Quote:
Originally Posted by beyond_vision
Hmmm Jee I agree to most of what u said. Lekin I still defend my point K Zahanat sab main aik Jaisi hoti hay. It dependz more on How u use that Zahanat ya akal in different circumstances. Dil aur Dimaag main hamesha se hi Conflict rehti hay lekin Kamyaab wohi loag hotay hain jo apne dil ko Apni Marzi K Tabe'h Kartay hain. Agar aapki Misaal ko hi dekha jaye to Jahan dil aik taraf yeh Kehta hay k " Allah K Raastay main dena chhaiye" Wahan Bohat dafa Dil bohat si galat Baato'n K liye bhi Uksaata hay Jaise K Chori karne main kiya Harj hay? Short cut tareekay se Paisa Kamanay main Kiya Harj hay? Sab duniya Kar kar hay to main kiun nahi? Aisi Tamaam situations main, Zahaanat aur Akal Jo Khuda ne hamain di hay woh hamain sochnay par Majboor karti hay aur aise Kamo'n se Rokti bhi hay. Kuch loag is Dimaag Ki awaaz ko sunte hain Yani Zahant ka Achay Tareekay se Istamaal karte hain, Jabkay Kuch loag Dil Ki galat Khuwahiso'n k peechay hi chalte rehte hain Yani Khuda Ki di hooyi Zahanat aur Ilm Ko istam'aal nahi karte. Tou Aakhir main Nuksaan unka hi hota hay.
Kehnay ka mtlab yeh hay K Hum is Pehlu ko Kisi bhi Nazar se dekh sakte hain  Aap Ki Kahi hooyi baatain Bhi Bilkul wazan Rakhti hain Lekin Tasveer ka Doosra Pehlu bhi hota hay. Kamyabi isi main hay K hum Dil aur Dimaag dono ko aik balanced andaaz main use karte hooay Descisions karain 
|
Perhte perhte saance charh gai hey, Thora sa dum le lon ur eik glass panni pene ke baad kuch bolta hon,
...........................................
...............................
..................................
Haan Yaad Mujhe Tum Ker Lena Awaz Mujhe Tum De Lena
Is Rah e Mohabbet Men Koi Der'pesh Jo Mushkil Aa Jay