Log in

View Full Version : MuNdA's Collection


Pages : 1 2 3 [4] 5 6 7

ShArArTi MuNdA
02-04-2009, 09:02 PM
Thanks Tanhai Jee

!«╬Ĵamil Malik╬«!
02-04-2009, 09:08 PM
nyc collection brthr

life2
02-04-2009, 09:49 PM
aunk dekhne se moon pe ajati hai ronak
aur woh samajte hain k bemaar ka hal acha hai

Hani
02-05-2009, 04:17 AM
v.nice

ShArArTi MuNdA
02-06-2009, 08:19 AM
nyc collection brthr

THanks mailk jeee

ShArArTi MuNdA
02-06-2009, 08:19 AM
aunk dekhne se moon pe ajati hai ronak
aur woh samajte hain k bemaar ka hal acha hai

Thanks & nice one

ShArArTi MuNdA
02-06-2009, 08:19 AM
v.nice


Thanks budddy

ShArArTi MuNdA
02-06-2009, 10:41 AM
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena
ho sake to aisa bhi karna
bahut dinon tak ilzaam na dena

thoda pyaar bhi yaad rakhna
thodi muskaane bhi
aye mere haseen dost
mujhko sirf ilzaam na dena

teri yaad pal pal sataayegi
phir zindagi is patte ko udaa le jaayegi
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena

kaash kuch din aur hote kismat mein
kaash main adna insaan na hota
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena

tera dard ab na baat paoonga
teri kismat phir kahan sanwaar paoonga
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena

ho sake to kabhi mujhe maaf kar dena
ho sake to mere liye
apne aansoo khud ponch lena
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena

ShArArTi MuNdA
02-06-2009, 10:43 AM
meray dil main bi kuch kwahishain hain
mian bi bohut kuch teray naam pay sochna chahti hoon
aam bohut aam si lerki hoon
aur teray khwab jagti aankhoon say dekhna chahti hoon
main bi chahti hoon teray kuch lumhay faqt meray wastay hoon
aik ho manzil teray meray rastay hoon
kai baar main teay uthtay qadam rokna chahti hoon
bohut khamoshi hai kuch bolna chahti hoon
lakin
ik khuf terkay tualuk ka meray damangeer hai
meri aana meray kadmmon main peri zanjeer hai
kay khud ko kho ker kisi ko pana meri fitert nahi hai
bohut aam sahi main lakin yeh bi haisiiat nahi hai
kay khud ko kho to main ik lumha na jee paoon gi
tum gunnwah bi diya to chund din main behul jaoon gi
kay tum
chahat ho meri sherta.e. zindagi nahi ho
pehly kwahish ho mager aakhri nahi ho

ShArArTi MuNdA
02-06-2009, 10:44 AM
Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai
Dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhoon

Faaslay itney bhi ho jaain gai sochha hi na tha
Teray ehsas mein teri tasweer mein kab tak dekhoon

Kaisey dorahey per khara hoon ke aqal sakit hai
Dar hai pyaron sey judai ka, khud ko tarapta dekhoon

Tera ehsas-e-janoon mujh ko bhi pyara hai mager
Ishq ke anjam mein apney liye azziat dekhoon

Dil diwana tha kabhi tera so aaj bhi hai
Teri aankhon mein wohi pyar Avi.... phir se dekhye

Mein ne her lamha khuda se mangee hai dua
Mein teray pyar ka mausam sada hi dekhoon

ShArArTi MuNdA
02-06-2009, 10:44 AM
kahan aa ke ruknay thay rastay,kahan morr tha bhool ja
jo mil gaya usay yad rakh jo nahi mila usay bhool ja
wo tere naseeb ki barishen kisi or chat pe baras gai
dil-e-bekhabar meri baat sun,,,usay bhool ja
wo jo bisat-e-jan hi ulat gaya wo jo rastay se palat gaya
usay roknay se hasool kia,usay mat bula usay bhool ja

ShArArTi MuNdA
02-06-2009, 10:45 AM
meri kabar pe aake tum awaaz nahi karna
dard ki nayii daastan ka aagaaz nahi karna...

apni bebassi ko khud hii byaan karega ye
chehre ko kisi aaine ka mohthaaz nahi karna...

raaz Jo khud se hii na chhipaa paao tum
aise raaz mein kisi ko hamraaz nahi karna...

namumkin hai haqikat ke aasman mein urnaa
khaabon ke sahare isme parwaaz nahi karna...

zakham phir zakham hai.N ik roz bhar jaynge
husan wallon ko inke charasaaz nahi karna...

khaakh se bane ho khaakh mein mil jaaoge
kabhi bhoole se bhi khud pe naaz nahi karna

ShArArTi MuNdA
02-06-2009, 10:45 AM
Raat kay pichlay pehar
uss ki shab bedar aankhoon main
nami ka ahsas uss kayy dil ka haal
bata raha tha
un aankhon main chayay surk doray
uss ki haya ki surkhi nahin
uss kay dil kay haal ki gahmaz thee
lekin shabash aay larki
tu nay usay kitni khobsorti say
apnay dil ka haal
aankhoon main chupa lia.

ShArArTi MuNdA
02-06-2009, 10:54 AM
Meray sabr ko aazma raha tha
Wo meray qareeb aa raha tha!

Usay dar tha ke mein bichadh na ja’on
Mujhay apna yaqi’n dila raha tha

Kisi aur ki mein samajh na pa’oon
Mujhay aisi zaba’n sikha raha tha!

Ye jaha’n gul aur qamr-o-saba
Mujhay sub se hasi’n batla raha tha

Ik din mujh se milnay youn aaya
Ke sara badan uska sharma raha tha!

Ye aadat bhi uski badi dilruba thi
Nigahain jhuka ker wo muska raha tha!

Kabhi youn na usko haseeno’n mein deikha
Jo deikha mera dil bhi ghabra raha tha

Juda hoke mujh se wo ik roz baad
Mila youn ke pal pal ginwa raha tha

ShArArTi MuNdA
02-06-2009, 10:54 AM
paani per bhi zaad-e safar main piyaas tu letey hain
chahney waley aik dafa bin baas tu letey hain

aik hi sheher main reh kar jin ko izn-e deed na ho
yehi bohat hai, aik hawa main saans tu letey hain

rasta kitna dekha howa ho, phir bhi shah-sawaar
aerh laga kar apney haath main raas tu letey hain

phir aangan dewaroo.n ki onchaai main gum hoon gai
pehley pehel ghar apnoo.n k paas tu letey hain

yehi bohat hai k bachey khaali haath nahi hain
apney purkhoo.n ki meraas tu letey hain

ShArArTi MuNdA
02-06-2009, 10:55 AM
dil mein ik tasveer chupi thee, aan basi hai ankhoon mein
shaid hum nay aaj ghazal see baat likhi hai ankhoon mein

jaisay aik asaami larki mandar kay darvaazay par
shaam diyoon ke thaal sajaye jhaank rahi hai ankhoon mein

iss romaal ko kam mein laoon apni palkain saaf karoo
mayla mayla chand nahi hai dhool jami hai ankhoon mein

parhta ja yeh manzar nama zard azeem paharoon kaa
dhoop khili palkoon kay opar, baraf jami hai ankhon mein

mein nay aik novell likha hai anay wali subah kay naam
kitni ratoon jaga hono, neend bhari hai ankhoon mein

ShArArTi MuNdA
02-06-2009, 10:55 AM
sakoon mahal hai Amjad wafa ke rastay main
kabhi charagh jalay hain hawa ke rastay main

najaney ab ke baras khaitiyoon pe kya guzray
kai pahar kharay hain hawa ke rastay main

qadam qadam pe qadam larkhray jatay hain
butoon ke dhair lagay hain Khuda ke rastay main

diar-e-ahle mohabbat main kis nay di awaz
hazar saaz bajay hain sada ke rastay main

siway dard-e-mohabbat, bajuz ghubar-e-safar
koi rafiq na paya wafa ke rastay main

ShArArTi MuNdA
02-06-2009, 10:56 AM
وہ دلاور جو سیاہ شب کے شکاری نکلے
وہ بھی چڑھتے ہوئے سورج کے پجاری نکلے


سب کے ہونٹوں پہ مرے بعد ہیںباتیں میری!
میرے دشمن میرے لفظوں کے بھکاری نکلے


اک جنازہ اُٹھا مقتل سے عجب شان کے ساتھ
جیسے سج کر کسی فاتح کی سواری نکلے


ہم کو ہر دور کی گردش نے سلامی دی ہے
ہم وہ پتھر تھے جو ہر دور میں بھاری نکلے


عکس کوئی ہو خدوخال تمہارے دیکھوں
بزم کوئی ہو مگر بات تمہاری نکلے


اپنے دشمن سے میں بے وجہ خفا تھا محسن
میرے قاتل تو میرے اپنے حواری نکلے

ShArArTi MuNdA
02-06-2009, 10:57 AM
Main Bhula Chuka Sabhi Waastey Jo Thay Manzilon Ke Hasool Mein
Mairi Manzilon Ke Hasool Mein Teri Raah Aaye To Kya Karoon

Jo Pukaarta Tha Her Aik Gharri Jo Jurra Tha Dil Say Larri Larri
Koi Shaks Aisa Ager Kabhi Mujhey Bhool Jaye To Kya Karoon

Kabhi Saath Tha Jo Ke Doo-ba-Doo Tha Humesha Mairey Hi Ru-ba-Ru
Jo Barrha Raha Tha Qadem Mairey Woh Hi Dagmaga jaye To Kya Karoon

Woh Charaagh-e-Dar Jo Jala Kabhi Main Bujha Chuka Hoon Magar Kabhi
Ke Bujha Huwa Bhi Diya Ager Maira Ghar Jalaye To Kya Karoon

Mainey Aks Tak To Mitta Diye Sabhi Aainey Bhi Chupa Diye
Tujhey Daikhta Koi Door Say Mairey Pass Aaye To Kya Karoon

ShArArTi MuNdA
02-06-2009, 10:58 AM
Hamay koi gham nahin tha, gham-e-aashqi say pehlay,
Na thi dushmani kisi say, teri dosti say pehlay !

Hai yeh meri badnaseebi tera kya kasoor ismay,
Teray gham nay maar daala mujhay zindagi say pehlay !

Mera pyaar jal raha hai aray chaand aaj chup jaa,
Kabhi pyaar tha hamay bhi teri chaandni say pehlay !

Main kabhi na muskarata jo mujhay yeh ilm hota,
Ki hazaron gham milengay mujhay ik khushi say pehlay !

Yeh ajeeb imtehaan hai ki tumhi ko boolna hai,
Milay kab they is tarah hum tumhay bedilli say pehlay !

Hamay koi gham nahin tha, gham-e-aashqi say pehlay,
Na thi dushmani kisi say, teri dosti say pehlay

ShArArTi MuNdA
02-06-2009, 10:59 AM
Main Hoon Ya Tu Hai ,Khud Se Gureza Jaise,
Mere Aage Koi Saya Hai,Kharaman Jaise..


Tujhse Pehle Toh Baharon Ka ,Yeh Andaaz Na Tha,
Phool Yun Khilte Hai,Jalta Ho Gulistaan Jaise…

Yun Teri Yaad Se Hota Hai ,Ujala Dil Mein,
Chandni Mein Chamak Uthta Hai,Bayaabaan Jaise..

Dil Mein Roshan Hai,Abhi Tak Tere Wadon Ke Chiraag,
Toot-Ti Raat Ke Taare Ho, Farozan Jaise..


Waqt Badla Per,Na Badla Mere Mayar-E-Wafa,
Aandhiyon Mein ,Sar-E-Kohsaar Charagan Jaise..

Zakhm Badhta Hai Zamana,Magar Is Tarah,
Si Raha Ho Koi ,Phoolon Ke Girebaan Jaise…….

life2
02-06-2009, 10:16 PM
Wafa Ke Naam Se Woh Anjan The
Kisi Ki Bewafai Se Shyad Preshan The
Hamne Wafa Deni Chahi To Pata Chla
Hum Khud Bewafa Ke Naam Se Badnaam The

ShahTaJ
02-07-2009, 02:45 AM
superb collection (y)

ShArArTi MuNdA
02-07-2009, 04:18 AM
Wafa Ke Naam Se Woh Anjan The
Kisi Ki Bewafai Se Shyad Preshan The
Hamne Wafa Deni Chahi To Pata Chla
Hum Khud Bewafa Ke Naam Se Badnaam The


Thanks

ShArArTi MuNdA
02-07-2009, 04:21 AM
superb collection (y)


Thanks ShahTaj Jeeee

ShArArTi MuNdA
02-07-2009, 10:57 AM
Kash Hath Tumhara Hamara Yuhi Sada Mila Rahe
Kash Pyara Sa Ye Rishta Yuhi Barqarar Rahe

Chalti Hai Dhadkane Sanson Ke Chalne Se
Kash Yuhi Tum Mere Dil Mein Basi Rahe

Nanhi Si Muskaan Hothon Ki Tumhari
Kash Yuhi Hamein Zindagi Jine Ka Bahana Deti Rahe

Juki Juki Tumhari Ye Shararat Bhari Aankhein
Kash Yuhi Hamein Dunia Se Bekhabar Karti Rahe

Chehre Ki Wo Masumiyat, Baaton Ki Wo Nazakat
Kash Yuhi Mere Dil Ko Bhati Rahe

Sangit Ho Tum Meri Veraan Zindagi Ka
Kash Dhadkan Tumhari Yuhi Sargam Banti Rahe

Chandni To Nahi Bichadti Kabhi Chand Se
Kash Yuhi Sada Tum Mera Sath Deti Rahe

Rawani Ye Pyaar Ki Jo Sansoo Mai Hai
Kash Yuhi Mohabbat Ke Har Mukam Se Guzarti Rahe

ShArArTi MuNdA
02-07-2009, 10:59 AM
Kya Kahen Hum Kaise Tujhse Door Ho Gaye
Haalaat Se, Kuch Khud Se Majboor Ho Gaye

Mohhabbat Rula Deti Hai, Kab Ye Maana Tha
Apne Dil Ke Afsaane Wohi Dastoor Ho Gaye

Manzil Jise Samjha Bana Wo Meel Ka Pathar
Nayi Manzil, Naye Raaste Manzoor Ho Gaye

Hadd Se Barh Jaaye Jo Ghum, Deta Nahin Dard
Muskura Rahe Hain, Aise Hum Ranjoor Ho Gaye

Dil Tera Reza Reza Hai, Kaise Sambhale Tujhko
Khudaya Humse Kaise Yeh Qusoor Ho Gaye !!!

ShArArTi MuNdA
02-07-2009, 11:00 AM
Mere Dost Mare Hum Safer
Tu Kabhi Tu Mare Saath Chal
Tu Ajab Tarhan Ka Dost Hai
Jo Chalai Bhi Saath 2 Kadam

Main Tujhay Dil Se Dua Bhi Don
Na Wafa Kare Na Tu Jafa Kare
Ajeeb Hain Tere Manzilen
Ajeeb Hai Tere Baam O Dur

Tu Mare Nazar Ki Talish Hai
Katni Door Hi Phir Bhi Pass Hai
Main Chayon Ga Tujh Ko Har Kadam
Mare Dost Marai Mutram

Kabhi Khaat Likhon Tu Jawab Na Dai
Sara Pyar Door Sai Dekha Bhi Dai
Kase Hai Aai Mohbbatin
Tu …Bata Dai Aj Oo Mare Sunam ?

Kabhi Zindagi Jo Wafa Kare
Doo Char Pall Tu Milya Kare
Main Khyon Tum Ho Humsfer
Tu Nahi Nahi Kaha Kare

Tere Ak Kushi Par Imran
Karon Main Jan Bhi Kurban
Kabhi Aai Wo Din Aai Sunam
Mare Dost Mare Mutram

Socha Tha K Apna Dil Jala Dalen
Phir Khayal Aya K Dil Main Tu B Hai

ShArArTi MuNdA
02-07-2009, 11:01 AM
Har Raat Gum Tanhai
Har Sham Teri Yaad Ai
Jitna Tujhe Bhulana Chaha
Utni Ziyada Teri Yaad Ai
Tujh Se Koi Umeed Nahi Wabista
Is Dukh Se Ankh Bhar Ai
Logo Ne Pocha Ashko Ka Sabab
Bus Hamein Kehna Para Tanhai

Dast-e-Tanhai
02-07-2009, 08:13 PM
kia at hy
very nice

ShahTaJ
02-07-2009, 08:15 PM
good collection

Dast-e-Tanhai
02-07-2009, 08:23 PM
nice

momal ali
02-07-2009, 10:04 PM
sm je very nyc collectionyaar specially last 1 n second last 1 really awesome collestion yaar :)

ShArArTi MuNdA
02-07-2009, 10:07 PM
kia at hy
very nice

Thanks Tanhai

ShArArTi MuNdA
02-07-2009, 10:07 PM
good collection

Thanks Janab

ShArArTi MuNdA
02-07-2009, 10:07 PM
nice

Thanks

ShArArTi MuNdA
02-07-2009, 10:08 PM
sm je very nyc collectionyaar specially last 1 n second last 1 really awesome collestion yaar :)


Thanks 4 lyking it

life2
02-07-2009, 10:36 PM
Itna Roye Ga Meri Lash Se Lipat Ke Faraz...
Ye Khabar Hoti To Kab Ke Mar Gaye Hote...

ShArArTi MuNdA
02-08-2009, 11:35 AM
Itna Roye Ga Meri Lash Se Lipat Ke Faraz...
Ye Khabar Hoti To Kab Ke Mar Gaye Hote...

Thanks

life2
02-08-2009, 08:33 PM
Mujh se kehti hai teray saath rahongee sada
buhat piyar karti hai mujh se tanhai meri........

Dast-e-Tanhai
02-08-2009, 09:28 PM
veryyyyy nice

ShArArTi MuNdA
02-10-2009, 09:08 PM
Thanks all of you

life2
02-10-2009, 11:37 PM
Yeh Aansu Na Hote Aankhon Mein
To Aankhein Itni Khoobsurat Na Hoti

Yeh Dard Na Hota Dil Mein
To Khushi Ki Keemat Pata Na Hoti

Yeh Bewafai Na Ki Hoti Waqt Ne
To Wafa Ki Kabhi Chahat Na Hoti

Agar Mangne Se Puri Ho Jati Muradein
To Uss Khuda Ki Kabhi Zarurat Nahi Hoti

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 12:24 AM
nice one

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:16 AM
Main wafa ki raah par jo chal parra,na main barrh saka na palat saka
Mainay khud hi kiya tha yeh faisla,mujhe tum se koi gila nahin
.
.
Tera piyar ik fareb tha,mujhe jiss ka ilm na ho saka
Chalo! Khair chhorro yeh tazkira,mujhe tum se koi gila nahin
.
.
Main udaas hoon tu hai shaadmaan,main hoon khasta jaan tu hai kaamraan
Hai naseeb sab ka juda juda,mujhe tum se koi gila nahin
.
.
Thay gilay tau us se hazaar ha,sar-e-raah woh jab bhi magar mila
Main nazar chura k yeh keh utha,mujhe tum se koi gila nahin
.
.
Woh jo aaya JAMI ki qabar par,kaha thaam kar yeh dil-o-jigar
Tumhain,Haif main na samajh saka,mujhe tum se koi gila nahin....!!!

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:17 AM
Deikho to ye umeedoN ka diya jalta hey kahaaN tak
aaNkhoN meiN ye ik khaab naya palta hey kahaN tak

na'jaaney kis gumaan ke behlaawey meiN uljah kar
wo saath to chala aaya hey par chalta hey kahaaN tak

hey naaz bohat zabt pe magar deikhna hey mujh ko
ye haalaat meiN jalta hey to pighalta hey kahaaN tak

log taaq meiN beitthey heiN ke deikho to is ka kirdaar
majbooriyoN ke saaNchey meiN dhalta hey kahaaN tak

merey tajas'sus-bharey gumaaN ko ab ye fikr lagi hey
ke rangoN meiN waqt apney tujhey rangta hey kahaaN tak

imtehaan teri wafaaoN ka abhi aaya hi nahi hey
deikheiN ge tu badalta hey to badalta hey kahaaN tak

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:18 AM
Jo Rishtey Dil se jurte hain Inhain tora nahi karte
Kisi ka Saath Raste mai kabhi chora nahi karte

Kahin is se Tumhare Haath hi zakhmi na ho jayein
Jo Toote Aaina, to phir ise Jora nahi karte

Koi Toofan Teri Kishti ko Garq-e-Aab na karde
Kabhi Biphri hoi Mojon ka Rukhh mora nahi karte

Tijarat ke usulon per Mohabbat ki Nahi jati
Mohabbat main kabhi Jazbaat ka Souda nahi karte

Sitam karna Mohabbat per, yeh hai Adat zamane ki
Zamane ke sitam per Hum yeh Dil tora nahi karte

Mohabbat ke usulon mai, yehi pehla usool apna
Ke Hum apni Mohabbat ko kabhi Ruswa nahi karte

Jis se Mohabbat karte ho us se Jhoot na bolo
Mohabbat mai kabi Khayanat kia nahi karte

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:19 AM
andheron ka tasalsul mukhtasar honay nahin deta
sahar ka naam leta hay, sahar honay nahin deta

woh shab fitrat hay us ko roshni achhi nahin lagti
kisi gher main ujalon ka guzer honay nahin deta

woh dehshat banTta hay khowf kay manzar bhi deta hay
koi shakh e tamanna baarawer honay nahin deta

woh saray faislay hasb e zaroorat aap kerta hay
kisi ka herf, Harf e mu'taber honay nahin deta

hamesha doosron main faslay taqseem kerta hay
woh logon ko bahem sheer o shaker honay nahin deta

ameer e karawaN rehnay ka itna showq hay us ko
keh danista bhi takmeel e safar honay nahin deta

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:19 AM
***mai ku tarkey taaluq ki ibtidaa karta***
*******************************************
Main Kiyon Na Tark-E-Ta'aluq Ki Ibteda Karta
Wo Dur Dais Ka Baasi Tha Kiya Wafa Karta ?

Wo Mere Zabt Ka Andaza Karne Aaya Tha
Main Has Ke Zakhm Na Khata Tu Aur Kiya Karta ?

Hazar Aiena Khano'N Main Bhi Na Pa Saka
Wo Aiena Jo Mujhe Khud Se Aashna Karta

Dar-E-Qafas Pe Qayamat Ka Habs Tha Warna
Saba Se Zikr Tera Main Bhi Sunn Liya Karta

Meri Zamee'N Too Agar Mujh Ko Raas Aa Jaati !
Main Rifato'N Main Tujhe Aasma'N Sa Karta

Gham-E-Jaha'N Ki Muhabbat Lubha Rahi Thi Mujhe
Main Kiss Tarha Teri Chahat Pe Aasra Karta ?

Agar Zuba'N Na Kat Ti Tu Shehar Main MOHSIN
Main Pathro'N Ko Bhi Ik Rooz HamNawa Karta

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:20 AM
**"Dasht main piyaas bhujatey howey mar jatey hain"**
************************************************** **

Dasht main piyaas bhujatey howey mar jatey hain
Hum parinday kaheen jatey howey mar jatey hain

Hum hain sookhay howey talaab pay baithy howey hans
Jo tayaluq ko nibhatey howey mar jatey hain

Un kay bhee qatl kaa ilzaam humarey sar hay
Jo humain zehar pilatey howey mar jatey hain

Yeh mohabbat kee kahanee nahee martee laikin
Log kirdaar nibhatey howey mar jatey hain

Hum hain woh tootee howee kashtion waley faraz
Jo kinaron ko milatey howey mar jatey hain

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:20 AM
Kuch aur sochne ki zarorat nahi mujhe,
Tere siwa kisi se mohabbat nahi mujhe,


Rehta hai bas tera hi mujhe raat din khayal,
Main tujh ko bhol jaon yeh taqat nahi mujhe,


Kal shab tumhari yaad mein aanso chilak pade,
Ab kuch bhi kehne ki hajat nahi mujhe,


Kis ko sunaon jaa ke mein apna yeh hal-e-ahewal,
Tum ne to keh diya hai ke fursat nahi mujhe,


Khushiyon se ab nahi hai koi rabta mera,
Pal bhar tumhare ghum se faragat nahi mujhe,


Sab kuch ujar gaya mera khuwabon ke sath sath,
Faraz magar kisi se shikayat nahi mujhe...

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:21 AM
cherey perhta, aankhain likhta rehta hoon
main bhi kaise batain likhta rehta hoon ?


saray jism darakhtoon jaise lagtay hain
aur bahoon ko shakhain likhta rehta hoon


tujh ko khat likhnay ke taiwar bhool gia
aarhi tirchi satrain likhta rehta hoon


tere hijr main aur mujhe kia kerna hai
tere naam kitabain likhta rehta hoon


tujh se mill ker saray dukh dohraoon ga
hijr ki sari batain likhta rehta hoon


sookhay phool, kitabain, zakham judai ke
teri sab soghatain likhta rehta hoon


us ki bheegi palkain hansti rehti hain
MOHSIN jab tuk ghazlain likhta rehta hoon


( MOHSIN NAQVI)

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:21 AM
Honthon pe mohabbat k fasaane nahi aate,
Sahil pe samundar ke kinare nahi aate,

PAlkain bhi chamak uthti hai soti mein hamari,
Aankhon ko abhi khawab chhupane nahi aate,

Dil ujdi hui ek saraaye ki tarha hai,
Ab log yaha raat jagane nahi aate,

Yaaron naye mousam ne ye ehsaan kiya hai,
Ab yaad samjhe dard purane nahi aate,

Udne do parindo ko abhi shokh hawa mein,
Phir lout k bachpan k zamane nahi aate,

IS shehar k badal teri zulfon ki tarha hai,
Ye aag lagate hai bujhane nahi aate,

Tum bhi ghairo ki ada seekh gaye ho,
Aate hai magar dil ko dukhane nahi aate..!!

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:22 AM
Labon pe Phool khilte hai kisi ke Naam se pehle,
Dilo ke Deep jalte hai Chiragh-e-Shaam se pehle,

Kabhi Manzar badalne par bhi kissa chal nahi pata,
Kahani khatam hoti hai kabhi Anjaam se pehle,

Ye hi Taare Tumhaari Aankh ki Chilman mein rehte the,
Ye hi Suraj nikalta tha Tumhare Baam se pehle,

Hui hai Shaam Jangle mein Parinde laut-te honge,
Ab inko kis tarah roke Nawaah-e-Daam se pehle,

Ye saare Rang Murdaa the Tumhaari Shakl banne tak,
Ye Saare Harf Muhmal the Tumhaare Naam se pehle,

Hua hai wo agar Munsif to Ahtiyatan Hum,
Saza Tasleem karte hai kisi Ilzam se pahle..!!!

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:23 AM
aa, ki meree jaan ko qaraar naheeN hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar naheeN hai

dete haiN jannat hayaat-e-dahar ke badle
nashsha ba_andaaza-e-KHummaar naheeN hai

giriya nikaale hai teree bazm se mujh ko
haay ! ki roone pe iKHtiyaar naheeN hai

hamse 'abas hai gumaan-e-ranjish-e-KHaatir
KHaak meiN ushshaaq kee GHubaar naheeN hai

dil se uThaa lutf-e-jalva haay ma'anee
GHair-e-gul aainaa-e-bahaar naheeN hai

qatl ka mere kiya hai 'ahad to baare
waae ! akhar 'ahad ustuwaar naheeN hai

toone qasam mai_kashee kee khaaee hai 'GHalib'
teree qasam ka kuchch 'eitbaar naheeN hai !

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:24 AM
Aaj ke is daur me dhunde se bhi insaan nahin milta,
qaatilon ke hujum mil jate hain ek maherbaan nahin milta:

bas gai hai rooh-e-shaitani jism-e-insaani me,
har jagah insaan hai magar phir bhi insaan nahin milta:

ek arsa hua khuda ne bandh kardi guftugoo bashar se,
ek hi mila hai ab tak ke dusra qurran nahin milta:

hai taveel tamannaon ka safar aur tang hai umar;
hai kai humsafar saath lekin koi nghebaan nahin milta:

hai majbur warna rehta na kabhi is duniya me "taasir"
ke bohot talaash kiya magar dusra jahaan nahin milta:

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:24 AM
Mehfil mein teri sitaron ki roshani bahut hay
Isliye Alwida teri Mehfil ko kar hum chaley

Janey Dil ke kisey koney mein Aandhera bahut hay
Dil ko roshan khuda ki ibaaddat se karne hum chaley

Khuda ko Paney ki chaah Iss Dil mein bahut hay
Do hathon se dua mangney hum chaley

Teri Aankhon mein basey motiyon ki chamak bahut hay
Khuda se Apne motiyon ka hisab mangney hum chaley

Pathar na kehna Jis Dil mein armaan bahut hay
Patharon se ek jharney ka rukh modne hum chaley

Phuul na kehna Jis Phuul mein kantey bahut hay
Phuulon ko Katon se Sajaane hum chaley

Chaand ke nuur mein chandni bahut hay
hum ek tarey mein apni yaad basa kar chaley

Karvaan Zindagi ka yuun hi badhta jayega
Hum Aasmaan tere hathon mein saunp kar chaley...!!!

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:25 AM
Mohabat ka guman hota bohat hai
k ab ye lafz bhi ruswa bohat hai

udasi ka sabab main kya btaon?
gali kuchon mein sanata bohat hai

na milne ki qasam kha ker b main ny
tujhy her rah mein dhoonda bohat hai

ye aankhain aur kya dikhain kisi ko?
in aankhon ne tujhe dekha bohat hai

na jane q bacha rakhay hain aansoo?
abhi shayad mujhe rona bohat hai

tujhe maloom to ho ga mere hamdam!
tujhe ek shakhs ne chaha bohat hai

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:26 AM
Furqat ke paRe' ham pe jo asaraat na poocho
Jo kehne' se qaasir haiN, wohi baat na poocho

Kuch rakh lo bharam mera, nidaamat se bacha lo
YuuN baz'm ma mujh se, merii aoqaat na poocho

Mar jaayeiN ge, taoheen-e-mohabbat na kareiN ge
Kya ehl-e-wafa kii haiN, rasoomaat na poocho

Wo chaahe' to bin saaghar-o-meena hi pila de
Yaaro mere' saaqii kii, karaamaat na poocho

AaNkhoN ke to saawan ko sabhii dekh rahe' haiN
Seene' ma hai jo tundii-e-barsaat na poocho

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:27 AM
Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai,
Tere hathon ki lakiron mein mera naam to hai

Mujko tu apna bana ya na bana teri khushi,
Tu zamane mein mere naam se badnaam to hai

Mere hisse mein koi jaam na aaaye na sahi,
Teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai

Dekh kar log mujhe naam tera lete hain,
Isi pe main khush hoon mohabbat ka ye anjaam to hai

Woh sitamghar hi sahi dekh ke usko ,
Shukar is dil-e-bimaar ko aaraam to hai

Tu kahin bhi rahe sar pe teray ilzaam to hai,
Tere hathon ki lakiron mein mera naam to hai.

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:27 AM
hokar zameen ki khaak, aasman ki chahat kyon karun
main tujhko paane ki aur tamanna kyon karun,

mujhko khabar hai, judai tadpayegi tujhe bhi har pal
isliye bata de main tujhse wafa ki aas kyon karun,

rooh ko meri *** lagegi gar tu na mila mujhe
tujhe aapna banane ki, par dua kyon karun,

teri masoomiyat ko banayaa hai rab ne mohhabat ke liye
tujhe na chahne ki khata main bhala kyon karun,

farishtey bhi tadap jate hain, teri aankhon se jab ashq chalakte hain
ye dard tujhe dekar, main ye gunah kyon karun,

teri meri kismat ki rahein hain juda juda
main phir bhi teri ban jane ki dua kyon karun,

mana ki mohhabat bhari nazar dil pe ghera asar karti hai
tujhe pyaar se dekh kar tujhpar ye rehmat kyon karun,

itna dukhaya hai dil ko tune mere, itna rulaya hai mujhe
sab kuch sahun phir bhi, tujhse be-intihah mohabbat kyon karun....

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:28 AM
Zindagi char din ka mohlat hy,
Sab ko bus aik jesi ujlat hy.

Ayee , bethyee , aur ab kahyee,
Aap ko mujhse kya shiqayat hy.

Wo jo tumse gureez karte hyn,
Ye b unki bari enayat hy.

Juth aur sach hyn dono jan k vabal,
Maslihat mai bari sahulat hy.

Manyee ya na manyee lekn,
Apko b meri zarurat hy.

Dil ki rag rag nachor leta hy,
Ishq mai ye bari museebat hy.

Kon ae ga aapki khatir,
Choryee kiss ko itni fursat hy.

******* unse b to kaho aik din,
Ha’n mujhe apse muhabat hy.

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:28 AM
Zameen Pe Chal Na Saka Aasman Say Bhi Gaya
Kata K Par Ko Parinda Uaraan Say Bhi Gaya

Tabah Kar Gai Pakkay Makan Ki Khwahish
Main Apnay Gauon K Kachay Makan Say Bhi Gaya

Parai Aag Main Kood Kar Kiya Mila Tujhko
Usay Bacha Na Saka Apni Jaan Say Bhi Gaya

Bhulana Chaha To Bhulanay Ki Inteha Kardi
Wo Shaks Ab Mere Wehmon Guman Say Bhi Gaya

Kisi K Haath Ka Nikla Howa Wo Teer Hon Main
Hadaf Ko Choo Na Saka Our Kamaan Say Bhi Gaya

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:29 AM
Har Kisi Ko Dunya Main Shohrate'n Nahi Milti'n

Zindagi K Lamho'n Ki Qeematai'nNahi Milti'n

Fatah Ki Khwaish Main Amal Bhi Tou Lazim Hy

Sirf Kuch Irado'n Se Mazilai'n Nahi Milti'n

Faisley Ye Chahat k Aasman Pe Hoty Hyn

2 Dilo'n k Milne Se Qismatai'n Nahi Milti'n

Deen Aur Dunya Ko Saath Rakhna

Masjido'n Main Bethne Se Jannatai'n Nhi Milti'n

Maan Lo Is Zamane Main Aur Bhi Hyn Hum Jese

K Hasb-e-Aarzu Jinko Chahatai'n Nhi Milti'n ...

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:30 AM
Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono,
Na main tum say koi umeed rakhoon dil nawazi kee,
Na tum meri taraf daikho ghalat andaaz nazron say,
Na meray dil kee dharkan larkara'ay meri baathon say,
Na zaahir ho tumhaari kushma-kush ka raaz nazron say.
Tumhain jo koi anjuman roktee hai paish qadmi say,
Mujhey bhi log kehtay hain kay yeh jalway para'ay hain.
Meray humrah bhi ruswa'eeyan hain meray maazi kee,
Tumharay saath bhi guzree hu'ee raaton kay sa'ay hain.
Ta'aruff rog ho ja'ay tau usska bhoolna behtar,
Ta'alluq bojhe bun ja'ay tau usska torna acha.
Woh afsaana jissay anjaam tak lana na ho mumkin,
Ussay ek khoobsoorat mor day kar chorna acha.
Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono . . .

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:33 AM
dil mein ik tasveer chupi thee, aan basi hai ankhoon mein
shaid hum nay aaj ghazal see baat likhi hai ankhoon mein

jaisay aik asaami larki mandar kay darvaazay par
shaam diyoon ke thaal sajaye jhaank rahi hai ankhoon mein

iss romaal ko kam mein laoon apni palkain saaf karoo
mayla mayla chand nahi hai dhool jami hai ankhoon mein

parhta ja yeh manzar nama zard azeem paharoon kaa
dhoop khili palkoon kay opar, baraf jami hai ankhon mein

mein nay aik novell likha hai anay wali subah kay naam
kitni ratoon jaga hono, neend bhari hai ankhoon mein

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:34 AM
sakoon mahal hai Amjad wafa ke rastay main
kabhi charagh jalay hain hawa ke rastay main

najaney ab ke baras khaitiyoon pe kya guzray
kai pahar kharay hain hawa ke rastay main

qadam qadam pe qadam larkhray jatay hain
butoon ke dhair lagay hain Khuda ke rastay main

diar-e-ahle mohabbat main kis nay di awaz
hazar saaz bajay hain sada ke rastay main

siway dard-e-mohabbat, bajuz ghubar-e-safar
koi rafiq na paya wafa ke rastay main

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:35 AM
وہ دلاور جو سیاہ شب کے شکاری نکلے
وہ بھی چڑھتے ہوئے سورج کے پجاری نکلے


سب کے ہونٹوں پہ مرے بعد ہیںباتیں میری!
میرے دشمن میرے لفظوں کے بھکاری نکلے


اک جنازہ اُٹھا مقتل سے عجب شان کے ساتھ
جیسے سج کر کسی فاتح کی سواری نکلے


ہم کو ہر دور کی گردش نے سلامی دی ہے
ہم وہ پتھر تھے جو ہر دور میں بھاری نکلے


عکس کوئی ہو خدوخال تمہارے دیکھوں
بزم کوئی ہو مگر بات تمہاری نکلے


اپنے دشمن سے میں بے وجہ خفا تھا محسن
میرے قاتل تو میرے اپنے حواری نکلے

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:35 AM
Main Bhula Chuka Sabhi Waastey Jo Thay Manzilon Ke Hasool Mein
Mairi Manzilon Ke Hasool Mein Teri Raah Aaye To Kya Karoon

Jo Pukaarta Tha Her Aik Gharri Jo Jurra Tha Dil Say Larri Larri
Koi Shaks Aisa Ager Kabhi Mujhey Bhool Jaye To Kya Karoon

Kabhi Saath Tha Jo Ke Doo-ba-Doo Tha Humesha Mairey Hi Ru-ba-Ru
Jo Barrha Raha Tha Qadem Mairey Woh Hi Dagmaga jaye To Kya Karoon

Woh Charaagh-e-Dar Jo Jala Kabhi Main Bujha Chuka Hoon Magar Kabhi
Ke Bujha Huwa Bhi Diya Ager Maira Ghar Jalaye To Kya Karoon

Mainey Aks Tak To Mitta Diye Sabhi Aainey Bhi Chupa Diye
Tujhey Daikhta Koi Door Say Mairey Pass Aaye To Kya Karoon

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:36 AM
Hamay koi gham nahin tha, gham-e-aashqi say pehlay,
Na thi dushmani kisi say, teri dosti say pehlay !

Hai yeh meri badnaseebi tera kya kasoor ismay,
Teray gham nay maar daala mujhay zindagi say pehlay !

Mera pyaar jal raha hai aray chaand aaj chup jaa,
Kabhi pyaar tha hamay bhi teri chaandni say pehlay !

Main kabhi na muskarata jo mujhay yeh ilm hota,
Ki hazaron gham milengay mujhay ik khushi say pehlay !

Yeh ajeeb imtehaan hai ki tumhi ko boolna hai,
Milay kab they is tarah hum tumhay bedilli say pehlay !

Hamay koi gham nahin tha, gham-e-aashqi say pehlay,
Na thi dushmani kisi say, teri dosti say pehlay !

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:36 AM
Woh Naam Mera Hi Toh Hota Hai

Haatheli par jise likhti mitati ho
Woh naam mera hi to hai
Mehndi jiske naam ki rachai hai tune
Woh naam mera hi to hai

Sunke jisko palke teri jhuk jaati hai
Woh naam mera hi to hai
Dil pe tere jo naam likha hai
Woh naam mera hi to hai

Tere honthon pe jo kaanp raha hai
Woh naam mera hi to hai
Dhadkan mein jo teri gunj raha hai
Woh naam mera hi to hai

Apna naam jisse joda hai tune
Woh naam mera hi to hai
Tere naam ke bina jo adhura hai
Woh naam mera hi to hai.......

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:37 AM
Chehray pe mere zulf ko phailaoo kisi din
Kia rozz garajtay ho, baras jao kisi din
Razon ki terha utro mere dill main kisi shab
Dastak pe mere haath ki khul jao kisi din
Pairron ki terha husn ki barish main naha loon
Badal ki terha jhoom k gher aoo kisi din
Khushboo ki terha guzro mere dill ki galii se
Phoolon ki terha mujh pe bikher jao kisi din
Guzrain Jo mere gher se tu ruk jain sitaray
Is terha meri raat ko chamkaoo kisi din
Main apni her aik saans usi raat ko de don
Ser rakh k mere seenay pe so jao kisi din.....

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:37 AM
Woh din jab hum saath raha karte the
Saath hansa karte the, saath raha karte the
Woh waqt tha sunhera, woh tha tera aur mera
Woh pal woh din woh kal, bit gaya jaldi
Jiski yaadon ne aankho mein nami bhardi
Woh waqt tha sunhera, woh tha tera aur mera
Tera woh ghussa tera woh pyar phir yaad aaya hai
Dil ne aaj phir us yaadon ko dohraya hai
Woh waqt tha sunhera, woh tha tera aur mera
Dil ne un yaadon ko sambhala hai aaj bhi
Tum mere saath nahi par dil mein ho aaj bhi
Woh waqt tha sunhera, woh tha tera aur mera
Yaad kar mujhe gar aankh teri bhar aaye to rona nahi
Tujhe kasam hai meri, us waqt ki yaadon ko khona nahi
Woh waqt tha sunhera, woh tha tera aur mera...

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:38 AM
na wo fiker hai na wo shairy na qalam mein wo tabo-taab hai
main likhun to kaisay gazal likhun mera zehn zere-ataab hai

jo chaman mein bad-khazan chali wo chaman ka husn bhileygaee
na bahar misle bahar hai na gulab misle gulab hai

jo naqab rukh se juda huee nigah-e-harees bhi waa huee
mere dil ko jis ki talash thi ye wahee to jan-e-shabab hai

jo na sajda-haaye khulose ho ussay sajda kahna hai kab rawa
ke khulose hi to namaz hai ke khulose mein sawaab hai

wahi intezaar ke rozo-shub wahi justaju hai wahi thakan
meri zindagi bhi nesaab hai teri zindagi bhi nisaab hai

mera humnawa mera humsafer sar-e-raah milta to hay mager
na salaam hai na kalaam hai na sawaal hai na jawaab hai

yahan aik lamha bhi jabr se kisi taur kam nahin dosto
ke qadam qadam pa saleeb hai ke qadam qadam pa azaab hai

naye jang ki naee aag phir kisi pal kahin na bharak uthay
wo azaan-e-amn to day koi jo faridi kaar-e-sawaab hai...

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:38 AM
Katoon si chubhti hai Tanhai
Angaroon si sulagti hai Tanhai
Koi aa kar hum dono ko hunsa de
Main rotii hoon rone lagti hai Tanhai
Jab bhi tere Hisar se nikalna chaha
Yaadoon k beej bone lagti hai Tanhai
Raat k kisi hise main yeh bhi Bewafa ho jati hai
Main nahi sotii sone lagti hai Tanhai
Tum se judaa ho kar is se hi Dil laga lia hai
Mar sI jatii hoon jab khone lagti hai Tanhai....

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:39 AM
Sath roti thi mery,sath hasa karti thi,
Wo larki jo mery dil mein basa karti thi !!

Meri chahat ki talabgar is darja thi k wo,
Musalay pe namazun mein dua karti thi,

Ik lamhy ka bicharna bhi gira tha usko,
Rotay huy mujhko khud sy juda karti thi,

Mery dil mein raha karti thi dharkan ki tarah,
Aur saaye ki tarah sath chala karti thi,

Rog dil ko laga bethi anjany mein,
Meri aaghosh mein marny ki dua karti thi,

Baat kismat ki hai FARAZ !!
Juda hogaye hum , warna wo tou mujhe taqdeer kaha karti thi !!
Warna wo tou mujhe taqdeer kaha karti thi…….!!!

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:39 AM
Kitne haseen the who pal,
Jinhe yaad karte hai hum har pal.
Kise pata tha ke yeh bhi din aayenge,
Jinme hum na tumhe payenge.
Jeete the hum tab bhi aur jeete hain aaj bhi,
Bas itna hai ke bhool gaye jeene ka maqsad hi.
Khwaab tab bhi dekhte the , Khwaab aaj bhi dekhte hain,
Bas itna hai ke inme aaj khud ko tadapta dekhte hain.
Sham tab bhi hoti thi , Sham aaj bhi hoti hai,
Bas itna hai ke suraj ki jagah khud ko doobta dekhte hain.
Chand aur tare jab bhi the , Chand aur tare aaj bhi hain,
Bas itna hai ke inki roshni me khud ko jalta dekhte hain.
Humrahi tab bhi tha, Humrahi aaj bhi hai,
Bas itna hai ke mera humsafar aaj tu nahi hai.....

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:39 AM
Tum Sey Kitna Pyar hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo
Na Yaqeen Aaye To Phir Dil Badal Ke Dekh Lo

Hum Ne Apni Har Saanss Per Naam Tera Likh Dia
Ek Tujhe Paane Ki Khatir Khud Ko Pagal Kar Dia

Ishq Me Tum Bhi Sanam Hadh Se Guzar Ke Dekh Lo
Tum Sey Kitna Pyar Hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo

Jaane Kyun Saare Jahaan Se Ho Gayi Bekhabar
Jab Se Tum Ankhoon Me Aaye Jaagti Hai Ye Nazar

Apny Ratoon Se Meri Ratein Badal Ke Dekh Lo
Tum Sey Kitna Pyar Hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo....

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:40 AM
Kabhi kuch baat kehdena or kehna chalo chhoro
Kabhi kuch kehte - kehte keh dena chalo chhoro

Yeh ada'ain tumhari khaas lagti hain na janay kyun
Kabhi socha k keh dalun kabhi socha chalo chhoro

Jatana bhi nahi aata keh yeh tumse kaisa rishta hai
Tumharay sath chalta main, phir socha chalo chhoro

Meri beqarari ka aalam kya hai kise jakar bataun main
Tha ye socha tumko bataunga phir socha chalo chhoro

Kha'hish hai yeh meri tumhain jee bhar kar daikun main
Tumhari tasweer banata main, phir socha chalo chhoro

Jo tum rooth jao gee to ghazal keh kar mana lunga
Aisay jo manaoon to kehti ho achchha chalo chhoro

Rahe gi ummeed jab tak yeh hamaray eik honay ki
Dar hai tum keh na do ummeed ko chalo chhoro......

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:40 AM
Agar roone ko ji chahe tu ham roo b nahi sakte
Tume pa bi nahi sakte tumhe kho bi nahi sakte

Khawahish hai ke dil ka ujhala pan har dam rahe qayam
Magar ye daag-e-hijran hai jinhe dho bi nahi sakte

Ajeeb sa khauf hai raaton main dil tanha musafir hai
Jagaye khud ko na jaage ke ham soo bi nahi sakte

Tumhara samna hote hi kia ho jata ham ko?
Ke kuch kehna bi hai mushkil tu chup ho bi nahi sakte....

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:41 AM
Sadion say jaagi aankhon ko ek baar sulanay aa jao
Mana k tum ko pyar nahi nafrat hee jatanay aa jao

Jis mor pay hum ko chor gaye hum baithay ab tak soch rahay
Kya bhool hui kyou juda huway bus yeh samjhanay aa jao

Har lamha teri furqat mein hum tarsay rahay
Meri manoo tum is dil ko kuch pal behlanay aa jao....

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:41 AM
Mohhabat Ka ghum hota bohut Hai,
K ab Ye Lafz Bhi Ruswa bohut Hai,

Udasi Ka Sabab Main Kiya Bataon?
Gali Kochon Mein sannata bohut Hai,

Na milne Ki qasam Kha K Bhi Main Ne,
Tujhe Har Raah Mein dhunda bohut Hai,

Ye Aankhein Aur Kiya Dekhein Kisi Ko,
Inn Aankhon Ne tujhe Dekha bohut Hai,

Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hein Aanso,
Shayid mujhe Rona bohut hai,

Tujhe maloom To hoga mere humdum,
Tujhe Aik Shakhs Ne Chaha bohut hai.!!!

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:42 AM
Iss baar kuch aisa mein chahta hoon
Tum ko apna banaana chahta hoon

Bhula kar apne sab gham
Tumhe dilse apnana chahta hoon

Tumhe tumhari ijazaat se
Apne dil mein basana chahta hoon

Apne naam k saath joar kar tumhara naam
Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon

Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane
Tumhe har dua mein mangna chahta hoon

Ho jaao tum meri aur main tumhara
Harr pal bas yehi ehsaas chahta hoon

Tum se hi ki bass mohabbat main ne
Apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon

Karta hoon aaj main ye iqraar
Main bass tumhe bass tumhe hi chahta hoon

Haq ke saath kahoon tumhe main apna
Tumse bass aaj main yehi raza chahta hoon.........

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:42 AM
Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega
Itna Mat Chaaho Use Wo Bewafa Ho Jaayega

Hum Bhi Dariya Hain Humein Apna Hunar Maloom Hai
Jis Taraf Bhi Chal Parainge Raasta Ho Jaayega

Kitni Sachchai Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya
Tu Nahin Mera To Koi Doosra Ho Jaayega

Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Raha Hoon Dosto
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jaayega

Sab Usi Ke Hain Hawa, Khushboo, Zameen-o-Aasmaan
Main Jahan Bhi Jaaoonga Us Ko Pata Ho Jaayega

Rooth Jaana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar
Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho JaaYEGA.....

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:42 AM
Sadion say jaagi aankhon ko ek baar sulanay aa jao
Mana k tum ko pyar nahi nafrat hee jatanay aa jao

Jis mor pay hum ko chor gaye hum baithay ab tak soch rahay
Kya bhool hui kyou juda huway bus yeh samjhanay aa jao

Har lamha teri furqat mein hum tarsay rahay
Meri manoo tum is dil ko kuch pal behlanay aa jao....

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:43 AM
Iss baar kuch aisa mein chahta hoon
Tum ko apna banaana chahta hoon

Bhula kar apne sab gham
Tumhe dilse apnana chahta hoon

Tumhe tumhari ijazaat se
Apne dil mein basana chahta hoon

Apne naam k saath joar kar tumhara naam
Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon

Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane
Tumhe har dua mein mangna chahta hoon

Ho jaao tum meri aur main tumhara
Harr pal bas yehi ehsaas chahta hoon

Tum se hi ki bass mohabbat main ne
Apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon

Karta hoon aaj main ye iqraar
Main bass tumhe bass tumhe hi chahta hoon

Haq ke saath kahoon tumhe main apna
Tumse bass aaj main yehi raza chahta hoon.........

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:44 AM
Uss k honton ka tabassum rahay qayaim “YA RUB”
Uss k jeevan main khushiyon ka basaira ker day…

Tu meri “KARB” ki raaton ko bhalay khatam na ker,
Uss ke her shaam k aakhir mai “SAWAIRA” ker day.

Uss k “DIL” k kisi konay main jaga day mujh ko…
Uss ki “AANKHON” ko meray sapnon say khaira ker day

Yeh meray dil ki dua hay “MERA MOLA SUN LAY”…
Saaaari duniya say chupa ker “USSAY MERA KER DAY”....

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:44 AM
Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man day do
Apni muskurahatain apna bholapun day do
Apni ankhain baksh do apna husn nawaz do

Apna sakhan day do apnay dil ka dhun day do
Tumharay dum say meray jevan mein khushiyain hain bahar hay

Mein kuch kehna chahta hon mujhey tumse mohabbat hay, mujhey tum se pyar hay
Meri in khuwahishon ko umid ki koi kiran day do

Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man daydo
Tumhary siwa koi nahi meri soch, meray giyan mein
Meray as pas, meray door tuk, meray thory say wajdan mein

Mein nay zara si khushbo mangi hay kub kaha chaman daydo
Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man daydo

K jub tum door chalay jao koi to tanhai mein sahara ho
Tumhari zaat say mansoob kuch to hamara ho
Mujhey meray khuwab mujhey meray dulhan day do

Meri zindagi lay lo mujhey apna daman day do
Agar apni zaat say kuch bhi daina nahin chahtay
Mujhey apnay dukh apni aakhon ko sawan day doo...

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:45 AM
Maghroor hi sahi--mujhey acha bohot laga
Wo ajnabi toh tha magar apna bohot laga

Rootha hua tha--hans toh dia mujh ko daikh kar
Mujh ko toh is qadar bhi dilaasa bohot laga

Sehra mein jee raha jo darya dili kay saath
Daikha jo ghor say toh wo pyaasa bohot laga

Wo jis kay dum qadam say thin basti ki ronaqain
Basti ujadh gai toh akaila bohot laga.....

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:45 AM
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN

Yaadon ke khuwaab dikhati hain

Mujhe saari raat jagati hain

Kab Dil ke raaz chhupati hain

Palkon ke dareeche kholti hain

Kuch apni zaban main bolti hain

Bas apni baat manwati hain


YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN

Ek aan main faisla karti hain

Yeh kab ruswayi se darrti hain

Yeh ghungroo baandh nachati hain

Her waqt yeh jaagti rehti hain

Ek khoj main bhaagti rehti hain

Thak haar ke wapis aati hain

YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIn.....

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:46 AM
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya

Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya

Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya

Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki
Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya.... .

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:47 AM
Mumkin ho aap se to bhula dijiyey mujhay
Pathar pe hoon lakeer, mita dijiyey mujhay
Hur rooz mujh se taaza shikayat hai aap ko
Main kia hoon, aik baar bata dijiyey mujhay

Mere siwa bhi hai koi mozoo-e-guftugu
Apna bhi koi rang dikha dijiyey mujhay
Main kia hoon, kis jagah hoon, mujhay kuch khabar nahin
Hain aap kitni duur zara sada dijiyey mujhay

Ki main ne apne zakham ki tash'heer ja baja
Hum mantey hein jurm, saza dijiyey mujhay
Qaim to ho sakey koi rishta ap key saath
Gehre samandaroon main baha dijiyey mujhay

Shab bhar kiran kiran ko tarasnay se faida
Hai tairgi to aag laga dijiyey mujhay
Jaltey dinoon main khud pas-e-deewar baith kar
Saaye ki justuju main laga dijiyey mujhay

Youn to shoola-e-jaan sard ho chuka
Laikin sulag uthoon to hawa dijiyey mujhay......

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:47 AM
Ghar Maum Ka Pehleh To Banaaya Nahin Jata
Bann Jaaye To Suraj Sey Bachaaya Nahin Jata

Marzi Hai Samundar Ki Dubbo De Ya Bachaa Ley
Takkat Pe Koi Hukamm Chalaaya Nahin Jata

Mein Apney Gareeban Mein Agar Dekhoon To Mujh Sey
Ilzaam Kissi Par Bhi Lagaaya Nahin Jata

Mill Jaaye Agar Peissa To Uthaa Letey Hein Pull Bhi
Insaane Gira Hum Sey Uthaaya Nahin Jata

Sachayi Ko Yeh Jhoot Bhala Keissey Mitaaye
Phoonkon Sey To Khursheed Bhujaaya Nahin Jata

Abb Baat Nahin Aahoon Ki Cheekhon Ki Hai ae Dost
Abb Mujh Sey Mera Dard Chupaaya Nahin Jata

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:53 AM
"meri Ankhon ke samandar mein jalan kaisi hai…
Aaj phir dil ko tarapne ki lagan kaisi hai…

Ab kisi chahat pe charagon ki qatarein bhi nahin…
Ab tere shehar ki galiyon mein ghutan kaisi hai…

baraf ke roop mein dhal jayeinge sare rishtey…
mujh se poochho muhabbat ki Agan kaisi hai…

mein tere wisaal ki khuwahish ko na marne doonga…
mausam-e-hijar ke lehje mein thakan kaisi hai…

rehguzaron mein jo banti rahi kaanton ki rida…
us ki majboor si aankhon mein kiran kaisi hai…

Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras aata hai
usey dekho to muhabbat mein magan kaisi hai…

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:53 AM
Jab yaad ka album kholun to kuch log bohat yaad aatay hain,
Main apna bachpan sochun to kuch log bohat yaad aatay hain,

Abb janay kis nagri mein jaa k abaad hain muddat say,
Main raat gaye tak jagun to kuch log bohat yaad aatay hain

Kuch baatain thi phoolon jaisi kuch lehjay khushboo jaisay thay,
Main sehr-e-chaman mein tehloon to kuch log bohat yaad aatay hain,

Woh pal bhar ki narazgi aur maan bhi jana pal bhar mein,
Abb khud say jab bhi roothoon to kuch log bohat yaad aatay hain…

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:54 AM
Bas Itni Si Inaayat Mujh Pe Aik Baar Kijiye
Kabhi Aa Ke Mere Zakhmon Ka Deedaar Kijiye

Ho Jaaiye Begaane Aap Shauq Se Sanam
Aapki Houn Aapki Rahoungi Aitbaar Kijiye

Parhne Waale Hi Darr Jaaen Dekh Kar Isay
Kitaab-E-Dil Ko Itnaa Na Daagdaar Kijiye

Na Majboor Kijiye, Ke Main Unko Bhool Jaoun
Mujhe Meri Wafaaon Ka Na Gunehgaar Kijiye

In Jalte Diyon Ko Dekh Kar Na Muskuraaiye
Zara Hawaaon Ke Chalne Ka Khayaal Kijiye

Karna Hai Ishq Aapse Karte Rahengay Hum
Jo Bhi Karna Hai Aapko Mere Sarkaar,Kijiye

Phir Sapnon Ka Aashiyaan Banaa Liya Hai Maine
Phir Aandhiyon Ko Aap Khabardaar Kijiye

Hamain Na Dekhaaiye Ye Daulatien Ye Shohratien
Hum Pyaar Ke Bhookhe Hain Hame Pyaar Kijiye…..

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:55 AM
tum se nahein milay tou kisi se nahein milay
milna bhi pargaya tou khushi se nahein milay
duniya tou kiya khud se bhi kartay rahay guraiz
jab tak nahein milay kisi se bhi nahein milay
jo baytalab tha uss ki rahi humein talab
jo milna chahta tha ussi se nahein milay
milne ko zindagi mein sabhi kuch mila
tum mil gaye tou log khushi se nahein milay
hum apne dushmanoon say galay mil kar aagaye
jis kay liye gaye thay ussi se nahein milay......

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 08:56 AM
mujhe matti k ghar banany ka shoq tha
usay ashiyanay girrany ka shoq tha
mein khud ussay rooth jata hun aksar
iss liye mujhe roothy huway log manany ka shoq tha
ussy vadoon ki pas-darri pasand nhi thi laikin
mujhe waday nobhany ka shoq tha
mein masroof tha tanhioon ki talash main
ussay logon say milnay millany ka shoq tha
wo bewafa tha iss mein kharat ki kiya baat hai
ujhe be bewafa say dill lagany ka shoq bohat tha

momal ali
02-13-2009, 12:36 PM
wow sm very beautifull collection i mean its awesom man keep sharin kool stuff thnx

ShArArTi MuNdA
02-13-2009, 06:41 PM
wow sm very beautifull collection i mean its awesom man keep sharin kool stuff thnx


Thanks mahum jeee aap last 2 pages b read kerti tu aaapko woh b achi lagtin :) still thanks for visiting :)

ShahTaJ
02-13-2009, 07:56 PM
very nice collection

-|A|-
02-13-2009, 08:29 PM
good yaar

life2
02-13-2009, 10:06 PM
yeh bhi uski inayat hai ke main tanha ho duniya ki mehfilon me
Aaj roshan hai uski zindagi mera chiragh bhujanay ke baad

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 07:15 AM
nice one

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 07:16 AM
Hone Ko Hai Shaam Ghar Chala Jaa
Mumkin To Nahi Magar Chala jaa
Loti Nahi Taairon Ki Sangat
Jaagi Nahi Rah guzar Chala Jaa

Ab tak to Hawa Thami Hui Hai
Saakt Hain Abhi Shajar Chala Jaa
Kia Haal Bana Lia Hai Apna
Kuch Apna Khayal Kar Chala Jaa

Phir Koi Samait ta Nahi Hai
Aise Na Ho Darbadar Chala Jaa
Yaan Khaima-e-Aafiyat Nahi Hai
DUniya Hai Jidhar, Udhar Chala Jaa

Ye Saari Hi Khush Kharamiyan Hain
Koi Nahi Hum Safar Chala Jaa
Ab Aur Hawain Chal Rahi Hain
Ab Kon Hai Naamabar Chala Jaa

Maana Ke tu Jaanta Hai Sab Kuch
Phir Bhi Mere Be Khabar Chala Jaa
Aagay Bhi Hain Manzaron Ke Jhurmat
Jaa Aie Mere Khush Nazar Chala Jaa

Ab Jang Ka Jo Bhi Faisla Ho
Main Hoon Na Mahaaz Per Chala Jaa
Ab Jaa ke Hua Hai ishQ tujh se
Ab tu Mujhe **** Ke Chala Jaa....

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 07:16 AM
zindagi yoon huyi basar tanha
kaafila saath aur safar tanha

apne saaye se chaunk jaate haiN
umR guzri hai is kadar tanha

raat bar bolthe hain sannaaTe
raat kaaTe koi kidhar tanha

din guzartha nahin hai logon meiN
raat hothi nahin basar tanha

humne darwaaze tak tho dekha tha
phir na jaane gaye kidhar tanha...

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 07:18 AM
Teri Aankhon Man Meray Dil Ka Naqsha Ho Bhi Sakta Hay
Jisay Deewar Samjha Hai Woh Rasta Ho Bhi Sakta Hay

Zamana Ghour Say Dekhay Jisay Is Na-Khuda Samjha
Woh Is K Haath Ka Pathar Tarasha Ho Bhi Sakta Hay

Nazar Say Door Reh Kar Bhi Kisi Ki Soch Main Rehna
Kisi K Pass Rehnay Ka Tareeqa Ho Bhi Sakta Hay

Woh Apni Sard Mehri Se Mujhey Had Main To Rakhta Hay
Mera Had Se Guzarnay Ka Irada Ho Bhi Sakta Ha

Bhari Dunya Ka Maila Sath Ho To Kon Si Mushkil
Magar Aik Shakhs Mailay Mein Akela Ho Bhi Sakta Hay

Ye Seedhi Raah Par Chalna Kahan Se Seekh Aaye Ho
Ye Raasta Dosti Ka Hai Ye Terha Ho Bhi Sakta Hay

Mein Apnay Jism-o-Jaan Ko Sath Rehtay Daikh Kar Samjha
Nibhana Ho Jisay Mushkil Wo Rishta Ho Bhi Sakta Hay

Uchalta Thokrain Khata Huwa Paani Ka Aik Dhaara
Teray Dil Tak Pohnchnay Ka Bahana Ho Bhi Sakta Hay

Nikal Kar Band Kamrey Se Zara Bazaar Main Aao
Ager Tum Daikhna Chaho Tamasha Ho Bhi Sakta Hay....

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 07:19 AM
Tujhe sochte sochte shaam hogayi
Meri zindagi tere naam hogayi

Na kaha kabhi kisi se dil ka fasana
Na jane kese jan gaya bedard zamana
Dastaan apne ishq aam hogayi

Agar mili ulfat main tanhai tujhe
Tou mili mohabbat main ruswai mujhe
Aur chahat meri badnaam hogayi

Tum kho gayi ho jane kis nager
Mai'ne dhonda tujhe shehr shehr
Kyun meri har koshish nakaam hogayi

Kabhi kisi baat pe khushi bhi mili
Kabhi in aankhon ko nami bhi mili
Tabish ye umar younhi tamaam hogayi
Meri zindagi tere naam hogayi!!

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 07:20 AM
Tota mera dil sawan k mahenay main
Guzra ab k ye mousam ansu pene main

Dobti houi lagi mujhe meri kashti-e-hayat
jab ja betha woh kisi aur k safeenay main

Juda honay se koi mar nahi jata
lakin maza b nahi aata jeenay main

Shab-e-firaq guzarti hai tanha tanha
takleef hoti hai zehar judai ka pene main

Wohi mere dukhoon ki wajah hai asif
jo dharkan ki tarah rehti hai seene main...

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 07:20 AM
Barhne lage un se taluqat dhere dhere
Dosti main badal gayi ye mulaqat dhere dhere
be chain woh hai to betaab main bi hoon
aaigi laboon per ye baat dhere dhere
woh khud ko itna bebas kyun samjhti hai
badleinge kabhi zaroor halat dhere dhere
tanhai k do pal bant'ti hai mujh se
guzar jati hai batoon main her rat dhere dhere
jis aankh ne kabhi rona nahi seekha
barsti hai teri yad man ab barsat dhere dhere
us mahrukh se hota hoga chand b sharminda
hatati hogi jab woh naqab dhere dhere
un ko dekhnay ki hasrat liye ji raha hon asif
samjhe gi woh bhi mere jazbaat dhere dhere...

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 07:21 AM
youn lagta hai kuch honay wala hai
ye dil koi dost khonay wala hai

dil ne kaha tu bohat hansta hai
daman ko ashkoon se bhiganay wala hai

tou kyun jaag raha hai ab tak pagal
woh to bhula k tujh ko sonay wala hai

tou ne ik din poocha tha kon ho tum?
teri zaat ko khud mein samonay wala hai

Ab apne qalm ko rok le asif
ye gazal parh kar koi ronay wala hai..

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 07:26 AM
jane main kis dehaan mein thi, k maine DIN ko SHAB lika
jo na likhna chahati thi, WOHI maine SUB likha,

khuwab nagar mein chal nikli, jasy sab HAQIQT ho
sapne ko bhi aakhir maine , koi sapna kab likha,

kitne aanso jhalak pare, aur kagaz k ruksar bhigo gay
kisi aandhi tot k aaie , ek lafz MOHABBAT jab LIKHA,

yuon he palak bheeg gai , jane kis ki yaad aaie
jane kiya kiya kuch likha, jane kiya kiya kab likha,

Shaam ki aakhri gariyan thi, jo raat sy milne wali thin
Dunya sy jab haar gai , tu mane" ESM-E RUB likha".

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 07:26 AM
Woh Phool Si Muskurahat Merey Liye Hoti
Woh Masoom Si Shararat Merey Liye Hoti


Main Us Zulf Ki Chaaon Mein So Jaata
Woh Kaali Raat Merey Liye Hoti


Raat Bhar Woh Ghomaati Apna Kangan
Woh Beychayni Woh Betaabi Merey Liye Hoti


Woh Ek Taara Tha Khuley Aasmaan Mein
Ae Kaash Woh Roshni Merey Liye Hoti


Merey Wujood Mein Bhi Zindagi Ka Suraagh Milta
Jo Woh Munawar Nazar Merey Liye Hoti


Rishtaa Kuch To Ban Jaata Apna Bhi
Mohabbat Nahi Na Sahi,Nafrat Merey Liye Hoti...

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 07:31 AM
Wo jo kehti thi mujhay apna, apnna na saki
Rehti thi jis dil ma usay ghar wo, banna na saki

Khati thi qasam sath na choron gi sada
Do pal zindagi ka wo sath, bita na saki

Sari khatain muaf han tujh par meray sajan
Par ya kia zara si bhole meri, bhula na saki

Kehti ha bhole jao mujhay, meray kon ho tum
Roh ko jism ma kuch dair bhi, basa na saki

Dhond usay jo chahay tujhay mujh sa ziada
Bataon kaisa dil ma koi aur kabhi, sama na saki

Shikwa dharkan sa kia karta ha aay raheel
Teri to apni sans bhi tera sath, nibha na saki...

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 07:31 AM
Mujhe Kaamil Yaqeen Hai Tum Meri Ho Jao Gi Ik Din
Tumhare Dil Main UtrUnGa, Muhabbat Ki Sada Ban Kar


Mere Josh-e-Junoon Par Saari Khalqat Mujh Ko Takti Hai
Zara Tum Bhi Nazar Dalo, Na Bhetho U Khuda Ban Kar


Tumhein Ye Raaz Batla Doon, K Aksar Chaand Raaton Main
Tere Aangan MaiN Aata Hoon SitarOn Ki Zaya Ban Kar


Jigar Ka Khoon Laya Hoon Tere Singhar Ki Khaatir
Hatheli Per Racha Lena Ye MehkeGa Heena Ban Ker


Tumhein Jab Yaad Karta Hoon To Kese Jaan Sulagti Hai
Tumhein Bhi Taras Aaye Ga Kabhi Socho 'asif' Ban Ker

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 07:31 AM
Main Nay Tum Ko Yaad Kia
Chahat Kay Is Dharay Per,
Darya Or Kenaray Per
DIL Ko Aaj Azaad Kia ,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,

Tanhaee Ke Ratoon Main,
Khud He Batoon Batoon Main
Is DIL Ko Yoon Shaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,

Jab Say Tum Ko Dekha Hay,
Jab Say Tum Ko Chaha Hay,
Har Ak Pal Faryaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,

Is Jewan Kay Nesaaboon Main,
Or Ratoon Kay Khawaboon Main,
Jaag Kay Bhi DIL Shaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,

Phool Yah Khilnay Say Phelay,
Tum Ko Milnay Say Phelay,
Khud Ko Tu Barbadd Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia...

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 07:33 AM
main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta
iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta

chahata hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mei apna waqt bekar nahi karta

tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta

jo kuch mila hai usi mei khush hoon main
tere liye khuda se taqraar nahi karta

par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 07:34 AM
Tere Qareeb Aake Bari Uljhanoun Mein Houn
Mein Dushmanoun Mein Houn Ke Tere Dostoun Mein Houn

Mujh Se Gurez-pa Hay Tou Har Raasta Badal
Mein Sang-e-Raah Houn Tou Sabhi Raastoun Mein Houn

Badla Na Merey Baad Bhi Mozo-e-Guftugu
Mein Ja Chuka Houn Phir Bhi Teri Mehfiloon Mein Houn

Mujh Se Bichar Ke Tu Bhi Tou Royega Omar Bhar
Ye Soach Le Ke Mein Bhi Teri Khawahishoon Mein Houn....

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 07:35 AM
Dil k Sannatoun Main Rehnay Walay Tanha Tum He Nahi
Tanhaie Say Batain Kerney Walay Tanha Tum He Nahi

Is Ishq Nay Berbaad Kiya Hai her Shaks Ko,
Is Ishq Main Bikhernay Walay Tanha Tum he Nahi


Kehnay Ko To Faqat aik Dil He Tota Hai,
Apna Sub Kuch Lutanay Walay Tanha Tum He Nahi,

Hasntey Huway Chehrey Hain Yahan Sub K,
Derd Yun Chupanay Walay Tanha Tum He Nahi

Shab_E_Tanhaie Ki Dastaan Aik See Hai Sub ki
Andheroon Main Rehnay Walay Tanha Tum he Nahi

Aisa Lagta Hay Aik Saza Ho Zindagi Meri,
Is Qaid Main Rehnay Walay Tanha Tum He Nahi,

Is Sheher Main Aur Bhe Dewanay Hain "*****"
DER DER Bhatakney Walau Tanha Tum He Nahi....

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 07:41 AM
Dayar-e-ghair main kesay tumhein sada detay
tu mil bhi jata tujhay gawa detay
tumhe nay hum ko sunaya na apna dukh werna
dua vo kertay k hum aasman hila detay
humain ye zom raha aab k woh pukarain gay
unhain yeh zid thi k her baar hum sada detay
woh tera ghum tha k taseer meray lehjay ki
k jis ko haal sunatay usay rula detay
tumhain bhulana he awal tu dastaras main nahi
jo ikhtiyar bhi hota tu kiya bhula detay??
samaaton ko main taa umer kosta shayad
woh kuch na kehtay magar honth tu hila detay...

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 07:46 AM
Jis kaa koi hasil nahi aisa ek khawab dekha tha
Raat hathoon main apnay ek mahtab dekha tha

Shab bhar khushi say jagee rahi hain aankhain
Aaj pehli bar apnay liyey usay baytaab dekha tha

Aab k bahar main bhi woh zard sa dikhaee diya
Khiza'n rut main b jis chahray ko gulab dekha tha

Jo sab kuch hee baha ker saath lay gia hai maraa
Dil kay darya main aisaa aik sailaab dekha tha

Aaj yoonhi choti see maat pay roya hai dair talk
Ye dil jisay baray baray dukhoon per shadab dekha tha

Dunya poochay taray dil kee busti kia howi Ghazal
Kaha!nahi maloom,ek baar usay zair-e-aab dekha tha....

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 07:46 AM
Zindagi hai ek safar aur yeh safar mushkil main hai
Iss safar main har musafir koshish-e-manzil main hai

Jis sukun-e-dil ki khatir mehfilen sab dekh lein
Woh sukun-e-dil kahin hai to teri mehfil main hai

Hain chaman main khaar hi bikhrey huay charon taraf
Intizar-e-fasle gul hai aur chaman mushkil main hai

Bekhudi mein main ne bhi duniya se tora waasta
Zindagi meri usi din se badi mushkil mein hai

Ek nazar main jaan ley kar mujh se boley “kya hua”
Ai khuda yeh bholpan to bas merey qatil main hai

Josh main aab-e-rawan ek taiz dhara hi bana
Meri kashti doobne ko halqa-e-saahil main hai

Masjid main aake kisqadar rahat mili Aye dil na poochh
Ab to khuda ka saath hai us ki raza iss dil main hai

Door hai manzil agar to kyon pareshan ho
Lazzat-e-sehra nawardi doori-e-manzil main hai...

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 07:53 AM
MuHabbat ke anokhe they sabhi andaaz, kya karte?
Rahay hum bhi gurezaaN, aap bhi naaraaz, kya karte?

Sanam tujh se muHabbat ka bhala aaghaz kya karte
LaboN per baat ayi, par na thi aawaaz kya karte?

Mire aHbaab kyaa karte, mire dam-saaz kyaa karte?
Mujhe jab dard hi tha raas, chaara-saaz kya karte?

Hujoom-e-shehr me hum kho gaye kuch chain paane ko
Akele me satati thi tiree aawaaz kya karte?

Dil-e-naazuk hamara us ne pal me torr Daala tha
Usey bhaati thi TooTe kaanch ki aawaaz, kya karte?

Ham us ke saamne chup saadh kar baiThaa kiye, phir bhi
"Jafaa-kaarii se pesh aaya woh Heelaa-saaz, kyaa karte?"

Saja kar sau tabassum aik Ghum tum se chupati thi
Magar ANMOL ke tum jaan kar woh raaz, kya karte?

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 07:53 AM
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa

pahle se maraasim na sahii phir bhii kabhii to
rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa

kis kis ko bataayenge judaaii kaa sabab ham
tuu mujh se khafaa hai to zamaane ke liye aa

kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
tuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aa

ek umr se huun lazzat-e-giriyaa se bhii mahruum
ai raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa

ab tak dil-e-khushfaham ko tujh se hain ummiiden
ye aakhrii shammen bhii bujhaane ke liye aa

maanaa ki muhabbat kaa chhipaanaa hai muhabbat
chupke se kisii roz jataane ke liye aa

jaise tujhe aate hain na aane ke bahaane
aise hii kisii roz na jaane ke liye aa

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 07:53 AM
Har Shaksh Keh Raha Hai Tujhay Dekhnay K Baad
Daawaa Mera Baja Hai Tujhay Dekhnay K Baad

Hum Aa K Terey Shehar Say Wapis Na Jayein Gain
Yeh Faislaa Kia Hai Tujhay Dekhnay K Baad

Sajda Karoon K Naqsh-E-Qadam Choomta Rehoon
Gar Ka'abaa Ban Gaya Hai Tujhay Dekhnay K Baad

Kehtay Thay Tujh Ko Log Maseehaa Magar yahan
Ek Shaksh Mar Gaya Hai Tujhay Dekhnay K Baad

Sajdaa Tujhay Karoon Ga Tu Kaafir Kahain Gain Log
Yeh Kon Soochta Hai Tujhay Dekhnay K Baad..

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 07:54 AM
Phir Kisi Yad Nay Shab Bhar Hay Jagaya Mujh Ko
Kiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh Ko

Din Ko Aaram Hay Na Rat Ko Hay Chain Kabhi
Janay Kis Khaak Say Qudrat Nay Banaya Mujh Ko

Dukh To Yeh Hay Keh Zamanay Main Milay Ghair sabhi
Jo Mila Hay Woh Mila Ban K Paraya Mujh Ko

Jab Koi Bhi Na Raha Kaandha Meray Roonay Ko
Ghar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh Ko

Yoon To Umeed-e-Wafa Tum Say Nahin Hay Koi
Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko

Bewafa Zindagi Nay Jab Chorh Diya Hay Tanha
Maut Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh Ko

Mein Woh Diya Hon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha Kabhi
Gham Ki Aandhi Nay Sar-e-Sham Bujhaya Mujh Ko ............

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:00 AM
mujhay hayratooN se hai wasta meray dil ka qisa ajeeb hai
jo visaal ruut maiN bichar gaya wo tu jaaN se be qareeb hai

mujhay hosh tha tu khbar na the maiN jano'N maiN tha tu pata chala
wo jo meray dil ka makeeN hai wohi jism-o-jaaN ka haseeb hai

tujhay janta be nahi koi mera haraf haraf hai mu'etbaR
tujhay zar mila mujhay shuhratiN ye be apna apna naseeb hai

mujhay kon tuj se raha'ee day mujhay apna ap dekha'ee day
meray dil maiN ab bhi ghari huiwe teri arzoo ki saleeb hai

maiN mohbatooN ka safeer hooN mera kaam khushbo bakhairna
nahi is se koi be muamla k WO door hai ya qareeb hai

mujhay zinghi maiN sakooN milay yehi arzoo hai meray Khuda
mujhay teeraghi se najat day k tu roshni ka naQeeb hai

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:00 AM
kabhi ansoo kabhi khushi baychi
ham gareebon nay baykasee baychi
chand saansay khreednay k lia
roz thori si zindagi baychi
jab rulanay lagay mujay sayay
mehnay ukta kay roshni baychi
ek ham thay k bik gaye khud hi
warna duniya nay to dosti baychi.....

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:01 AM
Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay
Main Nay Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay
Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana
Aisay Main Kahan Jao Gay Bersaath Bohot Hay
Wo Keh Nay Lagay Jana Mera Bohot Zarori Hay
Nhi Chahti Dil Toron Tera Per Majboree Hay
Ger Hoi Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena
Main Nay Kaha Hojao Chup Itni Kahi Baat Bohot Hay
Samajh Gaya Hon Sab Aur Kuch Kaho Zarori Nhi
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zarori Nhi
Phir KAbhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Lot Ke
SARI ZINDAGI TANHAYEE KE LIYE AAJ KI RAAT BOHOT HAY...

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:01 AM
Deyar-e-noor main tera shaboon ka sathi ho
Koi to ho jo meri vehshatoon ka sathi ho

Main uss se jhoot bhi boloon to mujh se sach bole
mere mazaj kay sab mousmoon ka sathi ho

Main uss k hath na aoon woh mera ho kar rahe
main girr paroon to meri pastiyoon ka sathi ho

Woh mere naam ki nisbat se mootaber thehray
gali gali meri ruswaiyoon ka sathi ho

Kare kalaam jo mujh se to mere lehjye mein
main chup rahoon to mere taywaroon ka sathi ho

Main apny aap ko dekhoon who mujh ko dekhye jaye
woh mere nafss ki gumrahiyoon ka sathi ho

woh khawab dekhye to dekhye mere hawale se
mere khayal kay sab manzroon ka sathi ho

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:05 AM
Jo aansu na hote aankho me...


Jo aansu na hote aankho me
to aankhein itni khubsurat na hoti


jo dard na hota dil me
to khushi ki koi qeemat nahi hoti

jo bewafai na ki hoti waqt ne
to wafa ki kabhi chahat na hoti

agar sochne se hojati mohobbat ki muradein
to DUA ki kabhi Zarurat na hoti..

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:05 AM
Yaad_e_nishani


Kuch yaad_e_nishani de ja
Wo rut mastni de ja

tuje bhool k b na bholo
kuch aisi kahani de ja

tere aagan me jo dhondta hoo
wo yaad_e_purani de ja

tere ane se loot ai thi jo
wo saba suhani de ja

teri sanso ka meri sanso se jo
wo sanjok_e_tarjamani de ja

tere jane se ro sako ASIF
wo ankho ka pani de ja...

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:06 AM
ye jo diwane se do char nazar ate hain
in mein kuch sahib-e-asrar nazar ate hain

teri mahfil ka bharam rakhte hain so jate hain
werna ye log to bedar nazar ate hain

dur tak koi sitara hai na koi jugnu
marg-e-ummid k asar nazar ate hain

mere daman mein shararon k siwa kuch bhi nahin
ap phulon k kharidar nazar ate hain

kal jise chu nahin sakti thi farishton ki nazar
aj wo raunaq-e-bazar nazar ate hain

hashr mein kaun gawahi meri dega ****'
sab tumhare hi tarafdar nazar ate hain...

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:10 AM
Dil Mein Bikhray Hue jalon Se Preshan Na Ho
Mere Guzray Hue Saalon se Preshan Na Ho



Meri Awaz Ki talkhi Ko Gawara Kar Le
Mere Gustakh Sawalon Se Preshan Na Ho



Dekh Yun Door Na Ho Mujh Ko Laga Le Dil Se
Tu Meri Rooh Ke Chalon Se Preshan Na Ho



Khud Ko Veeran Na Kar Mere Liye Meri Jan
In Preshan Khayalon Se Preshan Na Ho...

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:10 AM
Kya Kya Batain Woh apni Tehreer main likhti hai
Aik naii Taqdeer meri Taqdeer main likhti hai

Woh aisi hamdard ke apnay Pyaar ke saray Alfaaz
Meray Haathoon ki aik aik lakeer main likhti hai

Koi Raaz chupana shayaad pasand nahin usay
Woh apna har khuwab khuli Tabeer main likhti hai

Main us ka aik maan-chaha Qaidi hoon isi liye
Naam mera woh Zulfoon ki Zanjeer main likhti hai

Bool uthay aik aik Ta'assur us ke Chehray se
Sari kahani woh apni Tasweer main likhti hai

Khoob Chehekti hai woh Khat ke pehlay his'say main
Laikin Dil ki Sacchi baat aakhir main likhti hai

Jis Khoobi se pehchana jaye koi shakhs iShQ
Qudrat woh Khoobi KhooN-e-Khameer main likhti hai...

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:10 AM
bdnam zamany mei mohabbat nahi karty
dil waly to dushman sy b nafrat nahi krty

ik bar jisy chaha sada is k rahay phr
hm log amanat mei khayant nahi krty

tanhai mei kar lety hen yad anson baha kr
zahir hum apni ebadat nahi krty

waqt aany par maloom ye ho jae ga tm ko
hum sirf dikhaway ki mohabbat nahi krty

likhty hein faqt ik tumhary liye ghazlain
hr shaks par hum aesi enayat nahi krty

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:11 AM
Mere hamsafar teri nazar hain meri umr bhar ki yeh dolatain
mere shair meri sadaqatain meri dharkanain meri chahatain

tujhay jazb karlon lahu main main ke firaq ka na rahe khatar
teri dharkanon main utar don main yeh khwab khwab rifaqatain

yeh ridaye jaan tujhay sonp don ke na dhoop tujhko kari lage
tujhay dukh na dain mere jeete ji sar e dasht gham ke tamazatain

meri subah teri sada se ho meri shaam teri zia se ho
yehi tarz pursish e dil rakhain teri khushbuon ki sifaratain

koi aisi bazm e bahar ho main jahan yaqeen dila sakon
ke tera hi naam hai fasl e gul ke tujhi se hain ye karamatain

tera qarz hain mere roz o shab mere paas apna to kuch nahen
meri rooh meri mata e fan meri saans teri amanatain......

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:11 AM
Aaya tha ghar saNvaarane ehasaan kar gayaa

barbaadiyon kaa aur bhii saamaan kar gayaa

ab tak rahii us kii yaad merii zindagii ke saath

do char pal kii mujh se jo pahachaan kar gayaa

aaNkhon ne jis ke shauq men raaten sajaaiy thiin

Khvaabon ke anjuman vahii viraan kar gayaa

jhonkaa nasiim-e-subah kaa aayaa to thaa magar

gul_shan kii har kalii ko pareshaan kar gayaa

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:19 AM
Apne haathon se yuuN chehare ko chhupaate kyon ho

mujh se sharmaate ho to saamane aate kyon ho

tum kabhii merii tarah kar bhii lo iqaraar-e-vafaa

pyaar karate ho to phir pyaar chhupaate kyon ho

ashk aaNkhon men merii dekh ke rote kyon ho

dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kyon ho

in se vaabastaa hai jab meraa muqaddar phir tum

mere shaanon se ye zulf haTaate kyon ho

roz mar mar ke mujhe jiine ko kahate kyon ho

milNE aate ho to phir lauT ke jaate kyon ho.....

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:20 AM
Tum bhi khafaaa ho log bhi barham hien dostoo
ab ho chala yaqeen keh buray hum hien dostoo

kiss ko hamaray haal say nisbat hei kya kahiennn
aankhien to dushm-non ki bhi pur-nam hien dostoo

apnay sivaa hamaray naa honay ka gham kisayy
apnii talasshh mien to hmee hum hain dostoo

kuch aaj shaam hi say hei dil bhi bhujaa bhujaa
kuch shahar key charaagh bhi madhham hien dosto

iss shahar-e-aarzoo say bhi baahir nikal chaloo
ab dil kii rounqain bhi koi dam hien dostoooooo

sub kuchh sahii ASIF per itnaa zaroor hAI
dunyaa mein aesay log bohat kam hien dostooo

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:22 AM
Mein so jau to khuwabon me ho tum
Mein jaagu to mere khyalo me ho tum

Mein nazar uthau to meri ankhon me ho tum
Mein chalu to meri manzil ho tum

Mein likhu to mera qalam ho tum
Mein parhu to meri ghazal ho tum

Mein gungunau to mera geet ho tum
Mein sunau to meri daastan ho tum

Mein dhoop me hu to mera saibaan ho tum
Mein raat me hu to mera sahar ho tum

Mein sochu to mera khayal ho tum
Mein maangu to meri Duaa ho tum............

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:22 AM
Chori Se Woh Chupke Se, Aankhon Mein Samaaya Hai
Khwabon Mein Bhi Aa Aa Kar, Neendon Ko Churaya Hai

Aangan Mein Yeh Khushbu Ka, Jhonka Sa Jo Aaya Hai
Woh Aane Hi Wala Hai, Mausam Ne Bataya Hai

Tasveer Bani Baithi, Suntii Hi Chali Jaoon
Us Shokh Ki Baaton Ne, Jaadoo Sa Jagaya Hai

Khamosh They Ham Phir Bhi, Kuchh Shor Huaa Aisaa
Dil Mein Tiri Yaadon Ne Ik Hashr Uthaya Hai

Lo Aaj Isharon Mein Woh Keh Hi Gaya Aakhir
‘Main Ne Bhi Tujhe Apne Sapnon Mein Sajaaya Hai

Raston Ko Gulon Se To Sab Log Sajaate Hen
Hum Ne Teri Raahon Mein Dil Apna Bichhaaya Hai

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:31 AM
Mile jo pyaar aapka to saNwar jayenge
Na mile pyar to hum yuN hi bikhar jayenge

mohabbat bhi aapse sikayaat bhi aapse
aap se bichhad ke hum kidhar jayenge

Dooriya do pal ki ab seh Na payenge
bin aapke ab kounse shehar jayenge

riyaasat bhi aapki siyasat bhi aapki
is wade se aap kaise mukaar jayenge

aapko hi aapse churake sanam .....
aapki dhadkan meiN yuN utar jayenge

is kadar aapse humko mohabbat hai
ki aaj to hum had se gujar jayenge.....

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:32 AM
Tu jo aa jaaye to is ghar ko sanwarta dekhu
Ek muddat se jo veeraan hai wo basta dekhu..!!!

Khawab bankar tu bahta rahe jannat ke jharne
Aur bas mai isi mausam ko nikharta dekhu..!!!

Jis'se milna nahi us'se mohabbat kaisi
Sochata jaau magar dil mein utarta dekhu..!!!!

Dil gayaa tha to ye aankhen bhi koi le jaata
Mai faqat ek hi tasveer kahan tak dekhu..!!!!

Chand lamhe jo tere Ishq ke mil jaate hain
In hi lamhon ko mai sadiyon mein badalta dekhu..!!!!

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:32 AM
kahan ansoon ki yeh sohat ho gi
naye loog hoon gay nayi baat ho gi
main har haal mian muskurata rahoon ga
tumhari muhabat agar sath ho gi
chargoon ko ankhoon main mehfooz rakhna
bari door tak raat hi raat ho gi
parishan hain hum bhi parishan ho tum bhi
chaloo mehkaday main wahein baat ho gi
chargoon ki lo say sitaroon ki zo tak
tumhain main miloon ga jahaan raat ho gi
jahan wadiyoon main naye phool aye
humri tumhari mulqat ho gi
sadaoon ko alfaaz milnay na payein
na badal ghirein gay na barsat ho gi
musafir hain hum bhi muafir ho tum bhi
kisi more per phir mulaqat ho gi.....

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:33 AM
mujhe apni AANKHO par pyar aata hai........
jab tum inme dekhte hue dil me utar jate ho

muhe apni BAATO par pyar aata hai.............
jab tum inhe sunte hue dheere se muskurate ho

mujhe apne HONTHO par pyar aata hai............
jab tum inhe chhute hue sanso me ghul jate ho

mujhe apne DIL par pyar aata hai...........
jab tum dil se dil ke taar jodte chale jate ho

mujhe apne HAATO par pyar aata hai.............
jab tum inhe thaame hue manzil par badte jate ho


mujhe apni ZINDGI par pyar aata hai............
jab tum isme shaamil hote chale jate ho....

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:34 AM
Keh Gayi ek Haseena Yeh, Raat Mere Khwaab Me Aakar,
Karti Hoon Mohabbat Tujhse, Aur Sirf Marti Hoon Tujhpe………

Aaina-e-Dil Me Tasveer Rahati Hai Teri Hi E-HumNasheen,
Jo Sochti Hoon Khat Likhne ki, Gazal Likh Jaati Hoon Tujhpe…….

Aankhen Khulte Hi Kahin Bhool Na Jana Mujhko E-Sanam,
Main Wo Saawan Ki Baarish Hoon, Jo Barsoongi Sirf Tujhpe………

Jo Aa Gai Saamne Kabhi, To Kaise Pahachanega Tu Mujh ko,
Isliye Badan Ki Khusbu Apni, Chode Ja Rahi Hoon Tujhpe……..

Apne Seene se Lagaaye Rakhna, Aankhon me Basaye Rakhna,
Na Todna Kabhi Dil Mera, Bas Itna Ehasaan Tu Karna Mujhpe……

Aaj Khwaabon Me Aayi Hoon, Kal Zindgi Me Bhi Aaungi,
Main Hoon Sirf Teri, Dil-o-Jaan Jo Luta Baithi Hoon Tujhpe…..

Aaj Ja Rahi Hoon Sirf Izhaar Karke, Ikraar Ke Intzaar Me,
Kal Raat Phir Aa Kar Mohabbat Apni, Bikhraaungi Main Tujhpe…..

Keh Gayi ek Haseena Yeh, Raat Mere Khwaab Me Aakar,
Karti Hoon Mohabbat Tujhse, Aur Sirf Marti Hoon Tujhpe………!!!!!!!!

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:34 AM
Gungunatey Huye Aanchal Ki Hava De Mujh Ko
Ungliyaan Pheir Kar Baloun Mein, Sula De Mujh Ko

Jiss Tarah Faaltu Guldaan Pare Rehte Hein
Apne Ghar Ke Kisi Kone Se Laga De Mujh Ko

Yaad Kar Ke Mujhe Takleef Hi Hoti Ho Gi
Eik Qissa Houn Purana Sa Bhula De Mujh Ko

Doubtey Doubtey Aawaz Teri Sun Jaoun
Akhri Baar Tu Sahil Se Sada Day Mujh Ko

Main Tere Hijar Mein Chup Chap Na Mar Jaoun Kahein
Aa Ke Khwabo Main Tu Khud Se Mila De Mujh Ko......

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:35 AM
Wafa main ab yeh hunar bhi ikhtyaar karna hai
Woh sach kahay na kahay aitbaar karma hai

Yeh tujhko jaagtay rehnay ka shoq kab se hua?
Mujhe tu khair tera intizaar karma hai…

Hawa ki zid main jallaye hai ansoouon k chiraagh
Kabhi yeh jashan sar-e-rah guzaar karma hai

Who muskura kar naye wasooso main daal gaya
Khayal tha usay sharamsaar karma hai

Tere firaaq main din kis tarhan katein
K shaghal-e-shab tu sitaare shumaar karma hai

Chalo yeh Ashak hi moti samajh kar Baich aayein
Kisi tarhan tu humein Rozgaar karma hai.....

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:35 AM
Main hun gardishon main ghira hua mujhe aap apni khabar nahiin
Who jo shaks tha mera Reh numaa usay raaton main ganwa diya

Woh jo teri nazar main Ajeeb tha who hi shaks tera Habib tha
Terie haath ki jo lakeer tha usay haath se hi mitaa diya

Mujhe ishq hai junoon hai abhii faisla nahiin hosaka
Mera naam zeenat-e-dasht tha mujhe andhiyon ne mita diya

Yeh udaasiyon ka Jamaal hai k humara Auj-e-kamaal hai
Kabhi raat se bhi chupaliya kabhi sheher bhar ko bata diya

Mere mausamon meri umar ka bagh abhi poora khila na tha
Who jo phool the teri chah k usay zard rut ne giraa diya.....

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:36 AM
Main lafzoo Mei kuch Bhi Izhar Nahi Karta...........
iss ka Matlab yea nahi ke Main tujh Se pyar nahi Karta.......


Chahata hoo Main tujhe Ajj Bhi Par ........
Teri Soch Mei Waqt Apna barbaad Nahi Karta.......


Tamashah Na Baan Jaye Kahin Muhabbat Meri ........
Iss Liye Apney Dard Ko Namoodar Nahi Karta..........


Jo Kuch Mila Hai Usi Mei Khush Hoo Main............
Tere Liye Khuda Se Taqrar Nahi Karta..........


Per Koi To baat Hai Teri Fitrat Mei Zalim ......
Warna Main tujhe Chahane Ki Khata Baar Baar Nahi Karta....

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:36 AM
Najane Kion Dil Laga Lete Hain Loag---
Khud Ko Yuun Hi Saza Dete Hain Laog...
Jab Koi Pass Ho To Kadar Nahin Karte
Door Koi Chala Jaey To Sada Dete Hain Loag...
Jab Mil Jaey Safar Main Naya Hum-Safar Koi
Per Kion Purani Rafaqat Ko Bhula Dete Hain Loag...
Gham Bhi Dete Hain Or Kehte Hain Bhool Jao
Hamari Chahat Ka Ye Sila Dete Hain Loag ...

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:37 AM
Juda honay k mosam mai juda hona zaruri tha.
Na jane q kisi ka bewafa hona zaruri tha.

Mere dil ne usay jo pujhne ki inteha krdi.
To phir us bewafa ka b khuda hona zaruri tha.

Kisi se koi b shikwa na koi b shikayat hy
Jo mere sath chahat mai hua hona zaruri tha.

Boht nazdeek thy dil is liye ab duriyan b hain.
Dilon k beech b kuch faasla honay zaruri tha.

Usay b dard denay ka boht he shoq tha *******
Humey b dard-o-gham se aashna hona zaruri tha....

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:37 AM
Ab Kia Kahoon ke Tujh se Muhabat nahi Rahi
Teri Talab mein Pehli Si Shidat Nahi Rahi


Ya To Teri Wafaon ka Musam Guzar gaya
Ya ye ke Tujh ko Meri Zaroorat Nahi Rahi


us ko bhi Wada kar ke bholane ka Shouq Hai
Hum ko bhi Intzaar ki Adat Nahi Rahi


un ko Ae Dost Fursat-e-Purish Mili to Kia
Ab hum ko Arz Haal ki Hasrat Nahi Rahi....

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:37 AM
ham hijar k rasty par safar kar nahi sakty
eik lamha tery bina basar kar nahi sakty


woh aakhri lamhoon main mujhy maang raha hai
yeh waqt hai aesa k guzar kar nahi sakty


khud hath say apny usay khona hi pary ga
yeh zabt bhi karna hai magar kar nahi sakty


yoon apni nigahoon ko chora layty hain tujh say
k dil k iradoon ki khabar kar nahi sakty


tum khwaab jalaty rahy ham aaj tak chup thy
ab dil k yoon jalny par sabar kar nahi sakty


yeh aankh andheroon main hoi pyaas ka sehra
is noor k darya par nazar kar nahi sakty


har chand k meri aankh main aansoo hain larazty
jalty hoy sholay es par asar kar nahi sakty


ab chahin bandh lain gay tumhin apni nazar say
ham is k liye khuda say khafa ho nahi sakty

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:38 AM
Kaise sakoon paon tujhey dekhne ke baad
Ab kia ghazal sunaon tujhey dekhne ke baad

Aawaaz de rahi hai meri zindagi mujhey
Jaoon main ya na jaoon tujhey dekhne ke baad


Teri nigah-e-mast ne Makhmoor kar diya
Kia maikaday ko jaoon tujhey dekhne ke baad

Nazron mein taab-e-deed hi baki nahi rahi
Kid se nazar milaoon tujhey dekhne ke baad

Kaise sakoon paon tujhey dekhne ke baad
Ab kia ghazal sunaon tujhey dekhne ke baad..........

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:38 AM
Doob Rahi Hain Saansein Magar Ye Gumaan Baaqi Hai
Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi Imkaan Baaqi Hai


Muddat Hoye Ek Shakhs Ko Bichrhey Lekin
Aaj Tak Merey Dil Pe Ek Nishaan Baaqi Hai


Wo Sayibaan Chin Gaya To Koi Gham Nahee
Abhi To Merey Sir Pe Ye AasmaaN Baaqi Hai


Kashti Zara Kinaarey Ke Qareeb Hi Rakhna
Bikhri Hoyi Lehron Mein Abhi Toofaan Baaqi Hai


Tumharey Hi Ashkon Ne Lab Si Diye Warna
Abhi To Merey Dukhoon Ki Bohut Daastan Baaqi Hai


Ghamon Se Keh Do Ke Abhi Na Rakht-e-Safar Baandhain
Ke Abhi To Merey Jism Mein Kuch Aur Jaan Baaqi Hai


Ja Chukey Hain Sab Log Khamosh Parhi Hai Basti
Magar Kisi Aas Pe Ek Makeen-e-Makaan Baaqi Hai......

!«╬Ĵamil Malik╬«!
02-14-2009, 08:40 AM
nyce collections munda

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 08:46 AM
nyce collections munda

Thanks Malik Jeee

momal ali
02-14-2009, 12:15 PM
very nyc keya bat hey chakraey nahi itna type type ker ker k mey tu read ker ker k chakra gai hun lolz
http://www.apnipic.com/out.php/i1474_537.gif

dur-e-shahwar
02-14-2009, 08:22 PM
nyce sharing but meri urdu itni perfect nhi k samaj sako lol

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 09:24 PM
very nyc keya bat hey chakraey nahi itna type type ker ker k mey tu read ker ker k chakra gai hun lolz
http://www.apnipic.com/out.php/i1474_537.gif



awwww :p mahum jeee job per 8 hours aur khuch kerney ko tu hota nahi aaj kal esliye yehi kaam kerta rehta houn :p

ShArArTi MuNdA
02-14-2009, 09:24 PM
nyce sharing but meri urdu itni perfect nhi k samaj sako lol


Thanks still 4 visitn radika jeee

life2
02-16-2009, 09:30 PM
Kantey meri Aana k mujhe roktey rehey
Main ous ki galii se ban k diwana guzar gaya

Main woh shakhass tha jo haqarat ki aankh se
Dariay ko dekhta huwa Piyasa guzar gaya

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 12:06 AM
nice one

ShahTaJ
02-17-2009, 12:24 AM
very nice

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 02:34 AM
very nice

ahan,,,,,,
Thanks

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:13 AM
Jo Khushi Tumharay Kareeb Ho
Wo Sada Tumhain Naseeb Ho

Tujhe Wo Khulos Milay Ke Jo
Teri Zindagi Pe Muheet Ho

Jo Mayaar Tujhko Pasand Ho
Jo Tumhare Dil Ki Umang Ho

Teri Zindagi Jo Talab Kare
Teray Hamsafar Ka Wo Rang Ho

Jo Khayaal Dil Main Aseer Ho
Or Dua Main Bhi Taseer Ho

Teray Haath Uthtay Hi Khuda Karay
Teray Saamne Tabeer Ho

Tujhe Wo Jahan Milay Jidhar
Ghamon Ka Koi Guzar Na Ho

Jidhar Rooshni Ho Khuloos Ki
Or Nafratoon Ko Khabar Na Ho........

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:13 AM
Khud Apne Liye baith K Sochein Ge Kisi Din
Youn Hai K Thujhe Bhool K Dekhein Ge Kisi DIn

Bhatake huwe Phirate hain kai lafz jo dil mein
Duniya ne diya Waqt to likhein ge kisii din

Hil jayein ge ik baar to arshoun ke Dar-o-Baam
ye Khaak nashein log jo bolein ge kisii din

Aapas ki kisi baat ka milta hi nahein Waqt
Har baat ye kehte hain k baithein ge kisi din

Aai jaan teri yaad ke be-naam parinde
shaaKhoun pe mere dard ki utarein ge kisi din

Jaati hai kisi jhil ki gehrai kahan tak
Aankhoun mein teri Doob ke dekhein ge kisi din

Khushbu se bhari shaam mein jugnu ke qalam se
ik nazm tere vaaste likhein ge kisi din

Soyein ge teri Aankh ki Khlvat mein kisi raat
saaye mein teri zulf ke jagein ge kisi din

Khushbuu ki tarah, asl-e-sabaa Khaak numa se
Galiyoun se tere shehar ki guzarein ge kisi din

**** hai yehi ab ke kafan baandh k sar se
Us Shehar-e-Sitam gaar mein jayein ge kisi din........

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:14 AM
Zindigi Tujh Ko Jiya Hay Koi Afsos Nahin
Zehar Khud Main Nay Piya Hay Koi Afsos Nahin

Main Nay Mujrim Ko Bhi Mujrim Na Kaha Dunya Main
Bas Ye Hi Jurm Kiya Hay Koi Afsos Nahin

Meri Qismat Main Likhay Thay, Yeh Un hi K Aansoo
Dil K Zakhmon Ko Siya Hay Koi Afsos Nahin

Ab Giray Sang K Sheshon Ki Ho BARISH
Ab Kafan Orh Liya Hay Koi Afsos Nahin.........

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:15 AM
Royenge hum hazaar bar koi hamein behlaaye kyon
Dil hee to hai jo chahey tujhe koi hamein sataaye kyon

Na hai haq koi in ansoon pe zalim abb tera
Din mere raatein meri abb koi hamein rolaaye kyon

Sakon nahi, araam nahi jab se judaa huwe sanam
Kiya hai jaise barbaad tune aur koi hamein tarpaaye kyon

Haan khatam-e-mohbbat ki kahani puri huwi tum per
Khazan mein ujra shjar hoon bahar koi hamein bolaaye kyon

Ghar nahi who loag nahi koi apna nahi raha abb mera
Rotha hai Rab mujh se aadmee abb koi hamein manaaye kyon

Ker liya fiasila hum abb wafa na karienge kisi se
Ju meri apni thi who aisi hai ghair koi hamein chahaaye kyon

Jala hai jism jahan dil b jal gaya ho ga ASIF tera
Who apna daman bacha rahein hain koi hamein bachaaye kyon

Roeinge hum hazaar bar koi hamein behlaaye kyon
Dil hee to hai jo chahey tujhe koi hamein sataaye kyon.....

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:15 AM
Ghum-e-hijr-e-yaar kab tak, rahoon be-qarar kab tak
merey dil bata yeh mujhko, karoon ussko pyar kab tak


yeh hujoom-e-na-muradi ghum-e-be-shumar kab tak
terii baat kaa bharosaa teraa intezaar kab tak


shab-e-hijr ki udasi kahin mujhko lay na doobey
meri dharkano pe hoga tera ikhteyar kab tak


na hi aaj ka bharosa na hi kal ki hain umeedein
teri raah guzar takun mein shab-e-wasl-yaar kab tak


mein nikal pari thi tanha liyey saraey ranj dil par
magar phir khayal aya keh sahoon yeh baar kab tak


merii aankhein takrahi hein teri wapsi ki raahein
tu hi ab bata dey mujhko karoon intezar kab tak


mujhay yoon tou dey geya hay wuh dilasa jatey jatey
magar ab yeh sochti hoon karoon eaitbaar kab tak


buhat ilteja ki uss ney ,kaha us nay nahi jao
magar uss ki be-dili ka bhala sehtii waar kab tak....!!!

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:16 AM
Wafa main ab yeh hunar bhi ikhtyaar karna hai
Woh sach kahay na kahay aitbaar karma hai

Yeh tujhko jaagtay rehnay ka shoq kab se hua?
Mujhe tu khair tera intizaar karna hai…

Hawa ki zid main jallaye hai ansoouon k chiraagh
Kabhi yeh jashan sar-e-rah guzaar karna hai

Who muskura kar naye wasooso main daal gaya
Khayal tha usay sharamsaar karna hai

Tere firaaq main din kis tarhan katein
K shaghal-e-shab tu sitaare shumaar karna hai

Chalo yeh Ashak hi moti samajh kar Baich aayein
Kisi tarhan tu humein Rozgaar karna hai...!!!

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:16 AM
Mujh Se Milne Ke Wo Kerta Tha Bahane Kitne

Ab Guzare Ga Mere Saath Zamane Kitne

Main Gira Tha Tou Bohat Log Ruke The Lekin

Sochta Hoon Mujhe Aaye The Uthane Kitne

Jis Tarah Main Ne Tujhe Apna Bana Rakha Hai

Sochte Honge Yehi Baat Na Jane Kitne

Tum Naya ZaKham Lagao Tumhein Is Se Kia Hai

Bharne Wale Hain Abhi Zakham Purane Kitne...!!

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:17 AM
Tere Ikhlas Se Muhabbat Ki Hai

Tere Her Aik Ehsaas Se Muhabbat Ki Hai

Too Mere Pass Nahi Magar !

Phir Bhi Teri Yaad Se Muhabbat Ki Hai

Bhoole Se Hi Kahein Too Ne Mujh Ko Yaad Kia Ho Ga

Main Ne Bus In Lamhaat Se Muhabbat Ki Hai

Tujh Se Milna Bus Aik Khawab Sa Lagta Hai

Shyed Iss Liye Tere Intezar Se Muhabbat Ki Hai..!!!

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:17 AM
Itna toota hoon k choonay say bikhar jaaoonga
Ab agar aur dua dogay to mar jaaoonga

Pooch kar mera pata waqt ra-y-gah na karo
Main to banjara hoon kya jaanay kidhar jaaoonga

Har taraf dhund hai jugnu hai na charag koi
Kaun pehchanayga basti mein agar jaaoonga

Zindagi main bhi musaafir hoon teri kashti ka
Tu jahan mujh say kahegi main utar jaaoonga

Phool rah jayeengay guldaan mein yaadon ki nazar
Main to khushbo hoon Fizaon mein bikhar jaaoonga

Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga
Ab agar aur dua dogay to mar jaaonga..!!!

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:17 AM
Misal e abr zameen ka libaas ho jaon
jo youn nahi to samandar ki pyas ho jaon

tamam din ki karhi dhoop main yeh sochta hon
main shab ke pichlay pehar ka hiraas ho jaon

ab apne wastay tujhay mangnay se khauf aye
tuu hath utha kay teri iltmaas ho jaoon

bujhi bujhi huee ankhon kee tergi ki kasam
tujhay parhon to sitara sanaash ho jaon

Khushi milee to kayee dard mujh se rooth gaye
dua karo kay main phir se uddas ho jaon

meri kitab kay unwaan zara qareeb ayo
main apne aap tera iqtbaas ho jaon

ab apne aap sanwarnay ka shok kia mohsin
kisee ujartay huye dil ki aas ho jaoon..!!!

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:18 AM
Us shaks ko mera halka sa ehsaas to hai,
Be dard hi sahi woh mera humraaz to hai..

Woh aaye na aaye mere paas lekin,
Shidat se mujhe us ka intezaar to hai..

Abhi nahi to kya hua mil hi jayenge kabhi,
Mere dil main us se milan ki aas to hai..

Pyaar ki gawahi mere aansoon se na maang,
Barasti nahi aankhen magar dil uddas to hai...

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:18 AM
dekh lo khuvab magar kuvab ka charcha na karo
log jal jaengay suraj ki tamnna na karo

waqt ka kia hai kisi pal bhi badal sakta hai
ho sake tum se tu tum mujh pe bharosa na karo

kirchiyan toty howay aks ki chubh jaen gi
aur kuch roz abhi aaena dekha na karo

ajnabi lagnay lagay khud tumhain upna hi wajood
upne din rat ko itna bhi akela na karo

khuvab bachon k khilono ki tarha hotay hain
rakh guzray howay lamhon ki kureda na karo

mom k rishtey hain garmi se pighal jaen gay
dhop k shehar main 'Ali' yeh tamasha na karo

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:19 AM
Bhala lagta hoon main sab ko Mujhay tum Achi Lagti Ho
Jo hona hay woh ab ho Mujhay tum Achi Lagti Ho

Kabhi kabhi jaagtay sapnay mujhay achay nahin lagtay
Mager tum sowo ya jaago Mujhay tum Achi Lagti Ho

Meray gher walay jo tumhay dekhnay aaye
Zara tum hi in se keh daina k Mujhay tum Achi Lagti Ho

Zaban kholi ager main nay to ruswai ka khadsha hay
Tum hii dunya ko batla daina k Mujhay tum Achi Lagti Ho

Ye maana ghair mumkin hay tera mera milan jaanaa
Mager main kia karoon bolo Mujhay tum Achi Lagti Ho

Zaban se keh nahin sakta ager ASIF tu ik din
Kabhi khat usay likh do k Mujhay tum Achi Lagti Ho...!!!

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:19 AM
Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehnay diya,
Jaanay kyon ruswaiyon ka silsila rehne diya !

Umar bhar meray saath reh kar woh na samjha dil ki baat,
Do dilon kay darmiyan ik faasla rehne diya !

Apni fitrat woh badal paya na iskay bawajood,
Khatam ki ranjish magar gila rehne diya !

Main samjhta tha khushi dega mujhay `Asif' fareb,
Isliyey mainay ghamon say raabta rehne diya !

Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehne diya,
Jaanay kyon ruswyaion ka silsila rehne diya !

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:20 AM
AA bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahi ho to har Khushii kam hai
vadaa kar ke ye kaun aayaa nahii
shahar me aaj raushanii kam hai
jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chaandani kam hai
aayinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai
tere dam se hii mai mukammal huun
bin tere meri zindagi kam ha...!!!

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:20 AM
Kya kahen hum kaise tujhse door ho gaye..
Haalaat se, kuch khud se majboor ho gaye...

Mohhabbat rula deti hai, kab ye maana tha...
Apne dil ke afsaane wohi dastoor ho gaye...

Manzil jise samjha bana wo meel ka pathar...
Nayi manzil, naye raaste manzoor ho gaye...

Hadd se barh jaaye jo ghum, deta nahin dard...
Muskura rahe hain, aise hum ranjoor ho gaye...

Dil tera reza reza hai, kaise sambhale tujhko...
Khudaya humse kaise yeh qusoor ho gaye !!!

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:26 AM
Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata,
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata,

Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rahti Hai Nigahe,
Kya Baat Hai Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata,

Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein,
Jo Dur Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata,

Main Apni Hi Uljhi Hui Raho Ka Tamasha,
Jate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata,

Woh Naam Jo Barso Se, Na Chehra Na Badan Hai,
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata...!!!

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:27 AM
Garam SooRaj Ki Tapish Aai Ghata Si Mujh Ko

Dar Laga Ajj Her Aik Mooj-e-Hawa Se Mujh Ko

Her Girah Dil Ki Kholi Gancha-e-Nuras Ki Terha

Wo Mehak Aaye Phir Band Hawa Se Mujhay Ko

Mein Tu Mehroom-e-Azal Tha Hi Muger Kismaat Say

Dasht-e-Qurbaat Mein Kai Mil Gaye Piyasay Mujh Ko

Sawalay Rang Ki Aik Mohani Soraat Mohsin

Daas Gaye Apnay Takaloom Ki Ada Se Mujh Ko...

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:27 AM
Hai Dua Yaad Muger Harf-e- Dua Yaad Nahi
Meray Nagmaat Ko Andaz-e-Nawa Yaad Nahi

Zindage Jaber-e-Musalsal Ki Terha Kaati Hai
Janay Kis juram Ki Pai Hai SazaYaad Nahi

Mein Nay Palkoon Se Dar-e-Yaar Pe Dastak Di Hai
Mein Wo Saai Hoon Jisay Koi Sada Yaad Nahi

Aoo Ek Sajda Karein Alam-e-Madhoshi Mein
Loog Kahtay hain K Sagher Ko Khuda Yaad Nahi...

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:27 AM
Aaj May Udass

Aaj mein udaas hoon to zamana mujhey phoochnay aya ..
Magar Jis pay tha sadiyoon ka bharam woh nahi aya..
Woh tu aik khuwaab tha toot gaya bikhar gaya hai..
Aajj udaas lamhon main phir kyon mujhe woh yaad aya..


Zindagi ki musaafat kai woh chand din jo guzar chukay hain..
Naa hi un pe urooj aya, aur na hi un pai zawaal aya...
Bhoolna chahta hoon har lamha,har waqt jo guzar gaya hai..
Jitna bhi roka woh waqt utna mere sath chala aya...

Guzra howaa kaal na tha mera,na hai mera aaur na ho ga kabhi...
Yeh mein janta hoon magar phir bhi na dil ko qaraar aaayaa...
Woh vaaday teray woh Qasmein woh sab yaad hain mujhay...
Magar phir bhi kabhi tum ko mera dil na bhula paya..


Aaana paa'ay teh tum to khudaar tha main bhi ..
Yeh rishta hi hamaray dermiyan naa raas ayaaa..
Uss ki muskurahat teray liye aik fareb thi ...
Tu tha naadan, dil tera usay na samajh paya...

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:28 AM
joh kabhi jao mujhse door toh aik kaam karjana
ek pal apni zindagi ka humaray naam karjana
agar aajaye mout terey aanay se pehle
toh aakay humaray janazay ka ehtmaam kar jana
na rona itna kay dukh ho humain
mout ko mazak samajh kar anjaan ban jana
kuch pal ke baad sojaungi main humesha kay liye
phir mujhey bewafa keh key badnaam karjana
jab guzro meri qabar sey toh munh na phairna
anjaan ban kay hi,dua salam karjana...!!!

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:28 AM
Ab ke yooN dil ko sazaa di hum ne
Uski har baat bhulaa di hum ne

Ek ek phool bahot yaad aayaa
Shaakh-e-Gul jab woh jalaa di hum ne

Aaj tak jis pe woh sharmaate haiN
Baat woh kab kii bhulaa di hum ne

Shahar-e-jahaaN raakh se adaab huwaa
Aag jab dil kee buzaa di hum ne

Aaj phir yaad bahot aayaa woh
Aaj phir usko duaa di hum ne

Koii to baat hai usmeiN "****"
Har khushee jis pe luTaa di hum ne

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:28 AM
dil kissi pe bewaja marta nahin hai
hei dil paagal magar etna nahin hai

ham ne dekha hei ye sara zamana
kahin koi bhi tug jesa nahin hai

mere uss sher ki charcha buhat hai
jisse mein ne abhi likha nahin hai

ye sar sooli pe charh sakta hei lekan
kissi ke samne jukta nahin hai

muhabbat ka yahi to almya hai
jisse chaho wohi milta nahin hai

mohabbat akal ki tabe nahin hai
mohabbat mein kabhi socha nahin hai...!!

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:29 AM
achi lagti bhala kyon ye fiza shaam ke baad
ho gya ishq to ye ham pe khula shaam ke baad

din mein to ham pe koi sher utarta hee nahin
ham ne to jab bhi, jo bhi likha shaam ke baad

aa ke dekho to sahi kitne nikhar jaate hein
tum kissi roz milo ham se zara shaam ke baad

rooh tak shaamil-e-aawaz hooa karti hei
tum kabhi maang ke dekho to dua shaam ke baad

aaj tak aise parende nahin dekhe ham ne
bhool jate hon jo ghar ke pata shaam ke baad

meri nazron mein wo ba zoq nahin ho sakta
be sabab jo bhi koi ghar mein raha shaam ke baad

bazm-e-yaaran ho ya koi mekhana shakeel
bethne mein wahan aata hei mazza shaam ke baad

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:30 AM
Kahin Tum Apni qismat Ka Likha Tabdeel Kar Letay
To Shayed Hum Bhi Apna Rasta Tabdeel Kar Letay

Agar Hum Waqiaa Kam Hoslaa Hotay Muhabbat Mein
Marz Bharne Se Pehlay Dawa Tabdeel Kar Letay

Tumharay Sath Chalne Per Jo Dil Raazi Nahin Hota
Bohat Pehlay Hum Apna Faisala Tabdeel Kar Letay

Tumhari Tarah Jeenay Ka Hunar Aata to Phir Shayed
Makaan Apna wohi Rakhtay Pata Tabdeel Kar Letay

Judaai Bhi Na Hoti Zindagi Bhi Sahal Ho Jati
Jo Ek Dusray Se Masla Tabdeel Kar Letay

Bohat Dundlaa Geya Hai Yaadoon Ki Rim Jhim Mein Dil Saada
Woh Mil Jata To Hum Bhi Aaina Tabdeel Kar Letay....

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:30 AM
ye tanhaai,unka gam,unke naam se
bas kat rahi hai zindagi aaraam se

jalta hua dil le gaya tha mehfil mein
lagaa di maine aag apne kalaam se

dil ke tukdon pe likh di dastaan-e-gam
dikhayie nazren churaa ke is paigaam se

dil maikade ke naam se uktaa gaya
jab se pi ,aapki aankhon ke jaam se

zara pardon se jhhank kar to dekhiye
baithaa hun aapki chaukhat pe shaam se

socha shayad maan jayen sar jhukane se
woh aur khafa ho gaye mere salaam se...

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:34 AM
eewan-e-ghazal jis ki mohabbat mein likha tha,
Wo shakhs kisi aor ki qismat mein likha tha!

Har lamha mera kaatib-e-taqdeer ne shayad,
Zindaan-e-Shab-o-Roz ki wehshat mein likha tha!

Wo shaer kabhi uski nazar se nahi guzra,
Jo doob kar jazbaat ki shiddat mein likha tha!

Ab us k marasim hain meray dushman-e-jaan se,
Paimaan-e-wafa jis ki rafaqat mein likha tha!

Duniya mein to esay koi asaar nahi thay,
Shayad tera milna bhi qayamat mein likha tha!

Tu meray liye kesay badal sakta tha khud ko,
Harjaai hi rehna teri fitrat mein likha tha !!!

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:37 AM
Pyar kay deep jalanay walay khuch khuch pagal hotay hain
apni jaan say janay walay khuch khuch pagal hotay hain

Hijar kay gehray zakham milay to mujh ko yeh ehsas hua
pagal ko samjhanay walay khuch khuch pagal hotay hain

jaan say piyaray logoon say bhi khuch khuch pardah laazim hai
saari baat batanay walay khuch khuch pagal hotay hain

khaaboon main bhi piya milan kay sapnay dekhtay rehtay hain
neendon main muskanay walay khuch khuch pagal hotay hain

is jhooti nagri main hum nay yehi hamesha dekha hai
sachi baat batanay walay khuch khuch pagal hotay hain

piyar jinhain ho jaye un ko chain bhala kab milta hai?
shab bhar ashk bahanay walay khuch khuch pagal hotay hain

apni zaat say ujhray gulshan say woh piyar kahan kartay hain?
auroon ko mehkanay walay khuch khuch pagal hotay hain....

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:38 AM
Wo jo dil mein tera muqaam hey,
Kisi aur ko wo diya nahin

Wo jo rishta tujh se hey ban gaya,
Kisi aur se wo bana nahin

Wo jo payar tujh se ho gaya,
Kisi aur se wo hua nahin

Wo jo raaz tujh de hey keh diya,
Kisi aur se wo kaha nahin

Wo jo sukh mila teri zaat se,
Kisi aur se wo mila nahin ! ! !

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:38 AM
Ek baar meri jaan tum ajao kisi shaam
Yeh husun-e-sakhawat bhi dikhlao kisi shaam

Khushboo se mohabbat ki moattar karo saansen
Kandhay pe mere zulf ko bikhrao kisi shaam

Main chashm-e-haqeeqat se tere pyar ko dekho
Anchal meri ankhon pe bhi lehrao kisi shaam

Daaman meri chahat ka ho labraiz haya se
Baahon main meri sharm se bal khao kisi shaam

Maalik se kabhi maango dua mere liye bhi
Haathon ko mere waastay pehlao kisi shaam

Waadon pe jeeta raha hon tere ab talak
Bohat yeh ho chuka,ab aa jao kisi shaam

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:39 AM
Is imtehaan main hon,dil ka baab kis ko don
Nisaab-e-ishq pe likhi kitaab kis ko don

Har ek shakhs ko mujh se bohat mohabbat hai
Sawal yeh hai wafa ka jawab kis ko don

Mera khuloos,mohabbat,wafa hai sab ke liye
Sochta hon ke lab-e-lubaab kis ko don

Mere liye to sabhi log ek jese hain
Sukoon kis ko don,main izteraab kis ko don

Hujoom-e-husun ke melay main sochta hon main
Ke apne hath main thama gulaab kis ko don

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:39 AM
Kia kia baaten woh apni tehreer main likhti hai
Ek nayi takdeer meri takdeer main likhti hai

Woh aisi hamdard ke apne pyar ke saaray lafz
Mere haathon ki lakeer main likhti hai

Koi raaz chupana shayad pasand nahi usay
Woh apna har khawab khuli tabeer main likhti hai

Main us ka ek man-chaha qaidi hoon isi liye
Naam mera woh zulfon ki zanjeer main likhti hai

Bol uthay ek ek taassur us ke chehre se
Saari kahani woh apni tasveer main likhti hai

Khoob chehakti hai woh khat ke pehle hissay main
Lekin dil ki sachi baat aakhir main likhti hai

Jis khoobi se pehchana jaye koi shakhs
Qudrat woh khoobi us ke khoon-e-khameer main likhti hai

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:39 AM
Ek baar kar ke aitbaar likh do
Kitna hai mujh se pyar likh do

Kat'ti nahin yeh zindagi ab tere bin
Kitna or karun intezar likh do

Taras rahe hain bari muddat se
Is baar apni mohabbat ka izhaar likh do

Deewane ho jayen jise parh ke hum
Kuch aisa tum mere yaar likh do

Zyada nahin likh sakte to mat likho tum
Mohabbat bharay lafz do char likh do

Ek baar likho mohabbat hai mujhe tum se
Phir yehi jumlä bäär bäär likh do...!!

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:40 AM
Hoonto pe mohabat ke fasane nahi aaty
saahil pe samundar ke hazane nahi aaty
palkein bi chamak uthi hein sote hi hamari
aankho ko abhi khawab chupane nahi aaty
dil ujri hain ik saraye ki terha hain
ab loogh yahan raat jagane nahi aaty
yaaro naye mousam ne yeh ahsaan kiye hein
ab yaad samje derd porane nahi aate
urdny do abhi parindo ko shoh hawa mein
phir lout ke bachpan ke zamane nahi aaty
is shehar ke badal teri zulfon ki terha hein
yeh aag lagate hein per bojane nahi aaty
ahbaab bi gharon ki terha ada seekh gaye hein
aaty hein magar dil ko dukhane nahi aaty…

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:40 AM
kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hoee honton me dabee baat na pooch
mein jis ke waastay lar jaaon is khudae se
mujhay khud se hai pyaari yeh kis ki zaat na pooch
wo kis ada se mere saamnay se guzraa abhi
kis tarhan meinay sambhaly mere jazbaat na pooch
waqat jo badlay to insaan badal jaatay hain
kya nahi dikhlaatay yeh gardish-e-halaat na pooch
wo kisi ka ho bhi gaya or mujhay khabar na hoe
kis tarhan usnay churaya hai mujh se haath na pooch
Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaee hai me nay maat na pooch
ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahiN
kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:41 AM
shola-e-ishq bujhaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai
vo magar Khud ko jalaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai


us ko manzuur nahiiN hai mirii gumraahii bhii,
aur mujhe raah pe laana bhii nahiiN chaahtaa hai

sair bhii jism ke sehraa kii Khush aatii hai magar,
der tak Khaak uRaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai


kaise us shaKhs se tabiir pe israar kareN
jo koii Khwaab dikhaana bhii nahiiN chaahtaa hai


apne kis kaam meN laayega bataata bhii nahiiN
ham ko auroN pe ganvaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai

mere lafzoN meN bhii chhuptaa nahiiN paikar us ka,
dil magar naam bataana bhii nahiiN chaahtaa hai

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:41 AM
Ishq ne kya kya ranj sahe tum kya jano
Aag main kitne phool khile tum kya jano

Hijr ki kaali raat main kaise kaise log
khaak main milke khak hue tum kya jano

Humne ik tumhare naam ki khushboo se
Kitne dasht bahar kiyeh tum kya jano

Apni kitab-e-umr ki sari sattron main
Humne kiske khuwab likhe tum kya jano

Tum bichre tou humne apni palkon per
Kitne darya rok liyeh tum kya jano

Sur ki chaooon main lafz ki kaliyan khilne tak
Hum tou sab kucch bhool gaye tum kya jano

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:42 AM
Sab se chupa ker dard jo wo muskara dia,
Uski hansi ne tu aaj mujh ko rula dia.

Lehjay se uth rahi thi har ek dard ki dastan
Chehra bata raha tha sub kuch ganwa dia,

Awaz mein thahrao tha ankhon mein nami thi
Aur keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya,

Janay kia usko mujh se thein shikayatein
Tanhaiyon k des mein khud ko basa dia,

Khud bhi woh hum say bichar ke adhora sa ho gaya
Mujh ko bhi itnay logon mein tanha bana dia

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:42 AM
Waqt do kursioon pay baitha hay
Saya bhar roshni hay kamray main

Naam bay naam paikroon jaisi
Do shabihoon say kitnai rownaq hay

Rang-O-aawaz-O-lamas-O-khushboo say
Khaka gar ne jinhain banaya hay

Sun zara chaap jatay qadmoon ki
Jo sunehray ko surmaee kar day

Or ab dehiaan kay jharookay say
Dekh neechay gali main jatay huay

Bhool ki dhool si uratay huay
Uss ko jo roshni na saya hay

Teray hadd-e-Khayal say bahi
Waqt ne kho k jis ko paya hay

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:42 AM
Wo ana parast sahi us ki baton mey iqrar bhi tha
Us k chubtay huway lehjay mei chuppa pyar b tha

Wo mujhy likhta hai k muntazir na raho lakin
Us ki tehreer mei sadion ka intezar b tha

Wo kehta hai mat rotho k manana nahin aata
Meri narazgi py lakin wo bekaarar b tha

Main shayad phir na likha usay apni khabar
Dosti ka bharam rkhna tha,kch dil beikhtiyar b tha

Shayad yehi us ka aandaz e mohabbat ho
Wo mera hum dam b tha sitam shuaar b tha

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:43 AM
Bichara jo Agar tujh say tu Mur Jaoon ga
Na bana phir koi subab, tu kidhar jaoon ga

Na Janay kaisay kutain gi, Hijar ki phir Pahar Raatain
Yaadaon k Zukham liya, Ayeen gi phir Ujaar Raatain
Phir kaisay bhala Wasal-e-Seher La sakoon ga
Bichara jo Agar tujh say tu Mur Jaoon ga

Tursain gi Nigahain, Phir Deed-e-Yaad k liya
Janay Kub Ubhray ga woh Chand, Phir Mera liya
Es Luzat-e-Ghum ko kaisay Bhula Payooon ga
Bichra jo Agar Tujh say tu Mur Joaoon ga

In Wehshatoon ko Barahayee gi, Phir meri Tunhayee
Aag-e-Hijraan na Bujha Payee gi, Phir meri Tunhayee
Arzoo Khoab Liya hi Bikhar Jaooon ga
Bichara jo Agar Tujh say tu Mur Jaoon ga

Phir Sawan ki Bursaat ma , Ujray ga yeh Dil
Phir Turpay ga Purani Rafaqatoon ko Yeh Dil
Phir kaisay bhala Na-daan Dil ko Behla Payoon ga
Bichra jo Agar tujh say tu Mur Jaoon Ga

Bichara jo agar tujh say tu Mur Jaoon ga
Na Bana phir koi Subab tu kidher Jaoon ga

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:43 AM
Woh apne ghar chala gaya afsos mat karo
Itna hi us ka saath tha afsos mat karo
Insaan apne aap main majboor hai bohat
Koi nahi hai bewafa afsos mat karo

Is baar tum ko aane main kuch dair ho gayi
Thak haar ke woh sogaya afsos mat karo
Duniya main aur Chahne wale bhi hain bohat
Jo hona tha so hogaya afsos mat karo

Is Zindagi ke mujh pe kayi qarz hain magar
Main jald laut aoongi afsos mat karo
Yeh dekho phir se aagayin Phoolon pe titliyan
Ek roz woh bhi aayega afsos mat karo

Woh tum se aaj door hai kal paas ayega
Phir se ALLAH milayega afsos mat karo
Bekaar gee pe bojh liye phir rahe ho tum
Dil hai tumhara Phool sa afsos mat karo

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:44 AM
Aankhon main raha dil mein utar kar nahi dekha
Kashti ke musafir ne samandar nahi dekha !!

Be waqt agar jaun ga sab chaunk paren ge
ik umar hui kabhi din mein ghar nahi dekha

Jis din se chala hun meri manzil pe nazar hai
aankhon ne kabhi meel ka pathar nahi dekha

yaaron ki mohabbat ka yaqeen kar lia main ne
phoolon mein chupaya huwa khanjar nahi dekha

mehboob ka ghar ho keh buzurgon ki zameeneN
jo chor dia phir usse mur kar nahi dekha

Pathar mujha kehta hai mera chahne wala
Main mom hun us ne mujhe chu kar nahi dekha

Wo mere masaail ko samajh hi nahi sakta
jis ne meri aankh mein samandar nahi dekha

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:44 AM
Teri baahon ki tapish main pighalne laga hon
Teri sanson ki mehek main sulagne laga hon,

Raat ki tanhaai main lipti khumaar ki baatein
Tere baaton ki kashish main machalne laga hon,

Sulagti raat ki bikharti chandni main hum-tum
Behekne lage jazbaat aur bhadakne laga hon,

Ruan-ruan tere pyaar main sarabor hone laga
Tere baahon ke gheron main dhadakne laga hon ,

Tere sath bitaai lamhon ki kasak seene main
Zindagi jeene ki “aarzoo“ main tadapne laga hon

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:44 AM
Mai chup raha keh zeher yehi mujh ko raas tha
Wo sang-e-lafz phaink kar kitna udaas tha

Aksar meri qaba pay hansi aa gai jissay
Kal mill gaya toh wo bhi dareeda libaas tha

Mai dhoondhta tha door khalaaon mai ek jism
Chehron ka ek hajoom meray aas paas tha

Tum khush they patharon ko khuda jaan kar magar
Mujh ko yaqeen hai wo tumhaara qayaas tha

Bakhsha hai jis nay rooh ko zakhmon ka perahan
*Mohsin* wo shakhs kitna tabiyat shanaas tha

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:45 AM
Hone ko ess jahan mein kya ho nahin sakta
ye aur baat ke wo mera ho nahin sakta

maabood wo hei jis ne tarasha hei jahan ko
ham jis ko tarashen wo khuda ho nahin sakta

wo jaanta hei mug ko manana nahin aata
so ye to te hei ke wo khafa ho nahin sakta

ab tug mein mera aks nazar aane laga hei
ab ess se zyada mein tera ho nahin sakta

ess baar jo gya to palat kar na aaey ga
aur aa gya agar to juda ho nahin sakta

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:45 AM
Kisi Ko Kisi Ka Sahaara Nahin Hai
Naaya Dour Hai Kuch Humara Nahin Hai

Baray Hain Yahan Pay Buhat Say Makaan Par
Ghareebon Ko Laikin Baseera Nahin Hai

Naye Waqt Main Bhi Hai Achha Buhat Kuch
Woh Pehlay Sa Laikin Nazaara Nahin Hai

Kamaatay Hain Donon Miyan Bivi Mil Kar
Magar Phir Bhi Dekho Guzaara Nahin Hai

Sabhi Maantay Hain Ghalat Ho Raha Hai
Kisi Nay Magar Kuch Sudhaara Nahin Hai

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:49 AM
kaha usne bharosa dil par itna nae karte
kaha mein ne k mohabat mein kabhi socha nae karte!

kaha usne bohat khush rang dunya k nazare hain
kaha mein ne k jab tum ho tu kch dehka nae karte!

kaha usne mein tum se dur hun lekin tmara hun
kaha mein ne k sapne dil ko behlaya nae karte!

kaha usne tmari chahat mein ruswayan hongi
kaha mein ne shorat se gabraya nae karte!

kaha usne samjh jao samjh jao ae mere pagal!!
kaha mein ne k dewaney ko samjhaya nae karte!!!

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:50 AM
Mohabbat karke yeh dhoka bhi mujhe khana tha
Karke Wafa bhi bewafayi ka ilzam mujhe utthana tha

Hamesha rahi main jis ke Pyaar ki panahon main
Aaj us ki bahon main kisi aur ka thikana tha

Zara si baat per hua tha woh khafa mujh se
Kyun ki aaj us ne mere Pyaar ko aazmana tha


Jab kuch na kaha us ne to chup rahi main bhi
Mujhe bhi thi bohat jaldi usse bhi Ghar ko jaana tha


Mohabbat ka haseen Rishta itne aram se toota
Hui ghalti mujh se Dil main kisi ko nahi basana tha

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:53 AM
Hanste hue, aankhon main kyun aa jaate hain ye aansoo
yun khushi ko adhoora sa bana jaate hain ye aansoo

Dard itna hai saha, khaali ho gaya samandar ashkon ka
Jaane kahan se aankhon main bhar jaate hain ye aansoo

Khush hoon main, koi shikwa zamane se na taqdeer se
Meri iss baat ko jhoota kyun bana jaate hain ye aansoo

Shayad khabar hai in ko bhi kis qadar tanha hoon main
Tanhaayi main mera saath nibha jaate hain ye aansoo

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:53 AM
kyaa Khabar thii ke main is darjaa badal jaaungaa
tujh ko kho duungaa tere Gham se sambhal jaaungaa

ajanabii ban ke miluungaa main tujhe mahafil men
tuu ne chhedii bhii to main baat badal jaaungaa

Dhuundh paaye na jahaan yaad bhii terii mujh ko
aise jangal men kisii roz nikal jaaungaa

zid men aaye hue maasom se bache kii tarah
Khud hii kashtii ko Dubone pe machal jaaunga

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:54 AM
Aankhein khulein tu raat kay manzar badal gaye,
Kashti dubo kay ishq ke , samandar badal gaye .

Matti ke bhuk main , kya kya nahi kiya ,
Dab kar kay sab yahan , sikandar badal gaye .

Khurchi thi jin ke nook par , azmat ke chandni,
Apni luti ke wastay , khanzar badal gaye ..

Shikhastoo main aapni aap kuch , khubi dundye,
Aankho ke barishon se ,kitne,Banjar badal gaye .

Har bacche ke kaan main aadil ke baat the ,
Dekho tu nafraton ke , bawandar badal gaye

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:54 AM
mein ne roka b nahi wo thehra b nahi
hadsa kia tha jisy dil ne bhulaya b nahi

jany walon ko kahan rok saka hay koi???
tum chaly ho to koi rokny wala b nahi

wo to sadiyon ka safar kar k yahan poncha tha
tu ne monh pher k jis shakhs ko dekha b nahi

ek musafir hay jisy teri talab hay kb se
ehtraman tery koochay se guzarta b nahi

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:54 AM
kabhi mujh ko saath lekar kabhi mere sath chal ke
vo badal gaye achaanak meri zindagi badal ke

huye jis pe meharabaaN tum koi Khush_nasiib hogaa
meri hasarateN to nikaliN mere aaNsuuon maiN dhal ke

teri zulf-o-ruKh ke qurbaaN dil-e-zaar dhuuNDhataa hai
vahii champa_ii ujaale vahi surama_ii dhundalake

ko_ii phuul ban gayaa hai ko_ii chaaNd ko_ii taaraa
jo chiraaG bujh gaye haiN teri anjuman maiN jal ke

mere dosto Khudaaraa mere saath tum bhii dhuuNDo
vo yahiN kahiN chhupe haiN mere Gam kaa ruKh badal ke

teri bejhijhak haNsi se na kisi kaa dil ho mailaa
ye nagar hai aa_iinoN kaa yahaaN saaNs le sambhal ke

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:55 AM
Main diya hon toote Mazaar ka,sar-e-shaam kis ne jala diya
Teri be-rukhi adaon ne mujhe zarra zarra bana diya

Nayi manzilon pe pohanch ker bhi yehi sochta hon ke kis tarha
Kin raaston pe mile the hum,kin raaston ne bichaar diya

Ye to apna apna naseeb hai koi mil sake ya na mil sake
Na ho gham zada dil-e-meherban,phir kya howa jo bhula diya

Mere hum safar zara soch le,zara theher ja qadam do qadam
Teera raaton ka khaloos hon,tere saamne jo bicha diya

Meri hasraton ke mazaar per tere sankron se sawaal hain
Mujhe rok ker itna bataye ja,yahan kis ne kis ko bhula diya

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:55 AM
meray dil ki hai yehi arzoo mujhay tohi bus mila karay
yoohi chaahay mujh ko taamam umar na shikaitain na gila karay

meri chahtain, meri khwahishain, meri zindagi hai teraay liye
meri rub say yehi dua hai bus..tujhay koi na mujh say juda karay

meray khwaab meray ye rut jagay meri neend bhi hai teray liye
meri zindagi jo bachi hai ab; teray naam is ko khuda karay

mujhay zindagi say gila nahi mujay tujh say bus yehi a’as hai
mai bhi chahoo’n tujh ko sada yoohi tu wafa karay ya jafa karay

ye woh fa’aslay hain meray sanam jinhay koi bhi na mita saka
ye to feslay hain naseeb kay inhay kasay koi mita karay

meri zindagi mai khizaan hai bus na bahar kabhi asaki
yehi ashq mera naseeb hain koi gul khushi ka khila karay

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:56 AM
Wo bujhey gharon ka chiragh tha yeh kabhi kisi ko khabar na ho
usey le gai hai kahan hawa’ yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Kai log jaan se jayein gey merey qatiloon ki talash main
Merey qatl main mera haath tha’ yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Wo tamaam duniya ke wastey jo muhabaton ki misaal tha
Wohi apney ghar mein tha bewafa yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Kaheen masjidon main shahadatain kaheen mundiron main adaalutain
Yahan kon kerta hai faisla yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Merey pass jitni hai roshni yehi hai chiragh ki zindagi
Mein kahan jala mein kahan bujha yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Mujhe jaan kar koi ajnabi wo dikhla rahey hain gali gali
Isi sheher mein kabhi mera ghar bhi tha yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Wo samajh ke dhoop ka dewta mujhe aaj poojney aaye hain …
Main charagh hoon teri shaam ka yeh kabhi kisi ko khabar na ho..

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:56 AM
barasti boond chun chun kar koyi gajra bana deyna
merey haathon main balon main kabhi baarish saja deyna

kisi khushboo ka an deykha sa aanchal aurh loon sar sey
gulabon kuch lamhey ko tum mujhey apni adaa deyna

wo merey haath par honton ko rakhey piyaas ke dukh main
issi khaatir haatheli par koyi dariya bana deyna

bikharti dhoop sa cherey main behtey aab par dekhon
zara paani main apney aks ka manzar milaa deyna

main bhar loon haath ka piyalaa sunheri dhoop kirnon sey
merey sooraj ko dariya key kinarey par bulaa deyna

ussi key haath rakh deyna baharon key sabhi mousam
mujhey titli key par dey kar baharon ki duaa deyna

meri aankahin jaga key tum jo merey khuwaab parhtey ho
suno ! janey sey kuch pehley meri aankhain sulaa deyna…!!!

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:57 AM
Tum se nahein milay tou kisi se nahein milay
milna bhi pargaya tou khushi se nahein milay
duniya tou kiya khud se bhi kartay rahay guraiz
jab tak nahein milay kisi se bhi nahein milay
jo baytalab tha uss ki rahi humein talab
jo milna chahta tha ussi se nahein milay
milne ko zindagi mein sabhi kuch mila
tum mil gaye tou log khushi se nahein milay
hum apne dushmanoon say galay mil kar aagaye
jis kay liye gaye thay ussi se nahein milay

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:58 AM
Kahin Tum Apni qismat Ka Likha Tabdeel Kar Letay
To Shayed Hum Bhi Apna Rasta Tabdeel Kar Letay

Agar Hum Waqiaa Kam Hoslaa Hotay Muhabbat Mein
Marz Bharne Se Pehlay Dawa Tabdeel Kar Letay

Tumharay Sath Chalne Per Jo Dil Raazi Nahin Hota
Bohat Pehlay Hum Apna Faisala Tabdeel Kar Letay

Tumhari Tarah Jeenay Ka Hunar Aata to Phir Shayed
Makaan Apna wohi Rakhtay Pata Tabdeel Kar Letay

Judaai Bhi Na Hoti Zindagi Bhi Sahal Ho Jati
Jo Ek Dusray Se Masla Tabdeel Kar Letay

Bohat Dundlaa Geya Hai Yaadoon Ki Rim Jhim Mein Dil Saada
Woh Mil Jata To Hum Bhi Aaina Tabdeel Kar Letay

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:58 AM
Khuda Ik Pal Usay Mera Bana De
Itna Chahta Hun Usay Koi Bata De

Bohat Naz Hai Mujhe Apni Mohabbat Per
HoJaye Wo Mera Aisa Koi Mojza Dekha De

Agar Wo Mera Naseeb Ban Nhi Sakta
Uske Kadmon Ki Khak Mujhe Bana De

Her Pal Dehkon Sapnay Usi Ke
Na Jagon Mujhe Aisi Neend Sula De

Youn Ghut Ghut Ker Nhi Jena Chahta
Ya Wo Mujhe Mil Jaye Ya Mujhe Mita De

ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 07:59 AM
mein ne ghazlon mein utara hai tumhara chehra
k mujhay jaan se piyara hai tumhara chehra

tum ko iss baat ka ehsaas na janay kab ho
meri aankhon ka kinara hai tumhara chehra

dekh kar iss ko sakoon dil ko muyassir aye
mujh mo ghairon mein sahara hai tumhara chehra

apni maamol ki takhleeq se hut kar jaisay
uss ne fursat se sanwara hai tumhara chehra

apni takhleeq se woh khud ko ayyaan karta hai
uss ki qudrat ka ishaara hai tumhara chehra

-|A|-
02-17-2009, 08:53 PM
kOOL MAN

life2
02-17-2009, 10:15 PM
na nend meri hai na khowab or na zindagi

mujhay mujh he say dast bardaar kar gia wo shaks

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 04:41 AM
kOOL MAN

Thanks Stranger jeee

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 04:41 AM
na nend meri hai na khowab or na zindagi

mujhay mujh he say dast bardaar kar gia wo shaks


Thanks & nice one

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:05 AM
Badan mein rang bharta hay tumhara chand sa chehra
Mujhy beichain karta hay tumhara chand sa chehra

Ishq ehsaaska Nashaa liey phirta hay dunia mein
Meri khatir sanwarta hay Tumhara chand sa chehra

Mujhy yeh chandni raatain bohat Dillgirr lagti hain
Jab ankhoon mein ubalta hay tumhara chand sa chehra

Koi chehraa meri ankhon ko seerab kar nehi sakta
Mujhy madhosh karta hay tumhara chand sa chehra

Meri bastti sey shayad ess liey tum duor rehtya ho
Girehan lagney sey darta hay tumhara chand sa chehra

Tawajha kis qadar deiney laga hun ajh kal main khud pe
Tasawur sey guzarta hay tumhara chand sa chehra

Mery charon taraf jab raatain pheil jati hain
Toh phir mujh mein utarta hay Tumhara chand sa chehra

Shab-e-hijrrain sey Shaan yunhi apni dosti rakhna
Andheirey mein nikharta hay tumhara chand sa chehra......

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:06 AM
Chaand Taaron Se Sajee Raat Bhalaa Kya Maange,
Jis Ko Mil Jaaye Tera Saath Bhalaa Kya Maange.

Lab Pe Aayi Na Duaa Aur Qubool Ho Bhi Gayee.
Ab Duaaon Mein Uthey Haath Bhalaa Kyaa Maange.

Jis Ke Khwaabon Ki Ho Takmeel Usey Kya Gham Ho.
Mil Gayee Jis Ko Kaainaat, Bhalaa Kya Maange.

Manzil-e-Ishq Se Aage Bhi Qadam Kya Jaaye.
Rang-e-Mehndi Se Saje Haath Bhalaa Kya Maange.

Paa Liyaa Jis Ke Andheron Ne Roshni Ka Sabab.
Us Ke Mehke Huve Jazbaat Bhalaa Kya Maange

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:06 AM
Haal-e-Dil
Mera Haal-E-Dil Kuch Aaisa Hai Kay Koi Bata Nahin Sakta
Suntay Hain Loog Per Koi Suna Nahin Sakta
Hawaoon Pay Likha Hai Main Nay Qissa Apni Hayat Ka
Kay Koi Lakh Chahay Bhi To Mitaa Nahin Sakta
Har Eik Ki Tamanna Hai Kay Phooloon Pay Guzaray Zindagee
Per Raah Main Padray Kantoon Ko Koi Hata Nahin Sakta
Dil Main Dukh Samooo Kay Kab Tak Hunstay Rahoo Gay
Aankhoon Main Aaisay Aansowoon Ko Koi Chupa Nahin Sakta
Lakh Chahay In Mast Mailoon Main Gum Ho Jayay
Mager Beetay Huay Lamhoon Ko Koi Bhulla Nahin Sakta
Koi Rooth Jayay Tum Say To Mana Laina
Kay Janay Waloon Ko Koi Wapis Bula Nahin Sakta
Her Rooshan Cheez Ko Paa Lainay Ki Arzoo Na Ker
Kay Suraj Nikalta Hai Per Us Ki Taraf Koi Aankh Utha Nahin Sakta
Samander Ki Lehroon Pay Un Ka Naam Likhti Hoon .......
Kay Koi Aag Laga Bhi Day Per Jala Nahin Sakta

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:06 AM
Tum door ho kay be meray pass rehtay hoo
Meray dil mey bastay ho meray saath rehtay hoo
Shab-e-tanhi ke ik ik gharee phool bantee hey
Khushbu ban kay tum mera angaan mehkatay hoo
Tumare yaad ke hidatt say jab jalta hey dil mera
Tab tum payar ka sawan ban ky baras jatay hoo
Jab be kabi woh surmaee ankhyn uthtee haan
Mera dil machalta hey aur tum sansay ban jatay hoo
Shab-e-hijraan may chamaktay meh-o-anjum
Sab mandd pertay haan janaa jab tum samnay atay hoo

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:06 AM
Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai
tamaam umr yehi aasra hi kaafi hai ...

Jahan kahin bhi milo, mil ke muskura dena
khushi ke wastey yeh silsila hi kafi hai ..

Mujhe bahaar ke mausam se nahi kuch lena
tumhare pyar ki rangeen fiza hi kaafi hai ..

yeh log kaun si manzil ki baat karte hain?
musaafiron ke liye tu raasta hi kaafi hai

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:07 AM
Aaj dli ki zuban banke aayegi mohbbat
jo na khaina tha wo kah jai gi mohbbat

meri aarzo hai teri ye aankhein
khaab es main mujh ko saare dikhlaigi mohbbat

mere dil se koi poche kitna shamil hai tu mujh main
jan meri jaan de ke bhi chain na paigi mohbbat

kab se main ne manga tha jisko duwaon main wahi tu hai
her dua ab meri rang laigi mohbbat

Pyaar ka ye hai safer ham hai aur tum ho bas
koi eski diwaar na dekh paigi mohbbat

Aye meri jane ghzal thaam le dil apna tu kanwal
raaz saare jo chope hai wo batayeg mohbbat

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:07 AM
Wafa

Mujhe haq de k main tujh ko sanwaron apni chahat se
meri ankhon main tujhe rakh do chopa k zamane k dar se

na dekhe koi tujh kabhi us nazere karam se
jo dekhe tujh ko meri aankhein jis mohbbat se

koi dard dil ka chopa lo aa koi khaab tera saja do aa
mera dl ye daa mage aaj fr bad hasrat se

mile wo gham hame na ab jise furqat k sitam ne lota
main lo jab bhi tera naam aye sanam lo badi ezzat se

tera hi aasra hai dil koi warna zindaghi bhi kaya
mile ham jab kabhi tujhse mile bas yaar mohbat se

yehi apna andaaz hai kanwal k muskora ke bhi roty hai
wafa kerti hai farze ulfat bhi apni adat se....

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:08 AM
Akelay Ho Na Payen Kabhi Tanhayee May Hum.
Hamaray Sath Aapni Yadoon Ka Aisa Qafila Rakhna.
Hamain Bus Aap Se Jana Faqat Itni Guzarish Hai.
Guftagu May Kamal Rakhna Aankhon May Haya Rakhna.
Tumharay Dost Tu Hein Or Be Laikin Gila Nahi.
Milo Un Se Magar Khud May Zara Sa Fasla Rakhna.
Hazaron Mor Ayein Gay Hamari Rah-e- Ulfat May.
Kabhi Judaa Na Hona Hamesha Hosla Rakhna.
Tumhari Zaat Se Hi Wabasta Hein Umeedien Sab.
Inhain Bujhanay Na Daina Tum Inhain Roshan Sada Rakhna.
Tumharay Hi Liay Tu Hein Meri Sari Wafaien.
Hamaray Dil Ki Dunyia Sab Logon Se Judaa Rahna

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:08 AM
Muddat mein wo phir taaza mulaqaat ka aalam
khamosh adaaien wo jazbaat ka aalam

aaariz say dhalaktay howaye shubnam kay wo qatray
aankhoun say chalaktee howee barsaat ka aalam

nazroun he nazroun mein wo sawalaat ki duniya
aankhoun he aankhoun mein jawabaat ka aalam

Allah ray wo shiddat-e-jazbaat ka aalam
aankhoun say kehtee howee har baat ka aalam

muddat mein wo phir taaza mulaqaat ka aalam
khamosh adaaien wo jazbaat ka aalam

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:09 AM
Baatain Tere ILHAAM Hain Jadoo Teri Awaaz
Rug Rug Main Utarti Hoyi Khushbo Teri Awaaz

Behtay Chalay Jatay Hain Tah-e-Aab Sitaray
Jaisay Kahain Utri Ho Lab-e-Joo Teri Awaaz

Main Shaam-e-Gharibaan Ke udaasi Ka Musafir
SehraaoN Main Jaisay Koi Jugnoo Teri Awaaz

Lafzoon Main Chupaaye Howay Bay-Rabt Dilaasay
Chunti Rahy Shab Bhar Meray Ansoo Teri Awaaz

Ye Hijr Ke Shab Bheeg Chali Hai K Meray Baad
Rooti Hai Kahain Khool K Gesoo Teri Awaaz

MOHSIN K Khayaloon Main Utarti Hai Sar-e-Shaam
Rim Jhim Ke Tarah Bandh K Ghunghroo Teri Awaaz...

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:09 AM
Is imtehaan main hon,dil ka baab kis ko don
Nisaab-e-ishq pe likhi kitaab kis ko don

Har ek shakhs ko mujh se bohat mohabbat hai
Sawal yeh hai wafa ka jawab kis ko don

Mera khuloos,mohabbat,waf a hai sab ke liye
Sochta hon ke lab-e-lubaab kis ko don

Mere liye to sabhi log ek jese hain
Sukoon kis ko don,main izteraab kis ko don

Hujoom-e-husun ke melay main sochta hon main
Ke apne hath main thama gulaab kis ko don

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:09 AM
Kisi jhooti wafa se dil ko behlana nahin aata
Mujhe ghar kaghazi phoolon se mehkana nahin aata

Main jo kuch hoon wohi kuch hoon, jo zahir hai wohi baatin hai
Mujhe jhoot se dar-o-deewar ko chamkana nahin aata

Bohat kamzooriyan hain mujh main, ek yeh bhi kamzori hai
Mohabbat ho kisi se to mujh ko batana nahin aata...

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:11 AM
Hum ne aaj kuch sach likhne ki himmat ki hai
Koi jadoo nahi! hum ne tum se mohabbat ki hai

Woh ek lamha bhi jo teri yaad ke bina guzra
Us pal mein hum ne khud se bhi nafrat ki hai

Har shakhs milta hai aaker hume khuloos se
Baat meri soorat ki nahi! baat to seerat ki hai

Tum se pahle koi bhi na aa saka wahaan
Dost jis dil pe aaj tum ne hukumat ki hai

Ye mere dil ka dard kam kyun nahi hota
Aie dil hum ne kya dukhon se ulfat ki hai

Sazaa milegi tum ko bhi iss faisle ke baad
Mere zameer ne sach bolne ki jurrat ki hai

Kya karoon ! woh to pyar ka matlab bhi nahi janta
Dil-e-Nadan hum ne kis shakhs se mohabbat ki hai

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:14 AM
..Kabhi yubhi to ho.....
Suni har manzil ho...Koi na mere sath ho......
Aur Tum aao.....!!!!
Kabhi yu bhi to ho........
Ye badal aise tut ke barse......
Mere dil ki tarah ....aur Tum aao...!!!!
Kabhi yu bhi to ho.......
Dariya ka sahel ho......
Pure chand ki raat ho.......Aur Tum aao...!!!!
Kabhi yu bhi to ho.......
Pariyo ki Mehfil ho......
Koi tumhari baat ho...Aur Tum Aao...!!!!
Kabhi yu bhi to ho.........
Tanhaai ho.....Dil ho....Bandhan ho.......
Barsaat ho.......
Aur aane ko tumhara dil bhi tarse.....AUR TUM AAO...!!!!!
Kabhi to aisa ho....KI.....Tum Aao...!!!!

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:14 AM
kuch ankhain aisi hoti hain...
jo apni apni lagti hain....
bheer main nazer ajayen too..
dunya ruk si jati hai....!
Waafa k sab jawab ik pal main samjhati hain...
jazbay kitnay sachay hain..?
khuwab kitnay achay hain..?
muhabbat kitni paak hai..?
judai kia azaab hai..?
phir isi bheer main kho jati hain...
aur yaad bun kar satati hain...
woh ankhain phir kahan say layen..?
jo muhabbat samjhati hain....!!
isi talash main rooh bhatakti hai...
pal pal phir tarapti hai.....
manzil say bhatka k hum ko....
intizar day jati hain....
Kuch ankhain aisi hoti hain...!!!!!

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:36 AM
Dukh chhupaye hoay hain hum dono
Zakham khaaye hoay hain hum dono

Aisa lagta hay phir zamany ko
Yaad aaye hoay hain hum dono

Tu kabhi chandani thee dhoop thaa main
Ab to saaye hoay hain hum dono

Jaisay ek doosary ko paa kar bhee
kuch ganwaiye hoay hain hum dono

Jaisay ek doosary say sharmindah
Sir jhukaye haoy hain hum dono

Jaisay ek doosaray ki chahat ko
Ab bhulaye hoay hain hum dono

Ishq kaisa kahan ka ehad Faraz
Ghar basaye hoay hain hum dono.

ShArArTi MuNdA
02-18-2009, 08:38 AM
Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono

Na Mein Tum Se Koi Umeed Rakhoon Dil Nawaazi Ki
Na Tum Meri Taraf Dekho Ghalat Andaaz Nazron Se
Na Merey Dil Ki Dharhkan Larhkharhaaye Meri Baaton Mein
Na Zaahir Ho Tumhari Kash Makash Ka Raaz Nazron Se
Taaruf Rog Ho Jaye To Us Ko Bhulana Behter
Taaluq Bojh Ban Jaye To Us Ko Torhna Acha
Wo Afsaana Jisey Takmeel Tak Lana Na Ho Mumkin
Usey Ek Khoob Soorat Morh De Kar Chorhna Acha
Tumhain Bhi Koi Uljhan Rokti Hai Pesh Qadmi Se
Mujhey Bhi Log Kehtey Hain Ke Ye Jalwey Paraaye Hain
Merey Hamraah Bhi RuswaaiyaaN Hain Merey Maazi Ki
Tumhaarey Saath Bhi Guzri Hoyi Raaton Ke Saaye Hain

Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.