Islamic Issues And Topics !!! Post Islamic Issues And Topics Here !!! |
Advertisement |
|
Thread Tools | Display Modes |
|
(#9)
![]() |
|
|||
Quote:
MashaALLAH Brother apnay bohat Acha SAwaal kiya Again.. But mughe yeh Cheez samaj nahi aati Upar wali Agar app Thread Reply daikhain Tau Apkay Tamaam SAwalaat Ka Jawaab day Raha hon main But app meray kissi Sawaal ka Jawaab nahi Day Rahay.. Balkay Har baar Aik non logical Question Kartay hain.. Apnay Kaha Ke AYAH Aur HADEED apas main Conflict Karti hay.. Chalain Main Explain KArta hon Phir mughe Bataiyee Ga Kaisay Conflict karti hay.. AYAH Jo Apnay bataii Quote ki wo yeh thi “This is a people that have passed away; they shall have what they earned and you shall have what you earn, and you shall not be called upon to answer for what they did.” IS AYAH ko AGAR app Goor say parhain Tau is main ALLAH nay kaha ke Jo loog IS duniya Say chalay gayy Unke Baray main Apsay nahi poocha jay gaa.. Matlab wo Jo Amaal Apni Duniyawi zindagi main Kar Gay Wo unke Amaal Thay.. Aur Tumharay Saath tumharay AMAAL hain AB HADEED KI TARAF ATAY HAIN JO APNAY KAHA KE CONFLICT KARTI HAY Abu Huraira (RA) reported Allah’s Messenger (SAW) as saying: When a man dies, his acts come to an end, but three, recurring charity, or knowledge (by which people) benefit, or a pious son, who prays for him (for the deceased). [Sahih Muslim - Book 13, Hadith 4005] Apnay Kaha Ke Upar ALLAH Kah Raha hay Ke Wo Duniya main Kaam Kar Gayy wo Unke Amaal hain.. Tau Phir Is HAdeed main Kion Baat ho rahi hay Ke Aisay unko Sawaab Pohanch Sakta hay.. Tau BHAI Agar Thoora sa Goor say daikhain Tau is HADEED main Koi AISI CHEez nahi hay Jo Ke Wo Apni Zindagi main na Kar ke Gayy honn.. Balkay yeh Sari cheezain wo khud Apni Zindagi main kar ke Gayy hain. 1) SAdqa E jaaria Wo khud Apni Zindagi main Kar ke Gayy.. Koi MAsjid Banwa Di koi Kunwaan khudwa Diya 2) ILM wo Khud apni Zindagi main Day kar Gay.. Kissi ko Ilm Diya Wo us ilm say unke Duniya ke Janay ke Baad bhi Mustafeed Ho raha hay 3) Apnay Bachoon ki Achi Tarbiyat Wo Khud apni Zindagi main Kar ke Gayy. Ke Unke Bachay Agar koi Naik Amal kartay hain tau uska SAwaab bhi unko Pohanchta hay.. CONFUSION KAISI HAY BHAI IDHAR ? ZARA MUGHE BHI TAU SAMJAIN.. YA JAAN BOOJ KAR HUM LOGOON NAY HI CONFUSION BANAI HOI HAY ? Aur Phir Apnay Baat ki US Hadeed ki Jo Sahee Bukhari Aur Muslim Main hay ke Prophet PBUH nay Fateha Karwa Kar Sahaba ko khilaya thaa.. Tau mughe bhi Zara uska Refference Day dain.. Thoora Meray Ilm main bhi Izafa ho jayy.. Aur Main Nay Kab Kaha Ke QuraN main HAr Amal ka Tareeka Hay ? Quraan Main Sirf Hukam hay Tareeka HAdeed say SAbit hay.. But Kam Az Kam wo Hadeed bhi Tau Hoon na Jiss say Tareeka Sabit hoo.. Ab Apnay Kahaa Ke AMAL KA DAROMADAAR NIYAT PAR HAY.. BEshak Apnay Theek kahaa but iska Yeh MAtlab nahi ke.. Jo Chahay Amal kartay rahain hum. Yahan US AMAL ki baat hoo rahi hay Jo Quraan Aur HADEED Say sabit hon. Na ke Har Naik AMAL jo hum Sirf Niyat ki Wajah Say kar baithain.. 5 Waqt ki namaaz Farz hay Right ? Niyat Kiya hay ? ALLAH ko RAZI KARna... Koi Kahay ke Wo 6 Waqt ki Namaaz Farz parhay gaa.. Niyat Kiya hoogi ? ALLAH ko Razi karna ?... Tau bhai as per my knowledge Deen is tarah nahi hoota.. HAR US AMAL KI NIYAT DAIKHTA HAY ALLAH JO QURAAN MAIN USNAY BATAI HAY Aur HADEED main uski Explaination hay.. Aur apnay NAMAAZ parhnay ke TAreekay ki baat ki ? TAREEKOON KE MAMLAY MAIN NIYAT WALI baat App kar Saktay hoo.. But AMAL ke Baray main nahi.. Becoz Amal Aur Tareekay main bohat Fark hay.. AMAL KARNA MATLAB NAMAAZ PARHNA.. AUR TAREEKA matlab App Jantay hoo ke Kiss Tareekay say namaaz parhi jaati hay.. AB END MAIN BARI MAZRAT KE SAATH.. MAIN NAY APNI CONVERSATION MAIN NA KOI QOOL NA KOI FATWA PAISH KIYA.. BECOZ MAIN KISSI FIKAY KI BAAT NAHI KAR RAHA.. FIKAY KI BAAT MAIN APKO PATA HAY HAR BANDAY KI APNI RAYY HOOTI HAY.. MAIN TAU US CHEEZ KI BAAT KAR RAHA HON JO HAR JAGHAH COMMON HAIN WO HAY ALLAH KA QURAAN AND MOHAMMAD (PBUH) KA FARMAAN Ab Rahi baat Fatway ki.. Tau meray pass yeh tamaam Fatway mojood hain.. balkay jahaan say apnay yeh Fatwa paste kiya hay wo book 100,000 Fatwaat par Mojood hay.. AUR ALIMOO NAY TAU BOHAT KISAM KE FATWAY DIYE HAIN FOR EXAMPLE Quied E Azam ke Kafir honay ka Fatwa bhi hay Alama Iqbal ke Kafir honay ka Fatwa bhi hay Sir Syed Ahmed Khan ke Kafir honay ka Fatwa bhi hay Jisnay Turki Topi Pahni Uske Kafir honay ka Fatwa Jisnay Bagair kissi wajah Angraizi Topi apnay ghar main Rakhi uske Kafir honay ka Fatwa Jisnay IMAM E Khana E kaba ke peechay namaaz parhi wo kafir hay.. Aur meri NAZAR main IN FATWOON ki koi Value nahi.. Aur agar app kahtay ho ke main Sirf waisay hi baat kar raha hon.. Tau app ijazat dain mughe main Tamaam Fatwaat Orignal Books say apko Scan kar ke idhar laga kar dikha deta hon.. IS WAJAH say bhai Baat Hum wo karaingay jo ALLAH ke Quraan aur Prophet PBUH ke Farmaan say sabit hoo.. MERA MAKSAD KISSI KI DIL AZARI KARNA NAHI HAY.. AUR MUGHE BARAY AFSOOS SAY KAHNA PARTA HAY. KE HUMARAY HAAN JO TALEEM DI JAATI HAY BACHPAN SAY US MAIN IKHTELAAF KO BAAT CHEET SAY SOLVE KARNAY KA NA KOI TAREEKA BATAYA JATA HAY.. NA KOI AMAL..AUR HUM SAB KE SAB IS MAIN SHAMIL HAIN MERAY SAMEET.. JISS DIN HUM NAY BAAT CHEET KAR KE AIK DOSRAY KO SAMAJNAY KA TAREEKA SEEKH LIYA.. I THINK US DIN TAMAAM MUSLIM UMMAH AIK HOOGI.. MAIN KAHTA HON KE AGAR MUGH MAIN KOI GHALTI HAY TAU APP USSAY DURUST KARAIN.. MUGHE APP SAMJAIN KE BHAI APP IS LEHAAZ SAY GHALAT HOO AUR YEH HAY USKA PROOF.. TAKAY MAIN APNAY APP KO SAHI RAH PAR LAA SAKOON.. BECOZ MERI SOOCH IS BAAT PAR HAY.. KE APP APNA MOKAF AGAR BAYAAN KARTAY HAIN TAU PHIR SAMNAY WALAY KI BAAT SUN KAR AGAR USKA MOKAF DURUST AUR SAHI HAY TAU US PAR SURRENDER BHI KARAIN.. JAZAAK ALLAH.. PLEASE NOTE WITH RESPECT " IN ANSWER EVERYTHING IS ACCEPTABLE THROUGH ALLAH's QURAAN AND PROPHET (PBUH) FARMAAN."
|
Bookmarks |
Tags |
ishaal, masla, sawaab |
Thread Tools | |
Display Modes | |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Masla e niyaz | Hayyan_Memon | Islamic Issues And Topics | 19 | 11-23-2012 03:28 PM |
Ek hi masla | Cute Anam | Ashaar's | 4 | 11-20-2012 08:12 AM |
*Aik Hazaar Ayaat Kay Brabar Sawaab* | Nida-H | Hadees Shareef | 12 | 08-10-2012 01:15 AM |
Masla talaaq salasa | PRINCE SHAAN | Islamic Issues And Topics | 2 | 07-17-2011 08:04 AM |
Tera Main Zikr Karon Yoon, Sawaab Ho Jaisay* | Nida-H | Miscellaneous/Mix Poetry | 19 | 07-27-2009 03:41 PM |