MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - زندگی کا ہر امتحان
View Single Post
(#7)
Old
beyond_vision beyond_vision is offline
 


Posts: 3,523
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: May 2012
Location: Shehr-e-Zaat
Gender: Female
Default Re: زندگی کا ہر امتحان - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   05-11-2012, 10:43 PM

Quote:
Originally Posted by Stollen Heart View Post
Me agree kerta hon keh her insaan men thori boaht aqal hoti hey, Actually me jo baat batana chahta hon wo yeh keh Imtehan men hum zahanat se pass nhi ho skte, Zahanat se hum zindagi ki problems to solve ker skte hen, Mager zindagi ke Imtehan men aqal be bus hey, Asal men Imtehaan men kaamiyabi to yehi hey na keh Allah hum se razi ho jay, Ur wo kaameyabi dil se milti hey, Aqal to calculation kerti hey, Jub keh dil calculation ko nhi maanta, Aqal kehti hey kisi ko apni dolat men se kuch dene se dolat kum ho jati hey, Dil kehta hey nhi Allah kehta hey mere raaste men maal dene se maal kum nhi hota bulkeh berhta hey, Aqal sochti hey soodi business ker ne se maal berh jaeiga dil kehta hey nhi sood dena mana hey chahe me ke maal men nuqsan hi kion nah ho jay me sood ka business nhi kronga,

Me Quran e pak se eik refference dena chahta hon Allah Soora Baqra menbeyan fermata hey," Ur hum tumhen zaror aazmaeinge khof se, Bhook se, tumhari jaan o maal men nuqsaan se, ur tumhare rizaq men nuqsaan ke khof se, ur un logon ke liye khushkhabri hey jo sabar karen."

Khushkhabri mean kaamiyabi, sabar dil se kiya jata hey aqal se nhi,

So imtehan ya aazmaish men kaamiyabi to yehi hey keh hum Allah ke ur nazdeek ho jaein, ur aqal to us chiz ko nhi maanti na, so zahanet zindagi ke imtehan men kaam nhi aati just Allah ki mehrbani,
Hmmm Jee I agree to most of what u said. Lekin I still defend my point K Zahanat sab main aik Jaisi hoti hay. It dependz more on How u use that Zahanat ya akal in different circumstances. Dil aur Dimaag main hamesha se hi Conflict rehti hay lekin Kamyaab wohi loag hotay hain jo apne dil ko Apni Marzi K Tabe'h Kartay hain. Agar aapki Misaal ko hi dekha jaye to Jahan dil aik taraf yeh Kehta hay k " Allah K Raastay main dena chhaiye" Wahan Bohat dafa Dil bohat si galat Baato'n K liye bhi Uksaata hay Jaise K Chori karne main kiya Harj hay? Short cut tareekay se Paisa Kamanay main Kiya Harj hay? Sab duniya Kar kar hay to main kiun nahi? Aisi Tamaam situations main, Zahaanat aur Akal Jo Khuda ne hamain di hay woh hamain sochnay par Majboor karti hay aur aise Kamo'n se Rokti bhi hay. Kuch loag is Dimaag Ki awaaz ko sunte hain Yani Zahant ka Achay Tareekay se Istamaal karte hain, Jabkay Kuch loag Dil Ki galat Khuwahiso'n k peechay hi chalte rehte hain Yani Khuda Ki di hooyi Zahanat aur Ilm Ko istam'aal nahi karte. Tou Aakhir main Nuksaan unka hi hota hay.
Kehnay ka mtlab yeh hay K Hum is Pehlu ko Kisi bhi Nazar se dekh sakte hain Aap Ki Kahi hooyi baatain Bhi Bilkul wazan Rakhti hain Lekin Tasveer ka Doosra Pehlu bhi hota hay. Kamyabi isi main hay K hum Dil aur Dimaag dono ko aik balanced andaaz main use karte hooay Descisions karain