kise dekhein kahaan dekha na jaye
wo dekha hai jahaan dekha na jaye
miree barbaadion per rone wale
tujhe mahv-e-fugaan dekha na jaye
zameen logon se khaali ho rahi hai
ye rang-e-aasmaan dekha na jaye
safar hai aur gurbat ka safar hai
gham-e-sad-kaarvaan dekha na jaye
kahiin aag aur kahiin laashon ke ambaar
bas ai daur-e-zamaan dekha na jaye
dar-o-deewaar weeraan, shama maddham
shab-e-gham ka samaan dekha na jaye
purani suhbatein yaad aati hain
charaghon ka dhuaan dekha na jaye
bhari barsaat khaali ja rahi hai
sarabar-e-ravaan dekha na jaye
kahiin tum aur kahiin ham, kya ghazab hai
firaaq-e-jism-o-jaan dekha na jaye
wahi jo haasil-e-hastii hai Nasir
usi ko meherbaan dekha na jaye