Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#51)
![]() |
|
|||
Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila
Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila Wo Humsafar K Mere Tanz Pe Hansta Tha Bohat Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke Mila Mere Mizaj pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga K Mila Main Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani Ka K Wo Bhi Aaj Muje Apna Ghar Luta k mila Main jisko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste Main Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka K Mila Main Zakham-e-Zakham Badan Le K Chal Dia Wo Jab Bhi Apni qabar Per Kanwal Saja K mila
Ajab Tamasha-Gar Hain Matti k ye Putlay "SAQI"
Bewafai Karo to Rote Hain, Wafa karo to Rulate Hain |
Sponsored Links |
|
(#52)
![]() |
|
|||
ab ke rut badalii to Khushbuu kaa safar dekhegaa kaun ab ke rut badalii to Khushbuu kaa safar dekhegaa kaun
zaKhm phulon kii tarah mahaken gay par dekhegaa kaun dekhanaa sab raqs-e-bismal mein magan ho jaayei gay jis taraf se tiir aayegaa udhar dekhegaa kaun vo havas ho yaa vafaa ho baat mahruumii kii hai log to phal-phuul dekhein gay shajar dekhegaa kaun ham chiraaG-e-shab hii jab Thahare to phir kyaa sochanaa raat thii kis kaa muqaddar aur sahar dekhegaa kaun aa fasiil-e-shahar se dekhen Ganiim-e-shahar ko shahar jalataa ho to tujh ko baam par dekhegaa kaun
Ajab Tamasha-Gar Hain Matti k ye Putlay "SAQI"
Bewafai Karo to Rote Hain, Wafa karo to Rulate Hain |
(#53)
![]() |
|
|||
is se pahale ke bevafaa ho jaayein
kyon na ai dost ham judaa ho jaayein tuu bhii hiire se ban gayaa patthar ham bhii kal kyaa se kyaa ho jaayein ham bhii majaburiyon kaa uzr karien aur kahiin aur mubtalaa ho jaayiien ishq bhii khel hai nasiibon kaa Khaak ho jaayen kimiyaa ho jaayen ab ke gar tu mile to ham tujh se aise lipaTein terii qabaa ho jaayen .... bandagii ham ne chor dii hai 'Faraz' kyaa karein log jab Khudaa ho jaayen.
Ajab Tamasha-Gar Hain Matti k ye Putlay "SAQI"
Bewafai Karo to Rote Hain, Wafa karo to Rulate Hain |
(#54)
![]() |
|
|||
kahaa thaa kis ne ke ahad-e-vafaa karo us se
jo yun kiyaa hai to phir kyun gilaa karo us se ... ye ahl-e-baz tunak hausalaa sahi phir bhii zaraa fasaanaa-e-dil ibtidaa karo us se... ye kyaa ke tum hii Gam-e-hijr ke fasaane kaho kabhii to us ke bahaane sunaa karo us se ... nasib phir koii taqriib-e-qarb ho ke na ho jo dil mein hon vahii baatein kiyaa karo us se ... 'Faraz' tark-e-ta'alluq to Khair kyaa hogaa yahii bahut hai ke kam kam milaa karo us se ...
Ajab Tamasha-Gar Hain Matti k ye Putlay "SAQI"
Bewafai Karo to Rote Hain, Wafa karo to Rulate Hain |
(#55)
![]() |
|
|||
kis ko qaatil main kahun kis ko masiiha samajhun
kis ko qaatil main kahun kis ko masiiha samajhun sab yahan dost hi baithey hain kise kyaa samajhun.. vo bhii kyaa din the kii har vaham yaqien hota tha ab haqiqat nazar aaye to use kya samajhun dil jo Tuta to kai haath duaa ko uthe y aise maahaul mein ab kis ko paraayaa samajhun.. zulm ye hai ke hai yaqtaa terii beganaravi lutf ye hai ke main ab tak tujhe apana samajhun...
Ajab Tamasha-Gar Hain Matti k ye Putlay "SAQI"
Bewafai Karo to Rote Hain, Wafa karo to Rulate Hain |
(#56)
![]() |
|
|||
zehnon mein Khayal jal rahe hain
sochon ke alaoo se y lage hain duniyaa ki girift mein hain saaye ham apnaa vujud dhundty hain ab bhukh se ko_i kyaa maregaa mandi mein zamir bik rahe hain maazii mein to sirf dil dukhate the is daur mein zehan bhi dukhe hain sir kaatate the kabhi shahan_shaah ab log zubaan katatey hain ham kaise chur dein shab se daaman din niklaa to saaye chal paray hain laashon ke hujum mein bhi huss dein ab aise bhii hausaley kaisey hain....
Ajab Tamasha-Gar Hain Matti k ye Putlay "SAQI"
Bewafai Karo to Rote Hain, Wafa karo to Rulate Hain |
(#57)
![]() |
|
|||
|
(#58)
![]() |
|
|||
|
(#59)
![]() |
|
|||
THNX a lot boss shuker hey boss khush howey mery kam sey is ka matlub sallery r double hon k chances hein lolz.. ![]()
Ajab Tamasha-Gar Hain Matti k ye Putlay "SAQI"
Bewafai Karo to Rote Hain, Wafa karo to Rulate Hain |
(#60)
![]() |
|
|||
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
abhi, baaqi, chalo, deir, hamary, hey, kuch, safar, sath |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
KFC + khan baba hotel, sab kuch to hay hamary pass | -|A|- | Fun | 27 | 01-25-2011 05:09 PM |
Safar Mein Dhup To Hogi Jo Chal Sako To Chalo | !«╬Ĵamil Malik╬«! | Miscellaneous/Mix Poetry | 16 | 12-10-2010 10:14 AM |
~~ kuch deer hmare 7 chalo ~~ | umair8005 | Image Poetry | 5 | 07-22-2010 03:55 PM |
Abhi Kuch Dair Baaqi Hai | Ghuncha | Miscellaneous/Mix Poetry | 17 | 07-24-2009 05:14 PM |
Safar me sath | Hussain | Miscellaneous/Mix Poetry | 9 | 12-03-2008 06:54 PM |