![]() |
Ye Kaisi Mohabbat Hai
Suna tha hum ne logo se mohabbat cheez aisi hai Chupaye chup nahi skti, ye ankhon se chamakti hai Ye chehron pe damakti hai, ye lehjon mein jhalakti hai Dilon tak ko rulati hai Magar ………… agar ye sab sucha hai ? To phir akhir hmein apne Rab se bhala kaisi mohabbat hai Na ankhon se jhalakti hai, na chehron pe damakti hai Na lehjon mein sulagti hai, dilon ko azmati hai, na raton ko rulati hai Ye kaisi mohabbat hai ? Bhala kaisi mohabbat hai ? |
Re: Ye Kaisi Mohabbat Hai
:khob: Nice
|
Re: Ye Kaisi Mohabbat Hai
thanks jiger
|
Re: Ye Kaisi Mohabbat Hai
sad but true
nice sharing |
Re: Ye Kaisi Mohabbat Hai
Allah se mohabbet sub se alag mohabbet hey, Is ka andaz sub se juda gana hey,
Duniya se mohabbet dosron ke samne zahir ho jaati hey, Mager Allah se mohabbet se mohabbet jo kerte hen wo her mumkin koshish kerte hen keh kisi pe zahir nah ho, Jaise kisi insaan ki help ker ke kabhi us insaan per bhi show nhi kerte keh me ne u ki help ki hey, Ager show ker ke nah feeling men maza hoga ur nah ki dil ko skon milega. Eik hey Allah ki attaa'at kerna, ur dosra he Allah se mohabbet kerna, dono men faraq hey, Attaa't show hoti hey, ur Mohabbet show nhi ki jaatii, yeh Allah ur us ke bande ke beech ka maamla hey, ager show ho gai to us men milawat ho jaeigi |
Re: Ye Kaisi Mohabbat Hai
Lamha-e-Fikriya hay Hamaray Liay yeh Miss Habib as u correctly pointed out through ur post! Lekin Bohat se aise loag abhi Baaki hay Duniya Jo Khuda se Waisi hi Mohabbat karte hain Jaisi K karni chhaiye, Kisi bhi garz ya Milawat k baghair han un logo'n ki tadaad bohat thori hay aur din ba din kam hoti jaa rahi hay. Iss baat par hamain zaroor ghor karna chhaiye. :)
@ Stollen Heart : Jee aik andaaz se aapki Baat bhi durust hay magar isay doosray andaaz main bhi dekha jaa sakta hay. Amooman Jab insaan ko Khuda se Mohabbat hoti hay tou iska izhaar us k kirddar, baato'n k andaaz, hakook al ibaad, aur general tarz-e-amal se hota hay. Those who truly love their lord make sure that this love is not only in their talk but is being portrayed in their day to day life also aur Filhaal agar Mulk-e-Pakistan aur wahan k rehne walay bashindo'n ko daikha jaye to yeh baat wazeh ho jaati hay k hum Islam ki sahi "Rooh" ko follow nahi kar rahay.I guess yeh poetry bhi isi taraf ishara kar rahi hay. Lekin aapka point bhi apni jagah aur aik khaas nazariye k lihaaz se bilkul sahi hay! :) |
Re: Ye Kaisi Mohabbat Hai
wah zabardast JazakAllah miss .... bht achi poem likhi ..
|
Re: Ye Kaisi Mohabbat Hai
Quote:
Quote:
lekin mohabbat to wo cheez hai jo chupaye nahi chupti, Allah se suchi mohabbat bhi app chupa nahi skte, app k chehray se zahir ho jati hai, jo Allah se mohabbat karta hai Allah bhi usse mehboob rakhta hai, or Allah k mehboob banda aam banday jaisa nahi rehta any way thanks both of you:withrose: |
Re: Ye Kaisi Mohabbat Hai
thanks arsheen and cute
|
Re: Ye Kaisi Mohabbat Hai
Nice Sharing
Jazak ALLAH... |
All times are GMT +5. The time now is 10:57 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.