Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
|
(#1)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Raat Ki Tanhayi Mein Un Aahaton Ki Kashmakash,
Kaisi Ajeeb Hoti Hai In Karwaton Ki Kashmakash, Har Anjuman Adhura Hai, Har Mehfil Akeli Hai, Deedar Ko Tarasti, In Chaukhaton Ki Kashmakash, Na Thikana Hai Koi Bhi Zinda Lashon Ke Liye, Yehi Hai Sisakte Sunkate Marghaton Ki Kashmakash, Kayi Gehre Sawalon Ka Karwan Ho Jaise Koi, Yun Meri Peshani Pe Salwaton Ki Kashmakash, Haadse To Sabhi Ne Dekhe Honge Sadkon Par, Janta Hai Koi Kya, Jam Ghaton Ki Kashmakash...
Ɖσ ʏσʋ ℓσѴɛ мɛ? Ƥℓɛαƨɛ ℓιɛ αи∂ ƨαʏ... ʏɛƨ... ![]() |
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Usay Apnay farda ki fikar thi, wo jo mera wakif-e-haal tha...,
Wo jo us ki subh-e-arooj thi, wahi mera waqt-e-zawaal tha..., Meri baat kese wo maanta, mera dard kese wo jaanta..., Wo to khud fana k safar me tha, usay rokna b mahaal tha..., Jo b us k samnay chala gya, wahi roshni me naha gya..., Ajab us ki haibat-e-hussan thi, ajab us ka rang-e-jamaal tha..., Mujhay chor ker kahan jao gay me ye pooch pooch k thak gya..., Wo Jawab mujh ko na de saka, wo to khud sarapa-e-sawal tha..., Wo mila to berson baad bhi, meray lab pe koi gila na tha..., Usay meri chup ne rula diya, jisay guftagoo pe kamaal tha...,
Ɖσ ʏσʋ ℓσѴɛ мɛ? Ƥℓɛαƨɛ ℓιɛ αи∂ ƨαʏ... ʏɛƨ... ![]() |
(#3)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Bhalay dino ki baat hai,
Bhali si ek shakal thi, Na ye k husn-e-taam ho, Na dekhnay me aam si, Na ye k wo chalay to phir, Kehkashan se Rahguzar lagay, Magar wo sath ho to phir, Bhala bhala safar lagay, Koi b rut ho uss ki chab, Fiza ka rang-o-roop thi, Wo garmyon ki chaon thi, Wo sardyon ki dhoop thi, Ik umer hoti hai Ma'amlaat-e-dil ki bhi, wisaal-e-janfizaa to kiya, Firaaq-e-jangsill ki bhi, Phir ek roz kiya huwa, Wafa pe behas chir gyi, Main ishk ko amar kahun, Wo meri baat se chirr gyi, Main ishk ka aseer tha, Wo ishk ko qafas kahay, K umer bhar k saath ko, Wo bad taraaz hawas kahay, mai koi painting nahi, K ik hi frame me rahun, Wahi jo mann ka meet ho, Ussi k praim me rahun, So hansii khushii apna apna raasta badal liya, Wo apni raah chal pari, Main apni raah chal diya, Na us ko mujh pe maan tha, Na mujh ko us pe za'um hi, Jab ehad hi koi na tha, To kiya gham-shikastagi, Bhali si ek shakal thi, Bhali si us ki dosti, Ab raat din us ki yaad nahi, Magar hai kabhi kabhi, Bhalay dino ki baat hai...!
Ɖσ ʏσʋ ℓσѴɛ мɛ? Ƥℓɛαƨɛ ℓιɛ αи∂ ƨαʏ... ʏɛƨ... ![]() |
(#4)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Kab thehray ga dard ay dill, kab raat basar ho gi
Suntay thay wo ain ge, suntay thay sahar ho gi Kab jaan lahoo ho gi, kab ashk gohar ho ga Kiss din teri shunwae ay deda-e-ta ho gi Kab mehkay gi fasl-e-gul, kab behkay ga mekhana Kab subh-e-sukhan ho gi, kab sham nazar ho gi Wa’az hay na zahid hay, naseh hay na qatil hay Ab shehr mein yaaron ki kiss tarha basar ho gi Kab tak abhi rah dekhein, ay qamt-e-janaa Kab hashr muayyan hay, tujh ko khabar ho gi
Ɖσ ʏσʋ ℓσѴɛ мɛ? Ƥℓɛαƨɛ ℓιɛ αи∂ ƨαʏ... ʏɛƨ... ![]() |
(#5)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Main Hoon, Tera Khayal Hai Aur Chaand Raat Hai.....
Dil Dard Say Nadhaal Hai Aur Chaand Raat Hai...... Aankhon Main Chubh Gaen Teri Yaadon Ki Kirchiyan...... Kandhon Pay Gham Ki Shaal Hai Aur Chaand Raat Hai...... Dil Torr K Khamosh Nizaron Ko Kia Mila..... Shabnam Ka Ye Sawal Hai Aur Chaand Raat Hai...... Phir Titliyan Si Urrnay Lagin Dasht E Khawab Mein....... Phir Khawahish E Wisaal Hai Aur Chaand Raat Hai....... Chhalka Sa Parr Raha Hai "Wasi" Wehshaton Ka Rang..... Her Cheez Pay Zawaal Hai Aur Chaand Raat Hai.....
Ɖσ ʏσʋ ℓσѴɛ мɛ? Ƥℓɛαƨɛ ℓιɛ αи∂ ƨαʏ... ʏɛƨ... ![]() |
(#6)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() usey itna bata dena
mai us se door ho ker bhi bohat majboor ho ker bhi dukhon se choor ho ker bhi usi ko yaad kerta hon usey itna bata dena, mai dukh apne chupa ker bhi khushi k geet ga ker bhi hansi hooton pe saja ker bhi usi ko yaad kerta hoon usey itna bata dena, jahan k ghamoon me kho ker bhi mai dil k dagh dho ker bhi kisi k pas ho ker bhi sirf usi ko yaad kerta hon usey itna bata dena ....
Ɖσ ʏσʋ ℓσѴɛ мɛ? Ƥℓɛαƨɛ ℓιɛ αи∂ ƨαʏ... ʏɛƨ... ![]() |
(#7)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Kafi Arsa Beet Gaya Hai...
Janay Ab Wo Kaisa Ho Ga... Waqt Ki Saari Karwi Baatain... Chup Chup Hi Sehta Ho Ga... Ab Bi Bheegi Barish Mein Wo... Bin Chhatri K Chalta Ho Ga... Mujh Say Bichray Arsa Beeta... Ab Wo Kis Say Larrta Ho Ga... Acha Tha Jo Sath Hi Rehtay... Baad Mein Uss Nay Socha Ho Ga... Apnay Dil Ki Saari Baatain... Khud Say Khud Hi Kehta Ho Ga... Kafi Arsa Beet Gaya Hai... Janay Ab Wo Kaisa Ho Ga...
Ɖσ ʏσʋ ℓσѴɛ мɛ? Ƥℓɛαƨɛ ℓιɛ αи∂ ƨαʏ... ʏɛƨ... ![]() |
(#8)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Hansata hai mujh ko to phir rula bhi deta hai,
Kar k wo mujh se aksar waade bhula bhi deta hai, Bewafa hai bahot magar acha lagta hai dil ko, Kabhi kabhaar baten mohabbat ki suna bhi deta hai, Thaam leta hai hath mera kabhi yun hi khud, Kabhi hath apna mere hath se chura bhi deta hai, Kabhi bewaqt chala aata hai milne mujh se, Kabhi qeemti pal mohabbat k ganwa bhi deta hai, Ajeeb dhoop chaon sa mizaaj hai uska SAAGHAR, Mohabbat bhi karta hai nazron se gira bhi deta hai...
Ɖσ ʏσʋ ℓσѴɛ мɛ? Ƥℓɛαƨɛ ℓιɛ αи∂ ƨαʏ... ʏɛƨ... ![]() |
(#9)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#10)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
aap, aayegi, meri, pasand |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
{{kun se users ko aap hug dena pasand karein gey}} | !~*AdOrAbLe*~! | Posting Games | 1819 | 07-08-2012 07:03 PM |
**** meri pasand **** | umair8005 | Jewellery | 21 | 01-09-2012 04:42 PM |
dedicated to my mahum sis hope mahum sis aap ko yeh song pasand ayay | K@IN@@T | Share Your Favourite Videos | 7 | 05-31-2011 07:24 PM |
Pasand | Hamzaking | Posting Games | 2 | 10-26-2009 07:33 PM |
meri pasand jante ho? | ~ Bikhre Lamhe ~ | Miscellaneous/Mix Poetry | 10 | 10-25-2009 03:42 PM |