|
|
Posts: 247
Country:
Join Date: Aug 2009
Gender:
|
|
Jeene ka raaz meine mohabbat main paa liya
Jiss ka bhi gham houa ousse apna banaa liya
Tum gham ka bojh ro ke bhi halka na kar sake
Meine hansi ki aaD main har gham chhupaa liya
Sunane ko jab na koyi milaa daastaan-e-gham
Aaina rakh ke saamane Khud ko sunaa liya
Kabhi kahaa na kissi se tere fasaane ko
Na jaane kaise khabar ho gayi zamaane ko
Sunaa hai ghair ki mehfil main tum na jaaoge
Kaho to aaj sajaa loun gareebkhaane ko
Duaa bahaar ki maangi to itne phoul khile
Kahin jagah na mili mere ashiyaane ko
Ab aage is main tumhara bhi naam aayega
jo hukm ho to yahin chhoD doun fasaane ko
‘Qamar’ zaraa bhi nahin tum ko kauf-e-ruswaayi
chale ho chaandni shab main unhein bulaane ko
|