![]() |
Jab Teri Dhun Main Jiya Kartay Thay.....!!
Jab Teri Dhun mein Jiya karte thay Hum bhi chup chap phira karte thay Ankh mein piyas hua karti thi Dil mein tofan utha karte thay Log atey thay gazal sunnye ko Hum teri baat kiya karte thay Such Samajhtay thay terey wadon ko Raat din ghar mein raha kartay thay Kisi weerane mein tujh say mil kur Dil mein kiya phool khila karte thay Ghar ki deewaron ko sajanay kay liye Hum tera naam likha karte thay Wo bhi kiya din thay bhula kar tujh ko Hum tujhey Yaad kiya karte thay Jab teray dard mein Dil dukhta tha Hum teray haq men Dua karte thay Apnay jazbon ki kamandon say tujhey Hum bhi taskheer kiya karte thay Kal tujhay dekh ke Yaad aya hai Hum sukhan war bhi hua karte thay Cherta tha Gam-e-Dunya jab bhi "Mohsin" Hum teray Gam say gila karte thay |
what a sad sharing
|
thnx 4 liking chaltaz :current:
|
v nycsharing api
|
thnx anisa...
|
zaberdast
|
thnx shah sis...
|
zabrdast :(
|
Very Nice Sharing ..
|
v.nyce
|
All times are GMT +5. The time now is 06:53 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.