Humse na sahi gairo se sahi,
Tumhe dil ka lagana aa to gaya,
Duniya mein kisi ke ho to gaye,
Tumhe pyar nibhana aa to gaya,
Baithe ho kisi ke pehloo mein,
Aankho mein chamakta pyar liye,
Hum khush hai kisi ke jiwan mein,
Ye waqt suhana aa to gaya,
Phoolo ke khawaab dikhaye mujhe,
Aur dedi baharen auro ko,
Dil mera viran raha to kya,
Gul tumko khilana aa to gaya,
Duniya mein kisi ke ho to gaye,
Tumhe pyar nibhana aa to gaya..!!!
Main bhi kitni pagal hoon na
Sang hawa k urna chahoon
Titli ban kar nagri nagri
Gulshan Gulshan phirna chahoon
Phooloon k sab rang chura kar
Chunri apni rangna chahoon
Main bhi kitni pagal hoon na