![]() |
YaadoN kay bawandar say uth rahay haiN takhu_ul ki sarzmiN pe
YaadoN kay bawandar say uth rahay haiN takhu_ul ki sarzmiN pe
Barq ban kay chamkta hai teri afsurda haNsi ka chehra Honay lagi hai teray naaz-o-karam ki rimjhim Meri takhleeq main wo pehlee barsaat ki saundhi mehak aa rahi hai Tanha bahut tanha hai dil teray jaanay kay baad SaMbhla nahi wajood shorishoN main bhi doob jaanay kay baad Zamaana to samjhta hai isay shauq-e-fitoor mera Har cheray main agar duNdta huiN teri hi parchaaiaN Aur uqta kay uth aataa huiN phir apnay khyaaloN ki duniya main Siyaah aur siyaah ho jaati hai phir mari tanhaaian Ab tu bani hai kisi ghair ki zindgi ka unwaaN Ab teri raataiN uskee baahon main basi rahti haiN Ab na us ulfat ki haqeeqat baqi Phir bhi nadaan umeed dil main basi rahti hai Poochta huin main aksar apni talkh raaton say Ki kya hai aqaayud-e-mahabbat ki asaas? Kya hai yeh rasoomaat maiN lipta ik shauq-bekaar? Kya haiyeh ishq kay naam pay paltay huay pazmurda ahsaas? Kya hai yeh mahabbat, yeh mahabbat ki tashheer Kadam dar kadam samjautaoN ki besood ta'meer Kya hai yeh jism-o-rooh kay alag alag mayaar Kya hai parastish pay palta yeh falsafa-e-taqdeer? Thahar ab zauq-e-talab thahar Aaj na yeh baat uthaa Aaj ki raat barasta hai guzishta mohabbat ka jaadu Aaj ki raat kuch na keh kuch na suna |
Re: YaadoN kay bawandar say uth rahay haiN takhu_ul ki sarzmiN pe
Nice .....
|
Re: YaadoN kay bawandar say uth rahay haiN takhu_ul ki sarzmiN pe
vv nice
|
Re: YaadoN kay bawandar say uth rahay haiN takhu_ul ki sarzmiN pe
Nice.......
|
All times are GMT +5. The time now is 06:01 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.