Zawiya jitna nigahon ka sanwar jata hai,
Tera rukhsaar b utna he nikhar jata hai,
Aese lamhaat b aate hain rah-e-ulfat mein,
Ya wafa hath se jati hai ya to sar jata hai,
Main tere gham mein bhala ashq bahaon kab tak,
Aankh to aankh hai darya b utar jata hai,
Hasti-e-gul hai faqat chand adao'n pe muheet,
Phool sharmata hai, hansta hai bikhar jata hai,
Qurbat-e-yaar se "Mohsin" ko baqqa milti hai,
Zarf parwane ka chhota hai k mar jata hai
[SIGPIC][/SIGPIC]
قطرہ اے شبنم کی طرح اڑ جاینگے گل سے
ایک یاد سی رہ جائے گی گلشن میں ہماری
.•´¸.•*´¨) ¸.•*¨) ¸.•´¸.•*´¨)¸.•*´¨
.`·.¸(¨`·.·´¨) . * .*..*...*
*......`·.¸.·´* (¨`·.·´¨
¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥ ´¨ `♥•.
M A H ¡
..•´¸.•*´¨) ¸.•*¨) ¸.•´¸.•*´¨)¸.•*´¨
.`·.¸(¨`·.·´¨) . * .*..*...*
*.....`·.¸.·´* (¨`·.·´¨¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥• .¸¸.•♥´¨`♥•