PDA

View Full Version : MuNdA's Collection


Pages : 1 2 [3] 4 5 6 7

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:33 AM
Uss Nay Khat Main
Ishq Ka Matlab Pooch Liya Hai
Mein Nay Likha Hai
Jab Koi Chehra
Dhiyaan Mein Aa Kar
Maan Angan Mein Phool Khila Dey
Jab Koi Naam Labon Ko Choo Kar
Dharkano Ki Tarteeb Bhula Day
Jab Koi Jazba Kar-E-Junoon Se
Atish Ko Gulzar Bana Day
Laikin Itna Dhiyaan Mein Rakhna
Koi Siraat-E-Ishq Se Guzry Tab Khulta Hai
Ishq Se Pehlle Ishq Ka Matlab Kab Khulta Hai

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:34 AM
Ho Raat Akely Pichlay Pehr
Aur Chand Aangan Mein Aa Jaye
Tum Chand Ki Manind Tanha Ho
Ye Baat Tum Ko Tarpa Jay
Kuch Khawab Saja Ka Palkon Py
Tum Chand Se Batain Kar Lena
Hum Yaad Tumhain Hi Kartay Hai
Tum Yaad Humain Bhi Kar Lena
Kuch Baat Na Ho Aesy Main
Num Aankh Tumhari Ho Jaye
Tum Baat Kaheen Pay Karta Ho
Dil Or Kaheen Pay Kho Jaey
Jazbaat K Aisy Aalam Main
Muskan Labon Pay Bakher Lena
Hum Yaad Tumain He Kartay Hai
Tum Yaad Humain Bhi Kar Lena

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:35 AM
Aangan Ke Mere Neem Dhoop Jala Rahi Hae Muje
Kisi Ki Garam Bahoon Ki Yaad Dila Rahi Hae Muje

Gir Rahi Hae Dar Se Nikal Kar Mujh Par Yeh Dhoop Aise
Jaise Koi Chain Ki Neend Woh Sula Rahi Hae Mujhe

Kahin Door Se Woh Lai Hae Ek Mae Ajab Si
Jo Nazaroon Se Meri Woh Pila Rahi Hae Mujhe

Din Dhal Gaya Hai Wo Ja Rahi Hai Chor Kar Mujhe
Magar Yoon Jate Jate Khoon Ki Ansoo Rula Rahi Hai Mujhe

Chalo Ab To Shaam Ho Gayi Hai Shahzaib
Lagata Hae Keh Dayan-E-Tanhai Phir Bula Rahi Hae Mujhe

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:35 AM
Iss Aangan Sey
Uss Anjaney Aangan Tak
Ek Raasta Jata Hai
Iss Aangan Ko Kaisey Choodu?
Uss Aangan Ko Chooodhdun Kaisey!!

Iss Aangan Kay
Ek Kooney Mey
Nahi See Ek Kyaree Mey
Mere Kuch Sapney Khilley Hain
Kya Een Ko Phir Sey
Uss Anjaney Aangan Mey Boona Hoga?
Ya Chood Dunn Enhey Yunhe Aakela!
Een Phoolon Ko Uss Angan Tak Lejaoon Kaisey?

Ess Angan Mey
Ek Ghana Peedh Hai Jo
Mamta Aur Prem Ke Thandi Chaaoon Deta Hai
Jab Thaak Jatey Hain Paaoon Taap Jatey Hain
Tou Sehlataa Hai,
Ess Chaaon Ko Uss Aangan Tak Lejaoon Kaisey?

Ess Aangan Mey Aur Bahut Kuch Hai
Mere Aapna
Per Ess Sabko Sameet Ker Lejaaon Kaisey??

Dil Mere Aab Mujhey Ek Raasta Dikhlata Hai
Ke Uss Unjaney Aangan Ko
Main Aapnaoon,Sajaaoon Aasisey
Mere Babul Ka Angan Ho Jaisey!

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:36 AM
Jab Sawan Main Tanha Bheego Gay
Jab Angan Khalee Pao Gay
Jab Sahil Say Takrati Lehron Main
Apni Tanhae Main Kho Jao Gay
Jab Raat Kay Tanha Daman Main
Tum Chaand Ko Adha Pao Gay
Jab Khud Say Batain Kartay Kartay
Tum Door Kahin Kho Jao Gay
Jab Dil Ki Baat Chupanay Ko
Ham Say Nazar Tum Churao Gay
“Main Tum Say Mohabat Karti Hoon”
Har Baar Yay Sunna Chaho Gay
In Sab Lamhon Main Jaan Lena Kay
Tum Tum Nahi “Hum” Ban Jao Gay

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:37 AM
Dekha Jo Utre Hain Tare Tere Aangan Mein
Ghar Jaayegee
Utar Jaayege
Doliyaan Chadh Jaayege
Mehandee Lagaayegee Re
Kaajal Sajaayegee Re
Dulhaniyaa Mar Jaayegee

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:38 AM
Yun Dosti K Naam Ko Rusvaa Na Kijiye
Tark-e-Ta’alluqaat Ka Charcha Na Kijiye

Jurm-O-Sitam Ka Paas Bhi Ulfat Mein Shart Hai
Palkon Ko Aansuon Se Bhigoya Na Kijiye

Aisaa Na Ho Ummeed Se Rishta Hi Toot Jaaye
Har Roz Mujhse Vaada-e-Fardaa Na Kijiye

Hamdard Jis Ko Apna Samajhte Rahe Hain Aap
Us Ka Hi Zindagi Mein Bharosa Na Kijiye

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:39 AM
Bohat Mudat K Baad Kal Jab
Kitaab-E-Maazi Ko Main Ne Khoola
Bohat Say Chahrey Nazar Main Utrey
Bohat Say Naamoon Pai Dil Paseeja
Aik Aisa Safha Bhi Us Main Aaya
Likha Howa Tha Jo Aansooun Say
Jis Ka Unwan “Hamsafar†Tha
Wo Safha Sab Say Hi Moutabar Tha
Aik Aur Aansoo Phir Us Pai Tapka
Phir Us Se Aagey Main Parh Na Paya
Kitab-E-Mazi Ko Band Kar Ke
Usi Ki Yadon Mein Kho Gaya Main
Inhe Khyaalon Mein So Gaya Main
Agar Wo Milti To Kaisa Hota
Agar Wo Milti To Achha Hota

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:40 AM
Bataane Se Bhee Ye Gham Kyon Kam Naheen Hote
Aansuon Se Dil Ke Kone Nam Naheen Hote

Thee Bahut Umeed To Apnon Se Is Dil Ko Kabhee
Par Hameshaa Saath Ye Hamdam Naheen Hote

Bebasee Hansne Lagee Khaamoshi Ab Hai Goonjtee
Band Kamron Men Koyee Mausam Naheen Hote

Jab Khushee Hai Naachtee Gaatee Hai Man Kee Har Kalee
Un Gharon Men Kyaa Kabhee Maatam Naheen Hote

Pyaar Sab Miltaa Jinhen Ranjish Naheen Koyee Kabhee
Kyaa Kabhee Aise Dilon Men Gham Naheen Hote

Yaad To Karte Hain Unko Ham Sadaa Hee Raat Din
Khwaab Men Unke Kabhee Kyaa Ham Naheen Hote

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:40 AM
Kul Raat Janai Kya Hova
Kuch Dair Nend Sai Pehlai
Kuch Ashq Milnai A Gai
Kuch Khwab Bhi Totai Hovai
Kuch Log Bhi Bholai Hovai
Kuch Rasta Bhutki Hoi
Kuch Gurd Mai Lipti Hoi
Bai-Rubt Si Souchain Kai
Bhooli Hoi Baatai Kai
Ik Shaks Ki Yaadai Kai
Phir Dair Tuk Jaga Raha
Souchon Mai Gum Baitha Raha
Ungli Sai Thundai Fursh Pur
Ik Naam Bus Likhta Raha
Kul Raat Hi Wo Raat Thi
Kuch Dair Nend Sai Pehlai
Mai Dair Tuk Roota Raha

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:44 AM
Chupkey Chupkey Ro Lena

Jub Seena Ghum Se Bojhal Ho
Aur Yaad Kisi Ki Aati Ho
Tub Kamrey Main Bund Ho Jana
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Aankhein Baghi Ho Jaein
Aur Yaad Main Meri Bhar Aaein
Phir Khud Ko Dhuka Mat Dena
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Pulkeen Kerb Se Mondi Hoon
Aur Sub Sumjhein Tum Sotey Ho
Tub Moan Pe Takya Rakh Lena
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Yeh Duniya Zalim Duniya Hai
Yeh Baat Bohoot Phailaye Gi
Tum Samney Sub Ke Chup Rehna
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Barish Chehra Dho Daley
Aur Ashk Bhi Boondein Lagtey Hoon
Woh Lamha Hergiz Mat Khona
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:44 AM
Mujh Ko Pagal Bana Gaye Aansoo
Jaane Kiaa Kia Suna Gaye Aansoo

Koi Roya Tha Hichkion Se Bohut
Aur Kisi Ko Hansaa Gaye Aansoo

Bat Kehne Ki Jab Bhi Koshish Ki
Lab Khule The K Aa Gaye Aansoo

Thapkiaan Jaise De Raha Ho Koi
Behte Behte Sulaa Gaye Aansoo

Nanhe Hathon Ne Thamnaa Seekhaa
Maan Ki Aaankhon Main Aaa Gaye Aansoo

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:45 AM
Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha, Sare Bazm Raat Ye Kya Hua
Meri Aankh Kaise Chhalak Gayi Mujhe Ranj Hai Ye Bura Hua

Meri Zindagi Ke Charagh Ka Ye Andaaz Koi Nayaa Nahin
Kabhi Raushni, Kabhi Teergi, Kabhi Jalaa Hua Kabhi Bujha Hua

Mujhe Raaste Mein Pada Hua Kisi Badnaseeb Ka Khat Mila
Kahin Khoon-E-Dil Se Likha Hua, Kahin Aansuon Se Mita Hua

Jo Nazar Bacha Ke Guzar Gaye, Mere Saamne Se Abhi Abhi
Ye Mere Sheher Hi Ke Log The Mere Ghar Se Ghar Mila Hua

Mujhe Humsafar Bhi Mila Koi, To Shikasta Haal Meri Tarah
Kahin Raaston Ka Lutaa Hua Kahin Manzilon Ka Thaka Hua

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:46 AM
Meri Mohabbat Ki Bas Itni Si Kahani Hai
Dard Main Doobi Hui Yeh Zindagani Hai
Rehta Hai Zakhm Ban Ke Aankh Ka Aansu
Rooh Par Jafaaon Ki Gehri Nishaani Hai
Saansen Hain Lekin Dhadkanen Nahin Hain
Lahu Thama Sa Hai, Na Koi Ravaani Hai
Kho Diya Jisne Umar Bhar Ka Sukoon
Muskurati Hai Phir Bhi, Ladki Deewani Hai !!

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:51 AM
Kya Kahen Hum Kaise Tujhse Door Ho Gaye
Haalaat Se, Kuch Khud Se Majboor Ho Gaye
Mohhabbat Rula Deti Hai, Kab Ye Maana Tha
Apne Dil Ke Afsaane Wohi Dastoor Ho Gaye
Manzil Jise Samjha Bana Wo Meel Ka Pathar
Nayi Manzil, Naye Raaste Manzoor Ho Gaye
Hadd Se Barh Jaaye Jo Ghum, Deta Nahin Dard
Muskura Rahe Hain, Aise Hum Ranjoor Ho Gaye
Dil Tera Reza Reza Hai, Kaise Sambhale Tujhko
Khudaya Humse Kaise Yeh Qusoor Ho Gaye !!!

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:53 AM
Hanste Hue, Aankhon Main Kyun Aa Jaate Hain Ye Aansoo
Yun Khushi Ko Adhoora Sa Bana Jaate Hain Ye Aansoo
Dard Itna Hai Saha, Khaali Ho Gaya Samandar Ashkon Ka
Jaane Kahan Se Aankhon Main Bhar Jaate Hain Ye Aansoo
Khush Hoon Main, Koi Shikwa Zamane Se Na Taqdeer Se
Meri Iss Baat Ko Jhoota Kyun Bana Jaate Hain Ye Aansoo
Shayad Khabar Hai In Ko Bhi Kis Qadar Tanha Hoon Main
Tanhaayi Main Mera Saath Nibha Jaate Hain Ye Aansoo !!

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:56 AM
Neeli Neeli Ghata Barasti Hay
Gum Ki Mati Meri Sanwarti Hay

Aur Hay Kon Jis Ko Sochon Mien
Dil Mien Bus Aik Tu Dhrakti Hay

Aah Hoti Tu Nikal Bhi Jati
Dil Say Khwahish Kahan Nikalti Hay

Dil Ki Basti He Jal Gai *****
Aankh Say Raakh Si Barasti Hay

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:56 AM
Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena
Bikhar Rahi Hay Meri Zaat,Uss Se Keh Dena
Hawa-e-Mousam- e-Gham Uss k Shehar Jaye To
Mery Dukhoon Ki Koi Baat Uss Se Keh Dena
Yeh WeHshatein,Yeh Udasi,Yeh RatJagoo k Azaab
Ussi Ki Hain Yeh Inayaat,Uss Se Keh Dena
Bohat Taweel Bohat KarabNaak Hoti Hain
Judayion Ki Har Ik Raat,Uss Se Keh Dena
Vo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahey
Main Maan Loon Ga Vohin Maat,Uss Se Keh Dena
Wafa Ki Raah Mein,Main Aaj bhi Akaila Hoon
Koi Nahi Hay Mery Saath,Uss Se Keh Dena

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:57 AM
Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab B Baki Hai
Usay Meri Mjhe Uski Zarorat Ab B Baki Hai

Koi Mushkil Agar Darpaish Aye Laut Ana Tum
Tumhare Waste Dil Mie Aqeedat Ab B Baki Hai

Bala Ki Sard Mehri Hai Meri Har Baat Mie Lekin
Mere Seenay Mien Chaht Ki Hararat Ab B Baki Hai

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:58 AM
o Meri Aankhon Se Khuwab Dekho

To Aik Shab Bhi Na So Sako Ge
K Lakh Chaho Na Hans Sako Ge
Hazar Chaho Na Ro Sako Ge
K Khuwab Kia Hain, Azab Hain Ye
Mere Dukhon Ki Kitab Hain Ye
Rafaqtain In Main Choteti Hain
Mohabbatain In Main Rothti Hain
Pinapti Hain In Main Wehshatain Si
Aziatain In Main Photeti Hain
Inhein K Dar Se Khizan Hain Jazbe
Inhein Se Shakhain Si Toteti Hain

Ghamon Ki Bandish Hain Khuwab Mere
Dukhon Ki Barish Hain Khuwab Mere
Ubal Raha Hai Dukhon Ka Lawa
Rahen-E-Atish Hain Khuwab Mere
Khial Sare Jhulas Gai Hain
Sulagti Khuwahish Hain Khuwab Mere
Ukharti Sansain Hain Zindagi Ki
Laho Ki Sazish Hain Khuwab Mere

Jo Meri Aankhon Se Khuwab Dekho
To Aik Shab Bhi Na So Sako Ge

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:59 AM
Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain ?
Main To Bus Khamosh Sa Sha‘Ir
Ulfat Chahat Ke Rango Se
Dil Ki Khali Tasveero Me
Koi Mohabbat Likh Deta Hoon …
Aur Kabhi Deewar Se Lagkar
Koi Mohabbat Ro Deta Hoon …
Aur Kabhi Aankho Aankho Mein
Saari Baatein Keh Jata Hoon ….
Main To Ek Khamosh Sa Sha‘Ir
Mujhko Baatein Kab Aati Hain ???
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Kiya Mujh Ko Chhor Kar Jaati ???
Mere Sapne Tod Kar Jaati ???
Kiya Meri Aankho Mein Dukh Ke
Itne Aansoo Dekh Sakti Thi ???
Mera Kul Sarmaya Tha Jo
Kiya Mujhse Woh Le Sakti Thi ???
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Main Bhi Tumse Woh Sab Kehta
Jo Tum Sunne Ki Khwahish Mein
Saare Raaste Bhool Aayi Ho
Saare Rishte Bhool Aayi Ho
Main Thera Khamosh Sa Sha‘Ir
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Bhi Mere Khwab Sajaati
Yoon Na Tanha Chhor Kar Jaati
Kaash ! Mujhe Bhi Baatein Aati ..

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:59 AM
Ankhon Mein Sama Jao, Is Dil Mein Raha Karna
Taron Mein Hansa Karna, Phoolon Mein Khila Karna

Jab Se Tumhein Dekha Hai, Jab Se Tumhein Paya Hai
Kuchh Hosh Nahin Mujhko, Ek Nasha Sa Chhaya Hai
Ab Baat Jo Karni Ho, Aankhon Se Kaha Karna

Aey Kaash Dharkta Dil, Kuchh Der Thahar Jaaye
Ye Raat, Mohabbat Kii, Yunhii Na Guzar Jaae
Baqi Hai Abhii Tum Par, Ye Jaan Fidaa Karnaa
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna

Kismat Na Dikhaye Ab, Ghariyaan Hamein Furaqat Ki
Har Raat Yuunhi Chamake,Taqadir Mohabbat Ki
Aey Chand Sitaaro Tum Mil Jul Ke Duaa Karna
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 10:00 AM
Kiya Baat Kahon Un Ankhoon Ke
Jin Ankhoon Pey Main Marti Hoon

Woh Ankhain Jheel Se Ankhain Hain
Jin Main Doob Key Rooz Ubharti Hoon

Mujhey Dekhney Key Liye Uthte Hain
Miltey Hi Nazar Woh Jhukte Hain

Sarey Jahan Main Aise Ankhain Nahi
Jin Ankhoon Pey Main Marti Hoon

In Ankhoon Main Koi Ansoo Na Aye Koi
Kabhi Koi Gham Na Pass Aye Koi

Sada Muskurate Rahain Yeh Ankhain
Har Dam Yeh DUA Main Karti Hoon

Kiya Baat Hai Un Ankhoon Ke
Jin Ankhoon Pey Main Marti Hoon

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 10:01 AM
Kitni Zulfain Khuleen Kitnay Aanchal Uray Chand Ko Kia Khaber
Kitna Maatam Howa Kitnay Aansoo Bahay Chand Ko Kia Khaber

Mudatoon Us Ki Khwahish Main Chaltay Rahay Haath Aata Nahi
Chah Main Uski Pairoon Main Hain Aablay Chand Ko Kia Khaber

Woh Jo Nikla Nahi Hai Tu Bhataktay Rahay Hain Musafir Kayee
Aur Lut Tay Rahay Hain Kayee Qaaflay Chand Ko Kia Khaber

Woh Tu Apni Hi Nigri Main Mudhosh Hai Kab Se Khamosh Hai
Kon Raaja Bana Kitnay Sayed Lutay Chand Ko Kia Khaber

Usko Daawa Buhat Meethay Pan Ka Wasi Chandni Se Kaho
Uski Kirno Se Kitnay Hi Gher Jal Gaye Chand Ko Kia Khaber

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 10:01 AM
Aaj Barsoon K Bad Dekhaa Hai
Ab Bhi Aankhon Ka Rang Gehra Hai
Aur Chehre Ki Sanwali Si Lakeer
Dil Main Kitne Diye Jalaati Hai
Teri Qaamat K Saye Ki Khushboo
Guftugoo Main Bahaar Kaa Mosum
Be Sabab Aitbar Ka Mousum
Kion Mujhe Sare Dhang Yad Rahe
Kitni Heraan Ho Gai Khud Per
Main Tujhe Aaaj Tuk Nahin Bhooli
Pichle Mosum Ki Yaad Baqi Hai

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 10:02 AM
Udas Shaamain,Ujaar Rastay Kabhi Bulaian Tou Luat Ana
Kisi Ki Aankhon Mein Ratjagay Kay Aazaab Aain Tou Luat Aana

Abhi Naeye Wadiyoon,Naeye Manzaroon Mein Reh Lo Magar Meri Jaan
Yeh Saray Ik Aik Kar Kay Jab Tum Ko Choor Jain Tou Laut Ana

Jo Shaam Dhaltay Hi Apni Apni Panah Gahoon Ko Lautay Hain
Agar Woh Panchi Koi Dasttan Sunain Tou Laut Ana

Mein Roz Younhi Hawa Pay Likh Likh Kar Us Ki Janib Ye Bayhajta Hoon
Kay Achay Moosam Agar Paharoon Par Muskurain Tou Laut Ana

Agar Andeeroon Mein Choor Kar Tum Ko Bhool Gain Tumharay Sathi
Aur Apni Katir Hi Apnay Apnay Diyay Jalain Tou Laut Ana

Meri Woh Batain Tou Jin Pay Hansta Tha Kilkila Kar
Bicharnay Walay Meri Woh Batain Kabhi Rulaian Tou Laut Ana

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 10:03 AM
Yeh Aankhen Bohat Satati Hain
Yaadon Ke Khuwaab Dikhati Hain
Mujhe Saari Raat Jagati Hain
Kab Dil Ke Raaz Chhupati Hain
Palkon Ke Dareeche Kholti Hain
Kuch Apni Zaban Main Bolti Hain
Bas Apni Baat Manwati Hain
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
Ek Aan Main Faisla Karti Hain
Yeh Kab Ruswayi Se Darrti Hain
Yeh Ghungroo Baandh Nachati Hain
Her Waqt Yeh Jaagti Rehti Hain
Ek Khoj Main Bhaagti Rehti Hain
Thak Haar Ke Wapis Aati Hain
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
Chupke Se Kahin Lad Jaati Hai
Phir Khuwabon Se Bhar Jaati Hai
Jab Toote Shor Machati Hai
Yeh Royen To Dil Bhi Rota Hai
Kab In Se Judda Yeh Hota Hai
Yeh Dil Ko Rog Lagati Hai
Kyu Pyaar Kiya Pachtati Hai
Yeh Aankhen Bohat Satati Hain

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 10:04 AM
Ankhain Dekhi To Mein Dekhta Reh Gaya
Jaam Dou Aur Donon Hi Do Aatisha
Ankhain Ya Maykadey K Wo Dou Baab Hain
Ankhain Un Ko Kahun Ya Kahun Khuab Hain
Ankhain Neechi Huyeen To Haya Ban Gayen
Ankhain Oonchi Huyeen To Dua Ban Gayen
Ankhain Uth Ker Jhukeen To Adaa Ban Gayeen
Ankhain Jhuk Ker Utheen To Khata Ban Gayeen
Ankhain Jin Mein Hain Qaid Aasman-O-Zameen
Nergisii Nergisii, Surmageen Surmaeen

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 10:05 AM
Aankhon Main Jal Raha Hai Kio Bujhta Nahi Dhuhaan
Uthta To Hai Ghata Sa Barasta Nahi Dhuhaan

Aankhon K Ponchne Se Laga Aanch Ka Pata
Yun Chehra Peher Lene Se Chuhpta Nahi Duhaan

Aankhon Se Aanso’on K Marasim Poorane Hain
Mehmaan Yeh Ghar Main Aayen To Chubhta Nahin Duhaan

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 10:06 AM
Wo Aankhein
Meri Aankhein To Nahi Phir Bhi
Wo Jo Kuch Dekhti Hain
Dekhti Rehti Hain
Main Bhi Dekhta Hoon
Dekhta Rehta Hoon
Jis Se Rooth Jaati Hain
Main Us Se Rooth Jaata Hoon
Wo Jis Se Pyaar Karti Hain
Main Us Se Pyaar Karta Hoon
Wo Aankhein
Meri Aankhein To Nahi Phir Bhi
Wo Jo Kuch Sochti Hain
Sochti Rehti Hain
Main Bhi Sochta Hoon
Sochta Rehta Hoon
Jis Dam Muskuraati Hain
Main Us Dam Muskurata Hoon
Wo Jab Afsurda Hoti Hain
To Main Afsurdsa Hota Hoon
Wo Aankhein
Meri Aankhein Ho Nahi Sakteen
Magar Phir Bhi
Diwaana Hoon Jo Un Ko
Chaahta Hoon, Chaahta Hoon
Chaahta Rehta Hoon

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 10:07 AM
Dua K Liey Haath Uthiey K Aankhien Num Ho Gaiee
Sajdey Mai Sir Jukaia K Aankhien Num Ho Gaiee!

Khuda Ne Mujy Kia Kuch Nawaza Hai
Ye Socha Hi Tha K Aankhien Num Ho Gaiee!

Rub Ne Merey Hissey Mai Jo Tera Peyaar Likha Tha
Woh Sab Lamhey Yaad Aiey To Aankhien Num Ho Gaiee!

Tu Ne Jo Kabi Kiey They Wadey Khuda K Samney
Woh Sab Yaad Aiey To Aankhien Num Ho Gaiee!

Teri Khushbu Teri Kurbat Ke Wo Hasin Lamhey
Woh Jab Jab Yaad Aiey To Aankhien Num Ho Gaiee!

Usey Meri Jis Jis Baat Pey Fakhr Hooa Kerta Tha
Woh Sab Batien Yaad Aieen To Aankhien Num Ho Gaiee!

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 10:08 AM
Kia Baat Kahon Un Ankhon Ki
Jin Ankhon Pe Main Marta Hoon

Woh Ankhen Jheel Si Ankhen Hain
Jin Main Doob Ke Rooz Ubherta Hoon

Mujhe Dekhne Ke Liee Uthiti Hain
Miltey Hi Nazar Woh Jhuktin Hain

Sare Jahan Main Aesi Ankhen Nahi
Jin Ankhon Pe Main Marta Hoon

In Ankhon Main Koi Ansoo Na Aee Koi
Kabhi Koi Gham Na Pass Aae Koi

Sada Muskuratin Rahen Ye
Har Dam Ye Dua Main Karta Hoon

Kia Baat Kahon Un Ankhoon Ki
Jin Ankhon Pe Main Marta Hoon

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 10:08 AM
Ankhon Ko Intzaar Ka Deke Hunar Chahla Gaya
Chaha Tha Ek Shakhs Ko Jane Kidhar Chala Gaya

Din Ki Woh Mehfilein Gayii, Raaton Ke Ratjage Gaye
Koi Samet Kar Mere Sham-O-Saher Chala Gaya,

Jhonka Hai Ek Bahaar Ka,Rang-E-Khayal -E-Yaar Bhi
Har Soo Bikhar Gayi Khushboo Jidhar Woh Chala Gaya

Uske Hi Dam Se Dil Mein Aaj,Dhoop Bhi Chandni Hai
Deke Woh Apni Yaad Ke ,Shams-O-Qamar Chala Gaya

Kucha-B-Kucha ,Dar-O-Dar ,Kab Se Bhatak Raha Hai Dil
Humko Bhula Ke Raah Woh Apni Dagar Chala Gaya

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 10:09 AM
Mairi Ankhoon Mein Ansoo Ke Tarhaan Aik Raat Aa Jaoo
Takaluf Say Banawat Say Adaa Say Choot Lagti Hai

Mein Shapnam Ke Zubaan Say Pholoon Ke Awaz Sunta Hoon
Ajab Ehsaas Hai Apni Sadda Say Choot Lagti Hai

Aaj Ham Bichhre Hain To Kitane Rangiile Ho Gaye
Merii Aankhen Surkh Tere Haath Piile Ho Gaye

Kab Kii Patthar Ho Chukii Thii Muntazir Aankhen Magar
Chhuu Ke Dekhaa To, Mere Haath Giile Ho Gaye

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 10:10 AM
Kuch Din To Baso Meri Aankhon Mein
Phir Khwab Agar Ho Jaao To Kya

Koi Rang To Do Mere Chehre Ko
Phir Zakhm Agar Mehkaao To Kya

Jab Hum Hi Na Mehke Phir Sahib
Tum Bad-E-Sbaa Kehlaao To Kya

Ek Aaina Tha So Toot Gyaa
Ab Khud Se Agar Sharmaao To Kya

Mein Tanhaa Tha Mein Tanhaa Hoon
Tum Aao To Kya Na Aao To Kya!

Jab Dekhne Wala Koi Nahin
Bujh Jaao To Kya Genaao To Kya

Hai Yoon Bhi Zyaan Aur Yoon Bhi Zyaan
Ji Jaao To Kya Marr Jaao To Kya

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 10:11 AM
Woh Khwab Khwab Si Aankhain Theen Baadalon Ki Safeer
Dhuaan Dhuaan Si Theen Sochon Main Janay Kab Se Aseer
Thay Us K Hoonton K Taalay Bhi Zang Aalooda
Usay Youn Daikh K Lagta Tha Jaisay Ik Bacha
Gaya Tha Daikhnay Maila Kisi Ka Thaam K Haath
Na Janay Bheer Main Tanha Woh Reh Gaya Kaisay
Mujhay Woh Phool Laga Ik Gulab Ka Jis Ko
Kisi Ne Shakh Se Tora Mager Nahi Songha
Khud Apnay Pairon K Neechay Masal Masal Daala
Sawal Us Se Kia Main Ne, Yeh Batao Zara
Ho Kon, Kis Liay Is Qadar Khamosh Ho Bhala?
Batao Khaar Ugaye Hain Kis Ne Raahon Main?
Nami Khafi Se Hai Kaisi Tumhari Aankhon Main
Meri Tarah Se Kaheen Tum Bhi Tu Nahi Tanha?
Rah-E-Wafa Main Mili Tu Nahi Tumhain Bhi Dagha?
Woh Chup Raha, Nahi Bola Tu Main Ne Berh K Usay
Chuwa Tu Yeh Howa Idraak Meray Saamnay Tu
Hai Aik Aayeena Aur Us Main Aks Hai Mera

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 10:11 AM
Un Jheel Si Gehri Aankhon Main
Ik Shaam Kahin Abad To Ho
Us Jheel Kinaray Pal Do Pal
Ik Khawab Ka Neela Phool Khilay
Woh Phool Baha Dain Lehron Main
Ik Roz Hum Sham Dhalay
Us Phoolk Behtay Rangon Main
Jis Waqt Larazta Chand Chalay
Uswaqt Kahin Un Aankhon Main
Us Bisray Palki Yaad To Ho
Un Jheel Si Gehri Ankhon Main
Ik Sham Kahin Abad To Ho
Phir Chahay Umer Samunder Ki
Her Moj Pareshan Ho Jaay
Phir Chahay Aankh Dareechay Say
Her Khawab Gurezan Ho Jaay
Phir Chahay Phool Say Chehray Per
Her Derd Numayan Ho Jaay
Us Jheel Kinaray Pal Do Pal
Woh Roop Nagar Eejad To Ho
Din Raat K Is Ainay Say
Woh Aks Kabhi Azad To Ho
Un Jheel Si Gehri Aankhon Main
Ik Sham Kahin Abad To Ho!!!

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 10:12 AM
Teri Aankhon Main, Mere Dil Ka Nakhsa Ho Bhi Sakta Hai
Jise Deewar Samgha Hai Wuh, Wuh Rasta Ho Bhi Sakta Hai

Zamana Gour Se Daikhey, Jisey Is Ne Khuda Samjha Hai
Woh Is K Hath Ka Pather Tarasha Ho Bhi Sakta Hai

Nazur Se Door Re Ker Bhi, Kisi Soch Main Rehna
Kisi K Paas Rehney Ka Tareeqa Ho Bhi Sakta Hai

Woh Apni Sard Mehri Se, Mughey Hud Main To Rakhta Hai
Mera Hud Se Guzurney Ka Irada Ho Bhi Sakta Hai

Bhari Duniya Ka Meila Sath Ho To Koun Si Mushkil
Mager Aik Shakhs Meley Main Akela Ho Bhi Sakta Hai

Ye Seedhi Rah Per Chalna, Kahan Se Seekh Aye Ho
Ye Rasta Doosti Ka Hai, Ye Terra Ho Bhi Sakta Hai

Main Apney Jism O Jaan Ko Sath Rehtey Daikh Ker Samjha
Nibhana Ho Jisey Mushkil Woh Rishta Ho Bhi Sakta Hai

Uchalta, Thokarain Khata Howa Paani Ka Aik Dharaa
Tere Dil Tak Pohanchney Ka Bahana Ho Bhi Sakta Hai

Nikal Ker Bund Kamrey Se Zara Baazar Main Aao
Ager Tum Daikhna Chaho, Tamasha Ho Bhi Sakta Hai

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 10:13 AM
Tumhari In Siyah Aankhoun Main
Meri Zindagi Ki Shama Jalti Hai
Jab Tum Kareeb Se
Meri Taraf Deakhtay Ho
To
Meri Zindagi Se Saansay Aur Barh Jati Hain
Aur Jab
Tum Musuratay Ho
To
Tumhari Is Muskurahat Se
Mera Dil Aur Zor Se Dharakta Hai
Aur Main Yeh Dua Mangti Hoon
Kaash!
KHUDA Karay
Tumhari Aankhoun Ki
Aur Hountoo Ki Muskurahat
Sada Youn Hi Qaim Rahay

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 10:14 AM
Bhool Sakta Hay Bhala Kaon Yeh Pyaari Aankhain
Rang Mein Doobi Huii Neend Say Bhaari Aankhain

Mairi Her Saans Nay Her Sooch Nay Chaaha Hay Tumhain
Jab Say Daikha Hay Tumhain, Tab Sai Saraaha Hay Tumhain
Bas Gaii Hain Mairi Aankhon Main Tumhaari Aankhain

Tum Jo Nazron Ko Uthaao To Sitaray Jhuk Jaaeyn
Tum Jo Palkon Ko Jhukaao To Zamanay Ruk Jaaeyn
Kyun Na Ban Jaaeyn In Aankhon Ki Pujaari Aankhain

Jaagti Raaton Ko Sapnon Ka Khazana Mil Jaaey
Tum Jo Mil Jaao Jeenay Ka Bahaana Mil Jaaey
Apni Qismat Pay Kerain Naaz Hamaari Aankhain

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 10:15 AM
Dil Ki Baatein Bata Deti Hain, Aankhein
Dharkano Ko Jaga Deti Hain, Aankhein

Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Chehraun Ka Kabhi
Dil Ko To Deewana Bana Deti Hain, Aankhein

Woh Hum Se Baat Nahi Karte, To Na Karein
Haal Sara Unke Dil Ka Suna Deti Hain, Aankhein

Gham Sada Rehta Nahi, Aadmi Ke Saath
Ashk Bana Kar Chalka Deti Hain, Aankhein

Aata Hai Jab Dor-E-Jawani, To Ae-Dosto
Sunder Sapne Zehan Mein Basa Deti Hain, Aankhein

Mana Ke Neend Aati Hai, Aankhon Hi Ke Raaste
Magar Kabhi Kabaar Neend Bhi Uraa Deti Hain, Aankhein

Shukar Hai Rab Ne Ata Ki, Aankhon Ki Neamat
Humaare Dard-O-Gham Saare Dil Ke, Chupa Deti Hain Aankhein

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 10:34 AM
Kayi Zulm Bhare Raaz Chupaatin Hain Yeh Aankhein
Aiina Dekh Kar Khud Se Dar Jaatin Hain Yeh Aankhein

Shayd Suna Ho Inki Araaish Ka, Toote Sapnon Se Sanwarti Hain
Bheege Aansuon Se Khud Ko Sajaatin Hain Yeh Aankhein

Yun Kahin Dikh Na Jaaye Kitna Dard Basaa Hai Inmein
Har Ek Se Nazrein Churaatin Hain Yeh Aankhein

Yeh Tamanna Rehti Hai Dil Mein K Woh Laut Aayenge
Rasta Tak Tak Kar Khud Ko Behlaatin Hain Yeh Aankhein

Badnaam Ho Gayin Yeh Unki Dewaangi Mein Kho Kar, Par
Unki Khaatir Har Bughz Nigaah Seh Jaati Hain Yeh Aankhein

Woh Nahi Aaya, Khokar Usse Jaane Kaise Yeh Jee Leti Hain
Aakhir Bandh Kyon Nahin Ho Jaatin Warda Teri Yeh Aankhein

-|A|-
01-15-2009, 05:51 PM
mUnda lash One

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 07:18 PM
Thanks Bro .....

life2
01-15-2009, 08:43 PM
Aik shakhs is tarhan merya dil main utar gaya
Jaisay woh janta tha meray dil ka rasta
__________________

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 11:48 PM
nice life2 jee n thanks for visiting

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 07:48 AM
Aaj Hamey Kohi Khata Karne Koh
Yeh Dil Chatha Hai…

Bahri Mehfil Mey Badnaam Hone Koh
Yeh Dil Chatha Hai…

Fizaon Seh Guftagooh Karne Koh
Yeh Dil Chatha Hai…

Baharoon Ser Dil Lagane Koh
Yeh Dil Chatha Hai…

Kekhashoon Koh Chune Koh
Yeh Dil Chatha Hai…

Chand Seh Nazar Na Hatane Koh
Yeh Dil Chatha Hai…

Duniya Koh Barbaat Hamari Karne Koh
Yeh Dil Chatha Hai…

Aaj Tumseh Mohabbat Ka Iqkaar Karne Koh
Yeh Dil Chatha Hai…

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 07:49 AM
Kabi Tum Apni Mohabbat Ka Aitbaar To Do
Mai Chahoon Toot K Tum Ko Ye Ikhtiyaar To Do

Guzarti Hi Nahi Mujh Se Ye Zindagi Tanha
Sahara Pyaar Ka Deker Isey Guzaar To Do

Mai Sochti Hoon Tumhare Bagair Kya Hoga?
Dil-o-Dimaag Per Ek Bhoj Hai Utaar To Do

Mere Khayal Ki Raahon Ko Keh-Kishaan Kar Do
K Roshni Se Meri Zindagi Sanwaar To Do

Umeed-e-Wafa Ghum-e-Hijar Ka Muda’wa Hai
Mai Intizaar Karoon Magar Zabt-e-Intizaar To Do

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 07:50 AM
Unse Milne Ko Dil Beqraar Sa Rehta Hai
Har Ghadi Har Pal Intzaar Sa Rehta Hai

Paheli Si Ban Gayee Hai Mohabbat Ki Daastaan
Iqraar Dil Mein,Zubaan Pe Inkaar Sa Rehta Hai

Dil Ke Sehra Se Khayalon Ke Kaarwaan
Guzar To Jaate Hain Par Gubbaar Sa Rehta Hai

Nazron Se Door Magar Dil Ke Qareeb Hain
Gair Ho Kar Bhi Unpe Aitbaar Sa Rehta Hai

Chahat Ki Grifat Mein Jab Dil Ho
Na Zore Koi Dil Pe Na Ikhtyaar Sa Rehta Hai

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 07:50 AM
Intezaar Aitebaar Raha Bersoun
Aik Dareecha Khula Raha Bersoun

Aik Din Us Ka Pyaar Barsa Tha
Or Mian Bheegta Raha Barsoun

Un Ki Aankho K Jaam Yaad Rahay
Bin Piye Bhe Nasha Raha Bersoun

Tub Kahin Ja K Aik Ghazal Likkhi
Main Tujhay Sochta Raha Bersoun

Fasley Kum Na Ho Sakay
Aamna Samna Raha Bersoun

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 07:51 AM
Ab To Kisi Bhi Baat Pey, Aitbaar Nahin Hota
Hotey Hain Bas Samjhotey Dilon Ke, Koi Pyar Nahin Hota

Kitna Bhi Samjha Lein Hum, Iss Dil-E-Nadaan Ko
Ekk Qatra Kabhi, Koi Saagar Nahin Hota

Dil Mein Liye Hasrat Kisi Ki Ye Umar Guzar Jaati Hai
Ke Taqdeer Pey Kisi Ki Apni, Ikhtiyaar Nahin Hota

Lagtey Hain Jo Pal Suhaney, Woh Hain Mairey Bas Khaabon Ke
Haqeeqat Mein Kabhi Khushi Ka, Deedar Nahin Hota

Dhal Jaatey Hain Ye Ashk, Ekk Aur Gham Ki Raah Liye
Inn Honthon Ko Ab Kisi Hansi Ka, Intezaar Nahin Hota

life2
01-16-2009, 06:06 PM
Chingariyaan Na Daal Meray Dil Kay Ghao Main

Main Tu Khud He Jal Raha Hooon Dukho Kay Alao Main

Koee Hai Ahal -e- Dil Jo Khariday Mera Mizaaj

Main Zakham Bechta Hooon Mohabbat Kay Bhao Main

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 08:30 PM
nice one and thanks for visiting

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 08:54 PM
Bheer Main Ik Ajnabi Ka Saamna Acha Laga
Sub Se Chup Kar Wo Kisi Ka Dekhna Acha Laga

Surmayi Ankhon K Neechay Phool Se Khilnay Lagay
Kehtay Kehtay Kuch Kisi Ka Sochna Acha Laga

Baat Tau Kuch B Nahi Thi Laikin Is Ka Aik Dum
Haat Ko Honton Pe Rakh K Rokna Acha Laga

Dil Main Kitnay Ahad Bandhay Thay Bhoolnay K Usay
Wo Mila Tau Sub Iraday Torna Acha Laga

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 08:56 PM
Kash Hath Tumhara Hamara Yuhi Sada Mila Rahe
Kash Pyara Sa Ye Rishta Yuhi Barqarar Rahe

Chalti Hai Dhadkane Sanson Ke Chalne Se
Kash Yuhi Tum Mere Dil Mein Basi Rahe

Nanhi Si Muskaan Hothon Ki Tumhari
Kash Yuhi Hamein Zindagi Jine Ka Bahana Deti Rahe

Juki Juki Tumhari Ye Shararat Bhari Aankhein
Kash Yuhi Hamein Dunia Se Bekhabar Karti Rahe

Chehre Ki Wo Masumiyat, Baaton Ki Wo Nazakat
Kash Yuhi Mere Dil Ko Bhati Rahe

Sangit Ho Tum Meri Veraan Zindagi Ka
Kash Dhadkan Tumhari Yuhi Sargam Banti Rahe

Chandni To Nahi Bichadti Kabhi Chand Se
Kash Yuhi Sada Tum Mera Sath Deti Rahe

Rawani Ye Pyaar Ki Jo Sansoo Mai Hai
Kash Yuhi Mohabbat Ke Har Mukam Se Guzarti Rahe

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 08:56 PM
Yun Dosti K Naam Ko Rusvaa Na Kijiye
Tark-e-Ta’alluqaat Ka Charcha Na Kijiye

Jurm-O-Sitam Ka Paas Bhi Ulfat Mein Shart Hai
Palkon Ko Aansuon Se Bhigoya Na Kijiye

Aisaa Na Ho Ummeed Se Rishta Hi Toot Jaaye
Har Roz Mujhse Vaada-e-Fardaa Na Kijiye

Hamdard Jis Ko Apna Samajhte Rahe Hain Aap
Us Ka Hi Zindagi Mein Bharosa Na Kijiye

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 08:57 PM
Kab Kon Kisi Ka Hota Hai
Sub Choote Rishtey Naate Hai

Sub Dil Rakhney Ki Batein Hai
Sub Asal Roop Chupatey Hai

Mohabbat Ke Khali Log Yaha
Lafzo Ke Teer Chalete Hai

Ek Bar Nigahon Mai Agar
Phir Sari Zindagi Rulate Hai

Woh Jis Ne Diya Hai Asshk Humey
Ab Woh Hi Hum Ko Bhool Jatey Hai

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 08:58 PM
Ae KHUDA Tu Mujhe Jawab De
K
Yon Wo Chala Gaya Mujhko Chor Ke
Hum To Uski Jhalak Ke Deewane The
Uske Chand Se Chehre Ke Parwane The
Uski Baaton Main
Dil Lagai Bethe Hen
Uska Naam Bar Bar Kehte Hen
Wo, Jo Bina Bolay Baat Samjah De
Aur Hume Humise Chura Le
Uske Saath Hum Apne Sapne Saja Len
Aj Is Tanhai Mai Rota Hai Ye Dil
Tujhko Bulata Hai Ke Ek Dafa Mil
Tum Na Aai, Aai Gi Tumari Yaad Hume
Tumne Chor Diya, Choren Ge Nahi Ghum Hume
Tere Bin Zamane Ka Saamna Na Kar Paen Gen
Tere Bin Hum Yun Hi Duniya Se Chale Jaen Gen
Ye Sun Kar Tum Meri Kabar Pe Mat Ana
Na Hi Koi Phool Lekar Koi Ansoo Bahana
Kyon Ke Hum Tujhse Apna Rishta Tor Len Ge
Mera KHUDA Tera Saath Kisi Aur Se Jor De Gen….

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 08:59 PM
Mere Kamre Ke Parde Ab Puraane Ho Gaye Hain
Jo Apne The Ab Tak,Ab Begaane Ho Gaye Hain

Rahti Thi Jin Galiyon Mein Hamdardon Ki Aavajaahi
Uske Saare Padaao Ab Veeraane Ho Gaye Hain

Jinhe Samjha Tha Humne Daastaan Sachhe Pyaar Ki
Wohi Kisse Ab Bewafaayi Ke Afsaane Ho Gaye Hain

Woh Khwab Woh Ummeeden Woh Jazwa Aur Woh Josh
Lagta Hain Un Sab Se Mile Zamaane Ho Gaye Hain

Khula To Ab Bhi Hai Pyaar Ka Maikhaana
Yeh Aur Baat Hai Ki Khaali Sab Paimaane Ho Gaye Hain

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:00 PM
Logon Ne Kaha..!
Is Derrr Se Kabhi
Koi Na Umeed Nahin Lauta
Koi Khali Haath Nahin Gaya
Main Bhi Logon Ke Sath Chala
Chehre Pe Gird-E-Malal Liye
Ek Pur Umeed Khayal Liye
Ek Khali Dast-E-Sawal Liye
Jab Kafila Us Der Per Puhancha
Main Us Ghar Ko Pehchan Gaya
Phir Khaali Hath Hi Laut Aya
Us Derrr Se Mujhe Kia Milna Tha….?
Woh Ghar Tu Mera Apna Tha……..!!!

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:01 PM
Wo Tum Thay Ya Ek Khayal Tha
Mari Soch Ka Hi Kamal Tha

Wo Muhabbatein , Wo Chahaten
Mari Uljhano Ka Hi Jaal Tha

Mujhe Jawab Jis Ka Mila Nahi
Wo Aisa Hi Ek Sawal Tah

Wo Aj Gaya To Ehsaas Hua
Kis Qadar Mujhe Us Se Pyar Tha

Ab Uski Kya Main Misaal Doon
Wo Apni Misaal Aap Tha

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:01 PM
Mera Gi Tu Chahay
Ye Chanda Sitaray
Aanchal Pay Tumharay
Mien Taanq Doun…..

Mera Gi Tu Chahay
Ye Saray Nazaray
Tumhien Apnay Rub Say
Mien Maang Doun…..

Ye Chanda Sitaray
Ye Saray Nazary
Tumhien Sounp Ker

Ager Tu Ju Chahay
Tumhien Apnay Rub Say
Mien Maang Loun?

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:02 PM
Kash Hath Tumhara Hamara Yuhi Sada Mila Rahe
Kash Pyara Sa Ye Rishta Yuhi Barqarar Rahe

Chalti Hai Dhadkane Sanson Ke Chalne Se
Kash Yuhi Tum Mere Dil Mein Basi Rahe

Nanhi Si Muskaan Hothon Ki Tumhari
Kash Yuhi Hamein Zindagi Jine Ka Bahana Deti Rahe

Juki Juki Tumhari Ye Shararat Bhari Aankhein
Kash Yuhi Hamein Dunia Se Bekhabar Karti Rahe

Chehre Ki Wo Masumiyat, Baaton Ki Wo Nazakat
Kash Yuhi Mere Dil Ko Bhati Rahe

Sangit Ho Tum Meri Veraan Zindagi Ka
Kash Dhadkan Tumhari Yuhi Sargam Banti Rahe

Chandni To Nahi Bichadti Kabhi Chand Se
Kash Yuhi Sada Tum Mera Sath Deti Rahe

Rawani Ye Pyaar Ki Jo Sansoo Mai Hai
Kash Yuhi Mohabbat Ke Har Mukam Se Guzarti Rahe

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:03 PM
Us Ney Kaha Sun
Ehead Nibhaney Ki Khatir Mat Aana
Ehaed Nibhaney Waley Aksar
Majboori Ya Mahjoori Ki
Thakaan Sey Louta Kartey Hain
Tum Jaoo
Aur Dariya Dariya Piyaas Bhujaoo
Jin Aankhoon Main Dubo
Jis Dil Main Bhi Utro
Meri Talab Aawaz Na Degi
Lekin Jab Meri Chahat Aur Khuwahish Ki Lou
Itni Tez Aur Itni Oonchi Ho Jaey
Jab Dil Ro Dey
TAB LOUT AANAA
TAB LOUT AANA

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:04 PM
Mere Charon Taraf Hai Dashat-E-Be Payan Kahan Ho Tum
Mere Mathay Pe Bosa Dene Wali! Kahan Ho Tum

Mujhe Jhulsa Rahi Hai Zindagi Ki Dhoop Barsoon Se
Meri Umeed, Meri Zeesat Ke Saman Kahan Ho Tum

Kharashain Daal Di Hain Dil Ke Aaine Pe Duniya Ne
Mere Har Dukh, Har Dard Ka Darman Kahan Ho Tum

Main Thak Kar Girne Wala Hoon Mujhe Aaghosh Main Ley Lo
Tahaqub Main Hai Mere Ghardesh-E-Doran Kahan Ho Tum

Mere Woh Dost Khush Qismat Hain Jin Ki Main Zinda Hain
Meri Nazroon Main Sara Shaher Hai Veeran Kahan Ho Tum

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:04 PM
Sondhee Mittee Kee Khushboo Mien Liptee Huyee Kucch Yaadien
Phoolon Kee Pankhuriyon Mien Sahejay Huye Kucch Lamhaat
Uss Aksmaat Mulaaqaat Kee Goonjtee Huyee Dharkhan
Ek Ghazal Mien Gholee Huee, Kisikay Lafzon Kee Misree
Zehen Mien, Be-Khauf Failtaa Hua Ek Tassavvur Ka Jaadoo
Waqt Kee Aankhon Say Giree Huyee Ek Ashq Kee Boond
Shabnam Say Churayee Huyee, Thorhee See Numee
Ek Ajnabee Say Milee, Be-Takalluf Hansee
Unkee Jhalak Ka Muskurata Hua Khumaar
Ek Chashm Mien Tairtee Huyee Jheel Kee Gehraayee
Zehan Kay Aangan Mien Kheltay Huey Khayaalon Kay Kehkahay
Ek Manzil Pay Baithay Huey Intezaar Kee Kashish

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:05 PM
Aisa Karna Key Chand Sey Kuch Mitti Lana
Us Main Sey Do Putley Banana
Ek Tumharey Jaisa
Ek Merey Jaisa
Un Potloon Ko Phir Tum Toor Deyna
Un Sey Phir Tum Do Putley Banana
Ek Tumharey Jaisa
Ek Merey Jaisa
Ta K
Kuch Kuch Tum Main Hum Reh Jayen
Kuch Kuch Hum Main Tum Reh Jana

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:06 PM
Zara Tehroo..
Kay Soraj Ko To Janay Do..
Parando Ko To Ur Janay Do..
Zara Sham Dhalnay Do..
Abhe To Aasman Ka Rang Nikray Ga..
Abhe Khushboo Bhe Bikray Gee..
Abhe Mosam Bhe Badlay Ga..
Abhe To Chand Niklay Ga..
Abhe Manzar Badalnay Mein Zara See Dair Bakee Hey..
Abhe Dil Kay Sambhalnay Mein Zara See Dair Bakee Hey..
Chalay Jana..
Chalay Jana…
Abhe Do Char Pal, Do Char Sadyaa Sat Rehney Doo..
Zara….
Zara Tum Sham Dhalney Do..
Tahar Jaoo
Tahar Jaoo

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:07 PM
Mumkin Ho Aap Se Tuo Bhula Dijiyey Mujhay
Pathar Pe Hoon Lakeer, Mita Dijiyey Mujhay

Hur Rooz Mujh Se Taaza Shikayat Hai Aap Ko
Main Kia Hoon, Aik Baar Bata Dijiyey Mujhay

Mere Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-E-Guftugu
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiyey Mujhay

Main Kia Hoon, Kis Jagah Hoon, Mujhay Kuch Khabar Nahin
Hain Aap Kitni Duur Zara Sada Dijiyey Mujhay

Ki Main Ne Apne Zakham Ki Tash’heer Ja Baja
Hum Mantey Hein Jurm, Saza Dijiyey Mujhay

Qaim Tou Ho Sakey Koi Rishta Ap Key Saath
Gehre Samandaroon Main Baha Dijiyey Mujhay

Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasney Se Faida
Hai Tairgi Tou Aag Laga Dijiyey Mujhay

Jaltey Dinoon Main Khud Pas Deewar Baith Kar
Saaye Ki Justuju Main Laga Dijiyey Mujhay

Youn Tou Shoola-E-Jaan Sard Ho Chuka
Laikin Sulag Uthoon Tou Hawa Dijiyey Mujhay

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:07 PM
Aaj Kuch Maangna Hay Tum Say
Aaj Kuch Lena Hay Tum Say
Aaj Kuch Dena Hay Tum Ko
Aaj Kuch Kehna Hay Tum Ko
Na He Koi Khuwahish, Tamanna Na Arzoo
Bas Aik Hi Chah Hai Apni Aur Aik Hi Justaju
Ham Maangtay Hain Tum Say,
Teray Derd O Gham Wo Saarey Jo Rula Gaye Hain
Teri Neenden Uda Gaye Hain
Ham Hain Shareek E Gham Teray Pehchaan To Sahi
Ham Bhi Hain Saath Teray Tu Jaan To Sahi
Ker Bojh Apnay Dil Ka Halka Hamen Bataday
Ye Fikar Ye Udasi Kioon Hay Zara Sunaday
Laaye Hain Ham Baharain Teray Hi Waastay
Ye Rang Aur Ye Khushboo Teray Hi Waastey
Aaj Kuch Maangtay Hain Tum Say
Aaj Kuch MaangnA Hay Tum Say

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:08 PM
Suna Hai PHOOL KALIYOON Se Tumahin Rab Ne Banaya Hai
Haamin Bhi Thori Si KHUSHBO Churane Ki Ijazat Ho

Suna Hai Teri AANKHOON Main Sitaraoon Ka Basera Hai
Hamain Is ROSHNI Se Ghar Sajane Ki Ijazat Ho

SHARARAT Se Bahre Yeh DIN Bari MADHOSH Hain RATAIN
HAWAIN Aa K SUNTI Hain Hamare PYAR Ki BATAIN

Suna Hai PYAR Main DIL Per Koi QABU Nahi Hota
Yeh Sari CHAHATAIN Tum Per LUTANE Ki Ijazat Ho

TAMANNA Hai Tumahre PYAR Main MASHOOR Ho Jaain
HAMAIN Tum Is Qadar CHAHOO K Hum MAGHROOR Ho Jain

Suna Hai PYAR Main Yeh DORIYAAN Acchi Nahi Hoti
KAREEB Aa Ker UMIDOON Ko JAGANE Ki Ijazat Ho

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:09 PM
Apni Nazroon Se Jo Gir Jaye Woh Chehra Na Bana
Mujh Ko Lamhe-A-Fursat Ka Khilona Na Bana

Saink’roon Rastey Hain Ajnabi Ho Janey Ke
Tark Karna Hai Tou Talook Ka Bahana Na Bana

Jhoot Ehsaas Ki Qandeel Ko Boojha Deta Hai
Muhjey Insaan Samja Khud Ko Farishta Na Bana

Apni Yaadein Tu Mere Dil Main Basi Rehne Dey
Is Mehaktey Huay Gulzaar Ko Sehra Na Bana

Mein Tu Pehle Hi Zakhum Liye Phirta Hoon
Muhjey Aab Shehar Dard-E-Tamasha Na Bana

Thak Gaeen Hain Mere Ehsaas Ki Aakhain
Nqash-E-Deewar Per Aab Koi Afsana Na Bana

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:09 PM
Unse Haal-E-Dil Kahoon Na Kahoon
Hai Bahut Mushkil Kahoon Na Kahoon

Jo Mere Waqt-E-Dafan Roya Hai Zar-Zar
Wahi Hai Mera Kaatil Kahon Na Kahon

Poochon Na Poochon Tera Maazi Gard-E-Dasht
Tujhse Tera Mustaqbil Kahoon Na Kahoon

Tere Khilaaf Kya Hai Saajish-E-Toofaan
Tujhse Ae Yara ! Kahoon Na Kahoon

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:12 PM
Mujay Kuch Tumsay Kehna Hai

Magar Tahro
Yeh Ik Lamha Jo Azal Say Hay
Kaye Sadioon Ki Bay Chani Simat Aye Hay
Iis Ki Dobthi , Sahmi Si Sansoon Main
Hazaroon Ratjagoon Ka Dard Hay
Is Kay Tasalsul Main
Yeh Ik Lamha
Yeh Meri Baykran Chahat Ki Gerdash Ka Hasee Lamha
Yeh Ik Lamha Guzer Jaye
Tu Shaed Ishaq Ki Manzil Nazer Aye
Meri Yeh Bay Nishan Chahat
Abad Ki Bay Kran Woset Ko Cho Aye
Yeh Ik Lamha
Jo Sang-E- Rah Hay Sadioon Ki Bay Payan Musafat Ka
Nishan Hay Un Ginat Rohoon Ki Un Daki Mohabbat Ka
Gubar-E- Wad-E- Seena Say
Wo Sab Karwan-E- Shoq
Jo Latay Hain Giran Maya Karamat, Hay
Yeh Lamha
Yeh Lamha Jo Azal Say Hay

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:12 PM
Agar Talaash Karuun Koii Mil Hii Jaayegaa
Magar Tumhaarii Tarah Kaun Mujhe Chaahegaa

Tumhen Zaruur Koii Chaahaton Se Dekhegaa
Magar Vo Aankhen Hamaarii Kahaan Se Laayegaa

Naa Jaane Kab Tere Dil Par Naii Sii Dastak Ho
Makaan Khaalii Huaa Hai To Koii Aayegaa

Main Apanii Raah Men Diivaar Ban Ke Baithaa Huun
Agar Vo Aayaa To Kis Raaste Se Aayegaa

Tumhaare Saath Ye Mausam Farishton Jaisaa Hai
Tumhaare Baad Ye Mausam Bahut Sataayegaa

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:13 PM
Kash Hum Bezubaan Hote
Naa Fir Gham Yun Bayaan Hote
Kash Naa Hoti Zindagi Ki Samajh
Naa Fir Yun Afsaane Jawaan Hote
Kash Naa Khwahish Hoti Kuch Paane Ki
Naa Fir Kuch Khone K Gham Yahan Hote
Gar Tod Jaata Koi Ashiyaan Humara
Fir Bhi Khoobsurat Saare Samaan Hote
Lut Jaati Gar Roshni-E-Zindagi
Fir Bhi Andhere Naa Yahan Hote
Toot-Te Hue Bhi Be-Shubhaah Hote
Kash Hum Bezubaan Hote !!

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:14 PM
Muddaton Baad Vo Soorat Jo Dikhaaee Dee Hai
Dil Kee Dhadkan Mujhe Aankhon Se Sunaaee Dee Hai
Shaam Se Jaag Rahee Hain Vo Nidaasee Aankhen
Doobte Chaand Ne Khidkee Se Badhaaee Dee Hai
Us Janam Mein Bhee Mulaaqaat Kee Ummeed Naheen
Is Janam Ne To Janam Bhar Kee Judaaee Dee Hai
Hamne Pehle Bhee Ye Khwaabon Ka Safar Dekha Hai
Dhoop Itnee Thee Ke Sehra Ne Duhaaee Dee Hai

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:14 PM
Tera Dard Tha Teri Yaad Thi
Main Jidhar Raha Main Jidhar Gya
Mera Din To Yunhi Guzar Gya
Is Abar Ka Mere Yaar Se
Bara Milta Julta Mizaj Tha
Kabi Toot Kar Baras Gya
Kabi Be-rukhi Se Guzar Gya
Jab Chor Dunga Main wo Gali
Ause Yaad Aegi Tab Meri
Muje Dhoonday Gi wo Gali Gali
To Khabar Mile Gi Main Mar Gya
Abi Tang Hai Mere Naam Se
Mere Baad Raah Main Dostoon
Wo Tumhi Ko Rok Rok k Puche Gi

Wo Kidhar Gya?????

Wo Kidhar Gya?????

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:15 PM
Dua Nahin To Gila Deta Koi
Meri Wafaon Ka Sila Deta Koi

Jub Muqaddar Hi Nahin Tha Apna
Deta Bhi To Bhala Kya Deta Koi

Haasil-E-Ishq Faqat Dard Hai
Aye Kaash Pehle Hi Bata Deta Koi

Taqdeer Nahin Thi Gar Aasmaan Choona
Khaaq Mein Hi Mila Deta Koi

Bewafa Bhi Humen Bewafa Kah Gaya
Isse Ziada Kya Daga Deta Koi

Gumaan Hi Ho Jata Kisi Apne Ka
Daaman Hi Pakad Kar Hila Deta Koi.

Arse Se Atka Hai Hinchkiyon Pe Dum
Acha Hota Jo Bhula Deta Koi

Ye To Ro Ro Ke Kat Gayee “****”
Kya Hota Agarche Hansa Deta Koi

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:16 PM
Raaste Badal Jaate Hain, Manzilain Badal Jaati Hain
Kyun Nahin Badalte Dil Jo Taqdeerain Badal Jaati Hain
Dil Wohi Rehta Hai, Yaadon Ki Anginat Karchaiyaan Le Ke
Aankhon Ki Nami Chupa Kar, Nazrain Badal Jaati Hain
Rooh Rehti Hai Har Lamha Ashkbaar, Lab Hanste Hain
Bahar Aur Andar Ki Kis Tarah Fizaain Badal Jaati Hain
Koi Hota Hai Rafta Rafta Zindagi Se Door, Bohot Door
Haathon Ki Yeh Lakeerain Kyun Aksar Badal Jaati Hain !!

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:17 PM
Is Raat Ki Tanhayeoon Ke
Sab Rang Badal Gaye Hain
Chand Nikla Hain Wesay Hi
Andharay Badal Gaye Hain

Jin Ke Bharoosay Thi Khushiyan
Woh Badal Thahar Gaye Hain
Manzalain Tu Ab Bhi Wohi Hain
Kuch Rastay Badal Gaye Hain

Jin Pe Kiua Tha Bharosa Hum Nay
Woh Dost Bichar Gaye Hain
Dekhay Thay Hum Nay Jo
Woh Khuwab Badal Gaye Hain

Jo Baney Thay Kabhi Humsafar
Aaj Woh Hi Mukkar Gaye Hain
Iss Tutay Huwey Dil Ke Sarey
Jazbat Badal Gaye Hain

Na Badlay Kabhi Hum
Na Badlay Hamarey Khayalat
Bas Rona Hain Yehi
Kuch Log Badal Gaye Hain

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:19 PM
Dard Me Doobi Tehreer Teri
Dil Ke Taron Ko Chhed Gayi

Kyon Ki Teri Aankhon Mein Besabab Udaasi Hai
Kyon Ki Tere Chehre Pe Dukh Hai, Badhawasi Hai

Kyon Saughawar Tera Daaman Hai
Kyon Tere Lahje Me Ajnabi Pan Hai

Woh Ke Umr Bhar Jisne Shahar Bhar Ke
Logon Me Mujh Ko Ham Sukhan Jaana,

Dil Se Aashna Likha
Khud Se Meherbaan Samjha
Dilruba Likha
Lekin……

Ab Ke Saada Kaagaz Per Surkh Roshnai Se
Tune Talkh Lahje Me

Mere Naam Se Pahle Sirf “Bewafa” Likha
Jaane Kyon
Jaane Kyon
Jaane Kyon ?????

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:20 PM
Mumkin Ho Aap Se Tuo Bhula Dijiyey Mujhay
Pathar Pe Hoon Lakeer, Mita Dijiyey Mujhay

Hur Rooz Mujh Se Taaza Shikayat Hai Aap Ko
Main Kia Hoon, Aik Baar Bata Dijiyey Mujhay

Mere Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-E-Guftugu
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiyey Mujhay

Main Kia Hoon, Kis Jagah Hoon, Mujhay Kuch Khabar Nahin
Hain Aap Kitni Duur Zara Sada Dijiyey Mujhay

Ki Main Ne Apne Zakham Ki Tash’heer Ja Baja
Hum Mantey Hein Jurm, Saza Dijiyey Mujhay

Qaim Tou Ho Sakey Koi Rishta Ap Key Saath
Gehre Samandaroon Main Baha Dijiyey Mujhay

Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasney Se Faida
Hai Tairgi Tou Aag Laga Dijiyey Mujhay

Jaltey Dinoon Main Khud Pas Deewar Baith Kar
Saaye Ki Justuju Main Laga Dijiyey Mujhay

Youn Tou Shoola-E-Jaan Sard Ho Chuka
Laikin Sulag Uthoon Tou Hawa Dijiyey Mujhay

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:21 PM
Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Mein Jaga Di Thi
Khuwabon Ki Duniya Apni Us Se Hi Saja Di Thi

Chaha Tha Us Ko Hum Ne Khud Se Bhi Bohat Barh Kar
Us Chahat Mein Hum Ne Ye Hasti Hi Mita Di Thi

Maloom Nahi Tha Hum Ko Woh Bewafa Bhi Hoga
Us Per Bharosa Karke Khud Ko Hi Saza Di Thi

Socha Tha Sath Mil Ke Kaatenge Zindagi Ko
Us Ne To Ek Pal Main Har Baat Bhula Di Thi

Kaisa Sitam Hai Dekho Woh Kab Se Judda Hai Mujh Se
Apni Zindagi Jis Ka Saya Sa Bana Di Thi

Kiya Tha Us Per Bharosa Kyun Hadh Se Barh Kar
Us Ki Jafa Ne Dil Mein Ek Halchal Si Macha Di Thi

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:22 PM
Meri Mohabbat Ki Bas Itni Si Kahani Hai
Dard Main Doobi Hui Yeh Zindagani Hai
Rista Hai Zakhm Ban Ke Aankh Ka Aansu
Rooh Par Jafaaon Ki Gehri Nishaani Hai
Saansen Hain Lekin Dhadkanen Nahin Hain
Lahu Thama Sa Hai, Na Koi Ravaani Hai
Kho Diya Jisne Umar Bhar Ka Sukoon
Muskurati Hai Phir Bhi, Ladki Deewani Hai !!

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:25 PM
Abhi Kuch Dair Baqi Hai..!

Khizan K Beet Janay Main
Guloun K Muskuranay Main
Khushi K Geet Ganay Mein
Baharon K Zamanay Main

Abhi Kuch Dair Baqi Hai..!

Main Tum Ko Bhool Jaonga
Na Tum Ko Yaad Aaonga
Main Tum Se Dour Reh K Bhi
Tumhain Jee Ker Dikhaonga
Tumhain Maloom Hay Laikin
Yeh Sub Main Kar Na Paaonga
K Tum Ko Bhool Janay Main

Abhi Kuch Dair Baqi Hay..!

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:26 PM
Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho Ga
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga

Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga

Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga

Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say
Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga

Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho Gi Tujhy
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho Ga

Ho Kay Nidhal Mere Yadoon Say Tuu Nay Jaana
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga

Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:26 PM
Kab Kon Kisi Ka Hota Hai
Sub Choote Rishtey Naate Hai

Sub Dil Rakhney Ki Batein Hai
Sub Asal Roop Chupatey Hai

Mohabbat Ke Khali Log Yaha
Lafzo Ke Teer Chalete Hai

Ek Bar Nigahon Mai Agar
Phir Sari Zindagi Rulate Hai

Woh Jis Ne Diya Hai Asshk Humey
Ab Woh Hi Hum Ko Bhool Jatey Hai

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:27 PM
Tumen Bhooly Nahey Hain Hum
Tumhara Chand Sa Chera
Humari Khaas Yadoon Kay Faraimun Mein
Saja Hay, Muskarataa Hay
Tumahara Lams Ehsasaat Kay Nazk Dareechun Par
Abhi Tak Subt Hay Aur Jhilmilataa Hay
Tumhari Muskarahat Raat Kay Pichlay Pehar
Veraan Darwazun Par Dustak Day Kay Ghatnoon Gunganatii Hay
Tumharay Raishmii Rukhsaar Par Meri Zard Poroon Kay Kinaroon Par Ugaay Hain
Lehlahatay Hain
Tumhen Bhooly Nahey Hain Hum
Uddassi Ya Khushi Koii Bhee Mousam Hoo
Humaray Lafz Sab Kuch Bhool Kar Ek Geet Gaatay Hain
Tumhen Bhooly Nahey Hain
Tumhen Bhooly Nahey Hain
Tumhen Wapis Bulatay Hain!!

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:28 PM
Kal Raat Ik Mahfil Hoe
Mahfil Main Ik Baat Hoe

Ik Chand Mujhay Nazar Aaya
Bas Ankhon Say Molaqat Hoe

Es Chand Ki Naram Nigahon Say
Es Dil Ki Har Ik Baat Hoe

Es Chand Ki Ghani Zulfon Main
Kab Sham Hoe Kab Raat Hoe

Bas Yeahe Ik Baat Hoe
Ik Naey Pyar Ki Shurwat Hoe

Kal Raat Ik Mahfil Hoe
Mahfil Main Ik Baat Hoe

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:29 PM
Adhoorey Chaand Ki
Woh Adhoori Raat
Hontoo Per Dum Toorti
Un Kahi Un Suni
Woh Adhoori Baat
Woh Kuch Ajnabi Sa
Woh Kuch Shansa Sa
Rahi Adhoori Mulakaat
Dil Ne Kuch Khoya
Dil Ney Kuch Paya
Ajnabi Un Chahi
Adhoori Woh Shaam
Ley Ker Ghum Sare
Merey Badley Mein
Ghum Bhi Apna Na Diya
Kya Dosti Kya Pyaar
Kaisey Deta Woh Is
Rishtey Ko Koi Naam
…..Bus Sub Gumnaam
……Be Naam
……..Anjaan!
Adhoori Mulakaat
Adhoori Her Baat!
Aur
Adhooray Chaand Ki
Woh Adhoori Raat!

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:30 PM
Kitni Zulfain Khuleen Kitnay Aanchal Uray Chand Ko Kia Khaber
Kitna Maatam Howa Kitnay Aansoo Bahay Chand Ko Kia Khaber

Mudatoon Us Ki Khwahish Main Chaltay Rahay Haath Aata Nahi
Chah Main Uski Pairoon Main Hain Aablay Chand Ko Kia Khaber

Woh Jo Nikla Nahi Hai Tu Bhataktay Rahay Hain Musafir Kayee
Aur Lut Tay Rahay Hain Kayee Qaaflay Chand Ko Kia Khaber

Woh Tu Apni Hi Nigri Main Mudhosh Hai Kab Se Khamosh Hai
Kon Raaja Bana Kitnay Sayed Lutay Chand Ko Kia Khaber

Usko Daawa Buhat Meethay Pan Ka Wasi Chandni Se Kaho
Uski Kirno Se Kitnay Hi Gher Jal Gaye Chand Ko Kia Khaber

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:32 PM
Dil Karta Hai K Pyaar Karoon
Dil Karta Hai K Shararat Karoon

Dil Karta Hai K Baitha Rahoon
Dil Karta Hai K Dekhta Rahoon

Dil Karta Hai K Khamosh Rahoon
Dil Karta Hai K Kuch Kahoon

Dil Karta Hai K Baat Karoon
Dil Karta Hai K Tareef Karoon

Dil Karta Hai K Iqraar Karoon
Dil Karta Hai K Naraz Karoon

Dil Karta Hai K Razi Karoon
Dil Karta Hai K Chupa Rahoon

Dil Karta Hai K Intizar Karoon
Dil Karta Hai K Phir Yaad Karoon

Dil Karta Hai K Khayal Karoon
Dil Karta Hai K Khooya Rahoon

Aur Kabhi

Dil Darta Hai K Toba Karoon

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:32 PM
Tum Mere Dil Mien Samao To Koi Baat Banay
Phir Kabhi Durr Na Jao To Koi Baat Banay

Pyar Kehne Se To Baat Nahi Banti
Pyar Ban K Dikaho To Koi Baat Banay

Hum To Chup Chap Se Rehte Hain Magar
Tum Kabhi Aak Hansao To Koi Baat Banay

Sath Daine Ki To Sab Baat Kiya Karte Hai
Tum Agar Sath Nibhao To Koi Baat Banay

Rotho Soo Bar To Shikayat Na Karien Ge
Roth K Maan B Jao To Koi Baat Banay

Ye Aankhien Har Dam Udaas Rehti Hain
In Mien Koi Khwab Sajo To Koi Baat Banay

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:35 PM
Huaa Hai Insaaf Se Bezaar Mera Dil
Bewafaa Ho Aap Gunehgaar Mera Dil

Har Kisi Ke Saath Hay Koi ,Tanha Main
Phir Se Le Jaa Mere Yaar Mera Dil

Ab To Kismaton Pe Chor Di Hai Baat
Thakk Chukaa Hoon ,Tumhe Pukaarey Mera Dil

Mere Marne Ki Ab Duayen Mangiye
Jeene Ka Nahin Hai Talabgaar Mera Dil

Waqt Ki Aandhiyon Ne Maar Daala
Tha Aik Dhuven Ka Gubaar Mera Dil

Ki Wafaaon Ki Umeed Be_Wafaaon Se
Thi Paani Se LadaaiSharaar Mera Dil

Ab Husn_O_Ishq Ki Baaten Na Kijiye
Mohabbat Se Hai Sharamsaar Mera Dil

Ispe Phool Ke Jagah Aansoo Charrhaiye
Hai Haseen Khwaabon Ka Mazaar Mera Dil

Dhadkan Ruk Jaati Hai Tere Naam Se
Choo Ke Dekhiye Tu Aik Baar Mera Dil

Jalao Na Us Ko Abhi Mere Dosto
Kisi Ka Kar Raha Hai Intezaar Mera Dil

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:36 PM
Muje Pyar Ki Nishani Tum Se Mili
Mere Andaz Ko Shola Byaani Tum Se Mili

Hum Ne Tou Kabi Socha Be Na Tha
Achanak Muquder Ki Kahani Tum Se Mili

Jise Mar Kar Be Na Bhool Paaon Ga
Aisi Mohabat Bhri Zindgani Tum Se Mili

Mein Kaise Bhula Doon Wo Haseen Yadein
Wo Jo Ik Shaam Suhaani Tum Se Mili

Asghar Ko Sdaa Mili Khusuian Tum Se
Muje Koi Na Pareshaani Tum Se Mili

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:37 PM
Koi Tum Say Poochay Kon Hoon Main
Tum Keh Dena “Koi Khaas Nahi”
Ek Dost Hay Kaccha Paka Sa
Ek Jhoot Hay Aadha Sacha Sa
Jazbaat Ko Dhaanpay Ek Parda
Bus Ek Bahana Accha Sa
Jeevan Ka Aisa Sathi Hay
Jo Door Nah Ho K Pass Nahi
Koi Tum Say Poochay Kon Hoon Main
Tum Keh Dena Koi Khaas Nahi

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:38 PM
Yun Dosti K Naam Ko Rusvaa Na Kijiye
Tark-e-Ta’alluqaat Ka Charcha Na Kijiye

Jurm-O-Sitam Ka Paas Bhi Ulfat Mein Shart Hai
Palkon Ko Aansuon Se Bhigoya Na Kijiye

Aisaa Na Ho Ummeed Se Rishta Hi Toot Jaaye
Har Roz Mujhse Vaada-e-Fardaa Na Kijiye

Hamdard Jis Ko Apna Samajhte Rahe Hain Aap
Us Ka Hi Zindagi Mein Bharosa Na Kijiye

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:47 PM
Dosti Pehli Baarish Ki Boondo Mein Hai
Dosti Khilte Phool Ki Khushbu Mein Hai

Dosti Ugte Suraj Ki Kirno Mein Hai
Dosti Har Naye Rishte Ki Umeed Hai

Dosti Khwaab Hai, Dosti Jeet Hai
Dosti Pyaar Hai, Dosti Geet Hai

Dosti Sang Chalti Hawaaon Mein Hai
Dosti In Barasti Ghataaon Mein Hai

Dosti Doston Kiwafaaon Mein Hai
Haat Utha Kar Jo Maangi Hai Dua

Dosti Ka Asar In Duaaon Mein Hai
Dosti Pehli Baarish Ki Boondo Mein Hai

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:48 PM
Khushi Bhi Doston Se Hai
Gam Bhi Doston Se Hai
Takraar Bhi Doston Se Hai
Pyaar Bhi Doston Se Hai
Roothna Bhi Doston Se Hai
Manana Bhi Doston Se Hai
Baat Bhi Doston Se Hai
Misaal Bhi Doston Se Hai
Nasha Bhi Doston Se Hai
Shaam Bhi Doston Se Hai
Zindagi Ki Shuruvaat Bhi Doston Se Hai
Zindagi Main Mulakaat Bhi Doston Se Hai
Mohabbat Bhi Doston Se Hai
Inaayat Bhi Doston Se Hai
Kaam Bhi Doston Se Hai
Naam Bhi Doston Se Hai
Khyal Bhi Doston Se Hai
Armaan Bhi Doston Se Hai
Khwab Bhi Doston Se Hai
Maahol Bhi Doston Se Hai
Yaadein Bhi Doston Se Hai
Mulakaatein Bhi Doston Se Hai
Sapne Bhi Doston Se Hain
Apne Bhi Doston Se Hai
Ya Yun Kahun Yaro
Apni To Duniya Hi Doston Se Hai…..

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:49 PM
Ager Ham Dost Hotay
Tu Karam Ki Intaha Kertay
Tumhain Palkoon Pe Rakhtay Hum
Tumhain Dil Main Basaatay Hum
Ager Tum Rooth Jatay Tu
Tumhain Kitna Manatay Hum
Jo Milnay Tum Nahi Aatay Tu
Aa Ker Khud Tumhain Miltay
Tumhari Laghzishoon Ko Bhi
Hansi Main Hum Ura Daitay
Ager Apni Khata Hoti
Tu Khud Ko Bhi Saza Daitay
Mager Yeh Sab Jab Hi Hota
Ager Hum Dost Hotay Tu
Mager Itna Hi Jana Hai
K Tum Ne Aaj Tak Hum Ko
Paraaya Keh Ker Jana Hai
Kabhi Hamdum Na Maana Hai
Ager Hum Dost Hotay Tu ….

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:50 PM
Jo Mushkil Aasan Banate Hain
Jo Dushman Ko Girate Hain
Jo Hunste Aur Hunsate Hain
Un Ko Bhala Kia Kehte Hain?
Un Hi Ko Dost Kehte Hain

Jo Jeet Ki Khushi Manate Hain
Jo Haar Main Sath Bitate Hain
Jo Phir Bhi Kahan Jatate Hain
Un Ko Bhala Kia Kehte Hain?
Unhi Ko Dost Kehte Hain

Jo Hote Hain Khazane Humare Liay
Jo Hote Hain Sahare Humare Liay
Jo Pyar Dete Hain Pyar Lene K Liay
Un Ko Bhala Kia Kehte Hain?
Inhi Ko Dost Kehte Hain

Jin Ki Qeemat Pata Chalti Hai Bhichrne K Bad
Nahi Khareeda Ja Sakta Un Ko Paise Se Yaar
Yeh Hain Humare Liay Khuda Ka Pyar
In Ko Bhala Kia Kehte Hain?
Inhi Ko Dost Kehte Hain….

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:51 PM
Meray Dil Ki Sari Darkanay
Maray Khuwab Meri Chahatain
Meray Dost Teray Naam
Main Waroon Tuj Pe Ye Jan Apni
Ye Bisaratian Tujahey Sop Doon
Koi Dukh Na Tuj Ko Milay Kabi
Maray Roz-Shub Ki Ebadatain
Meray Dost Teray Naam
Meray Lab Pa Har Dum Yehi Dua
Kay Tujay Nasseb Hoon Rahatain
Meray Apna Ap To Kuch Bhi Nahin
Meri Saansay Teri Amanatain
Meray Dost Teray Naam

ShArArTi MuNdA
01-16-2009, 09:51 PM
Gair Phir Gair Hain Praye Hain
Hum Ne Apne Bhi Aazmye Hain

Un Chiragon Ka Hosla Dakho
Jo Hawaoon Ke Zad Main Aaye Hain

Aao Ab Ye Hasab Bhi Ker Lein
Kis Ne Kitne Situm Uthaye Hain

Sub Ki Pehchan Ho Gai Yaroo
Jab Se Hum Roshni Main Aye Hain

Nida-H
01-17-2009, 11:57 AM
Nice collection..keep it up!!!

-|A|-
01-17-2009, 07:20 PM
very nice

ShArArTi MuNdA
01-17-2009, 07:57 PM
Nice collection..keep it up!!!


Thanks for lykin n visiting

ShArArTi MuNdA
01-17-2009, 07:58 PM
very nice

Thanks bro

life2
01-17-2009, 09:10 PM
nice,,,,,,
itne baras jalne ka kuchh tu sila payengay,

hum bujhtey bujhtey chund Shama"ein jala jayengay

ShArArTi MuNdA
01-17-2009, 09:15 PM
nice,,,,,,
itne baras jalne ka kuchh tu sila payengay,

hum bujhtey bujhtey chund Shama"ein jala jayengay



Nice one n Thanks for visiting

life2
01-18-2009, 08:51 PM
thanx ,,,,,,,,,,
Dosti Kay Liye Mohabbat Aur Khuloos Hai Lazim ,

Har Haath Milane Walay Ko Dost Samjha Nahi Jata

Bohat Kam Hain Log Jo Dil Main Utar Jate Hain,

Har Rah Chalte Ko Apna Banaya Nahi Jata

Koshish Say Badal Jati Hain Taqdeerain ,

Day Kar Ilzaam Qismat Aur Dil Ko Behlaya Nahi Jata

ShArArTi MuNdA
01-18-2009, 10:17 PM
nice one

ShArArTi MuNdA
01-18-2009, 10:19 PM
Pthar Bana Diya Mujhe Rone Nahin Diya
Daman Bhi Tere Gham Main Bhigone Nahin Diya

Tanhaian Tumhara Pata Pochti Rahin
Shab Bhar Tumhari Yad Ne Sone Nahin Diya

Dil Ko Tumhari Yad K Aansoo Aziz The
Dunya K Koi Gham Samone Nahin Diya

***** Yon Us Ki Yad Chali Hath Tham Ker
Mele Main Is Jahan K Khone Nahin Diya

ShArArTi MuNdA
01-18-2009, 10:20 PM
Jo Na-Mumkin Hai Chaahta Kyun Hoon
Tujhse Hi Tujhko Maangta Kyun Hoon

Koi Mujhpe Bhi Jaan Nisaar Kare
Aise Armaan Paalta Kyun Hoon

Dil Toh Veeraan Hai Ek Zamaane Se
Aaj Bhi Issme Jhaankta Kyun Hoon

Apni Tanhayee Se Gale Lag Kar
Raat Aankhon Me Kaat-Ta Kyun Hoon

Zikr Kaanton Ka Hai Kubool Mujhe
Baat Phoolon Ki Taalta Kyun Hoon

Kar Ke Taqseem Sab Me Khushiyon Ko
Sare Gham Khud Sanbhal-Ta Kyun Hoon

ShArArTi MuNdA
01-18-2009, 10:21 PM
Wo Tum Thay Ya Ek Khayal Tha
Mari Soch Ka Hi Kamal Tha

Wo Muhabbatein , Wo Chahaten
Mari Uljhano Ka Hi Jaal Tha

Mujhe Jawab Jis Ka Mila Nahi
Wo Aisa Hi Ek Sawal Tah

Wo Aj Gaya To Ehsaas Hua
Kis Qadar Mujhe Us Se Pyar Tha

Ab Uski Kya Main Misaal Doon
Wo Apni Misaal Aap Tha

ShArArTi MuNdA
01-18-2009, 10:22 PM
Kabhi Jo Ehsaas Ho Tum Ko
Keh Tum Acha Nahin Kerte
Jo Mujh Ko Yun Rulate Ho
Lahu Merra Jalate Ho
Agar Iss Agg Mein Jal Ker
Mein Ik Din Raakh Ho Jaoon
Mujhe Dil Se Bhulla Dena
Samundar Mein Baha Denna
Magur Yeh Yaad Rakhna Tum
Khuda Se Yeh Dua Kerna
Keh Jo Acha Lagge Tum Ko
Woh Tum Jaisa Na Ho Hergiz
Wagarna Tum Bhi Roo Ge
Mujhe Jaise Rulate Ho

ShArArTi MuNdA
01-18-2009, 10:22 PM
Ek Tera Ehsaas Hai
Jo Har Waqt Mere Sath Hai

Ek Teri Yaad Hai
Jo Din Raat Mujhe Tarpaati Hai

Ek Umeed Hai Tere Aane Ki
Apna Tujhe Banane Ki

Na Chain Hai Na Sukoon Hai
Ye Kaisa Mera Haal Hai

Ratain Hogai Hai Itni Lambi
Jo Kaate Nahi Katteen

Na Bhook Hai Na Pyaas Hai
Na Koi Aas Hai Na Koi Paas Hai

Bas Ek Tera Ehsaas Hai
Jo Har Waqt Mere Sath Hai

ShArArTi MuNdA
01-18-2009, 10:23 PM
Tumhain Ik Baat Kehni Hai
Tumhain Ehsaas Hota Hai
Tumharey Reeshmi Kadmo Ki Aahat Say
Kisi B-Noor Chehray Per
Kai Rang Muskuraty Hain
Tumhain Ehsaas Hota Hai
Koi Neechi Nighaon Say
Najany Kis Zamany Say
Tumhain Takta Hi Rahta Hai
Koi Tum Ko Tumhari Sab Hadon Say Dour Chahta Hai
Tumhain Kuch Kehna Chahta Hai
Tumhary Aagay Aa Kar Sharma Sa Jata Hai
Younhi Ghabra Sa Jata Hai
Tumhain Ehsaas Hota Hai

ShArArTi MuNdA
01-18-2009, 10:24 PM
Gir Jaye Jo Dewar Tu Matam Nahi Kertay
Kartay Hain Boht Log Magar Hum Nahi Kertay
Hai Apni Tabiat Main Jo Khami Tu Yehi Hai
Hum Ishq Tu Kertay Hain Magar Kam Nahi Kertay
Nafrat Se Tu Behter Hai Ke Rastay Hi Juda Hoon
Bekar Guzar Gahon Ko Baham Nahi Kertay
Her Sans Mein Dozakh Ki Tapish See Hai Magar Hum
Soraj Ki Terhan Aag Ko Madham Nahi Kertay
Kia Ilm Ke Roatay Hon Tu Mar Jatay Hoon Ali
Wo Log Jo Kabhi Ankhon Ko Naam Nahi Kertay

ShArArTi MuNdA
01-18-2009, 10:25 PM
Is Anjnabi Duniya Mein,Akela Ek Khawaab Hu
Sawaalo Se Khafa,Chhota As Jawaab Hu
Jo Na Samjh Sake,Unke Liye “KOUN”
Jo Samajh Chuke,Unke Liye Kitaab Hu
Duniya Ki Nazar Mein,Jaane Kyu Chubha As
Sabse Nashili Aur Badnaam Sharaab Hu
Sar Uthakar Dekho,Wo Dekh Raha Hai Tumko
Jisko Na Dekha Usne,Wo Chamakta Aaftab Hu
Dil Se Poochoge,To Dard Ka Sailaab Hu

ShArArTi MuNdA
01-18-2009, 10:42 PM
Kabhi Yaad Aaye To Pochna
Zara Apni Kahlwat-e-Sham Se
Kise Ishq Tha Teri Zaat Se???
Kise Pyar Tha Tere Naam Se
Zara Yaad Karo K Wo Kon Tha
Jo Kabhi Tujhe Bhi Azeez Tha
Wo Jo Ge Utha Tere Naam Se
Wo Jo Mar Mita Tere Naam Pay
K Yehi Wafaoon Ka Hai Isla
Magar Aisa Juram Tha Kon Sa???
Gai Hum Dua-o-Salam Se
Na Kabhi Visal Ki Chah Ki
Na Kabhi Firaaq Mai Aah Ki
K Mera Tareeqa-e-Bandagi
Hai Juda Tareeqa-e-Aam Se

~*Gillanii
01-18-2009, 10:43 PM
Wah Yaar Zabardast ... Ye last forum Par hare Ki Thi Jo Hack Hogya lolzz ...

ShArArTi MuNdA
01-18-2009, 10:49 PM
Thanks janab............. !

Nida-H
01-19-2009, 11:07 AM
Nice collection..!!!

ShArArTi MuNdA
01-19-2009, 08:55 PM
Thanks .....!

life2
01-19-2009, 09:38 PM
Le jayenge gehrayi mein tum ko bhi baha ker...
Darya ke kinaron se mera zikar na kerna...

ShArArTi MuNdA
01-19-2009, 09:45 PM
Thanks life2 jee

ShArArTi MuNdA
01-19-2009, 09:52 PM
Aao Neend Ki Aaghosh Main
Phir Mulakaat Karain
Is Jahaan Say Us Jahaan Tak Ka Faasla
Ik Lamhay Main Paar Karay
Teri Aankhein Jo Bandh Ho Gaee Is Jahaan Say
Chalo Yehi Rah Ikhtiyaar Karay
Jhilmilatay Taaro Kay Saath
Aao Phir Say Tumhain Yaad Karay
Neend Ki Aaghosh Main
Aik Mulakaat Karay

ShArArTi MuNdA
01-19-2009, 09:53 PM
Tum Mere Dil Mien Samao To Koi Baat Banay
Phir Kabhi Durr Na Jao To Koi Baat Banay

Pyar Kehne Se To Baat Nahi Banti
Pyar Ban K Dikaho To Koi Baat Banay

Hum To Chup Chap Se Rehte Hain Magar
Tum Kabhi Aak Hansao To Koi Baat Banay

Sath Daine Ki To Sab Baat Kiya Karte Hai
Tum Agar Sath Nibhao To Koi Baat Banay

Rotho Soo Bar To Shikayat Na Karien Ge
Roth K Maan B Jao To Koi Baat Banay

Ye Aankhien Har Dam Udaas Rehti Hain
In Mien Koi Khwab Sajo To Koi Baat Banay

ShArArTi MuNdA
01-19-2009, 09:54 PM
Ik Khwab Hay Or Isko Khona Bhi Nahi Hay
Tabeer K Dhagay Main Pirona Bhi Nahi Hay

Lipta Howa Hay Dil Se Kisi Raz Ki Soorat
Who Shaks K Jisko Mera Hona Bhi Nahi Hay

Ye Ishq-E- Mohabbat Ki Rivayat Bhi Ajeeb Hay
Paya Nahi Hay Jisko Usay Khona Bhi Nahi Hay

Jis Shaks Ki Khatir Mera Ye Hal Howa Hay
Usko Meray Marnay Pey Rona Bhi Nahi Hay

life2
01-19-2009, 09:54 PM
Humko gali main dekh kar khud ko chupa liya
jaanay ye dushmanon ne usay kia sikha diya

ghar us ne kiya bana liya, masjid ke saamnay
Chahat ne uski humko namazi bana diya .........SOOPEr

ShArArTi MuNdA
01-19-2009, 09:55 PM
Is Anjnabi Duniya Mein,Akela Ek Khawaab Hu
Sawaalo Se Khafa,Chhota As Jawaab Hu
Jo Na Samjh Sake,Unke Liye “KOUN”
Jo Samajh Chuke,Unke Liye Kitaab Hu
Duniya Ki Nazar Mein,Jaane Kyu Chubha As
Sabse Nashili Aur Badnaam Sharaab Hu
Sar Uthakar Dekho,Wo Dekh Raha Hai Tumko
Jisko Na Dekha Usne,Wo Chamakta Aaftab Hu
Dil Se Poochoge,To Dard Ka Sailaab Hu

ShArArTi MuNdA
01-19-2009, 09:55 PM
Sulaah K Zamany Main
Mujh Ko Aisa Lagta Hai
Woh Agar Bichar Jaye
Too Sirf Itna Dukh Ho Ga
Jitna Aankh Khulnay Par
Khawab Toot Jany Ka
Par Ajab Tamasha Hai
Woh Agar Kabhi Mujh Say
Yunhi Rooth Jati Hai
Too Kainaat Ki Har Shey
Toot Phoot Jati Hai!!

ShArArTi MuNdA
01-19-2009, 09:56 PM
Dekh Lo Khuaab Magar Khuaab Ka Charcha Na Karo
Log Jal Jayan Ge Sooraj Ki Tamanna Na Karo

Waqt Ka Kaya Hai Kisi Pal Bhi Badal Sakta Hai
Ho Sake Tum Se To Tum Mujh Pe Bharosa Na Karo

Kirchiyan Tootay Hoye Aks Ki Chubh Jayan Gi
Aur Kuch Roz Abhi Aiina Dekha Na Karo

Ajnabi Lagne Lage Khud Tumhain Apna Wajood
Apne Din Raat Ko Itna Bhi Akela Na Karo

Khuaab Bachhon Ke Khelonon Ki Tarah Hote Hain
Khuaab Dekha Na Karo Khuaab Dikhaya Na Karo

Bekhiyali Main Kabhi Ungliyan Jal Jayain Gi
Raakh Guzre Hoye Lamhon Ki Kureedah Na Karo

ShArArTi MuNdA
01-19-2009, 09:56 PM
Chehare Pe Mere Zulf Ko Phailaao Kisii Din
Kyaa Roz Garajate Ho Baras Jaao Kisii Din

Raazon Kii Tarah Utaro Mere Dil Men Kisii Shab
Dastak Pe Mere Haath Kii Khul Jaao Kisii Din

Pedon Kii Tarah Husn Kii Baarish Men Nahaa Luun
Baadal Kii Tarah Jhuum Ke Ghir Aao Kisii Din

Khushbuu Kii Tarah Guzaro Mere Dil Kii Galii Se
Phuulon Kii Tarah Mujh Pe Bikhar Jaao Kisii Din

Phir Haath Ko Khairaat Mile Band-E-Qabaa Kii
Phir Lutf-E-Shab-E-Vasl Ko Doharaao Kisii Din

Guzaren Jo Mere Ghar Se To Ruk Jaayen Sitaare
Is Tarah Merii Raat Ko Chamakaao Kisii Din

Main Apanii Har Ik Saans Usii Raat Ko De Duun
Sar Rakh Ke Mere Siine Pe So Jaao Kisii Din

life2
01-19-2009, 09:58 PM
zamaana baray shouq se sun raha tha
hami sogaye daastaan kehtay kehtay

ShArArTi MuNdA
01-19-2009, 09:59 PM
Khuli Aankh Mein Sapna Jhaankta Hai
Wo Soya Hai Ke Kuch Kuch Jaagta Hai

Teri Chahat Ke Bheege Junglon Mein
Mera Tan, More Ban Kar Naachta Hai

Mujhe Har Kaifiyat Mein Kyun Na Samjhe
Wo Mere Sab Hawale Jaanta Hai

Main Uski Dastaras Mein Hon, Magar Wo
Mujhe Meri Raza Se Maangta Hai

Kisi Ke Dhyaan Mein Dooba Hua Dil
Bahane Se Mujhe Bhi Taalta Hai

Sarak Ko Chore Kar Chalna Parega
Ke Mere Ghar Ka Kaccha Raasta Hai

ShArArTi MuNdA
01-19-2009, 10:01 PM
Kabi Tum Apni Mohabbat Ka Aitbaar To Do
Mai Chahoon Toot K Tum Ko Ye Ikhtiyaar To Do

Guzarti Hi Nahi Mujh Se Ye Zindagi Tanha
Sahara Pyaar Ka Deker Isey Guzaar To Do

Mai Sochti Hoon Tumhare Bagair Kya Hoga?
Dil-o-Dimaag Per Ek Bhoj Hai Utaar To Do

Mere Khayal Ki Raahon Ko Keh-Kishaan Kar Do
K Roshni Se Meri Zindagi Sanwaar To Do

Umeed-e-Wafa Ghum-e-Hijar Ka Muda’wa Hai
Mai Intizaar Karoon Magar Zabt-e-Intizaar To Do

ShArArTi MuNdA
01-19-2009, 10:02 PM
Neeli Neeli Ghata Barasti Hay
Gum Ki Mati Meri Sanwarti Hay

Aur Hay Kon Jis Ko Sochon Mien
Dil Mien Bus Aik Tu Dhrakti Hay

Aah Hoti Tu Nikal Bhi Jati
Dil Say Khwahish Kahan Nikalti Hay

Dil Ki Basti He Jal Gai Sajid
Aankh Say Raakh Si Barasti Hay

ShArArTi MuNdA
01-19-2009, 10:05 PM
Kariyaa-e-Jaan Mein Koii Phuul Khilaane Aaye
Vo Mere Dil Pe Nayaa Zakhm Lagaane Aaye

Mere Viiraan Dariichon Mein Bhii Khushbuu Jaage
Vo Mere Ghar Ke Dar-O-Baam Sajaane Aaye

Us Se Ik Baar To Ruuthun Main Usii Kii Maanind
Aur Merii Tarah Se Vo Mujh Ko Manaane Aaye

Isii Kuuche Mein Kaii Us Ke Shanaasaa Bhii To Hain
Vo Kisii Aur Se Milane Ke Bahaane Aaye

Ab Na Puuchhun Gii Main Khoye Hue Khvaabon Kaa Pataa
Vo Agar Aaye To Kuchh Bhii Na Bataane Aaye

Zabt Kii Shahar-Panaahon Kii Mere Maalik Khair
Gam Kaa Sailaab Agar Mujh Ko Bahaane Aaye

ShArArTi MuNdA
01-19-2009, 10:05 PM
Wo Samne Aye To Nazron Ko Jhukaa Loon Ga
Dekhoon Ga Nahi Phir Bhi Tasweer Bana Loon Ga

Aana Ho To Aa Jao Ruswayee Nahi Hogi
Dekhega Nahi Koi Palkon Mai Chupa Loon Ga

Jo Hum Per Guzarni Hai Ek Bar Guzar Jaye
Her Gham Ki Tarha Tujh Ko Seene Se Laga Loon Ga

Weeran Agar Dil Ho Aankhon Mai Andhera Ho
Yaadon Ke Diye Apni Palkon Mai Saja Loon Ga

Manzoor Agar Hogi Ruswayi Teri Mujh Ko
Mai Beth Ke Sahil Se Toofaan Utha Loon Ga

Naraz Agar Wo Hain Mere Nasheman Se
Mai Apne Nasheman Ke Tinkon Ko Hata Loon Ga

Kyun Mujh Se Khafa Ho Ker Wo Door Gaye
Baanhon Mai Wo Aa Jayaen Mai Un Ko Mana Loon Ga

ShArArTi MuNdA
01-19-2009, 10:15 PM
Aankho Me Aansu Bhi Hai Muskaan Bhi
Dhaago Me Gaathe Bhi Hai Sandhaan Bhi

Ye Dil Me Kaisee Kasak Hai…
Meri Chaahat Ajeeb Hai,Naadan Bhi

Sawarte Bhi Gaye Kabhi,Kabhi Bikhre Bhi
Khamoshi Hai Kabhi,Kabhi Tanhaai Bhi

Ye Kaise Aalam Me Rehne Lage Hum
Hasaate Hai Apne Aapko,Kabhi Rulaate Bhi

Dhoka Detaa Hai Kabhi Waqt,Kabhi Kabhi Kismat Bhi
Hum Inkaar Karte Hai Kabhi,Kabhi Izhaar Bhi

Naa Chedo Hume Hum To Gum Ho Chuke
Khuli Kitaab Bhi Hai Aur Band Kahaani Bhi

ShArArTi MuNdA
01-19-2009, 10:17 PM
Jab Kabhi Choudhwen Ka Chand Dekhon
Tum Yaad Aatey Ho
Jab Kabhi Subha Ki Pehli Kiran Dekhon
To Tumhari Muskurahat Yaad Aati Hai
Jab Kabhi Souraj Ko Dhalta Dekhon
To Tumharey Gham Yaad Aatey Hain
Jab Kabhi Parindon Ki Chechahat Sunoo
To Tumhari Madham Madhosh Awaz Sunai Day
Jab Kabhi Gulab Ko Khilta Dekhon
To Tumharey Labb Yaad Aaye
Jab Kabhi Barstey Badal Dekhon
To Tumhari Yaad Main DoobiWoh Shaam Yaad Aaye
Jab Kabhi Ghazal Main Tumhara Tazkara Karon
To Tumharey Khushboo Main Bassey Khat Yaad Aaye
Jab Kabhi Barish Main Moti Ki Manind Chamkti Boond Ko Dekhon
To Tumhari Piyasi Ankhin Yaad Aaye
Jab Kabhi Koi Prem Katha Perhon
To Tumhara Bepanah-Wa-Bechain Piyar Yaad Aaye
Jab Kabhi Andheri Raat Main Chamktey Sitaron Ko Dekhon
To Tumhari Nazroon Ki Shirarat Yaad Aaye
Jab Kabhi Samnder Ko Kinarey Se Takrata Dekhon
To Tumhari Woh Mulaqaat Yaad Aaye
Jab Kabhi Chand Ko,Phool Ko,
Barastey Badlon Ko Dekhon
To Tumhari Yaad Aaye
BussJab Jab Main Saans Loon
To Tum Yaad Aatey Ho!!!

ShArArTi MuNdA
01-19-2009, 10:19 PM
Meri Jaan-E-Jigar, Ab Meri Nazar Ke Saamne Hai
Meri Laqt-E-Jigar, Ab Meri Nazar Ke Saamne Hai
Jiske Deedar Ki Hasrat Mein Mai Kabse Tha Bechain
Woh Shaam-O-Sahar, Ab Meri Nazar Ke Saamne Hai
Jis Raah Par Chalne Ki Sadiyon Se Thi Aarzoo-Ein
Aisi Hi Raah-Guzar, Ab Meri Nazar Ke Saamne Hai
Log Milte Hai Bichad Jaate Hai Zindagi Ki Raahon Par
Zaar-E-Humsafar, Ab Meri Nazar Ke Saamne Hai
Kya Chand? Kya Suraj? Kya Taaron Ki Kashish?
Kehkashaan-Aftaab-O-Qamar, Ab Meri Nazar Ke Saamne Hai
Sadaa Arsh Par Pahunch Gayi, Abh Khudko Kyon Tanha Kahoon?
Meri Duaon Ka Asar, Ab Meri Nazar Ke Saamne Hai

ShArArTi MuNdA
01-19-2009, 10:25 PM
Mere Humnasheen Mere Humnawa
Kabhi Sun B Le Meri Sadaa
Teri Berukhi Ek Baar Hai
Tere Dil Main Jo B Gubaar Hai
Usy Aik Baar Hi Utaar Do
Na Mujhy Gham-E-Behaal Do
Tera Hath Ho Jo Mere Hath Main
Toh Wazan B Ho Meri Baat Main
Teri Chahtain Hain Meri Rahtain
Tu Paa Sakay Wohi Saaetain
Jinhain Main Na Kabhi B Paa Saka
Geet Khushi K Na Main Ga Saka.
Ab Tu Hi Mera Khuwab Hai
Bin Teri Jiwan Azaab Hai.
Meri Dil Ki Tum Pukaar Ho
Tumhi Mera Pehla Pyaar Ho
Meri Zindagi Tum Sanwar Do
Mujhy Pyar Do Mujhy Pyar Do

ShArArTi MuNdA
01-19-2009, 11:13 PM
Tum merii aankh ke tevar na bhulaa paaoge
an kahii baat ko samajhoge to yaad aaungaa

ham ne Khushiyon kii tarah dukh bhii ikatthe dekhe
safaah-e-ziist ko palto ge to yaad aaungaa

isii andaaz me.n hote the muKhaatib mujh se
Khat kisii aur ko likhoge to yaad aaoungaa

sard raaton ke mahakate hue sannaaton mein
jab kisii phuul ko chuumoge to yaad aaoungaa

ab tere ashk main honthotn se churaa letaa hounn
haath se Khud inhe.n ponchhoge to yaad aaoungaa

shaal pahanaayegaa ab kaun December mein tumhen
baarishon mein kabhii bhiigoge to yaad aaoungaa

aaj tum mahafil-e-yaaraan pe ho magaruur bahut
jab kabhii TuuT ke bikharoge to yaad aaoungaa

haadase aayenge jiivan mein to tum hoke nidhaal
kisii diivaar ko thaamoge to yaad aaoungaa

is men shaamil hai merii bakht kii taariikii bhii
tum siyaah rang jo pahanoge to yaad aaoungaa

life2
01-20-2009, 08:20 PM
Kati hay jis k khayalon main umar apni muneer

Maza tu jab hay k us shokh ko pata he na ho.
__________________

ShArArTi MuNdA
01-20-2009, 09:29 PM
nice one life2 jee n thanks

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 09:51 AM
Zindagi Ke Har Mor Par
Hum Ne Dhoka Kha Rakha Hai

Loog Samajhte Hain
Hum Ne Duniya Ko Hansa Rakha Hai

Laiken In Ko Kia Maloom!!
Keh Hum Ne
Apne Ghar Ke Aik Kamre Mein

Aik Choota Sa Apni Hasraton Ka
Qabristan Bana Rakha Hai

Mout Bhi Karti Hai Hum Se Be Wafaye
Aur Ghumon Ne Humein
Sanam Khana Bana Rakha Hai

Loogo Ki Nazro Mein Hum Ne
Apne Labon Par
Majmooa-E-Aashar Saja Rakha Hai

Laiken In Ko Kia Maloom!!!
Hum Ne Ghum Aur Dukhoo Ka
Naam Khushi Bana Rakha Hai

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 09:52 AM
Ya Zindagi Bari Ajeeb Se
Kabi Gulzar Se
Kabi Bayzar Se
Kabi Kushee Humaray Saat Saat
Kabi Ghammo Ke Barsat Se
Kabi Tufano May Bhi Hain Rastay
Kabi Manzelon Ka Pata Nai
Kabi Do Kadam Pay Hay Zindagi
Kabi Sadio Intazar Se
Kabi Har Kadam Pay Hay Imtahan
Kabi Bin Mangay Innam Hay
Kabi Kuch Nai Kabi Sub Kuch Se
Ya Zindagi Bari Ajeeb Se

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 09:59 AM
Rasta Badalna Hai
Patharon Peh Chalna Hai
Zindagi Key Rastay Per
Gir Gae, Sabbhalna Hai
Badalo! Hato Peechhay
Chand Ko Nikalna Hai
Phool Ko Mehekna Hai,
Lakdayon Ko Jalna Hai
Hum To Door Jain Gay
Kis Ko Sath Chalna Hai

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:01 AM
Yahan Sabko Miley Pyar Ye Zaroori To Nahi Hai
Ho Qismat Par Ikhtiyar Ye Zaroori To Nahi Hai

Dard Dil Mein Agar Hoo Tho Rooh Roti Hai
Aankhein Roye Zaar Zaar Ye Zaroori To Nahi Hai

Phoolon Ki Chubhan See Joo Daman Howa Chalni
Ho Usmey Koi Khar Ye Zaroori To Nahi Hai

Jo Harghari Khatey Hain Sang Marney Ki Kasmein
Ho Sang Jeeney Ko Taiyaar Ye Zaroori To Nahi Hai

Umeed Mee Jiski Teri Palkein Howi Pathhar
Usey Hoo Tera Intezar Ye Zaroori To Nahi Hai

Yaqeen Karke Jis Ko Apni Zindagi Banown
Usey Tujhpar Hoo Aitbar Ye Zaroori To Nahi Hai

Band Ker Rona Khwab Badnaseebi Par Apney
Ziist See Hoo Sab Bezar Ye Zaroori To Nahi Hai

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:04 AM
Barbad Kar Geya Wo Zindagi Pyar K Nam Se
Bewafai Mili Sirf Wafa K Nam Se
Zakhm He Zakhm Diay Usne Dawa K Nam Se
Khud Bi Ro Para Wo Meri Mohabat Ke Anjam Se

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:07 AM
Mujhay Uski Baatain Yaad Aati Hain
Mujhay Uski Yaadain Yaad Aati Hain
Tanha Chorr Kr Ab Kiun’soni’
Tujhay Uski AAHAIN Yaad Aati Hain?
Hmesha Mujh Ko Parhta Tha
Hmesha Mujh Ko Likhta Tha
Qalam Hi Cheen Kr Ab Kiun ‘Soni’
Ujhay Uski TEHRIAIN Yaad Aati Hain?
Mairay Naam Ki Mala Hr Roz Japta Tha
Mairay Piyaar Ka Izhaar Hr Roz Krta Tha
Zubaan Hi Cheen Kr Ab Kiun’soni’
Tujhay Uski SDAYAIN Yaad Aati Hain?
Kbhi Rootha Na Tha Mujh Say
Kbhi Uljha Na Tha Mujh Say
Taj-E- Baywfai Pehan Kr Ab Kiun’soni’
Tujhay Uski WAFAYAIN Yaad Aati Hain?
Shb-O-Roz Mairi Muntzir Rehti Thin
Shb-O-Roz Mairay Aansoo Bahati Thin
Apnay Hi Haathon Say Noach Kr Ab Kiun’soni’
Tujhay Uski AAKHAIN Yaad Aati Hain?
Ye Yaadain Kiun?Aakhir Kiun Itni Yaad Aati Hain???

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:07 AM
Tu Mujh Ko Yaad Aata Hai
Faqat Un Chand Lmhon Main
K Jab Yeh Saans Aati Aati Hai
K Jab Saans Jati Hai
K Jab Yeh Aankh Khulti Hai
K Jab Yeh Aankh Soti Hai
K Jab Baad-E-Grm Chlti Hai
K Jab Baad-E-Srd Behti Hai
K Jab Yeh Dil Dharakta Hai
K Jab Yeh Dil Machalta Hai
K Jab Koi Din Dhlta Hai
K Jab Koi Din Ubhrta Hai
K Jab Koi Aawaz Daita Hai
K Jab Koi Saaz Bajata Hai
K Jab Koi Raaz Kehta Hai
K Jab Koi Naaz Uthata Hai
K Jab Koi Paas Bulata Hai
K Jab Koi Dard Bhulata Hai
K Jab Koi Pyaar Jatata Hai
K Jab Koi Hansta Hanata Hai
K Jab Koi Aah Bharta Hai
K Jab Koi Kaash Kehta Hai
To Faqat In Chand Lamhon Main
‘Chanda’
Tu Mujh Ko Yaad Aata Hai
Bohat Hi Yaad Aata Hai…..

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:08 AM
Hum Yaad To Tum Ko Atay Hon Ge
Jab Panchi Geet Sunate Hon Ge

Jab Sawan Ki Rut Ati Ho Gi
Jab Phul Khushbu Mehkate Hon Ge

Jab Peely Paty Girtay Hon Ge
Jab Judai Ke Dard Satate Hon Ge

Jab Pyar Kisi Say Hota Hoga
Jab Dost Bicher K Jate Hon Gy
Hum Yaad To Tum Ko Atay Hon Ge

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:09 AM
Rahe Na Zindagi To Gham Nahi
Ki Ab Woh Karvaan Kaha

Kar De Roshan Jo Is Tanhaii Ko
Kisi Ke Lab Pe Woh Daastan Kaha

Hastrat-e-Kashif Hai Ki Ab Chhod De
Ye Mehfil-E-Hoor Ki
Jis Chaman Ke Phool The Ashko Main Mere
Us Haste Hue Chaman Ka Ab Raasta Kaha

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:09 AM
Jab Dour Ufaq Pr Lali Ho
Jab Sham Udasi Wali Ho
Jab Zabt Ka Bandan Tuta Ho
Jab Aas Ka Daman Chuta Ho
Jab Darshan Pyas Bujate Hon
Jab Mosam Geet Sunate Hon
Jab Kan Hon Tarse Baton Ko
Jab Nend Na Aaye Raton Ko
Jab Ankon Mai Jugrate Hon
Jab Apne Dard Statay Hon

Tub Yad Bohat Tum Atay Ho
Tub Yad Bohat Tum Atay Ho..

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:10 AM
Pthar Bana Diya Mujhe Rone Nahin Diya
Daman Bhi Tere Gham Main Bhigone Nahin Diya

Tanhaian Tumhara Pata Pochti Rahin
Shab Bhar Tumhari Yad Ne Sone Nahin Diya

Dil Ko Tumhari Yad K Aansoo Aziz The
Dunya K Koi Gham Samone Nahin Diya

Nasir Yon Us Ki Yad Chali Hath Tham Ker
Mele Main Is Jahan K Khone Nahin Diya

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:11 AM
Muqaddar K Sitaron Par
Zamano K Isharon Par
Udasi K Kinaro Par
Kabhi Veeran Shehron Main
Kabhi Sunsan Raston Par
Kabhi Heran Ankhon Main
Kabhi Bejain Lamhon Par
Tumhari Yad Chupkay Say
Kabhi Ser-Goshi Karti Hay
Yeh Palkain Bheeg Jati Hain
To Aansoo Toot Girtay Hain
Ham Palkon Ko Jhukatay Hain
Bazahir Muskuratay Hain
Faqat Itna Hi Kehtay Hain
Mujhay Kitna Satatay Ho
Mujhay Tum Yad Aatay Ho
Mujhay Kitna Rulatay Ho

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:11 AM
Kabhi Khalwatoon Mein Hansa Dia
Kabhi Mehfiloon Mein Rula Diya

Tujhay Kya Khabar Teri Yaad Ne
Mujhay Kaisay Kaisay Sata Diya

Tujhay Kya Khabar Tere Ishaq Mein
Kabhi Namaz Apni Qaza Hoi

Teri Aarzoo Ne Kabhi Kabhi
Mujhay Mere Rab Say Mila Diya

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:12 AM
Sahar Main Bhi Sham Main Bhi
Agaz Main Bhi Anjam Main Bhi
Zindagi Kis Kadar Rulati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai

Sukun Main Bhi Karar Main Bhi
Kaid Main Bhi Farar Main Bhi
Zindagi Kis Kadar Rulati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai

Javab Main Bhi
Saval Main Bhi
Aaj Main Bhi Filhal Main Bhi
Zindagi Kis Kadar Rulati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai

Rakib Main Bhi
Yaroo Main Bhi
Tanhai Main Bhi Charo Main Bhi Zindagi
Din Main Tare Dikhati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:12 AM
Hum Ne Kisi Ki Yaad Main Rona Hi Chor Diya
Apni Zindagi Ko Talaash Karna Hi Chor Diya

Sab Beeti Hui Baatein Bhula Di Hum Ne
Ab Dil Main Maazi Basana Chor Diya

Kaanton Se Bhar Dete Hain Log Daaman
Hum Ne Aangan Main Phool Khilana Hi Chor Diya

Kabhi Na Maangen Ga Kisi Se Bheek Mohabbat Ki
Is Hi Liye Hum Ne Pyaar Karna Hi Chor Diya

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:13 AM
Bohat Mudat K Baad Kal Jab
Kitaab-E-Maazi Ko Main Ne Khoola
Bohat Say Chahrey Nazar Main Utrey
Bohat Say Naamoon Pai Dil Paseeja
Aik Aisa Safha Bhi Us Main Aaya
Likha Howa Tha Jo Aansooun Say
Jis Ka Unwan “Hamsafar†Tha
Wo Safha Sab Say Hi Moutabar Tha
Aik Aur Aansoo Phir Us Pai Tapka
Phir Us Se Aagey Main Parh Na Paya
Kitab-E-Mazi Ko Band Kar Ke
Usi Ki Yadon Mein Kho Gaya Main
Inhe Khyaalon Mein So Gaya Main
Agar Wo Milti To Kaisa Hota
Agar Wo Milti To Achha Hota

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:13 AM
Sondhee Mittee Kee Khushboo Mien Liptee Huyee Kucch Yaadien
Phoolon Kee Pankhuriyon Mien Sahejay Huye Kucch Lamhaat
Uss Aksmaat Mulaaqaat Kee Goonjtee Huyee Dharkhan
Ek Ghazal Mien Gholee Huee, Kisikay Lafzon Kee Misree
Zehen Mien, Be-Khauf Failtaa Hua Ek Tassavvur Ka Jaadoo
Waqt Kee Aankhon Say Giree Huyee Ek Ashq Kee Boond
Shabnam Say Churayee Huyee, Thorhee See Numee
Ek Ajnabee Say Milee, Be-Takalluf Hansee
Unkee Jhalak Ka Muskurata Hua Khumaar
Ek Chashm Mien Tairtee Huyee Jheel Kee Gehraayee
Zehan Kay Aangan Mien Kheltay Huey Khayaalon Kay Kehkahay
Ek Manzil Pay Baithay Huey Intezaar Kee Kashish

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:14 AM
Bataane Se Bhee Ye Gham Kyon Kam Naheen Hote
Aansuon Se Dil Ke Kone Nam Naheen Hote

Thee Bahut Umeed To Apnon Se Is Dil Ko Kabhee
Par Hameshaa Saath Ye Hamdam Naheen Hote

Bebasee Hansne Lagee Khaamoshi Ab Hai Goonjtee
Band Kamron Men Koyee Mausam Naheen Hote

Jab Khushee Hai Naachtee Gaatee Hai Man Kee Har Kalee
Un Gharon Men Kyaa Kabhee Maatam Naheen Hote

Pyaar Sab Miltaa Jinhen Ranjish Naheen Koyee Kabhee
Kyaa Kabhee Aise Dilon Men Gham Naheen Hote

Yaad To Karte Hain Unko Ham Sadaa Hee Raat Din
Khwaab Men Unke Kabhee Kyaa Ham Naheen Hote

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:15 AM
Phir Kisi Yaad Nay Raat Bhar Hay Jagaya Mujh Ko
Kiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh Ko

Din Ko Aaram Hai Na Rat Ko Hay Chain Kabhi
Janay Kis Khaak Say Kudrat Nay Banaya Mujh Ko

Dukh To Yeh Hay Keh Zamanay Main Milay Ghair Sabhi
Jo Mila Hay Woh Mila Ban Kay Paraya Mujh Ko

Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Mere Ronay Ko
Ghar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh Ko

Yub To Umeed-E-Wafa Tum Say Nahein Hay Koi
Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko

Bewafa Zindagi Nay Jab Chor Diya Hay Tanha
Maot Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh Ko

Woh Diya Hoon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha Kabhi
Gham Ki Andhi Nay Subah Aur Shaam Bujhaya Mujh Ko

Kaisay Bhoolon Ga Tere Saath Guajare Lamhay
Yad Aata Raha Julfon Ka Hi Saya Mujh Ko

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:15 AM
Jab Kabhi Choudhwen Ka Chand Dekhon
Tum Yaad Aatey Ho
Jab Kabhi Subha Ki Pehli Kiran Dekhon
To Tumhari Muskurahat Yaad Aati Hai
Jab Kabhi Souraj Ko Dhalta Dekhon
To Tumharey Gham Yaad Aatey Hain
Jab Kabhi Parindon Ki Chechahat Sunoo
To Tumhari Madham Madhosh Awaz Sunai Day
Jab Kabhi Gulab Ko Khilta Dekhon
To Tumharey Labb Yaad Aaye
Jab Kabhi Barstey Badal Dekhon
To Tumhari Yaad Main DoobiWoh Shaam Yaad Aaye
Jab Kabhi Ghazal Main Tumhara Tazkara Karon
To Tumharey Khushboo Main Bassey Khat Yaad Aaye
Jab Kabhi Barish Main Moti Ki Manind Chamkti Boond Ko Dekhon
To Tumhari Piyasi Ankhin Yaad Aaye
Jab Kabhi Koi Prem Katha Perhon
To Tumhara Bepanah-Wa-Bechain Piyar Yaad Aaye
Jab Kabhi Andheri Raat Main Chamktey Sitaron Ko Dekhon
To Tumhari Nazroon Ki Shirarat Yaad Aaye
Jab Kabhi Samnder Ko Kinarey Se Takrata Dekhon
To Tumhari Woh Mulaqaat Yaad Aaye
Jab Kabhi Chand Ko,Phool Ko,
Barastey Badlon Ko Dekhon
To Tumhari Yaad Aaye
BussJab Jab Main Saans Loon
To Tum Yaad Aatey Ho!!!

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:18 AM
Yadon Sey Rishta Kal Bhi Tha,Yadon Sey Rishta Aaj Bhi Hai
Dil Kal Bhi Apna Dukhta Tha,Dil Afsurda Sa Aaj Bhi Hai

Tum Door Huvey Majboori Mein,Hum Toot Gaye Is Doori Mein
Kabhi Waqt Miley Tu Lout Aana,Ye Dil Ka Dar Wa Aaj Bhi Hai

Tum Khush Ruho Abaad Ruho, Dil Apna Tu Barbaad Huwa
Gham Dil Ka Sahara Kal Bhi Tha,Aur Gham Ka Mara Aaj Bhi Hai

Yeh Ashk Nahi Hain Aankhon Mein,Ye Taarey Jhilmil Kartey Hain
In Ankhon Mein Jo Kal Tak Tha,Vohi Chaand Sa Chehra Aaj Bhi Hai

Ab Shikwa Kisi Se Kya Karna,Taqdeer Mein Jo Likha Tha Mila
Gham Kal Bhi Mera Sarmaya Tha,Gham Mera Virsa Aaj Bhi Hai

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:18 AM
Mujhay Fursat Hi Fursat Ha
Mujhay Fursat Hi Fursat Ha
Saweirey Jald Uthna Ha
Na Shab Ko Deir Se Sona
Kahein Baahir Nahi Jana
Kisi Se Bhi Nahi Milna
Na Koi Fikr Laahaq Ha
Na Koi Yaad Baaqi Ha

Magar Ye Aakhri Misraa
Zara Sa Jhoot Lagta Hai!!

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:19 AM
Chahat K Is Dariya Per
Dariya Aur Kinarey Per
Dil Ko Aaj Azad Kia
Mei Ney Tum Ko Yaad Kia
Tanhai Ki Ratton Mei Khud Hi Batoon Batoon Mei
Is Dil Ko Yo Shad Kia Mei Nei Tum Ko Yaad Kia
Jab Sey Tum Ko Chaha Hai
Her 1 Pal Faryad Kia Mei Ney Tum Ko Yaad Kia
Din K Ujalo Mei Raat Key Khowabo Mei
Sirf

Mei Ney Tum Ko Yaad Kia….!

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:20 AM
Yaad Aaoonga
Har Us Lamhe Me Yaad Aaoonga
Jab Tum Tanhayee Me Roya Karogi
Jagte Jagte Thak Kar Soya Karogi
Ankh Ke Band Hote Hi Yaad Aaoonag
Jab Kisi Chahane Wale Ki Taraf
Dekhogi To Yaad Aaoonga
Kisi Mohhabath Karnewale Ko Dekhogi
To Yaad Aaoonga
Saans Jab Tak Chalegi Tumhari Tab Tak Bhi
Yaad Aaoonga

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:23 AM
Kuch Beetay Lamhon Ki Yaadain
Kuch Guzray Waqt K Qissay Hain
Ab Yeh Mata’ Hai Paas Apnay
Baaqi Yehi Tu Yaadain Hain
Woh Daur Umangon Khushiyon Ka
Jo Beet Gaya Hai Ik Pal Main
Us Aehad K Kitnay Saathi Hain
Sab Ik Ik Ker K Chhoot Gaye
Ab Koi Nahi Hai Saath Apnay
Ab Baqi Yehi Tu Yaadain Hain

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:24 AM
Kyaa Kah Gaii Kisii Kii Nazar Kuchh Na Puuchhiye
Kyaa Kuchh Huaa Hai Dil Pe Asar Kuchh Na Puuchhiye

Vo Dekhanaa Kisii Kaa Kunakhiyon Se Baar Baar
Vo Baar Baar Us Kaa Asar Kuchh Na Puuchhiye

Ro Ro Ke Is Tarah Se Katii Raat Kyaa Kahen
Mar Mar Ke Kaise Kii Hai Sahar Kuchh Na Puuchhiye

“Akhtar” Dayaar-E-Husn Men Pahunchen To Hain Mar Ke Ham
Kyuun Kar Huaa Hai Tay Ye Safar Kuchh Na Puuchhiye

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:24 AM
Karuun Na Yaad Agar Kis Tarah Bhulaauun Use
Gazal Bahaanaa Karuun Aur Gungunaauun Use

Vo Khaar-Khaar Hai Shaakh-E-Gulaab Kii Maanind
Main Zakhm-Zakhm Huun Phir Bhii Gale Lagaauun Use

Ye Log Tazakare Karate Hain Apane Logon Se
Main Kaise Baat Karuun Aur Kahaan Se Laauun Use

Magar Vo Zuudfaraamosh Zuud Ranj Bhii Hai
Ke Ruuth Jaaye Agar Yaad Kuchh Dilaauun Use

Vahii Jo Daulat-E-Dil Hai Vahii Jo Raahat-E-Jaan
Tumhaarii Baat Pe Ay Naasiho Ganvaauun Use

Jo Hamsafar Sar-E-Manzil Bichhad Rahaa Hai ‘Faraz’
Ajab Nahiin Ki Agar Yaad Bhii Na Aauun Use

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:26 AM
Na Karta Shikayat Zamane Se Koi Agar Maan Jata Manane Se Koi
Kisi Ko Kyun Yaad Karta Koi Agar Bhool Jata Bhulane Se Koi

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:28 AM
Abhi Kuch Dair Baqi Hai..!

Khizan K Beet Janay Main
Guloun K Muskuranay Main
Khushi K Geet Ganay Mein
Baharon K Zamanay Main

Abhi Kuch Dair Baqi Hai..!

Main Tum Ko Bhool Jaonga
Na Tum Ko Yaad Aaonga
Main Tum Se Dour Reh K Bhi
Tumhain Jee Ker Dikhaonga
Tumhain Maloom Hay Laikin
Yeh Sub Main Kar Na Paaonga
K Tum Ko Bhool Janay Main

Abhi Kuch Dair Baqi Hay..!

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:28 AM
Har Khushi Hai Logon Ke Daman Mein
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi
Din Raat Daudti Duniya Mein
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi

Saare Naam Mobile Mein Hain
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi
Gairon Ki Kya Baat Karen
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Aankhon Me Hai Neend Badee
Par Sone Ka Waqt Nahi
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi

Paison Ki Daud Me Aise Daude
Ki Thakne Ka Bhi Waqt Nahi
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Tu Hi Bata E Zindagi
Iss Zindagi Ka Kya Hoga
Ki Har Pal Marne Walon Ko
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:29 AM
Ek Tera Ehsaas Hai
Jo Har Waqt Mere Sath Hai

Ek Teri Yaad Hai
Jo Din Raat Mujhe Tarpaati Hai

Ek Umeed Hai Tere Aane Ki
Apna Tujhe Banane Ki

Na Chain Hai Na Sukoon Hai
Ye Kaisa Mera Haal Hai

Ratain Hogai Hai Itni Lambi
Jo Kaate Nahi Katteen

Na Bhook Hai Na Pyaas Hai
Na Koi Aas Hai Na Koi Paas Hai

Bas Ek Tera Ehsaas Hai
Jo Har Waqt Mere Sath Hai

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:30 AM
Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena
Bikhar Rahi Hay Meri Zaat,Uss Se Keh Dena
Hawa-e-Mousam- e-Gham Uss k Shehar Jaye To
Mery Dukhoon Ki Koi Baat Uss Se Keh Dena
Yeh WeHshatein,Yeh Udasi,Yeh RatJagoo k Azaab
Ussi Ki Hain Yeh Inayaat,Uss Se Keh Dena
Bohat Taweel Bohat KarabNaak Hoti Hain
Judayion Ki Har Ik Raat,Uss Se Keh Dena
Vo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahey
Main Maan Loon Ga Vohin Maat,Uss Se Keh Dena
Wafa Ki Raah Mein,Main Aaj bhi Akaila Hoon
Koi Nahi Hay Mery Saath,Uss Se Keh Dena

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:30 AM
Kuch Dur Hamare Sath Chalo
Hum Dil Ki Kahani Keh Dain Ge
Samjhe Na Jise Tum Ankhon Se
Woh Bat Zubani Keh Dain Ge
Pholun Ki Tarah Jab Hounton Pe
Ek Shokh Tabassum Bikhre Ga
Dheere Se Tumhare Kanoun Mein
Ek Baat Purani Keh Dain Ge
Izhare-E-Wafa Tum Kia Jano
Iqrar-E-Wafa Tum Kia Jano
Hum Zikr Karain Ge Ghairun Ka
Aur Apni Kahani Keh Dain Ge

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:31 AM
Na Ziker Ker Meri Aada K Bary Mein
Hum Bhi Janty Hain Sab Kuch Wafa K Bary Mein
Sunna Hai Woh B Mohabbat Ka Shouq Rekhty Hain
Jinhy Khud Khabar Nahi Kuch Wafa K Bary Mein

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:31 AM
Qurb K Na Wafa K Hote Hain
Saray Jhagray Ana K Hote Hain

Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K Hote Hain

Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlay Khata K Hote Hain

Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain

Wo Humara Hai Is Tarah Se Faiz
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:32 AM
Us Se Poochna To Hai
Kia Silla Wfaon Ka
Hai Yehi K Din Aur Raat
Us Ko Sochtya Rahna
Khud Ko Khojtay Rahna
Us Se Poochna To Hai
Kia Yehi Mohabbat Hai
Us K Hi Khwabon Se
Apni Dua’n Ko
Khud Hi Beasar Karma
Khud Ko Besamar Karma
Us Se Poochna To Hai
Zindagi Yehi Hai Kia
Us Ka Saath Ho Aur Bus
Darmian Koi Na Ho

Dil Ho Wahamon K Beech
Raazdaan Koi Na Ho
Us Se Poochna To Hai
Us K Baad Bhi Kaise
Din Ye Kyun Nikalta Hai
Raat Kyun Ye Dhalti Hai
Umar Bhi To Chalti Hai
Saans Kaise Chalti Hai
Us Se Poochna To Hai
Khud Bhi Sochna To Hai

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:32 AM
Kahaa Thaa Kis Ne Ke Ahad-E-Vafaa Karo Us Se
Jo YuuN Kiyaa Hai To Phir KyuuN Gilaa Karo Us Se

Ye Ahl-E-Baz Tunak Hausalaa Sahii Phir Bhii
Zaraa Fasaanaa-E-Dil Ibtidaa Karo Us Se

Ye Kyaa Ke Tum Hii Gam-E-Hijr Ke Fasaane Kaho
Kabhii To Us Ke Bahaane Sunaa Karo Us Se

Nasiib Phir Ko_Ii Taqriib-E-Qarb Ho Ke Na Ho
Jo Dil MeN HoN Vahii BaateN Kiyaa Karo Us Se

‘Faraz’ Tark-E-Ta’alluq To Khair Kyaa Hogaa
Yahii Bahut Hai Ke Kam Kam Milaa Karo Us Se

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:33 AM
Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gain
Dil Lagayein Gain To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gain

Na Dikhayain Gain Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gain

Jaan De Daingain Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain Gain

Sab Hata Daingain Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazay Ko Har Waqt Khula Rakhain Gain

Unki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain Gain Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gain

Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gain

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:33 AM
Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya
Har Ek Kam Hum Ne Khuda Pe Chor Diya

Woh Hum Ko Yad Rahkta Ya Bhula Deta
Usi Ka Kam Tha Usi Ki Raza Pe Chor Diya

Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe
Cheragh Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Diya

Us Se Baat Bhi Karte Tu Kis Tarhan Karte
Yeh Masal Dua Ka Tha Dua Pe Chor Diya

Iss Liye Tu Woh Kehte Hain Bewafa Hum Ko
K Hum NE Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:34 AM
Yehi Wafaa Ka Silaah Hai, To Koi Baat Nahi
Yeh Dard Tum Ne Diya Hai, To Koi Baat Nahi
Yehi Bohot Hai Ke Tum Dekhte Ho Sahil Se
Safeena Doob Raha Hai, To Koi Baat Nahi
Rakha Tha Aashiyana-E-Dil Main Choopa Ke Tumko
Woh Ghar Tumne Chor Diya Hai To Koi Baat Nahi
Tum Hi Ne Aayena-E-Dil Mera Banaya Tha
Tum Hi Ne Tor Diya Hai To Koi Baat Nahi
Kise Majaal Kahe Koi Mujh Ko Deewana
Agar Yeh Tumne Kaha Hai To Koi Baat Nahi

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:49 AM
Tum Chaho To Mujhay Apnay Seenay Main Chupa Saktey Ho
Tum Chaho To Mujhay Apnay Dil Ki Har Baat Bata Saktey Ho
Tum Chaho To Mujhay Sahra Say Nikal Saktey Ho
Tum Chaho To Mujhay Saiban Day Saktey Ho

Tum Chaho To Mujhay Tapte Dhoop Say Bacha Saktey Ho
Tum Chaho To Mujhay Apnay Wajood Main Chupa Saktey Ho
Tum Chaho To Andairee Raat Ki Chadar Parh Kar
Tum Chaho To Ik Diya Roshni Ka Jala Saktey Ho
Tumhay Malom Hai Kay Yah Zinadagi Kuch Dino Ki Hai
Tum Chaho To Isay Hans Kar Guzar Saktey Ho

Tum Chaho To Mujhay Apne Zindagi Bana Saktey Ho
Tum Chaho To Mujhay Apnay Seenay Main Chupa Saktey Ho
Tum Chao To Mujhay Apnay Dil Ki Har Baat Bata Saktey Ho

Tum Chaho To Kia Nahi Kar Saktey Ho
Tum Chaho To Sub Kuch Kar Saktey Ho

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:49 AM
Sawal Jawab
Us Ne Kaha Mujh Se Kitna Pyaar Hai???????
Mene Kaha Sitaron Ka Koi Shumaar Nahin

Us Ne Kaha K Kon Tumhen Hai Buhat Azeez?
Mene Kaha Dil Pe Jiska Ikhtiaar Hai

Us Ne Kaha K Konsa Tohfa Main Tumhen Dun?
Mene Kaha Wahi Shaam Jo Ab Tak Udhaar Hai

Us Ne Kaha Khizaan Main Mulaqat Ka Jawaz?
Mene Kaha Qurb Ka Matlab Bahar Hai

Us Ne Kaha Senkaroon Gham Zindagi Main Hain?
Mene Kaha Gham Nahin Jab Gham Gusaar Saath Hain

Us Ne Kaha Saath Kahan Tak Nibhaogi ??????
Mene Kaha Jitni Yeh Saans Ki Taar Hai

Us Ne Kaha Mujhko Yeqeen Aye Kis Tarah???
Mene Kaha Naam Mera Aitbaar Hai

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:50 AM
Bichar Kar Aap Se Humko,Khushii Achchii Nahii Lagtii
Labon Par Yeh Banaawat Kii Hansii Achchii Nahii Lagtii

Kabhii To Khoob Lagtii Thii Magar Ye Sochtii Hoon Ab
Ke Mujhko Kyon Merii Ye Zindagii Achchii Nahii Lagtii?

Tirii Maujoodagii Mein To Mujhe Har Baat Bhaati Thi
‘Terii Furqat Mein Koii Baat Bhii Achchii Nahii Lagtii

Ko’ii To Saaz Chhere, Ko’ii To Naghma Idhar Goonje!
Bharii Mehfil Mein Itnii Khaam’shii Achchii Nahii Lagtii

Kabhii Hum Bhii Huaa Karte The Baadaakash Magar Jab Se
Tujhe Dekha Hai Tab Se Maikashii Achchii Nahii Lagtii

Zara Tuu Paas Aa,Main Ponchh Doon Ashkon Ko Pallu Se
Tirii Maasoom Aankhon Mein Namii Achchii Nahii Lagtii

Miree Aankhon Ne Jab Se Jeena Seekhaa Hai Andheron Mein
Kisii Bhii Qism Kii Ho Raushnii,Achchii Nahii Lagtii

Mujhe Har Gaam Pe Dukh,Dard,Ranj-O-Gham Mile Lekin
Khudaaya Aur Ab Uftaadgii Achchii Nahii Lagtii!

Na De Har Vaqt Tuu Dastak Mire Darvaaza-E-Dil Par!
K Ab Mujh Ko Yeh “Tarz-E-Dil-Lagii” Achchhi Naheen Lagtii

Agar Tum Chaah Sakte Ho,To Dil Se Chaaho Mujhko Tum
Mohabbat Mein Merii Jaan Bedilii Achchii Nahii Lagtii

Jhijhakte Kyon Ho Kehne Se?Humein Maaloom Hai Sab Kuch!
K Tum Ko Ab HAMAARI Dostii Achchhi Naheen Lagtii!

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:51 AM
Kyun Aaj Uska Zikar Mujhe Khush Na Kar Saka
Kyun Aaj Uska Naam Mera Dil Dukha Gaya
Kyun Aaj Wo Umeed Ki Shama Na Jala Saka
Kyun Aaj Wo Sare Diye Bujha Gaya

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:52 AM
Mujhe Apny Zabt Pey Naz Tha, Sar-e-Bazam Raat Ye Kia Hoa
Mery Ankh Kaise Chalakh Pari, Mujhe Ranj Hai Ye Bura Hoa

Meri Zindagi Ke Charagh Ka, Ye Mizaj Koi Naya Nahi
Kabhi Roshni Kabhi Tareqi, Na Jala Hoa Na Bujha Hoa

Mujhe Aap Kuen Na Samjh Sake, Ye Apny Dil Sey Hi Pochiye
Mery Dastan-E-Heyat Ka, Hai Warq Warq Khula Hoa

Abhi Abhi Mere Pass Se, Jo Nazar Bacha Key Ghoor Gaye
Ye Mery Shaher Ke Log Hain, Mere Ghar Sey Ghar Mila Hoa

Mujhe Jo Bhi Dushman-E-Jan Mila,Wohi Pukhta Kaar-E-Jafa Mila
Na Kisi Ke Chot Ghalat Pari, Na Kisi Ka War Khata Hoa

Mujhe Ham Safar Bhi Mila Koi, Tu Meri Tarha Hi Luta Hoa
Kabhi Manziloon Se Hata Hoa, Kabhi Qafiloon Sey Luta Hoa

Mujhe Ik Gali Mein Para Hoa, Kisi Bad Naseeb Ka Khath Mila
Kaheen Khoon-E-Dil Sey Likha Hoa, Kaheen Ansoon Sey Mita Hoa

Hamein To Ye Bhi Haq Nahi, Ke Shareq Bazam Khooloos Hon
Na Chehre Pe Apne Naqab Hai, Na Kuch Asteen Mein Chupa Hoa

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:52 AM
Dukh Anmol Hotay Hain
Dukh Anmol Hotay Hain..!!
Qudrat Ki Wadiyat Hotay Hain…
Kabhie Kuch Day Ke Jatay Hain
Kabhie Sab Kuch Cheen Layte Hain
Kabhie Baychain Kartay Hain
Kabhie Jeena Sikhatay Hain
Kabhie Bantay Hain Jab Ansooo
Umer Bhar Lahoo Rulatay Hain
Kabhie Lab Ki Haseee Ban Kar
Naee Duniya Sajatay Hain
Kabhie Meethi Kasak Bankar
Anjani Khalish Bankar
Makeen-E-Dil Yeh Bantay Hain
Kisi Soorat Nahi Mit’tay
Jo In Se Door Bhago Tu
Kahin Jane Nahi Dayte
Na Zinda Rehnay Dayte Hain
Na Yeh Azaad Kartay Hain
Nahin Jiski Dawwa Koi
Magar Yeh Bhi Haqeeqat Hai
Her Aik Ko Tu Nahi Miltay
Baray Nayaab Hotay Hain

Saif_
01-22-2009, 01:12 PM
wow,,,,,,,,,,,,, coool yaar
itni poetry,,, to ghalib ne bhe nahi kahi ho ge lolz
zabardast,,,,,

life2
01-22-2009, 08:28 PM
Ek Raat Hoi Barsat Bohat.....
Me Roya Sari Raat Bohat.....
Har Ghum Thai Zamaney K Lekin.....
Me Tanha Tha us Raat Bohat.....
Phir Aankh Se Ek Sawan Barsa.....
Jab Seher Hoi Tu Kheyal Aya.....
Wo Badal Kitna Tanha Tha.....
Jo Barsa Sari Raat Bohat....

-|A|-
01-22-2009, 08:56 PM
very nice again

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:59 PM
wow,,,,,,,,,,,,, coool yaar
itni poetry,,, to ghalib ne bhe nahi kahi ho ge lolz
zabardast,,,,,


Thanks Saif jee

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 11:00 PM
Ek Raat Hoi Barsat Bohat.....
Me Roya Sari Raat Bohat.....
Har Ghum Thai Zamaney K Lekin.....
Me Tanha Tha us Raat Bohat.....
Phir Aankh Se Ek Sawan Barsa.....
Jab Seher Hoi Tu Kheyal Aya.....
Wo Badal Kitna Tanha Tha.....
Jo Barsa Sari Raat Bohat....

Thanks & very nice poetry life2 jee

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 11:00 PM
very nice again


Thanks bro

Hira
01-23-2009, 12:13 AM
buhat khoob

momal ali
01-23-2009, 03:20 AM
keya baat hey sm jee aap ke bohat khoob collection is sharii ko dekh k tu aap bht sober lagty hey chat per to seryal lagty hey aap anyways verny niyc collection keep it up frnd

ShArArTi MuNdA
01-23-2009, 04:16 AM
buhat khoob

Thanks Hira Jeee

ShArArTi MuNdA
01-23-2009, 04:18 AM
keya baat hey sm jee aap ke bohat khoob collection is sharii ko dekh k tu aap bht sober lagty hey chat per to seryal lagty hey aap anyways verny niyc collection keep it up frnd



Jeee Mahum jii shukriya aapki pasandeedgi ka..... aur wesey main sobar hi houn but chat per aap jesey log hotey haina tu phir aap logon jesa hi ban na par jata hai ;) kia samjhi ;)

momal ali
01-23-2009, 03:41 PM
ye aap jesay logon sey aap ka keya mutlaubh tha .... :fish:

life2
01-23-2009, 08:33 PM
ye jo zindagi ki kitaab hai
ye kitaab bhi kya kitaab hai
kanhi chheen li har ik khooshi
kanhi meharbaan behisaab hai

ShArArTi MuNdA
01-23-2009, 08:57 PM
ye aap jesay logon sey aap ka keya mutlaubh tha .... :fish:

Mahum jeee yeh tu aapko achi tarah se maloom hona chaiye k aap jesey logon se meri kia murad hai :p :p

ShArArTi MuNdA
01-23-2009, 08:57 PM
ye jo zindagi ki kitaab hai
ye kitaab bhi kya kitaab hai
kanhi chheen li har ik khooshi
kanhi meharbaan behisaab hai

NIce one n thanks life2 jeee

momal ali
01-24-2009, 02:29 AM
ali jee aap ke shairi ko dekh k mey bhe aap ko shairi ke zubaan mey dua dena chahti hun pasand aey to achi bat na bhe aey to bhe achi bat hey dua tu dua he rahy ge na ...


dua ke soorat mey us ke khatir....
jo mery honto sey lufz nikly....
jo meri ankho sey ashq nikly...
unhi k badley mey ey khuda...
jabh bhe us ka naseeb likhnaa..
urooj likhna kamal likhna...
kabhi na lafz e zwaal likhna...

ShArArTi MuNdA
01-24-2009, 03:32 AM
ali jee aap ke shairi ko dekh k mey bhe aap ko shairi ke zubaan mey dua dena chahti hun pasand aey to achi bat na bhe aey to bhe achi bat hey dua tu dua he rahy ge na ...


dua ke soorat mey us ke khatir....
jo mery honto sey lufz nikly....
jo meri ankho sey ashq nikly...
unhi k badley mey ey khuda...
jabh bhe us ka naseeb likhnaa..
urooj likhna kamal likhna...
kabhi na lafz e zwaal likhna...



Mahum Jeee so nice of you.... believe it or not its really awesome...... thank you so much and i pray for u da same.........!

ShArArTi MuNdA
01-24-2009, 04:24 AM
Dil o jaan se tujh ko chahoon, apni jaan mein tujh pe luta doon
Dil o jaan se tujh ko chahoon, apni jaan mein tujh pe luta doon
gham jo aaye tumhare raste, aage khud ko hi mein bicha doon

cheer ke dekhe jo dil tu mera, apne chehre ko hi pao gi tum
deewaron pe mere dil ki aise, teri tasweer ko mein laga doon

tumhare ansoo'on ki bhala qeemat, tumhe khud pata kya hogi
bass mein ho jo kabhi ye mere,har ansoo ko heera bana doon

apne honton se bol kar dunya, yaha karti hi rehti hei batein
kya awaz sun paogi tum meri, gar dil se hi mein sada doon?

ussi waqt ho jaye band dil ye, jo tere dil se ziada dhadke
ik saans bhi na le paon, agar kabhi aisi tujhe dagha doon

kaun kehta hei wakas ke dunya mein, muhabat nahi hei hoti
masoom sa hum dono ka qissa, zara bolo to mein suna doon?

ShArArTi MuNdA
01-24-2009, 04:26 AM
Aik Pall Bhi Woh Mujhe Sochta Na Hoga

Mainey din raat apney jisski yaad ke naam kiye hain
woh to ikk pall bhi mujhe sochta na hoga

jiski tasveer main har aik shae main hoon dekhti rehti
ikk nazzar bhi woh shaks mujhe dekhta na hoga

yeh labb jo sada osska naam ley kar mangtey hain duaian
mera naam bhi woh to kabhi laita nahin hoga

ossey sadain daita rehta hey yeh pagal dil mera
aik pukar bhi kabhi dil oska mujhe daita nahi hoga

meri ankhain dekhti hain har pall rasta oska
woh to youn pall pall mera inteezar karta na hoga

jiskey liye mera bhawla mann tarasta rehta hey
shabb-e-tanhai main meri terah woh tarapta nahin hoga

haathon ki lakeeron main ossko dekha hey mainey
kabhi bhi mujhe woh shaks aisey talaash karta na hoga

osska ehsas beh raha hey mujh main laho ki manidd
mujhe woh apney ansoun main bhi pata nahin hoga

apney naam ko main osske naam se jor daiti hon
merey aur osske rishtey ka ossey kheyal bhi ata nahi hoga

jissko mana hey mainey sabab mussarat-e-zindagi
woh to mujhe apna dukh bhi maanta nahin hoga

ban chukka hey woh meri manzil meri taqdeer
kabhi bhi juda rastoon ko meri terah woh aik karta nahi hoga

itni door hey mujhse phir bhi merey kitney kareeb hey
oss ne to kabhi mujhe mehsoos hi kia nahi hoga

tumne to aafi apney wajood ko rang dia hey oski chah main
kabhi socha hey tumne woh shaks tumse pyar karta bhi hoga?

ShArArTi MuNdA
01-24-2009, 04:31 AM
Woh Tanha Panchi Merey Jesa Hai


Woh jo pa'er pe panchi betha hai
bilkul woh merey jaisa hai

woh bhi tanha hai onchai pe
aur duur se sabh ko takta hai

meri terah woh bhi duniya main
apney ball pe jeeta hai

akeli parwazon main woh bhi to
talaash hayat ko karta hai

ossne badle mousam dekhey hain
jesey mainey insan dekhey hain

sabh oss ko chor ke chalay gaye
bilkul wesey main juda hoi
apney saathi yaaron se

woh bhi to thakka hai zindagi se
jesey main thakk kar tooti hoon

osski bhi to manzil chooti hai
aur sabh aasain tooti hain

inteezar ossey bhi to meri terah
zindagi ke ihtetam ka hai
haan apne injam ka hai

woh tanha panchi jo betha hai
aafi , woh bilkul terey jesa hai

ShArArTi MuNdA
01-24-2009, 06:04 AM
Kabhi arzoaon mein dal gaey kabhi dashtey dil mein uter gaey
takra k louti jo roshni uddas chahrey nikher gaey.

merey samney ik faseel thi ik khuab ki takmeel thi
apnoon hi sey jab moun phira merey sarey khuab mkher gaey.

phoulon ki mahfil sey pyar tha ik sakoon jakgey ki talash thi
khamoosh vadi mein chal diyeh hum ider gaey kal uder gaey.

hum sub azizoon mein pyar tha aur zindgi bhi jamil thi
apna tu khud ko pata nahin merey dil nawaz kider gaey.

jo asal thi us ney perhi nahin who is ghazal ki daleel thi
na hi khoush thi na khaber mili bigrey halaat biger gaey.

momal ali
01-24-2009, 11:05 AM
very nice v heart touching poetry ..

ShArArTi MuNdA
01-24-2009, 08:14 PM
Thanks Mahum Jeee

Nida-H
01-25-2009, 11:27 AM
Nice collection..keep sharing !!!

life2
01-25-2009, 10:19 PM
Doobnay walay ko Tinkay ka Sahara hi Bohat
Dil Behal Jayiii Faqat itna ishara hi Bohat...

humaa
01-26-2009, 11:42 AM
good
v nice

-|A|-
01-26-2009, 06:37 PM
wellcoem bro

life2
01-26-2009, 09:14 PM
Mere lafzo ki pehchan agar kar leta wo MUHSIN..
Usse mujhse nahi Khud se Muhabbat ho jati..!!

ShArArTi MuNdA
01-27-2009, 03:16 AM
Nice collection..keep sharing !!!

Thanks Ruby JEee

ShArArTi MuNdA
01-27-2009, 03:16 AM
good
v nice

Thanks Humaa JEe

ShArArTi MuNdA
01-27-2009, 03:17 AM
wellcoem bro

welcome where :p
Thanks Anywys :p

ShArArTi MuNdA
01-27-2009, 03:17 AM
Mere lafzo ki pehchan agar kar leta wo MUHSIN..
Usse mujhse nahi Khud se Muhabbat ho jati..!!

nice one life 2 jee n thanks

(¯`•¸♥Faryal♥¸•´¯)
01-27-2009, 03:20 AM
v nyce collection

ShArArTi MuNdA
01-27-2009, 04:51 AM
Thanks Faryal Jee

-|A|-
01-28-2009, 06:47 PM
very Nice

-|A|-
01-28-2009, 07:00 PM
very Nice

ShArArTi MuNdA
01-28-2009, 08:47 PM
Thanks brooo

life2
01-29-2009, 09:42 PM
Ab neend se kehdo k hum se sulah kar lay Faraz,
Wo rooth gaye jin k liye hum jaga karte thay!!

ShArArTi MuNdA
01-29-2009, 10:11 PM
Thanks Life jee n nice one

Hani
01-30-2009, 03:54 AM
nice

ShArArTi MuNdA
01-30-2009, 08:35 AM
Thanks Hani jee

humaa
01-30-2009, 11:27 AM
nice

-|A|-
01-30-2009, 04:57 PM
kOOl haan

life2
01-30-2009, 09:26 PM
Usay main Yaad aata hon magar fursat k lamhon mein Faraz
Magar ye baat bhi such hay usay fursat nhi milti!

ShArArTi MuNdA
01-31-2009, 04:58 AM
Thanks Alll offf youuuu

life2
02-02-2009, 12:10 AM
Mere sabr ka na le imtihan,
Meri khamoshi ko sada na day,
Jo teray baghair na jee sakay,
Usay jeene ki tuu dua na day,

Dast-e-Tanhai
02-02-2009, 10:27 PM
it is very gud

ShArArTi MuNdA
02-02-2009, 10:50 PM
Thanks Tanhai jeee

life2
02-03-2009, 09:36 PM
.....KuCh dIl AiSaY HaiN JiN PeR
........HuM BhI HuKuMaT KeRtaY HaiN
............KoI BaaT To HaI MujH MaiN
...............Du$hMaN BhI IzzAT KeRtAy HaiN

ShArArTi MuNdA
02-03-2009, 09:40 PM
nice one life jeee

ShArArTi MuNdA
02-03-2009, 10:25 PM
http://img4.imageshack.us/img4/3112/wasishahch4.gif

ShArArTi MuNdA
02-03-2009, 10:29 PM
http://img4.imageshack.us/img4/7654/wasishagif001jf2.gif

ShArArTi MuNdA
02-03-2009, 10:33 PM
http://img4.imageshack.us/img4/9136/faizahmed01zx8.gif

ShArArTi MuNdA
02-03-2009, 10:34 PM
http://img4.imageshack.us/img4/7813/faizahmed06ee7.gif

ShArArTi MuNdA
02-03-2009, 10:36 PM
http://img4.imageshack.us/img4/9528/faizahmed13gb6.gif

ShArArTi MuNdA
02-03-2009, 10:39 PM
http://img4.imageshack.us/img4/7122/farhat01aq8.gif

Dast-e-Tanhai
02-04-2009, 03:42 PM
good yer

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.