Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#11)
![]() |
|
|||
bane hen kam sub uljhun se mere
yahi atwar hen bachpan se mere hawa bhi puchne ati nahi hai woh khushbu kia gai angan se mere zameen hamwar ho kar rah gai hai ori hai dhool woh daman se mere suno is dasht ka hamzad hun men yeh wakif hai akele pan se mere hawa e be dili bhi khoob nikli khalish tak le ori jeevan se mere
![]() |
Sponsored Links |
|
(#12)
![]() |
|
|||
|
(#13)
![]() |
|
|||
men to saya hun ghataon se utarne wala
hai koi pyas kay sahra se guzarne wala too samjhta hai mujhe hurf e mukarar lekin men sahifa hun tere dil pe utarne wala too mujhe apni awaaz ka paband na kar men to naghma hun fazaon men bikharne wala aey badalte huwe mausam kay gorezan pekar aks de ja koi ankhon men thaherne wala ja raha hai tere honton ki tamana le kar zindage bhar teri awaaz pe marne wala men hun dewaar pe likha huwa kub se lekin koi parhta nahi raste se guzarne wala
![]() |
(#14)
![]() |
|
|||
kash hoti wafa zamane men
par haqiqat kahan fasane men kia kahen aek adhure qisse ko lag gai omar q bhulane men log auqat bhul jate hen dusron ka mazaq urane men sochta hun kabhi kabhi youn hi harj kia tha ose manane men roz hi sans phool jati hai zindegani kay naz uthane men hum pare hen dayar e gheir men youn jese lashen hon sard khane men haif bheja gaya hun men sahir ittifaqan ghalat zamane men
![]() |
(#15)
![]() |
|
|||
|
(#16)
![]() |
|
|||
seena dahak raha ho to kia chup rahe koi
q cheekh cheekh kar na gala cheel le koi sabit huwa sukun e dil o jan kahin nahin rishton men dhundta hai to dhunda kare koi tark e taluqaat koi masla nahi yeh to woh rasta hai kay bus chal pare koi deewar janta tha jise men woh dhool thi ab mujh ko atamad ki dawat na de koi men khud yeh chahta hun kay halat hon kharab mere khilaf zahar ogalta phire koi aey shaks ab to mujh ko sub hi kuch qubul hai yeh bhi qubul hai kay tujhe cheen le koi han theek hai men apni ana ka mareez hun akhir mere mizaj men q dakhal de koi ek shaks kar raha hai abhi tak wafa ka zikar kash is zaban daraz ka moo noch le koi
![]() |
(#17)
![]() |
|
|||
dil e kafir ko musalman kiey jate hen
woh bhala q mera nuqsan kiey jate hen khud hi bazar se hum ja kay kahreed aey havas apne jeene ka youn saman kiey jate hen apni jholi nahi phelate khudaon kay huzur waqt jesa bhi ho guzran kiey jate hen aj yeh shahar men kesa hai tamasha barpa log q chak gireban kiey jate hen aj kay dor kay bus hum hi wali there shahab sub ko hum sahib e iman kiey jate hen
![]() |
(#18)
![]() |
|
|||
Quote:
bohot zabardast
![]()
|
(#19)
![]() |
(#20)
![]() |
|
|||
Quote:
vvvv good
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
ghazlen, meri, pasandeeda |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Allah Kay Na-Pasandeeda Log | Nida-H | Quran | 10 | 07-01-2012 01:52 PM |
Mere pasandeeda nazam | Zafina | Image Poetry | 9 | 08-24-2011 06:41 AM |
6-na-pasandeeda-batein | ! HEER | Islamic Images And Miracle Pics | 5 | 08-05-2011 01:51 PM |
|!|!> Aap K PasandeeDa Asha'aaR <!|!| | "K.G" | Miscellaneous/Mix Poetry | 390 | 07-14-2010 01:44 AM |
Ghazlen | ! HEER | Miscellaneous/Mix Poetry | 8 | 07-22-2009 11:10 PM |