1st of all hum me se jo b mard hazrat yahan mojood hain to un my se kisi ny ab tk khud kushi ni ki...
aur uska saboot yeh he k wo majood hain....
aur agr khud kushi ni ki to mtlb k abhi tk aisa irada b ni he.. hope so...
but.. yeh sochny ki bat baron ki he bachon ki ni.. Q k aisi posision me wo kuch ni sochty.. to baron ko sochna chahy k un ki tarbiat me kea kami baishi he...?
blky i think yeh tarbiat me baishi ka nateeja he na k kami ka...
baish baha piyar,lad,bacha smjh k zid poori krna,bat munh se niklti ni aur poori ho jati he.. sirf is liy k ley k deny waly aford kr sakty hain...
bachy ko kabhi feel hi ni hony dety k kuch cheezain us k liy ni, ya mumkin ni , ya hasool mumkin ni...
parents boht slowly un k zahn me feed kr dety hain k JO HUKUM MERY AAQA..
wo bs waldain ki tarbiat ko follow krty huy yeh bat zahn me bitha lety hain k wo jo mangy usy mil jaiy..
Ab aisy waldain bhugtain... Q k jb itni dheel k bad wo rasi ko aik dum se kheenchny ki koshish krty hain to Rasi Toot jati he...
aap logon ko lgy ga k shaid me sara blame waldain py dal raha hoon, to me sahi kr raha hoon , Q k bachy me yeh shidat aik dum se ni aati , waldain hi piyar k naam py us me built krty hain.. un ladly bachon ki fitrt hi aisi ho jati he..
so waldain ko chahy k agr 10 saal tk bachon ki prwrish angraizon jesi krni hoti he to 11th year me usy paindo bnany ki koshish mt kea krain...yah apny hath se bacha mar dain.. Q k koi b khud kushi ka aik dum faisla ni krta,kitna larta hoga wo andr hi andr , lgta hoga k piyar khatm ho gea us k liy..
so parents aap shoro se hi midle way py chalain , miyana ravi ka rasta ikhtiyar krain.. aap humsaion ko apni imart dikhany k liy her cheez bachy ki jholi me na dalain warna aap ki aapni goud khali ho sakti he..
zindga kuch pa k seekhny ka naam ni , kuch na milna b jeena seekhata he.
yeh sirf aik raiy he meri, mujhy pta he k bachon ko smjhany ka koi faida ni,ghusa me aql ,aur smjh boht door bhag jati he.. buniyad ko bs theek krna chahy, taky bachon me yeh khatrnak ruhjan paida hi na ho.