MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - Maa baap
Thread: Maa baap
View Single Post
(#2)
Old
Jhuki Palkein Jhuki Palkein is offline
 


Posts: 1,490
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: Denmark
Gender: Female
Default >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   03-22-2009, 04:53 PM

JazakAllah, Great Sharing Sis.

Jis Tarha'n Quraani Ayaton Mein Maa Baap Ki Azmat Aur Buzurgi Ka Zikar Kiya Gaya Hai Aur Unke Adaab-O-Ehteraam Ka Hukam Diya Gaya Hai, Isi Tarhan Hadees-E-Nabwi {SAWS} Mein Bhi Walidan Ki Azmat-O-Buzurgi, Adaab-O-Ehteraam Ka Zikar Maujood Hai,.

Rasool {SAWS} Se Hazrat Abdullah Masood {RATA} Ne Poocha Ke: 'Aye Allah Ke Rasool {SAWS}, Allah Swt Ke Nazdeek Sabse Acha Amal Kaunsa Hai?'

Aap {SAWS} Ne Farmaya Ke Waqt Par Namaaz Ada Karna, Aur Uske Baad Sabse Mehboob Amal Walidan Ke Saath Acha Sulooq Karna ( - Bukhari Shareef)

Tibrani Mein Hazrat Jabir Bin Abullah {RATA} Se Riwayat Hai K Rasool {SAWS} Ne Farmaya, 'Walidan Ki Nafarmani Se Bacho, Isliye Ke Jannat Ki Khushboo Aik Hazaar Saal Taq Se Aati Hai, Magar Walidan Ki Nafarmani Karne Wala Iski Khushboo Nahi Payega, Yani Jannat Se Mehroom Rahega,.

Allah Humein Maa-Baap Ki Khidmat, Qadar Aur Neik Aamaal Karne Ki Taufeeq Ata Faramayein , Ameen,.