Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
|
(#1)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Jab Bhi khushboo sa mere dil ne bikharna chaha
Rang Phoolon ne mere khoon mein bharna chaha Rah mein soch ki deewar uthaa di usne Uljhanon se jo kabhi meine guzarna chaha Meri taqdeer se wo baab’e'asar band mila Jab dua’on ke parindon ne uterna chaha Chal diya saath hi mere teri yaadon ka hujoom Rah se zeest ki tanha jo guzarna chaha Jaal phela diye kya kya mere andeshon ne Jab bhi lamhaat ki mojon mein uterna chaha
Ɖσ ʏσʋ ℓσѴɛ мɛ? Ƥℓɛαƨɛ ℓιɛ αи∂ ƨαʏ... ʏɛƨ... ![]() |
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Ye nahi ke saare jahan men mujhe humsafar nahi mila
Sabhi Aitabar ke sath the koi muatabar nahi mila Meri nabz choo ke to dekhta ke shikasta dil ki sada hai kya Mera la-ilaaj marz na tha, koi charagar hi nahi mila Kabhi sheher chaan liye gaye kahin khaimey taan liye gaye Jise dekhta tha men khwaab men, mujhe wo nagar hi nahi mila Mujhe wo makee'n hi nahi mile jinhen meri zaat se piar ho Jise apna ghar men samajh sakoon, mujhe aisa ghar hi nahi mila Raha muztarib mera shoq bhi, mera sajda karne ka zauq bhi Mujhe sang-e-rah to bohut mile, tera sang-e-dar nahi mila Sabhi apne apne giroh ke, ghum arzoo ka shikar the Kise men dikhata ye zakhm-e-dil, koi deeda-war hi nahi mela
Ɖσ ʏσʋ ℓσѴɛ мɛ? Ƥℓɛαƨɛ ℓιɛ αи∂ ƨαʏ... ʏɛƨ... ![]() |
(#3)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Raat k khwaab sunain kis ko, raat k khwaab suhaane hain
Dhundhle dhunldhe chehrey they, per sab jaane pehchane thay Ziddi, wehshi, alhar, chanchal, methey log, rasiley log hont un k ghazloo.n k misrey, aankhoo.n main afsaane thay Wehshat ka unwaan humaari, in main sey jo naam bani Dekhain gay tu log kahain gai, Insha Jee dewane thay Ye larki tu in galiyoo.n main roz hi ghoma karti thi Is sey in ko milna tha tu is k laakh bahane thay Hum ko saari raat jagagya, jaltey bujhtey taaroo.n nay Hum kyu un k dar per utrey, kitne aur thikaane thay
Ɖσ ʏσʋ ℓσѴɛ мɛ? Ƥℓɛαƨɛ ℓιɛ αи∂ ƨαʏ... ʏɛƨ... ![]() |
(#4)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() bechara dil to dil hai
khwahishon ka ghulam aur dukhon ka ghar justajo-e-ishq mein kai bar terey der pe aya tha tuney bhi kai bar mera intizar kiya tha phir tera intezar itna taweel hua k sub kuch beh gaya jab main lot ker aya tu kisi aur ka tha teri ankhon mein chupa dard main ne dekha tha aur mera dil toot gaya tha !!!
Ɖσ ʏσʋ ℓσѴɛ мɛ? Ƥℓɛαƨɛ ℓιɛ αи∂ ƨαʏ... ʏɛƨ... ![]() |
(#5)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Maine poocha kaise ho
Badley ho ya waise ho Roop wohi, andaaz wohi Ya phir is mein koi kami Hijr ka kuch ehsaas to hoga Koi tumharey paas to hoga Ham bichre ye majboori thi Kab manzoor mujhey doori thi saath hamaara kab chhuta hai Rooh ka rishta kab toota hai Aankh se jo aansu behtey hain Tum ko khabar hai kya kehtey hain Maine kaha aawaz tumhaari Aaj bhi hai humraaz hamaari Phool wafa ke khil jaayenge Ek din phir ham mil jaayenge
Ɖσ ʏσʋ ℓσѴɛ мɛ? Ƥℓɛαƨɛ ℓιɛ αи∂ ƨαʏ... ʏɛƨ... ![]() |
(#6)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Kuch doston ka karam kaam kar gaya
Manzil se fasla humain gumnaam kar gaya Khush bakhti-e-naseeb ka tara ajeeb tha Roshan hua to zindagi ki shaam kar gaya Kuch zindagi guzarne ka dhang tha mukhtalif Kuch naam hum ko bewaja bednaam kar gaya Wo shakhs apne ishq ki qeemat na de saka Aur hum ko rastay mein hi neelaam kar gaya Sang apny le gaya meri dunya ki roshni Aur lamhe be basi k mere naam kar gaya Dost apni oat mein chupty raho ge tum Karna tha jis ne kaam sar-e-aam kar gaya
Ɖσ ʏσʋ ℓσѴɛ мɛ? Ƥℓɛαƨɛ ℓιɛ αи∂ ƨαʏ... ʏɛƨ... ![]() |
(#7)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Kehnay Ko Muhabbat hai lakin
Ab esi muhabbat kia kerni… Jo neend chura le ankhon se Jo khawab dikha k pholon k Tabeer main kantay de jai Jo gham ke kali raaton se Her aas ka jugnu le jai Jo khawab sajati ankhon ko Aansu he aansu de jai Jo mushkil ker de jeenay ko Jo marnay ko asaan keray Woh dil jo Pyar ka mandir ho Wo yadoon ko mehman kare Ab Aisi Muhabbat kaya karni… Jo umer ki naqdi le jaey Aur phir bhi jholi khali ho Woh soorat DIL ka rog Baney Jo soorat dekhi bhaali ho Jo Qais bana de Insan ko Jo Ranjha Aur Farhad karay Ab Aisi Muhabbat kya karni..? Jo khushiyon ko Barbad kare Dekho to Muhabbat k Baray Har shakhs yahi kuch kehta hai Socho to Muhabbat k Ander Ik Dard humesha rehta hai Phir Bhi Jo cheez MUHABBAT hai Kab In baaton se Darti hai Kab in k baandhay rukti hai Jis DIL main iss ko Basna ho Yeh Chupkay say Bas jati hai AB AISI MUHABBAT KIA KARNI…
Ɖσ ʏσʋ ℓσѴɛ мɛ? Ƥℓɛαƨɛ ℓιɛ αи∂ ƨαʏ... ʏɛƨ... ![]() |
(#8)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Safar ki had hai vahaan tak ke kuch nishaan rahe
chale chalo ke jahaan tak ye aasmaan rahe ye kya uthaaye qadam aur aa gai manzil mazaa to jab hai ke pairon mein kuch thakaan rahe vo shakhs mujh ko koi jaal saaz lagta hai tum us ko dost samajhte ho phir bhi dhyaan rahe mujhe zameen ki geharaaion ne daab liya main chahta tha mere sar pe aasmaan rahe ab apne beech maraasim nahi adaavat hai magar ye baat hamaare hi darmiyaan rahe magar sitaaron ki faslen ugaa sakaa na koi meri zameen pe kitne hi aasmaan rahe vo ek savaal hai phir us ka saamna hoga dua karo ke salaamat meri zubaan rahe
Ɖσ ʏσʋ ℓσѴɛ мɛ? Ƥℓɛαƨɛ ℓιɛ αи∂ ƨαʏ... ʏɛƨ... ![]() |
(#9)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Dukh anmol hotey hain
qudrat ki wadeeat hain kabhi kuch dey k jaatey hain kabhi sub cheen laitey hain kabhi beychain kartey hain kabhi jeena sikhaatey hain kabhi bantey hain jub aansoo umar bhar lahoo rulaatey hain kabhi lub ki hunsi bun kar nayi dunya sajaatey hain kabhi meethi kasak ban kar anjaani khalish bun kar makeen-e-dil yeh bantey hain kisi soorat nahin mit'tey jo in say door bhaago tou kaheen jaaney nahin detay naa zinda rehnay detay hain naa yeh aazaad kartey hain nahin jiski dawa koi yeh aisa dard hotey hain magar yeh bhi ik haqeeqat hay hur aik ko to nahin miltey barey nayaab hotey hain Dukh anmol hotey hain
Ɖσ ʏσʋ ℓσѴɛ мɛ? Ƥℓɛαƨɛ ℓιɛ αи∂ ƨαʏ... ʏɛƨ... ![]() |
(#10)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Sir jhukaany ki aadat nahi hay,
Aansoo bahaany ki aadat nahi hay, Hm kho gaye to pachtao ge bohat, Hamaari Lout k Aany ki aadat nahi hay, Tere dar pe Muhabbat k sawali ban jaaty, Lekin Haath phelaany ki aadat nahi hay, Teri yaaden hamen aziz hain bohat, Magar Waqt ganwaany ki aadat nahi hay, Tum sakht Dil nikle kya gila karen hum, Shikwa -e-dil lab py laany ki aadat nahi hay, Bad’dua b kya kren HAQ mein tumhaary? Hamain to Dil b dukhaany ki aadat nahi hay…
Ɖσ ʏσʋ ℓσѴɛ мɛ? Ƥℓɛαƨɛ ℓιɛ αи∂ ƨαʏ... ʏɛƨ... ![]() |
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
aap, aayegi, meri, pasand |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
{{kun se users ko aap hug dena pasand karein gey}} | !~*AdOrAbLe*~! | Posting Games | 1819 | 07-08-2012 07:03 PM |
**** meri pasand **** | umair8005 | Jewellery | 21 | 01-09-2012 04:42 PM |
dedicated to my mahum sis hope mahum sis aap ko yeh song pasand ayay | K@IN@@T | Share Your Favourite Videos | 7 | 05-31-2011 07:24 PM |
Pasand | Hamzaking | Posting Games | 2 | 10-26-2009 07:33 PM |
meri pasand jante ho? | ~ Bikhre Lamhe ~ | Miscellaneous/Mix Poetry | 10 | 10-25-2009 03:42 PM |