![]() |
Kion Pareshan Hain Madam ??
Ap bevajah Si Kion Pareshan Hain Madam Log Kehte Hain To Phir Theek Hi Kahte Honge Mere Ahbaab Ne Tehazib Na Sikhai Hogi Mere Mahol Mai Insan Na Rahte Honge Nur-e-Saramaya Se Hai Ru-e-Tamadun Ki Jila Hum Jahan Hain Wahan Tehazib Nahi Pal Sakti Muflisi Hiss-e-Latafat Ko Mita Deti Hai Bhook Adaab Ke Sanche Mai Nahi Dhal Sakti Log Kehte Hain To Logon Pe Tajjub Kaisa Sach To Kehte Hain K Nadaron Ki Izat Kaisi Log Kehte Hain Magar Ap Abhi Tak Chup Hain Ap Bhi Kahiye Gharibon Main Sharafat Kaisi Naik Madam! Bahut Jald Wo Daur Ayega Jab Hamen Zeest Ke Advaar Parakhane Honge Apni Zilat Ki Qasam, Aap Ki Azamat Ki Qasam Humko Tazim K Myaar Parakhane Honge Hum Ne Har Daur mai Tazalil Sahi Hai Laikin Hum Ne Har Daur Ke Chehare Ko Ziya Bakhshi Hai Hum Ne Har Daur Mai Mehanat Ke Sitam Jhele Hain Hum Ne Har Daur Ke Haathon Ko Hina Bakhshi Hai Laikin In Talkh Mubahis Se Bhala Kya Hasil Log Kehte Hain To Phir Theek Hi Kehte Honge Mere Ahabab Ne Tehzib Na Siikhi Hogi Mere Mahol Mai Insan Na Rehte Honge... |
v nice.......
|
nice
|
Nice sharing..
|
Thanks Safa Shah & Ruby' |
good one broo
|
Luv your choice dear ;) absolutly fantastic
|
Re: Kion Pareshan Hain Madam ??
Thanks Wish Munda & Imran Bro .. :) |
All times are GMT +5. The time now is 10:59 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.