MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Miscellaneous/Mix Poetry (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=129)
-   -   Meri Pasand (Hopefully aap ko b pasand aayegi) (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=55127)

masoodjee 04-15-2011 04:57 PM

Meri Pasand (Hopefully aap ko b pasand aayegi)
 
Dil Hijr K Dard Se Bojhal Hai, Ab Aan Milo To Behtar Ho
Iss Baat Se Humko Kya Matlab, Ye Kese Ho Ye Kyunkar Ho

Ik Bheek K Dono Kaasey Hain, Ik Pyaas K Dono Pyasey Hain
Hum Kheyti Hain Tum Badal Ho, Hum Nadya Hain Tum Sagar Ho

Ye Dil Hai K Jaltey Seenay Mein, Ik Dard Ka Phorra Ullharr Sa
Na Gupt Rahy Na Phoot Bahy, Koi Marham Koi Nishtar Ho

Ham Sanjh Samay Ki Chayya Hain, Tum Chadti Raat K Chander Maa'h
Ham Jate Hain Tum Aate Ho, Phir May'l Ki Soorat Kyunkar Ho

Wo Raatein Chand K Saath Gain, Wo Baatein Chand K Saath Gain
Ab Sukh K Sapne Kya Dekhein Jab Dukh Ka Sooraj Sar Par Ho

masoodjee 04-15-2011 06:33 PM

Re: Meri Pasand (Hopefully aap ko b pasand aayegi)
 
Usay Kehna .....

Abhi Tak Dil Dharakta Hai , Abhi Tak Sans Chalti Hai.
Abhi Tak Ye Meri Ankhain Suhanay Khuwab Bunti Hain.
Mere Honton Ki Junbish Mea Tumhara Naam Rehta Hai.
Abhi Barish Ki Boondon Mea Tumhara Pyaar Baqi Hai.
Usay Ye Bhi Bata Dena Abhi Izhar Baqi Hai.
Abhi Yaadon K Kaanton Se Mera Daman Ulajhta Hai.
Tumhara Pyar Seenay Mea Kaheen Ab Bhi Dharakta Hai.
Hawa Ab Bhi Mawafiq Hai Humaray Sath Chalti Hai.
Usay Kehna Judaee Ka Abhi Mosam Nahi Aya
Mohabat Ki Kahani Mea Kaheen Bhi Gham Nahi Aya
Magar Sab Kuch Badalne Mea Bhala Kia Der Lagti Hai.
Kisi Ki Yaad Dhalne Mea Bhala Kia Der Lagti Hai.
Naya Sooraj Nikalne Mea Bhala Ka Der Lagti Hai.

Usay Kehna ...

Wo Jaldi Faisala Kar Le
Naey Raston Peh Chalne Mea Bhala Kia Der Lagti Hai...

masoodjee 04-15-2011 06:36 PM

Re: Meri Pasand (Hopefully aap ko b pasand aayegi)
 
Parakhna mat, parakhney mein koi apna nahi rehta
Kisi bhi aainey mein der tak chehra nahi rehta

Barre logon se milne mein hamesha faasla rakhna
Jahaan dariya samandar se mila dariya nahi rehta

Tumhaare shehr ka mausam naye andaaz wala hai
Hamaare shehr mein bhi ab koi hum sa nahi rehta

Mohabbat aik khusboo hai, hamesha saath chalti hai
Koi insaan tanhaai mein bhi tanha nahi rehta...

masoodjee 04-15-2011 06:42 PM

Re: Meri Pasand (Hopefully aap ko b pasand aayegi)
 
Hum dasht k baasi hein ay shehar k logo
Ye rooh pyaasi humein wirsey mein mili hay

Dukh dard se sadyon ka ta'aluk hay hamara
Aankhon ki udaasi humein wirsey mein mili hay

Jaan dena riwayat hay qabiley ki hamari
Ye surkh libaasi humein wirsey mein mili hay

Jo baat bhi kehty hein utar jati hay dil mein
Taseer juda si humein wirsey mein mili hay

masoodjee 04-15-2011 06:44 PM

Re: Meri Pasand (Hopefully aap ko b pasand aayegi)
 
Koi Suraj Jagy Dharti Pr
Kuch Aisa Ho Yeh Raat Dhaly,

Koi Hath Me Thamy Hath Mera
Koi Ley K Mujko Sath Chaly,

Koi Bethay Mery Pehlo Me
Mere Hath Pe Apna Hath Dhary,

Or Ponch K Anso Ankhon Se
Wo Dheery Sy Ye Bat Kahy,

Yon Tanha Safar Ab Kat'ta Nhi
Chalo Hum Bhi Tumhary Sath Chalain...

masoodjee 04-15-2011 06:48 PM

Re: Meri Pasand (Hopefully aap ko b pasand aayegi)
 
Ye nazam kaafi lambi hai but I think u will like this.


WOH MUJH SE POOCHA KARTI THI?
"ye jo tum lafz likhte ho
ye jo tum harf buntay ho
youn he benaam jazboon ko
haseen ik rang dete ho
teh'hai dil main chupi batein
jinhe tum youn sunate ho
yeh kiss k naam karte ho?
bhala woh koun hai janaa?
jo youn neendain churati hai?
ragg-o-jan main utar'ti hai
tumhare dil main basti hai
bhala wo husn ka paikar
zara humko bhi batlao
bhala wo koun hai humdam..
bhala wo koun hai humdam..

MAIN SUN KAR SABHI YE BATEIN

bohat dhere se hansta tha
ussay bechain karta tha
main usko youn satata tha
main kehta tha..

"main bataoon ga
jab uska waqt aaye ga
abhi kuch dair baki hai"
WO KEHTI THI

"mujhe ye khauf hai janaa.
kahin tum dair na kardo!"

MUJHE YE MAAN THA KHUD PER

k behte waqt ka dhara
main uss muthi main bhar loon ga

MAGAR SHAYAD

ussay janay ki jaldi thi
k iqraare wafa k din
wo chanchal shokh si larki
aur uske jhilmilate nain
manno matti main ja soye..

MAIN USKO DHOONDHTA HOON AB

main khud ko roolta hoon ab
ussay kaisay bataoon sab
k main jo lafz likhta tha
k main jo harf bunta tha
ussi k naam karta tha
MAIN KAISE KAHON YE AB
k haan janaa.
tumhain jo khauf la'hak tha
wo to ho gaya mujhse
meri khali hai muthi ab
haan maine dair kar di hai.
bohat he dair kar di hai..

masoodjee 04-15-2011 06:52 PM

Re: Meri Pasand (Hopefully aap ko b pasand aayegi)
 
Kahan Dil Chor Aye Ho
Bohut Chup Chap Rhty Ho

Na Banty Ho Na Sanwarty Ho
Na Koi Bat Krty Ho

Bhari Mehfil Mai B Aksr
Hamesha Khoye Rhty Ho

Udasi Ankho Mai Le Kr
Her Ik Chehre Ko Takty Ho

Koi Jb Yad Ata Hai
To Thandi Aah Bhrty Ho

To Khul Kar Q Nahi Khte
Kisi Ko Yad Krty Ho
Ksi Sy Piyar Krte Ho

masoodjee 04-15-2011 06:54 PM

Re: Meri Pasand (Hopefully aap ko b pasand aayegi)
 
Dilon Mein Farq Aayenge

Talluq Toot Jayenge

Jo Dekha Jo Suna

Uss Se Mukar Jaon To

Behtar Hai...

Anokhi<3 04-15-2011 08:06 PM

Re: Meri Pasand (Hopefully aap ko b pasand aayegi)
 
Wow Zabardast collectionnnn :)

Shezadi Raniya 04-15-2011 08:11 PM

Re: Meri Pasand (Hopefully aap ko b pasand aayegi)
 
v nice......................... :clap:


All times are GMT +5. The time now is 07:17 AM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.