|
|
Posts: 27,062
Country:
Join Date: Dec 2010
Location: Lahore
Gender:
|
|
Quote:
Originally Posted by Stollen Heart
Allah se mohabbet sub se alag mohabbet hey, Is ka andaz sub se juda gana hey,
Duniya se mohabbet dosron ke samne zahir ho jaati hey, Mager Allah se mohabbet se mohabbet jo kerte hen wo her mumkin koshish kerte hen keh kisi pe zahir nah ho, Jaise kisi insaan ki help ker ke kabhi us insaan per bhi show nhi kerte keh me ne u ki help ki hey, Ager show ker ke nah feeling men maza hoga ur nah ki dil ko skon milega.
Eik hey Allah ki attaa'at kerna, ur dosra he Allah se mohabbet kerna, dono men faraq hey, Attaa't show hoti hey, ur Mohabbet show nhi ki jaatii, yeh Allah ur us ke bande ke beech ka maamla hey, ager show ho gai to us men milawat ho jaeigi
|
Quote:
Originally Posted by beyond_vision
Lamha-e-Fikriya hay Hamaray Liay yeh Miss Habib as u correctly pointed out through ur post! Lekin Bohat se aise loag abhi Baaki hay Duniya Jo Khuda se Waisi hi Mohabbat karte hain Jaisi K karni chhaiye, Kisi bhi garz ya Milawat k baghair han un logo'n ki tadaad bohat thori hay aur din ba din kam hoti jaa rahi hay. Iss baat par hamain zaroor ghor karna chhaiye.
@ Stollen Heart : Jee aik andaaz se aapki Baat bhi durust hay magar isay doosray andaaz main bhi dekha jaa sakta hay. Amooman Jab insaan ko Khuda se Mohabbat hoti hay tou iska izhaar us k kirddar, baato'n k andaaz, hakook al ibaad, aur general tarz-e-amal se hota hay. Those who truly love their lord make sure that this love is not only in their talk but is being portrayed in their day to day life also aur Filhaal agar Mulk-e-Pakistan aur wahan k rehne walay bashindo'n ko daikha jaye to yeh baat wazeh ho jaati hay k hum Islam ki sahi "Rooh" ko follow nahi kar rahay.I guess yeh poetry bhi isi taraf ishara kar rahi hay. Lekin aapka point bhi apni jagah aur aik khaas nazariye k lihaaz se bilkul sahi hay! 
|
dono k point apni apni jaga bilkul theek hai
lekin mohabbat to wo cheez hai jo chupaye nahi chupti, Allah se suchi mohabbat bhi app chupa nahi skte, app k chehray se zahir ho jati hai, jo Allah se mohabbat karta hai Allah bhi usse mehboob rakhta hai, or Allah k mehboob banda aam banday jaisa nahi rehta
any way thanks both of you
|