Gham-e-jaanaaN ko Gham jaane hu'e haiN
Khirad vaale bhii diivaane hue'e haiN
idhar aa ai Khushii, ai muKhbir-e-Gham
tujhe ham Khuub pahchaane hu'e haiN
bahut Khush haiN merii gustaaKhion par
ba-zaahir jo buraa maane hu'e haiN
Khudaa samjhaane vaaloN se bachaaye
ham ab sach-much hii diivaane hu'e haiN
maiN naa-vaaqif nahiiN dair-o-haram se
ye viiraane mere chhaane hu'e haiN
khaRe haiN mai-kade ke dar pe zaahid
na jaane dil meN kyaa Thaane hu'e haiN
daur meN zikr-e-muhabbat
yaqiinan aap diivaane hu'e haiN...
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai...