MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - Namaz
Thread: Namaz
View Single Post
(#1)
Old
pinky pinky is offline
 


Posts: 87
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Nov 2008
Location: Danmark
Gender: Female
bf Namaz - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   11-30-2008, 10:52 PM

Hazrat Huzaifa R.A. farmate hai Nabi Kareem S.A.ka ma'mool mubarak tha k jab koi aham muamla pesh aata to Aap fauran namaz may mashghuul ho jate.

Hazrat Abuu Zar R.A. farmaate hai ki maine Rasool Allah S.A.ko ye irshad farmate huey suna: jo shaks ek ruku' karta hai ya ek sajdah karta hai is ka ek darja buland kar diya jata hai aur is ki ek ghalti muaf kar di jati hai.

Hazrat Abu Hurairah R.A. se rivayat hai k Rasool Allah S.A.ne irshaad farmaya :bandah namaz k dauraan sajdeh ki haalat may apne Rab k sab se zyadah qareeb hota hai lihaaza(is haalat may khub duaey kiya karo).
faedah:Nafal namaz k sajdo may khaas taur per duao ka ehtamaam karna chahiye.

Hazrat Abu Hurairah R.A.se rivayat hai ki Rasool Allah S.A.ne irshaad farmaya:jab ibne Adam sajdah ki ayat tilawat kar k sajdah kar leta hai to shaitaan rota hua ek taraf hut jata hai aur kehta hai: haay afsos! ibne Adam ko sajdah karne ka hukm diya gaya aur isne sajdah kiya to woh jannat ka mustahiq ho gaya aur mujhe sajdah karne ka hukm diya gaya aur maine sajdah se inkaar kiya to mai jahannam ka mustahiq ho gaya.

 

Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links