|
|
|
Posts: 52,341
Country:
Star Sign:
Join Date: Dec 2009
Location: RAWALPINDI
Gender:
|
|
|
YaadoN kay bawandar say uth rahay haiN takhu_ul ki sarzmiN pe
Barq ban kay chamkta hai teri afsurda haNsi ka chehra
Honay lagi hai teray naaz-o-karam ki rimjhim
Meri takhleeq main wo pehlee barsaat ki saundhi mehak aa rahi hai
Tanha bahut tanha hai dil teray jaanay kay baad
SaMbhla nahi wajood shorishoN main bhi doob jaanay kay baad
Zamaana to samjhta hai isay shauq-e-fitoor mera
Har cheray main agar duNdta huiN teri hi parchaaiaN
Aur uqta kay uth aataa huiN phir apnay khyaaloN ki duniya main
Siyaah aur siyaah ho jaati hai phir mari tanhaaian
Ab tu bani hai kisi ghair ki zindgi ka unwaaN
Ab teri raataiN uskee baahon main basi rahti haiN
Ab na us ulfat ki haqeeqat baqi
Phir bhi nadaan umeed dil main basi rahti hai
Poochta huin main aksar apni talkh raaton say
Ki kya hai aqaayud-e-mahabbat ki asaas?
Kya hai yeh rasoomaat maiN lipta ik shauq-bekaar?
Kya haiyeh ishq kay naam pay paltay huay pazmurda ahsaas?
Kya hai yeh mahabbat, yeh mahabbat ki tashheer
Kadam dar kadam samjautaoN ki besood ta'meer
Kya hai yeh jism-o-rooh kay alag alag mayaar
Kya hai parastish pay palta yeh falsafa-e-taqdeer?
Thahar ab zauq-e-talab thahar
Aaj na yeh baat uthaa
Aaj ki raat barasta hai guzishta mohabbat ka jaadu
Aaj ki raat kuch na keh kuch na suna
Kabhi zindagi me kisik liay mut rona**
q k vo''tumhare ansoun k kabil nahi ho ga''
or ''vo'' jo is ''kabil'' ho ga vo tumhe ''rone'' nahi de ga''*****
|