|
|
Posts: 52,341
Country:
Star Sign:
Join Date: Dec 2009
Location: RAWALPINDI
Gender:
|
|
Aye taghayur e zamana , yeh ajeeb dil lagy hai
na waqar e dosti hai, na majaal e dushmani hai
yehi zulmatain chhainiin jo tere surkh aanchalon mein
in hi zulmaton se shayad mere ghar mein roshni hai
mere saath tum bhi chalna , mere saath tum bhi aana
zara gham k raston mein , bari taiz tairgy hai
gham e zindagy kahan hai, abhi wehshaton se fursat
tere naaz utha hi lain gay, abhi zindagy pari hai
tere khush gaisu_on mein meri aarzu hai pinhaan
tere shokh bazu_on mein , meri dastaan rachi hai
jisse apna yaar kehna usse chorna bhanwar mein
yeh hadees e dilbaran hai, yeh kamal dilbari hai
woh guzar gaya hai saghar koi qaafla chaman se
kahin aag jal rahi hai , kahin raakh so gayee hai
|