MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Islamic Issues And Topics (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=17)
-   -   Maa baap (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=10181)

Humaila 03-22-2009 03:44 AM

Maa baap
 
Hadith mein hai key, waledein ko ghussey wali nazron se bhi dekhey to ghuna hai.. Ya'ni hum waledein k samney "UFF" nahi keh saktey.. Humey aapney waledein ki izzat karni chahie.. Aour oss waqt ka sochna chahie, jub hum kuch nahi they.. Aour humarey maa baap ney humey, chalna,bolna waghera sikhaya.. Lekin jub onko humari zaroorat hoti hai to hum kya kartey hai???.. Hum onko aik bauj samajhna shoro ho jatey hai.. Lekin hum yhe bhool jatey hai k jahaan woh hai aik din hum bhi oss jagha par hongey...

Kuch log sirf kissi ki chahat mein aapney waledein ko chor detey hai.. Lekin yhe ghalt hai.. Aapney maa baap ki izzat karni chahie.. Aour sabr se kam lena chahie.. Jaldbazzi key kam achey nahi hotey..

Aghar aap k paas kuch hai iss topic ke related.. So please comment...

Baqi Allah (swt) behtaar jan'ey wala hai..


Jhuki Palkein 03-22-2009 04:53 PM

JazakAllah, Great Sharing Sis.

Jis Tarha'n Quraani Ayaton Mein Maa Baap Ki Azmat Aur Buzurgi Ka Zikar Kiya Gaya Hai Aur Unke Adaab-O-Ehteraam Ka Hukam Diya Gaya Hai, Isi Tarhan Hadees-E-Nabwi {SAWS} Mein Bhi Walidan Ki Azmat-O-Buzurgi, Adaab-O-Ehteraam Ka Zikar Maujood Hai,.

Rasool {SAWS} Se Hazrat Abdullah Masood {RATA} Ne Poocha Ke: 'Aye Allah Ke Rasool {SAWS}, Allah Swt Ke Nazdeek Sabse Acha Amal Kaunsa Hai?'

Aap {SAWS} Ne Farmaya Ke Waqt Par Namaaz Ada Karna, Aur Uske Baad Sabse Mehboob Amal Walidan Ke Saath Acha Sulooq Karna ( - Bukhari Shareef)

Tibrani Mein Hazrat Jabir Bin Abullah {RATA} Se Riwayat Hai K Rasool {SAWS} Ne Farmaya, 'Walidan Ki Nafarmani Se Bacho, Isliye Ke Jannat Ki Khushboo Aik Hazaar Saal Taq Se Aati Hai, Magar Walidan Ki Nafarmani Karne Wala Iski Khushboo Nahi Payega, Yani Jannat Se Mehroom Rahega,.

Allah Humein Maa-Baap Ki Khidmat, Qadar Aur Neik Aamaal Karne Ki Taufeeq Ata Faramayein , Ameen,.

Humaila 03-23-2009 02:01 AM

Thanks4T comment JP..

And..

AMEEN:)

Nida-H 03-30-2009 05:29 PM

JazakAllah..

safa 03-30-2009 05:37 PM

JazakAllah.. ...

CHEEMO 03-30-2009 05:41 PM

Jazakallah

~*Gillanii 03-31-2009 02:38 AM

Jazakallah, Nice Topic .. Aaj kay Daur Main Waldain Ko Bojh Hi Samjha Jata Hay Aksar ..
Allah Humain Hidayat Day .. Thanks Humaila & Isma


All times are GMT +5. The time now is 07:52 AM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.