![]() |
kise dekhein kahaan dekha na jaye ~ Nasir Kazmi
kise dekhein kahaan dekha na jaye wo dekha hai jahaan dekha na jaye miree barbaadion per rone wale tujhe mahv-e-fugaan dekha na jaye zameen logon se khaali ho rahi hai ye rang-e-aasmaan dekha na jaye safar hai aur gurbat ka safar hai gham-e-sad-kaarvaan dekha na jaye kahiin aag aur kahiin laashon ke ambaar bas ai daur-e-zamaan dekha na jaye dar-o-deewaar weeraan, shama maddham shab-e-gham ka samaan dekha na jaye purani suhbatein yaad aati hain charaghon ka dhuaan dekha na jaye bhari barsaat khaali ja rahi hai sarabar-e-ravaan dekha na jaye kahiin tum aur kahiin ham, kya ghazab hai firaaq-e-jism-o-jaan dekha na jaye wahi jo haasil-e-hastii hai Nasir usi ko meherbaan dekha na jaye |
Re: kise dekhein kahaan dekha na jaye ~ Nasir Kazmi
V Nice ..
|
Re: kise dekhein kahaan dekha na jaye ~ Nasir Kazmi
Nice..
|
Re: kise dekhein kahaan dekha na jaye ~ Nasir Kazmi
great sharing
|
Re: kise dekhein kahaan dekha na jaye ~ Nasir Kazmi
WoOoow
Nice ...!! |
Re: kise dekhein kahaan dekha na jaye ~ Nasir Kazmi
Quote:
|
All times are GMT +5. The time now is 06:29 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.