Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
||||
![]() ![]() ![]() Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Mili Jaisi Chahtey The Hum Ko Woh Ulfat Nahi Mili, Milney Ko Zindgi Main Kahin Hum-Safar Miley Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili, Chehroon Main Doosroo Ke Tumhain Doondtey Rahain Surat Nahi Mili Kahin Seerat Nahi Mili, Bohat Dair Se Aaya Tumhare Paas Kiya Kahoon Alfaaz Doondney Ki Bhi Mohalat Nahi Mili, Tujh Ko Gilla Raha Ke Tawajja Na Di Tujain Laikin Humain Khud Apni Rafaqat Nahi Mili,
|
(#3)
![]() |
|
||||
Kash ham khul kay zindagi kartay umr guzri hay khud-kushi kartay bijliyan is taraf nahi ayien verna ham gher may roshni kartay kaun dushman teri terhan ka tha? Aur ham kis se dosti kartay ? Bujh gaye kitnay chand se chehray badal kay sehra may chandni kartay ishq ujrat talab na tha verna ham teray dar pe naukri kartay is tamanna may ho gaye ruswa ham bhi jee bher kay aashiqui kartay husn us ka na khul saka mohsin thak gaye log shayeri kartay
|
(#4)
![]() |
|
||||
uss nein door rehnay ka mashwara bhi likha hay sath he muhabbat ka vasta bhi likha hay , us nein yeh bhi likha hay , meray ghar nahi aana aur saaf lafzoon mein rasta bhi likha hay kuch haroof likhay hen zabt ki nasehat mein kuch haroof mein us nein hosla bhi likha hay shukria bhi likha hay dill say yaad krnay ka dill say dill ka hay kitna , fasla bhi likha hay
|
(#5)
![]() |
|
||||
kitni mushkil se kati hai ye meri raat na pooch dil se nikli hui honton pe dabi baat na pooch wo jis adaa se merey saamnay guzraa hai abhi kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch waqat jo badley to insaa`n bhi badal jaata hai kis tarah dekhe hain ye gardish-e-halaat na pooch wo kisi ka jo huwa mujhko khabar bhi na hui kaise chupke se chudaya hai mera haath na pooch Is tarha se mujhay beghana kia pal bhar mai Kaise haara hoon meri jaan meri maat na pooch ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi kitni mushkil se bani thi wo kayenaat na pooch
|
(#6)
![]() |
|
||||
Us ko chaha tu bohat magr wo mila nahi Lakh koshish ki magr faasla mita hi nahi Us ko zamany nay majbur is qadar kardia Meri kisis sada pay wo tehra hi nahi Khuda se jholi phela phela k manga usay Khuda nay meri is dua ko suna hi nahi Hare k se puchha sabab us k na milny ka Hare k nay kaha wo tery liye bana hi nahi
|
(#7)
![]() |
|
||||
kiya huwa shab k sitaray ne jo darr khol diya uss ki aahat ne mera baab e hunar khol diya teray qadmon k nishaan hain meri benaayee tak main ne yeh rasta teri paish e nazar khol diya subah se shaam , hawaaon ne sameeta mujh ko dastak e shab ne mera zakham magar khol diya lazat e darbadri saath thi dinn bhar lakin shaam ayee tow kissi haath ne ghar khol diya main ne jab bhi kabhie janay ki ijazat chaahi uss ne barrh kar mera asbaab e safar khol diya titliyaan theen meri ankhon main k woh neendain theen khuwaab k toot-tay hi jaisay k parr khol diya
|
(#8)
![]() |
|
||||
Zindage bhar mai ik safar mai raha khuwahishon k haseen nagar mai raha maine mana k tere dhokay mai mah jabeeno ko maine chaha hai haan magar in haseen chehron main umar bhar tera aks dhoonda hai or mere koi talab hee nahi bas tumhari mujhe zaroorat hai tumse mil kar mujhe hua ahsas "ZINDAGE KITNI KHUBSURAT HAI" husn jitna bhe hai, jahan bhe hai mujh ko sab kuch fareb lagta hai mujh ko sab kuch fazool lagta hai tere qadmon ke dhool lagta hai mere ankhon se agar koi dekhay jaan-e-jaan tum he khubsurat ho thee tumhare hi bas talash mujhe tum meri jaan pahli mohabbat ho "Tum meri akhri mohabbat ho"
|
(#9)
![]() |
|
||||
Tum rooth jayo mujh se,,,,Aisa kabhi na karna Main teri ik nazar ko tarsoo,,,Aisa kabhi na karna Main pooch pooch auro se so so sawal kar ke Tum kuch jawab na do ,,,,Aisa kabhi na karna Mujh se hi mil ke hansana,,,Mujh se hi mil ke rona Mujh se bichad kar jee lo,,,,,Aisa kabhi na karna Tum chand ban ke rehna main tumhe dekhta rahu ga Tum kisi din na niklo ,,,,,,,,,,Aisa kabhi na karna Tum chali jayo jab bhi to dekhu tumhara raasta Tum lot ke na aao,,,,,,,,,,,,,,,,A isa kabhi na karna
|
(#10)
![]() |
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
collection |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
<><> Jewelley Collection<><> | Rizwana | Jewellery | 25 | 08-17-2012 02:57 AM |
~~~ eid sms collection ~~~ | umair8005 | Urdu Sms | 24 | 11-23-2011 06:01 PM |
sms collection | DI@ | English Sms | 16 | 10-23-2011 03:31 AM |
Msn emoticons collection | AYAZ | Computer and Information Technology | 14 | 04-20-2011 09:24 AM |
My own collection | Emaan_88 | English Poetry | 36 | 06-03-2010 02:54 PM |