Arz-E-Niyaaz-E-Ishq Ke Qaabil Naheen Raha
Jis Dil Pe Naaz Tha Mujhe Wo Dil Naheen Raha
Jaata Hoon Daagh-E-Hasarat-E-Hastee Liye Hue Hoon
Shamma'a_Kushta Darkhur-E-Mehfil Naheen Raha
Marne Ki 'Ei Dil Aur Hee Tadabeer Kar Ki Main
Shaayaan-E-Dast-O-Baazu-E-Qaatil Naheen Rahaa
Bararoo-E-Shash Jihat Dar-E-Aaina_Baaz Hai
Yaan Imtiaz-E-Naakis-O-Qaamil Naheen Rahaa
Waa Kar Diye Hain Shauq Ne Band-E-Naqaab-E-Husn
Ghair_Az Nigaah Ab Koee Haayal Naheen Raha Go Main Raha
Rahee Na Sitam Haaye Rozgaar Lekin
Tere Khayaal Se Ghaafil Naheen Raha
Dil Se Hawa-E-Kisht-E-Wafa Mit Gayee Ki Waan
Haasil Siwaay Hasrat-E-Haasil Naheen Raha
Bedaad-E-Ishq Se Naheen Darta Magar 'Asad'
Jis Dil Pe Naaz Tha Mujhe Wo Dil Naheen Raha
Poet: Mirza-e-Ghalib
آہ کو چاہئیے اک عمر اثر ہونے تک



!
کون جیتا ہے تیری زلف کے سر ہونے تک
Last edited by King Of Heart; 06-08-2014 at 11:54 AM..