saath roota tha mery saath hansa karta tha
wohi jo mery dil main basa karta tha
meri chahat ka talabgar tha wo is qadar k
namazoon main milny ki dua karta tha
aik pal ka bicharna bhi gavara na tha usko
roty roty wo mujh ko khud se juda karta tha
mery dil main raha wo dharkan ban kar
or say ki tarhan saath chala karta tha
rog-e-dil jo laga betha anjany main
meri agoosh main marny ki dua karta tha
baat kismat ki thi jo juda ho gay hum
warna woh to mujhy tkdeer kaha karta tha