MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Urdu Literature (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=112)
-   -   زندگی کا ہر امتحان (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=80664)

ROSE 04-17-2012 05:23 PM

زندگی کا ہر امتحان
 
زندگی کا ہر امتحان انسان ذہانت اور محنت سے پاس نہیں کر سکتا، بعض امتحانوں کے لیے قسمت کے علاوہ اور کوئی چیز درکار نہیں ہوتی۔

عکس
ازعمیرہ احمد

Stollen Heart 05-11-2012 02:33 AM

Re: زندگی کا ہر امتحان
 
Haan yeh baat sochne wali hey, Per jin logon ke pass zahanat nah ho wo kia karen?

beyond_vision 05-11-2012 03:49 AM

Re: زندگی کا ہر امتحان
 
Hmm Bohat Khoob
Great sharing Rose :)

beyond_vision 05-11-2012 03:50 AM

Re: زندگی کا ہر امتحان
 
Quote:

Originally Posted by Stollen Heart (Post 1470657)
Haan yeh baat sochne wali hey, Per jin logon ke pass zahanat nah ho wo kia karen?

@ Stollen Heart: Mera nahi Khayal K Kisi k paas zahanat nahi hoti. Zahanat sabkay paas hoti hay Han jo Mentally impared loag hain unki baat alag hay lekin Khuda nay sabko Zahanat se nawaza hay. Yahan issue yeh hay K is Zahanat ko Koyi istamaal kitna karta hay aur Khud ki ismain kitni efforts daalta hay. Yeh sach hay K Kismat ka faisla atal hota hay lekin is baat se bhi inkaar nahi kiya ja sakta K Duayein Baaz Okaat Kismat ko badal deti hain :) To yahan aapki apni mehnat aur koshsish ka bhi dakhal hota hay :)

Stollen Heart 05-11-2012 05:29 AM

Re: زندگی کا ہر امتحان
 
Me agree kerta hon keh her insaan men thori boaht aqal hoti hey, Actually me jo baat batana chahta hon wo yeh keh Imtehan men hum zahanat se pass nhi ho skte, Zahanat se hum zindagi ki problems to solve ker skte hen, Mager zindagi ke Imtehan men aqal be bus hey, Asal men Imtehaan men kaamiyabi to yehi hey na keh Allah hum se razi ho jay, Ur wo kaameyabi dil se milti hey, Aqal to calculation kerti hey, Jub keh dil calculation ko nhi maanta, Aqal kehti hey kisi ko apni dolat men se kuch dene se dolat kum ho jati hey, Dil kehta hey nhi Allah kehta hey mere raaste men maal dene se maal kum nhi hota bulkeh berhta hey, Aqal sochti hey soodi business ker ne se maal berh jaeiga dil kehta hey nhi sood dena mana hey chahe me ke maal men nuqsan hi kion nah ho jay me sood ka business nhi kronga,

Me Quran e pak se eik refference dena chahta hon Allah Soora Baqra menbeyan fermata hey," Ur hum tumhen zaror aazmaeinge khof se, Bhook se, tumhari jaan o maal men nuqsaan se, ur tumhare rizaq men nuqsaan ke khof se, ur un logon ke liye khushkhabri hey jo sabar karen."

Khushkhabri mean kaamiyabi, sabar dil se kiya jata hey aqal se nhi,

So imtehan ya aazmaish men kaamiyabi to yehi hey keh hum Allah ke ur nazdeek ho jaein, ur aqal to us chiz ko nhi maanti na, so zahanet zindagi ke imtehan men kaam nhi aati just Allah ki mehrbani,

Polar Bear 05-11-2012 09:34 AM

Re: زندگی کا ہر امتحان
 
Well Said,Ty

beyond_vision 05-11-2012 10:43 PM

Re: زندگی کا ہر امتحان
 
Quote:

Originally Posted by Stollen Heart (Post 1470719)

Hmmm Jee I agree to most of what u said. Lekin I still defend my point K Zahanat sab main aik Jaisi hoti hay. It dependz more on How u use that Zahanat ya akal in different circumstances. Dil aur Dimaag main hamesha se hi Conflict rehti hay lekin Kamyaab wohi loag hotay hain jo apne dil ko Apni Marzi K Tabe'h Kartay hain. Agar aapki Misaal ko hi dekha jaye to Jahan dil aik taraf yeh Kehta hay k " Allah K Raastay main dena chhaiye" Wahan Bohat dafa Dil bohat si galat Baato'n K liye bhi Uksaata hay Jaise K Chori karne main kiya Harj hay? Short cut tareekay se Paisa Kamanay main Kiya Harj hay? Sab duniya Kar kar hay to main kiun nahi? Aisi Tamaam situations main, Zahaanat aur Akal Jo Khuda ne hamain di hay woh hamain sochnay par Majboor karti hay aur aise Kamo'n se Rokti bhi hay. Kuch loag is Dimaag Ki awaaz ko sunte hain Yani Zahant ka Achay Tareekay se Istamaal karte hain, Jabkay Kuch loag Dil Ki galat Khuwahiso'n k peechay hi chalte rehte hain Yani Khuda Ki di hooyi Zahanat aur Ilm Ko istam'aal nahi karte. Tou Aakhir main Nuksaan unka hi hota hay.
Kehnay ka mtlab yeh hay K Hum is Pehlu ko Kisi bhi Nazar se dekh sakte hain :) Aap Ki Kahi hooyi baatain Bhi Bilkul wazan Rakhti hain Lekin Tasveer ka Doosra Pehlu bhi hota hay. Kamyabi isi main hay K hum Dil aur Dimaag dono ko aik balanced andaaz main use karte hooay Descisions karain :)

Stollen Heart 05-12-2012 02:34 AM

Re: زندگی کا ہر امتحان
 
Quote:

Originally Posted by beyond_vision (Post 1471199)

Perhte perhte saance charh gai hey, Thora sa dum le lon ur eik glass panni pene ke baad kuch bolta hon,

!~*SOoLi 05-12-2012 02:40 AM

Re: زندگی کا ہر امتحان
 
Yaar.. Itnay Lambay Msgs Na Likha KarO.. Main Adha Ghanta Inhay Parhnay Main Hi Laga Daita Hoon :s

Stollen Heart 05-12-2012 02:42 AM

Re: زندگی کا ہر امتحان
 
U eik aankh se perh lia kro na, 15 minutes men khatam ho jaeiga na,

All times are GMT +5. The time now is 12:18 AM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.