![]() |
Meri Pasandeeda Ghazlen
bus is hi bat ka to rona hai hen kahan hum ? kahan pe hona hai hum ne woh bat hi bhula dali dil men jis bat ko samona hai waqt ka johari bata dega khuwab ghaflat men kitna sona hai nisf aflas ne dubo dala nisf selab ne dubona hai apni bari ka intizar karen mulk har aek ka khilona hai pehle nafrat kay jangalon ko kaat gar mohabat ka beech bona hai hum ne sahir orh li hijrat ab yahi orhna bichona hai |
Re: Meri Pasandeeda Ghazlen
Excellent ........... :;n1;:
|
Re: Meri Pasandeeda Ghazlen
hashar men dil bapa na ho jaey phir tera samna na ho jaey is taraf se nazar na phear apni saz e dil be sada na ho jaey os ko milti nahi baqa har giz ishq men jo fana na ho jaey is qadar tut kar na chaho ose woh kahin bewafa na ho jaey wasal ki shab huwa hun jese men koi be aasra na ho jaey bat itni khari q karta hai khalk tujh se khafa na ho jaey |
Re: Meri Pasandeeda Ghazlen
fareb e qurbat e jana ki hi yeh dil nasheeni thi tere manzar ki khushbu rat kitni bheeni bheeni thi yeh kis barsat ne tinke bikhere aashiane kay teri palkon tale warna bari sadah makeeni thi mere aslub e sadah ki yeh tarz e kahmoshi theri kay jo too ne kaha such tha mera such be yaqeeni thi kisi siski ne tora tha jumud e atabar e dil magar os pe sada e ghuncha e dil bhi yaqeeni thi bhala lazim hai teri kuj ravi ka bhi bharam rakh lun yeh wade se behalna to meri khanda jabeeni thi zubun haali mere atraaf men kuch is tarah pheli durun e zindage men har taraf har she masheeni thi waseem is agahi ne to sukun e dil hi cheena hai meri to bekhodi kay dasht men gosha nasheeni thi |
Re: Meri Pasandeeda Ghazlen
youn tera rang e sukhun yad aya dasht men jese chaman yad aya moj phir sahil se na murad gai phir hamen apna milan yad aya jub kiya zeb e tun safed libas jane q hum ko kafan yad aya hath men hath koi dekha jub apna be bak sajan yad aya rat jub thori hawa sard huwi phir wahi shola badan yad aya ghar men deewar othai q thi bad men sub ko sahan yad aya aj phir chodween ki rat hai na kuch tumhen jan e man yad aya |
Re: Meri Pasandeeda Ghazlen
men janta hun wahi hen pukarne wale bula kay ghar men charaghon ko marne wale raza e yar pe khaahish ko marne wale ajab sakhi hen mohabat men harne wale ab apne ap ko bhi aene men dekh zara mere wujud men herat utarne wale bus aek isim ka saya bus aek jisim ki dhoop mere safar ki thakawat utarne wale dhamal rukne na paey ali qalandar ki bohut se naksh abhi hen ubharne wale |
Re: Meri Pasandeeda Ghazlen
ek duje ko aena dikhaeyn chalo ao yeh akhri takleef othaeyn chalo ao youn hai kay monafe ka to imkan hi nahi nuqsan ka andaza lagaeyn chalo ao hen jal to yaron kay bichaey bhi par ab kay dushman ki chali chal men aeyn chalo ao muddat se khandar dil ka bhi veeran para hai kuch deir yaheen khak oraeyn chalo ao os tak hai safar lakh sarabon se mozaeyan sahir na kaheen khud se bhi jaeyn chalo ao |
Re: Meri Pasandeeda Ghazlen
kuch itni duur tumhara thikana parta hai hamen hawa ki tarah roz ana parta hai saron pe chaon kabhi bheek men nahi milti badan ko peir ki surat ogana parta hai yeh raste youn hi paon se te nahi hote yahan zameen ko sar par othana parta hai too a kay shab kay andheron ko dekh le khod hi men kia bataun dia q jalana parta hai ab aek jisim ko kitna rafu karun ga men yahan to zakham naya roz khana parta hai yeh mera ishq meri jan ki zarurat hai so dushmano ko bhi dil se lagana parta hai hazar khuwahishen dil men hen is lia gohar zaruraton se zada kamana parta hai |
Re: Meri Pasandeeda Ghazlen
kub kahan kia mere dildar otha laeyn ge wasal men bhi dil e bezar otha laeyn ge chahiey kia tumhen tohfe men bata do warna hum to bazar kay bazar otha laeyn ge youn mohabat se na hum khana badoshon ko bula itne sadah hen kay ghar bar otha laeyn ge aek misre se zada to nahi bar e wujud tum pukaro ge to har bar otha laeyn ge gar kisi jashan e musarat men chale bhi jaeyn chun kay ansu tere gham khuwar otha laeyn ge kon sa phool saje ga tere jure men bhala is shash o punj men gulzar otha laeyn ge |
Re: Meri Pasandeeda Ghazlen
mujh se munsub hai ghubar mera qafle men na kar shumar mera har nae sham meri ujrat hai din bitana hai rozgar mera yeh teri jagti huwi ankhen in pe har khaab ho nisar mera koi ata nahi idher phir bhi dehan ata hai bar bar tera rat kay sath sath barhta gaya in charaghon pe atabar mera waqt itna kahan tha mere pas warna karta men intizar tera neend par meri dastaras kashif na hi khaabon pe ikhtiar mera |
All times are GMT +5. The time now is 04:11 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.