~`*/\/\!TT! D@ Ba\/\/a*`~
|
|
Posts: 2,235
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Location: Pakistan
Gender:
|
|
Ap bevajah Si Kion Pareshan Hain Madam
Log Kehte Hain To Phir Theek Hi Kahte Honge
Mere Ahbaab Ne Tehazib Na Sikhai Hogi
Mere Mahol Mai Insan Na Rahte Honge
Nur-e-Saramaya Se Hai Ru-e-Tamadun Ki Jila
Hum Jahan Hain Wahan Tehazib Nahi Pal Sakti
Muflisi Hiss-e-Latafat Ko Mita Deti Hai
Bhook Adaab Ke Sanche Mai Nahi Dhal Sakti
Log Kehte Hain To Logon Pe Tajjub Kaisa
Sach To Kehte Hain K Nadaron Ki Izat Kaisi
Log Kehte Hain Magar Ap Abhi Tak Chup Hain
Ap Bhi Kahiye Gharibon Main Sharafat Kaisi
Naik Madam! Bahut Jald Wo Daur Ayega
Jab Hamen Zeest Ke Advaar Parakhane Honge
Apni Zilat Ki Qasam, Aap Ki Azamat Ki Qasam
Humko Tazim K Myaar Parakhane Honge
Hum Ne Har Daur mai Tazalil Sahi Hai Laikin
Hum Ne Har Daur Ke Chehare Ko Ziya Bakhshi Hai
Hum Ne Har Daur Mai Mehanat Ke Sitam Jhele Hain
Hum Ne Har Daur Ke Haathon Ko Hina Bakhshi Hai
Laikin In Talkh Mubahis Se Bhala Kya Hasil
Log Kehte Hain To Phir Theek Hi Kehte Honge
Mere Ahabab Ne Tehzib Na Siikhi Hogi
Mere Mahol Mai Insan Na Rehte Honge...
|