MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Miscellaneous/Mix Poetry (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=129)
-   -   My collection (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=5338)

!«╬Ĵamil Malik╬«! 12-24-2008 02:04 PM

My collection
 
maine kab kaha tha bohot wafa
Har aik rooh ehsaas say siwaa miltii hai
ab iss jahan main mohabat kahan milti hai

maine kab kaha tha bohot wafa karo mujhse
jitni maangi thi, ab utni bhi kahan milti hai

phulon k badan kanton se bharpur ho chuke
har aik gul main khushboo kahan milti hai

udas mosam koi theher gaya hai ankhon main
har aik rutt main ab bahaar kahan milti hai

khuwaish jeene ki nahi ati ab kabhi lab pay
apni marzi say yahan mout kahan milti hai

tum ko chahaa hai apni jaan say zyada
aisi mohabat meri jaan kahan milti hai

meri pesh-qadmi ko thukra diya tumne
sabhi main sath nibhane ki bat kahan milti hai

teri yad ka charaghan hota hai jab ankhon main
sitaron ko chand se phir roshni kahan milti hai,

!«╬Ĵamil Malik╬«! 12-24-2008 02:06 PM

Aisa nahi k hum ko muhbbat nai milli
 

Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Mili
Jaisi Chahtey The Hum Ko Woh Ulfat Nahi Mili,

Milney Ko Zindgi Main Kahin Hum-Safar Miley
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili,

Chehroon Main Doosroo Ke Tumhain Doondtey Rahain
Surat Nahi Mili Kahin Seerat Nahi Mili,

Bohat Dair Se Aaya Tumhare Paas Kiya Kahoon
Alfaaz Doondney Ki Bhi Mohalat Nahi Mili,

Tujh Ko Gilla Raha Ke Tawajja Na Di Tujain
Laikin Humain Khud Apni Rafaqat Nahi Mili,


!«╬Ĵamil Malik╬«! 12-24-2008 02:09 PM

Kaash hum khull k zindgi
 

Kash ham khul kay zindagi kartay
umr guzri hay khud-kushi kartay

bijliyan is taraf nahi ayien
verna ham gher may roshni kartay

kaun dushman teri terhan ka tha?
Aur ham kis se dosti kartay ?

Bujh gaye kitnay chand se chehray
badal kay sehra may chandni kartay

ishq ujrat talab na tha verna
ham teray dar pe naukri kartay

is tamanna may ho gaye ruswa
ham bhi jee bher kay aashiqui kartay

husn us ka na khul saka mohsin
thak gaye log shayeri kartay

!«╬Ĵamil Malik╬«! 12-24-2008 02:12 PM

Uss ne dourr rehny
 

uss nein door rehnay ka mashwara bhi likha hay
sath he muhabbat ka vasta bhi likha hay ,


us nein yeh bhi likha hay , meray ghar nahi aana
aur saaf lafzoon mein rasta bhi likha hay


kuch haroof likhay hen zabt ki nasehat mein
kuch haroof mein us nein hosla bhi likha hay


shukria bhi likha hay dill say yaad krnay ka
dill say dill ka hay kitna , fasla bhi likha hay

!«╬Ĵamil Malik╬«! 12-24-2008 02:14 PM

Naa pouchh
 

kitni mushkil se kati hai ye meri raat na pooch
dil se nikli hui honton pe dabi baat na pooch

wo jis adaa se merey saamnay guzraa hai abhi
kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch

waqat jo badley to insaa`n bhi badal jaata hai
kis tarah dekhe hain ye gardish-e-halaat na pooch

wo kisi ka jo huwa mujhko khabar bhi na hui
kaise chupke se chudaya hai mera haath na pooch

Is tarha se mujhay beghana kia pal bhar mai
Kaise haara hoon meri jaan meri maat na pooch

ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi wo kayenaat na pooch



!«╬Ĵamil Malik╬«! 12-24-2008 02:16 PM

Us ko chaha tou
 

Us ko chaha tu bohat magr wo mila nahi
Lakh koshish ki magr faasla mita hi nahi

Us ko zamany nay majbur is qadar kardia
Meri kisis sada pay wo tehra hi nahi

Khuda se jholi phela phela k manga usay
Khuda nay meri is dua ko suna hi nahi

Hare k se puchha sabab us k na milny ka
Hare k nay kaha wo tery liye bana hi nahi

!«╬Ĵamil Malik╬«! 12-24-2008 02:18 PM

Kiya howa shab k sitaray
 

kiya huwa shab k sitaray ne jo darr khol diya
uss ki aahat ne mera baab e hunar khol diya

teray qadmon k nishaan hain meri benaayee tak
main ne yeh rasta teri paish e nazar khol diya

subah se shaam , hawaaon ne sameeta mujh ko
dastak e shab ne mera zakham magar khol diya

lazat e darbadri saath thi dinn bhar lakin
shaam ayee tow kissi haath ne ghar khol diya

main ne jab bhi kabhie janay ki ijazat chaahi
uss ne barrh kar mera asbaab e safar khol diya

titliyaan theen meri ankhon main k woh neendain theen
khuwaab k toot-tay hi jaisay k parr khol diya

!«╬Ĵamil Malik╬«! 12-24-2008 02:20 PM

Akhri muhbbat
 

Zindage bhar mai ik safar mai raha

khuwahishon k haseen nagar mai raha

maine mana k tere dhokay mai

mah jabeeno ko maine chaha hai

haan magar in haseen chehron main

umar bhar tera aks dhoonda hai

or mere koi talab hee nahi

bas tumhari mujhe zaroorat hai

tumse mil kar mujhe hua ahsas

"ZINDAGE KITNI KHUBSURAT HAI"

husn jitna bhe hai, jahan bhe hai

mujh ko sab kuch fareb lagta hai

mujh ko sab kuch fazool lagta hai

tere qadmon ke dhool lagta hai

mere ankhon se agar koi dekhay

jaan-e-jaan tum he khubsurat ho

thee tumhare hi bas talash mujhe

tum meri jaan pahli mohabbat ho

"Tum meri akhri mohabbat ho"


!«╬Ĵamil Malik╬«! 12-24-2008 02:22 PM

Tum routth jao
 

Tum rooth jayo mujh se,,,,Aisa kabhi na karna
Main teri ik nazar ko tarsoo,,,Aisa kabhi na karna

Main pooch pooch auro se so so sawal kar ke
Tum kuch jawab na do ,,,,Aisa kabhi na karna

Mujh se hi mil ke hansana,,,Mujh se hi mil ke rona
Mujh se bichad kar jee lo,,,,,Aisa kabhi na karna

Tum chand ban ke rehna main tumhe dekhta rahu ga
Tum kisi din na niklo ,,,,,,,,,,Aisa kabhi na karna

Tum chali jayo jab bhi to dekhu tumhara raasta
Tum lot ke na aao,,,,,,,,,,,,,,,,A isa kabhi na karna


!«╬Ĵamil Malik╬«! 12-24-2008 05:36 PM

kabhi is nagar tujhe dekhna
 

kabhi us nagar tujhe dhondna
kabhi raat bhar tujhe sochna
kabhi raat bhar tujhe dhondna
mera khowab tha k khyal tha
wo urooj thaa k zawal tha
teri yaad aye toh roo diya
jo toh mil gya tujhe khoo diya
mere silsile bhi ajeeb hain
tujhe chor kar tujhe dhondna
KABHI IS NAGAR...
KABHI US NAGAR....


All times are GMT +5. The time now is 11:32 AM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.