Jab Teri Dhun mein Jiya karte thay
Hum bhi chup chap phira karte thay
Ankh mein piyas hua karti thi
Dil mein tofan utha karte thay
Log atey thay gazal sunnye ko
Hum teri baat kiya karte thay
Such Samajhtay thay terey wadon ko
Raat din ghar mein raha kartay thay
Kisi weerane mein tujh say mil kur
Dil mein kiya phool khila karte thay
Ghar ki deewaron ko sajanay kay liye
Hum tera naam likha karte thay
Wo bhi kiya din thay bhula kar tujh ko
Hum tujhey Yaad kiya karte thay
Jab teray dard mein Dil dukhta tha
Hum teray haq men Dua karte thay
Apnay jazbon ki kamandon say tujhey
Hum bhi taskheer kiya karte thay
Kal tujhay dekh ke Yaad aya hai
Hum sukhan war bhi hua karte thay
Cherta tha Gam-e-Dunya jab bhi "Mohsin"
Hum teray Gam say gila karte thay