Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#23)
![]() |
|
|||
|
(#24)
![]() |
|
|||
aansoo Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj Bhi Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aye Sanam Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga...!!!
|
(#25)
![]() |
|
|||
|
(#26)
![]() |
|
|||
|
(#27)
![]() |
|
|||
dard Tera dard tha teri yaad thi Main jahan raha main jidhar gaya Mera din to yuhin guzar gaya Ju.nhi shaam hui, main bikhar gaya!!! Is aber ka mere yaar se Bada milta julta mizaj tha Kabhi toot kar bikhar gaya Khabi berukhi se guzar gaya!!! Jab main chhor dunga wo gali Use yaad aaye-gi tab meri Dhunde-ga wo tab mujhe Use khabr mile-gi ke main mar gaya!!! Abhi tang hai wo mere naam se Mere baad aaye-ga wo dosto Wo tumhi ko rok ke puchhe-ga Main kahan pe hoon, main kidhar gaya???
|
(#28)
![]() |
|
|||
ajeeb bat bari ajeeb baat keh betha wo mera dost shayed kuch galat kar betha mere kareeb beth kai mere shany par hath rakh kar jab ahista say siskian lainay laga sargoshi say kartay howay wo kuch ajeeb sa kehnay laga mairay hawwaas shayed madhosh thay mai aik lafz bhi na sun saka magar yai kia howa mere qadam bojhal howay mere anso rawaan mere hatho mai larzish agaie mere hont kapkanay lagay bhala wo kaise ja sakti hai mujhe bhala kaise chor sakti hai wo mera dost mere liyeh jo yai payam laya khud bhi bai inteha roya aur mere dard ko us nai taizaab say dho dala
|
(#29)
![]() |
|
|||
Kaatib-e-taqdeer ne Kaatib-e-taqdeer ne bakht ki siyaahi se zindagi ki loh per haar ka ya jeet ka jo bhi faisla likha wo hi ik haqeeqat hai ghar ki balkoni main beth ker ghanton tak sochtay rehnay se haathon ki lakeeron ko khojtay rehnay se wo to mit nahi sakta maan le taqdeer ko zid kerni chorr de haathon ki lakeeron se bandhay rishtay torr de kyun k ye lakeerain to bad gumaan kerti hain bay eeman kerti hain haathon ki lakeeron main kuch bhi to nahi rakha ye lakeerain to faqt aarray tirchay naqshay hain aarray tircchay naqshon main dar ba dar bhataknay se dilnasheen khwaabon ki tabeerain nahi milteen saaye haath lagte hai aur kuch nahi milta kyun k ye lakeerain hain lakeerain jhoot kehti hain lakeerain mit bhi sakti hain..!
|
(#30)
![]() |
|
|||
Mohabbat Kahi chahat bhare se dil Bohot se chand chere Kahi jado bhari aankheen Mohabbat se bhari baheen Bulati theen Us ''khushnawa' ' ki halki si Sada sunne ko Jane kis kis ne apni samaityeen Rehin rakhwayi theen Lekin' suraj ne ek suba' Apni aankheen khool k Khirki se jhanka To hiraan rah gaya Palkeen tak jhapakna bhul gaya Woh zidi' tikhi si Khush ada aur khush gulo larki Bohot hi aaam se ek shakhs k Qadmon main sar rakh k Mohabbat maang rahi thi
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
poetry, topic |
|
|