It's good to be bad
|
|
Posts: 1,102
Country:
Star Sign:
Join Date: Apr 2011
Location: C:\WINDOWS\system32
Gender:
|
|
Bhalay dino ki baat hai,
Bhali si ek shakal thi,
Na ye k husn-e-taam ho,
Na dekhnay me aam si,
Na ye k wo chalay to phir,
Kehkashan se Rahguzar lagay,
Magar wo sath ho to phir,
Bhala bhala safar lagay,
Koi b rut ho uss ki chab,
Fiza ka rang-o-roop thi,
Wo garmyon ki chaon thi,
Wo sardyon ki dhoop thi,
Ik umer hoti hai Ma'amlaat-e-dil ki bhi,
wisaal-e-janfizaa to kiya,
Firaaq-e-jangsill ki bhi,
Phir ek roz kiya huwa,
Wafa pe behas chir gyi,
Main ishk ko amar kahun,
Wo meri baat se chirr gyi,
Main ishk ka aseer tha,
Wo ishk ko qafas kahay,
K umer bhar k saath ko,
Wo bad taraaz hawas kahay,
mai koi painting nahi,
K ik hi frame me rahun,
Wahi jo mann ka meet ho,
Ussi k praim me rahun,
So hansii khushii apna apna raasta badal liya,
Wo apni raah chal pari,
Main apni raah chal diya,
Na us ko mujh pe maan tha,
Na mujh ko us pe za'um hi,
Jab ehad hi koi na tha,
To kiya gham-shikastagi,
Bhali si ek shakal thi,
Bhali si us ki dosti,
Ab raat din us ki yaad nahi,
Magar hai kabhi kabhi,
Bhalay dino ki baat hai...!
Ɖσ ʏσʋ ℓσѴɛ мɛ?
Ƥℓɛαƨɛ ℓιɛ αи∂ ƨαʏ...
ʏɛƨ...
|