaye
Jiteji Paayaa Naa Kuch Humne Zamaane Waalo
Ab Janaaze Ko To Rukhsat Ki Ijaazat Mil Jaaye

Poochh Rahe Hain Poochhne Waale
Lekin Hum Batlaayen Kyaa
Daagh Yeh Dil Ne Paaye Hain Kaise
Un Ko Hum Samjhaayen Kyaa

Kitne Daagh Hain Is Daaman Mein
Kitne Daagh Hain Maathe Par
Jo Hum Ko Apnaa Sa Lagte The
Sach Hai Hume Apnaaye Kyaa

Jo Apnon Ki Basti Thi Ab Nagari Hai Begaano Ki
Kon Yahaan Hai Sunne Waala
Dil Ki Baat Sunaayein Kyaa

Patthar Ab Kyaa Phhek Rahe Ho
Hum Pehle Se Hi Zakhmi Hai
Dil Par Kitne Zakhm Lage Hain
Chhodo Tumhein Ginwaayen Kyaa. !

ShArArTi MuNdA
04-29-2009, 08:25 AM
Mansoob Thay Jo Loog Meree Zindagi Kay Saath
Aksar Wohee Millay Hain Bari Bay Rukhee Kay Saath

Chehray Badal Badal Kay Mujhay Mil Rahay Hain Loog
Itna Bura Sulook Meree Sadgee Kay Sath

Ik Sajda-E-Khuloss Ki Qeemat Faza E Khuld
Ya Rab Na Kar Mazzaq Meri Bandgi Kay Saath

Yoon To Main Hans Para Hoon Tumharay Liay Magar
Kitnay Sitaray Toot Paray Ik Hansee Kay Saath

Fursat Millay To Apna Graibaan Bhee Daikh Lay
Aye Dost Yoon Na Khel Meri Bay Basee Kay Sath

Majburiyoon Ki Baat Chali Hai To Meh Kahan
Hum Ne Piya Hai Zehar Bhee Aksar Khushee Kay Sath

***** Karam Ki Lay Bhee Hoo Jis Main Khuloos Bhee
Mujh Ko Ghazab Ka Piyar Hai Us Dushmani Kay Saath

ShArArTi MuNdA
04-29-2009, 08:34 AM
Khuwaab Min Aa ker Wo Meri Neend Uraati Thi Bahut,
Her Ghari Wo Dekh kar Muskurati Thi Bahut,

Chor Hi Dena Pada Ghabra kar Us k Shaher Ko,
Yaad Uski Raat Din Mujh ko Rulati Thi Bahut,

Apni Baahon Me Jab Jakar Leti The Ranjo Alam,
Aa k Ek Andaaz Me Mujh ko Hansaati Thi Bahut,

Apne Dil Ki Baat Wo Mujhse Kabhi Kehti Na Thi,
Dusron K Pyaar Ke Qissey Sunati Thi Bahut,

Chahti Thi Sirf Meri Hi Nazar Us per Parey,
Ghair Ki Nazron Se Wo Khud Ko Bachati Thi Bahut,

Din To Kat Jata Tha Mera Doston Ke Saath Mein,
Raat Me Lekin Wo Mujh ko Yaad Aati Thi Bahut.

SHAYAN
04-29-2009, 10:02 PM
Kool.. Collection ....

ShahTaJ
04-29-2009, 10:06 PM
oho yado se bhag ker us gai ho :p
very nice

dur-e-shahwar
04-30-2009, 05:51 PM
v nyc

ShArArTi MuNdA
05-02-2009, 06:31 AM
Thanks all of you

-|A|-
05-08-2009, 01:43 AM
very nice

!«╬Ĵamil Malik╬«!
05-10-2009, 12:50 AM
so nice collection ali bro

life
05-15-2009, 05:27 PM
nice.........

Ali jee
07-05-2009, 07:22 PM
nice 1 ..............

"K.G"
07-11-2009, 05:34 PM
nice

FAJAAN
07-13-2009, 08:10 PM
nyce

ShArArTi MuNdA
07-31-2009, 11:03 PM
Thanks all of you visting and lyking it...... now am back and will b sharing some more stuff sooon :)

life
08-02-2009, 01:53 PM
nice.....................

A L i
08-03-2009, 09:15 PM
nice collection bro

life
08-13-2009, 07:03 PM
v nice................

ShArArTi MuNdA
08-17-2009, 11:31 AM
Thanks Guys
==========================
Post Auto Merge
==========================
jiski ankhon main abhe ashkon ki rawani hogi....
Darhaqeeqat woh mohabat ki kahani hogi....

Woh jo bachpan main he lagta hai koe jadugar....
Kya sitam dhayega jub uspe jawani hogi....

Ishq karte ho to pegham rasani choro....
Pyar ki baat na gheron ki zubani hogi....

Kal mujhe kehnay lagi us kay khatoon ki khushbu....
Uski har yaad tumhain dil se bhulani hogi....

Muddaton bad woh ayengay tere ghar be shyed....
Dil ki dehleez tumhein ajj be sajani hogi....
==========================
Post Auto Merge
==========================
#MOHABBAT#

woh barish hai
jisay
chhoone ki
koshish mein
HATHELIYAN geeli
to ho jati hain,
Magar HAATH
khaali
reh jaate hain.........

!~*SOoLi
08-17-2009, 11:55 AM
Hmmmm Nice .. :goodpost:

ShArArTi MuNdA
08-17-2009, 11:59 AM
kia goood post yaaar AYAZ k yeh MERGE POST waley system ki waja se i can't put anythin in my collection.. its mergin all of it... it doesn't loook nice... maza nahi hai aaab :) lets seeee
Thanks ayways...

!~*SOoLi
08-17-2009, 12:02 PM
Hahaha .. Yaar honestly Speaking Main yehi Cheez Soch RAha Tha K Munda Sahib To Aik Time Main bohat Zyada Posts Kartay Hain :laugh: Ab Yeyy System In Ko Pata Nahi Rass Aye Na Aye .. :(

Chal Guzara Kar :p

ShArArTi MuNdA
08-17-2009, 12:04 PM
nahi yaaaar main flooding ya posting k no barhaney k liye nahi kerta houn and u know that too ... main tu bas poetry main hi kerta houn aur aab woh b nahi ker sakta :( merey ko tu nahi raaaas aye ayaz se baaat karounga fasila uskey baaad hi ker paounga :p aaaj barey dinooo baad postin ka dil kia woh b .............. rul gaya lolxxx

!~*SOoLi
08-17-2009, 12:12 PM
Chal Jab Tak Main Online Hoon .. Tu Post Kar :laugh: Teri 1 Post Kay Baad Mian Nice Kaho'n Ga Phir Teri Turn Then Meri :laugh: ..
What an Idea Sir Ji :laugh:

SHAYAN
08-17-2009, 12:13 PM
V.Nyc.. Man :)

ShArArTi MuNdA
08-17-2009, 12:57 PM
Aaj phir meri yaadon se usne ghar ko sajaya hoga..
Meri tasveer ko dewar per usne lagaya hoga..

Na jane kitni bar rait pe likha hoga mera naam usnay..
Her bar kise lehar ne aaker usay mitaya ho ga..

AY HAWA!

Tu ja us kay ghar say mari yaadein samait le..
Kya pata aaj phir in yaadon ne usay rulaya hoga..

life2
08-17-2009, 11:20 PM
nyc.....munda

ShArArTi MuNdA
08-18-2009, 12:19 AM
Thanks all of you

life2
08-20-2009, 07:50 AM
ik Zindgii Gazeeda Sey Yeh dUshmanii Na Kar
Aey dOst mUjh kO Umr e Abd Kii dUa Na Dey

ShArArTi MuNdA
09-19-2009, 10:16 PM
Aik baat kehni thi tujhsay
jo khudh say bhi na keh paayi
teri mohabbat aik saaza hai
yeh aaj samajh main aayi

Kyun main tujhay khudhsay
juda nahi kar paati
kyun teri yaadein ab
dil say dorr nahi jaati

Kyun meri haansi ab
laboon pay khatum ho jaati
kyun har umeed mujhay
teri orr kheench laati

Pyar ke yeh kaisi keemat
tu mujh say lay raha hai
kya mujh say itni nafraat
jo har lamha gham day raha hai

Ab tuu he baata
keh maira kasoor kya hai
tujh say mohabbat kar kay
mainay kiya jurm kiya hai

Kya main teri mohabbat kay
kisi haal main laiq nahi
kya mujhay iss ki saaza
aansoun main milay gi

Teri saari baatein
ab jhooth lagnay lagi hain
phir bhi teri hansi ko
na bhula paon gi main

Tunay ab aisay
kyun kaid kar rakha hai mujhay
kyun maira dil inqar karta hai
ab bhulanay say tujhay

Haar raat mairay khaboon main
aik tera hee chehra hai
ab tou maut bhi apna loon
agar akhrat main tou mera hai...

ShArArTi MuNdA
09-19-2009, 10:17 PM
Sardioon kay mousam main
Baadiloon kay daaman say
Jab zameen kay aangan main
Baarshain utarti hain
Aisay sard mousam main
Parbatoon ki uryani, Barf oorh laiti hay
Saans ki hararat say
Khirkioon kay sheeshoon pay
Dhund aanay lagti hay
Phir bhee aisay mousam main
Munjamidd zamanoon kay
Kon say wo jazbay hain
Jo pighalnay lagtay hain ....

ShArArTi MuNdA
09-19-2009, 10:19 PM
pyar se pyar karo pyar ko ruswa na karo,
meri to aadat hai tum khud ko afsurda na karo,

meri bahon main chalay aao dartay kyun ho,
gehrai hai bohat dil main yun jhanka na karo,

main to aashiq e dedar hoon koi rahzan to nahin,
betho mere pass yun mujhse parda na karo,

kon chalta hai tamam umr hi sath,
laikin waqt se pehlay to khud se juda na karo,

badalon ki bhi tum ko nazr lag sakti hai,
tang qaba ho to barish main nahaya na karo,

bijliyan girti hain kitne sadah dilon per,
aisay be pardah sehan main aya na karo,

tum kya jano ye dil ki lagi kya hoti hai,
kisi maasoum se dil se yun khaila na karo,

dekho nazuk hai tumhari ungliyan bohat,
in se pholon ko yun masla na karo,

shaam dhalay wo pirota hai gham apne,
***** her roz ussey yun mila na karo.

ShArArTi MuNdA
09-19-2009, 10:19 PM
Mujhe us ne kabhi dhoka nahin diya
per kuch kehne ka kabhi mouqa nahin diya

Jagti aankhon se bunn raha tha khwab
sapnon ne us k sone ka kabhi mouqa nahin diya

udta phiron main bhi khulay aasman main
sayyad ne rehai ka kabhi mouqa nahin diya

wada shikan hai wo kuch be wafa bhi hai
aisay kisi khayal se dil kabhi chota nahin kiya

mashq e sitam main yun to usko kamal tha
hamse gila ho us ko kabhi mouqa nahin diya

aashiq to ik jahan tha uska magr ****
sani nahin hamra kabhi dawa nahin kiya

K@IN@@T
09-19-2009, 10:21 PM
v nice

ShArArTi MuNdA
09-19-2009, 10:21 PM
Koi bhi pa e haal aaya na raat bhr
humne bhi apne dil ko samjhaya na raat bhr

go aasman raat barham raha bohat
humne bhi aashiyaan ko bachaya na raat bhr

ghum khwar roo rahay thay apnay hi dard ko
humne bhi apna zakhm dikhaya na raat bhr

kal to nikal hi aaya main hangaam e shehr se
sach pochiye to is darja sukoon bhi bhaya na raat bhr

kis ko padi hai k dil figaraan ki lay khabr
afsoos! chand bhi idhar aaya na raat bhr

jhatki jo usne zulf mere shaanay pe aatiki
main ne bhi shouq main hataya na raat bhr

mehfil main kal aadoo ki aisi thi mae e naab
humne bhi us main paani milaya na raat bhr

is tarha rab se ki baghawat tamam raat
pas e baraat bhi sajday se sir uthaya na raat bhr.

ShArArTi MuNdA
09-19-2009, 10:21 PM
Thanks Kainaat jii for visiting and lyking it

ShArArTi MuNdA
09-19-2009, 10:23 PM
Ab k tarz e sukhan badlain ge bhi to kya hoga ?
shikasta dil se ada naghma e gull kya hoga ?

"Mizrab e gham ki zadd pe rag e jaan" ho jab,
tum hi keh do phr andaaz e sukhan kya hoga

rooh ne tae kiya hoon zakmon k safar
phir us ka haasil e safar kya hoga

zindagi nain to kaai sooraj hain diya mjhko
khatm hi na ho shab e hijr kya hoga

shab e furqat to ro ro k kaat li humne
din niklay ga to phir kya hoga

gham tarazu hain teer ki manind dil main
ashk aankhon main haal e jigr kya hoga

tum mjhe detay ho khushyon ki naveed
chashm e muntazir ho jae gi pathr kya hoga.....

ShArArTi MuNdA
09-19-2009, 10:24 PM
Ulfat main zindagi ki jo ham shaam kar chalay
umr e tamam tere naam kar chalay

her gaam hum andheroon main dhaltay chalay gae
aur roshni tamam tere naam kar chalay

ussay ho guftagu yehi hasrat rahi hamain
ham aik sang dil se sukhan kham kar chalay

aasan nahin hai ishq ki manzil k rastay
ham aashiqoon k naam ye pegham kar chalay

Rab jantay hain jisko wo baad az khuda tui
maa sari kayyanat tere naam kar chalay

suntay hain ham k shair e faiz o faraz bhi
Allah shairy main wo kya naam kar chalay

shohrat ki justaju main sukhanwar tamam hain
so ham door se salam baher gaam kar chalay

kousar
09-19-2009, 11:34 PM
nycccccccccccccccccccccccccccccccc

ShArArTi MuNdA
09-23-2009, 03:54 AM
Thanks Kousar

ShahTaJ
09-24-2009, 06:04 PM
very nice

ShArArTi MuNdA
09-25-2009, 09:50 AM
Thanks Shahtaj jii

MAsooM LArKa
09-25-2009, 01:04 PM
Wah MunDa ji apki Collection ki tu kiya hi baat hai
lajawab apni misal app Gr8 janab

ShArArTi MuNdA
10-03-2009, 07:43 AM
Thanks Ma$oom jiii for lykin it.

Keeep visiting :)

ShArArTi MuNdA
10-03-2009, 07:43 AM
Meri duaa hai ke khus rahoo tum
Miley na koi ghum jahan bhi raho tum
Samundar ke terha dil hai gheera tera
Khusyoun say bhara rehey daman tera
Tum joo kahooo woh har kowaish puri ho tumhari
Khuda say bhi bus yahi duaa hai humari
Toofa kai doon tumhey duaaoon ke siwa
Ke khuda humeshah rehey razi tum say sada .

ShArArTi MuNdA
10-03-2009, 07:44 AM
lamha lamha zindagi ka battor raha hai
bikhri hui duniya ko battor raha hai

khwab jo kabhi pure nahi ho sakte
aaj un tute khawab ko jor raha hai

geeli aankhon ke behte paani se
apne hi daman ko kar sharabor raha hai

Kitne hi rahon pe phoolon pe chal
aaj kaaton se muh mor raha hai

Kalam ki siayi khatam hone par
katre ke lie dil nichor raha hai

"kamal" kuch hi pal ki to hai zindagi
to aaj maut ko kyon kar door raha hai

ShArArTi MuNdA
10-03-2009, 07:45 AM
Us shaks ko mera halka sa ehsaas to hai

bay dard sahi woh mera humraaz to hai

Woh aaye na aaye mere paas lekin

shidat se mujhe us ka intezaar to hai

Abhi nahi to kya hua mil hi jayenge kabhi

mere dil main us se milan ki aas to hai

pyaar ki gawahi mere aankoon se na maang

barasti nahi aankhen magar dil uddas to hai

ShArArTi MuNdA
10-03-2009, 07:46 AM
Na raasta sujhayi deta hai
Na manzil dikhayi deti hai
Na lafz zubaan per aate hain
Na dharkan sunayi deti hai



Ek ajeeb si kaifiyat ne
Aan ghera hai mujhe.....
Ke her surat main ......
Teri surat dikhayi deti hai



Yeh milna aur bicharr jaana
Kab apne bas ki baat hai
Kismat hi milati hai hum ko
Kismat hi juddai deti hai


Her baar yeh hi hota hai
Koi humain bataye to sahi
Jo tum se nahi keh paate hain
Dharkan se sunayi deta hai


Tum jaante ho kya tum se kahen
Bechain bohat Dil hota hai
Jab paas nahi hote ho
Door saari KHUDAYI hoti hai

ShArArTi MuNdA
10-03-2009, 07:46 AM
Lot gaye hum kuch as tarha
ek ek kar kar ka har kio chor gaya

dost bhi ajj tanha chor gaye
dost bhi ajj humhe dusman kah gaye

hum per yaqeen karne wale
ajj humhe bewafa kah gaye

kitna sakoon se sadiyon ka rista
ek pal main tor gaye

humhe best friend kahne wale
ajj humhe unknwon persan kah gaye

ek galati ki waja se
wo humhe khod se juda kar gaye

Na dani main ek choti se galati ki thi
kyon wo itni bari saza da gaya

ShArArTi MuNdA
10-03-2009, 07:47 AM
us shaam vo ruKhsat kaa samaan yaad rahegaa
vo shahar vo kuuchaa vo makaan yaad rahegaa

vo tiis ki ubharii thii idhar yaad rahegii
vo dard ke uThaa thaa yahaan yaad rahegaa

kuchh miir ke abyaat the kuchh faiz ke misare
ik dard kaa thaa jin mein bayaan yaad rahegaa

ham bhuul sake hain na tujhe bhuul sakenge
tuu yaad rahegaa hamen haan yaad rahegaa

MAsooM LArKa
10-03-2009, 08:06 AM
YOu Most Welcome
and Again Super Sharing :)

ShArArTi MuNdA
10-06-2009, 07:04 AM
Thanks Ma$oom jiii
pasand kerney ka shukriya

FAJAAN
10-06-2009, 06:58 PM
pahjiiiiiiiiii achi collection hai hugggggggg

ShArArTi MuNdA
10-07-2009, 06:07 AM
Thanks phajjey

ShArArTi MuNdA
10-07-2009, 06:11 AM
Meri zubaa'n se meri daasta'n suno toh sahi
Yakee'n karo na karo mehrbaa'n suno toh sahi


Chalo yeh maan liya mujarim-e-muhabbat hain
Hamare jurm ka hum se bayaa'n suno toh sahi


Bano gay dost merey tum bhi dushmano'n ik din
Meri hayaat ki aaho-fugaa'n suno toh sahi


Labon ko see ke jo baithe hain bazme-duniya mein
Kabhi toh unki bhi khamoshiyaa'n suno toh sahi

ShArArTi MuNdA
10-07-2009, 06:11 AM
Jab Bhi Kissi Shajar Se Samar Tut Ker Gira ….
Logun Ka Ik Hajum Ider Tut Ker Gira ….
Assi Shadid Jung Hoi Apnay App Se ….
Qadmun Peh Aa Key Apna Sar Tut Ker Gira ….
Hathun Ki Larzishun Se Mujhay Is Terha Laga ….
Jessay Meri Dowa Se Asar Tut Ker Gira ….
Itni Dastan Hay Meray Zawal Ki ….
Main Urr Raha Tha Jis Se Wo Par Tut Ker Gira ….
Wo Chand Raat Dur Chamkta Raha Dost !
Banhun Main Aa Key Waqat-e-Sehar Tut Ker Gira ….

ShArArTi MuNdA
10-07-2009, 06:12 AM
Dhoop ki dasht main sheeshay ki ridaain di hain
Zindagi tu ne humain kaisi sazaain di hain

Shoulon jaisi he ata ki hain sulagti boondain
Aag barsati huee hum ko ghataain di hain

Ik duaago ne refaaqat ki tasali de ker
Umer bhar hijr main jalney ki sazaain di hain

Dil ko bujhney ko bahaana koi darkaar tu tha
Dukh tu ye hai tere daaman ne hawaain di hain

Kaisa maahol mila hai humain jeeney ke liye
Denay wale ne humain kaisi fazaain di hain

AFghani_Laila
10-10-2009, 11:25 AM
zabardast

ShArArTi MuNdA
10-10-2009, 08:56 PM
shukriya

life2
10-12-2009, 10:21 PM
nyc munda.....

life
10-24-2009, 12:49 AM
nice.............

ShArArTi MuNdA
10-24-2009, 06:38 AM
Thanks life & life2

ShArArTi MuNdA
10-24-2009, 06:39 AM
Palkon pe aanso’on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka

zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso’on ko chupaya na jaa saka

kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka

ShArArTi MuNdA
10-24-2009, 06:39 AM
Gham na kar tere liye chiragh ban jaaonga,

Khud jal kar teri raah mein roshni kar jaaonga.

Dar hai ke mujh se ruswaayan na milein tumein,

Tarq-e-taaluq,main khud se hi kar jaaonga.

Tere aanchal mein hon phool,hai khaaish meri,

Apna daaman main kaanton se bhar jaaonga.

Laakh bhoulaane se bhi na bhoul sako ge tum,

Main pyaar hi tum se itna kar jaaonga.

ShArArTi MuNdA
10-24-2009, 06:40 AM
Talaash ki kushi meine gum k ashiyane me

Kya dega mujhe ab or is zamaane me

Itna bereham na bane koi kisi k liye

Jiteni duniya bangayi mujhko satane me

Pita raha ashko ko kuch na kha kisi se

Har hadhe par ki humne gum uttaney me

Mujhse kya khata huei ya mere dil se

K sab saatne aaye hass- 2 kar mujhe roolane me

Poochta hai “Ashiqe” kya khata huei mujhse dosto

Ki koi saat nahi deta mera muskarane me

Khatam kardo mujhko aye duniya walo

K zayda waqt na lagega mujhe soolane me

ShArArTi MuNdA
10-24-2009, 06:41 AM
Aankh jab ashk bahaaye toh mujhe likh dena!
Jab meri yaad sataaye toh mujhe likh dena!
Koi sawan ki ghata jab tere chatt pe aake,
Aag si dil mein lagaye toh mujhe likh dena!
Shab ke sannate mein jab toota hua dil koi,
Dard ka geet sunaye toh mujhe likh dena!
Haath phir dekhna apne shab-e-tanhaai mein,
Uski har lakheer bulaye toh mujhe likh dena!
Aye meri jaan-e-jahaan teri wafa ke moti,
Bheegi palkein jo lutayein toh mujhe likh dena!
Koi muh zor hawa jab hamari ulfat ki yaad,
Dil se sare naksh mitaaye toh mujhe likh dena

ShArArTi MuNdA
10-24-2009, 06:42 AM
Main Ne Parindo Se Pyaar Kya To,,
Woh Urh Gaya

Main Ne Sooraj Se Pyaar Kya To,,,
Woh Gharoob Ho Gaya

Main Ne Chand Se Pyaar Kya To,
Woh Badlon Main Chup Gaya

Main Ne Pani Se Pyaar Kya To,
Woh Beh Gaya

Main Ne Baraf Se Pyaar Kya To,
Woh Pighal Gaya

Main Ne Barish Se Pyaar Kya To,
Woh Baras K Thum Gaya

Main Ne Aag Se Pyaar Kya To,
Woh Bujh Gai

Main Ne Phoolon Se Pyaar Kya To,
Woh Murjha Gaya

Main Ne Kanto Se Pyaar Kya To,
Wo Toot Gaya

Main Ne Janwaron Se Pyaar Kya To,
Woh Meri Zaban Na Samjh Sakay

Or Jab..Main Ne Insaan’on Se Pyaar Kya To,
Woh Be-Wafa Niklay

ShArArTi MuNdA
10-24-2009, 06:43 AM
Tumehn jo besubab mujh se khafa hone ki aadat hai

Ye aaghaz-e-judai hai k andaz-e-muhabbat hai

Wafa k rang main dekho jafa achi nahi hoti

Kisi se piyar main itni ana achi nahi hoti

Faqat kehne ki baaten hain,

nibhata kon hai kisi ko

Chalo ab dekh lete hain,

Manata kon hai kis ko ?

ShArArTi MuNdA
10-24-2009, 06:44 AM
yeh zara zara si bat py
ye trah trah k azab kyon
jo kisi sy b khafa na ho
mujy us KHUDA ki talash hy

bina humsafar k kab talak
koi musafton main lga rahy
jahan koi kisi sy juda na ho
mujy us rah ki talash hy

mujy daikh kar jo ik nazar
mery sary dard smaj sky
jo is kadar ho chara gar
mujy us nigah ki talash hy

yeh jo sahta sy hain kehkahy
mery dil ko lagty hain bojh sy
woh jo apny ap main mast ho
muji us hasi ki talash hy

life2
10-24-2009, 09:52 PM
v nyc munda.....

ShArArTi MuNdA
10-30-2009, 04:27 AM
Thanks life2

ShArArTi MuNdA
10-30-2009, 04:30 AM
Kal raat mere Bister pe mujhe,

Ik Aahat ne chonka dia,

Phir ik narm hawa ka jhonka,

Meri peshani ko chho gaya,

Aankh khuli to MAA ko daikha,

Kuch hilte lab,

Kuch parhtay lab,

Main dheeray se muskura dya,

MAA Aaj bhi uth kar raaton main,

Meri peshani ko chomtin hain,

Or apnay hisay ki bhi sub DUAYEN,

Mujh pe phonka kartin hain,

bus itna yaad hai mujhe k,

Main ne apnay Bachpan main,

bus ik baar kaha tha,

MAA mujhe dar lagta hai.

life2
10-31-2009, 11:10 PM
nyc munda......

`~`^3^`~`DiL`~`^3^`~`
11-29-2009, 01:35 PM
nice shairing

yo love me
12-01-2009, 07:08 PM
shabash....

life
01-17-2010, 08:56 PM
nice..............

Shaam
01-18-2010, 02:29 PM
bahut khoob

Aina
03-31-2010, 04:22 AM
very nice........

shani
04-11-2010, 11:30 AM
Good collection brother.. :hug:

!«╬Ĵamil Malik╬«!
04-25-2010, 09:02 PM
Nice.......

princess11
06-05-2010, 10:06 PM
very nice collection

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.