 |
|
|
Posts: 509
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2013
Location: Oslo
Gender:
|
|
Mujhay Aazmanay Walay
meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye….
mere aazmane wale mujhe aazma k roye…..
jo sunaai anjuman main darde-e-gham ki aap biti….
kuch ro k muskuraye kuch muskura k roye……..
teri kuch adaon pe.. kuch teri bewafaiyon pe…..
kabhi muh chupa k roye kabhi sar jhuka k roye…
mai hun bewatan musafir mera naam bekasi hai..
mera koi bhi nahi jo mujhe gale laga k roye…….
mere paas se guzar kar mera haal tak na poocha….
mai ye kaisa maan lu k woh door jaa k roye….
meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye….
mere aazmane wale mujhe aazma k roye…..
chahat to thi ke teri mohabat ki duniya basayange
magar teri mohabat me duniya luta ke roye
na ho ehasas jamane ko mere dard ka
isliye dard apana khud se bhi chupa ke roye
teri aankho se kahi aansu ka koi katra na bah jaaye,
tere saamne muskuraye, tere peeche jaa k roye,
teri judaai ka gham ab had se paar ho gaya hai,
ye sach zamane ko ham bata bata k roye,
|