Members Poetry Collections !! Share your Poetry Collections Here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
Mushkil hai ab shahar mein nikle koi ghar se dastaar pe baat aa gai hai hoti hui ser se Barsaa bhi to kis dasht ke be-faiz badan par ik umr mere kheit the jis abr ko tarse Is baar jo eindhan ke liye kat ke giraa hai chiriyon ko barra pyaar tha us buurhe shajar se Mehanat meri aandhi se to mansuub nahin thi rahna tha koi rabt shajar ka bhi samar se Khud apne se milne ka to yaarana tha mujh mein main bheer mein gum ho gai tanhaai ke Dar se Benaam musaafat hi muqaddar hai to kya Gham manzil ka ta'yyun kabhi hota hai safar se Pathrayaa hai dil yun ki koi talism parhaa jaaye ye shahar nikaltaa nahin jaadu ke asar se Nikale hain to raste mein kahin shaam bhi hogi suuraj bhi magar aayegaa is raah-guzar se
|
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
Mohabbatein Jab Shumar Karna To Sazishein Bhi Shumaar Karna Jo Mere Hissay Main Ayi Hain Wo Aziyaatein Bhi Shumar Karna Jalaae Rakhon Gi Main Subha Tak Tumhary Raston Main Apni Aankhein Mager Kahin zabt Toot Jaye Tu Barishein Bhi Shumar Karna Jo Harf loh-e-Wafa Per Likhe Hoye Hain Un Ko Bhi Dekh Laina Jo Raa'igaan Ho Gaein Wo Sare Ibbaratein Bhi Shumar Karna Yeh Sardiyoon Ka Udaas Mousam Keh Dharkanein Barf Hogai Hain Jab In Ki Yakh Bastagi Parkhna Tou Tamazatien Bhi Shumar Karna Tum Apni Majbooriyon Ke Qisse Zaroor Likhna Wazahaton Se Jo Meri Ankhon Main Jal Bhuji Hain Wo khuwahishain Shumar Karna Mohabbatein Jab Shumar Karna To Sazishiyen Bhi Shumar Karna Jo Mere Hissey Main Ayi Hain Wo Aziyaatein Bhi Shumar Karna
|
(#3)
![]() |
|
|||
Paida rah-e-khaloos main dushwarian na kar Chahat nahi tou hum se adakaarian na kar Lafzon se khalne ki zaroorat nahi tujhe sada dilon ke saath yeh fan.kaarian na kar Jin Se nahi lagao unhain munh bhi mat laga Be waja har dukan se kharidaarian na kar Tu shakh-e-gul hai koi amar bail tu nahi Wabasta har shajar se wafadaarian na kar Iss bheer se pare bhi hai abad khalq-e-shair Apne hi doston ki taraf darian na kar Iss shugal-e-bejawaz se kya faida tujhe Dil mat dukha kisi ki dil aazaarian na kar Taza hai dil pe dagh agar pehli choat ka Phir dosri shikast ki tayyarian na kar
|
(#4)
![]() |
|
|||
Ankhon Se Meri Iss Liye Lali Nahi Jati Yadoon Se Koi Raat Jo Khali Nahi Jati Ab Umar, Na Moasam, Na Wo Rasty Keh Palat.te Iss Dil Ki Magar Kham Khiyali Nahe Jati Aye Koi Aa ker Ye Tere Dard Sambhaley Hum Sai To Yeh Jageer Sambhali Nahi Jati Malum Humay Bhe Hain Bohat Se Tery Qisay Har Baat Teri Hum Sai Uchaali Nahi Jati Humrah Tere Phool Khilati Thi Jo Dil Mein Abb Sham Woh Dard Se Khali Nahe Jati Hum Jaan Se Jayan Ge Tabhi Baat Banay Gi Tum Se Tou Koi Rah Nikali Nahi Jati
|
(#5)
![]() |
|
|||
Inhi khush'gumaniyon mei kahin jaan se bhi na jao wo jo chaaragar nahi hy usy zakhm kyon dikhao ? Ye udasiyon k mousam kahin raigaan na jaain kisi zakhm ko kuredo kisi dard ko jagao Wo kahaniyaan adhori jo na ho sakain gi pori unhain main b kyon sunaon unhain tum b kyon sunao? Mere humsafar purane mere ab b muntazir hain tumhain sath chorna hy to abhi se choor jao Ye judaiyon ke rasty bari dor tak gye hain jo gya wo phir na louta meri baat maan jao kisi bewafa ki khatir ye junon ‘Faraz’ kab tak jo tumhain bhula chuka hy usey tum bhi bhool jao !!!
|
(#6)
![]() |
|
|||
روٹھا تو شہر خواب کو غارت بھی کر گیا پھر مسکرا کے تازہ شرارت بھی کر گیا شاید اسے عزیز تھیں آنکھیں میری بہت وہ میرے نام اپنی بصارت بھی کر گیا منھ زور آندھیوں کی ہتھیلی پہ اک چراغ پیدا میرے لہو میں حرارت بھی کر گیا بوسیدہ بادبان کا ٹکڑا ہوا کے ساتھ طوفاں میں کشتیوں کی سفارش بھی کر گیا دل کا نگر اجاڑنے والا ہنر شناس تعمیر حوصلوں کی عمارت بھی کر گیا سب اہل شہر جس پہ اٹھاتے تھی انگلیاں وہ شہر بھر کو وجہ زیارت بھی کر گیا محسن یہ دل کہ اس بچھڑتا نہ تھا کبھی آج اس کو بھولنے کی جسارت بھی کر گیا
|
(#7)
![]() |
|
|||
Nasir Kia Kehta Phirta Hai Kuch Na Suno To Behtar Hai..* Diwana Hai Diwane Ke Muon Na Lago To Behtar Hai..* Kal Jo Tha Wo Aaj Nahi Jo Aaj Hai Kal Mit Jaye Ga..* Rukhi Sukhi Jo Mil Jaye Shukar Karo To Behtar Hai..* Kal Ye Tab-O-Tawan Na Rahe Gi Thanda Ho Jaye Ga Lahu..* Nam-E-Khuda Ho Jawan Abhi Kuch Kar Guzro To Behtar Hai..* Kia Jane Kia Rut Badle Halat Ke Koi Theak Nahi..* Ab Ke Safar Main Tum Bhi Humare Sath Chalo To Behtar Hai..* Kapre Badal Kar Bal Bana Kar Kahan Chale Ho Kis Ke Liye..* Rat Bahut Kali Hai NASIR Ghar Main Raho To Behtar Hai..*
|
(#8)
![]() |
|
|||
Fasle Aise Bhi Hon Gay Ye Kabhi Socha Na Tha. Samne Betha Tha Mere Aur Wo Mera Na Tha. Wo K Khushbu Ki Tarah Phaila Tha Mere Charsoo. Main Use Mahesoos Kar Sakta Tha Chu Sakta Na Tha. Raat Bhar Pichli Uski Hi Aahat Kaan Main Aati Rahi. Jhank Kar Dekha Gali Main Koi Bhi Aaya Na Tha. Aaj Us Ne Dard Bhi Apne Alheda Karliye. Aaj Main Roya To Mere Sath Wo Roya Na Tha. Ye Sab Weeraniyan Us K Juda Hone Se Thein. Aankh Dhundlai Hovi Shehr Dhundlaya Na Tha. Yaad Kar K Aur Bhi Takleef Hoti Thi ADEEM. Bhool Jane K Siva To Koi Bhi Chara Na Tha.
|
(#9)
![]() |
|
|||
Ye Jo Chehre Se Tumhain Lagte Hain Bemar Se Hum, Khoob Roye Hain Lipat Kar Dar-O-Deewar Se Hum, Yar Ki Aankh Mein Nafrat Ne Humain Qatal Kia, Kon Kehta Hai Kate Yar Ki Talwar Se Hum, Ranj Har Rang Ki Jholi Mein Bhare Hain Hum Ne, Jab Bhi Guzre Hain Kisi Dard K Bazar Se Hum, Ishq Mein Hukam Adooli Bhi Humain Aati Hai,
|
(#10)
![]() |
|
|||
Ye Jo Chehre Se Tumhain Lagte Hain Bemar Se Hum, Khoob Roye Hain Lipat Kar Dar-O-Deewar Se Hum, Yar Ki Aankh Mein Nafrat Ne Humain Qatal Kia, Kon Kehta Hai Kate Yar Ki Talwar Se Hum, Ranj Har Rang Ki Jholi Mein Bhare Hain Hum Ne, Jab Bhi Guzre Hain Kisi Dard K Bazar Se Hum, Ishq Mein Hukam Adooli Bhi Humain Aati Hai,
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
collection, ghazls |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Bareeze New Collection | Bareeze Embroidered Classic | Bareeze Exclusive Eid Collection | sahaili | Embroidery Dresses | 2 | 10-31-2013 05:17 PM |
Exclusive Bridal Collection Bridal Collection | pakeeza | Bridal Dresses | 7 | 06-14-2013 01:27 PM |
~My Fav Collection~ | SHAYAN | Members Poetry Collections | 1108 | 12-16-2011 11:17 PM |
~~~ eid sms collection ~~~ | umair8005 | Urdu Sms | 24 | 11-23-2011 06:01 PM |
––––•(-•DUA'S Collection•-)•–––– | Maharani | Say For Islam | 14 | 09-01-2011 06:20 AM |