PDA

View Full Version : MuNdA's Collection


Pages : 1 2 3 4 5 [6] 7

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:33 AM
US NE SAMJHA HI NAHI APNI WAFA KAY KABIL
APNAY CHAHRAY PE BIKHRI HAYA KAY KABIL

MERI CHAHAT HI MERA JURM TEHRA
MEIN HAZIR HON JO SAMJHO SAZA KAY KABIL

QADAM DAGMAGANAY LAGAY AUR DOOR HAI MANZIL
MERI HALAT TU HAI YARO DUA KAY KABIL

IS BEDARDI SE KUCHLA MERAY JAZBON KO
NAHI RAHA MEIN APNI HI ANA KAY KABIL

PIYAR SE ISHQ,ISHQ SE JANON KI MANZIL
AAYE JIS PE NAHI REHTA DUA KAY KABIL

UN KAY HATH MEIN HAI SaaMer ZINDAGI AB TU
LOAT AAYEIN TU HAI MARZ SHIFA KAY KABIL

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:35 AM
Hain Ghar Ki Muhafiz Meri Dehki Hui Aankhein,
Main Taaq Mein Rakh Aaya Hoon Jalti Hui Aankhein,

Ek Pal Bhi Kisi Mod Pe Rukne Nahi Deti,
Kaanto Ki Tarah Jism Mein Chubhti Hui Aankhein,

Raste Mein Kadam Phoonk Ke Rakhna Mere Pyaaron,
Hain Chaaron Taraf Shahar Mein Bikhri Hui Aankhein,

Yun Us Ke Bichhad Jane Pe Aansu Na Bahao,
Manzar Ko Taras Jayengi Bhigi Hui Aankhein,

Qaatil Ke Siwa Koi Samajh Hi Nahi Sakta,
Kya Dekhti Hai Tasht Mein Rakhi Hui Aankhein,

Kya Jaaniye Kis Khwab Ki Taabir Mein Gum Hai,
Zulfon Ki Ghani Chhanv Mein Uljhi Hui Aankhein,

'Talha' Shab-E-Tira Mein Ujalon Ki Amin Hai,
Nafrat Ke Samundar Mein Ye Behti Hui Aankhein...

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:36 AM
Tere bare mein jab socha nahin tha

main tanha tha magar itna nahin tha

Teri tasveer se karta tha batein

mere kamre mein aaina nahin tha

Samundron ne mujhe pyasa hi rakha

main jab sehra mein tha pyasa nahin tha

Manane roothne ke khel mein

bichar jayenge yeh socha nahin tha

Suna hai band kar li usne aankhen

kayi raaton se woh soya nahin tha

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:36 AM
mein nhin khud ke liye hoon mein zamaney ke liye
khud ko zakham de de kar auroon ko hasaney ke liye

hum ne kya kya na kiya tere chaley janey ke baad
tujeh hi yaad kiya tujh ko bhulaney ke liye

ye khiza ye andhere ye viraney sa safar
hum toh nikley the kahin aur hi janey ke liye

ayina dekh ke heraan sa ho jata hoon
khud ko hi bhool gaya app ko paney ke liye

yun raqeeboon se hans hans ke kyun miltey ho
teri berukhi hi bahot hti dil ko jalaney ke liye

ye jo chalakta hai ankhoon se ise pani na kaho
ye toh moti hai mere pya rko sajaney ke liye!!

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:37 AM
Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein,
Ke Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe Ek Raat Nawaz De ,
Magar Uske Baad Saher Na Ho

Woh Bara Raheem-o-Kareem Hai,
Mujhe Yeh Sifat Bhi Ata Karein
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon,
To Dua Mein Meri Asar Na Ho

Kabhi Din Ki Dhoop Mein Jhoom Ke,
Kabhi Shab Ke Phool Ko Choom Ke
Yun Hi Saath Saath Chalein sada,
Kabhi Khatam Apna Safar Na Ho

Mere Paas Mere Habeeb Aaah,
Zara Aur Dil Ke Qareeb AaAh,
Tujhe Dhadkano Mein Basalon Main,
Ke Bichhadne Ka Kabhie Dar Na Ho

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:37 AM
batata hai mujhe aiyna kesey berukhi se
ke mein mehroom hota ja raha hoon roshni se

kisey ilzaam doon mein raigaan honey ka apney
ke sarey fesley mein ne kiye khud hi khushi se

har ik lamha rehti hai taza aik shikaiyat
kabi tujh se kabi khud se kabi iss zindagi se

mujhe ab tak bahot khawaish thi khud se guftagu ki
mein chupta phir raha hoon ajj apney app hi se

jo chahe wo sitam mujh par rawa rakhey ye duniya
mujhe yun be tawaqo ab nhin kuch be kissi se!!!

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:38 AM
Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai
Halay Dil Auroon Ko Sunana Kitna Mushkil Hai
Aik Humain Hai Teri Chahat,Aik Dunya Ki Majbori
Beech Samandar Diya Jalana Kitna Mushkil Hai
Tum Dunya Ki Shedai Ho,Main Sapnoon Ka Bashinda
Sath Humain Yuhn Tera Nibhana Kitna Mushkil Hai
Aik Naye Dunya Ki Chahat Lay Aye Hai Kitni Dor
Wapis Laut K Ghar Ko Jana Kitna Mushkil Hai
Wehshat Ke Saaz Pay Raksaan Matam Ke Kuch Alfaaz
In Hontoon Pay Geet Sajana Kitna Mushkil Hai
Apnay Hontoon Se Ana K Talay Hum Se Na Khol Payenge
Dhur Hotay Sathi Ko Bholna Mitna Mushkil Hai
Ab Tu Har Aik Hi Hum Ko Dard Ka Mara Lagta Hai
Apnay Zakham Logon Ko Dekhana Kitna Mushkil Hai
Roz Muhj Say Aik Naye Tamana Karta Hai Yeh Mera Dil
Is Nadaan Bachay Ko Samjhana Kitna Mushkil Hai ....

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:38 AM
~*~ Teri yadein jo aati hain ~*~

Muhabat ab nahi ho gi
Ye kuch din baad main ho gi
Sitaray jo chamktay hain kisi ki chashme hayran mein
mulaqatain jo hoti hain jamalay abray baran mein
ye un abad lamhon ki dilay nashad mein ho gi
muhabat ab nahi ho gi
ye kuch din baad main ho gi
teri yadein jo ati hain
bhahut hum ko rolati hain
ye isi rim jim k mausam ki
bari barsat mein ho gi
muhabat ab nahi hogi
ye kuch din baad mein ho gi

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:39 AM
manzar hai vahii thathak rahii huuN
hairat se palak jhapak rahii huuN

ye tuu hai ke meraa vaham hai
band aaNkhon se tujh ko tak rahii huuN

jaise ke kabhii na thaa taarruf
yuuN milate hue jhijhak rahii huuN

pahachaan main terii roshanii huuN
aur terii palak palak rahii huuN

kyaa chain milaa hai sar jo us ke
shaanon pe rakhe sisak rahii huu.N

ik umr hu_ii hai Khud se laDate
ander se tamaam thak rahii huuN

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:39 AM
Kaho
woh dasht kaisa tha
jidher sab kuch luta ayee
jidher ankhain ganwa ayee

kaha
sailab jaisa tha
buhat chaha k bach niklain
mgar sab kuch baha aye

kaho
woh vasal kaisa tha
tumhain jab cho lia us nay
toh kia ehsas jaga tha

kaha
us rastay jaisay
jidher say bus guzrana tha
Makan lakin bana aye

kaho
woh chand kaisa tha
falak say jo utar aya
tumhari ankh main basnay

kaha
woh khuwab jaisa tha
nahin tabeer thee us ki
usay aik shab sula aaye

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:40 AM
Suna hoga buhat tumney, kaheen aankhon ki rim-jhim ka
kaheen palkon ki shabnam ka
parha hoga buhat tumney, kaheen lehjey ki baarish ka
kaheen saagar k aansoo ka
magar tumney kabhi humdam
kaheen dekhey? kaheen parkhey?
kisi tehreer ke aansoo?...!
mujhey teri judaai ney, yehi me“raaj bakhshi hey
ke meiN jo lafz likhti hoon.. wuh saarey lafz rotey hein
ke meiN jo harf bunti hoon..wuh sarey bain kartey hein
merey sung is judaai mein... merey alfaaz martey hein
sabhi Tareef kartey hein ...meri tehreer ki lekin...
kabhi koi nahi sunta...merey alfaaz ki siski
falak bhi jo hilaa daaley
merey lafzon mein hein shaamil...ussi taseer ke aansoo
kabhi dekho merey humdam
meri tehreer ke aansoo...!!!

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:40 AM
Ek chehraa sath sath rahaa jo milaa nahii
kisko talaash karta raha kuch pataa nahii

shiddat ki dhoop taiz havaon k ba-vajood
mai shakh se gira hoo, nazar se gira nahii

aakhir Ghazal ka taj-mahal bhi hai mak-bara
ham zindagi the hamko kisi ne jiyaa nahii

jiski mukha-lifat hui mash-hoor ho gaya
in pattharo se koi parinda giraa nahii

tarikiyo me aur chamakti hai dil ki dhoop
suraj tamam raat yahaa Doobta nahii

kisne jalaye bastiyaa bazaar kyo luTay
mai chaNd par gaya tha mujhe kuch pata nahii

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:40 AM
Sabz maddham roshni mein surkh aanchal ki dhanak
sard kamre mein machalti garm saanso'n ki mehak

baazuo'n ke sakht halqe mein koi naazuk badan
silvatei'n malboos par aanchal bhi kuch dhalka hua

garmi-e-rukhsaar se dehki huee thandi hawa
narm zulfo'n se mulaayam ungaliyo'n ki chhed chhad

surkh hontho'n par sharaarat ke kisi lamhe ka aks
reshmi baaho'n mein *****i ki kabhi maddham dhanak

sharmagee'n lehjo'n mein dheere se kabhi chaahat ki baat
do dilo'n ki dhadkano'n mein goonjti thi ek sadaa

kaanpate hontho'n pe thi ALLAH se sirf ek dua
kaash ye lamhe thehar jaayein thehar jaayein zara...

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:41 AM
Jaate Jaate Tu Agar Aankh Bhar Aati Nahi,
Mujhe Bhi Shaayad Kabhi Teri Yaad Aati Nahin.

Pata Nahin Kuchh Un Mein Hai Ya Un Ke Dil Mein Chor Hai,
Un Ke Chehre Par Meri Nazar Tik Paati Nahin.

Samajh Hee Aata Nahin Ye Rog Kya Hai Ishq Ka,
Neend Aati To Hai Lekin Neend Hee Aati Nahin.

Tu Agar Mil Ke Mujh Se Door Karti Sab Gile,
Main Bhi Pachhtaata Nahin Tu Bhi Pachhtaati Nahin.

Jab Se Kho Diya Tujh Ko Kho Diya Hai Har Yakeen,
In Labon Pe Aajkal Koi Dua Aati Nahin.

Tu Bata Main Kaise Samjhoon Tere Dil Ki Baat Ko,
Apni Khwahish Tu Zabaan Par Jab Talak Laati Nahin.

Ek Hum Hain Jo Unhein Bhool Hee Paate Nahin,
Ek Wo Hain Jinhein Hamaari Yaad Tak Aati Nahin.

Ishq Ki Daastaan Ajeeb Daastaan Hai Jo,
Samajh To Aati Hai Lekin Samajhai Jaati Nahin ...

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:41 AM
Aansu jo beh rahey

Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do

Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do!

Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do

Mar gaye auroon kay liye main
Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do..

Ae dil, tu mohabbat karta kyun hai..?
jo karta hai to phir tadapta kyun hai..?

Main dhadkan hun uske dil ki,kehta tha mujhse,
phir aaj uska dil mere bina dhadakta kyun hai...??

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:41 AM
Wafa jab maslehat ki shawl orhey
Sard raat ka roop dharey
Dil ke aangan main utarti hey
To palkon par sitaaron ki dhanak muskaaney lagti hey
Kabhi khwabon ke an-chuey heowlon sey bhi
An-dekhi si anjaani si khushboo aaney lagti hey
Kisi ke sang beetey, an-ginat lamhon ki zangeerain
Achanak zehan main jab gungunaati hain
Nafas ke taar main sannata sa yakdam cheekh uthta hey
To yun mehsoos hota hey
Hawayen aa ker sargoshi karti hain
"Mohabbat ka tumhain idraak ab to ho gaya ho ga?"
Ye jo bhi zakhm deti hey, kabhi seeney naheen deti
Mohabbat rooth jaaye to, kabhi jeeney naheen deti..

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:42 AM
Bechain Bahut Phirna Ghabraye Hue Rehna,
Ek Aag Si Jazbon Ki Behki Hui Rehna,

Chhalkaye Hue Chalna Khusbu-E-Begani Ki,
Ek Baag Sa Tha Apna Mehakaye Hue Rehna,

Is Husn Ka Shevaa Hai, Jab Ishq Nazar Aaye,
Parde Mein Chale Jaana, Sharmaye Hue Rehna,

Ek Shaam Si Kar Rakhna Kaajal Ke Karishme Se,
Ek Chand Sa Aankhon Me Chamkaye Hue Rehna,

Aadat Hi Bana Li Hai Tumne To ******* Apni,
Jis Shaher Mein Bhi Rehna Uktaye Hue Rehna...

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:42 AM
teri yaad mein jeetey jeetey aik zamana beet gaya
hum ko apney app se bichrey zamana beet gaya

pani ke pardey par tum ne naam wafa ka likha tha
pani ki lehroon ko taktey aik zamana beet gaya

ankhoon mein kuch khwab basa kar hum ne jeena chaha
ankhoon mein khwaboon ko sulagtey aik zamana beet gaya

jatey jatey phir milney ki aas na detey acha tha
phir milney ki aas mein jaltey jaltey aik zamana beet gaya

kon suney faryaad kissi ki kon kissi ka dard sahe
apne app se batein kartey aik zamana beet gaya!!

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:42 AM
rooh mujh se bichar jane ko hai
Wafa-e-muhabbat rakh ho jane ko hai
Jo mere dil se jur kar meri zaat mein raha
Woh bandhan pal mein toot jane ko hai

Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Sokoon dil barbaad ho jane ko hai
Raaste socho ke simat jane ko hai
Yeh kaisa too ne muhabbat mein faasla rakha
Apna ho ke ajnabi ho jane ko hai

Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Qurbato ke nisha mit jane ko hai
Faasle dooriyu mein badal jane ko hai
Woh ja sakta hai meri muhabbat ko chor ke
Meri zaat to us ki muhabat mein waft ho jane ko hai

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:43 AM
Hum Na Samjhe Thay Teri Nazron Ka Taqaza Kia Hai
Kabhi Jalwa Kabhi Parda Ye Tamasha Kia Hai

Mujh Ko Madhosh Sa Kr Rakha Hai Teri Aankhon Ne
Werna Saaqi Tere Maikhaane Main Rakha Kia Hai

Dekh Le Laila Tere Majnu Ka Kaleja Kia Hai
Khaak Main Mil K B Kehta Hai Bigra Kia Hai

Ye Suraahi Sa Badn Le Ker Maire Saamne Na Aa
Main Sharabi Hoon Sharabi Ka Bharosa Kia Hai

Apne Honton Ko Maire Honton Se Chonay Na De
Ek Do Ghoont Se Botal Ka Bigarta Kia Hai

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:43 AM
Abhi Jo Tum Laut Ker Phir Tum
Humare Dar pe Aaye Ho
Ye Tum Se Keh Dia Kis Ne
K Tum Bin Reh Nahi Sakte
Ye Dukh Hum seh Nahi Sakte
Kaha Tum Se Kis Ne k
Hum Tum Bin Bohat Roye
Kai Raato'n Ko Na Soye
Suno. . ! ! !
Tum Sun Lo Gaur Se
Agar
Beetay Huey Lamho'n Ko
Tumne Wapis Lana Hai
Humari Zindagi ain Humain
Wapis Bulana Hai
Mujhe Afsos Hai Jana'n
K Tum Mayoos Lauto Ge
Agar Tum Jan'na Chaho K Aisa
Kion Kia Hum Ne
Ye Gham Seh Lia Hum Ne
TOU SUNO GAU SE JANA'N
Puraani Ehad-e-Rafta Ki Riwayat
Tor Di Hum Ne

"MOHABBAT CHORH DI HUM NE" . . .

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:44 AM
Kabhi ju Ehsaas ho tum ko
Keh Tum acha nahi kerte
Jo mujh ko yun roolate ho
Lahoo mera jalate ho
Ager is aag main jal ker
Main ek din raakh hojaoon
Mujeh dil se bhulaa dena
Samandur main baha dena
mager yeh yaad rakhna tum
Khuda se yeh dua kerna
keh jo Acha lagey tum ko
Wuh tum jaisa na ho hargiz
Warna tum bhi rogey
Mujeh jaisey rulate ho

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:44 AM
Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga.
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga.
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi.
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga
Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy.
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga.
Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say
Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga.
Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy.
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga.
Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana.
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga.
Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab.
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga...

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:44 AM
Hum mai or tum mai
kab yeh teh huwa tha???
k phir milege zindagi k kisi mord par
kab yeh kaha tha k bin tumhare
na jee sakhainge hum
buhat tarpaye ga yeh hijar ka mosam
yeh sawan aur pat jhar ka mosam
kab yeh teh huwa tha
k sar shaam hi
tumhari yaad utar aayegi
is dil k aangan mai
AGAR! yeh sab teh nahi huwa tha tu
barso bad guzar jaane k bad bhi
meri wehshoton meri yaadon meri tanhiyon mai
sirf TUM hi TUM kyun hon?

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:45 AM
Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay
Main Nay Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay
Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana
Aisay Main Kahan Jao Gay Bersaath Bohot Hay
Wo Keh Nay Lagay Jana Mera Bohot Zarori Hay
Nhi Chahti Dil Toron Tera Per Majboree Hay
AGer Hoi Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena
Main Nay Kaha Hojao Chup Itni Kahi Baat Bohot Hay
Samajh Gaya Hon Sab Aur Kuch Kaho Zarori Nhi
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zarori Nhi
Phir KAbhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Lot Ke
Sari Zindagi Tanhayee Ke Liye Aaj Ki Raat Bohot Hay

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:45 AM
" SARAY MAUSAM TERE NAAM "

Surkh Ghulab kay Sarey Mausam Tere Naam
Har Subah Ka Pehla Ujaala Tere Naam

Teri Yaad ka Behta Darya Mere lye
Behti Jheel Mein Phool Kanwal Ka, Tere Naam

Jitne Khawab Khuda Ne Mere Naam likhe
Un Khawabon Ka Resha Resha, Tere Naam

Tere Bina Jo Umar Beeti, Beet Gaee
Aab Is Umar Ka Baqi Hissa Tere Naam ...

ShArArTi MuNdA
02-27-2009, 08:46 AM
Nayi Manzil Naye Raste Naya Hi Karwan Ho Ga
Na Houn Ge Hum Yahan Lakin Basa Phir Bhi Jahan Ho Ga

Koi Hum Se Bura Ho Ga Koi Hum Se Bhala Ho Ga
Bohat Hoon Ge Zamaney Mein Koi Hum Sa Kahan Ho Ga

Abhi Tu Bekhabar Hein Meri Hasti Se Jahan Waley
Mera Charcha Zamaney Mein Yaqeenan Kal Kalan Ho Ga

Kati Zeast Apni Aaj Tak Tu Imtihaanoun Mein
Khuda Janey Abhi Kab Tak Humara Imtihaan Ho Ga

Jo Rakhta Tha Yaqeen Hum Per Kabhi Imaan Ki Haad Tak
Khabar Kia Thi Woh Bhi Hum Se Aisa Bad Gumaan Ho Ga...!

-|A|-
02-27-2009, 03:51 PM
kOOl haaan ..!!

ShahTaJ
02-28-2009, 02:44 AM
very nice collection

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 03:24 AM
Thanks Stranger & Shahtaj jeeeee

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 07:49 AM
Hamesha dair kerdeta hon main...

Zaroori baat kerni ho, koi waada nibhana ho...

Ussey aawaz deni ho, ussey wapis bulana ho...

Hamesha dair kerdeta hon main...

Madad kerni ho uski, yaar ki dharas bandhani ho...

Buhat daireena raston per kissi se milney jana ho...

Hamesha dair kerdeta hon main...

Badaltey mausamon ki sair main dil ko lagana ho...

Kissi ko yaad rakhna ho, kissi ko bhool jana ho...

Hamesha dair kerdeta hon main...

Kissi ko maut se pehley kissi gham se bachana ho...

Haqeeqat or thi kuch uss ko jaa ker ye batana ho...

Hamesha dair kerdeta hon main...

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 07:49 AM
aaghaz to hota hai anjaam nahien hota ...
jab meri kahani mein wo naam nahien hota ...



jab zulf ki kaalik mein ghul jaaye koi rahi ...
bad-naam sahi lekin gum-naam nahien hota ...



hans hans ke jawan dil ke hum kion na chunein tukarrey ...
har shakhs ki qismat mein ina'am nahien hota ...



bahtey hoye aansu ne aankhon se kaha tham kar ...
jo mai se pighal jaye wo jaam nahien hota ...



din doobey hain ya Doobi baaraat liye kashti ...
sahil pe magar koi kohraam nahien hota ...

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 07:50 AM
zinda rahein to kya hai jo mar jaayein hum to kya...
duniya mein Khamoshii se guzar jaayein hum to kya...


hasti hi apni kya hai zamaney ke saamney...
ik khwaab hain jahan mein bikhar jaayein hum to kya...


ab kaun muntazir hai hamarey liye wahan...
shaam aa gai hai laut ke ghar jaayein hum to kya...


dil ki Khalish to saath rahegi tamaam umr...
dariya-e-gham ke paar utar jaayein hum to kya...

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 07:51 AM
Tuhmatai'n tou lagtee hai'n
Roshni ki khwahish mei'n
Ghar sai baher anay ki
Kuch saza tou milti hai

Loag, loag hotay hai'n
Oon ko kia khabar jana'n
Aap k irado'n ki

Khoobsoorat aankho'n mei'n
Basnay walay khwabo'n kai
Rang kaisay hotay hai'n
Dil ki goad aangan mei'n
Palnay wali bato'n kai
Zakhm kaisay hotay hai'n
Kitnay gehray hotay hai'n

Kab yeh soch saktay hai'n
Aisi bai gunah aankhai'n
Ghar k konay khudro'n mei'n
Chup k kitna roti hai'n

Phir bhi yeh kahani sai
Apni kaj bayani sai
Is qadar rawani sai
Dastaa'n sunatay hai'n

Or yaqeen ki aankhai'n
Sach kai gham zada'h dil sai
Lag kai ronay lagtee hain

Tum ko kia khabar jana'n
Tuhmatain tou lagtee hai'n

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 07:51 AM
Bila jawaz rakhen khud ko beqaraar bhi kiun
Jo tu nahee hai to phir tera intezaar bhi kiun

Akelepan ka safar jab mera muqaddar hai
To phir ai waada shikan teri rehguzaar bhi kiun

Usey ganwa ke raho ab khizaon ki zad mai
Jo wo nahee hai to phir mausam-e-bahar bhi kiun

Agar bhulaye huye usko aik umr hui
To phir yeh aaj tabiyet hai sogwaar bhi kiun

Wo jin labon pe yaqeene wafa mehek na sakey
Phir unke lams ki khahish ho aik baar bhi kiun

Jab usko shauq tha raston ki dhool honey ka
Palat ke dekhta jaata tha baar baar bhi kiun

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 07:52 AM
Dil tha k khush khyal tujhey dekh ker hoa...
Ye shehr-e-bai-misal tujhey dekh ker hoa...



Apney khilaf shehr k andhey hujoom main...
Dil ko buhat malaal tujhey dekh ker hoa...


Tool-e-shab-e-firaq teri khair ho k dil...
Aamada-e-wisaal tujhey dekh ker hoa...


Ye hum hi jaantey hain judai k morr per...
Iss dil ka jo bhi haal tujhey dekh ker hoa...


Aai na thi kabhi mere lafzon main roshni...
Aur mujhsey ye kamaal tujhey dekh ker hoa...


Bichrrey to jaisey zahen mua'ttal sa hogya...
Shehr-e-sukhan bahaal tujhey dekh ker hoa...


Phir log aagaye mera maazi kuraidney...
Phir mujhse ik sawaal tujhey dekh ker hoa...

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 07:53 AM
Hum nay soch rakha hai
chahey dil ki her khwahish
zindagi ki aankhon say ashk ban k
beh jayey
chahey ab makeenon per
ghar ki sari dewarein chat sameit gir jayein
aur be muqadar hum
is badan k malbay mei khud he kyon na dub jayen
TUM SAY KUCH NAHI KEHNA...
Kesi neend thi apni
kese khwab they apnay
aur ab gulabon per
neend wali aankhon per
naram kho say khwabon per
kyon azab totey hain
TUM SAY KUCH NAHI KEHNA...
ghir gayey hain raton mei
be libas baton mei
is tarhaan ki raaton mei
kub chiragh jaltey hain
kub azab tal-tey hain
ab to in azabon saay bach k bhi nikalney ka raasta nahi Jaanan
Jis tarhaan tumhain such k lazawal lamhon say waasta nahi Jaanan
hum nay soch rakha hai
TUM SAY KUCH NAHI KEHNA...

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 07:53 AM
Dhondnay jis mein zindagi nikli
Wohee us shakhs kee gali nikili

Teray lehjay mein tha nahee kia kuchh
Sirf such kee zara kami nikli

Woh jo legti thi kanch ki guriya
zZarb perhnay pe aahini nikli

us haveli mein shaam dhelnay per
her dereechay se roshni nikli

Woh hawa tu nehi thi lerki thi
Kis liye itni sirphri nikli

Woh teray asmaan ka kia kerti
Jis ki mitti se dosti nikli

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:11 AM
E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Mushkil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:11 AM
khusbo’on ki tarha meri har saans main
piyar apna basanay ka wada karo
ranng jitnay tumhari mohabbat kay hain
meray dil main sajanay ka wada karo

hai tumhari wafaon pay mujko yakeen
phir bhi dil chahta hai meray dil nasheen
yoonhi meri tasali ki khatir zara
mujko apna bananay ka wada karo

jab mohabbat ka iqrar kartay ho tum
dhadkanoon main naya rang bhartay ho tum
baarha kar chukay ho, magar aj phir
mujhko apna bananay ka wada karo

sirf lafzoon say iqrar hota nahi
ik janib say hi piyar hota nahi
main tumhain yaad rakhnay ki khaon qasam
tum mujko na bhulanay ka wada karo

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:12 AM
Barsoon Kay Intizaar Ka Anjaam Likh Dia
Kaaghaz Pay Shaam Kaat Kay Phir Shaam Likh Dia

Bikhri Pari Thi Toot Kay Kaliyaan Zameen Per
Tarteeb Day Kay Mein Nai Tera Naam Likh Dia

Aasan Nahi Thi Tark-E-Mohabbat Ki Dastaan
Jo Aansoon Nay Aakhr nakaam Likh Dia

Allah! Zindagi Say Kahan Tak Nibhaoon Mein
Kay Bewafa muhabat main Mera Naam Likh Dia

Taqseem Ho Rahi Thi Khudai Ki Naimatein
Ik Ishq Bach Gaya So Mere Naam Likh Dia

Kisi Ki Dain Hai Yeh Shairi Meri
Iski Ghazal Pay Jiss May Mera Naam Likh Dia

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:14 AM
Wohee Shaam Kohar Si Shaam Phir
Teray Naam Ho To Ghazal Kahain
Wohee Shaam Jis Ki Ragon Mein Thay
Tere Khaab Ankhon K Rat Jagay
Wohee Subha-E-Dhoop Ki Laali
Teray Aarizon Per Khilay To Phir
Rag-E-Jaan Se Nazm Kasheed Ho
Wohee Rang Ho Wohee Roshni
Wohee Khushbuon Ka Hajoom Ho
Wohee Ek Pal Tere Deed Ka
Jo Miley To Daar Ki Aut Mein
Sabhi Qehqahay Chhalak Uthein
Sar-E-Loh , Shaam-E-Firaaq Phir
Gham-E-Ishq Moj-E-Naveed Ho
Aey Sitara-E-Shab-E-Zindagi
Idher Aa K Jashn Ho Moatabar
Nazar Aa K Dhang Se Eid Ho

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:15 AM
Uski Aankhon Mein Mohabbat Ka Sitara Ho Ga
Ek Din Aayega Wo Shakhsh Hamara Ho Ga

Ye Achanak Jo Ujala Sa Hua Jata Hai
Dil Ne Chupke Se Tera Naam Pukara Ho Ga

Ishq Karna Hai To Din Raat Usse Sochna Hai
Aur Kuch Zehan Mein Aaya To Khasara Ho Ga

Jis Ke Hone Se Meri Saans Chala Karti Thi
Kis Tarah Uss K Bagair Apna Guzara Ho Ga

Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hi Loonga Uss Ko
Mere Maula Ka VASI Junhi Ishara Ho Ga

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:16 AM
Aitbaar Kar Ke Chout Ka Chuke Hain
Apne Bardhaastgi Ko Bahut Aazmaa Chuke Hain

Khud Ko Takleef Hui To Ehsaas Hua
Kitne Teer Doosro Per Chala Chuke Hain

Mere Dukh Ki Daastan Woh Sun Kar Bolay
Aap Yeh Qissa Pehle Bhi Suna Chuke Hain

Kal Tak Jo Mere Humsafar Te
Aaj Mera Naam Tak Bhula Chuke Hain

Ay Bewaffa! Bari Dair Kar Diiii
Aap Ke Mareez Jaan Se Ja Chuke Hain

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:16 AM
Aankhon Ko Ho Sakay To Zara Ashkbaar Rakh
Paiwastah Rah Shajar Se Ummeed-E-Bahar Rakh

Gham Se Jo Hai T-Alluq Usay Ustwaar Rakh
Rakhna Hi Hai Agar To Dil-E-Sogwaar Rakh

Sarchashma Terey Dil Main Muhabbat Ka Hai Agar
Sookhay Har Aik Hont Pe Aansoo Ki Dhaar Rakh

Aiy Maut Zindagi Ka Abhi Haath Main Hai Haath
Thamoonga Tera Haath Bhi, Tu Aitbaar Rakh

Dil Main Naheen Jo Ishq To Kaahe Ki Bandagi
Sajday Main Apnay Sar Ko Agarche Hazaar Rakh

Kaaba Agar Naheen To Isay Butkada Bana
Dil Main Khuda Ki Yad Ya Tasveer-e-Yar Rakh

Hamlay Shadeed Honge Anaa Ke Khatiib Phir
Qaaim Khudi Ke Gird Khuda Ka Hisaar Rakh

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:18 AM
Wo Waqt Mein Kesy Bholoon
Jo Sang Tumharey Guzra Hy
Wo Waqt To Merey Jiwan Mein
Ik Asha Bun Ky Thehra Hy
Jub Hasti Basti Dunya Mein
Do Praymi Pagal Rehty They
Gar Bichrey To Mer Jaein Gy
Ik Dujey Sy Wo Kehtey They
Per Waqt Para Or Bichrey To
Ik Bhol Gaya Sub Wadoon Ko
Orr Ik Ny Barh Ker Tham Liya
Sub Bholi Basri Yadoon Ko
Ik Nikla Aesa Herjai
Ky Orr Kisi Ka Bun Betha
Orr Duja Pagal Kehlaya
Ky Sudh Bujh Apni Kho Betha
Pagal Ka Ab Ye Haal Hy Kay
Ankhon Sy Ansoo Behty Hein
Pagal Ko Janna Chaho To
Pagal Ko "ALI" Kehtey Hein

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:18 AM
Kabi Tum Apni Mohabbat Ka Aitbaar To Do
Mai Chahoon Toot K Tum Ko Ye Ikhtiyaar To Do

Guzarti Hi Nahi Mujh Se Ye Zindagi Tanha
Sahara Pyaar Ka Deker Isey Guzaar To Do

Mai Sochti Hoon Tumhare Bagair Kya Hoga?
Dil-O-Dimaag Per Ek Bhoj Hai Utaar To Do

Mere Khayal Ki Raahon Ko Keh-Kishaan Kar Do
K Roshni Se Meri Zindagi Sanwaar To Do

Umeed-e-Wafa Ghum-E-Hijar Ka Muda’wa Hai
Mai Intizaar Karoon Magar Zabt-e-Intizaar To Do

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:19 AM
Din Guzar Gaya Aitbaar Mein
Raat Kat Gayee Intezaar Mein

Woh Maza Kahan Vasal-E-Yaar Mein
Lutf Jo Mila Intezaar Mein

Unki Ik Nazar Kaam Kar Gayee
Hosh Ab Kahan Hoshyaar Mein

Meray Kabzay Mein Kaaynaat Hain
Mein Hun Aapkay Ikhtayaar Mein

Aankh To Uthi Phool Ki Taraf
Dil Ulaj Gaya Husn-E-Khar Mein

Tujh Say Kya Kahein Kitnay Gham Sahey
Humnay Be-Wafa Teray Pyaar Mein

Fikr-Aashiyan Har Khizan Ki
Aashiyan Jala Har Bahaar Mein !

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:19 AM
Unke Karmo Ka Main Hoon Barson Se Muntazar
Ho Gaya Ye Karam Mujh Pe, Aitbaar Nahi Raha

Awaz De Raha Hoon Patharon Ke Seher Main
Tha Woh Bhi Kabhi Khuda, Aitbaar Nahi Raha

Takaraoge Sir Patharon Se, To Aur Kya Hoga
Nikal Aayega Lahoo Bhi, Aitbaar Nahi Raha

Barson Se Sambhal Rakh Tha Iss Dil Ko Maine
Abb Uss Per Bhi Mujhko, Aitbaar Nahi Raha

Ho Gaye The Hum Unn Julfon Ke Aaseer
Wahi Julf Banegi Nagin, Aitbaar Nahi Raha

Khaaye Fhareb Itne, Wafa-E-Beemar Nahi Raha
Abb Hume Khud Pe Hi, Aitbaar Nahi Raha

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:20 AM
Meri Dharkanun Ki Kitab Main
Meri Chahatun K Hisaab Main
Wo Jo Roshni Sa Tha Humsafar
Wo Jo Chand Sa Shaks Tha
Meri Dharkanun Main Shareek Tha
Wo Jo Chal Raha Tha Door Tak
Mera Hath Tham K Hath Main
Wo Janay Kaisy Chala Gaya
Mujy Khuwab O Wisal Main Chor Kar
Magar Aj Bhe Hy Basa Hoa
Mery Dil Ki Band Kitab Main

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:20 AM
Janay Walun Se Pyar Mat Karna
Ab Mera Intezar Mat Karna
Mudatoon Baad Muskuraya Hun
Ab Mujhe Soogawar Mat Karna
Jo Bazahir Dehayi De Khamosh
Aisay Darya Ko Paar Mat Karna
Meri Janib Nikalnay Wala Koi
Rasta Ab Ihtiyar Mat Karna
Beyaqeeni Mein Mubtala Hun Main
Ab Mera Aitbaar Mat Karna

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:21 AM
Tere Firaaq K Lamhe Shumar Karte Hoye
Bikhar Gaye Hain Tera Intizaar Karte Hoye

To Mai B Khush Hoon Koi Us Se Ja K Keh De
Agar Wo Khush Hai Mujhe Be-Qarar Karte Hoye

Mai Muskurata Hua Aaine Mai Ubhrunga
Wo Ro Parega Achanak Singhaar Karte Hoye

Tujhe Khabar Hi Nahi Toot Gaya Hai Koi
Mohabbat Ko Boht Paaidar Karte Hoye

Wo Keh Rahi Thi Samandar Nahin Hai Aankhon Mai
Mai Un Mai Doob Gaya Aitbaar Karte Hoye

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:23 AM
Ek Bewafa Pe Mein Ne Aatibar Kiyo Kiya
Sochta Hun K Chahat Ka Iqrar Kiyo Kiya

Chor Kar Tanha Jane Wale Ye To Batata Ja Hum Ko
Mujh Ko In Rahon Pe La Kar Itna Bey Qarar Kiyo Kiya

Mein Kitna Magan Tha Apni Dastoor-E-Zindagi Mein
Tu Ne Ghaiyal Kar K Mujhe Apna Talab Gar Kiyo Kiya

Pehle Pehal To Mujh Pe Jaan Nichawar Karte Thay
Ab Mujh Ko Begana Keh Kar Jeena Dushwar Kiyo Kiya

Haseen Kitne Thay Wo Lamhe Mohabbat K Pal Mein Jo Kho Gaye
Aaise Chor Kar Jana Tha To Izhar Kiyo Kiya

Dolat Pe Mar Gaye Tum Hum Ko Aajnabi Kehne Wale
Ujaar Kar Mera Gulshan Kehte Ho Tu Ne Pyar Kiyo Kiya

Aab Aakhri Hai Saans Dum Nikalne Ko Hai
Tu Bhi Lot Kar Na Aaya Hum Ne Intezar Kiyo Kiya

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:23 AM
Kasmein Na Khao Tum K Humein Aitbaar Hai
Hum Jantay Hain Khoob Tumhain Hum Se Piyaar Hai

Ek Pal Ko Bhi Sakoon Muyasir Nahi Mujhay
Dil Badhawas Hai Tow Nazar Bayqaraar Hai

Woh Baat Jo Kissi Se Kahi Bhi Nahi Kabhie
Woh Baat Kuch Dinoon Se Meray Dil Pe Baar Hai

Sach K Siwa Zubaan Se Kabhie Kuch Nahi Kaha
Shayad Issi Liye Tow Muqaddar Main Daar Hai

Usman Uss Se Haal E Ghum Dil Main Kiya Kahon
Yeh Baat Bhi Tow Uss Ko Bohat Nagawaar Hai

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:24 AM
Tum Chupkay Say Aa Jatay Ho
Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon, Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho
Aur Jhaank Kay Meri Aankhoun Mein Beetay Dinn Yaad Dilatey Ho
Mastaana Hawa Kay Jhonkoun Se Har Baar Woh Pardey Ka Hilna
Pardey Ko Pakadney Ki Dhunn Mein Do Ajnabi Haatoun Ka Milna
Aankhoun Mein Dhonya Sa Chaa Jaana Saasoun Mein Sitarey Se Khilna
Rastey Mein Tumhara Murd Murd Kar Takna Woh Mujhe Jaatey Jaatey
Aur Mera Thitak Kar Ruk Jaana, Chilman Kay Kareeb Aatey Aatey
Nazroun Ka Taras Kar Reh Jaana, Ek Aur Jhalak Paatey Paatey
Baaloun Ko Sukhaney Ki Khatir, Kothey Pe Woh Mera Aa Jaana
Aur Tum Ko Muqabil Paatey Hi Kuch Sharmaana, Kuch Bal Khaana
Humsayoun Kay Darr Se Katraana, Ghar Waloun Kay Darr Se Ghabrana
Ro Ro Kay Tumhein Khat Likhti Hoon, Aur Khud Pardh Kar Ro Lati Hoon
Halaat Kay Taptey Toufaan Mein Jazbaat Ki Kashti Khayti Hoon
Kaisey Ho, Kahaan Ho, Kuch Tou Kaho, Mein Tum Ko Sadayien Deyti Hoon
Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon, Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho
Aur Jhaank Kay Meri Aankhoun Mein Beetay Dinn Yaad Dilatey

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:34 AM
Chori Se Woh Chupke Se, Aankhon Mein Samaaya Hai
Khwabon Mein Bhi Aa Aa Kar, Neendon Ko Churaya Hai

Aangan Mein Yeh Khushbu Ka, Jhonka Sa Jo Aaya Hai
Woh Aane Hi Wala Hai, Mausam Ne Bataya Hai

Tasveer Bani Baithi, Suntii Hi Chali Jaoon
Us Shokh Ki Baaton Ne, Jaadoo Sa Jagaya Hai

Khamosh They Ham Phir Bhi, Kuchh Shor Huaa Aisaa
Dil Mein Tiri Yaadon Ne Ik Hashr Uthaya Hai

Lo Aaj Isharon Mein Woh Keh Hi Gaya Aakhir
‘Main Ne Bhi Tujhe Apne Sapnon Mein Sajaaya Hai

Raston Ko Gulon Se To Sab Log Sajaate Hen
Hum Ne Teri Raahon Mein Dil Apna Bichhaaya Hai

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:35 AM
Apnay Ehsaas Say Choo Kay Mujhay Sandal Kar Do
Main Kay Sadiyon Say Adhoora Hoon Mujhay Mukkammal Kar Doh
Na Tumhay Hosh Rahay Na Mujhay Hosh Rahe
Iss Qadar Toot Kay Chaho Mujhay Pagal Kar Do
Tum Hatheli Ko Meray Pyar Ki Mahndi Say Rango
Apni Aankhon Mein Meray Naam Ka Kajal Kar Do
Is Ke Saye Tallay Mere Khwaab Dhakk Uthain Ge
Mere Chehray Pe Chamkta Hua Anchal Kar Doh
Dhoop he Dhoop Hoon Main Toot Ke Barso Mujh Per
Is Kader Barso Merii Rooh Main Jal Thal Kar Doh
Jaise Sehrahoon Main Her Shaam Hawa Chalti Hai
Is Tarah Mujh Main challo Aur Mujhe Thall Kar Doh
Tum Chuppa Lo Mera Dil Oat Main Apne Dil Ki
Aur Mujhe Meri Nighaoon Se Bhi Ojhall Kar Doh
Maslaa Hoon Toh Nighain Na Churao Mujh Se
Apni Chahat Se Tawajjah Se Mujhe Hall Kar Doh

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:35 AM
Dukh Dard Kay Maroon Say Mera Zikar Na Karna
Ghar Jaon To Yaroon Say Mera Zikar Na Karna

Woh Zabt Na Kar Paen Gay Ankho Kay Samander
Tum Rah Guzaroon Say Mera Zikar Na Karna

Pholon Kay Nashaiman May Raha Hoon May Sada Say
Daikho Kabhi Kharon Say Mera Zikar Na Karna

Woh Meray Hal May Bay Sakhta Na Ro Dain
Is Bar Bharoon Say Mera Zikar Na Karna

Shayad Yai Andhaira Hi Mujhay Rah Dikhay
Tum Chand Sitaroon Say Mera Zikar Na Karna

Kaheen Woh Meri Kahani Ko Ghalt Rang Na Dai Dain
Afsana Nigaroon Say Mera Zikar Na Karna

Gehrahi May Layjain Gay Tum Ko Bhi Baha Ker
Darya Kay Kinaroon Say Mera Zikar Na Karna

Woh Shaks Melay To Usay Her Bat Batana
Tum Sirf Isharoon Say Mera Zikar Na Karna

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:36 AM
Dayar-E-Gair Mein Kaise Tujhe Sada Dete
Tu Mil Bhi Jata To Tujhe Ganwa Dete

Tumhin Ne Ham Ko Sunaya Na Apna Dukh Warna
Dua Wo Karte K Ham Asman Hila Dete

Hamein Ye Zom Raha Ab K Wo Pukarenge
Unhen Ye Zid Thi K Har Bar Ham Sada Dete

Wo Tera Gam Tha K Tasir Mere Lahje Ki
K Jis Ko Hal Sunate Use Rula Dete

Tumhen Bhulna Hi Awwal To Dastaras Mein Nahin
Jo Ikhtiyar Bhi Hota To Kya Bhula Dete

Tumhari Yad Ne Koi Jawab Hi Na Diya
Mere Khayal K Ansu Rahe Sada Dete

Samton Ko Main Ta-Umr Kosta Syed
Wo Kuch Na Kahte Magar Honth To Hila Dete

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:36 AM
Kis Qadar Zulm Dhaya Kertey Ho
Yeh Jo Tum Bhool Jaya Kerte Ho

Kis Ka Ab Haath Rakh Ke Seene Per
Dil Ki Dhadhkan Sunaya Kerte Ho

Hum Jahan Chaye Peene Jate Thay
Kia Wahan Ab Bhi Aaya Kerte Ho

Kon Hai Ab Ke Jis Ke Chehre Per
Apni Palkon Ka Saaya Kerte Ho

Kiun Mere Dil Mai Rakh Nahee Dete
Kis Liye Gham Uthaya Kerte Ho

Phone Per Geet Jo Sunate Thay
Ab Wo Kis Ko Sunaya Kerte Ho

Akhiri Khat Mai Usney Likha Tha
Tum Mujhe Yaad Aaya Kerte Ho

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:37 AM
Kitni Azziyat Say Uss Ne Mujh Ko Bhulaaya Hoga
Meri Yadoon Ne Ussay Khoob Rulaaya Hoga

Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chhalkee Hogi
Uss Ne Chehre Ko Baazuon Main Chupaaya Hoga

Socha Ho Ga Uss Ne Din Main Kaee Baar Mujhay
Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaaya Hoga

Jahan Uss Nay Mera Zikkr Suna Hoga Kisi Say
Uss Ki Aankhon Main Koi Aansoo Tou Aaya Hoga

Raat Ke Bheetnay Tak Neend Na Aai Hogi Tujhay
Tunay Takkiye Ko Bhi Seenay Se Lagaaya Hoga

Hokay Nidhaal Meri Yadoon Se Tunay Jaana
Meri Tasveer Pe Sar Apna Tikaaya Hoga

Poocha Hoga Jo Kisi Ne Tere Halaat Ka Sabbab
Tunay Baaton Main Khoob Uss Se Chupaaya Hoga

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:37 AM
Woh Samnee Aayee To Nazroon Ko Jhukaa Lon Ga
Dekhon Ga Nahee Phir Bhi Tasveer Bana Loon Ga

Aana Hai To Aajao Ruswayee Nahee Ho Giii
Dekhee Ga Nahee Koi Palkon Men Chupaa Lon Ga

Jo Hum Per Guzarni Hai Aik Baar Guzer Jayeee
Her Ghum Ki Tarha Tugh Ko Seene Se Laga Loon Ga

Veeran Ger Dil Ho Aankhon Men Andheera Ho
Yaadon Ke Dyiee Apni Palkon Men Saja Lon Ga

Manzoor Ger Ho Gi Ruswai Teri Mugh Ko
Men Beth Sahil Se Tofan Uthaa Lon Ga

Naraaz Ger Woh Hain Meree Nasheman Se
Men Nasheman Ke Tinkoon Ko Hata Doon Ga

Kyoun Mugh Se Khafaa Ho Ker Woh Door Gayee
Bahoon Men Woh Aajayeen Men Un Ko Mana Loon Ga

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:39 AM
Jab Naam Tera Pyar Se Likhti Hain Ungliyaan
Meri Taraf Zamanay Ki Uthti Hain Ungliyaan

Daaman Sanam Ka Haath Main Aya Tha Aik Pall
Din Raat Us Aik Pall Se Mehekti Hain Ungliyaan

Jis Din Se Duur Ho Gaye Us Din Se He Sanam
Bas Din Tumharay Aanay Kay Ginti Hain Ungliyaan

Pathar Taraash Kar Na Bana Taaj Ek Naya
Fankaar Ki Zamanay Main Kat’ti Hain Ungliyaan

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:39 AM
Khafa Is Maan Pay Hoti Hoon
Kay Tu Mujko Mna Layga
Mujy Tnha Na Chory Ga
Mujy Muj Say Chura Layga
Kay In Pyar Kay Shireen Qisson May Roothna To Chlta Hai
Or Manana B Parta Hai
To Mairy Majnu
Mairy Farhad
Mairy Punnu
Mairy Mahinwal
Kabhi Wo Waqt Aay Ke
Ye Teri Shirheen
Teri Lela
Teri Sasi
Teri Soni
Tujh Say Rooth Bhi Jaay
To Isay Kabhi Tanha Nahi Karna
Khud Say Kabhi Juda Nahi Karna
Judai Say Kabi Iska
Tum Soda Nahi Karna
Zamany May Kabhi Isko
Tum Ruswa Nahi Karna
Bus Iska Maan Rakh Lena
Or Itna Sa Karam Karnaa
K Zanjir-e-Ana Ko Torr Kr
Dheema Sa Muskura Dena
Or
Faqt Itna Sa Soch Kar
Mairy Paas Cahlay Ana
K Ye
Khafa Is Maan Pay Hoti Hai
K Mai Us Ko Mna Loonga
Kabhi Tanha Na Choron Ga
Isay Is Say Chura Loonga…

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:40 AM
Ab To Kisi Bhi Baat Pay, Aitbaar Nahi Hota
Hote Hain Bass Samjhote Dilon Ke, Koi Pyar Nahi Hota

Kitna Bhi Samjha Leinn Hum, Iss Dil-E-Nadaan Ko
Ek Qatra Kabhi, Koi Saagar Nahi Hota

Dil Mein Liye Hasrat Kisi Ki Ye Umar Guzar Jaati Hai
Ke Taqdeer Pay Kisi Ki Apni, Ikhtiyaar Nahi Hota

Lagte Hain Jo Pal Suhane, Wo Hain Mere Bas Khaabon Ke
Haqeeqat Mein Kabhi Khushi Ka, Deedar Nahi Hota

Dhal Jaate Hain Ye Ashk, Ek Aur Gham Ki Raah Liye
Inn Honthon Ko Ab Kisi Hansi Ka, Intezaar Nahi Hota

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:41 AM
Thi Jisse Roshni Wo Diya Bhi Nahi Raha
Ab Dilko Aitbaar-E-Hawa Bhi Nahi Raha

Nafrat Si Ho Gai Hai, Muhabat K Naam Se
Ab Tairi Chahton Ka Bhi Sadma Nahi Raha

Tu Bujh Gaya To Hum Bhi Farozaan Na Reh Sake
Tu Kho Gaya To Apna Pata Bhi Nahi Raha

Kuch Hum Bhi Tere Baad Zamane Se Kat Gaye
Kuch Rab-O-Zabt Khuda Se Bhi Nahi Raha

Goya Hamara Haq Se Sitam Dar Sitam Hua
Harf-E-Dua Bhi Dast-E-Dua Bhi Nahi Raha

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:42 AM
Suna Hai Log Use Aank Bhar Ke Dakte Hein
So Us Ke Shehar Mein Kuch Din Tehar Ke Dakte Hein

Suna Hai Dard Ki Gahak Hai Chashme Naaz Uski
So Hum B Us Ki Gali Se Guzar Ke Dakte Hein

Suna Hai Usko B Hai Sher-O-Shayari Se Sharaf
So Hum Mojzay Apne Hunar Ke Dakte Hein

Suna Hai Bolay To Baaton Se Phol Jarte Hein
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dakte Hein

Suna Raat Ko Use Chand Takta Rehta Hai
Sitare Baam-E-Falak Se Utar Ke Dakte Hein

Suna Hai Din Ko Use Titliyan Satati Hai
Suna Hai Raat Ko Jugno Tehar Ke Dakte Hein

Suna Hai Uski Siah Chashmagi Qayamat Hai
So Usko Sorma Farosh Aah Bhar Ke Dakte Hein

Suna Hai Ayena Thamsal Hai Jabin Uski
Jo Saada Dil Hein Use Bansawar Ke Dakte Hein

Suna Hai Uski Badan Ki Tarash A C Hai
Ke Phool Apne Qabahe Qatar Ke Dakte Hein

Ruke To Gardeshe Uska Tawaf Karti Hain
Chale To Ose Zamane Tehar Ke Dakte Hein

Kise Naseeb Ke Bepairahan Ose Dakhe
Kabhi Kabhie Daro Deewar Ghar Ke Dakte Hein

Kahaniyan He Sahi Sub Mubaalge He Sahi
Agar Wo Khuwaab Hai To Tabeer Kar Ke Dakte Hein

Ab Us Ke Shehar Mein Tehre Ke Khooj Kar Jae
FARAZ Aao Sitaare Safar Ke Dakte Hein

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:42 AM
Main Kahoon Na Kahon Ye Aakhian Bata Deti Hain
Gham-E-Dil Ye Tammam Mehfil Ko Suna Deti Hain

Ho Jati Hian, Teri Yad Main Hum, Youn Aksar
Sookhay Hoye Takya Ko Bhi Bhiga Deti Hain

Jiss Nay Bhi Yahan Isiq Kiya Uss Nay Jana
Boolti Khamooshiyan Ye Apnay Main Sama Layti Hain

Youn Tou Nam Leva Isiq Kay Hian Yahan Per Be-Had
Nibhaya Isay, Woh Hi Janay, Ye Kitna Maza Deti Hain

Ye Imtehan Deti Hian Rat-E-Hijr Main Muhabbt Ka
Sooch Hi Sooch Main Ek Darya Baha Deti Hain

Lakh Chaho Gar Tum Chupana Dunya Say, Lali Inn Ki
Daga Baz Hain Ye, Fasana-E-Dard Poray Aalm Ko Bata Deti Hain

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:43 AM
Meri Ankhoon Mein Basay Ho Tum
Ek Dua Ban Kar
Tumhein Zindagi Bhar Yunhi Chahoongi
Aitbaar Karo
Mere Hathoon Par Likha Hai Tumhara Naam
Chahat Kai Rangoon Nai
Isai Dharkan Mein Basaoongi
Aitbaar Karo
Meri Har Soch Mein Shamil Hai Khayal Tumhara
Isai Sansoon Mein Rachaongi
Aitbaar Karo
Yun To Har Pal Tum Rehtay Ho Mere Hi Sath Humdum
Tumhein Saibaaan Mein Banaoongi
Aitbaar Karo
Hai Laboon Par Mere Jo Naam Tumhara Hai
Tumhein Apna Mein Banaoongi
Aitbaar Karo
Hain Kathin Rah-E-Wafa Janaa To Kya Hota Hai
Dil Jala Kar Mein Nibhaoongi
Aitbaar Karo
Mujhe Tumse Hai Mohabbat Tumhein Khabar Hai Yeh
Mein Isai Zindagi Mein Laoongi
Aitbaar Karo
Tumhara Hi Chehra Basa Hai Meri In Ankhoon Mein
Tumhein Tabeer Banaoongi
Aitbaar Karo
Tumhein Pakar Ho Jai Gi Sehal Zindagi Meri
Yehi Dua Bus Mangoongi
Aitbaar Karo
Kabhi Khawaboon Mein Kabhi Khayaloon Mein
Kehti Hoon Tumse Yehi
Mein Zindagi Tum Sang Sajaoongi
Aitbaar Karo

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:43 AM
Us Ney Kaha Mujh Sey Kitna Piyar Hai
Main Ney Kaha Sitaron Ka Jitna Shumar Hai

Us Ney Kaha K Kon Tumhin Hai Bohat Aziz ?
Main Ney Kaha, Dil Pey Jis Ka Ikhtiyar Hai

Us Ney Kaha Kon Sa Tofah Tumhin Main Doon
Main Ne Kaha Wohi Shaam Jo Abhi Tak Udhar Hai

Us Ney Kaha Khizan Main Mulaqat Ka Jawaz
Main Ney Kaha, Qurb Ka Matlab Bahar Hai

Us Ney Kaha Senkron Gham Zindagi Main Hain
Main Ney Kaha Gham Nahin, Jab Ghamgasar Saath Hai

Us Ney Kaha Saath Kahan Tak Nibhao Gey?
Main Ney Kaha Jitni Yeh Saans Ki Taar Hai

Us Ney Kaha Mujh Ko Yaqeen Aaye Kiss Tarah
Main Ney Kaha, Naam Mera Aetbaar Hai!!!

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:44 AM
Main Hoon Aur Mere Saath
Sirf Meri Tanhai Hai
Pehle Saaya Toh Tha Mere Saath
Aaj Kal Woh Bhi Harjaai Hai
Aaj Phir Aansuon Ki Baarish Hai
Aaj Phir Yaad Unki Aayi Hai
Jaanta Hun Kahin Nahi Hai Woh
Dil Ko Shak Hai Yaheen Kahin Hai Woh
Kaash Yeh Mera Dil Sanbhal Jaaye
Yeh Haseen Wahem Bhi Nikal Jaaye
Ek Dilkash Haseen Chehra Tha
Aks Aankhon Me Uska Gehra Tha
Roz Milte The Baat Hoti Thi
Har Jageh Mere Saath Hoti Thi
Haath Me Haath Apne Hote The
Chaand Taare Bhi Saath Hote The
Kya Samaan Khoob Woh Bhi Hota Tha
Dil Hamara Kahin Jo Khota Tha
Apni Duniya Ajeeb Hoti Thi
Maano Jannat Kareeb Hoti Thi
Ek Dooje Ki Aankhon Me Aankhen
Aankhon Aankhon Mein Pyar Ki Baaten
Zulf Se Khelti Machalti Woh
Bahke Andaaz Se Sanbhalti Woh
Aaj Har Oos Haseen Lamhe Ki
Har Kali Phir Se Muskurai Hai
Main Hoon Aur Mere Saath
Sirf Meri Tanhai Hai…
Sirf Meri Tanhai Hai…

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 08:44 AM
Shaam Rangeen Apni Hoti Thi
Jab Woh Mera Naseeb Hoti Thi

Mast Jhonke Saba Ke Hote The
Chaandni Bhi Kareeb Hoti Thi

Chaand Taaron Ki Bheed Me Khokar
Kaifiyat Ek Ajeeb Hoti Thi

Raat Deepawali Se Kam Na Thi
Din Hamare Bhi Eid Hoti Thi

Husn Aur Ishq Ki Adawat Mein
Na Koi Haar Na Hi Jeet Hoti Thi

Door Hote Toh Band Aankhon Se
Ek Dooje Ki Deed Hoti Thi

Quais-O-Laila Se Hum Mamasil The
Aisi Chaahat Ki Reet Hoti Thi

Jiski Hasti Hamari Jannat Thi
Mah-e-Rukh Ek Haseen Hoti Thi

momal ali
02-28-2009, 10:25 AM
very nyc collectopn sm jee really awsum ...

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 10:28 AM
very nyc collectopn sm jee really awsum ...

pasand kerney ka shukriya mahum jee

Nida-H
02-28-2009, 02:20 PM
very nice collection..

!«╬Ĵamil Malik╬«!
02-28-2009, 07:31 PM
nce brthr

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 11:15 PM
very nice collection..

Thanks ruby

ShArArTi MuNdA
02-28-2009, 11:16 PM
nce brthr

Thanks bro

safa
03-01-2009, 05:05 PM
very nice

ShahTaJ
03-03-2009, 03:17 AM
very nice collection

ShArArTi MuNdA
03-03-2009, 03:19 AM
very nice

Thanks Safa

ShArArTi MuNdA
03-03-2009, 03:22 AM
very nice collection

ahan.. thanks

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 07:49 AM
use anjan rastoon se guzar jane ki khawish thee
muhabat main amer honey, mit jane ki khawish thee
wo kehta tha jeewan tergi hai
or
humain is tergi main rang bherne hain roshni ke
or
hum ko mukhtsir se chund lamhe jo muyaser hain
ye muhabat se lamhe abad kerne hain
kisi ko door se dekhna or kisi se baat kerni hai
jahan ye din guzar jaye waheen ye raat kerne hai
wo kehta tha muhabat ka koi musam nahi hota
ye her musam ka jazba hai jo kabhi kam nahi hota
adhoori se muhabat ki humain takmeel kerne hai
muhabat ko ney dhab se basar ker jane ki khawish
use shab bher jagatee thee
ne jane kon see chahat use shab bher statee thee
shanasa tha per her ik se anjan rehta tha
buhat abad tha lakin buhat weran rehta tha
use her shaks ko hairan ker jane ki khawish thee
muhabat main amer ho jane,mer jane ki khawish thee

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 07:49 AM
KUCH DAIR HUMARE SAATH RAHO

Kuch dair humare saath raho
Kuch apne rung bikharne do
Kuch apni khushboo bikhraaoo
Aur shiree shabnumi lahje main koinarm mulayum baat karo
Jis lamhe main mojood hain hum,ye lamha mooj hai sagar ki
Tum is lamhe k saath baho
Kuch dair humare saath raho

Tareekh k jabr ki baat hi kiya
Hum dono ki ooqaat hi kiya
Kuch roop ka sona daan karo,
khairaat apni muskaan karo
Hum jaise shayar logo ka jeena marna aasan karo
Sandal si bahain phailaoo,kuch nazmain
ghazalain de jao
Jo shayad baqi rah jayain
Phir do saal k baad koi naqaash fun - e - kamal karde
Pni har pour raqm kar de
Aur raaj kataas k pathar par
Ek lok riwaayat nuqsh karain
Hum dono ko tamseel kare,aaina aks ba aks kare
Jis aks pe khushboo lahraye,jis nuqsh pe titli ruqs kare
Phir aik hazaar burs guzrain,phir chaar hazaar burs guzrain
Phir asaar shanasi k maahir is daur ki jub takhleeq karain
Is rusm-ul-khut ko pahchane us lamhe ki tasdeeq karain
Ye lamha qayem dayem ho
Us lamhe ki sab ko milta us aahud k shayar tak pohunche
Ye qisaa aakhir tak pohunche
Kuch dair humare saath raho
Koi kiya jane lamha bhar mai, ye lamha humare saath na ho
Kuch humare saath raho

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 07:50 AM
USAY JANAY KI JULDI THI

Usay janay ki juldi thi
Mujhe us ne bataya tha
Mohabbat karne wale pyar main dhoka nahi karte
Jub koi baat karta ho usay toka nahi karte
Jisay janay ki juldi ho usay roka nahi karte
Unhi batoon batoon main
Mujhe ab yaad aya hai
Usay janay ki juldi thi

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 07:51 AM
Mere saath tum bhi dua karo
yun kisi ke haq me bura na ho
kahin aur ho na ye haadsa
koi raaste me juda na ho

Sare shaam thehri hui zami
jahan aasma hai jhuka hua
usi mod pe mere waaste
woh chiragh leke khada na ho

Meri chhat se raat ki sej tak
koi ansuon ki lakeer hai
zara badh ke chand se puchhna
woh isi taraf se gaya na ho

Woh farishte aap talash karen
kahaniyon ki kitaab me
jo bura kahen na bura sune
koi shakhs unse khafa na ho

Woh firaq ho ke wisaal ho
teri aag mehekegi ek din
woh gulaab ban ke khilega kya
jo chiragh ban ke jala na ho

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 07:54 AM
Koi aasa shakhs howa karay …
Jo maray leay hee saaja karayy
na Shekayateen na gila karay..
Koi aasa shaks howa karay …

Khabi rooy jay bay Panah
Khabi bay panah uddass ho
Khabi chupakay chupakay ,Daabay Qadam
Maray peechay aa kar Hansa karay
Koi aasa shakhs howa karay …

Main bari mushkil safar main hooon
Mari wapsi ki dua karay…
Koi aasa shakhs howa karay …
Jo maray leay hee saaja karayy

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 07:54 AM
Main Mohabbat Houn

Main saahil pai likhi hoee ibaarat nahi

Jo lehron se mit jaati hay

Main baarish ki barasti boond nahi

Jo baras ker tham jaati hay

Main khwab nahi

Jisai dekha aur bhula dya

Main shama nahi

Jisey phoonka aur bujha dya

Main hawa ka jhonka nahi

Jo aaya aur guzar gaya

Main chand bhi nahi

Jo raat k baad dhal jaye

Main to woh ahsaas hoon

Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay

Main to woh rang hoon

Jo teray dil pay charay tuo kabhi na mitay

Main woh geet hoon

Jo teray labon se juda na hoga

Khwab,ibaarat,hawa ki tarah

Chand,boond,shama ki tarah

Meray mitnay ka sawaal nahi

Kyun k Main Tou Mohabbat Houn

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 07:55 AM
Tum Bin!!!

Aaj Kuch Kami see
Hai Tum Bin,

Na Rang Na Roshni Hai
Tum Bin,

Waqt Apni Raftaar Se
Chal raha hai,

Bes Dharkan Thami see he
Tum Bin,

Na Barish hai Na Dhowaan,

Phir Bhi Dil mein tapish Si Hai
Tum Bin,

Bohat Roka Hai Baadal
Ko Barasne Se,

PHIR BHEE ANKHON MEIN
NAMEE SEE HAI TUM BIN………..

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 07:56 AM
Yeh jo deewanay se do-chaar nazar aatay hain

Inn mein se kuch sahib-e-israar nazar aatay hain

Teri Mehfil ka bharam rakhtay hain so jatay hain

Warna yeh log to bedaar nazar aatay hain

Merey daamin mein shararon k siwa kuch b nahi

Aap phoolon k khareedar nazar aatay hain

Door tak koi sitara hai na koi jugnoo

Marg-e-umeed k aasaar nazar aatay hain

Kal jinhen choo nahi sakti thi farishton ki nazar

Aaj woh ronaq-e-bazaar nazar aatay hain

Hashr mein kon gawaahi meri de ga ALI

Sab tumharay hi tarafdaar nazar aatay hain

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 07:58 AM
wo har rooz yehi Zid karty hay
Pia bandh lo preet k bandhan may

muje kar lo hayal apni bahoon may
jo tootay se na tootnay paye
pia bandh lo asay bandhan may

tere wajood k mehaktay Sandal se
ik wajood ho naye Ehsaas ka
Pia bandh lo asay bandhan may

mere hontoon per tera saroor rahay
muje payar karnay pe tu Majboor rahy
Pia bandh lo asay bandhan may

Muje choo kar tum Ehsaan karo
Apnay sare armaan tamam karo
Pia bandh lo asay bandhan may
Pia bandh lo asay bandhan may

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 07:59 AM
Mujhe aawaz de lena
Kabhi jab ankh chalkay to
Kabhi jab dil na sambhlay to

Mujhe aawaz de lena

Kabhi jab door ho koi
Bohat majboor ho koi
Koi aawaz na de to

Mujhe aawaz de lena

Koi ansoo na ponchay to
Koi hansnay se rokay to
Koi tum ko sataye to

Mujhe aawaz de lena

Kabhi jab din na guzray to
Kabhi jab raat tarpaye to
Kabhi din main andhera ho

Mujhe aawaz de lena

Main tere pass hota hoon
Main tere sath rehta hoon
Magar phir bhi guzarish hai

Mujhe aawaz de lena

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 07:59 AM
Aankh sey barsey, to barsaat na qaaboo aaye
tum ney bakhshey they jo sadmaat, na qaaboo aaye

ham ney mar mar ke guzaarey hain judaayi main terii
ye sulagtey hoye din raat na qaaboo aaye

aaina TooT key jese ho zameeN par bikhra
aese bikhrii hai mrii zaat na qaaboo aaye

go keh muThii main raheeN waqt ki saarkash ghariyaan
par trey wasl key lamhaat na qaaboo aaye

Ranj main chhor gaya saath mra saaya bhi
aesey bigrey mrey haalaat… na qaaboo aaye

ham ney chaaha tha tumhaiN bhool key jee lein lekin
is dil-e-wehshii ke jazbaat na qaaboo aaye

aik sey aik naya dard miley hain humko
yeh muqaddar ki mudaraat na qaaboo aaye

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:00 AM
Mujhe Tum Yaad Aatay Ho ….


Muqaddar k sitaron per,

Zamanon k ishaaron per,

Udaasi k kinaron per,

Kabhi veeran sheron mein,

Kabhi sunsaan raahon per,

Kabhi hairaan aankhon mein,

Kabhi beejan lamhon mein,

Tumhari yaad chupke se koi Sarghosi karti hai,

Ye palkein bheeg jati hain,

Main palkon ko jhukati hon,

bazahir muskurati hon,

Faqt itna hi kehtii hon….

Mujhe kitna satatey ho..

Mujhe tum yaad aatay ho ….

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:05 AM
Phir Chand Nikla Phir Raat Thami
Phir Dil nay kaha Bus Teri Kami
~~~~~~~~
Phir Yad ka jhonke mehek gaye
Phir Pagal Arma Behek Gae……
Phir Dil ne kaha bas teri Kami
~~~~~~~~~
Phir Guzre lamho ki bate
Phir jagi jagi si raate
Phir Theher gai palko pe nami
Phir Dil na kaha bus tari kami

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:06 AM
aa .. ke wabasta hain ! ,us husn ki yadain tujse
jis ne is dil ko Paari_Khana bana rakha tha …..!!!!
jis ki ulfat me bhula rakhi thi duniya hum ne,
deer ko daher ka afsana bana rakha tha ….!!!!
Aashna hain tery qadmo se wo rahain jin per
us madhosh jawani ne eenayat ki hay..!!!
kaarwa guzray hain jin se usi raanaai ke,
jis ki ankhoo ne bee_sood eebadat ki hay ….!!!!
tujse khaeeli hain wo mehbob hawain jin me
us ke maal_boos ki afsurda mehak baki hay ….!!!!
Tujh per bhi barsa hay us baam se mehtaab ka noor
jis me beeti hoi raato ki kaasak baki hay ….!!!!
Tu ne dekhi hay,
wo peeshani..wo rukhsaar ..wo hont
zindagi jin ke tasawor me gawa di hum ne….!!!!
tujh per uthi hain wo koi hoi saahir ankhain
tujh ko maloom hay kyun umar gawa di hum ne ….!!!!
Hum pe mushtarka hain ! aahsan ghum e ulfaat ke,
itny aahsaan ke ginwaaoo to ginwaa na saku….!!!!
Hum ne is ishq me kiya khooya..kiya seekha hay
joz_v tery kisi ko sumjhaoo to sumjha na saku ….!!!!

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:06 AM
"Tumhay KiS Nay Kaha Tha….???

"Tumhay KiS Nay Kaha Tha?
Dopher K Garm Suraj Ki Traf Dekho
Aur Itni Dair Tak Dekho !
K Binaaee Pighel jaey !!!

"Tumhay KiS Nay Kaha Tha?
Aasmaan Say Toot-ti Andhi Bijliyoon Say
Dosti Ker Lo
Aur Itni Dosti Ker Lo
K Gher Ka GHer Hi Jal Jaey!!!

"Tumhay KiS Nay Kaha Tha?
Aik Anjany Safer May
Ajnabi RaahRoo K Humrah Dooor Tak Jao
Aur Itni DooooR Tak Jao!
K Woh Rastaa Badal Jaey!!!

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:08 AM
Aiy Tez Hawa Naraaz Na Ho
Is Dil Mein Salaamat Hai Ab Tak
Wo Shokhi-a-Lab, Wo Aks-a-Hina
So Baar Jisay Chooma Ham Ne
So Baar Purastish Ki Jis Ki
Is Dil Mein Salaamat Hai Ab Tak
Wo Gard-a-Alam Wo Deeda-a-Nam
Ham Jis Mein Chupaa Kar Rakhtay Thay
Tasveer Bikharti Yaadon Ki
Zanjeer Pighaltay Waadon Ki
Poonji Naakam Iraadon Ki
Aiy Tez Hawaa Naraaz Na Ho
Is Dil Mein Salaamat Hai Ab Tak
Samaan Bicharti Saa-at Ki
Kuch Tukray Garam Dopehron Ke
Kuch Rezay Naram Sawaalon Ke
Kuch Dar Anmol Khayaalon Ke
Ik Jhoota Roop Haqeeqat Ka
Ik Sachaaaaa Lafz Mohabbat Ka

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:08 AM
Ga’ay dinoon ki baat hai,
Shabaab per bahaar thi,
Hawa b khushgawaar thi,
Najanay kyon machal para,
Main apnay ghar say chal para,
Kisi nay mujh ko rok ker,
Bari adaa say tok ker,
Kaha tha lout aa’iay,
Meri qasam na ja’iay…!

Wohi haseen sham hai,
Bahaar jis ka naam hai,
Chala hon ghar ko chor ker,
Najanay jaon ga kidhar…?
Koi nahin jo rok ker,
Koi nahin jo tok ker,
Kahay k lout aa’iay,
Meri qasam na ja’iay…!

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:11 AM
Bagair jane pehchane ikrar na kijiye,
Muskura kar dil ko bekarar na kijiye,
Gulab bhi de jate hai zakhm gehra kabi kabi,
Har Gulab par yu aitbaar na kijiye.
Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko,
Chale jayenge jab hum kabhi na vapas aane ko.
Chalega mehfil me jab zikr hamara koi,
To tum bhi tanhayi dhundoge aansu bahane ko.
Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum,
Bas yahi ek wada nibha payenge hum.
Mita denge khud ko bhi jahan se lekin,
Tera naam dil se na mita payenge hum..
Is kadar hum yaar ko manane nikle,
Uski chahat ke hum deewane nikle,
Jab bhi use dil ka haal batana chaha,
To uske hothon se waqt na hone ke bahane nikle

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:12 AM
Kab tak tumse aas lagaayen?
Kab tak dil tarpaao gay?
Kab tak aankhain raah takain gi?
Kab tak loat k aao gay?
Saaray mausam beet gaye hain,
Phool bhi khil k sookh gaye hain,
Kab aayega deed ka mausam?
Kab dil ko behlaao gay?
Ehd-e-wafa kyun toar diya hai?
Tanha mujh ko chor diya hai,
Saari dunya pooch rahi hai,
Kis kis ko samjhaao gay?
Saaray din
’PAT JHAR’ k din hain,
Saari raatain hijar ki raatain,
Kab chalkain gay dukh k pyaalay?
Kab tak aankh milaao gay?
Aajao k dil ka dareecha khoal rakha hai "MAHNOOR" ne ab tak,
Bhujh gayi jab aankho ki shammain,
Kaise raah phir paao gay???

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:13 AM
Abhi jo laut kar phir tum
hamaray dar pay ayay ho
yeh tum say keh dya kis nay
k tum bin reh nahi saktay
yeh dukh hum seh nahi saktay
kaha tum say yeh kis nay hai
k tum bin hum buhat royay hain
raaton ko na soyay hain
sunlo ghoar say janaa
agar beetay huway lamhon ko
tum nay wapis lana hai
hamari zindagi main phir
hamain wapis bulana hai
mujhay afsoos hai janaa
k tum mayoos lotoogi
agar tum jan’na chaho
kay aisa q kia hum nay
yeh dukh q seh lia hum nay
to sun lo ghor say janaa
puranay ehd-e-raftaa ki
riwayat torr di hum nay
muhabbat chor di hum nay….!!

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:15 AM
Uski gali mein phir mujhe ek baar ley chalo
Majboor kar ke mujhe mere yaar ley chalo,

Shayed yeh mera vehm ho, mera khayal ho,
Mumkin hai us ko mere baad, mera malal ho,
Pachta raha ho ab mujhe, dar say utha ke woh,
Baitha ho meri raah mein, aankhain biccha ke woh,
Us ne bhi to kiya tha mujhe pyar, le chalo..

Uski gali mein phir mujhe ek baar ley chalo

Deewana keh ke logon ney har baat taal di,
Duniya ne mere paaon mein zanjeer daal di,
Chaho jo tum to mera muqaddar sanwar do
Yaaron yeh merey paaon ki bedi utar do,
Us ne kiya hai milne ka iqrar, ley chalo..

Uski gali mein phir mujhe ek baar ley chalo

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:15 AM
Main Aur Meri
Aawaargi

Phirtay Hain Kab Say Dar Badar
Kabhi Is Dagar Kabhi Us Dagar
Main Aur Meri Aawaargi

Na Aashna Har Rehguzar
Na Meharbaan Sab Ki Nazar
Jaayein Tu Ab Jaayein Kidhar
Main Aur Meri Aawaargi

Ek Din Mili Ek Mehjabeen
Tan Bhi Haseen Jaan Bhi Haseen
Dil Nay Kaha Aaye Dil Nasheen
Khaabon Ki Manzil Hai Yeh Hi
Phir Yohn Howa Woh Khoo Gaye
Mujh Ko Bhi Zid Si Ho Gaye
Laayein Gain Us Ko Dhoond Kar
Main Aur Meri Aawaargi

Ek Dil Hi Tha Jo Seh Gaya
Woh Baat Aisi Keh Gaya
Kehnay Ko Phir K Reh Gaya
Aashkon Ka Darya Beh Gaya
Jab Keh K Woh Dil Bar Gaya
Terey Liey Main Mar Gaya
Niklay Jala Kar Apna Ghar
Main Aur Meri Aawaargi

Hum Bhi Kabhi Aabaad Thay
Masroor Thay Dil Shaad Thay
Woh Chaal Aisi Chal Gaya
Hum Bujh Gaye Woh Jal Gaya
Niklay Jala Kar Apna Ghar
Main Aur Meri Aawaargi

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:17 AM
Raat Uss ne Poocha tha
Tum ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December ki !

Main ne Kehna Chaha Tha
Saal-o-Maah ke Baarey mein
Guftagu ke Kya Maani ?
Chahey koi Manzar ho
Dasht ho , Sumandar ho
June ho , December ho
Dharkanoo’n ka Har Naghma
Manzaroo’n pe Bhaari hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil ko Ik Sahara ho
Aisa Lagta hai, jaise
Ik Nasha sa Taari hai

Lakin Uss ki Qurbat mein
Kuch Nahi Kaha Main ne
Takti Reh gayi Mujh ko
Chandni December ki

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:20 AM
Hum ne to uddasi mein
Zindagi guzaari hai
Faaslon se juaay mein
Mein ne shaam haari hai
Aansuon ka aankhon se
Silsila to jaari hai
Aasron ka kaya ho ga
Saaiban bhaari hai
Uss ne aasmano se
Aag bhi utaari hai
Mot bhi zaruri hai
Zindagi bhi piyari hai
Rang bhi bikharey hain
Zulf bhi sanwaari hai

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:21 AM
Toot Kar zara dekho

Toot kar zara dekho

Tum agar bikhar jao

Bebasi main ghir jaoo

dil sey ik sada dena

bas mujey bula lena

main tumhain zindagi main chalnain ka

rasta badalnain ka

ik hunar sikha don ga

tum ko niya hosla donga

or jab tum shanbal jao

roshini main dhal jao

muj ko yun sila dena

Tum mujey bhula dena

bas mujey bhula dena !!!

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:22 AM
Yeh meri nazar ka qasoor hay
Teri Rah-E-Guzaar main kadam kadam
kaheen arsh hay kaheen toor hay

Yeh baja hai MALAIK-E-DOJAHAN
Meri bandagi main qasoor hay
Yeh khaata hai meri khaata magar
Tera naam bhi to Ghafoor hay

Yeh bata tujh say millon kahan
Mujhay tujh say millna zaroor hay
kahin dill ki shart na dalna
Abhi dill gunahoon say choor hai

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:23 AM
Mairay ajnabi mairay aashna…

Tujhay harf harf may dua likkhoo’n…

Koi aisa wasl naseeb ker…

Tujhay chaand, taaray, hawaa likkhoo’n…

Jo na ban sakoo’n kabhi taira to…

To hayaat ko mai’n fanaa likkhoo’n…

Mairi zindagi qadam qadam…

Tairi yaad say jawaa’n rahay…

Mairay ajnabi mairay aashna….

Mai’n tujhay kabhi na judaa likkhoo’n…!

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:25 AM
Hope u guys understand this one ..........!



chalo hum farz kartay hain
chalo hum farz kartay hain
wohi batain jo duniya main nahi hoti
chalo hum farz kartay hain
kay har suu noor phaila hai
na din main chaya sunnata
na raaton main andhera hai
na suraj shab main sota hain
na din main chand khota hai
hai har dil roshni say pur
aur aankhon main ujalay hain

chalo hum farz kartay hain
kay har mosam baharan hai
khizaab main phool khiltay hain
nigahain rag say mahati hain
guloon ki khushbuoon say
sab nizaray muattar hain
parinday chahchatay hain
khushi kay geet gatay hain

chalo hum farz kartay hain
kay har dil main muhabbat hai
kaheen jaghray nahi hotay
na barish dukh ki hoti hai
na aandhi gham ki chalti hai
na nafrat phaans banti hai
hain sabhi chehron pe muskanain
kaheen jaghray nahi hotay

chalo hum farz kartay hain
kay gham khushion say bahtar hain

chalo humfarz kartay hain
ye duniya tum say bahtar hai

zara tahro…..!!!!!!!!

magar hum farz kiyun kar lain
yakeen mujh ko batata hai
hakeekat to hakeekat hai
main sab kuch jaan sakta hoon
na suraj shab main chamkay ga
na din main chand niklay ga
khizan main gul nahi khiltay
ye nafrat mar nahi sakti
na gham khushiyon say bahtar hain
na duniya tum say bahtar hai
hai duniya ki hakeekat kia
fakat aik tum hi achay ho
jahano say zamano say
maknoon la maknoon say
ye sab kuch hai wohi jo
isi duniya main hota hai
to phir hum farz kiyun kar lain
fakat ik tum hi achay ho

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:25 AM
Bachpan K Dukh Kitnay Achay Hote Thay.
.Tab Dil Nahi Khilonay Touta Kertay Thay…

Wo Khushiyan Bhi Janay Kaisi Khushiyan Theen…
Titliyan Paker Ker Uchla Kerte Thay …..

Chotay Thay To Makar O Faraib Bhi Chotay Thay…
.Dana Daal Ker Chiriyan Pakra Kertay Thay….

Apnay Jall Janay Ka Bhi Ehsas Na Tha….
Jaltay Shouloun Ki Taraf Lapka Kertay Thay…

Ab Aik Ansoo Giray Tou Ruswa Ker Deta Hai…
Bachpan Mein To Jee Bhar K Roya Kertay Thay

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:26 AM
Kabhi jo hum nahi hon gain
kaho kisko batao gay
wo apni uljhanay sari
wo becheni main dobay pal
wo aankhon main chopay aanso
kisay pher tum dikhao gay
bohat bechain ho gay tum
bohat tanha reh jao gay
abhi bhe tum nahi samjhay
hamari ankahi batain
magar jub yaad aaen ge
bohat tumko rolaen ge
bohat chaho gay pher bhe tum
hamain na dhoondh pao gay
kabhi jo hum nahi hon gain
Kaho kisko batao gay

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:27 AM
suno tum laut aao na
woh dekho chand nikla hai
sitary jagmagaty hain
humari muntazir aankain
duaey maangti aankain
tumhe hi sochti aankain
tumhe hi dhoondti aankain
tumhe wapas bulati hain
yeh dil jab bhi dharakta hai
tumhara naam leta hai
yeh ansu jab b behty hain
tumhary dukh mai behty hain
k barish jab bhi hoti hai
humhe hi yaad karti hai
khushi koi bhi aaey jo
tumary bin adhori hai
SUNO TUM LAUT AAO NAA…

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:28 AM
Jab Din Guzar Rahey They ,
Hum Tum Se Keh Rahey They,
Mushkil Hai ab Bichharna,
Aur Door Tum se Rehna,

Tum Sun ke Hans Pari Thein,
Aur Hum Se Ye kaha Tha ,
Hum Tum ko Bhool Jaen,
Tum ko Na Yaad Aaein ,

Sun ker Tumhari Batein ,
Hum Chup Se Ho Gaye They,
Phir Tum Bichhar Gaye They,

Tum Se Bichhar ke Hum Bhi,
Her Lamha Gin Rahey They,
Mausam Badal Rahey They,
Aur Hum ke Jal Rahey They,
Her Sans Thi ke sakat ,
Khushbu Bhi Aur Hi Thi,
Barish ka Pehla Katra ,
Jab Bhi Gira Zameen Per,
Hum ko Lag Raha Tha,
Jungal Pighal Raha Tha,
Phir Hum Behal Gaye They,
Aur Ho Gaye They Aadi,
Dunya Ki Mehfilon Ke ,

Ab Phir Se Mil Gaye Ho ,
Aur Hum Se Keh Rahey Ho ,
MUSHKIL HAI AB BICHARNA,
AB DOOR TUM SE REHNA.

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:37 AM
EK RAH PAR
Ek Rah Per Sari Umer Chaley
Ek Dojey Ko Na Samjh Sakey
Jeevan Ka Safer Anjaan Safer
Bay Khahish Bay Araam Safer
Jevan Ke Kissi Bhi Dukh Sukh Main
Woh Meray Saath Shareek Nahin
Hum Dono Main Ek Rishta Hai
Per Jazboon Ki Tehreek Nahin
Jari Hai, Mager Anjaan Safer
Main Sochta Hoon Aik Din Yunhi
Woh Mujh Sey Juda Ho Jayegi
Ya Pehlay Main Mar Jaonga
Ya Shaid Woh Mar Jayegi
Phir Loug Kahin Gay Inka
Yeh Rishta Kitna Sacha Tha
Per Kiss Ko Khaber, Sara Jeevan
Woh Tanha Thi?
Main Tanha Tha…….

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:38 AM
Tumhara khat mila Jana!
Wo jis mein tum ne poocha hai,
K ab haalaat kaise hain?
Mere din raat kaise hain?
Mehrbani tumhari hai!
K tum ne is tarah mujh se,
Mere haalaat pooche hain,
Mere din raat pooche hain,
Tumhein sb kuch bta doon ga,
Mujhe itna bta do k.
Kabhi Sagar kinare pr,
Kisi Machhli ko dekha hai?
K jis ko lehrein paani ki,
Kinare tk to lati hain,
Magr phir chorr jati hain,
Mere haalaat aise hain,
Mere din raat aise hain…

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:39 AM
Abhi Tum Ishq Mat Karna
Abhi Guriya Se Khelo Tum
Tumhari Umar Hi Kya Hai
Faqt Athran Baras Ki Ho
Abhi Masoom Bachi Ho
Nahin Maloom Abhi Tum Ko
K Jab Yeh Ishq Hota Hai
To Insaan Kitna Rota Hai
Sitaray Toot Jatay Hain
Saharay Choot Jatay Hain
Abhi Tum Nay Nahin Dekha
K Jab Sathi Bichartay Hain
Tu Kitna Dard Milta Hai
K Har Furqat K Mousam Main
Hazaron Ghum Ubhartay Hain
Hazaron Zakhm Khultay Hain
?
Suno Larki? …..
~?Meri Mano?~

Parhai Par Tawajo Do
Kitaabon Main Gulabon Ko
Kabhi Bhoolay Say Mat Rakhna
Kitabain Jab Bhi Kholo Gi
Yeh Kanton Ki Tarhan Dil Main
Chubhain Gay Khoon Bahayen Ge
Tumhain Pehron Satayen Ge
Kisi Ko Khat Nahin Likhna
Likhai Pakri Jati Hai
Bari Ruswai Hoti Hai
Kisi Ko Phone Mat Karna
Sadayen Dil Dukhati Hain
Woh Awazain Satati Hain
Meri Nazmain Nahin Parhna
Yeh Mehshar Utha Dein Gi
Tumhain Pagal Bana Dein Gi
?
Suno Larki? …..
?
~ Meri Mano?~

Apni Taqdeer Say Tum
Khul K Mat Larna
Abhi Guriya Se Khelo Tum
Abhi Tum Ishq Mat Karna

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:40 AM
WOH KEHTI THI.

Tumhara saath mill jaiye tou her dukh bhool jaoun gi
Woh kehti thi kay her surat tumhi ko bnaoun gi

Nichawar khuwaab kar doun gi tumhare her ishare per
Kabhi peepal ki chaoun mein, Kabhi nadiya kinare per

Tumhein thandak atta kar doun gi ik barsat ki maanind
Bikharte chaand jharnon mein ujalti raat ki maanind

Mujhe tum se mohabbat hai main loagon ko btaoun gi
Woh kehti thi kay her surat tumhi ko bnoun gi

Main chahoun gi tumhein jaana umangon se ujalon tak
Khudi kay dasht se le kr naiye janmon kay saalon tak

Meri thandi si tanhaaee sulagti raat jaisi ho
Mujhe bas saath le ja, Bhalle BARAAT jaiisii ho.

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:41 AM
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
tum jahan peh bayth k jati ho
main waheen pe betha rehta hoon
us cheez ko choota rehta hoon
main aisi mohabbt karta hoon

tum jis se huns k milti ho
main us ko dost banata hoon
tum jis rustay par chalti ho
main us say aata jata hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

tum jin ko daykhti rehti ho
wo khuwab….sarhanay rakhta hoon
tum say milnay julnay k
kitnay hi bahanay rakhta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

tum jahan bhi bayth k jati ho
jis cheez ko hath lagati ho
main waheen peh baytha rehta hoon
us jaga ko choota rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

kuch khuwab saja kar aankhoon main
palkon say moti chunta hoon
koi lums agar choo jaa a to
main pehroon us ko sochta hoon
main…aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

jin logon main tum rehti ho
tum jin say batain karti ho
tum jin say huns k milti ho
jo tum ko achay lagtay hoon
wohi mujh ko achy lagtay hain
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

jis bagh main subh ko jati ho
jis sabzay par tum chalti ho
jo shakh tumhain choo jati hay
jo khushboo…tum ko bhati hay
wo os tumharay chehray par
jo qatra qatra girti hai
wo titli chor k phoolon ko
jo tum say milnay aati hai
jo tum ko choonay aati hay
un sab k nazuk jazbon main
meray dil ki dharkan basti hai
miri rooh bhi shamil rehti hai
tum paas raho ya door raho
nazron main samai rehti ho
main tum ko takta rehta hoon
main tum ko sochta rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

her moqay par her manzar main
main sath tumharay rehta hoon
main chashm-e-tasavvur main aksar
bus tum ko dekhta rehta hoon
bus tum ko sochta rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:46 AM
Zindagi k mailay meim
Khawahishon k railay mein
Tum se kiya kahain jaana…?
Is qadar jhamilay mein….!!!
.
.
Waqt ki rawaani hai
Bakht ki garaani hai
Sakht bay zameeni hai
Sakht laa makaani hai
.
.
Hijr k samundar mein
Takht aur takhtay ki aik hi kahani hai
Tum ko jo sunani hai…!
.
.
Baat go zara si hai
Baat umer bhar ki hai
(Umer bhar ki baatein kab dau ghharri mein hoti hain…!!!)
Dard k samundar mein un-gint jazeeray hain
Bay-shumaar moti hain
.
.
Aankh k dareechay mein tum ne jo sajaya tha
Baat us diye ki hai
Baat us gilay ki hai
.
.
Jo lahu ki khilwat mein chor bann k aata hai
Lafz ki faseelon par toot toot jata hai
Zindagi se lambi hai
Baat rat-jagay ki hai
.
.
Raastay mein kaisay ho..?
Baat takhliye ki hai
.
.
Takhliye ki baaton mein
Guftugu izaafi hai
Piyar karnay waalon ko
Ik nigaah kaafi hai
.
.
Ho sakay tau sun jaao…..!
Aik din akailay mein…….!!!
.
.
Tum se kiya kahain jaana…….???
Is qadar jhamailay mein……!!

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:46 AM
"agar main door ho jaon"

agar main door ho jaon,,
to palko ko jhapak daina,,
agar ansoo koi giraay,,
samajh jana k wo hon main,,
hathali smanay rakhna,,
k sab aansoo giraay us main,,
jo ruk jaye ga hounto per,,
smajh jana k wo hon main,,
kabhi jo chand ko daikho,,
to tum yun muskura daina,,
k phir badal bhi ajayee ,,
smajh jana k wo hon main,,
jo chal jayee hawa thandi,,
to ankhaay band ker laina,,
jo jhonkaa taiz ho sab say,,
samajh jana k wo hon main,,
jo zeeyada yaad aao main,,
to tum ro laina jee bher ker,,
agar hichki koi ayee,,
samaj jana k wo hon main,,
agar tum bholnaa chaho,,
mujhay shayad bhula do tum,,
magar jab saans aye gii,,
smajh jana k wo hon main

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:47 AM
Mujhe jo kuch bhi kehna tha
abhi me keh nahi paya
Meri Tehreer ki zad me
abhi to kuch nahi aya

abhi to Qarab likhna hai
jissay mehsoos karta hon
abhi wo khawab likhnay hain
jo ankhon me paltay hain
mujhay un ko bhi likhna hai
jinhain me dhoondh na paya
abhi wo log likhnay hain
jo khoo kar haath maltay hain
abhi wo ashk likhnay hain
kabhi jo beh nahi paye
mere tehreer ki zad me
abhi bhi kuch nahi aya

abhi to mausmon ki

shokhyan tehreer karni hain
abhi Jo phool kaliyan aur
sehe-e-shabnam bhi likhni hai
Uthaanay hain abhi darya say
mujh ko pyaas k pehray
abhi to khushk pairon pe
mujhay rim jhim bhi likhni hai
kahin pe dhoop likhni hai
kahin pa teergi chaaya
mere tehreer ki zad me
abhi to kuch nahi aya
abhi to mujh ko likhni hai
kisi ki reshmi zulfain
kisi ki surmagii palkain
kisi ki ankh ka kajal
kisi ka tootta badal
kisi ki pyar ki qasmain
kisi ki unkahi batain
macha dain dil me jo hulchul
abhi woh sub likhna hai
jo mera ishq keh laye
mere tehreer ki zad me
abhi to kuch nahi aya
abhi to wo safar likhna hai
jo darpaish hai mujho
abhi to tum ko apni
pyass ka sehra dikhana hai
abhi to hijr ki likhni hain
sari matamii Ratain
abhi to aisay lamhon ka bhi
tum ko lutf sunana hai
keh jin say ashk ankhon me
magar iss dil ko beh laye
mere tehreer ki zad me
abhi to kuch nahi aya

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:47 AM
Mohabbat khud batatii hai
kahan kis ka thikana hai
kise aankhon mein rakhna hai
kise dil mein basana hai
reha kerna hai kis ko aor
kise zanjeer kerna hai
mitana hai kise dil se
kise tehreer kerna hai
ghironda kab girana hai
kahan taameer kerna hai
issay maaloom hota hai safar dushwaar kitna hai
kisii kii chashm-e-geriya mein chupa iqraar kitna hai
shajar jo girne wala hai woh saayaadaar kitna hai
safar kii har saoubat aor timazat yaad rakhtii hai
jise saare bhula daalein
Mohabbat yaad rakhtii hai …!

ShArArTi MuNdA
03-06-2009, 08:49 AM
Chaloo AiK nazam likhte hain
Kisi ke naam karte hai
Magar ye sochna hai aab
K us main zikar kis ka ho
K us main baat kis ke hoo
K us main zaat kis ki hoo
Aur ye bhi farz karte hain
K jiss pe nazum likhte hain
Humein us se muhabat hai
Hamare sare jazboon ko
Bus us ki he zarorat hai
Chaloo AiK kam karte hain
K hum Jo nazam likhte hain
Tumhare naam karte hain
Tum he unwan ho is ke
Tumhara zikir hai is main
Tumhari baat hai is main
Tumhari zaat hai is main
Tu phir ye farz bhi hoga
Humain tum se muhabat hai
Hamare saray jazboon ko
Tumhari hi zarorat hai
Magar kia farz karne se
Kabhi aysa bhi hota hai
K hum Jo farz karte hain
Haqeqat main hi aysa ho
Magar ye bhi to mumkin hai
K apni nazum ka jiss ko
Hum ne unwan banaya hai
Usse is ki khabar na hoo
Humari Jo muhabat hai
Koi uss ki muhabat hoo
Aur us ke saray jazbon ko
Bus us ki hi zarorat ho
Kisi ko apne nazmon ka
Who bhi unwan banata ho
Aur apni sari nazmon ko
Ussi ke naam karta hoo….

life2
03-06-2009, 10:28 PM
nice munda ..........good work

ShArArTi MuNdA
03-07-2009, 06:45 AM
nice munda ..........good work

Thanks life2

ShArArTi MuNdA
03-07-2009, 10:15 AM
Apne haathon se yun chehre ko chupate kyon ho
Mujhse sharmaate ho to saamaney aate kyon ho

Tum kabhi meri tarah kar bhi lo iqaraar-e-wafaa
Pyaar karate ho to phir pyaar chhupate kyon ho

Ashk aankhon main meri dekh ke rote kyon ho
Dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kyon ho

Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahate kyon ho
Milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho

ShArArTi MuNdA
03-07-2009, 10:16 AM
PAYYAR MEIN
Duniya kisii ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN
ik dilruba hai dil meiN jo hooroN se kam nahiN

Tum baadshaah-e-husn ho husn-e-jahaan ho
jaane wafa ho aur mohaabat ki shaan ho

Jalway tumhare husn ke taaroN se kam nahin
duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN

Bhoolay se mushkuraaO to moti baras paray
palke utha ke dekho to kaaliyaan bhi hans paray

Khusboo tumhaari zulf ki phoolon se kam nahin
duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN

ShArArTi MuNdA
03-07-2009, 10:18 AM
HAR KISI KA DIL DUKHANA

Har kisi ka dil dokana aaccha nahin lagta
Har kisi se ishq jattana aaccha nahin lagta
Khas insaan ko diya jata hai dil
Har kisi se dil laggana aaccha nahin lagta
Hum ne bhi muhabbat ki hai
Magar us ko dil ka all baatane ka muka nahin milta
Kya paata who humse muhabbat karte hai
Is ka mujhe aandaza nahin hotais ki baato se?
Is ki esharo se muhabbat tapakti hai?
Lekhin is ko zuban se izhar karne ka muka nahiin milta
Kash who din bhi ayee
Who izhar kare iqrar kare
Is se aaccha din koi aur ho nahin sakta?

ShArArTi MuNdA
03-07-2009, 10:21 AM
Zindagi bhi kitni ajeeb hai
Do chaar pal jo Naseeb hai
Is pal main tum hum se aa milo
Yeh pal jo hamare qareeb hain
Haathon main haath leker hum
Is pal ko jee len aaj hum
Bhale is ke baad Zindagi na ho
Bas tere haathon main haath ho
Yeh Khuwahish mere Dil ki hai
Ke tera hi naam Naseeb ho

ShArArTi MuNdA
03-07-2009, 10:32 AM
Muddat se jis ke waaste Dil be qaraar tha
Woh laut kar na aaya magar intezaar tha


Jo humsafar tha chorr gaya raah main mujhe
Main phans gaya bhanwar main woh darya ke paar tha


Manzil qareeb aayi to tum door hogaye
Itna to tum batao ke yeh kaisa Pyaar tha


Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan
Na woh sakoon se bethi na mujh ko qaraar tha


Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt ka
Ankhon main aansu aur Dil beqaraar tha


Yeh baat umer bhar samjh na paaya main
Kyun Dil mera us ka talabgaar tha

ShArArTi MuNdA
03-07-2009, 10:35 AM
Uskee Yaad Main Her Pal Ashk Bahatee Rahee

Gham-E-Yaar Main Zindagee Guzaarte Rahee



Na Raha Usy Ehsaas Mery Wafaoon Ka

Woh Kiya Shakhs Hay Jisay May Chahtee Rahee



Us Nay To Keh Diya K May Kisi Or Kaa Hoon

Is Shikasta Dil Per Her Din Aansu Bahatee Rahee



Hum Jisay Chahain Woh Mil Jayee Ye Zarooree To Nahi

Iss Liyee Aaj Tak Us Ke Judai Ka Gham Uthatee Rahee



Jo Chot Khai Hay Iss Dil Per Apny

Aaj Tak Uss Zakhem Per Merham Lagatee Rahee

ShArArTi MuNdA
03-07-2009, 10:36 AM
Tum Dil Ki Baatain Kia Samjho
Tum Dil Ko Lagana Kia Jaano
Tum Aagh Lagana Seekh Gaye
Tum Aagh Bujhana Kia Jaano
Ek Baar Agar Tum Rooth Gaye
Hum Tum Ko Mana Hi Lain Gayein Magar
Ek Baar Agar Hum Rooth Gaye
Tum Hum Ko Manana Kia Jaano
Kuch Saath Chalay, Phir Choor Gaye
Waada Jo Kia, Woh Toor Gaye
Saathi Tu Banaatay Rehtay Ho
Tum Saath Nibhaana Kia Jaano

ShArArTi MuNdA
03-07-2009, 10:37 AM
Dard Say Geet Nikhaaray Hain Tumhain Kia Maloom
Hum Nay Yohn Dard Sanwaaray Hain Tumhain Kia Maloom
Tum Tu Kehtay Thay Yeh Hijar K Din Thooray Hain
Hum Nay Kaisey Yeh Ghuzaray Hain Tumhain Kia Maloom
Tum Nay Kaati Hi Kahan Hain Shab-E-Hijraan Humdam
Ab Yeh Aansoo Yeh Sharaaray Hain Tumhain Kia Maloom
Terey Aanay Say Main Tanha Hi Nahin Jhoom Raha
Raqs Main Saaray Nazaray Hain Tumhain Kia Maloom
Chand Lamhay Jo Tumhain Yaad Nahin Hoongay Magar
Woh Humain Jaan Say Pyaaray Hain Tumhain Kia Maloom
Kis Tarhan Tum Humain Jeetay Ho Khabar Hai Tum Ko
Kis Tarhan Hum Tumhain Haaray Hain Tumhain Kia Maloom
Hum Nay Yeh Ummar Guzaari Hai Ussi Wehshat Main
Hum Gham-E-Hijar K Maaray Hain Tumhain Kia Maloom

momal ali
03-07-2009, 02:14 PM
awsum collection sm jee
very nyc

ShArArTi MuNdA
03-07-2009, 07:41 PM
awsum collection sm jee
very nyc

Thanks mahum jee for visting & lyking it...... keeep visiting

SHAYAN
03-07-2009, 09:22 PM
gr8 Yar vv Nyc :(

(Ż`•¸♥Faryal♥¸•´Ż)
03-07-2009, 09:23 PM
v nice sm

life2
03-08-2009, 11:41 PM
dard ko b ab dard honay laga hai
dard chup chup k senay main ronay laga hai
na roye ham kabi daard ko dekh kar
per daard hamko dekh kar ronay laaga hai

ShArArTi MuNdA
03-10-2009, 07:22 AM
gr8 Yar vv Nyc :(

Thanks for visiting shayan

ShArArTi MuNdA
03-10-2009, 07:22 AM
v nice sm

Thanks for visiting faryal

ShArArTi MuNdA
03-10-2009, 07:23 AM
dard ko b ab dard honay laga hai
dard chup chup k senay main ronay laga hai
na roye ham kabi daard ko dekh kar
per daard hamko dekh kar ronay laaga hai


Thanks for visiting & nice one

life2
03-10-2009, 01:32 PM
her lafz kitaboon me tera aks liye he
ek phool sa chehra mujhe parhne nahi deta

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 03:48 AM
Manaa ke musht-e-Khaak se baakar nahiin hun main
lekin havaa ke raham-o-karam par nahiin hun main

insaan hun dhadakte huye dil pe haath rakh
yun Dubakar na dekh samundar nahiin hun main

chehare pe mal rahaa hun siyaahii nasiib kii
aa_iinaa haath men hai sikander nahiin hun main

Ghalib terii zamiin men likkhii to hai Gazal
tere kad-e-suKhan ke baraabar nahiin hun main

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 03:49 AM
Aadmi Bulbula hai Paani ka
Aur Paani Kee Behtee Sat-hey par
Toot-ta bhee hai, Doobta bhee hai
Phir Ubharta hai, Phir sey Behtaa hai
Naa Samandar Nigal Sakaa Isko
Naa Tawaareeqh Tor Paayi hai
Waqt kee Mauj par Sadaa Behtaa
Aadmi Bulbula hai Paani ka

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 03:49 AM
Aisa lagta hai zindagi tum ho
ajnabee kaise ajnabee tum ho

ab koi aarzoo nahin baakee
justjoo meri aakhri tum ho

main zameen par ghana andhera hoon
aasmaanon ki chandni tum ho

doston se wafa ki ummeeden
kis zamaane ke aadmi tum ho

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 03:49 AM
Bas ki dushvaar hai har kaam kaa aasaan honaa
aadmii ko bhii mayassar nahiin insaan honaa

giryaa, chaahe hai Kharaabii mere kaashaane kii
dar-o-diivaar se Tapke hai biyaabaan honaa

vaae-diivaangii-e-shauq ki har dam mujhko
aap aa jaanaa idhar, aap hii hairaan honaa

jalvaa az bas ki taqaaza-e-nigaah kartaa hai
jauhar-e-aaiinaa bhii chaahe hai mizgaan honaa

ishrat-e-qatl gah ahl-e-tamanna mat puch
iid nazaara hai shamshiir kaa uryaan honaa

kii mere qatl ke baad usne jafaa se tobaa
haae us zuud-pashemaan kaa pashemaan honaa

haif us chaar girah kapray kii qismat Ghalib
jis kii qismat men ho aashiq kaa girebaan honaa

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 03:50 AM
purana aadmi hun mai naya andaz rakhta hun

jism hai sakht pr tabiyat zara nasaz rakhta hun

mai jang e aashiqi ki mashk kr na pa saka lekin

mohabbt kay liye yeh dil bara janbaz rakhta hun

khilaf e zulm pay kehta nahi koee ghalat hai yeh

qareeb aa kay suno thori see mai avaz rakhta hun

izafa ho na jaae meri khushyon se tere dil mai

mai apne aap ko bus is liye naraz rakhta hun

nahi hai shoq e mosiki mujhe yeh jhoot hai ahsan

mai apne dil kay ander dharkano,n ka saaz rakhta hun

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 03:51 AM
Aaina dekh ke tasalli hui
ham ko is ghar mein janth hai koi

pak gayn hai shahgar pe phal shaynd
phir se patthar uchhalatn hai koi

phir nazar men lahuu ke chhinte hain
tum ko shahyad mugalata hai koi

der se guunjaten hain sannte
jaise ham ko pukarata hai koi

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 03:51 AM
Kabhi nazrein milane mein zamane beet jate hein
Kabhi nazrein churane mein zamane beet jate hein

Kisi ne ankh bhi kholi to sone ki nagri mein
Kisi ko ghar banane mein zamane beet jate hein

Kabhi kali seyah raatein humein pal pal ki lagti hein
Kabhi ik pal bitane mein zamane beet jate hein

Kabhi khola ghar ka darwaza khadi thi samne manzil
Kabhi manzil ko aane mein zamane beet jate hein

Ik ik pal mein toot jate hein umr bhar ke woh rishtey
Woh rishtey jo banane mein zamane beet jate hein

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 03:51 AM
Aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa

itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to dar jaayegaa

tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur wo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa

zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa

duubate duubate kashtii to ochhaalaa de don
main nahiin koii to saahil pe utar jaayegaa

zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz'
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 03:52 AM
Aankhein bhi wohi hein tu darecha bhi wohi hai
aur soch keh aangan mein utarta bhi wohi hai

jis ne meri jazbon ki sadaqat ko na samjha
ub meri rafaqat ko tarasta bhi wohi hai

iss dil ke kharabey se guzar kiska hua hai
aankhein bhi wohi, hont bhi, lehja bhi wohi hai

jo kuch bhi kaha tha meri tanhai ne tujh se
iss sheher ki dewaar pe likha bhi wohi hai

woh jis ne diey mujhko mohabbat ke khazaaney
badal ki tarhan aankh se barsa bhi wohi hai

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 03:53 AM
Apni aankho ke samundar mein utar jaane de
tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jaane de

ay nayey dosth main samjhoonga tujhe bhee apna
pehle maazi ka koi zakhm to bhar jaane de

aag duniya ki lagayee hui bhuj jayeygee
koi aansoo mere daaman pe bikhar jaane de

zakhm kitne teri chaahat se mile hain mujko
sonchtaa hoon ki kahoon tujhse magar jaane de

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 03:53 AM
huii hai shaam to aankhon main bas gayaa phir tuu
kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tuu

boht udaas hai ik shakhs tere jaane se
jo ho sake to chalaa aa usii kii khaatir tuu

merii misaal ki ik nakhl-e-Khushk-e-saharaa hoon
teraa khayaal ki shaaKh-e-chaman kaa taayir tuu

mai jaantaa hoon ke duniyaa tujhe badal degii
mai maantaa hoon ke aisaa nahiin bazaahir tuu

hansii khushii se bichhad jaa agar bichhdnaa hai
ye har maqaam pe kyaa sochtaa hai aakhir tuu

'Faraz' tu ne use mushkilon main daal diyaa
zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tuu

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 03:57 AM
Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko

Tumko Aankho Mein Tasavur Ki Tarah Rakhta Hoon
Dil Mein Dadhkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujko

Baat Karnay Mein jo Mushkil ho Tumhay Mehfil Mein
Main Samajh Jaaonga Nazron Say Bataana Mujko

Vaada Utna Hi Karo Jitna Bibha Saktay Ho,
Khawab Poora jo na ho woh na Dikhana Mujko

Apnay Rishtay ki Nazaakat ka Baram Rakh Lena
Main to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujko

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 04:02 AM
Khuli Aankh Mein Sapna Jhaankta Hai
Wo Soya Hai Ke Kuch Kuch Jaagta Hai

Teri Chahat Ke Bheege Junglon Mein
Mera Tan, More Ban Kar Naachta Hai

Mujhe Har Kaifiyat Mein Kyun Na Samjhe
Wo Mere Sab Hawale Jaanta Hai

Main Uski Dastaras Mein Hon, Magar Wo
Mujhe Meri Raza Se Maangta Hai

Kisi Ke Dhyaan Mein Dooba Hua Dil
Bahane Se Mujhe Bhi Taalta Hai

Sarak Ko Chore Kar Chalna Parega
Ke Mere Ghar Ka Kaccha Raasta Hai

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 04:02 AM
koi dukh na ho

koi gham na ho

koi aankh kabhi purnam na ho

koi dil kisi ka toray na

koi sath kisi ka choray na

bas pyar ki nadiya behti ho

kash k duniya aisi ho

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 04:03 AM
Kuchh din to baso merii aankhon mein
phir khvaab agar ho jaao to kyaa

koii rang to do mere chehare ko
phir zakhm agar mahakaao to kyaa

ik aaiinaa thaa so tuut gayaa
ab khud se agar sharmaao to kyaa

main tanahaa thaa main tanahaa huun
tum aao to kyaa na aao to kyaa

jab ham hii na mahake phir saahib
tum baad-e-sabaa kahalaao to kyaa

jab dekhane vaalaa koii nahiin
bujh jaao to kyaa jal jaao to kyaa

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 04:03 AM
Main ghamoN se choor choor jab toot'ti rehti hooN
Teri jheel si gehri aankhoN maiNn doobti rehti hooN

Bhanwar meN jaati hooN to paani uchaal deta hai
Kai tareeq'e maut kay yooN'hi dhoondti rehti hooN

Qismet ki lakeer ko dekh ker raat raat bhar maiN
Hath'aili pay likhay naam ko choomti rehti hooN

Rasta badal ke jaane ki aadat to puraani hi hai
Main us ki raah ko yooN'hi takti rehti hooN

Woh chala gaya, na dekha muR ke, na hi kuch kaha
Main us ki khamoshi ko kiya kiya samjhti rehti hooN

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 04:04 AM
Merii Ankhon Pe Marta Tha
Meri Baton Pe Hansta Tha
Najaney Shakhs Tha Kesa
Mujhe Khoney Se Darta Tha
Mujay Jab Wo Milta Tha
Yehi Har Bar Kehta Tha
Suno!!
Agr Mein Bhool Jaon Tu
Agr Mein Rooth Jaon Tu
Kabii Wapis Na Ahon Tu
Bhula Pao Gay Ye Sab Kuch
Yunhii Hansty Rahoo Gay Kia
Yunhii Sajty Rahoo Gay Kia

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 04:04 AM
Surmayee ankhiyon main nanha munna ek sapana de jaa re
nindiya ke udate paakhi re, ankhiyon maon aaja saathi re

raa rii raa ram o raaree ram

sachcha koi sapanaa dejaa
mujhako ko apana dejaa
anajaana sa magar kuchh pahachaana sa
halka phulka shabanami
resham se bhi reshami
suramai ...

raat ke rath par jaane vaale
neend ka ras barasaane vaale
itana kar de ko meri ankhain bhar de
ankhon main basata rahe, sapana ye hansata rahe
sapana yoonN chalata rahe
ankhiyon main basata rahe
suramai ...

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 04:04 AM
Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do

Buhat bewafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do

Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do

Mar gaye auroon kay liye ham yaara
Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 04:05 AM
Hanste hue aankho mein kyu aa jate hai aansoo
kyun khushi ko adhura sa bana jate hai aansoo

Dard itna hai saha,ho gaya samunder ashqon ka
jane kaha se fir bhi aankhon mein bhar jate hai aansoo

khush hoon main koi shikwa zamena se na taqdeer se
meri iss baat ko jhoota kar jate hai aansoo

shayad khabar hai unko bhi kis qadar tanha hoon main
tanhaayi mein mere saath nibha jate hai aansoo

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 04:05 AM
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya
Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya
Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya
Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya
Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya
Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya
Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya
Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya
Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki
Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 04:06 AM
Shaam-e-Fursat Dhalay, Hum Nahi Chahatay,
Ghum Say Fursat Milay, Hum Nahi Chahatay…..

Phir Naya Waar Sehne Ko taiyyar Hain,
Tu Parayshan Rahay, Hum Nahi Chahate…..

Aaj Aansoo Bahanay say, Mut Roko,
Aaj Barish Thumay, Hum Nahi Chahatay…..

Hum Teray Baad Ujray Hon, To bhi Theek Hai,
Ab Kahin Dil Lagay, Hum Nahi Chahate….. .

Teray Pekar Ko Ham Dekhte Hi Rahein,
Tu Nazar Say Hatay, Ham Nahi Chahate…..

Kis Qadar Dil Nasheen Hai Ye Moujon Ka Shor,
Ghum Ka Dariya Ruke, Ham Nahi Chahate…..

Iss Qadar Piyar say Tu Pukara na Kar,
Aag Dil Ko Lagay, Hum Nahi Chahate

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 04:06 AM
Aaj jo mulaqaten hain wo kal na hongi
Aaj jo yeh hansi baten hain wo kal na hongi

Mousam ne kahan suni hai kisi ke dil ki
Aaj jo yeh barsate hain wo kal na hongi

Hum na mile to gum na karna koi
Apki yaden Dil se kabhi kam na hongi

Aaj nahi to kal Dua mein asar lazim hoga
Jo ibadate hain wo kabhi kam na hongi

Kuch Rishto ki khushboo hamesha rehti hai
Waqt ki yeh inayate kabhi kam na hongi

In ashqoon ko kabhi apni aankho se na girne dena
Kisi bhi mol se inki keemate ada na hongi

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 04:07 AM
Asar usako zaraa nahii hotaa
ranj raahat fazaa nahii hotaa

tum hamaare kisii tarah na hue
varanaa duniyaa mein kyaa nahii hotaa

naarasaaii se dam ruke to ruke
main kisii se Khafaa nahiin hotaa

tum mere paas hote ho goyaa
jab koii duusaraa nahiin hotaa

haal-e-dil yaar ko likhuuN kyon kar
haath dil se judaa nahiin hotaa

kyon sune arz-e-muztarib ae 'Momin'
sanam aaKhir Khudaa nahiin hotaa

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 04:07 AM
Rahon ki dillkashi ka asar bhol jae ga
Agle safar mein ye bhi safar bhool jae ga

Kuch aur din agar yohi begangi rahi
Dastak jo dene ao ge ghar bhol jae ga

mumkin nahi ke yaad rakhe umer bhar hame
Akher he wo bhi aik bashar bhol jae ga

ham hon ge aur phir wohi Tanhayon ki dhool
Us se bichar ke apna bhi ghar hol jae ga

Essa bhi nahi ke acha kaho usse
tum dekhna ke tum ko Zafar bhol jae ga

Pari Wish
03-14-2009, 05:49 AM
Aaj jo mulaqaten hain wo kal na hongi
Aaj jo yeh hansi baten hain wo kal na hongi

Mousam ne kahan suni hai kisi ke dil ki
Aaj jo yeh barsate hain wo kal na hongi

Hum na mile to gum na karna koi
Apki yaden Dil se kabhi kam na hongi

Aaj nahi to kal Dua mein asar lazim hoga
Jo ibadate hain wo kabhi kam na hongi

Kuch Rishto ki khushboo hamesha rehti hai
Waqt ki yeh inayate kabhi kam na hongi

In ashqoon ko kabhi apni aankho se na girne dena
Kisi bhi mol se inki keemate ada na hongi

I like this one, you got really good taste

ShahTaJ
03-14-2009, 06:28 AM
very nice collection (y)
keep it up

safa
03-14-2009, 01:37 PM
good

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 05:36 PM
Aaj jo mulaqaten hain wo kal na hongi
Aaj jo yeh hansi baten hain wo kal na hongi

Mousam ne kahan suni hai kisi ke dil ki
Aaj jo yeh barsate hain wo kal na hongi

Hum na mile to gum na karna koi
Apki yaden Dil se kabhi kam na hongi

Aaj nahi to kal Dua mein asar lazim hoga
Jo ibadate hain wo kabhi kam na hongi

Kuch Rishto ki khushboo hamesha rehti hai
Waqt ki yeh inayate kabhi kam na hongi

In ashqoon ko kabhi apni aankho se na girne dena
Kisi bhi mol se inki keemate ada na hongi

I like this one, you got really good taste


WIsh jee pasand kerney ka shukriya

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 05:37 PM
very nice collection (y)
keep it up


Thanks Janab

ShArArTi MuNdA
03-14-2009, 05:37 PM
good

Thanks

Hani
03-15-2009, 02:09 AM
nice sharing

Ghuncha
03-15-2009, 02:34 PM
Beautiful

life2
03-15-2009, 11:49 PM
sahil,
rait,
samandar,
lehrain,
basti,
jangle,
sehra,
darya,
khushboo,
mosam,
phool,
dareechay,
badal,
sooraj,
chand,
sitaray

aaj ye sab kuch naam tmhare
khuwab ki batain,
yaad k kisse,
soch k pehlu,
neend k lamhe,
dard k ansou,
chain k naghmay,
urte waqt k behte darya,
or pur khuloos duain,
aaj ye sab kuch naam tmhare

roh ki aahat,
jism ki junbish,
khoon ki gardish,
sans ki larzish,
aankh ka pani,
chahat k unwaan ye saare,
aaj ye sab kuch naam tmhare.

Jhuki Palkein
03-16-2009, 12:06 PM
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya
Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya
Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya
Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya
Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya
Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya
Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya
Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya
Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki
Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya

Mind Blowing Sharings Dear,.

I Esp Liked This One,.

Keep Sharing!

Nida-H
03-16-2009, 02:02 PM
very nice collection..keep sharing !!!

safa
03-17-2009, 07:45 PM
nice

momal ali
03-17-2009, 08:08 PM
awsum
awsum
awsum
collection
keya bat hey sm aap ki ..
http://www.apnipic.com/out.php/i3256_270.gif

life2
03-19-2009, 11:32 PM
Khuda karay ke meri arz-e paak pe utray woh fasl-e gul
ke jis ko koi andaisha-e zawal na ho
Yahan jo phool khilay woh sada khila rahay
yahan khizan ko guzarnay ki bhi majal na ho
Yahan jo sabza ugay, woh hamesha sabz rahay
aur aisa sabz ke jis ki koi misaal na ho
Khuda karay ke mere ik bhi ham-watan ke liye
hayat jurm na banay, zindigi wabaal na ho.

ShArArTi MuNdA
03-20-2009, 08:00 AM
aap sab ka pasand kerney ka bohat bohat shukriya
&
keep visiting

ShArArTi MuNdA
03-20-2009, 08:17 AM
ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho
maine maana ke tum ik paikar-e-raanaee ho
chaman-e-daher mein rooh-e-chamanarayee ho
tallat-e-meher ho firdaus ki barnai ho
bint-e-mehtaab ho gardoo se utar aayee ho
mujhse milne mein abandesha-e-ruswaayee hai
maine khud apne kiye ki ye saza paayee hai
ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho

un dino mujpe qayamat ka junoon taari thaa
sar pe sarshaari-o-ishrat ka junoon taari thaa
maahpaaron se mohabbat ka junoon taari thaa
shehri yaaron se raqabat ka junoon taari thaa
bistar-e-makhmal-o-sanjaab thee duniya meri
ek rangeen-o-haseeN khwaab thee duniya meri

kya sunogi meri majrooh jawaani ki pukaar
meri fariyaad-e-jigar doz mera lala-e-zaar
shiddhat-e-kard mein doobi huyee meri guftaar
main ke khud apne mazak-e-tarabgee ka shikaar
wo gudaaz-e-dil-e-marhoom kahan se laaoon
ab mein wo zazba-e-masoom kahan se laaoon

ShArArTi MuNdA
03-20-2009, 08:18 AM
Raat kay pichlay pehar
uss ki shab bedar aankhoon main
nami ka ahsas uss kayy dil ka haal
bata raha tha
un aankhon main chayay surk doray
uss ki haya ki surkhi nahin
uss kay dil kay haal ki gahmaz thee
lekin shabash aay larki
tu nay usay kitni khobsorti say
apnay dil ka haal
aankhoon main chupa lia.

ShArArTi MuNdA
03-20-2009, 08:25 AM
Bohat Chup Chup Sey Rehtey Ho…
Na Bantey Hoo, Sanwertey Ho…
Na Koi baat Kartey Ho…
Bharee Mehfil Main Bhi Aksar!
Hamesha Khoye Rehtey Ho…
Udasi Ankh Main Bharr Kar…
Har Ik Chehrey Ko Taktey Ho!
Koi jab Yaad Ata Ha…
To Thandee Aah Bhartey Ho!
To Khul Kar Kyun Nahin Kehtey…
Kisi Sey Pyaar kartey ho ……

ShArArTi MuNdA
03-20-2009, 08:26 AM
Dard ki raah hai
har taraf hai andhere koi raasta bhi nahin?
Hum ne apno se hi chot aisi khai hai
baat gairo ki hoti to dil yeh tadpta bhi nahin?
robaro baitha hai koi apna magar apna bhi nahin?
Jiski khatir hum aaye the akele yaha tak
Raaste bhar main uska koi nishan bhi nahin?
Ajnabee hai yeh shair ajnabee hai yeh log
Mera apna jo yaha chopa hai WO dikhta bhi nahin?
Hum akele chale to koi saath na tha
Teri hasrat kare ruswa mujhe
Raaz aisa hai ke chupta bhi nahin?
Itne gham sine main hum ne chupai hai
Ke ab aasoo bhi sukha hai jo barasta bhi nahin?

ShArArTi MuNdA
03-20-2009, 08:29 AM
Kisi Ko Dost Ki”Sachai”Maar Deti Hai..
Kisi Ko Dard Ki"Ghehrai"Maar Deti Hai..
Bagiar Kisi Dost Ke Koi"Jee"Nahi Sakta..
Jo Jee Jaye Usay"Tanhai"Maar Deti Hai
Bhool Jaane Ka Tujhe Koi Erada Na Tha..
Tere Siva Kisi Se Kiya Vaada Na Tha..
Nikaal Dete Dil Se Shayad Tumhein Hum..
Per Kya Krein Is Dil Mein Koi Darwaza Na Tha..

ShArArTi MuNdA
03-20-2009, 08:31 AM
aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahiin ho to har Khushii kam hai

vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahin
shahar me.n aaj raushanii kam hai

jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chandanii kam hai

aainaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai

tere dam se hii main mukammal huun
bin tere terii 'Yamini' kam hai

ShArArTi MuNdA
03-20-2009, 08:33 AM
aadatan tum ne kar diye vaade
aadatan ham ne aitabaar kiyaa

terii raahon me.n baarahaa ruk kar
ham ne apanaa hii intazaar kiiyaa

ab naa maange.nge zindagii yaa rab
ye gunaah ham ne ek baar kiyaa

ShArArTi MuNdA
03-20-2009, 08:38 AM
To tum jaante ho
Ki sirhaane rakhi kitaab ka
Ek bhi panna nahin palta mein ne
Yeh bhi jaante ho
Ki raat bhar mein ne
Palak bhi nahin jhapki
Aur bistar par padi chaadar ne
Apni kahani bataaye hogi
Kaise sehti rahi mujhe
Har karvat
Raat ke har pal, har pehar
Phir bhi tumhaari aankhon mein yeh sawaal
Shaayad tum bhool gaye ho
Waffa ke maane.

ShArArTi MuNdA
03-20-2009, 08:39 AM
jis per jabi jhukai thi wo dar talash kar
jis ghar ko tune choda hai wo ghar talash kar

chandi na sona heera na gohar talash kar
uqba me kaam aaye wo zevar talash kar

khamosh ho gaya ho samandar ki tarah mai
hai muztarib jo karna to kankar talash kar

'kehne pe tere maan ko bhala kaise chod do'
'tu aisa kar k dusra shohar talash kar'

pardais me sukoon kise milta hai 'Ali'
chain-o-sukoon apne hi ghar per talash kar

ShArArTi MuNdA
03-20-2009, 08:40 AM
Khizan Ki Aahton Main..
Zard Patton Ka Maatam,
Lipat Kr Tehniyon Se,
Sard Jhonkon Ka Maatam,
Kabhi To Sun Shab E Hijraan,
Meri Aahon Ka Maatam,
Kisi Gehray Samandar Ki Trha Hai,
Mere Hamdam Meri Aankhon Ka Maatam,
Wo Zarra Zarra Bikhra Ja Raha Hai,
Mere Andar Mere Sanson Ka Maatam,
Kabhi Dil Se Zraa Sun To Sanam Tu,
Tere Andar Tere Wadon Ka Maatam,
Sitamgar Tu Kabhi To Daikh Aake,
Shab E Hijraan Mere Khabon Ka Maatam,
Khizan Ki Aakhri Shab Ma,
Qiyamat Khaiz Un Subhon Ka Maatam,
Ma Dasht E Zulmat E Shab Ma Bohot Tanha Khara Hoon,
Hai Mere Sang Ab Mere Yaro,
Chand Raaton Ka Matam,
Meri Aankhon Ma Raqsaan Hai,
Meri Neendon Ka Maatam,
Sabar Ka Kafan Oorhay So Gai Jo,
Kray Ab Kon Un Logon Ka Maatam..

Khizan Ki Aahton Main..

ShArArTi MuNdA
03-20-2009, 08:42 AM
Wo hosla hai ke jiski koi misal nahi
Thakan se choor badan hai mgar nidhal nahi

Maza to jab hai hawa ho tumhare qabu main
Hawa ke dosh pe urna koi kamal nahi

Tumhari doosti shayad ke torde dil ko
Is ayene pe abhi tak to koi baal nahi

Sukun se hain yahn ahl e sabr hi warna
hawas naseeb jahan main kahin bahal nahi

sada rahenge sheedon ke sar buland ufaq
ye wo urooj hai jisko koi zawal nahi

ShArArTi MuNdA
03-20-2009, 08:42 AM
Waqte hazir mae teri yaad mujhe aa hi gai
Maine chaha bhi ye kab tha ki bhula doon tujhko

Tujh sa naadaan musafir nahin dekha maine
Ab bhatak ja to main manzil ka pata doon tujhko

Kyon gila kerta hai nahaque meri majboori per
Khud sambhal jaaon to sochoon ki sambhaloon tujhko

Main to maikash bhi nahin houn ki chaloon maikhane
Teri khwahish ho to nazron se pila doon tujhko

Tune gulzaar bana li teri duniyan lakin
Main to ek khwar hoon aa yaaddila doon tujhko

Jaane wale kabhi laute kabhi na bhi laute
Tu to aayega magar haath hila doon tujhko

ShArArTi MuNdA
03-20-2009, 08:44 AM
Paighaam
Meri jan main ne ek din tumhari taraf
Teen rangon bhari titlian bhej kar
Un se yeh tha kaha
Jab voh so kar uthe
To surkh aik pyara sa khilta gulab
Uske chehray pe rakhna
Aur nargis ki kalyan kai tor kar
Us ke jadoo bharay
Jagmatay hue
Donon nainon ke beech is tarah dalna
Jab khulay aankh us ki
To kalian khilain
Aur phir us ke hathon me
Suraj ki nili kiran dal kar
Us se kehna
'Subah dam khair ho'
Aik banda koi
Aik muflis koi
Aik majnoon koi
Ap kay teer-e-mizgan ki zad par yunhi
Mar na jae kahin

Phir twatur se mausam badalte rahay
Ham bhi charon taraf titlian dhoondte
Apnay hissay ka darman samatay hue
Apni dhun main magan
Dil main teri thakan
Lay ke chaltay rahe

Aaj teenon woh rangon bhari titlian
Laut kar aai hain
Kuch batanay mujhe
Par main kaisay kahun
Aur kis se kahun
Teer chal bhi gaya
Main to mar bhi gaya......

ShArArTi MuNdA
03-20-2009, 08:45 AM
Wahshatein hain char soo raqsaan terey janey key baad
sooni sooni hain bharee galiyan terey janey key baad

Keya bataoon Jaan ko meree kaisey kaisey rog hein
Kis qadar hey zindagee weeraan terey janey key baad

Chandnee pheekee paree hay chand bhee hey dam ba khood
Thum gayee hay gardish-e-doraan terey janey key baad

Tha yaqeen mujh ko tumharey lot aaney ka magar
phir bhee shabnam thee sar-e-mizgaan terey janey key baad

hum ney mana din gham-e-doraan mein kut hee jaey ga
kis tarah beetey shab-e-hijraan terey janey key baad

hey muzayyan dard key lafzon say afsana mera
kon hay is dard ka darmaan terey janey key baad

mein zamaney key bhanwar mein beh gaya bey dast-o-pa
reh gaya Ali tahee damaan terey janey key baad

ShArArTi MuNdA
03-20-2009, 08:45 AM
voh na aaye.nge yeh ilm hai mujhko
phir bhi mai.n intizaar karta hoo.n
khoob vaaqif hoo.n mai.n haqiqat se
par tassavvur se pyaar karta hoo.n

sanam koyi khuda nahi.n hota
ahl-e-eemaa.n ka yeh aqeeda hai
mai.n magar ek butt ka shaida hoo.n
usko sajade hazaar kartaa hoo.n

be-rukhi ban gayi hai khoo jiski
voh jisko zauq-e-bewafaayi hai
usi zaalim se dil lagaane ki
mai.n khataa baar baar karta hoo.n

apni nadaani pe naazaa.n hoo.n
apni saadgi pe pashemaan nahi.n
mujhko duniya ke dhab nahi.n aate
is ka mai.n iftikhaar karta hoo.n

mujhko koyi bura nahi.n dikhta
sab hi maasoom jaan padate hai.n
laakh dhoke phareb kha kar bhi
mai.n sab pe aitbaar karta hoo.n

ShArArTi MuNdA
03-20-2009, 08:46 AM
Ata karega woh sab kuch dua nahin mangi
kisi amal ki khuda se jaza nahin mangi

Namaz e ishq ada hogi kis terhan janan
shab e wisal ki tumne dua nahin mangi

Jo apni maan ki judai ko sah gaya hans ker
kabhi tabeeb se lekin dawa nahin mangi

Humen ******* bharosa hai apne malik per
isi khayal se humne rida nahin mangi

ShArArTi MuNdA
03-20-2009, 08:47 AM
Teri ankhain hain zindagi meri
Teray khatir hai shairi meri

Mein yeh samjha bahar ayi hai
Tujh pe jab bhi nazer padi meri

Jitna tujh se qareeb hota houn
Utni badhti hai tashnagi meri

Sham-e-ghum main teray badan ki mahek
Duniyan abad ker gayi meri

Teri ankhain hain zindagi meri
Teray khatir hai shairi meri

ShArArTi MuNdA
03-20-2009, 08:47 AM
Sakot tod doun lab kholne to de mujh ko
Bara-e-naam sahi bolne to de mujh ko
Mein teray husen teray perahan ki baat keroun
Teri nigah teray bankpan ki baat keroun
Shab e wisal ki pehli kiran ki baat keroun
Teray khayal teri anjuman ki baat keroun

Khud apne hone ka kuch to pata chale mujh ko

Main sonchta houn shab e ghum dhal bhi sakti hai
Muqadaroun ki yeh duniyan badal bhi sakti hai
Tu do khadam meray humrah chal bhi sakti hai
Kabhi yeh mom ki mariyum pighal bhi sakti hai
Hai intezar e saher aaj din dhale mujh ko


Sakot tod doun lab kholne to de mujh ko
Bara-e-naam sahi bolne to de mujh ko

ShArArTi MuNdA
03-20-2009, 08:48 AM
" Mujhe wo door apnay se kabhi hone nahein deta
Wo meri neend ka dushman mujhe soney nahein deta

Wo jis se piyar hota hai wohi humko rulata hai
Jo hum se piyar karta hai hamain roney nahein deta

Yeh sach hai main zamanay se alag gum sum sa rehta hon
Magar main aapko ankhon se gum hone nahein deta

Bicharte waqt tumne yeh kaha tha huns ke ji lena!
Tumhara beraham wada mujhe ronay nahein deta

Ajub ek kash makash main usney mujhko daal rakha hai
Wo mera hai magar apna mujhe honey nahein deta

Zamaney se alag sub se chupa kar dil main rakha hai
Khazana aapki yadon ka main khoney nahein deta

Khuda ne kuch na kuch Mutrib hamaray bus main rakha hai
Magar wo apni marzi ke bina honay nahein deta "

ShArArTi MuNdA
03-20-2009, 08:54 AM
My FaVrT

" Usney kaha mujh se !
Main tum bin ji na paoungi
Main sach much toot jaoungi
Zamana chor doungi !
Khud se janan rooth jaoungi


Main ne kaha us sey !
Agar main mil gaya tumko
To is se farq kiya hoga ?
Mohobat main hamesha jo mila hai
Wo juda hoga !


Usney kaha mujh se!
Agar tum mil gaey mujhko
Main yeh duniya bhula doungi
Tumhare naam pe apna main ye jiwan bita doungi
Tumhari zindagi ka main her ek lamha saja doungi
Tumhara marte dum tuk sath doungi jan luta doungi


Maine kaha us se
Meri jan sach kahon tumse
Yeh wade, sapne, jhoote hain
Hamain tanha hi rehna hai
Saharey apne jhootay hain
Ager main mil gaya tumko
Mujeh tum chor jaugi
Mera dil keh raha hai tum !
Mera dil tor jaugi


Usney kaha mujh se !
Ager tum mil na paey to
Main aisa kar bhi sakti hon
Tumhare bin adhuri hon
Main janan mar bhi sakti hon

Main ne kaha us se !
Yeh janan sub hi karte hain
Safar main sub bicharte hain
Bichar kar log martey hain
Mujhe tum ji k dikhlao !!!!

ShArArTi MuNdA
03-21-2009, 08:46 AM
dil mein ho zaroorat to mohabbat nahi milti,
khairat mein itni badi daulat nahi milti.
kuch log un hi shahar mein humse khafa hain,
har ek se to apni tabiyat nahi milti.
dekha tha jise maine koi aur tha shayad,
vo kaun hai jisse teri surat nahi milti.
haste huye chehron se hai baazar ki zinat,
rone ko yahan vaise bhi fursat nahi milti.

ShArArTi MuNdA
03-21-2009, 08:53 AM
Shayari Sach Bolti Hai
Laakh Pardon Main Rahoon Bhaid Meray Kholti Hai
Shayari Sach Bolti Hai
Main Nay Dekha Hai Jab Meri Zaban Dolti Hai
Shayari Sach Bolti Hai


Tera Israar K Chahat Meri Bay-Taab Na Ho
Waqif Is Gham Say Mera Halka-e-Ahbaab Na Ho
Tu Mujhay Zabt Kay Sehraoon Main Kion Rolti Hai
Shayari Sach Bolti Hai


Yeh Bhi Kya Baat K Aik Chup Chup Kay Tujhay Pyar Keroon
Gar Koi Pooch Hee Bethay Tou Main Inkaar Keroon
Jab Kissi Ki Baat Ko Dunya Ki Nazar Tolti Hai
Shayari Sach Bolti Hai


Main Nay Is Fiker Main Kaati Kayi Raaten Kayi Din
Meri Shayri Main Tera Naam Na Aaye Laikin
Jab Teri Saans Meri Saans Main Ras Gholti Hai
Shayari Sach Bolti Hai

ShArArTi MuNdA
03-21-2009, 08:54 AM
Masoom mohabbat ka bas itna sa fasaana hai,
Kaagaz ki haveli hai, baarish ka zamaana hai,

Kya shart-e-mohabbat hai, kya shart-e-zamaana hai,
Aawaz bhi zakhmi hai, aur geet bhi gaana hai,

Uss paar utarne ki ummeed bahot kam hai,
Kashti bhi purani hai, toofan ko bhi aana hai,

Samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke,
Ek shaqs ko aakhon se, ek sher sunaana hai,

Bholi si adaa, koi phir ishq ki zidd par hai,
phir aag ka dariya hai, aur doob ke jaana hai।

SHAYAN
03-23-2009, 08:16 PM
Gr Bro..

ShahTaJ
03-23-2009, 10:16 PM
:super: collection
keep it up

ShArArTi MuNdA
03-24-2009, 08:36 AM
Thanks Guys

Nida-H
03-24-2009, 01:18 PM
very nice..keep sharing !!!

life
03-25-2009, 03:12 AM
nice............

ShArArTi MuNdA
03-25-2009, 04:38 AM
Thanks Ruby n life

life
03-25-2009, 07:27 PM
bohat khob.............

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 11:48 PM
Meri zindagi ki kitaab wo

Mery haar sawaal ka jawaab wo

Mein usay parhoo ga tumam umar

Meri hyaat ka nisaab wo

Meri haar duaa us ke liy

Meri ebadaaton ka sawaab wo

Mein sara din usi mein magan

Meri haar raat ka khuwab wo

Likhun aur kya mein us ki zaat paar

Mein likhon kia uske zaat per

Meri zindagi ka raaz wo

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 11:49 PM
wisal rut ki ye pehli dastak hi serzanish hai
ke hijhar ke mausam ne raste raste safer ka aghaz kia
tumhare hathoon ka lams jab bhi meri wafa ki hathelion per hina bane ga
to soch loon gi
rifaqtoon ka sunehra suraj gharoob ke imtehan mein hein
hamre baghoon se ger kabhi titlion ki khushbo guzar na paye to ye na kehna
ke titlion ne gulab raste badl liye hein
agar koi sham yoon bhi aye ke jis mein hum tum lagein parye
to jaan lena
ke sham bebas thi shab ki tarekion ke haton
tumhari khwahish ki muthian bedehanion mein kabhi khulein too yaqeen karna
ke meri chat ke jugnaon ne
tumhar hathon ke lams-e-taza ki khwahshon mein
bare ghaneer andhere kate
magar ye khadshe , ye waswase to takalfan hein
jo beiradha safar pe niklein
to ye to hota hai, ye to ho ga
hum apne jazbon ko manjmand rayganion ke supard ker ke
ye soch lein ge
ke hijhar ka mausam to wasal ki pehli sham se hi
safar ka aghaz ker chuka tha

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 11:51 PM
shikan chup hai
badan khamosh
galoon pe wasi tamtmaht bhi nahi, lakin mein ghar se kaise niklon gi
hawa chanchal saheeli ki tarha bahir khari hai
dekhte hi muskrye gi
mujhe cho ker teri her baat pa le gi
tujhe mujh se chura le gi
zamane bhar se keh de gi mein tujh se mil ker ayi hoon
hawa ki shokhian ye
aur mera bachpana aisa
ke apne ap se bhi mein
teri khushbo chupati phir rahi hoon

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 11:52 PM
najane kin gham ke jugnaon ko chupaye phirti hai muthion mein
kayi dino se udas rehti hai ik ladki sahalion mein

kabhi too yoon ho mohabtoon ki mithas lehjon mein ghol dekhein
guzarti jati hai umar sari udas batoon ki talkhion mein

hamein khabr hai hawa mahalif roshani ke peyamber ki
charagh phir bhi jilaye rakhte hein hum mohabat ke andhion mein

ye jante hein ke teri fitrat wafa se na ashna hai phir bhi
teri tarf se lagye rehte hein apne dil ko tasalion mein

kabhi kabhi to mohabtoon ke yaqeen lehjhe mein guftagu ho
kahi too mera bhi naam aye teri wafa ki kahanion mein

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 11:53 PM
Aesa nahi k ham ko Muhabat nahi mili
han jesi chahty thy wo Qurbat nahi mili

Milny ko zindagi main kai hamsafar mily
lakin tabiyaton se tabiyat nahi mili

Chehron k her hajoom main ham dhondty rahy
Sorat nahi mili kahin seerat nahi mili

wo yak bayak mila to bohat der tak hamen
alfaz dhondny ki bhi muhlat nahi mili

os ko gila raha k twajja na di osy
lakin hamen khud apni rifaqat nahi mili

her shaks zindagi main bohat der se mila
koi bhi cheez hasb-e-zarorat nahi mili

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 11:54 PM
Duniya se wafaa kar ke sila dhoondh rahe hain
Hum log bhi nadaa’n hain kya dhoondh rahe hain

Yeh bhi tau sazaa hai keh giraftaar-e-wafaa hoon
Kyun log Mohabbat ki sazaa dhoondh rahe hain

Kuch deir tehar jaa aye banda-e-insaaf
Hum apne gunaahon mein khata dhoondh rahe hain

Duniya ki tamanna thi kabhi hum ko bhi Ali
Ab zakhm-e-tamanna ki dawaa dhoondh rahe hain

Jhuki Palkein
03-29-2009, 12:46 AM
Superb!!

Keep Up The Good Work Janab :)

ShArArTi MuNdA
03-29-2009, 12:59 AM
Superb!!

Keep Up The Good Work Janab :)


Pasand kerney ka shukriya janab

keep visiting :)

life
03-29-2009, 02:38 AM
v nice...........

ShahTaJ
03-29-2009, 03:26 AM
very nice

life2
03-30-2009, 11:22 PM
Hota Kaise Unhe Gam Hamari Ruswai Ka
Jab Fark Pada Hi Nahi Unhe Hamari Judai Ka
Khamoshi Se Saha Hamne Jab Har Gam
To Ilzam Laga Diya Hum Per Bewafai Ka

ShArArTi MuNdA
03-31-2009, 03:27 AM
Thanks All for lykin it

ShArArTi MuNdA
03-31-2009, 05:40 AM
~*~BHOOL JANA~*~

Usey Main Bhool Jnana Chahta Hoon
Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin


Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Mian Un say Jaan Churana Chahta Hoon



Woh Sab Tohfay Woh Sookhey Phool Sarey
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon
Main Utna Pass Aati Hoon Tumharay
Main Jitna Door Jana Chahta Hoon


Marey Hamdam,Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta hoon
Ubharney Ki Koi Khahish Nahin Hai
K Ab Main Doob Jana Chahta Hoon

ShArArTi MuNdA
03-31-2009, 06:33 AM
yeh hadden na torh dena, mery dayray me rehna
mujhe apne dil me rakhna mere hafzay me rehna

mera boojh khud uthanaa, mera qarb app sehnaa
mere zakhm bant lena mere ratjagay me rehnaa

mere manzroon me basnaa mere guftguu me hona
mere lams ko samjhna mere zayqey me rehnaa

mera hukam khud sunana meri mohar khud lagnaa
mery mashwary me hona mere faislay me rehnaa

kabhi manzaloon ki surat meri dastras se bahir
kabhi san e miil ban kar mere rastay me rehnaa

mere hahth ki lakireen tera nam ban kar cahmken
mere khawishoon ki khushboo, mere zaychy me rehnaa

ShArArTi MuNdA
03-31-2009, 06:37 AM
Tanhayi hai pyar mein

Barbadi hai pyar mein

Aasoo hai pyar mein

Bebasi hai pyar mein

Ghum hai pyar mein

Haar hai pyar mein

Hume sab pata hai

Magar kya kare ..

Hum bhi hai pyar mein.

ShArArTi MuNdA
03-31-2009, 06:37 AM
Aankhen jab bhi band ki,ek chehra roshan hota paaya,
Tumko jab jab dekha.. mujhe bas Khuda yaad aaya..

Dil ki dhadakti gahraiyon se jaise yeh ahsaas ubhar kar aaya,
Tumko jab jab dekha.. mujhe bas Khuda yaad aaya..

Haath ki saari lakiron se bas tumhara naam banta paaya,
Tumko jab jab dekha.. mujhe bas Khuda yaad aaya…

Hothon ki muskanon ki wajahon mein bas tumko paaya,
Tumko jab jab dekha.. mujhe bas Khuda yaad aaya..

Zindagi ki har rah ko tum tak khatam hote paaya,
Tumko jab jab dekha.. mujhe bas Khuda yaad aaya…

Tum par likhi har ghazal ko ek ibaadat bante paaya..kyonki..
Tumko jab jab dekha.. mujhe bas Khuda yaad aaya…..

ShArArTi MuNdA
03-31-2009, 06:38 AM
Main nay haq-e-mohabbat ada kiya
na kabhi ksii say gila kiya
mujhay ajab is ka sila mila
mujhay dil say us nay bhula diya
muhabbaton ki kitaab ka,,,
har ik warq jala diya
wo jo arzoo ka charagh tha
usay nafraton nay bujha diya
mujhay zakhm phir ik niya dia
mujhay is mohabbat nay kiya diya?
wo jo kahta tha tum khush raho
wo jo kahta tha tum jan ho
woh jo kahta tha tum hansa karo
mujhay aj us nay rula diya
mera naksh tak mita diya……..

ShArArTi MuNdA
03-31-2009, 06:39 AM
Dilber ne kaha aik roz dilruba se
kabhi milo tum mujhey is adda se
nazar aaey esse rukh-e-zeba tera
chand nikalta hey jesse kali ghata se
kab tak tarsoon mein deed ko teri
kar lo toba ab tu tum bhi jafaa se
mana keh sharam hey hayaa ka taqaza
esse tu nah imtehan lo mujh se sharma ke
churra ke daman kahan tak jaogey tum
maang liya hey meine tumko apne Khuda se
waqt ne kar diya tum ko mujhse door
rahoon ga ik roz sab fasle mein mita ke
seiaha andheri raat mein sochta hoon kash
tum bhi aa jao ab sharm-0-haya bhula ke
chat pe makan ki apne muntazir hey tera jimmi
aao mil bethein aaj tu hum chupp chuppa ke

ShArArTi MuNdA
03-31-2009, 06:39 AM
wahan sahilon ki rait py,basharaton ka charagh bhi hai jala huwa
wahan haath meray bandhay huway mera badba’n chida huwa

gayee sa’aton ki talash main mera harf harf bikhar giya
kahin teray nam ka shair bhi,meri bayaz-e-jan pay likha huwa

meri poor poor pay titliyan,kai rang chor k ja chukin
teray zikar ka koi phool tha,meray ratjagon main khila huwa

usay rait rait main khojna usay lehr lehr main dhoondna
koi shehad sa tera ehad tha,inhi sahilon pay likha hwuwa

nay mausmon k khraam bhi nay lams raas na a sakay
main yah aitraaf kahan karon,tera mu’atbar tha kaha huwa

kisi mor naach ka rung bhi teri aankh ko na lubha saka
koi zard zrad sa khwab tha,teri putlion main kkhuda huwa

kisi or ufak ki sadaon par wo udaas koonj chali gai
meri JHEEL ankh na sochna,kabhi A SAKA HIA GIA HUWA?

kisi hijr shaal ki dhajiyan mujhay somp kar woh chala giya
woh dhanak dhanak say kata huwa,wo kiran kiran say buna huwa

ShArArTi MuNdA
03-31-2009, 06:44 AM
Mujhe kehna hai bohot, meri ek ankahi kahani hai,
Kaise mein kahu sab, mere lavz ab mujhse hi bemani hain !

Ek ek zarra jorkar maine socha ki kuch aaj kehdun..
Magar aisi zarre ki kafiyat jaise bair meri uski purani hai !

phir poocha zindagi se tu kyun itni bebas khadi hai..
Ek qatra bahaya usne aansu,nahin bachi usme zindagi hai !

phir kadam aur badhe, dhunda kuch apno ko..
Haath badhaya parr dekho wahan bhi masumiyat badi hai !

phir dekha uss aasma ki aur, suna hai uski daulat badi hai,
Ab kya usse poochon, zindagi toh uski hi dee hui hai !

Fakat ek chhoti si zindagani hai usme bhi kitni kahani hain…
Iss rah k hum nahin rahi fir bhi kadmo se yahan dhool udani hai !

Murr k dekha unn panno pe jahan apni kahani sunani hai..
Kaun Chura le gaya mere lavz,sukhi syahi se ibarat banani hai!!!

ShArArTi MuNdA
03-31-2009, 06:44 AM
Jane kya kya na mere bare me socha hoga
rasta aj b usne mera dekha hoga

ye guma b na tha es dooor me aaysa hoga
kabar ka aaina har shakhs ka chehra hoga

mooor sooone ka kareedenge kisi ke baccche
daste eeflas me mitti ka khilona hoga

phir zamane ke kari dhup ka hoga aahsaas
sar pe MA BAAP ka jis roz na saaya hoga

wah agar chup hai to kyn chup hai koi pooche to
dil kisi bat pe aapno se tuuuta hoga….!

ShArArTi MuNdA
03-31-2009, 06:45 AM
is tarah nahin kartay rabta to rakhtay hain
thora milnay julnay ka silsala to rakhtay hain

manzalain buland hon to mushkalain b ati hain
mushkilon say larnay ka hosla to rakhtay hain

jo tumharay apnay hon tum say piyaar kartay hon
un ka hal kaisa hai?kuch pata to rakhtay hain

dosti k rishtay ko tortay nahin aisay
roothay doston say b wasta to rakhtay hain

chor janay walay aksar laot kar b atay hain
lot kar wo anay ka rasta to rakhtay hain

ShArArTi MuNdA
03-31-2009, 06:46 AM
tujhay roz daikhon kareeb say
meray shoq bhi hian ajiib say

mujhay mangna hia tujhi ko bus
apnay rub aur us k habib say

meri ankh main bhi hai ajizi
meray khwab bhi hain ghareeb say

meray sub dukhon ki dawa ho tum
milay kiya sukoo’n phir tabib say

main bohat khush honn jor kar
nasib apna teray nasib say

Jhuki Palkein
03-31-2009, 11:11 PM
Behad Umda Posts,.

Keep It Up!

ShahTaJ
03-31-2009, 11:29 PM
zabardast

A L i
03-31-2009, 11:49 PM
very Nice collection

ShArArTi MuNdA
04-01-2009, 03:55 AM
Thanks all of you

dur-e-shahwar
04-01-2009, 04:30 AM
bhotttttttttt acheeeee

life2
04-01-2009, 11:28 PM
Dua Mile Bando Se Khushiyan Mile Jag Se
Sath Mile Apno Se Rehmat Mile Rab Se
Zindagi Me Ap Ko Be Panah Pyar Mile
Kush Rahe Ap Duniya Mein Ziyda Sub Se

life
04-02-2009, 11:28 PM
v nice............

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 03:26 AM
thanks radika..life2 n life

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 05:06 AM
Mohabbat main deewangi zaroori hai
Mohabbat saare
Rishte naate torr
deti hai
faqat ek Dil se
Rishta jorr leti hai
Mohabbat ki haddein hoti nahi
Haddon ko torr dena
Is ka shewa hai
Agar tumhain mujh se
Mohabbat hai to phir
Yeh rishte naaton ki
Bandishein torrna hongi
Agar aisa nahi karsakte to
Phir hum tum apni khuwahish ke
Khilone torr dete hain
Dilon ko morr lete hain
Mohabat chor detey hen…!!!

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 05:07 AM
Titliyon k mausam main
nochna gulabon ka

reet iss nagar ki hai
aur janay kab se hai

sheher k ye bashinde
nafraton ko bo ker bhi
intazar kerte hain
fasl ho mohabbat ki

bhool ker haqeeqat ko
dhoondna sarabon ka

reet is nagar ki hai
aur jane kab se hai

abhi tum naye ho na
isi liye pereshan ho
aasman ki jaanib
iss tarha se mat dekho

aafatain jab aani hoon
tootna sitaroon ka

reet iss nagar ki hai
aur jane kab se hai

khamshi mera sheva
guftagoo hunar uss ka
meri begunahi ko
loag kese manain gay

baat baat per jab k
maangna hawalon ka

reet iss nagar ki hai
aur jane kab se hai

ajnabi fizaoon main
ajnabi musaafir se
apne har ta’aluq ko
daayemi samajh lena

aur jab bichar jana…
mangna duaaoon ka

reet is nagar ki hai
aur jane kab se hai

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 05:08 AM
khiza’n ki udaas subha mein
sardion ki shaamon mein…
Aas barhnay lagti hai
un-kahay say jazbon ki
piyaas barhanay lagti hai
baykali udaasi si
baychain kiyey rakhti hai
kissi kay sath ki, Dil ko
tamanna honay lagti hai
yoonhi qadam say qadam mila kar…
kissi kay sath chalnay ko
kissi ka hath thamay…
dheeray say,
Dil ki baat karnay ko,
apna yaqeen dilanay ko
kissi ka yaqeen karnay ko
kissi kay garam hathon ka…
haseen sa lamas panay ko
kissi ki mohabbat bhari ankhoon mein
khud ko khoj laynay ko
kissi ki narm muskurahat mein
khud ko bhool janay koo…
kissi ki mehekti khushboo mein
yoon masroor honay ko
kisi kay Dil mein khud ko
dhondnay ko… jhaank laynay ko
kisi ki ankhoon ki gehri jheel mein,
Dil kay samander mein…
yaqeen ki lahar pay
aahista say… dheeray, dheeray say
tamaam gahraaiyo’n ko…
jaan laynay ko
Mohabbat ki seep mein Apna…
Ghar banaanay ko
Wafa kay noor say roshan aik
sacha mooti paanay ko
kissi kay naam pay sadiyaa’n bitaanay ko
kissi ki aas ka bin-baas lainay koo
kissi kay saarey jazbay jaan laynay ko
kissi ko saray jazbay soonp daynay ko
kissi kay gird apna
hisaar baandh daynay ko
kissi kay saath ka paband honay ko…
khawaahish honay lagti hai
Tamanna barhnay lagti hai
Sardiyo’n ki shaamon mein
narm garm jazbon ki
talab barhnay lagti hai
aas barhnay lagti hai
un-kahay jazbon ki
piyaas barhanay lagtti hai

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 05:08 AM
Kash Koi Samjha Day::
Guftugo Ke Lamhon Main
Dekh He Nahi Paatay
Ham Tumharay Chehray Ko
Tum Hamari Aankhon Ko
Aaj Aisa Kartay Hain
Chasm-o-lab Ko Parhtay Hain
Baat Chor Datay Hain
Jaane Kiya Lamha Hoga
Jab Ye Hath Hathon Say
Gar Kabhi Juda Hoga
Aaj Aisa Kartay Hain
Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain
Hath Chor Datay Hain
Kash Koi Samjha Day
Loag Kis Tarah Dil Ki
Manzilain Alag Kar Kay
Saath Chor Datay Hain
Aaj Aisa Kartay Hain
Bey-sabab Bikhartay Hain…!!!

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 05:08 AM
Hatheli samnay rkhna
K sub anso grain usmay
Jo ruk jaega honton per
Samjh Jana K Wo Hon Main

Kabhi jo chand ko dekho
To tum muskra dena
Jo chal jaye Hawa Thandi
To ankhein bund kr leena
Jo jhonka tez ho sub sey
Samjh Jana K Wo Hon Main

Jo zyada yad aoun main
To tum ro lena ge bhar k
Agar hichki koi ayay
Samjh Jana K Wo Hon Main

Agar tum bholna chaho
Muje shayed bhula do tum
magr jub sans lena tum
Samjh Jana K Wo Hon Main

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 05:09 AM
Kathan hay zindagi kitni…

Safar dushwaar kitna hay…

Kabhi paaoo’n nahee’n chaltay….

Kabhi rasta nahee’n milta….

Hamaara saath day paaey…

Koi aisa nahee’n milta…

Ager mai’n yoon guzaaro’n to…

Yeh shab-o-roz nahee’n kat’tay…

Mager aey mairay maalik…

Mujhay shikwah nahee’n tujh say…

Mai’n jaa’n pay khail sakta hoo’n…

Mai’n per dukh jhail sakta hoo’n…

Ager tu aaj hi ker day….

Mohabbat hum-safar mairi….!!!

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.