MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Members Poetry Collections (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=130)
-   -   Nc ghazls collection (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=108337)

Naughty Cat 11-26-2013 12:59 AM

Nc ghazls collection
 
Mushkil hai ab shahar mein nikle koi ghar se
dastaar pe baat aa gai hai hoti hui ser se

Barsaa bhi to kis dasht ke be-faiz badan par
ik umr mere kheit the jis abr ko tarse

Is baar jo eindhan ke liye kat ke giraa hai
chiriyon ko barra pyaar tha us buurhe shajar se

Mehanat meri aandhi se to mansuub nahin thi
rahna tha koi rabt shajar ka bhi samar se

Khud apne se milne ka to yaarana tha mujh mein
main bheer mein gum ho gai tanhaai ke Dar se

Benaam musaafat hi muqaddar hai to kya Gham
manzil ka ta'yyun kabhi hota hai safar se

Pathrayaa hai dil yun ki koi talism parhaa jaaye
ye shahar nikaltaa nahin jaadu ke asar se

Nikale hain to raste mein kahin shaam bhi hogi
suuraj bhi magar aayegaa is raah-guzar se

Naughty Cat 11-26-2013 01:00 AM

Re: Nc ghazls collection
 
Mohabbatein Jab Shumar Karna To Sazishein Bhi Shumaar Karna
Jo Mere Hissay Main Ayi Hain Wo Aziyaatein Bhi Shumar Karna


Jalaae Rakhon Gi Main Subha Tak Tumhary Raston Main Apni Aankhein
Mager Kahin zabt Toot Jaye Tu Barishein Bhi Shumar Karna


Jo Harf loh-e-Wafa Per Likhe Hoye Hain Un Ko Bhi Dekh Laina
Jo Raa'igaan Ho Gaein Wo Sare Ibbaratein Bhi Shumar Karna


Yeh Sardiyoon Ka Udaas Mousam Keh Dharkanein Barf Hogai Hain
Jab In Ki Yakh Bastagi Parkhna Tou Tamazatien Bhi Shumar Karna


Tum Apni Majbooriyon Ke Qisse Zaroor Likhna Wazahaton Se
Jo Meri Ankhon Main Jal Bhuji Hain Wo khuwahishain Shumar Karna


Mohabbatein Jab Shumar Karna To Sazishiyen Bhi Shumar Karna
Jo Mere Hissey Main Ayi Hain Wo Aziyaatein Bhi Shumar Karna

Naughty Cat 11-26-2013 01:00 AM

Re: Nc ghazls collection
 
Paida rah-e-khaloos main dushwarian na kar
Chahat nahi tou hum se adakaarian na kar


Lafzon se khalne ki zaroorat nahi tujhe
sada dilon ke saath yeh fan.kaarian na kar


Jin Se nahi lagao unhain munh bhi mat laga
Be waja har dukan se kharidaarian na kar


Tu shakh-e-gul hai koi amar bail tu nahi
Wabasta har shajar se wafadaarian na kar


Iss bheer se pare bhi hai abad khalq-e-shair
Apne hi doston ki taraf darian na kar


Iss shugal-e-bejawaz se kya faida tujhe
Dil mat dukha kisi ki dil aazaarian na kar


Taza hai dil pe dagh agar pehli choat ka
Phir dosri shikast ki tayyarian na kar

Naughty Cat 11-26-2013 01:00 AM

Re: Nc ghazls collection
 
Ankhon Se Meri Iss Liye Lali Nahi Jati
Yadoon Se Koi Raat Jo Khali Nahi Jati

Ab Umar, Na Moasam, Na Wo Rasty Keh Palat.te
Iss Dil Ki Magar Kham Khiyali Nahe Jati

Aye Koi Aa ker Ye Tere Dard Sambhaley
Hum Sai To Yeh Jageer Sambhali Nahi Jati

Malum Humay Bhe Hain Bohat Se Tery Qisay
Har Baat Teri Hum Sai Uchaali Nahi Jati

Humrah Tere Phool Khilati Thi Jo Dil Mein
Abb Sham Woh Dard Se Khali Nahe Jati

Hum Jaan Se Jayan Ge Tabhi Baat Banay Gi
Tum Se Tou Koi Rah Nikali Nahi Jati

Naughty Cat 11-26-2013 01:01 AM

Re: Nc ghazls collection
 
Inhi khush'gumaniyon mei kahin jaan se bhi na jao
wo jo chaaragar nahi hy usy zakhm kyon dikhao ?

Ye udasiyon k mousam kahin raigaan na jaain
kisi zakhm ko kuredo kisi dard ko jagao

Wo kahaniyaan adhori jo na ho sakain gi pori
unhain main b kyon sunaon unhain tum b kyon sunao?

Mere humsafar purane mere ab b muntazir hain
tumhain sath chorna hy to abhi se choor jao

Ye judaiyon ke rasty bari dor tak gye hain
jo gya wo phir na louta meri baat maan jao

kisi bewafa ki khatir ye junon ‘Faraz’ kab tak
jo tumhain bhula chuka hy usey tum bhi bhool jao !!!

Naughty Cat 11-26-2013 01:01 AM

Re: Nc ghazls collection
 
روٹھا تو شہر خواب کو غارت بھی کر گیا
پھر مسکرا کے تازہ شرارت بھی کر گیا

شاید اسے عزیز تھیں آنکھیں میری بہت
وہ میرے نام اپنی بصارت بھی کر گیا

منھ زور آندھیوں کی ہتھیلی پہ اک چراغ
پیدا میرے لہو میں حرارت بھی کر گیا

بوسیدہ بادبان کا ٹکڑا ہوا کے ساتھ
طوفاں میں کشتیوں کی سفارش بھی کر گیا

دل کا نگر اجاڑنے والا ہنر شناس
تعمیر حوصلوں کی عمارت بھی کر گیا

سب اہل شہر جس پہ اٹھاتے تھی انگلیاں
وہ شہر بھر کو وجہ زیارت بھی کر گیا

محسن یہ دل کہ اس بچھڑتا نہ تھا کبھی
آج اس کو بھولنے کی جسارت بھی کر گیا

Naughty Cat 11-26-2013 01:01 AM

Re: Nc ghazls collection
 
Nasir Kia Kehta Phirta Hai Kuch Na Suno To Behtar Hai..*
Diwana Hai Diwane Ke Muon Na Lago To Behtar Hai..*

Kal Jo Tha Wo Aaj Nahi Jo Aaj Hai Kal Mit Jaye Ga..*
Rukhi Sukhi Jo Mil Jaye Shukar Karo To Behtar Hai..*

Kal Ye Tab-O-Tawan Na Rahe Gi Thanda Ho Jaye Ga Lahu..*
Nam-E-Khuda Ho Jawan Abhi Kuch Kar Guzro To Behtar Hai..*

Kia Jane Kia Rut Badle Halat Ke Koi Theak Nahi..*
Ab Ke Safar Main Tum Bhi Humare Sath Chalo To Behtar Hai..*

Kapre Badal Kar Bal Bana Kar Kahan Chale Ho Kis Ke Liye..*
Rat Bahut Kali Hai NASIR Ghar Main Raho To Behtar Hai..*

Naughty Cat 11-26-2013 01:01 AM

Re: Nc ghazls collection
 
Fasle Aise Bhi Hon Gay Ye Kabhi Socha Na Tha.

Samne Betha Tha Mere Aur Wo Mera Na Tha.

Wo K Khushbu Ki Tarah Phaila Tha Mere Charsoo.

Main Use Mahesoos Kar Sakta Tha Chu Sakta Na Tha.

Raat Bhar Pichli Uski Hi Aahat Kaan Main Aati Rahi.

Jhank Kar Dekha Gali Main Koi Bhi Aaya Na Tha.

Aaj Us Ne Dard Bhi Apne Alheda Karliye.

Aaj Main Roya To Mere Sath Wo Roya Na Tha.

Ye Sab Weeraniyan Us K Juda Hone Se Thein.

Aankh Dhundlai Hovi Shehr Dhundlaya Na Tha.

Yaad Kar K Aur Bhi Takleef Hoti Thi ADEEM.

Bhool Jane K Siva To Koi Bhi Chara Na Tha.

Naughty Cat 11-26-2013 01:02 AM

Re: Nc ghazls collection
 
Ye Jo Chehre Se Tumhain Lagte Hain Bemar Se Hum,

Khoob Roye Hain Lipat Kar Dar-O-Deewar Se Hum,

Yar Ki Aankh Mein Nafrat Ne Humain Qatal Kia,

Kon Kehta Hai Kate Yar Ki Talwar Se Hum,

Ranj Har Rang Ki Jholi Mein Bhare Hain Hum Ne,

Jab Bhi Guzre Hain Kisi Dard K Bazar Se Hum,

Ishq Mein Hukam Adooli Bhi Humain Aati Hai,

Naughty Cat 11-26-2013 01:02 AM

Re: Nc ghazls collection
 
Ye Jo Chehre Se Tumhain Lagte Hain Bemar Se Hum,

Khoob Roye Hain Lipat Kar Dar-O-Deewar Se Hum,

Yar Ki Aankh Mein Nafrat Ne Humain Qatal Kia,

Kon Kehta Hai Kate Yar Ki Talwar Se Hum,

Ranj Har Rang Ki Jholi Mein Bhare Hain Hum Ne,

Jab Bhi Guzre Hain Kisi Dard K Bazar Se Hum,

Ishq Mein Hukam Adooli Bhi Humain Aati Hai,


All times are GMT +5. The time now is 03:24 AM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.