![]() |
kuch deir tu sath chalo hamary k safar abhi baaqi hey.**
zarori nahi zarori nahi hey jo sahil ke geeli khunk ret per hath mein hath deye... safar or talatam key qissey sunaey.. jazery hawaon or undekhy mosam.. or aankh sey ojhal kinaron per bikhrey howey manzaroon, zaiqon, or rangon ke batein karey.. woh in waardatoon sey guzra bhe ho gar kahey Aao in pareshan moujon ka peecha karein.. jo tery or mery paoon ko chomti hein talatum ke bey naam manzil sey guzrein.. ye dekhien hawaien kesay dhondti hein to chalny sey pehly zra soch lena.... zarori nahi jo undekhy rastoon ke khabar sunaey woh in rasstoon ka shanasa bhe ho... kahien ye na ho jubh samandar mein tum usey dhondo woh sahil pey khara muskurata nazer aaey.....:( |
nyce sharing api
|
Ye Kya H :s |
mein usey kesay akle chor doon is raah mey sath jo chlata raha majborion k baad bhi.. ban k khushboo rach gaya hey yun mery ehsas mein door woh ho paya nahi doorion k baad bhi.. rafta rafta us ko bhe ye dunya raas aa gai muskura k woh mila hey ranjishon k baad bhi.. fasly kubh kam howey hein rabton k baad bhi ajnabi they ajnabi hein MOHABATON k baad bhe... |
Quote:
|
nice |
najaany keyon meri shairi ka unwaan ban jaty ho tum subh kuch janty howey bhe anjan ban jaty ho tum na koi rishta hey tum sey na koi talluk phir b najany keon mera maan ban jaty ho tum mein jo bhe likhta hun baat zra qareeny sey mera geet , meri shairi mera dewaan ban jaty ho tum dil sey jo nikalta hey labon pey aa k dam tour deta hey woh tamana ,woh husrat.woh arman ban jaty ho tum mein lakh keron koshish tum sey tark e talluk ke phir bhari mehfil mein meri pehchan ban jaty ho tum... |
nazer mein zakhme e tabsum chupa chupa k mila khafa tha woh mager mujh sey mukura k mila woh humsafar k mery tanz pey hasta tha bohat sitam zareef mujhy aina dikha k mila mery mizaaj pey heran hey zindagi ka shaoor mein apni mout ko aksar galey laga k mila main us sey mangta keya khoon baha jawani ka k woh aaj mujhy apna ghar luta k mila mein jis ko dhoond raha tha nazar k raasty mein mujhy mila bhe tu zalim nazar jhuka k mila mein zakhme e zakham badan ley k chal deya woh jubh bhi qabar per qanwal saja k mila.. |
nice
|
nyc
|
All times are GMT +5. The time now is 01:23 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.