Phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko
Dinn ko aaram hay naa raat ko hay chain kabhi
Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko
Dukh to ye hay ke zamanay main mile ghair sabhi
Jo milaa hay woh milaa ban kay paraaya mujh ko
Jab koi bhi naa rahaa kaandha meray roonay ko
Ghar ki deewaron ne seenay say lagaya mujh ko
Youn to umeed-e-wafaa tum say nahein hay koi
Phir charaaghon ki tarah kis nay jalaaya mujh ko
Bewafaa zindagi nay jab chorh diyaa hay tanha
Maut ne payar say pehloo main bithaya mujh ko
Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi
Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko.....
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai...