Log in

View Full Version : MuNdA's Collection


Pages : 1 [2] 3 4 5 6 7

Hira
12-03-2008, 01:46 AM
nice

ShArArTi MuNdA
12-03-2008, 05:41 AM
v.nice


Thanks Hani jiii

ShArArTi MuNdA
12-03-2008, 07:27 AM
nice

Thanks Hira jiii for Visitin my Thread.

ShArArTi MuNdA
12-03-2008, 07:30 AM
Bhataktey bhataktey
Sara din galyoon mey
Aaawargi kertey kertey
Jab sham ka soraj
Dhalney laga Aur
Thatherti shaam
Mian seeyahi mayel
Andhera chah gaya
Jab hawa ki sard layher
Saray jism ki ragoan ko
Munjimad kernay lagi
To aawara Rooh ki tarah
Der der bhatakti
Aakhir teri YAAD
Merey Dill ki Derwazey
Pey aan pohnchi...
Raat kay Sunatey mey
Mian Our teri "Yaad"
Sergoosheyaan kertey kertey
Ek dosrey ki bhanhoon mey banhain daley
Terey Intezar ka diye jalayee
U tamam raat jaltey rahey
Pighaltey rahey
Terey Intezar ki
Girhein gintay rahey...!

Da Only Ruler !!!
12-03-2008, 10:18 AM
Zabardast

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 12:20 AM
Thanks SZH

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 12:26 AM
Uss akhri nazar mein ajab dard tha MUNDA
jaane ka uss ka ranj muje umar bhar raha

judaiyon huwi to aisi k umar bhar na milen
fareb do to zara silsile barha ke mujee

bicharte waqt kisi se humein bhi tha yeh guman
ke zakham kaisa bhi ho,umar bhar nahi rehta

awaz de ke dekh lon shayad woh mil hi jae
warna yeh umar bhi ka safar raigan to hai

ik dosre ko jaan na pae tamam umar
hum hi ajeeb the ke zamana ajeeb tha

paane ki arzoo bhi jo hoti to kis tarah
khone ki lazaton mein hi ik umar kat gai

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 12:27 AM
Tu yaad rakhna humhain hamesha bahar ki tahra

Mujh se dor raha na karo ke jiya nahi jata hai
bin tumhare ab raha nahi jata hai

dil hai ke har gali se ghuzar jata hai
kabhi wafa tu kabhi bewafai apne hi sath kar jata hai

hum ne piyar tu buss teri roh se kiya tha
tere jan o jisam ke tu kail bhi na the..

chand lahme bahar ke chand lahme khiza ke
zindagi main dukh or khushi na ho tu naam e zindagi nahi

kuch fasle nazar ate the jitne utne nahi the
rishte jo bikhar gaye the sab apne bhi nahi the

yani ke tuje pukarte tu tum bhi sath hote
piyar jab hi humhain dete jab hum piyar tuje dete

rukne se kon ruka hai wafa faqt ek baat ke
yahan tu ansoo nahi rukte alam e tanhai main .

roz e shab ye ashk bhara jam pilaya na karo
jab dil ho udhass chehre par hassi laya na karo

na bhool piyar nahi milta teri duniya main
har shakss phirta hai is matlab e duniya main

hum tu chalte hain teri mehfil se tera didar kiye bina
tu yaad rakhna humhain hamesha bahar ki tahra

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 12:29 AM
Tum Hi Tum Ho...

"Meri soch ki hadain hain jahan talak,
Wahan tum hi tum ho,
Meri nazar ki had hai jahan talak,
Wahan tum hi tum ho,
Mera sehra hai jahan talak,
Barsaat tum hi tum ho,
Meri barsaat hai jahan talak,
Ghata tum hi tum ho,
Mere khawabon ka mehal hai jahaan talak,
Har qadam pe tum hi tum ho,
Mere dil ki waadi hai jahan talak,
Har chehraa tum hi tum ho,
Mere chehre pe muskurahat hai jab talak,
Muskurahat tum hi tum ho,
Meri aankhon ki shararat hai jab talak,
Woh sharart tum hi tum ho,
Mere pyaar ka sehar hai jahan talak
Us sehar mein tum hi tum ho,
Mere pyaar ka jaadoo hai jahan talak,
Wahan tum hi tum ho,
Meri aarzoein bikhrein hai jahan talak,
Woh umeed tum hi tum ho,
Mujhe sahara hai jahan talak,
Woh saheban tum hi tum ho,
Mere dil ki khusiyan hai jahan talak,
Woh sapne tum hi tum ho,
Meri nazar mein chandni hai jahan talak,
Woh roshn i tum hi tum ho,
Meri umeed ki kirne hai jahan talak,
Sab roshniyan tum hi tum ho.

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 12:29 AM
Yaaad
Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahin
ik pal nahin jab tumhe humne pukaara nahin


meri naakaamiyon ka itna bhi gham na kijiye
agar aap jeete hain to main haara nahin

ye naqsh-e-dard kaise utar jaaye chehre se
maine abhi aapka gham dil se utaara nahin


tere bin youn kat rahi dariya-e-zindagi mein
kashti bhi hai maajhi bhi hai,kinaara nahin

kar rakhaa hai jisne saare ghar mein ujaala
aansu hai mera ye koi toota hua taara nahin

kisko gale lagaa ke rooyen na-muraad hum
is bhari duniya mein apna koi sahaara nahin


mareez-e-ishq hai tamannai khudkushi ka ab
gehre hain dil ke zakhm,aur koi chaara nahin

wo aa ke poonchh den aansu hamari aankhon se
itna bhi hamare haq mein naseeb hamara nahin


itna hai bad-naseeb "DoStOn" ka ye jahan
loota hai zindagi ne jise maut ne maara nahin

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 12:30 AM
Ek Mulaqat

kabhi Yun Milein Koi Maslehat Koi Khauf Dil Main Zara Na Ho
Mujhe Apni Koi Khabar na Ho, Tujhe Apna Koi Pata Na Ho

Kabhi Dhoop Dey Kabhi Badliyan Dil.o.Jan Se Dono Qabool Hain
Magar Is Mehal Main Na Qaid Kar Jahan Zindagi Ki Hawa Na Ho

Woh HAzaar Bhaaghon Ka Baagh Ho Teri Barkaton Ki Bahaar Se
Jahan Koi Shaakh Hari Na Ho Jahan Koi Phool Khila Na Ho

Tere Ikhtiyar Main Kya Nahin Mujhe Is Tarah Se Nawaz Dey
Yun Duayein Meri Qabool Houn Mere Lab Pe Koi Dua Na Ho

Kabhi Hum Bhi Us k Kareeb thy Dil.o.Jan se Bhar k Aziz Thy
MAgar Aaj Aise Mila Hai Woh Kabhi Pehle Jaise Mila Na Ho

*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 12:31 AM
Jab Se Tum Ne Mooon Moorh lia

Jab se tum ne hai moon hum se moorh liya
lugta he qudrat ne b hai jaise nata torh liya

meri neend ko jaise neend see hai aa gayi
ankhain hain pathaar k ansuon ne moon morh liya

tumhein kuch na likhain ge tum se kuch na kahain ge
yeh waada to kiya hum ne khud ko bhi torh liya

tum ne kabhi hum ko ashna samjha hi nahin
hasraton ke sheher mein khamoshi se nata jorh liya

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 12:33 AM
Jane Kyun Yeh Saza Khatam Nahin Hoti
Meri Aankhon Ki Yeh Nami Kam Nahin Hoti

Tere Phool Se Araz Ko Choone Ki Saza Thehri
Abhi Bhi Un Kanton Ki Chubhan Khatam Nahin Hoti

Dil Ko Jo Aag Lagayi Teri Juddai Ne
Sawan Mein Bhi Jalan Us Ki Khatam Nahin Hoti

Buhat Lambi Hai Yeh Gham Ki Kaali Raat
Roshni Ko Tarsa Hoon Yeh Siyaahi Khatam Nahin Hoti

Talb-E-Mout Ki Bhi Intihaa Kar Chuka Hon MANI
Jane Kyun Yeh Zindagi Ki Rah Khatam Nahin Hoti

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 12:34 AM
Yaadein yeh kaisi hai yeh yaadein

jeene nahi deti yeh kambaqt yaadein

soocha tha ki naye saal mein kiski yaad nahi aayege

par yeh kambaqt yaadein saath nahi chodti!

pal pal yaad dilaye

pal pal rulaye

kal uski awaaz sunke aankhe baar aaye aur aansoon bhete gaye ..

kaise bhoolao kaise?

rookne pe toh woh rookna nahi

baas yaadein chodh gaya .

yaadein yeh kambaqt yaadein ..

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 12:35 AM
Haan Mean ne Bhe Mohabbat Ki Hai

Uskey Ikhlas Sey Mohabbat Ki Hay
Uskey Ehsas Sey Mohabbat Ki Hay

Woh Mery Pass Nahi Hay Phir Bhi
Uski Yaad Sey Mohabbat Ki Hay

Main Us Ko Kis Tarha Bhool Sakta Hoon
Main Ne Uskey Osaaf Sey Mohabbat Ki Hay

Kabhi To Us Ney Bhi Mujhe Yaad Kia Ho Ga
Main Ne Un Lamhat Sey Mohabbat Ki Hay

Jin Main Hoon Sirf Uski Or Mery Baten
Main Ney Un Oqaat Sey Mohabbat Ki Hay

Or Jo Mehke Hoon Sirf Uski Mohabbat Sey
Main Ne Un Jazbat Sey Mohabbat Ki Hay

Un Sey Milna To Aab Khawab Sa Lagta Hay
Main Ney Uskay Intezar Sey Mohabbat Ki Hay

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 12:37 AM
Meray dard ki jo dawa karay koi aisa shakhs hua karay
Woh jo bepanah udas ho magar hijr ka na gila karay
Meri chahatain meri qurbatain jisay yad aen qadam qadam
Tu woh sub say chup kay libas-e-shab main lipat kay ah o baka karay
Barhay us ka gham tu qarar kho day woh meray gham kay khayal say
Uthain uss kay hath apnay liay tu phir bhi meray liay he dua karay
Ye qassas ajeeb o ghareeb hain ye muhabatoon kay naseeb hain
Mujhay kaisay khud say juda karay usay kuch batao kay kia karay
Kabhi tay yunhi shoq shoq main woh faraq kay faslay karay
Meray peechay aa kay dabay qadam meri ankhain monday hansa karay
Bara shor hay meray shehar main kisi ajnabi kay nazool ka
Woh meri he jan na ho kaheen koi kuch tu ja kay pata karay
Ye tu meray he dil ka aks hay main nahi hoon per meri arzoo ko
Janoon hai mujhay yeh bata de tu phir jo chahay kaza karay
Bhala kaisay apnay he aks ko rafiq e jan bana sakoon
Koi aur ho tu bata day koi hai kaheen tu sada karay
Usay dhoondti hain gali gali meri khalwatoon ki udasian
Woh milay tu bus yeh kahoon kay aa mera moula tera bhala karay

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 12:38 AM
Mujhay khud ko chupana hay!!!

yeh jazba jo diloon mein khatkhtata hay,
esay kya naam dein hum,
na he yeh khwab hay,... na he hakekat,
yeh jazba jaan paein gay..
nahi perdoon k pechay sae,
na he perdoon k uthnay tak,
mager mein kya keroon?
mujhay khud ko chupana hay ,
zamanay ke negahoon sae...
anokhay khwab ko tabeer honay tak..
inhi perdoon k uthnay tak...
Mujhay KHUD ko Chupana HAy!!!!

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 12:39 AM
Aag Ka Darya hai or Doob k jana hai


Masoom Mohabbat ka bas itna Fasana hai
Kagaz ki Haweli hai aur Baarish ka Zamana hai
Kya shart-e-mohabbat hai, Kya shart-e-zamana hai
Awaaz bhi Zakhmi hai aur Geet bhi gaana hai
Uss paar utarne ki Umeed boht kam hai
Kashti bhi Puraani hai aur Toofaa ko bhi aana hai
Samjhe ya na samjhe wo Andaaz Mohabbat ke
Ek Shakhk ko Aankhon se Shair sunana hai
Bholi si Adaa koi phir Ishq ki zidd par hai
Phir Aag ka Darya hai aur Doob ke jana hai

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 12:40 AM
milein ham kabhi tu aise k hijab bhool jaye
main sawal bhool jaon wo jawab bhool jaye

wo kisi kheyaal main ho,oor ussi kheyaal main hi
kabhi mere rastey main wo ghulaab bhool jaye

jo kabhi tuo parhne baithey,mujey harf harf daikhey
teri aankhein bheeg jayen tuo kitaab bhool jaye

teri soch par ho haawi meri yaad istrha se
k tuo apni zindgi ka ye nisaab bhool jaye

mujey gham wo dey raha hai magar us pe chahta hai
main hissab rakh na paoun,,wo hissab bhool jaye

mujey saad jate jate faqet itna kah giya hai
jisse de dikhayi acha,,,wo kharab bhool jaye,,

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 12:43 AM
Main Phir Tanha Reh Jata Hoon


Jab Dard Say Dil Bhar Jata Hai
Aur Tanha Mann Ghabrata Hai
Aisey Main Teri Yaadon K
Kuch Melay Say Lag Jatay Hain
Pur Shoor Khayalon K Khaimay
Charoon Janib Gharr Jatay Hain
Un Meloon Main Un Khaimon Main
Kuch Aaseen Thehra Karti Hain
Jo Thaam K Meri Ungli Ko
Melay Main Ghooma Karti Hain
Phir Nazar Bacha K Janay Kion
Woh Khadshon Main Khoo Jati Hain
Main Phir Tanha Reh Jata Hoon
Main Phir Tanha Reh Jata Hoon

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 12:49 AM
Barish Thi Hum Thay Aur Ghani Horahi Thi Sham
Tum Nay Lia Tha Kanptay Honton Say Mera Naam
~~~~**~~~~
Me Nay Kaha Tha "Ao Yonhi Bheegtay Chalain"
In Raston Main Der Talak Ghomtay Chalain
~~~~**~~~~
Mere Kamar Me Hath Ye Pholon Sa Daal Kar
Kandhay Pe Mere Rakahy Raho Yonhi Apna Sir
~~~~*~~~~
Hathon Ko Kabhi Me Balon Ko Chom Lon
Dekho Mere Taraf To Me Ankhon Ko Chom Lon
~~~~*~~~~
Pani K Ye Jo Phol Hain Rukh Pe Khilay Huay
In Me Dhanak K Rung Hain Saray Ghulay Huay
~~~~*~~~~
Honton Say Un Ko Chuntay Rahain Khush Dili K Sath
Taray Hamain Talash Karain Chandni K Saath
~~~~*~~~~
Yonhi Kisi Darkht K Neechay Kharay Rahain
Barish K Der Baad Bhe Liptay Kharay Rahain
~~~~*~~~~
Tum Nay Kaha Tha Ao Chalain Raat Agayi
Dil Jis Say Dar Raha Tha Wohi Baat Agayi
~~~~**~~~~
Beetay Samay Ki Yaad He Raston Me Rah Na Jaye
Ye Dil Kahin Visaal Ki Barish Me Beh Na Jaye
~~~~**~~~~
Kuch Der Aik Chup Se Rahi Darmyan Me
Girhain Se Jaisay Parnay Lagi Hon Zaban Me
~~~~**~~~~
Yak Dum Gira Tha Phol Koi Shakhsar Say
Dekha Tha Tum Nay Mere Taraf Iztarar Say
~~~~**~~~~
Barish Me Bheegtay Huay Jhonkay Hawa K Thay
Woh Chand Be Guman Lamhay, Bala K Thay
~~~~**~~~~
Nasha Sa Charon Taraf Phailta Gaya
Phir Uss K Baad Me Nay Tumha Kuch Nahi Kaha

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 12:58 AM
***Muhabbat jhot lugti hay***


muhabbat jhoot lagti hay mujhay
ik khookhla jazba
jisay izhar ki her waqt khuwahish hoo
kahay janay ki
sunanay ki
jisay her pal zaroorat hoo
"mujhay tum say muhabbat hay"
na janay rooz kitnay loog
is jumlay ko sunnnay k liyay baidar hotay hain
ye aisa jhoot hay jis ka sehr
sadioo'n say tari hay
magar janaa'n
muhabbat jab kabhi izhaar ko tersay
koi tum say ager kahday
"mujhay tum say muhabbat hay"
to us ki baat mat sunnana

muhabbat rooh say phootay
muhabbat aks ban jaye
to phir tum ko yaqee'n aye
k main nay sach kaha tum say
muhabbat rooh ban jaye
to phir us ka yaqee'n kerna
waerna aik jumla koi kitni baar duhraaye
kahay jayee

nahi sunnuna
muhabbat jhoot hay janaa'n
ager izhaar ki is ko zaroorat hoo

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 12:59 AM
Nazron se Nazrein mili to Bura Maan gaye
Hum ne Aankhon se Ishara kiya to Bura Maan gaye

Baat Baat per Muskurana Unki Aadat thi,
Zara sa Hum ne jo Hansaya to Bura Maan gaye

Hamein Aazmane ki Baat karte thay Aksar,
Jab Hum ne Aazmaya to Bura Maan gaye

Pyaar mein Be-Wafai na karna Wo Kehte thay,
Isi Baat ko Hum ne Dohraya to Bura Maan gaye

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 01:00 AM
Is Zamane Sey Na Hum






Is Zamane Sey Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gay
Dil Lagayein Gay To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gay

Na Dikhayain Gay Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthey Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gay

Jaan De Daingein Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usey Apne Liye Bhi Na Bacha Rakhain Gay

Sab Hata Daingay Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazey Ko Har Waqt Khula Rakhain Gay

Unki Har Baat Ko Bhooley Se Na Bhoolain Gein Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gay

Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki *******
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gay!!

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 01:03 AM
Musaffir Ke Rasstey Badeltay Rahey
Muqader Main Chalna Tha Chaltey Rahey
Koi Phool Sa Haath Kandhey Pay Tha
Meray Paion Sholon Pay Chaltey Rahey
Main Rasttey Main Uljha Reha
Deyaa Uski Rahoon Main Jaltey Rahey
Woh Kiya Tha Jissey Hum Ney Thukra Diya
Mager Umer Bher Haath Maltey Rahey
Mohabbat, Adavet, Wafa, Beyrukhi
Kiraye Ke Gher Thay Badltey Rahey
Suna Hai Unhin Bhi Hawa Lag Gai Hai
Hawaon Ke Jo Rukh Badlatey Rahey
Lepit Ka Chiragoon Sey Hum So Gaa *******
Hum To Phoolon Main Carwaan Badltey Rahey

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 01:04 AM
Ansu


Kuch is tarha meri ankho mein basy hein Ansu
Hont chup hein to zuban ban k sajey hein Ansu

khud hi dy kar meri Ankho mein yah sary Ansu
Poochta hai key baata kisney diya hein Ansu

Faarq itna sa hai chaahat mein meri aur uski
usko khushia hi milen mujhko mily hein Ansu

Jisko her ghum sy bachaya tha meri chahat ny
Aaj us shaks ney Ankho mein diye hein Ansu

Dekhty kia ho meri Aankh sey niklaa Ansu
Ankh meri ha magar us key sajy hein Ansu

Khud to aram sey wo mujhko bhola betha ha
jiski chahat ki saza mein yeh miley hein Ansu

Yeh meri ankh nahi raait ka sehra hai jahan
khushk ankho mein kali ban k khely hein Ansu

Apny jis hath sey likha tha usey sari umar
kup kapati usi ongli sey meety hein Ansu

Ek muddat sey jiesy dil ney bhula rakha tha
Aaj palkho pa wo tasveer baney hein Ansu

Jisny tanha mujhy rota hua chora tha ____
Aaj tak uskey lia likh hi rahey hain Ansu

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 01:05 AM
YE ZINDAGI


Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si
Kabhi khushi hamare sath sath
Kabhi ghamon ki barsat si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi tofanon main bhi hain raste
Kabhi manzilon ka pata nahi
Kabhi do kadam pe zindagi
Kabhi saddion tak intizar si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi her pal imtihan hai
Kabhi bin mange inam hai
Kabhi kuch nahi
Kabhi sab kuch si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 01:06 AM
Yadon ko apne dil se mita koun nahin dete
Jo Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyu Nahi Dete.


Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata,
Khamosh Khade Hu Saza Kyon Nahi Dete.

Use Jis Ke Zakham Hai Inaayat Teri,
Gar Hai Tumhare Paas To Dawa Kyu Nahi Dete.

Kahin Ghar Nahi Baste Hai Jin Ki waja Se,
Un Adhjali Rasmon Ko Jala Kyu Nahi Dete.

Us Ne Tumhari Khaatir Kiya Kiya Nahi Kiya,
Tum Us Ki Wafaaon Ka Sila Kyu Nahi Dete.

Tumhein Mujh Se Mohabbat Hai Jaanta Hoon Main,
Ye Baat Apne Lab Se Bata Kyu Nahi Dete.

Anmol Khazana Hain Muskurahatein Teri,
Thoda Sa Ese Mujh Pe Luta Kyu Nahi Dete.

Wo Aag Jo Dil Mein Lagaai Thi Kabhi Tum Ne,
Wo Aag Aaj Khud Hee Bujha Kyu Nahi Dete.

Ek Arsa Howa Chain Se Soye Howe
Mera Chain, Meri Neend Lauta Kyu Nahi Dete

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 01:08 AM
Muddat se jis ke waaste Dil be qaraar tha
Woh laut kar na aaya magar intezaar tha


Jo humsafar tha chorr gaya raah main mujhe
Main phans gaya bhanwar main woh darya ke paar tha


Manzil qareeb aayi to tum door hogaye
Itna to tum batao ke yeh kaisa Pyaar tha


Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan
Na woh sakoon se bethi na mujh ko qaraar tha


Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt ka
Ankhon main aansu aur Dil beqaraar tha


Yeh baat umer bhar samjh na paaya main
Kyun Dil mera us ka talabgaar tha

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 01:11 AM
Kyun pyaar us par hi aata hai,
Jo mil kar bhi naa mil pata hai.
Kaise yeh usse batayein hum,
Tujh bin rah na paayein hum.


Kyun baar baar woh satata hai -
Kuwaabon main aakar rulata hai?
Bhulanaa us ko chahein hum,
Par kis tarah bhulaayein hum?


Woh mann main har dum rahta hai,
Dharkan ki tarah dharkta hai.
Hain issi ehsaas se zindaa hum,
Hain ek-duje ke dil o jaan hum.


Ek duje ke dil main rahte hain -
Kya pyaar issi ko kahte hain?

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 01:12 AM
Zamane se suna tha Mohabbat Haar jati hai

Jo chahat yak tarfa ho wo chahat haar jati hay

Kahen per dua ka ek lafz bhi asar kar jata hay
Kahen barson ki ibadat haar jati hay


Mohabbat kab kisi ko dushmani ka dars daiti hay
Mohabbat ki baazi main adawat haar jati hay


Hamen kitnay bhi shikway hon us ki jafaon k
Per us k saamnay her ek shikayat haar jati hay


Ek aarzo si hay k us ko bhool jayen hum
Per us ki yaad aatay hi ye hasrat haar jati hay

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 01:13 AM
Kabhi Chaho Gay Toh Chahat Se Bulayein Gay Tumhein
Dard E Dil Hota Hai Kya Yeh Dikhayien Gay Tumhein



Muhabbat Hoti Hai Kya Muhabbat Ker Kay dekh lena
Phir Mere Pass Ana Kuch Aur Batayein Gay Tumhein



Kabhi Na Ayein Ankh Main Ansuu Toh Aisa Kerna
Ek Sham Mere Pass Ana Bohat Rulayein Gay Tumhein



Har Pal Raho Gay Bechain Muhabbat Main
Khayal Ban Kar Pal Pal Satayein Gay Tumhein



Puchtay Ho Jo Zinda Rehne Ka Sabab
Chalo Kisi Roz Zindagi Se Milwayein Gay Tumhein

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 01:19 AM
Ek pal main ek sadi ka maza hum say pochye
Do din ki zindigi ka maza hum say pochye

Bholay hain rafta rafta unhen muddaton main hum
Qiston main khud kushi ka maza hum say pochye

Aaghaz-e-aashiqi ka maza aap janye
Anjam-e-aashiqi ka maza hum say pochye

Jaltay diyon main jaltay gharon jaisi low kahan
Sarkar roshni ka maza hum say pochye

Wo jan hi gaye hain k hamen un say pyar hay
Aankhon ki mukhbiri ka maza hum say pochye

Hansnay ka shoq hum ko bhi tha aap ki tarhan
Hansye magar hansi ka maza hum say pochye

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 01:19 AM
Na tujhe chorr sakte hain tere ho bhi nahi sakte
Yeh kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahi sakte



Yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaye rakhta hai
Tumhari yaad aati hai to phir sou bhi nahi sakte



Chhupa sakte hain aur na dikha sakte hain logon ko
Kuch aise daagh hain Dil per jo hum dho bhi nahi sakte



Kaha to tha chorr denge yeh nagar phir ruk gaye lekin
Tumhain paa to nahi sakte magar kho bhi nahi sakte



Hamara ek hona bhi nahi mumkin raha ab tooooo
Jeeyen kaise ke tum se door reh bhi nahin sakte

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 01:21 AM
Mera Dil Bohat Udaas Hai

Mera dil bohat udaas hai
yeh raatain bay sukooN haiN
yeh din bay aaraam haiN
nujhay mohabbat ki piyaas hai
Mera dil bohat udaas hai

Go kay tu mujh say bichar gaya
Mera chayn bhi mujh say lay gaya
Na janay kyoon phir teri aas hai
Mera dil bohat udaas hai

Tujhay bholnay ki jab koshish kari
Haqeeqat ko samajhnay ki koshish kari
yun laga tu kahiN aas pass hai
Mera dil bohat udaas hai

Zindagi aisay daurahay par aayee hai
Kay sirf maiN aur meri tanhai hai
******* yeh kaisa ajeeb ahsas hai
Mera dil bohat udaas hai

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 02:45 AM
*ChanD*

------------------------------------

Chamakte chand ko tota huwa tara bana dala

Mari aawargi ne mujh ko aawara bana dala

Bara dilkash bara rangeen hai yeh shaher kehte hain

Yahan par hain hazaroon ghar gharoon main log rehte hain

Mujhe is shaher ne galiyoon ka banjara bana dala

Mein is duyan ko aksar dekh kar heran hota hoon

Na mujh se ban saka chota sa ghar din rat rota hoon

Khudaya tune kese yeh jahan sara bana dala

Mare Malik mera dil kyun tadpta hai sulagta hai

Teri marzi pe kis ka zor chalta hai

Kisi ko gul kise ko tune angara bana dala

Yehi aaghaz tha mera yehi anjam hona tha

Mujhe barbad hona tha mujhe nakam hona tha

Mujhe takdeer ne takdeer ka mara bana dala

Chamakte chand ko tota huwa tara bana dala

Mari aawargi ne mujh ko aawara bana dala

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 02:48 AM
AISA KABHI NA KARNA

Tum rooth jao mujhse aisa kabhi na karna,
main ik nazar ko tarsoon aisa kabhi na krna,

Main pooch pooch haron, so so sawal kr loon,
Tum kuch jawab na do aisa kabhi na karna,

Mujhse hi mil k hasna, Mujhse hi mil k rona,
Mujhse Bichar k Gee lo aisa kabhi na karna,

Tum Chand ban k rehna main Dekhti rahon go,
Kisi roz tum na niklo aisa kabhi na karna,

Tum chale jao ge tu Dekhoon gi tumhara rasta,
Tum laut kar na aao AISA KABHI NA KARNA

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 02:49 AM
Meri Ankhon K Samandar Main Jalan Kesi Hai
Aaj Phr Dil Ko Tarapnay Ki Lagan Kesi Hai

Ab Kisi Chahat Pe CharagOn Ki Qataren Bhi Nahi
Ab Tere Shehar Ki GaliyOn Main Ghutan Kesi Hai

Baraf K Roop Main DhaL JayeingaY Saaray Rishtay
Mujhse Poocho Mohabbat Ki Agan Kesi Hai

Main Tere Wisal Ki Khuwahish Ko Na Marne Dunga
MOsam-E-Hijar K LehjAy Main Thakan Kesi Hai

RehGuzarOn Main Jo Banti Rahi KaantOn Ki Rida
Us Ki Majboor Si AankhOn Main Kiran Kesi Hai

Mujhe Masoom Si Pagal Larki Pe Taras Ata Hai
UsaY Ddekho To Mohabbat Main Magan Kesi Hai

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 02:52 AM
Haanstay Haanstay Roo Perhty Thi .
Kitni Pagal Wo Larki Thi..
Us K Hoont To Chup Rehtay Thay ..
Aankho Se Baatain Karti Thi..
Chat Per Dhoop Mian Baithay Baithay..
Din Bhar Wo Sapnay Bunti Thi ..
Uljhi Yaadain Suljhanay Main ...
Saari Raat Ganwa Dete Thi ..
Kitna Tha Thehraoo Us Main ...
Lekin Wo Kitni Gehri Thi ..
Ek Din Chaltay Chaltay US Nai ....
Mujh Se Koi Baat Kahi Thi ...
Aur Phir Raasta Ek Naya Tha ...
Us Ki Manzil Aur Koi Thi ..
Bilkul Waisay Phool Khilay Hain ...
Jaisay Wo Haansty Rehti Thi ...
Aab To Bhool Giya Houn ..
Us Per Ek Ghazal Likhi Thi...

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 02:53 AM
bat niklegi to phir door talak jayegi
log bewajah udasi ka sabab pochenge


ye bhi pochege ki tum itni pareshan kyun ho
ungliyan uThengi sukhe huye balon ki taraf


ik nazar dekhenge guzre huye salon ki taraf
choriyo par bhi kai tanz kiye jayenge


kanpte hathoo pe bhi fikre kase jayenge
log zalim hain har ik bat ka tana denge


baton baton main mera zikr bhi le ayenge
unki baton ka zara sa bhi asar mat lena


warna chehre ke tasoor se samjh jayenge
chahe kuch bhi ho sawalat na karna unse


mere bare main koi bat na karna unse
bat niklegi to phir door talak jayegi

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 02:54 AM
piyar kia

Jabse humne unse piyar kia,

Tabse humne apne dil ko bekarar kia,

Jab nazar se nazar mile unse pehle bar,

Woh bane hen hamare he leye iska humne ikrar kia,

Jabse humne unse piyar kia,




Woh waqt woh ghari tar-o-taza hay hamare man mein,

Jab humne pehle bar unka didar kia,

Unse palbher ke mulakat mein,

Humne apni Zindagi ka parcha unke naam kia,

Jabse humne unse piyar kia,




Woh unke jheel se gehre aankheen,

Woh unke nagan se ghani zulfeen,

Woh unke massom se chehre pay shararat bhari baaten,

Piyar kia hota hay unse milne kay bad apne dil mein itmenan kia,

Jabse humne unse piyar kia,




Unke her baat hamare leye pathar ke lakeer bangai,

Kyoun ke unke surat hamare haseen khoaboon ke tabeer bangai,

Jab aankhen band karen to anko deekheen jab aankhen khoolen to unko he payen,

Piyar ke is haseen ittefak ne humko bara hairan kia,

Jabse humne unse piyar kia,




Ab her pal her ghari hum unhe ke yaadon mein khoi khoi rehtay hen,

Dooston ke mehfil mein bhe hum chup chup se soye soye se rehtay hen,

Dost poochten hen kay mere jaan kis ne tumko itna pareshan kia,

Is per humne her baar yeh he ailaan kia,

Jabse humne unse piyar kia,

Tabse humne khud ko beekarar kia

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 02:57 AM
Mohabbat Theher Jaati Hai...
Hum aksar yeh samajhtay hain
jisay hum piyaar kartay hain
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
mohabbat daimi such hai
mohabbat theher jaati hai !!!
hamari baat kay andar
mohabbat baith jaati hai
hamari zaat kay andar
magar yeh kam nahin hoti
kisi bhi dukh ki soorat mein
kabhi koi zaroorat mein
kabhi anjaan se gham mein
kabhi lehjay ki thandak mein
udaasi ki zaroorat mein
kabhi baarish ki soorat mein
hamari aankh kay andar
kabhi aab-e-rawan ban kar
kabhi qatray ki soorat mein
bazahir aisa lagta hai
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
magar aisa nahin hota....
yeh hargiz kam nahin hoti...
Mohabbat Theher Jaati Hai...!!!

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 02:58 AM
*** MUHABBAT CHUP NAHI REHTI ***


Vo Mujh Se Poochti Hay, Chaand Ki Basti Kahan Par Hay?
Main Uss Ki Baat Par Iss Ehad Mein Hairaan Hota Hoon

Vo Mujh Se Poochti Hay, Kon Suraj Mein Sulagta Hay?
Vo Mujh Se Poochti Hay Aur Dil Ko Thaam Leti Hay

Vo Mujh Se Poochti Hay Rooh Ki Larzish k Barey Mein
Main Kehta Hoon, k Yeh To BeyQarari Raqs Karti Hay

Vo Mujh Se Poochti Hay, Almiya Kya Cheez Hoti Hay?
Main Kehta Hoon, Muhabbat Aur Nafrat,Zindagi Aur Maut Hay Shayed

Vo Boli, Sawanoo Mein Ab Vo Pehly Rang Kam Kam Hain
Main Bola, Ab Piya b To Sakhi k Sang Kam Kam Hain

Vo Boli, Nain Kuch Kehty Hue Aksar Jijhaktey Hain
Main Bola, Dil Mein Baithey Chor Ko Rasta Nahi Milta

Vo Kehti Hay, k Jhaanjhar Ab Tumhein Mayel Nahi Karti
Main Kehta Hoon, Tumhein Ab Zindagi Qayel Nahi Karti

Vo Kehti Hay, k Peely Phool b Khushboo Nahi Detey
Main Kehta Hoon, Judaii Thik Se Chubhtii Nahi Dil Mein

Vo Kehti Hay, Muhabbat Haadison Ko Khainch Lati Hay
Main Kehta Hoon, Muhabbat Mojizon Ko Shakal Deti Hain

Vo Kehti Hay, Hawayein Pairr Se Manoos Hoti Hain
Main Kehta Hoon, k In k Darmiyan Rishta Purana Hay...!!!

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 03:13 AM
doonhte hai

Kitabon mein mere fasaane dhundhte hain
Nadaan hain, guzre zamane dhundhte hain
Jab woh the, talaash-e-zindagi bhi thi
Ab to maut ke thikane dhoondhte hain
Kal khud hi apni mehfil se nikala tha
Aaj hue se diwane dhundhte hain
Musafir bekhabar hain teri aankhon se
Tere shahar me maykhane dhoondhte hain
Tujhe kya pata E-sitam dhaane wale
Tere diye zakhmon me pyar ke nazraane dhoondhte hain
nikal aate hain ashq hanste hanste
hum to rone ke bahane dhoondhte hain

ShArArTi MuNdA
12-05-2008, 03:14 AM
"Hum Se Poochhiye…!!!

"Ek Pal Me Ek Sadi Ka Maza Hum Se Poochhiye,
Do Din Ki Zindagi Ka Maza Hum Se Poochhiye,

Bhule Hai Rafta Rafta…. Unhe Muddato Mai Hum,
Kisto me Khud Kushi Ka Maza Hum Se Poochhiye,

Agaz-E-Ashiqui Ka Maza Aap Jaaniye,
Anjam-E-Ashiqui Ka Maza Hum Se Poochhiye,

Hasne Ka Sauqh Hum Ko Bhi Tha Aap Ki Tarha,
Hansiye Magar Hansi Ka Maza Hum Se Poochhiye,

Woh Jaan Hi Gaye K Humein Un Se "PYAR" Hai,
Phir bhi Aankho Chupane Ka Maza Hum Se Poochhiye"

-|A|-
12-06-2008, 05:42 PM
ncie haan

Nida-H
12-06-2008, 09:04 PM
very nice..

ShArArTi MuNdA
12-08-2008, 04:40 AM
Thanks Stranger N Ruby Jiii

life2
12-09-2008, 11:24 AM
Na Janay Kitni Mohabbat Thi Uske Nafrat Main
Kaee Dua'on Say Behter Thi Badd Dua Us Ke

humaa
12-09-2008, 04:58 PM
niceeee

safa
12-11-2008, 08:19 PM
good

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:31 AM
Thanks Life2,,,,Huma & Safa jiiii

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:32 AM
Pyar kay deep jalanay walay khuch khuch pagal hotay hain
apni jaan say jaan sey walay khuch khuch pagal hotay hain

Hijar kay gehray zakham milay to mujh ko yeh ehsaas hua
pagal ko samjhaanay walay khuch khuch pagal hotay hain

jaan say piyare logoon say bhi kuch kuch pardah lazim hai
saari baat bataanay waalay khuch khuch pagal hotay hain

khaaboon main bhi piya milan ke sapne dekhtay rehte hain
neendoon main muskaney wale kuch kuch pagal hotay hain

iss jhooti naggri main hum nay yehi hameshaa dekhaa hai
sachi baat bataanay waalay khuch khuch pagal hotay hain

piyaar jinhain ho jaaye un ko chain bhalaa kab miltaa hai?
shab bhar ashk bahane walay kuch kuch pagal hotay hain

apni zaat se ujhray gulshan se wo piyar kahan karte hain?
auroon ko mehkanay walay khuch khuch pagal hotay hain

us kay ishq main bheeg kay '*****' hum ko yeh ehsas hua
Dil ki baat main aane walay khuch khuch pagal hotay hain

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:33 AM
Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata,
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata,

Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rahti Hai Nigahe,
Kya Baat Hai Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata,

Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein,
Jo Dur Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata,

Main Apni Hi Uljhi Hui Raahoon Ka Tamaasha,
Jate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata,

Woh Naam Jo Barso Se, Na Chehra Na Badan Hai,
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:33 AM
Bana Gulab To Kante Chuba Gaya Aik Shakhs
Hua Chirag To Ghar Hi Jala Gaya Aik Shakhs

Tamam Rang Mere Aur Sare Khoawab Mere
Fasane Thay Ke Fasana Bana Gaya Aik Shakhs

Mein Kis Hawa Mein Uron Kis Fiza Mein Lehraon
Dukhon Ke Jaal Har Su Bhicha Gaya Ail Shakhs

Mohabbaton Ne Kissi Ki Bhula Rakha Tha Isse
Mille Who Zakham Ke Phir Yaad Agaya Aik Shakhs

Khula Yah Raaz Ke Aaina Khaana Hai Duniyaa
Is Mein Mujhay Tamasha Bana Gaya Aik Shakhs

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:34 AM
Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai
tamaam umr yehi aasra hi kaafi hai ...

Jahan kahin bhi milo, mil ke muskura dena
khushi ke wastey yeh silsila hi kafi hai ..

Mujhe bahaar ke mausam se nahi kuch lena
tumhare pyar ki rangeen fiza hi kaafi hai ..

yeh log kaun si manzil ki baat karte hain?
musaafiron ke liye tu raasta hi kaafi hai

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:36 AM
Tum Meri Aankh ke Tevar na Bhulaa Paaoge
anKahi Baat ko Samajho ge to Yaad Aaongaa

Isii Andaaz main Hotey Thay Mukhaatib Mujh Se
Khat kisi aur ko Likho gay to Yaad Aaongaa

Sard Raaton ke Mehakte howay San-naaton mein
Jab kisii Phool ko Choomo gay to Yaad Aaongaa

Ab teray Ashk main Honton se Churaa letaa hoon
Haath se Khud inhen Ponchho ge to Yaad Aaongaa

Shaal Pehnaegaa ab kaun December mein Tumhein
Baarishon main kabhi bheego gay to Yaad Aongaa

Aaj to Mehfil-e-Yaaraan pe ho Magaroor bohat
Jab kabhi Toot ke Bikhro gay to Yaad Aaongaa

Is main Shaamil hai meri Bakht ki Taareeki bhi
Tum Siyaah Rang jo Pahno gay to Yaad Aaongaa

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:37 AM
Kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hoee honton me dabee baat na pooch

mein jis ke waastay lar jaaon is khudae se
mujhay khud se hai pyaari yeh kis ki zaat na pooch

wo kis ada se mere saamnay se guzraa abhi
kis tarhan meinay sambhaly mere jazbaat na pooch

waqat jo badlay to insaan badal jaatay hain
kya nahi dikhlaatay yeh gardish-e-halaa na pooch

wo kisi ka ho bhi gaya or mujhay khabar na hoe
kis tarhan usnay churaya hai mujh se haath na pooch

Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaee hai me nay maat na pooch

ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:37 AM
Koi ik Aadh Sapna Ho Tu Phir Acha Bhi Lagta hai
Hazaron Khawab Ankhon Mein Saja Kar Kuch Nahi Milta

Usey Kehna Ke Palkon Per Na Tanky Khawab Ke Jahlar
Samandar Ki Kinary Ghar Bana Kar Kuch Nahi Milta

Ye Acha Hai ke Aapis Ke Bharam Na Totney Payeen
Kabhi Bhi Doston Ko Aazma Kar Kuch Nahi Milta

Faqat Tum Sey Hi Karta Hoon Men Sary Raz Ke Baten
Har Ik Ko Dastan-E-Dil Suna Kar Kuch Nahi Milta

Amal Ki Sokhty Rag Men Zara Sa Khon Shamil Kar
Mery Ham Dam Faqat Bateen Bana Kar Kuch Nahi Milta

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:38 AM
Tu nahin to zindagi main aur kya rah jayega
duur tak tanhaaiyon ka silsilaa rah jaayegaa

kijiye kya guftagu kyaa un se mil kar sochiye
dil-shikasta Khvahishon ka zayaqa rah jayega

dard ki sarii tahen aur saare guzare haadasey
sab dhuaN ho jaayenge ek vaaqiya rah jayega

ye bhii hoga vo mujhe dil se bhula dega magar
yu bhi hoga Khud usi mein ek Khala rah jayega

daayaar-e-inkaar ke iqaraar kii saragoshiyaan
ye agar TuuTe kabhii to faasalaa rah jaayegaa

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:39 AM
Hazaroon dukh paray sehna mohabbat mer nahein sakti
hai tum se bus yahi kehna mohabbat mer nahein sakti

tera har baar mere khat ko parhna aur ro dena
mera har bar likh dena mohabbat mer nahein sakti

Kiya tha hum ne campus ke nadee per ik haseen wada
bhalay hum ko paray merna mohabbat mer nahein sakti

jahan mein jab talak punchee chahaktay urtay phirtay hain
hai jab tak phool ka khilna mohabbat mer nahein sakti

puranay ehad ko jab zinda karnay ka khyal aaye
mujhya bus itna likh dena mohabbat mer nahein sakti

wo tera hijar ke shab phone rakhnay se zara pehlay
bohut rotay howay kehna mohabbat mer nahein sakti

Ager hum hasratoon ke kabar mein he dafan ho jayain
to ye katboon pe likh dena mohabbat mer nahein sakti

puranay rabtoon ko phir naye waday ke khawahish hai
zara ik bar to kehna mohabbat mer nahein sakti

gaye lamhat fursat ke kahan se dhond kar laoon
wo pehroon haath per likhna mohabbat mer nahein sakti

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:40 AM
Tu bhi kisi ka pyaar na paaye khuda kare
tujh ko bhi tera naseeb rolaaye khuda kare

raatoon mein tujh ko niind na aaye khuda kare
tu bhi dar-ba-dar ki thokrein khaaye khuda kare

aaye bahaar tere gulistaan mein baar baar
tujh par kabhi nikhaar na aaye khuda kare

meri tarah tujhe bhi javaani me gham milein
tu bhi duaa ko haath uthaaye khuda kare

tujh par shab-visaal ki raatein haraam hoon
shammein jala jala ke bujhaaye khuda kare

ho jaaein sari bad-duaaein meri dosto galat
us bewafa pe koi harf na aaye khudaa kare

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:40 AM
Dhuan bana ke fiza mein uda diya mujhko!
Main jal raha tha kisi ne bujha diya mujhko!

Khada hoon aaj bhi roti ke chaar hurf liye,
Sawal yeh hai kitabon ne kya diya mujhko!

Safaid sung ki chadar lapait kar mujh par,
Faseel-e-shaher pe kis ne saja diya mujhko!

Main eik zarra bulandi ko chhoone nikla tha,
Hawa ne thum ke zameen par gira diya mujhko!

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:41 AM
Meri Ruswaiyan Har Ek Ilzaam Khoobsurat Ker Do
Mujhe Apna Naam De Do Mera Naam Khoobsurat Ker Do

Meri Tareek Shamon Main Aa Ker Sitaray Bhar Do
Meray Sang Yun Chalo Meri Har Shaam Khubsurat Ker Do

Aakhri Sanson Main Bhar Do Khushboo Deedar Ki
Raho Meray Pass Us Dam Mera Anjaam Khubsurat Ker Do

Meray Bechain Sapnon Main Sukoon Ban Ker Aao
Ye Neend, Ye Khawab, Mera Aaraam Khubsurat Ker Do

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:46 AM
Kiyoon Na Hum Uss Ko Ussi Ka Aaina Ho Kar Milein
Bewaffa Hey Woh To Uss Ko Bewaffa Ho Kar Milein

Talakhiyon Mein Na Dhal Jayein Wasl Ki Uktahatein
Thakk Gaye Ho To Chalo Phir Se Juda Ho Kar Milein

Pehli Pehli Qurbaton Ki Phir Uthayein Lazzatein...
Aashna Aa Phir Zara Hum Na Aashna Ho Kar Milein

Aik Tu Hey, Sar Se Paa Tak Hey Saraapa E Inkisaar...
Log Woh Bhi Hein Jo Bandon Se Khuda Ho Kar Milein

Maazrat Ban Kar Bhi Uss Ko Mil Hi Saktay Hein
Yeh Zaroori To Nahi Uss Ko Sazaa Ho Kar Milein.......

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:47 AM
Jab Seena Gham Se Bhojal Ho Aur Yaad Kissi Ki Atti Ho
Tab Kamre Mein Band Ho Jana Aur Chupke Chupke Ro Lena

Jab Ankhein Bagi Ho Jain Aur yaad Mein Meri Bhar Aain
Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena Aur Chupke Chupke Ro lena

Jab Palkein jaaagh kar Mondi Ho Aur sab Samjhein Tum Sote Ho
Tab Moun Par Takeya Rakh Lena Aur Chupke chupke Ro Lena

Yah Duniya Zalim Duniya Hai, Yah baat Buhat Phelay Gi
Tum Sab Ke Samne Chup Rehna Aur Chupke chupke Ro Lena

Jab Barish Chera Dho Dale Aur Ashk Bhi Boondein Lagte Hon
Who Lamha Hargiz Mat Khona Aur Chupke Chupke Ro Lena

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:48 AM
Tujhay ishq ho khuda karay
koi tujh ko us say juda karay

teray hont hasna bhool jain
teri ankh pornam raha karay

tu us ki batain kiya karay
tu us ki batain suna karay

usay dekh ke tu ruk paray
wo nazar jhoka ke chala karay

Tujhay hijar ki wo jhari lagay
tu milan ki her pal dua karay

teray khuwab bikhrain toot kar
tu kirchi kirchi chunna karay

tu nagar nagar phira karay
tu gali gali sadaa karay

Tujhay ishq ho phir yaqeen ho
usay tasbihoon main parha karay

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:49 AM
Apni tanhai mere naam pe abaad kare
kaun hoga jo mujhe usski tarah yaad kare

dil ajab shehr ke jiss per bhi khula dar iss ka
woh musafir issay her simt se barbad kare

apne qatil ki zehanat se pareshan hon mein
roz eik maut naye tarz se ejaad kare

salb-e-benaai ke ehkaam mile hein jo kabhi
roshni choone ki khwahish koi shab-zaad kare

soch rakhna bhi jaraaim mein hai shamil abb tou
wahi ma'soom hai her baat pe jo saad kare

jub lahoo bol pare iss ke gawahoN ke khilaaf
kaazi-e-shehr kuch iss baab mein irshaad kare

uss ki muthi mein bohot roz raha mera wajood
mere saahir se kaho abb mujhe azaad kare

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:50 AM
Safar tanha nahi kartey
suno aysa nahi kartey

jessey shaffaaf rakhna ho
ussey maila nahi kartey

teri aankheyn ejazat dain to
hum kiya kiya nahi kartey ?

bohat ujrey huway ghar per
bohat socha nahi kartey

safar jis ka muqqadar hoo
usey roka nahi kartey

jo milkar khud se kho jaey
usey ruswa nahi kartey

chalo tum raaz ho apna
tumheyn affshan nahi kartey

ye ounchey paer kesey hain
kahin saya nahi kartey

jo dhhun ho kar guzarney ki
to phir socha nahi katey

kabhi hansney se dartey hain
kabhi roya nahi kartey

teri ankon ko partey hain
tujhey daikha nahi kartey

sahar se pooch lo *****
keh Hum soya nahi kartey

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:50 AM
Kahavab Suhane Yaad Aate Hain
Saath Purane Yaad Aate Hain

Un Ki Yaadou Ki Khushboo Ke
Shokh Zamane Yaad Aate Hain

Har Mosam Mei Dukh Sukh Mei
Yaar Purane Yaad Aate Hain

Jin Aankho Se Ham Peete They
Woh Mekhane Yaad Aate Hain

Woh Jo Ham Ko Bhool Gae Hain
Woh Jane Kayo Yaad Aate Hain

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:51 AM
Ek yaad ka soraj hai k dhalta he nahi hai
ek dukh ka nasha hai k utarta he nahi hai

Shayad wo meri baat nahi chahta samjhay
ya phir, wo meri baat samjhta he nahi hai

mein kis ke liye zinda rahoon to he bata de
jab mere liye koi sanwarta he nahi hai

ab roz-e-qiyamat ussay samjhaye khuda he
jo dil teri chahat se mukarta he nahi hai

Aasaib ke manindh meri zaat mein *******
baitha hai koi chup ke nikalta he nahi hai

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:52 AM
Teri Aankhon Main Mere Dil Ka Naqsha Ho Bhi Sakta Hai
Jisey Dewaar Samjha Hai Woh, Rasta Ho Bhi Sakta Hai

Nazar Sey Door Reh Kar Bhi Kisi ki Soch Mein Rehna
Kisi Key Pass Rehney Ka Tareeqa Ho Bhi Sakta Hai

Wo Apni Sard Mohri Se Mujhe Had Mein To Rakhta Hai
Mera Had Sey Guzarney Ka Irada Ho Bhi Sakta Hai

Bhari Dunya Ka Maila Sath Ho To Kaun Sii Mushkil
Magar Eik Shakhs Mailey Mein Akaila Ho Bhi Sakta Hai

Yeh Seedhii Raah Par Chalna Kaha'n Sey Seekh Aaye Ho?
Yeh Ra'sta Dostii Ka Hai Yeh Tairha Ho Bhii Sakta Hai

Machalta Thokrien Khata Huaa Paani Ka Eik Dharaa
Teray Dil Tak Pohanchney Ka Bahana Ho Bhi Sakta Hai

Nikal Kar Band Kamrey Sey Zara Baazar Mein Aao
Agar Tum Daikhna Chaho Tamasha Ho Bhi Sakta Hai

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:52 AM
Aankh se door na ho dil se uttar jaaye ga
waqt ka kia hai guzarta hai guzar jaaye ga

itnaa maanoos na ho khilwat-e-gham se apni
tu kabhi khud ko bhi dekhay ga tu dar jaye ga

tum sar-e-rah-e-wafa dekhtay reh jaoo gay
aur woh baam-e-rafaaqat se uttar jaaye ga

zindagi teray aata'a hai tu ye jaanay waala
teray bakshish teri dehleez pe dhar jaye ga

doobte doobte kashti ko uchaala day don
mein nahin koi to saahil pe uttar jaaye ga

zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka faraz
zalim ab ke bhi na roye gaa tu mar jaaye ga

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:53 AM
Dasht main piyaas bhujatey howey mar jatey hain
Hum parinday kaheen jatey howey mar jatey hain

Hum hain sooke howe talaab pe baite howe hans
Jo ta'aluuq ko nibhaatey howey mar jatey hain

Un kay bhee qatl kaa ilzaam humarey sar hay
Jo humain zehar pilatey howey mar jatey hain

Yeh mohabbat kee kahanee nahee martee laikin
Loog kirdaar nibhaatey howey mar jatey hain

Hum hain wo tooti howee kashtion waley faraz
Jo kinaron ko milaatey howey mar jatey hain

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:54 AM
aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa


itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to dar jaayegaa


tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur wo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa


zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa


duubate duubate kashtii to ochhaalaa de don
main nahiin koii to saahil pe utar jaayegaa


zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:55 AM
sher k parde mein main ne gam sunaya hai bahut
marsiye ne dil ko mere bhi rulaya hai bahut

wadi-o-kohsar mein rota hun dhare mar-mar
dilbaran-e-shahar ne mujh ko sataya hai bahut

wa nahin hota kisi se dil girifta ishq ka
zahiri gam-gin use rahna khush aya hai bahut

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:56 AM
hai justaju k khub se hai khubtar kahan
ab dekhiye theharti hai ja kar nazar kahan

yarab is ikhtilat ka anjam ho bakhair
tha us ko ham se rabt, magar is qadar kahan

ik umr chahye k gawara ho naish-e-ishq
rakkhi hai aj lazzat-e-zakhm-e-jigar kahan

ham jis pe mar rahe hain wo hai bat hi kuch aur
alam mein tujhse lakh sahi tu magar kahan

hoti nahin qubul dua tark-e-ishq ki
dil chahta na ho to zuban mein asar kahan

'****' nishat nagma-o-mai dhundhte ho ab
aye ho waqt-e-subh, rahe rat bhar kahan

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:57 AM
Musaafir to bichartey hein,rafaaqat kab badalti hai
mohabbat zinda rehti hai,mohabbat kab badalti hai

tumhi ko chahtey hein,tumhi say pyaar kartey hein
yehi barsoun say adat hai aur adat kab badalti hai

tumhein jo yaad rakhaa hai yahi aapni ibaadat hai
joo pathar pay likhi jaayie, ibaarat kab badalti hai

kali ka phool ban-naa aur bikhar jana muqadar hai
yehi qanoon -e- fitrat hai aur fitrat kab badalti hai

jo dil pe naqash kar jaye or ankon mein simat aye
alamat hai ye chahat ki aur chahat kab badalti hai

ussey chaaha, ussey pooja, yehi tawqeer hai apni
hamein gumrah mat samjho, ibadat kab badalti hai

puraane zakham ko arshad bhula dena hi hay acha
na chaahey aap hee koi to kissmat kab badalti hai

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:57 AM
farz karo tum chat per baithe
apne baal sukhatey hoo.

farz karo ke dhoop ka us din
kuch kuch rang gulaabi hooo.

farz karo tum baithe baithe
gehri souch main kho jao.

baal sukhana choord ke sar
ghutnoon pe rakh kar so jao.

farz karo us neend main
tum ne dekha asai sapna ho.

bekal hokar man ye chahey
kaash ye sapna apnaa hoooo.

farz karo tum khat likhne ko
kaghaz qalam uthatey hoo.

khat likhne se pehle kaghaz
ko khushbo khob lagatey hoo.

farz karo alqaab pe aakar
qalam tumhaara ruk jaaye.

nazar tumhari dhak dhak
karke dil ki janib jhuk jaye.

farz karo aik naam likho
aur likh kar kato phir likho.

farz karo hum dono ke dil aik
hi saath dhardakte hooon.

farz karo ye saari baatain
FARZ na karni pardti hoon

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:58 AM
Nazar jub tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon,
Bas ek dharkan dharakti hai, main khud ko bhool jata hon,

Tumhain milne se pehle main bohut sajta sanwarta hon,
Magar jub tum sanwarti ho main khud ko bhool jata hon,

Main aksar kitaaboon pe teraa hi naam likhtaa hon,
Magar kuch tum jo likhti ho main khud ko bhool jata hon,

Main aksar yehi kehta hon, main tum say pyar karta hon,
Magar jub tum yeh kehti ho main duniya bhool jata hon

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:58 AM
Apni yaaden, apni baatain lay ker jaana bhool gaya,
Jaanay waala jaldi main thaa, mil ker jaana bhool gaya,

Murrh, murrh ker dekhaa tha usnay jaatay rastay main,
Jese usnay kehnaa thaa kuch, jo wo kehnaa bhol gaya,

Waqt-e-rukhsat meri ankhain ponch raha tha anchal se,
usko gham tha itna ziyadah, khud wo roona bhool gaya

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:59 AM
Zamanay ko jalnay do chalo aik sath chalte hain,
Nayee duniya basanay ko chalo aik sath chalte hain,

Hamain jeevan ka her lamha tumhare naam kerna hai,
Yeh waada nibhanay ko chalo aik sath chalte hain,

Suna hay mil k chalne se muqaddar jaag uthte hain,
Yeh baat aazmanay ko chalo aik sath chaltay hain,

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:59 AM
Aik bay rang sa manzar hai kahan tak sochon
zindagi main terey baray main kahan tak sochon

Phenknay walay nay tu door say pathar phenkay
aur main sirf parroosi k makaan tak sochon

Tera chehra bhi na yaad aye k tu kaisa hai
main tujhay sooch k reh jaaon yahan tak sochon

Loog jis mor per ghabra k bechar jaatay hain
tujh say milnay ka yaqeen ho tu wahan tak sochon

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 02:00 AM
Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega
Itna Mat Chaaho Use Wo Bewafa Ho Jaayega

Hum Bhi Dariya Hain Humein Apna Hunar Maloom Hai
Jis Taraf Bhi Chal Parainge Raasta Ho Jaayega

Kitni Sachchai Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya
Tuu Naheen Meraa To Koi Doosra Ho Jaayega

Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Raha Hoon Dosto
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jaayega

Sab Usi Ke Hain Hawa, Khushboo, Zameen-o-Aasmaan
Main Jahan Bhi Jaaoonga Us Ko Pata Ho Jaayega

Rooth Jaana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar
Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jaayega

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 02:00 AM
har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka,
har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay,

Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna,
Merte hain to kuch aap pe ahsaan nahin kertay,

Khat layain na layain tera hum naama bron ko,
Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay,

Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pay gulo ko,
Itna bhi to qatil ko pashaiman nahin kartay,

Kub shamain jalata hai shab-e-mah main koi,
Tu aye to ham ghar main charaghan nahin kartay,

Logon ko guman tuk nahin hota hay junoon ka,
Hum dil ki tarah chaak-e-garaiban nahin kertay,

Hum tuj kay chalay aatay hain yaaro dar-e-janan,
Ghaalib ki tarah minnaat-e-darbaan nahin kertay

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 02:01 AM
Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata

yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai
jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata

bohat herat hai ab bagon mein jab kaliaan chataktin hain
hamary dehyaan mein lehjaa tumhara kyon nahin ata

kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakty hain
tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata

bhatakta phir raha hoon din ke is weran jangal mein
mehakti shaam ka rangeen kinaara kyon nahin ata

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 02:02 AM
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi

Raka tha ashyana-e-dil main chhupa ke tumko
Wo ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi

Kis kii majaal kahein koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 02:02 AM
Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jao
Akhela Chor dena , tum jahaan Be-zaar ho jao

Bhot Jaldi Samajh mein aany lagty ho Zamane ki
Bhot Aasaan ho, thory Bhot dushwaar ho jao

Mulaqakto mein wafa ls liye hona zaroori hai
Ke tum ik Din Judaaee ke liye Tayaar ho jao

Main Kisi Chal chalati Dhoop ke Sehra Se aya hoon
Bas ab Esa karo , Tum Saya-e-Dewaar ho jao

Tumhary paas deny ky liye jhoti Tasali ho
Na Aay Esa Din , Tum isqadar Nadaar ho jao

Tumhy Maloom ho jaye ga Kese Ranj Sehty hai
Meri itni Duaa hai Kaash tum Funkaar ho jao

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 02:03 AM
Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai…
Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai…

Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye…
Zindagi Ab Teri Saughaat Se Dar Lagta Hai…

Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo…
Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai…

Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein…
Iss Liye Unn Ki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai…

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 02:04 AM
Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin
duniya samajh rahi hai mohabbat usse nahin.

lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main
kafi dinon se mujh se shikayet usse nahin.

dil ki zameen us ki hai banjar issi liye
jazbon ki barishon ki jo aadat usse nahin.

her cheez ikhtiar main rakhta hai woh magar
dil se rehaai paane pe qudrat usse nahin.

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 02:05 AM
Bun jaon agar tum sa tumhain kaisa lagay ga
Her pal rahon mein yadoon mein kaisa lagay ga?

Dartey ho jo tum narazgi say meri
ho jaon agar tum say khafa kaisa lagay ga?

Tum pyar mein khud ko ho mitanay pay raazi
Ban jayai agar pyar saza kaisa lagay ga ?

Khud se bhi ziyadah ho yaqeen tum ko agar kisi per
Woh shakhs hi dey jayai dagha kaisa lagay ga?

Tum aur hi mehfil ka dia ban ker chalo phir
Tanhai milay tum ko sila kaisa lagay ga ?

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 02:05 AM
Phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko

Dinn ko aaram hay naa raat ko hay chain kabhi
Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko

Dukh to ye hay ke zamanay main mile ghair sabhi
Jo milaa hay woh milaa ban kay paraaya mujh ko

Jab koi bhi naa rahaa kaandha meray roonay ko
Ghar ki deewaron ne seenay say lagaya mujh ko

Youn to umeed-e-wafaa tum say nahein hay koi
Phir charaaghon ki tarah kis nay jalaaya mujh ko

Bewafaa zindagi nay jab chorh diyaa hay tanha
Maut ne payar say pehloo main bithaya mujh ko

Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi
Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 02:06 AM
Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai,
tamaam ummer yehi aassra hi kaafi hai,

Jaha kahi bhi milo, mil ke muskura daina,
khushi ke waastey yeh silsila hi kafi hai,

Muje bahar ke mosam se kuch nahi laina,
tumhare pyar ki rangeen fiza hi kaafi hai,

yeh loog kon si manzil ki baat karte hain,
musafiroon ke liye to raasta hi kaafi hai,,

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 02:06 AM
tum bhi Khafaa ho log bhi beraham hain dosto,
ab ho chalaa yaqein ke burey ham hain dosto.

kis ko hamaarey haal se nisbat hai kyaa karein,
ankhein to dushmano ki bhi pur_nam hain dosto.

apane sivaa hamaare na honey kaa Gam kise,
apani talaash mein to ham hi ham hain dosto.

kuch aaj shaam hi se hai dil bhi bujhaa bujhaa,
kuch shahar ke chirag bhi madham hain dosto.

sab kuchh sahi 'Faraz' par itanaa zaruur hai,
duniyaa main aise log bahut kam hain dosto....

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 02:07 AM
khwaab kitney ajeeb hotey hain.
in main saaye qareeb hotey hain.

neend se tum jaga kar sotey ho.
bolo kia aise habeeb hotey hain.

khof kaatey hain apne saaye se.
wo jo harmaan nasib hotey hain.

kuch tu rakte hain wo khabr apni.
tum se achey raqeeb hotey hain.

mowt detey ho zindagi ke ewaz.
soocho aisey tabeeb hotey hain.

har rukaawat uboor kar daalein.
ahl-e-dil bhi Naqeeb hotey hain.

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 02:08 AM
Resham zulfoon , neelam ankhoon wale ache lagtey hain.
main shaier hoon mujh ko ujley chehre ache lagtey hain.

tum khod socho adhi raat ko tandhe chand ki chawo main.
tanha raahoon par ham doono kitney achey lagtey hain.

Akhir akhir sachey Qowl bhi chubtey hain dil waloon ko.
pehley pehley pyaar ke jhotey waade achey lagtey hain.

jab se wo pardais gaia hay sheher ki ronaq rooth gai hay.
ab tu apney ghar ke band dareechey achey lagtey hain.

kaali raat main jag mag kartey taarey kon bujhata hay.
is duulhan ko yeh mowti yeh Gehney achey lagtey hain.

kal us roothey roothey yaar ko dekha tu mehsoos howa.
Muhsin Ujley jissam pe mailey kaprrey achey lagtey hain.

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 02:09 AM
Jab tera Hukam mila Tark-e-muhabbat kardi.
dil magar is pe wo darrkha ke qayamat kardi.

tujh se kis tarah main Izhar-e-tamana karta.
lafaz sujhaa tu ma'aaney ne baghawat kardi.

main tu samjha ke lowt aatey hain jane wale.
tuu ney to jaa key judaai meri qissmat kardi.

mujh ko dushman ke Iradon pe bi pyar ata hay.
Teri ulfat ne tu muhabbat meri Aadat kardi..

Poch beta hon main tujh se teri koche ka pata.
teri haalaaat ney kessi yeh teri soorat kardi.

kia tera jissam teri hussn ki hiddat main jala.
raakh kiss ney teri soney ki si rangat kardi.

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 02:09 AM
Gham-e-Aashiqi se keh do raah-e-Aam tak na pohnchey.
mujhe khowf hay ye tuhmat mere naam tak na pohnchey.

main nazar se pee rahaa tha ke yeh dil ne bad-duaa di.
Teraa Haath Zindagi bhar kabhi Jaam tak na pohnchey.

Nai Subah peh Nazar hay magar Aah yeh bhi Dar hay.
Yeh sahar Bhi Rafta Rafta Kaheen Sham tak na Pohnchey.

Yeh Addaye Bewafaai tujhe Bewafaa Mubbaarak.
Magar Aisi Berukhi Kia ke Salaam tak Na Pohnchey.

Jo Niqaab-e-Rukh Uttha di tu ye qaid bhi Lagaa di.
Utthey har Nigaah Lekin Dar-e-Baam tak Na Pohnchey.

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 02:10 AM
Galioon sey mere Tum Ney Guzar kar nahi dekha.
gham ye hay ke Khoshion ne mera ghar nahi dekha.

Mehroom hay woh piyar ki dawlat sey abhi tak.
Dil jiss ney kaheen apnaa Lagaa kar Nahi Dekha.

Gumnam hain wo Phool gulistan-e-jahaan main.
Khoshboo ki tarah jiss ne Bikhar kar nahi Dekha.

Aayiney Faqat uss ki Tassali ke liey hain.
dulhan ki tarah jiss ne Sanwar kar nahi dekha.

ye Sach hay mera Qatal Sar-e-Aam howa hay.
Kis ka Tha mere Peith main Khanjar Nahi dekha.

Dil Cheer ke Nikley hain Ashaar yeh mere........
Afsoos Inhein aap ney Parrh kar nahi dekha.....

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 02:10 AM
Khwab in Ankhoon se Ab Chura Kar le jaye.
Qabar kei Sookhey Phool Uttha Kar le jaye.

Muntazir phool main khushbo ki tarah hoon kab se.
Koi Jhonkey ki Tarah aaye Urrha kar le jaye.

Ye bhi Paani hay Magar ankhon ka Aisa Pani.
jo Hatheli se Rachi Mehendi Churra kar le jaye.

main muhabat se mehekta hon khat hon mujh ko.
Zindagi Apni Kitaboon main Chuppa kar le jaye.

Uss se kehna Ke main Paidal nahi Aane waali.
Koi Baadal Mujhe Kaandhey pe Bitta kar le jaye.

Raheel
12-12-2008, 06:56 AM
1

Raheel
12-12-2008, 06:56 AM
2

Raheel
12-12-2008, 06:56 AM
3

Raheel
12-12-2008, 06:56 AM
444

Raheel
12-12-2008, 06:56 AM
45

Raheel
12-12-2008, 06:57 AM
6

Raheel
12-12-2008, 06:57 AM
7

Raheel
12-12-2008, 06:57 AM
8
8

Raheel
12-12-2008, 06:57 AM
89

Raheel
12-12-2008, 06:57 AM
10

Raheel
12-12-2008, 06:58 AM
34

Raheel
12-12-2008, 06:58 AM
999

Raheel
12-12-2008, 06:58 AM
21

Raheel
12-12-2008, 06:58 AM
66

Raheel
12-12-2008, 06:59 AM
007

Raheel
12-12-2008, 06:59 AM
:super:

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 08:40 PM
RAHEEL MANY MANY THANKS for ur visit bro :p wesey LETS START COUNTING GAME doosrey section mai hai bhai yeh poetry hai :p aapney 23 main se 16 replies meri hi thread main ker diye ;)
anywys Thanks :p

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 08:44 PM
Veeran sa ujra sa tanha baitha koi
Kal raat akailay main

Shaid kuch wark jala raha tha
Uthtay huay sholoo main khud b

Aik shola nazar aa rha tha
Jhatak raha tha sir wo

Aansoo baha rha tha
Aasay main kise nay guzartay huay pocha

Pagal... Kittab jala rhay ho
Tarap kar wo bola nahee

"Khawaab Jala Rha Hon"

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 08:45 PM
Kabhi zindagi the rah guzrr
Kabhi zindagi the Be Khaber


Her din thah mera shokh mager
rat meri her udaas the

Kabhi thah woh mera humsafer
kabhi safer may us ke yaad the

Meri zindagi ka wo ik pal
jis ke mujhay talash the

us pal k her lamhat me
mere dil may ik qarar thah

jo guzer gaya woh pal mera
to bikher gaya yeh dil mera

tamam shab us ko soch ker
Guzer rahi the zindagi

us rah guzer per be khaber
meri zindagi the udaas mager

Ager milay mera hamsafer
Tumhay zindagi ke rah per

**** kehna usay k he muntazer
jo milla to tum ko woh hamsafer

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 08:46 PM
khwabon ko bikharnay na dena mujhay ik aas si hai

khwabon ko bikharnay na dena mujhay ik aas si ha
teri jo shukhsiyat hai wo zara kuch khaas si hai


khush rah kar hum nay bhi zukhmon ko dabana chaha
bah jatay hai ashk nahi wo *** kharaash si hai

jo nazar na aoo tum kuch din tu yun lagta hai
jaisay bechain hai dil aur kisi ki talaash si hai

tujhay dekhtay hi mashallah ba-ikhtiyar mon say niklay
kisi shub kar lon teri pooja dil main ik piyaas si hai

milay fursat tu is deewanay kay dil pay dustak day do
ye zindagi bhi kiya teray bin bus ik zindha laash si hai

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 08:47 PM
Sitaro tum to so jayo

Preshan raat sari hai sitaro tum to so jayo
sakoty marg tari hai sitaro tum to so jayo

tumay kya aj bi aghar koi hamay milny nahi aya
yea bazi hunm nay hari hai sitaro tum to so jayo

kahay jaty ho ro ro kay hamara hal duniya say
yea kasi raz dari hai sitaro tunm to so jayo

hamay bi need ayayagi hum bi so hijayay gy
abi kuch bekarari hai sitaro tum to so jayo

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 08:47 PM
Gham-e-Hayyat

Gham-e-hayat ka jhagra mitta raha ha koi.
Chaly aio dunia sy ja raha ha koi..


Azal sy kah do k ruk jay do ghari.
Suna ha k any ka wada niba raha ha koi.

Woh bethy hain is andaz sy lash k pas.
Jasy rothy hoe ko mana raha ha koi.

Plat kar na a jaein sansein nabzon main
Atny haseen hathon sy mayat ko saja raha ha koi.

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 08:49 PM
Muhabbat Mar Nahi Sekti

Mohabbat mar nahin sakti
sitare toot bhi jayein


sumander sookh bhi jayin
zameen ki kookh k saab Astaray

rooth bhi jayin saba,
gul aur baharoon se kinara kar nahin sakti

MOHABAT MAR NA
zamana beet jaye ga

zamanay beet jate hain
Fana ki vadyoon main ,rooz mere geet jate hain

diloon ki khetyoon ko zeher de kar bar-ha
zalim k lashkar jeet jate hain magar

nafrat ki tund-o-taiz zalim andhyoon main bhi
fiza main ik nani preet koil

daar nahin sakti
MOHABAT MAR NAHIN SAKTI

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 08:49 PM
Badnam zamanay

Badnam Zamanay main mohabat nahi kartay,
Dil walay toh dushman say bhi nafrat nahi kartay,

Ek bar jisay chaha sada uss krahay,
Hum log amanat main khiyanat nahi kartay,

Tanhai main kar latay hain yaad ansoo baha kar,
Zahir kabhi hum apni Ebadat nahi kartay,

Waqt anay par maloom yeh ho jaye ga tum ko,
Hum sirf dikhawe ki mohabat nahi kartay,

Lekhtay hain faqat ik tumharay liye ghazalain,
Har shaks pe hum aise enayyat nahin kartay

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 08:50 PM
MAYOUS

Khoobsorat hoti hey udaasi bhi
khushi mein chuppi hoti hey ghami bhi



labon per hoti hey hansi kabhi
tu kabhi ankhon mein nami bhi

tanha rehna bhi accha lagta hey
magar mehsoos hoti hey kissi ki kami bhi

shokh wa chanchal tu hey hi woh zaalim
bankpan mein uske hey saadgi bhi

saaz bhi ho jatey hein khamosh kabhi
kabhi gungunati hey khamshi bhi

uske hussan ka charcha hey char soo
shaamil hey uske madahon mein main bhi

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 08:51 PM
TEIRA SATH

zindegi ki ghani dhoop dhelnay say pahlay
ummeedon ki khushboo bikhrnay say pahlay


aik roz kabhi hum tum say milain
usi roz chaman main phool khilain

usi roz main apnay sub qaidi
yaani dukh k sub panchi

riha karoun
azaad karoun

or dil ka nagar abaad karoun
usi roz ho youn k hum donon

hathon main dalain hathon ko
khushyon k reishmi sahil say

aashaon k gehray saagar main
khwabon k hunse rang suuraj ko

kuch deir tak ruka deikhain
waqt ko thama dekhain

or jub jis pal jis lamhay tum
mujh ko deikh k dheeray say hunse do

ser apna mairay shanay per rakh do
tab saansein mari

maira jeevan
teiray name ho jaye

or zindegi ki bus wahin per shaam ho jaye...............

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 08:52 PM
Musafir to bichartay hain rafaqat kab badalti hai

Musafir to bichartay hain rafaqat kab badalti hai
Mohabat zinda rehti hai Mohabat kab badalti hai


Tmhi ko chahtay hain aur tmhi say pyar kartay hain
Yehi barson say adat hai aur adat kab badalti hai

Kali ka phool banna aur bikhar jana muqaddar hai
yeahi qanoon-e-fitrat hai aur fitrat kab badalti hai

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 08:52 PM
Dhuup hai kyaa aur saayaa kyaa hai ab maaluum huaa

Dhuup hai kyaa aur saayaa kyaa hai ab maaluum huaa
ye sab khel tamaashaa kyaa hai ab maaluum huaa

ha.Nsate phuul kaa cheharaa dekhuu.N aur bhar aa_ii aa.Nkh
apane saath ye qissaa kyaa hai ab maaluum huaa

ham baraso.n ke baad bhii un ko ab tak bhuul na paaye
dil se un kaa rishtaa kyaa hai ab maaluum huaa

saharaa saharaa pyaase bhaTake saarii umr jale
baadal kaa ik Tuka.Daa kyaa hai ab maaluum huaa

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 08:53 PM
Duniyaa ne ham pe jab koii ilzaam rakh diyaa

Duniyaa ne ham pe jab ko_ii ilzaam rakh diyaa
ham ne muqaabil us ke teraa naam rakh diyaa


ik Khaas had pe aa ga_ii jab terii beruKhii
naam us kaa ham ne gardish-e-ayyaam rakh diyaa

mai.n la.D_kha.Daa rahaa huu.N tujhe dekh-dekh kar
tuune to mere saamane ik jaam rakh diyaa

kitanaa sitam_zariif hai vo saahib-e-jamaal
us ne diyaa jalaa ke lab-e-baam rakh diyaa

insaan aur dekhe baGair us ko maan le
ik Khauf kaa bashar ne Khudaa naam rakh diyaa

ab jis ke jii me.n aaye vahii paaye raushanii
ham ne to dil jalaa ke sar-e-aam rakh diyaa

kyaa masalahat_shanaas thaa vo aadamii '****'
majabuuriyo.n kaa jis ne vafaa naam rakh diyaa

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 08:55 PM
Agar tum milnay aa jayo


tamana phir machal jaye
agar tum milnay aa jayo



yeh mousam bi badal jaye
agar tum milnay aa jayo


nahi miltay ho mujhse tum to
sab humdard hai mere

zamana mujh se jal jaye

agar tum milnay aa jayo


mujhe gham hai ke main ne
zindagi main kuch nahi paaya


yeh gham dil se nikal jaaye
agar tum milnay aa jayo


tamana phir machal jaye
agar tum milnay aa jayo

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 08:55 PM
Tum kia milay kay tum say mohabat ho gaiee

Miltatay thay logo say bhool jatay thay akser]
Tum kia milay kay tum say mohabat ho gaiee

Appnay liay hi her shay bay-wafa ho gaiee
Tumharay liay kia hum say wafa ho gaiee

Soch ka mahwer kia tum bun gaay
Zindagaiee tumharay liay hi fana ho gaiee

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 08:56 PM
Samandar ki gahrai

us ki ankho me itni khumari hai Ahmed
kee samandar ki gahrai ka ahsas hota hai

kabi mile to aahat pe bian kar do ghzal
un se kaho Ahmed aj gali se to guzre

kabi qanoon_e_ishaq hi parha do unhe fursat me Ahmad
woo bohat be qaida sa ishaq karta hai mujh see

wah kia mizaaj hai Ahmad us bewafa ne paya......
kar k pagal pochtee hai tumhe pagal kis ne banaya......

chandani me dobi hoi teri ankho ki jheel banata *******
kash me bhee koii musawar hota qudrat k imtizaj ka

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 08:57 PM
Meri gazal ka unwan pochty hain logg


Meri gazal ka unwan pochty hain logg
Dill mein kon rehta hai naam pochty hain logg



Choor kar chala gaya mujh ko akela shehr mein
kitny mein bikk gaya daam pochty hain logg

Mein sungdill tha ya woo harjai
ek yehi baat sareaam pochty hain logg

Kal kia ho ga mujhy khud khabar nahi
meri Mohabbat ka anjaam pochty hain logg....

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 08:57 PM
KHUDA Ek Bar Usy Mera Bana De

KHUDA Ek Bar Usy Mera Bana De !!
Kitna Chahta Hoon Usy Koi Bata De !!

Bohut Naz Hai Humhe Apni Mohabbat Per !!
Ho Jaye Wo Mera Aisa Mojza dikha De !!

Agar Wo Mera Naseeb Ban Nahi Sakta !!
Us Ke Kadmo ki Khak Mujhe Bana De !!

Her Pal dekhon Sirf Sapne Usi Ke !!
Na Jagon Mujhe Aisi Neend Sula De !!

-|A|-
12-12-2008, 09:16 PM
Good yaar

Nida-H
12-13-2008, 10:29 AM
Nice collection..

-|A|-
12-13-2008, 08:07 PM
Ali welldone yaar..!

life2
12-13-2008, 08:21 PM
Tijarat Ke Asoolon Par Mohabbat Ki Nahin Jaati
Mohabbat Mein Kabhi Jazbaat Ka Soda Nahin Kartey

Sitam Karna Mohabbat Par, Ye Hai Aadat Zamaney Ki
Zamaney Ke Sitam Par Hum Ye Dil Thorra Nahin Kartey

Mohabbat Ke Asoolon Mein Yehi Pehla Asool Apna
Ke Hum Apni Mohabbat Ko Kabhi Ruswa Nahin Kartey …__________________
I am WalkinG AwaY Troubles
In my Life

ShArArTi MuNdA
12-13-2008, 11:09 PM
Asad.... Ruby n Life2 Jiii Thanks all of you n keeep visiting

momal ali
12-13-2008, 11:31 PM
keyaa baat hey ali superb choice :addab:

life
12-14-2008, 12:07 AM
nice

! HEER
12-14-2008, 12:57 AM
nice munna varry gud

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 03:43 AM
Thanks Mahum.. life & heeer... n keeep visiting.

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 03:56 AM
Qabr ki aagosh mein jab thak ke so jati hai maan
Tab kahin jakar zara thoda sukoon pati hai maan

Fikr mein bachoon k kuch aise hi ghul jati hai maan
nawjawan hote huye boodhi nazar aati hai maan

Rooh ke rishtone ki yeh gahraiyan to dekhiye
Chott lagti hai hamaari aur chillaati hai maan

Kab zaroorat ho meri bachche ko itna soch kar
Jaagti rahti hain aankhen aur so jati hain maan

Ghar se jab pardais jaata hai koi noor-e-nazar
Haath mein Quran lekar dar pe ajaati hai maan

Jab pareshani mein ghir jata hoon main pardais mein
Aansoon ko pochhne khawabon mein aa jati hai maan

Chahey hum khushiyon mein maan ko bhool jayen
Jab museebat sar pe aa jaye to yaad aati hai maan

Laut kar safar se jab bhi ghar aataa hoon main.
Dalkar baanhen gale mein sar ko sehlati hai maan

Shukriya ho hi nahi saktaa kabhi uskaa adaa
Marte marte bhi jeene ki dua de jati hai maan

Pyar kahte hain kise aur mamta kyaa cheez hai
Yeh to un bachon se poocho jin ki mar jati hai maan

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 03:57 AM
Raabita Laakh Sahe Qaafila-e-Saalaar ke saath.
hum ko chalna he magar waqt ki raftar k saath .

gham lagay rahtay hain har aan khushi k pichay .
dushmani dhoop ki hay saaya e deewar k saath.

kis tarha apni muhabbat ki main takmeel karoon .
gham hasti bhi tau shaamil gham-e-yaar k saath .

lafz chuntaa hoon tau mafhoom badal jaata hay .
aik naa aik khouf bhi hay juraat-e-izhaar k saath .

bukhsh de mujhko bi aizaaz-e-masiha-o-mansoor .
mainay bhi piyaar kiaa hay rasan o daar k saath .

dusmanni mujhsay kiye jaa magar apnaa ban kar .
jaan ley ley meri sayyaad magar piyaar ke saath .

do gharrhi aawo mil aayein kissi ghalib se Qateel .
hazrat-e-zouq tau wabasta hain darbaar k saath.

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 03:59 AM
Laho honay se darta hon juda honay se darta hoon.
meri Ankhain batati hain k main sonay se darta hoon.

meri oungli pakarrh lenaa mujhay tanhaa nahi karna.
ye duniya eik mela hai tumhain khonay se darta hoon.

jub hansti ho tu kiun palkon k goshe bheeg jatay hain.
tumhain maloom hai main es tarha ronay se darta hoon.

ye jub se khawaab dekha hai mujhay tum choor jao ge.
main darta hon khawabo se main ab sone se darta hoon.

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 04:00 AM
Aankon mein rahaa dil me utar kar nahi dekha.
Kishti key musaafir ney Samandar nahi dekha.

Bewaqt agar Jawongaa Sab Choonk parhenge.
Aik Umar huwey din mey kabi Ghar nahi dekha.

Yaadoon k mohabat ka yaqeen kar lia main ne.
Phooloo me chupaya huwa khanjar nahi dekha.

Mahbboob ka ghar ho keh buzzargo ki zameen.
Jo chorrh di Aik Baar Phir Murh Kar Nahi Dekha.

Khat aisa likha hai keh Nageene se jurhey hain.
Woh haath kah jiss ne kabhi zaiwar nahi dekha.

PATHAR mujhe kehtaa hai mera chaahne waala.
main moum hon us ne muje cho kar nahi dekha.

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 04:01 AM
Aik Deewana Yeh Kehtey Huwey Hansta Jata.
Kaash Manzil Sey Bhi Aagey Koye Rasta Jata.

Ae mere abar garizaan meri aankhon ki tarah.
ger barasnaa hi tujhey Thaa To Barasta Jata.

aaj tak yaad hay Izhar-e-mohabat ka wo pal.
Keh Meri Baat Ki Luknat Pe Woh Hansta Jata.

Itney Mehdood Karam se To taghaful behter.
Ger Tarasnaa Hi Mujhey Tha To Tarasta Jata.

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 04:02 AM
IK BAAT KAHOO???

Bay Baat Bigartey Rehtey Ho,
Bay Chain Hamesha Rehtey Ho,
Yeh sab Nishani ISHQ Ki Hai,
Kiya ISHQ Kise Say Kerte Ho?

Kiyoon Ratoon Ko Jagtey Rehtey Ho?
Aur Tarey Bhi Tum Gintey Ho,
Yeh sab Nishani ISHQ Ke Hai,
Kiya ISHQ Kise say Kertey Ho?

Zikar Jo Mera Chalta Hai,
Chehrey ka Rang Badalta Hai,
Bay chain say Tum Ho Jatey Ho,
Kiya ISHQ "MUJH" Hi Say Kertey Ho ?

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 04:23 AM
Saaya banke saath chalenge iske bharose mat rehna,
Apne hamesha apne rahenge iske bharose mat rehna,

Saawan ka maheena ate hi Baadal to chaa jaayenge,
Har Haal mein lekin Barsenge iske bharose mat rehna,

Sooraj ke maanind safar par rooz nikalnaa padtha hai,
Baithe Baithe Din Badlengey, Iske Bharose mat rehna,

behti nadi mey kache gade hay rishte nate husn wafa,
door talak yeh behte rahenge, Iske Bharose mat rehna,

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 04:43 AM
tum ne tu keh diya ke muhabbat nahi milli.
mujh ko tu ye bhi kehney muhlat nahi milli.

Neendo ke dais jaatey koi khwaab dekhte.
Lekin diyaa jalaaney sey fursat nahi milli.

tuj ko tu khair sheher ke logo ka khof tha.
awar muj ko apne ghar se ijazat nahi milli.

Be raaz yoo hoye k tere ehed main hame.
sab kuch millaa sukoon ki dawlat nahi milli.

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 04:45 AM
Mujh ko ruswaa sar-e-mehfil tu na karwaia karey.
kaash Aansoo meri Aankho main hi reh jaya karey.

Ae hawa main ne tu bas uss ka pata phocha tha.
abb kahaani tuo naa har baatt ki ban jaya karey.

aik mussibbat tuo nahi tootty soo ab iss dil sey.
Jiss Qayamat ney Guzarna hay guzar jaya karey.

jis ke khwabo ko main ankho may saja kar rakho.
uss ki khushbo bhi kabhi mujh ko mehkaya karey.

life
12-14-2008, 07:33 AM
Zabardast..

Nida-H
12-14-2008, 10:48 AM
very nice collection..!!!

§am
12-14-2008, 04:51 PM
Very NIce SM

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 09:29 PM
Thanks all of you...... keeep visiting.

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 10:18 PM
dil pe yak tarfa Qayaamat karna.
Muskuraate Hoye Rukhsat karan.

Achi Aankhein jo Milli Hay us ko.
Kuch tu lazim howa wehshar karna.

Jurm kis ka tha sazza kis ko milli.
Ab kissi sey na muhabbat karna.

ghar ka darwaaza kulaa raka hay.
waqt mill jaye tu zehmat karna.

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 10:19 PM
Mera naseeb hoyi talkhiyaan zamane ki.
Kissi ne Khoob saza di hay muskurane ki.

Mere khuda mujhe tariq ka hosla ho atta.
Zaroorat Aan parrhi kishtiyaan jalaane ki.

main dekta hon har ek simt panchio ke hajoom.
Illaahi khair ho sayyaad ki gharaaney ki.

qadam qadam pe salibo ke jaal phela do.
ke sarkashoon ko tu aadat hay sar uthane ki.

shareek-e-jurm na hotey tu mukhbari karte.
hamein khabar hay lutheroon ki har tikhane ki.

hazaar haath gareebaan tak agaye *******.
abhi tu baat chali bhi na thi zamaaney ki.

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 10:21 PM
gham-e-hayat ka jagrrha mitta raha hay koi.
chaley Aawo ke Dunyaa se jaa raha hay koi.

azzal sey keh doo ke rook jaaye Doo gharri.
Suna hay aane ka wada nibha raha hay koi.

wo iss naaz se bethey hain laash ke paass.
jaise Roothey hoye ko manaa raha hay koi.

palat kar na ajaaye phir saans nabzoo main.
itne haseen hatoon se mayyat saja raha hay koi.

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 10:22 PM
Roog aisay bhe ghum-e-yaar sey lag jatay hain.
dard se uthtay hain tu dewaar se lag jatay hain.

isshq aaghaaz main halki sey khalish rakhtaa hai.
baad main sainkrrhoun aazaar sey lag jatay hain.

pehle pehle hawas ki eik aadh dokaan khulti hay.
Pher tu Baazaar Ke Baazaar Sey lag jaatay hain.

be - basi bhe kabhi qoorbat kaa sabbab hoti hai.
roonaa chahain tu galey Yaar sey lag jatay hain.

daag daman k hon, dil k hon, ya chehre k FARAZ.
Kuch Nishaan Umer ki Raftaar Sey lag jatay hain.

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 10:24 PM
Koi bhi lamhaa kabhi loWt kar nahin aaya.
Wo shakhs aisa gaya phir nazar nahin aaya.

Wafaa ke dasht mein rastaa nahin milaa koi.
Siwaaye gard-e-safar hum safar nahin aaya.

Palat k aanay lagay shaam ke parinday bhi.
Humara subah ka bhoola magar nahin aaya.

Kissi charagh ne poochhi nahin khabar meri.
Koi bhi phool merey naam par nahin aaya.

Kidar ko jate hain raste ye raaz kaise khule.
Jahan mein koi bhi baar-e-digar nahin aaya.

Yeh kaisi baat kahi shaam key sitaaray ney.
Keh chain dil ko merey raat bhar nahin aaya.

Humain yaqin hay **** nahi wo wada khilaf.
Yeh umar kaisay katay gi, agar nahin aayaa.

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 10:24 PM
Dard Kiaa Hotaa Hai tum ko Batayenge Kisi Rooz.
Kamaal Ki Ghazal Tumm Ko Sunayenge Kisi Rooz.

Thi Unn Ki Zidd Ke Main Jawoon Un Ko Mananay.
Mujh Ko Ye Veham Tha Wo Bolayenge Kisi Rooz.

ALLAH Qassam Main Ne Tu Socha Bhi Nahin Tha.
Wooh Itnaa Merey Dil Ko Dukhaayenge Kisi Rooz.

Har Rooz Aainay Say Yeh Hi Poochta Hoon Main.
Kia Rukh Pe Tabbassum Bhi Sajain Gain Kisi Rooz.

Urrhnay Do Inn Parindoon Ko Aazaad Fizaa Main.
Tumharey agar Hoonge Lout Hi Ayenge Kisi Rooz.

Apnay Sittam Ka Dekh Lenaa Khud Hi Assar Tum.
Zakhm-E-Jigar Tamaaam Dekhaayenge Kisi Rooz.

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 10:25 PM
Andheri raat main shama jalaana bhool jatay ho.
Hamaari yaad aati hai bhuulaana bhool jatay ho.

Jo ahsan tum samjte ho wo ahsan to nahi magar.
Jab ahsaan kartey ho tu jataanaa bhool jatay ho .

Tumhari aik yehi adut pereshan hum ko rakhti hai.
Nazar me aa tou jatey ho samaana bhool jate ho .

Hamain mehsoos hota hai hamare qurb main akar .
Jo tanhaayi main beeti hai sunana bhool jate ho .

Tumhare haath main aksar gulabi phool hota hai .
Hamaari raah main lekin bichaanaa bhool jate ho .

Tumhain to laut kar janay ki aksar fikar rehti hai .
Magur jab laut jaatay ho to aanaa bhool jate ho .

Suna hai tum hatheli pe hamaara naam likhte ho .
Magar jab hum se milte ho dikhana bhool jate ho.

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 10:41 PM
Uss simt ko chaltay ho to itna usay kehna.
ab koi nahee harf-e-tammana usay kehna.

tum ne hi kaha tha to yaqin mujh ko hua tha.
chaahat nahi hoti kabhi ruswa usay kehna.

duniyaa to kissi haal main jeenay nahi deti.
umeed pey qayam hai ye dunia usay kehna.

zarkheiz zameenain kabhi banjjar nahi hotin.
dariya he badal letay hain rasta usay kehna.

kuch loog saffar ke liye mowzoon nahi hotay.
kuch raastay kat`tay nahi tanha usay kehna.

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 10:41 PM
Pathar Hai Tery Hath Mein Ya Koi Phool Hai.
Jab Tu Qabool Hai Tera Sb Kuch Qabool Hai.

Phir Tu Ne De Diya Hai Nayaa Fasala Mujhy.
Sir Pe tu Abhi Pechali Musaafat Ki Dhool Hai.

Tu Dil Par Bowjh Ley Kar Mulaqaat Ko Na Aa.
Milna Hai iss Tarhaa To Bicharna Qabool Hai.

Tu Yaar Hai To Itnni Kari Guftagoo Naa Kar.
Teraa Assool Hai Too Merey Bhi Assool Hai.

Lafzoon Ki Aabro Ko Ganwaa Na Yun *****.
Jo Maantaa Nahi Uus Sey Kehna Fazool Hai.

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 10:43 PM
Ahl-e-ulfat ke hawaalon pay hanssi aati hay.
Laila Majnoon ki misaalon pay hansi aati hay.

Jab bhi taqmil-e-mohabat ka Khaial aata hay .
Mujhe ko Apnay Khayalon Pay hansi aati hay.

Log apne liye auron main wafa dhondtay hain .
Un wafa dhondnay waloon pay hansi aati hay.

Dekhne walon tabassum ko karam mat samjho.
Unhein to dekhnay waalon pay hansi aati hay.

Chandni Raat Mohabat main haseen thi ******* .
Abb to Beemaar Ujaaloon Pay Hansi Aaati hay.

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 10:46 PM
Baadaloon kaa Qaafila Aata howaa achaa lagaa.
piyaas ki dharti ko har saawan barrha acha laga.

Uss bhari Mehfil Mein uss kaa chand lamhoo k lie.
mujh se milnaa,baat karna,dekhnaa achaa lagaa.

Jin ka sach hona kisi surat se bhi mumkin na tha.
aissi aissi Baatein Akssar Soochnaa achaa lagaa.

vo tu kia ata magar khus-fehmiyoon ke sat sat.
Saari Saari raat hamm ko Jaaghna achaa lagaa.

Pehle pehle tu Nigahoon main koi jachta na tha.
Raftaa Raftaa dossraa phir teesraa achaa lagaa.

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 10:52 PM
Teri taraah koi hamein yaad aaney wala ho.
Terey Siwaa bhi tu koi sattaaney walaa ho.

har aid subah yahi di may hook utt thi hay.
Hamein bhi Naaz se koi Jagaaney wala ho.

wo kis umid pe gar may rahe k jis ghar main.
Naa Aaney walaa ho koi na Jaaney wala ho.

Har ek se Nazrein milaye hay un k kuche main.
Keh Jaisey Koye ham Ko Bhulaaney wala ho.

Hay doosstoon ke liey Aaaienaa Nazar meri.
Nazar Millayey jo Nazrein millaney walaa ho.

ke jaise koi Bhalaa mujh pe aney wali hay.
Haraas kehta hay koyi bachaney wala ho.

Hamare shehr may kia kia saje-sajaye hain ghar
Hamaarey ghar ko bhi koi sajaaney wala ho.

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 10:53 PM
zaalim thaa vo aur zulm ki aadat bhi bahut thi.
majabur he ham us se muhabbat bhi bahut thi.

uss but ke sitam sah ke dikha hi diyaa ham ne.
go Apani Tabiyyat mein bagavat bhii bahut thi.

vaaqif hi na tha ramz-e-muhabbat se vo varna.
dil key liyye thoorrhi sii inaayyat bhii bahut thii.

yuun hi nahin mashhur-e-zamanaa mera qaatil.
us shakhs ko is fan mein mahaarat bi bahut thi.

kia daur-e-Gazal tha ke lahu dil mein bahut tha.
awar dil ko lahuu karane ki fursat bhi bahut thi.

har shaam sunaate the hasiinon ko Gazal ham.
jab maal bahut tha to saKhaavat bhi bahut thi.

bulva ke ham ’Ajiz’ ko pasheman bhi bahut hay.
kyaa kijye kam_baKht ki shoharat bhi bahut thi.

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 10:55 PM
Safar main dhoop tu hogi jo chal sako tu chalo
Sabhi hain bhir main tum bhi nikal sako tu chalo

Kissi key waastey raahein kahaan badalti hain
Tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo

YahaaN kissi ko koi raasstaa naheen dettaa
Mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo

Yahi hai zindagi kuch khwaab chand ummidein
Inhin khilonon se tum bhi behal sako to chalo…

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 10:56 PM
Us Nay Jab Bhi Mujhy Dil Say Pukara Mohsin,
Main Nay Tab Tab Ya Bataya K Tumhara Mohsin,

Log Sadiyon Ki Khataon Pay Bhi Khush Baste Hain
Hum Ko Lamhon Ki Wafaon Nay Ujara Mohsin

Ho Gaya Jab Ya Yaqeen Ab Wo Nahi Aye Ga
Aanson Aur Gham Nay Diya Dil Ko Sahara Mohsin

Woh Tha Jab Pass To Jeenay Ko Bhi Dil Karta Tha
Ab Tu Pal Bhar Bhi Nahi Hota Guzara Mohsin

Us Ko Pana Tu Muqadar Ki Lakeeron Main Nahi
Us Ka Khona Bhi Karen Kaisay Gavara Mohsin..!!

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 11:00 PM
iss tarah naheen kartay rabta to rakhtay hain.
thorra milnay julnay ka silsilaa to rakhtay hain.

manzilain bulannd hon to mushkalain b ati hain.
mushkilon say larrnay ka hosla to rakhtay hain.

jo tumhare apne hon tum se piyaar kartay hon.
un ka hal kaisa hai? kuch pata to rakhtay hain.

doosti key Rishtay ko toorrthay naheen aisay!.
roothay dooston say bi wasta to rakhtay hain.

chorr jaanay walay aksar laot kar bi atay hain.
lowt kar wo Aanay kaa rastaa to rakhtay hain.

ShArArTi MuNdA
12-14-2008, 11:02 PM
Duniya Sey Wafaa kar ke Silaa dhoondh rahe hain.
Hum Loog bhi nadaa’n hain kya dhoondh rahe hain.

Yeh bhi tau sazaa hai keh giraftaar-e-wafaa hoon.
Kyoon Loog Mohabbat ki sazaa dhoondh rahe hain.

Kuch deir tu tehar jaa Ae banda-ye-inssaaf.
Hum apne gunahon mein khata dhoondh rahe hain.

Duniyaa ki tammanna thi kabhi Hum Ko bhi *****.
Ab zakhm-e-tamanna ki dawaa dhoondh rahe hain.

life2
12-15-2008, 08:27 PM
woh pass aaiy tou mozu-e-guftagu na millay
woh lout jaiy tou her guftagu usi sai rahay

ShArArTi MuNdA
12-16-2008, 10:11 AM
Nice one Life2 n Thanks ......!

Nida-H
12-16-2008, 10:44 AM
very nice collection...keep it up!!!

life
12-16-2008, 06:17 PM
vv nice SM ji

life2
12-17-2008, 09:00 PM
Bat sirf Niat kee hai werna
Waqt saray Dua k hotay hain

-|A|-
12-18-2008, 12:02 AM
very nice

ShArArTi MuNdA
12-18-2008, 05:01 AM
Thanks all of you..............! Keep Visiting.

MaSOoM SaRa
12-18-2008, 07:20 AM
nice one thx

ShArArTi MuNdA
12-18-2008, 10:09 PM
Thanks Sara jiii .......... keeep visiting

ShArArTi MuNdA
12-18-2008, 10:10 PM
Ghum ki tazheek uratay huye dar lagta hai,
apni roodad sunatay huye dar lagta hai

Ab tu apnon main bhi milta nahi kuch apna pan,
Ghair ko apna batatay huye dar lagta hai

Dena par jaay na mujhko bhi kaheen iska hisaab,
paaon matti main jamatay huye dar lagta hai

jaag utthay tu jaganay ka sabab poochin gay
sonay walon ko jagatay huye dar lagta hai

jab se dekha hai Mah o mehr ko gehnaay huye
apna ghar baar sajatay huye dar lagta hai

ghar ki taqseem se hoti hai diloon ki taqseem
koi deewar uthatay huye dar lagta hai

Dhoop se bachtay hain per roshni chin jati hai
Sehen main peir(tree) lagatay huye dar lagta hai

Pehle jaisa nahi ***** woh adab kiya kahiye
Ab kisi bazm main jatay huye dar lagta hai

ShArArTi MuNdA
12-18-2008, 10:11 PM
YEH ASHIQI

Bhari dhoop main
yeh chhat per hai kon?
barabar ki chhat ko nishana kiye
takay ja raha hai...
jali dhoop nay uske pairon ko ab tak,jalaya nahe hai
ke sooraj ne usko sataya nahi hai
suna hai ke in ashiqon ko
zamanay ke mausam, satatay nahe hain, daratay nahi hain
sada saath rehtay hain.........
Inn se kabhi apna daman churatay nahi hain........

ShArArTi MuNdA
12-18-2008, 10:12 PM
rakhta hai mujhe thaam kar girne nahi deta
Main toot bhi jaoon to bhikharne nahi deta
iss darr sey kahin kanta na chub jaye haath mein
Wo phool bhi mujh ko pakarne nahi deta
Wo iss qadar hassas hai mohabbat me meri
k koi gham meray seenay mein palnay nahi deta
Jis raat ki tareeki se aata hai khauf,
us din ko wo raat mein dhalnay nahi deta

ShArArTi MuNdA
12-18-2008, 10:18 PM
ratjagon ki halat main khuaab dekhnay walay
ro rahay hain ujlat main khuaab dekhnay walay

chashm e num ke khultay hi kis qadar huye masroof
roz o shub ko fursat main khuaab dekhnay walay

anginat khayalon se, khuaab se huye mehroom
maal o zar ki soorat main khuaab dekhnay walay

jaagtay hi loogon ki nafraton se mil bethay
aapki mohabbat main khuaab dekhnay walay

aur kitna sona hai faisla na kar paay
Umr ki adalat main khuaab dekhnay walay

jaag uthay tu youn jagay,so sakay na jee bhar ke
janay kis zaroorat main khuaab dekhnay walay

so sakay na jee bhar ke aik pal ko bhi *******
khuaabgah e shohrat main khuaab dekhnay walay

ShArArTi MuNdA
12-18-2008, 10:20 PM
Roothi hui hai humsay fasl e bahaar kab say
achay dinoon ka humko hai intizar kab say

koocha ba koocha dar dar khana ba khana dekho
phirtay hain maaray maaray hum bedeyaar kab say

larzaan naheef tan per malboos ke bajay
pehnay huye hain raahi Gard o ghubaar kab say

sabza dekha ke humko phainka tamazaton main
detay rahay hain dhoka yeh apnay yaar kab say

rasta dekhao gay tum manzil milay gi tum say
hum tum pe kar rahay hain yeh aitbaar kab say

hain jin ke pait khali yeh wohi jantay hain
nanay javeen ke talib hain beqaraar kab say

dushman ko kiya khabar hai ******* he janta hai
dushman se ho gaya hai Hamid ko pyaar kab say

ShArArTi MuNdA
12-18-2008, 10:21 PM
Jitnay ankhon say door jatay ho
tum mujhe utna yaad aatay ho

sach kaho mujhko yaad kar ke tum
ansooun ke diye jalatay ho

roz miltay ho dair say aakar
sabr kion mera aazmatay ho?

Khuaab main bhi hai cher chaar wohi
tum mujhe kis qadr satay ho

roz aik tazah aarzo ka mehel
main banata hoon tum giratay ho

subko milta nahi hai moun manga
rait se kion mehel banatay ho

din ke deewar o dar pe tum ****
shub ki tasveer kion lagatay ho

ShArArTi MuNdA
12-18-2008, 10:22 PM
Maqtal he tha ajeeb na qatil ajeeb tha
tarpa jo baad e qatl woh bismil ajeeb tha

ab kis tarah ka hai yeh khabar he nahi mujhe
jab tujh pe agaya tha mera dil ajeeb tha

khiltay nahi thay phool jahan sirf khaar thay
Un raaston main talib e manzil ajeeb tha

hansta tha aur humko hansata tha raat din
naam e wafa ke teer ka ghayl ajeeb tha

kal saath saath chaltay dukhon ke dayaar main
jo meray saath ho gaya shamil ajeeb tha

moujon ka hai qusoor na hai nakhuda ka dosh
humko duboya jisnay woh sahil ajeeb tha

kiya naam tha yeh yaad nahi itna yaad hai
Hamid ke saath ronaq e mehfil ajeeb tha

ShArArTi MuNdA
12-18-2008, 10:24 PM
her shakhs hai umeed ke agay jhuka hua
jholi bhari hoi hai na kaasa bhara hua

kiya waasta hai is se mera,kon hai yeh shakhs
yeh kon ja raha hai mujhe dekhta hua

hain meethay bol bolnay walay jo inke paas
hota hai aasteen main khanjar chupa hua

din kis tarah katay ga Khuda janta hai yeh
nikla hai aaftab e seher kaanpta hua

marham se theek hoga nahi ab yeh umr bhar
meray badan pe zakhm hai aisa laga hua

jalta hua dikhaai nahi de raha magar
mehsoos ho raha hai mujhe ghar jala hua

bekal raha hai rooh ka panchi tamam umer
******* badan ki qaid se kis din reha hua.

ShArArTi MuNdA
12-18-2008, 10:27 PM
Meray humrah chal rahay ho tum
meri qismat badal rahay ho tum

Paaon ko mat nikalo chaadar say
Hadd se agay nikal rahay ho tum

Dhoop main tou jalla he kartay thay
Chandni main bhi jall rahay ho tum

Her khusshi aarzi khushi hai miaan
ghum ke sanchay main dhal rahay ho tum

baat yeh bhi baray kamaal ki hai
kha ke thokar sambhal rahay ho tum

aaj kioun is qadar ho tum khamoosh
khush gulu kitnay kal rahay ho tum

burdbari tumhara sheva hai
phir bhi **** machal rahay ho tum

ShArArTi MuNdA
12-18-2008, 10:28 PM
Gehri neendon wala ghar hai
sub se pyaara apna ghar hai

tanha,veeraan,toota phoota
kiya dunya main aisa ghar hai?

iski kiya tabeer banay gi
maine khuaab main dekha ghar hai

sub ki Qismat hai berbadi
kiya tera kiya mera ghar hai

berbadi aabadi kion ho?
her ghar ab tu mehnga ghar hai

mitti ke deewar o dar hain
mera tere jaisa ghar hai

main bhi hoon mitti k ghar main
mera bhi mitti ka ghar hai

meri tanhai mat poocho
main tanha hoon tanha ghar hai

din ho jiska raat ke jesa
Ali kis ka aisa ghar hai?

ShArArTi MuNdA
12-18-2008, 10:29 PM
Tu mil gaya tu tujh se kinara karain gay hum
Bhoolay se bhi na tujh ko pukara karain gay hum

her shaam bhool jaingay apni takaan ko
ab khud pe din ka bojh utara karain gay hum

Takleef ab na dengay kisi aur shakhs ko
guzray gi jaisi umr guzara karain gay hum

jo tujhko na pasand hai Ay husn e bemisaal
ab koi aisa roop na dhara karain gay hum

Aafaat main rahain jo dekhaai kabhi na dain
aisi rida main paaon pasara karain gay hum

Hum chand se nigah milatay nahi kabhi
jugnoo ko kis tarah se sitara karain gay hum

saaray jahan se humko sar o kaar hi nahi
**** khud apna aap sudhara karain gay hum

ShArArTi MuNdA
12-18-2008, 10:33 PM
Tum her baat ko itna mushkil banatay kioun ho
Ye zarra , zarra se baat per mugh ko azmatay kioun ho

Tum mugh ko her shaay mai nazar atay kioun ho
Abhe tou yaha thay, ab kaha ho, tum mughay iss qadr thakatay kioun ho

Tumharay hain zamanay mai chahnay waly bhout,
Ye fasana her baar tum mugh per dhohratay kioun ho

Tum bhi rakhtay ho ullfat mugh se be-intaha
Ye baat tum akhir mugh se chupatay kioun ho

Mai nay kab kha, mai kuch hoon,phir bhi
Tum meri haste baar, baar mitatay kioun ho

ShArArTi MuNdA
12-18-2008, 11:27 PM
Hum tu bachpan mai bhi akele the
Sirf dil ki gali mai khele the

Aik taraf moorche the palkon ke
Aik taraf annsoo k rele the

Thi saji hasrat dukanoon par
Zindagi k ajeeb mele the

Khudkusi kia dukhon ka hal banti
Maut k apne soo jhamele the

Zehn-o-dil ajj bhoke marte hai
Un dino humne faqe jhele the................

ShArArTi MuNdA
12-18-2008, 11:28 PM
Ham to saya tera ban jayen agar tu chahe
Ya kabhi bhi na nazar aayen agar tu chahe

Tu jo chahe to sar-e-aam karen ehd-e-wafa
Yunhi dunya se guzar jayen agar tu chahe

Tujh se milne main to janaan teri ruswai hai
Ham teri yaad se mil aayen agar tu chahe

Tu jo keh de to pukaaren sar-e-bazaar tujhe
ajnabi ban ke guzar jayen agar tu chahe

Zindagi kar len agar teri ijazat mil jaye
Teri chaukhat pe hi mar jayen agar tu chahe

Tu to chahe to zamane ke sitam yunhi sahen
Saari dunya se bhi takraayen agar tu chahe

Tu Saraab aya hai badla hua chehra lai kar
Ham tujhe tujh se bhi milwayen agar tu chahe

ShArArTi MuNdA
12-18-2008, 11:33 PM
log muj se mil kar bechar jatey hain
is lye main logon se dor rehta hon

mat samjo ke atay nahi adabe-molakat muje
khalos ka banda hon adat se majbor rehat ho

jin se barha mera rabt,gham hi mila
aab rabtay nahi barhata,buhat masroor rehta hon

log muj kehtay hain bemarawat or khud ghariz
dekho main katnay achay namon se meshhor rehta hon

her waqat khoya rehta hon khud ki talash mein
buhat thak gia hon,ghamon se chor rehta hon

meray alfaz khayali hain, meray andaz khali hain
duniya ka banda hon,khayalon ki duniya me zaror rehta hon

lazam nahi ke wo mil jai jo tum chaho haan
kuch iss mein hai moslahat,apney rab ka mashkor rehta hon

Nida-H
12-18-2008, 11:49 PM
very nice..keep it up!!!

A L i
12-19-2008, 12:22 AM
Great going Bro

life2
12-19-2008, 07:45 PM
Chahun to ik nigah main khareed lun us ko shehroon
Jis ko Naaz hai bohat kay bikta nahi hun main

ShArArTi MuNdA
12-19-2008, 11:56 PM
Thanks all of you n keep visiting :D

-|A|-
12-21-2008, 07:04 PM
VERY gOOD

ShArArTi MuNdA
12-23-2008, 07:14 AM
Thanks bro

life2
12-25-2008, 09:28 PM
LafzOn Ki jUstajOo Mein Sab Kuch Ganwa Diya
wO Chal Diya Main Tarz e Adda dhOondta Raha
UskO Kisi Ney RAB Sey Liya Maang Aur Main
Sajdey Mein Girr Key Harf e dUa dhOondta Raha

Hani
01-09-2009, 04:47 PM
superub sharing

life2
01-09-2009, 08:25 PM
Wo Bewafa Hain To Kya, Mat Kaho Bura Us Ko

Ke Jo Huwa So Huwa Khush Rakhe Khuda Us Ko

ShArArTi MuNdA
01-10-2009, 04:11 AM
Thanks all for visitng ...!

life2
01-10-2009, 09:41 PM
Na Kar Ulfat Ameeron Se Ke Yeh Barbaad Karte Hain

Mohabbat Kar Ghareebon Se Jo Dil Se Pyaar Karte Hain

thanx 2...

ShArArTi MuNdA
01-11-2009, 03:04 AM
Thanks again life2 jee

humaa
01-11-2009, 03:31 PM
nicee

life2
01-11-2009, 08:25 PM
Kabhi dikha k roye Kabhi chupa k roye
Humen rulane walay humen rula k roye

Marne ka maza to tab hay yaaro
Jab Qaatil bhi janazay per aa k roye!

thanx

ShArArTi MuNdA
01-11-2009, 09:02 PM
nice life jeee

Hira
01-11-2009, 09:27 PM
nice

life2
01-12-2009, 09:27 PM
Unhii raston nay jin peh kabhi tum they saath meray
Mujhay rok rok poocha tera hum-safar kahaan hai?
janta hoon ek aise shakhs ko mein bhee munir
sham se pathar ho gya lekin kabhi roya nahin

ShArArTi MuNdA
01-13-2009, 04:57 AM
Thanks Hira n Nice Life2 jee

Nida-H
01-13-2009, 10:56 AM
apki poetry collection khatam ho gayee hai Shararti..??? :p

ShArArTi MuNdA
01-13-2009, 11:00 AM
nahi ruby jee collection khatam nahi ho gei hai bas aaj kal thora busy houn esliye poetry ko time nahi de paa raha houn but inshallah aaj aapki khidmat main zarooar khuch paish karounga

ShArArTi MuNdA
01-13-2009, 11:02 AM
Main Hoon Aur Mere Saath
Sirf Meri Tanhai Hai
Pehle Saaya Toh Tha Mere Saath
Aaj Kal Woh Bhi Harjaai Hai
Aaj Phir Aansuon Ki Baarish Hai
Aaj Phir Yaad Unki Aayi Hai
Jaanta Hun Kahin Nahi Hai Woh
Dil Ko Shak Hai Yaheen Kahin Hai Woh
Kaash Yeh Mera Dil Sanbhal Jaaye
Yeh Haseen Wahem Bhi Nikal Jaaye
Ek Dilkash Haseen Chehra Tha
Aks Aankhon Me Uska Gehra Tha
Roz Milte The Baat Hoti Thi
Har Jageh Mere Saath Hoti Thi
Haath Me Haath Apne Hote The
Chaand Taare Bhi Saath Hote The
Kya Samaan Khoob Woh Bhi Hota Tha
Dil Hamara Kahin Jo Khota Tha
Apni Duniya Ajeeb Hoti Thi
Maano Jannat Kareeb Hoti Thi
Ek Dooje Ki Aankhon Me Aankhen
Aankhon Aankhon Mein Pyar Ki Baaten
Zulf Se Khelti Machalti Woh
Bahke Andaaz Se Sanbhalti Woh
Aaj Har Oos Haseen Lamhe Ki
Har Kali Phir Se Muskurai Hai
Main Hoon Aur Mere Saath
Sirf Meri Tanhai Hai…
Sirf Meri Tanhai Hai…

ShArArTi MuNdA
01-13-2009, 11:02 AM
Shaam Rangeen Apni Hoti Thi
Jab Woh Mera Naseeb Hoti Thi

Mast Jhonke Saba Ke Hote The
Chaandni Bhi Kareeb Hoti Thi

Chaand Taaron Ki Bheed Me Khokar
Kaifiyat Ek Ajeeb Hoti Thi

Raat Deepawali Se Kam Na Thi
Din Hamare Bhi Eid Hoti Thi

Husn Aur Ishq Ki Adawat Mein
Na Koi Haar Na Hi Jeet Hoti Thi

Door Hote Toh Band Aankhon Se
Ek Dooje Ki Deed Hoti Thi

Quais-O-Laila Se Hum Mamasil The
Aisi Chaahat Ki Reet Hoti Thi

Jiski Hasti Hamari Jannat Thi
Mah-e-Rukh Ek Haseen Hoti Thi

ShArArTi MuNdA
01-13-2009, 11:03 AM
Hum Ne Kisi Ki Yaad Main Rona Hi Chor Diya
Apni Zindagi Ko Talaash Karna Hi Chor Diya

Sab Beeti Hui Baatein Bhula Di Hum Ne
Ab Dil Main Maazi Basana Chor Diya

Kaanton Se Bhar Dete Hain Log Daaman
Hum Ne Aangan Main Phool Khilana Hi Chor Diya

Kabhi Na Maangen Ge Kisi Se Bheek Mohabbat Ki
Is Hi Liye Hum Ne Pyaar Karna Hi Chor Diya

ShArArTi MuNdA
01-13-2009, 11:04 AM
Chori Se Woh Chupke Se, Aankhon Mein Samaaya Hai
Khwabon Mein Bhi Aa Aa Kar, Neendon Ko Churaya Hai

Aangan Mein Yeh Khushbu Ka, Jhonka Sa Jo Aaya Hai
Woh Aane Hi Wala Hai, Mausam Ne Bataya Hai

Tasveer Bani Baithi, Suntii Hi Chali Jaoon
Us Shokh Ki Baaton Ne, Jaadoo Sa Jagaya Hai

Khamosh They Ham Phir Bhi, Kuchh Shor Huaa Aisaa
Dil Mein Tiri Yaadon Ne Ik Hashr Uthaya Hai

Lo Aaj Isharon Mein Woh Keh Hi Gaya Aakhir
‘Main Ne Bhi Tujhe Apne Sapnon Mein Sajaaya Hai

Raston Ko Gulon Se To Sab Log Sajaate Hen
Hum Ne Teri Raahon Mein Dil Apna Bichhaaya Hai

ShArArTi MuNdA
01-13-2009, 11:05 AM
Neeli Neeli Ghata Barasti Hay
Gum Ki Mati Meri Sanwarti Hay

Aur Hay Kon Jis Ko Sochon Mien
Dil Mien Bus Aik Tu Dhrakti Hay

Aah Hoti Tu Nikal Bhi Jati
Dil Say Khwahish Kahan Nikalti Hay

Dil Ki Basti He Jal Gai Sajid
Aankh Say Raakh Si Barasti Hay

ShArArTi MuNdA
01-13-2009, 11:05 AM
Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena
Bikhar Rahi Hay Meri Zaat,Uss Se Keh Dena
Hawa-e-Mousam- e-Gham Uss k Shehar Jaye To
Mery Dukhoon Ki Koi Baat Uss Se Keh Dena
Yeh WeHshatein,Yeh Udasi,Yeh RatJagoo k Azaab
Ussi Ki Hain Yeh Inayaat,Uss Se Keh Dena
Bohat Taweel Bohat KarabNaak Hoti Hain
Judayion Ki Har Ik Raat,Uss Se Keh Dena
Vo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahey
Main Maan Loon Ga Vohin Maat,Uss Se Keh Dena
Wafa Ki Raah Mein,Main Aaj bhi Akaila Hoon
Koi Nahi Hay Mery Saath,Uss Se Keh Dena

ShArArTi MuNdA
01-13-2009, 11:06 AM
Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab B Baki Hai
Usay Meri Mjhe Uski Zarorat Ab B Baki Hai

Koi Mushkil Agar Darpaish Aye Laut Ana Tum
Tumhare Waste Dil Mie Aqeedat Ab B Baki Hai

Bala Ki Sard Mehri Hai Meri Har Baat Mie Lekin
Mere Seenay Mien Chaht Ki Hararat Ab B Baki Hai

ShArArTi MuNdA
01-13-2009, 11:07 AM
Jo Meri Aankhon Se Khuwab Dekho

To Aik Shab Bhi Na So Sako Ge
K Lakh Chaho Na Hans Sako Ge
Hazar Chaho Na Ro Sako Ge
K Khuwab Kia Hain, Azab Hain Ye
Mere Dukhon Ki Kitab Hain Ye
Rafaqtain In Main Choteti Hain
Mohabbatain In Main Rothti Hain
Pinapti Hain In Main Wehshatain Si
Aziatain In Main Photeti Hain
Inhein K Dar Se Khizan Hain Jazbe
Inhein Se Shakhain Si Toteti Hain

Ghamon Ki Bandish Hain Khuwab Mere
Dukhon Ki Barish Hain Khuwab Mere
Ubal Raha Hai Dukhon Ka Lawa
Rahen-E-Atish Hain Khuwab Mere
Khial Sare Jhulas Gai Hain
Sulagti Khuwahish Hain Khuwab Mere
Ukharti Sansain Hain Zindagi Ki
Laho Ki Sazish Hain Khuwab Mere

Jo Meri Aankhon Se Khuwab Dekho
To Aik Shab Bhi Na So Sako Ge

ShArArTi MuNdA
01-13-2009, 11:08 AM
Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain ?
Main To Bus Khamosh Sa Sha‘Ir
Ulfat Chahat Ke Rango Se
Dil Ki Khali Tasveero Me
Koi Mohabbat Likh Deta Hoon …
Aur Kabhi Deewar Se Lagkar
Koi Mohabbat Ro Deta Hoon …
Aur Kabhi Aankho Aankho Mein
Saari Baatein Keh Jata Hoon ….
Main To Ek Khamosh Sa Sha‘Ir
Mujhko Baatein Kab Aati Hain ???
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Kiya Mujh Ko Chhor Kar Jaati ???
Mere Sapne Tod Kar Jaati ???
Kiya Meri Aankho Mein Dukh Ke
Itne Aansoo Dekh Sakti Thi ???
Mera Kul Sarmaya Tha Jo
Kiya Mujhse Woh Le Sakti Thi ???
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Main Bhi Tumse Woh Sab Kehta
Jo Tum Sunne Ki Khwahish Mein
Saare Raaste Bhool Aayi Ho
Saare Rishte Bhool Aayi Ho
Main Thera Khamosh Sa Sha‘Ir
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Bhi Mere Khwab Sajaati
Yoon Na Tanha Chhor Kar Jaati
Kaash ! Mujhe Bhi Baatein Aati ..

MAsooM LArKa
01-13-2009, 12:21 PM
Wah Munda G tere collection ku tu kiya hi baaaaaaaaaaat hai
super duper nice one
keeeeeeeeeeeep it up

-|A|-
01-13-2009, 03:35 PM
wah bhai wah ,,

ShArArTi MuNdA
01-13-2009, 08:24 PM
Thanks Baba & Stranger bro

life2
01-13-2009, 09:13 PM
WA()...nice.

Tumhen lakhon ki Bheer main pehchanta hay koi,
Din raat Khuda se Tumhen maangta hay koi,

Tum khud se Waqif nahin hogay itna,
Tumhen tum se bhi Ziada jaanta hay koi!!

ShArArTi MuNdA
01-13-2009, 09:17 PM
Thanks Life2 jeee n very nice one :)

ShArArTi MuNdA
01-13-2009, 11:54 PM
Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena
Bikhar Rahi Hay Meri Zaat,Uss Se Keh Dena
Hawa-e-Mousam- e-Gham Uss k Shehar Jaye To
Mery Dukhoon Ki Koi Baat Uss Se Keh Dena
Yeh WeHshatein,Yeh Udasi,Yeh RatJagoo k Azaab
Ussi Ki Hain Yeh Inayaat,Uss Se Keh Dena
Bohat Taweel Bohat KarabNaak Hoti Hain
Judayion Ki Har Ik Raat,Uss Se Keh Dena
Vo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahey
Main Maan Loon Ga Vohin Maat,Uss Se Keh Dena
Wafa Ki Raah Mein,Main Aaj bhi Akaila Hoon
Koi Nahi Hay Mery Saath,Uss Se Keh Dena

ShArArTi MuNdA
01-13-2009, 11:55 PM
Kuch Dur Hamare Sath Chalo
Hum Dil Ki Kahani Keh Dain Ge
Samjhe Na Jise Tum Ankhon Se
Woh Bat Zubani Keh Dain Ge
Pholun Ki Tarah Jab Hounton Pe
Ek Shokh Tabassum Bikhre Ga
Dheere Se Tumhare Kanoun Mein
Ek Baat Purani Keh Dain Ge
Izhare-E-Wafa Tum Kia Jano
Iqrar-E-Wafa Tum Kia Jano
Hum Zikr Karain Ge Ghairun Ka
Aur Apni Kahani Keh Dain Ge

ShArArTi MuNdA
01-13-2009, 11:56 PM
Mujhey Deewana Sa Laghtey Hain Terey Sheher Ke Log
Merey Daa An Se Ulajhtey Hain Terey Sheher Ke Log

Main Gaya Waqt Hoon, Wapas Naheen Aaney Wala
Kiun Mera Raasta Taktey Hain Terey Sheher Ke Log

Jab Bhi Aata Hey Mera Naa Terey Naa Ke Saath
Meri Qismat Pey Sulagtey Hain Terey Sheher Ke Log

Aur Kiyaa Doon Tujhey main Apni Wafaaon Ka Suboot
Ab Merey Haal Pey Hanstey Hain Terey Sheher Ke Log

ShArArTi MuNdA
01-13-2009, 11:56 PM
Qurb K Na Wafa K Hote Hain
Saray Jhagray Ana K Hote Hain

Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K Hote Hain

Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlay Khata K Hote Hain

Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain

Wo Humara Hai Is Tarah Se Faiz
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain

ShArArTi MuNdA
01-13-2009, 11:57 PM
Us Se Poochna To Hai
Kia Silla Wfaon Ka
Hai Yehi K Din Aur Raat
Us Ko Sochtya Rahna
Khud Ko Khojtay Rahna
Us Se Poochna To Hai
Kia Yehi Mohabbat Hai
Us K Hi Khwabon Se
Apni Dua’n Ko
Khud Hi Beasar Karma
Khud Ko Besamar Karma
Us Se Poochna To Hai
Zindagi Yehi Hai Kia
Us Ka Saath Ho Aur Bus
Darmian Koi Na Ho

Dil Ho Wahamon K Beech
Raazdaan Koi Na Ho
Us Se Poochna To Hai
Us K Baad Bhi Kaise
Din Ye Kyun Nikalta Hai
Raat Kyun Ye Dhalti Hai
Umar Bhi To Chalti Hai
Saans Kaise Chalti Hai
Us Se Poochna To Hai
Khud Bhi Sochna To Hai

ShArArTi MuNdA
01-13-2009, 11:58 PM
O Tum Ne Thaan Hi Li Hai
Hamaray Dil Se Niklo Ge
Tu Itna Jaan Lo Piyaray
Wafa Ki Seerhiyon Per Her Her Qadam Phaila Hoa Hai
Yeh Aarzo’on Ka Laho Zaaya Na Jaye Ga
Samnader Saamnay Hoga Ager Saahil Se Niklo Ge
Sitaaray! Jin Ki Aankhon Ne Hamain Ik Saath Daikha Tha
Gawahi Dainay Aaayen Ge!
Puranay Kaghazon Ki Balcony Se Buhat Se Lefz Jhankain Ge
Tumhain Wapis Bulayen Ge
Kayee Waaday, Fisadi Qerz Khwahon Ki Tarah Restay Main Rokain Ge
Tumhain Daaman Se Pekrain Ge!
Tumhari Jaan Khayen Ge
Chupa Ker Kis Tarah Chehra
Bheri Mehfil Se Niklo Ge
Zara Phir Soch Lo Janaa
Nikal Tu Jao Ge Shayed
Mager Mushkil Se Niklo Ge!

ShArArTi MuNdA
01-13-2009, 11:59 PM
Kahaa Thaa Kis Ne Ke Ahad-E-Vafaa Karo Us Se
Jo YuuN Kiyaa Hai To Phir KyuuN Gilaa Karo Us Se

Ye Ahl-E-Baz Tunak Hausalaa Sahii Phir Bhii
Zaraa Fasaanaa-E-Dil Ibtidaa Karo Us Se

Ye Kyaa Ke Tum Hii Gam-E-Hijr Ke Fasaane Kaho
Kabhii To Us Ke Bahaane Sunaa Karo Us Se

Nasiib Phir Ko_Ii Taqriib-E-Qarb Ho Ke Na Ho
Jo Dil MeN HoN Vahii BaateN Kiyaa Karo Us Se

‘Faraz’ Tark-E-Ta’alluq To Khair Kyaa Hogaa
Yahii Bahut Hai Ke Kam Kam Milaa Karo Us Se

ShArArTi MuNdA
01-13-2009, 11:59 PM
Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gain
Dil Lagayein Gain To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gain

Na Dikhayain Gain Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gain

Jaan De Daingain Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain Gain

Sab Hata Daingain Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazay Ko Har Waqt Khula Rakhain Gain

Unki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain Gain Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gain

Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gain

ShArArTi MuNdA
01-14-2009, 12:00 AM
Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya
Har Ek Kam Hum Ne Khuda Pe Chor Diya

Woh Hum Ko Yad Rahkta Ya Bhula Deta
Usi Ka Kam Tha Usi Ki Raza Pe Chor Diya

Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe
Cheragh Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Diya

Us Se Baat Bhi Karte Tu Kis Tarhan Karte
Yeh Masal Dua Ka Tha Dua Pe Chor Diya

Iss Liye Tu Woh Kehte Hain Bewafa Hum Ko
K Hum NE Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya

ShArArTi MuNdA
01-14-2009, 12:01 AM
Yehi Wafaa Ka Silaah Hai, To Koi Baat Nahi
Yeh Dard Tum Ne Diya Hai, To Koi Baat Nahi
Yehi Bohot Hai Ke Tum Dekhte Ho Sahil Se
Safeena Doob Raha Hai, To Koi Baat Nahi
Rakha Tha Aashiyana-E-Dil Main Choopa Ke Tumko
Woh Ghar Tumne Chor Diya Hai To Koi Baat Nahi
Tum Hi Ne Aayena-E-Dil Mera Banaya Tha
Tum Hi Ne Tor Diya Hai To Koi Baat Nahi
Kise Majaal Kahe Koi Mujh Ko Deewana
Agar Yeh Tumne Kaha Hai To Koi Baat Nahi

Nida-H
01-14-2009, 11:44 AM
very nice collection..keep sharin !!!

ShArArTi MuNdA
01-14-2009, 08:08 PM
Thanks Ruby Jeee

life2
01-14-2009, 09:09 PM
Phool khilte rahein zindgi ki raah mein
hassi chamakti rahe aapki nigaah mein
kadam kadam par mile khushi ki bhaar aapko
dil deta hai yehi dua baar-baar aapko

ShArArTi MuNdA
01-14-2009, 11:56 PM
nice one life jee n thanks for visiting

Hani
01-15-2009, 02:13 AM
superub.........

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 08:54 AM
Thanks Hani jee n keep visiting

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:32 AM
Hum Ne Kisi Ki Yaad Main Rona Hi Chor Diya
Apni Zindagi Ko Talaash Karna Hi Chor Diya

Sab Beeti Hui Baatein Bhula Di Hum Ne
Ab Dil Main Maazi Basana Chor Diya

Kaanton Se Bhar Dete Hain Log Daaman
Hum Ne Aangan Main Phool Khilana Hi Chor Diya

Kabhi Na Maangen Ge Kisi Se Bheek Mohabbat Ki
Is Hi Liye Hum Ne Pyaar Karna Hi Chor Diya

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:32 AM
Chori Se Woh Chupke Se, Aankhon Mein Samaaya Hai
Khwabon Mein Bhi Aa Aa Kar, Neendon Ko Churaya Hai

Aangan Mein Yeh Khushbu Ka, Jhonka Sa Jo Aaya Hai
Woh Aane Hi Wala Hai, Mausam Ne Bataya Hai

Tasveer Bani Baithi, Suntii Hi Chali Jaoon
Us Shokh Ki Baaton Ne, Jaadoo Sa Jagaya Hai

Khamosh They Ham Phir Bhi, Kuchh Shor Huaa Aisaa
Dil Mein Tiri Yaadon Ne Ik Hashr Uthaya Hai

Lo Aaj Isharon Mein Woh Keh Hi Gaya Aakhir
‘Main Ne Bhi Tujhe Apne Sapnon Mein Sajaaya Hai

Raston Ko Gulon Se To Sab Log Sajaate Hen
Hum Ne Teri Raahon Mein Dil Apna Bichhaaya Hai

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 09:33 AM
Khatm Ik Din Ye Teeragii Hogi
Mere Aangan Mein Raushnee Hogi

Bewafayi Ka Kab Iraada Tha
Zeest Majboor Ho Gayi Hogi

Jab Kabhii Us Ka Saamna Hoga
Woh Qayaamat Ki Hii Gharii Hogi

Meri Raahon Pe Ehtiaat Se Chal
Koi Khwahish Mari Parii Hogi

Aap Aansoo Samajh Rahay Hen Jise
Koi Hasrat Tapak Rahii Hogi

Waqt-E-Rukhsat Mujhe Bhi Ghum Hoga
Teri Aankhon Mein Bhi Nami Hogi

Dheere Dheere Mujhe Bhula Do Ge
Phir Tarap Bhi Kabhii Kabhii Hogi

Zindagi Darbadar Thi Pehle Hi
Phir Safar Per Nikal Parii Hogi

Haal Anmol Ka Batayen Kya
Baithi Qismat Ko Ro Rahii Hogi

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.