![]() |
Arz-e-Niyaaz-E-Ishq
Arz-E-Niyaaz-E-Ishq Ke Qaabil Naheen Raha
Jis Dil Pe Naaz Tha Mujhe Wo Dil Naheen Raha Jaata Hoon Daagh-E-Hasarat-E-Hastee Liye Hue Hoon Shamma'a_Kushta Darkhur-E-Mehfil Naheen Raha Marne Ki 'Ei Dil Aur Hee Tadabeer Kar Ki Main Shaayaan-E-Dast-O-Baazu-E-Qaatil Naheen Rahaa Bararoo-E-Shash Jihat Dar-E-Aaina_Baaz Hai Yaan Imtiaz-E-Naakis-O-Qaamil Naheen Rahaa Waa Kar Diye Hain Shauq Ne Band-E-Naqaab-E-Husn Ghair_Az Nigaah Ab Koee Haayal Naheen Raha Go Main Raha Rahee Na Sitam Haaye Rozgaar Lekin Tere Khayaal Se Ghaafil Naheen Raha Dil Se Hawa-E-Kisht-E-Wafa Mit Gayee Ki Waan Haasil Siwaay Hasrat-E-Haasil Naheen Raha Bedaad-E-Ishq Se Naheen Darta Magar 'Asad' Jis Dil Pe Naaz Tha Mujhe Wo Dil Naheen Raha Poet: Mirza-e-Ghalib |
Re: ایک وعدہ ہے کِسی کا جو وفا ہوتا نہیں
:bu:....
|
Re: ایک وعدہ ہے کِسی کا جو وفا ہوتا نہیں
Very nice sharing
|
All times are GMT +5. The time now is 06:40 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.