Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#41)
![]() |
Sponsored Links |
|
(#42)
![]() |
|
||||
Jab bhi qareeb aati hoon batanay k liye Zindagi door rakhti hai satanay k liye Mehfilon ki shaan na samajhna mujhay Main to hansti hoon gham chupanay k liye In faaslon ko na samjho meri be-Wafayi Main door hoon tumse, paas aanay k liye Mat jano haqeeqat mere in Aansuon ko Main to rooti hoon tumhein rulanay k liye Koi gila nahi hai mujhay apni barbadi ka Main to khaili thi aag se jal janay k liye Ab duniya kuch bhi kahay, mujhay parwa nahi Main to jeeti thi zindagi, mar janay k liye......
|
(#43)
![]() |
|
||||
Jab bhi milta hai aik zakham naya deta hai Kuch is tarah meri wafaon ka sila deta hai... Yoon to meri ankhon se usay pyar bohat hai lakin Jab bhi jee chahay un main ashk saja deta hai... Khud ko ganwa kar usay mainay paya hai Is baat ki bhi wo mujhko saza deta hai... Wo jo ik shakhs mairay dil pai raaj karta hai Kabhi hukum deta hay marnay ka, Kabhi jeenay ki Dua deta hai... Gila jo karon us say berukhi ka main Khud Hansta hai aur mujhko rula deta hai...
|
(#44)
![]() |
|
||||
[b]Aise Bhi Gham-E-Yaar Se Lag Jate Hain [center] Rog Aise Bhi Gham-E-Yaar Se Lag Jate Hain Dar Se Uthte Hain To Dewaar Se Lag Jate Hain Be-Basi Bhi Kabhi Qurbat Ka Sababb Banti Hai Ro Na Paayein To Galay Yaar Ke Lag Jate Hain Daagh Daaman Ke Hoon, Dil Ke Hoon Ya Chehre Ke `Faraz
|
(#45)
![]() |
|
|||
|
(#46)
![]() |
|
||||
Jab tere shahr mein raha kartey they
hum bhi chup chap jiya kartey they ankhon mein pyas huya kartii thi dil mein toofan utha kartey they log atey they gazal sunney hum teri bat kiya kartey they kisi viraane mein tum milkar dil mein kya phool khila kartey they ghar kii deewar sajane ki khatir hum tera naam likha kartey they kal teri tasveer dekhi to yaad aaya kabhi hum bhii muhabbat kiya kartey they...
|
(#47)
![]() |
|
||||
ajeeb hijer parasti thee us ke fitrat mein shajar k tootay pattay talash krta tha tamam rat wo parday hata k chand kay sath jo khoo gaey wo lamhay talash krta tha duain krta tha ujray hoay mazaroon par baray ajeeb saharay talash krta tha mujhay tu aaj bataya hay badlon nein "Wasi" woh laut anay k rastay talash krta tha
|
(#48)
![]() |
|
||||
Tum mairay aankh kai tewar na bhula pao gai An kahi baat ko samjho gai tu yaad aon ga.. Ham nai khushiyon ki tarah gham bhi ikhathay dekhay Safah-e-zeest ko palto gai tu yaad aon ga.. Is judayi mai tum ander sai bikhar jao gai Kisi mazoor ko dekho gai tu yaad aon ga.. Isi andaaz mai hotay thai mukhatib mujh sai Khat kisi aur ko likho gai tu yaad aon ga.. Mairy khushboo tumhay kholay gi gulabon ki tarah Tum agar khud sai na bolo gai tu yaad aon ga.. Sard raaton kai mehaktay huway sanaton mai Jab kisi phool ko choomo gai tu yaad aon ga.. Aaj tu mehfil-e-yaaran pai ho maghroor bohat Jab kabhi toot kai bikhro gai tu yaad aon ga.. Ab tu yeh ashk mai honton sai churra laita hoon Haath sai khud inhain poncho gai tu yaad aon ga.. Shaal pehnaye ga ab kon December main tumhay Barishoon main kabhi bheego gay to yaad aon ga.. Hadsay ayein gai jevan main to tum ho kay nidhaal Kisi deewar ko thamoo gai tu yaad aon ga.. Is main shamil hai mairay bakhat ki tareeqi bhi Tum siyah rang jo pehno gai to yaad aon ga..
|
(#49)
![]() |
|
||||
Mujhe Araam Karnay do.... Mujhe Ab Mat Satao Tum... thakan Sadiyon Ki Hai Mujhko, Mujhe Ab Mat Jagao Tum.... Meri Khamosh Ankhon Se, Koi qissa Na Kehna Tum, Mere Khuwabon Main sehraan Hain, Mujhe Ab Mat Rulao Tum.... Dhukhon Ki Ek Kahani Thi, Usi Ka Akhri Hissa, Bohat Arsay Se Jari Tha, Mere Viraan Kamray Main, Teri Tasweer Ab Bhi Hai, Yeh Ab Kamray Ka Hissa Hai, Issay Ab Mat Hatao Tum.... Mere Janay Ki Baaton Par, Kabhi Woh Hansta Rehta Tha, mere Janay Ki Raaton Main, IssAY Ab Mat Hansao Tum.... Tumhari Dairy Kay Akhri, Auraaq Main Main Thi, Sehfay Yun Toh Na Pahro Tum, Mujhe Yun Na Mitao Tum.... Kahin Sehra Kahin Sahil, Kabhi Mitti Kabhi Pani, Mujhe Jo Cheez Buhashti Thein, Usi Se Ghar Banao Tum.... Wahin Par Hun Main Waisi Hoon, Ab Aye Ho Toh Rukh Jana, Thakan Ki Dastan Apni, Mujhe Ab Mat Satao Tum.................
|
(#50)
![]() |
|
||||
Wo jo zindagi mai naseeb tha wahi bad marg raha qalak ye qalak kaisa k ha sitam!gaye jan par na gaya qalak shab-e-hijr roz- e-wisal ki teri shokhian jo nazar mai the kaho kia tagaiur-e-haal dil khabhi tha sukoon,khabhi tha qalak nahi chah meri ise agar,nahi rah-e-dil mai tu kis lei mujhe rote dekh k wo roya,mera haal sun k hua qalak kahan jan p lab hon jo aye tu meri zindagi ho! tu yun kaha tere jeene ki mujhe kia khushi,tere marne ka mujhey kia qalak yeh sharatoon ki shikayaten,ye jalana gair ka tu dekho kahe mujh se wo tere hath se nahi chain mujh ko siwa qalak.......
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
collection |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
<><> Jewelley Collection<><> | Rizwana | Jewellery | 25 | 08-17-2012 02:57 AM |
~~~ eid sms collection ~~~ | umair8005 | Urdu Sms | 24 | 11-23-2011 06:01 PM |
sms collection | DI@ | English Sms | 16 | 10-23-2011 03:31 AM |
Msn emoticons collection | AYAZ | Computer and Information Technology | 14 | 04-20-2011 09:24 AM |
My own collection | Emaan_88 | English Poetry | 36 | 06-03-2010 02:54 PM |