Magar ye Zindagi ke highway per chalnay walay kab Samjhtey hain
Ghalat exit se murh jayien to Manzil Chhoot jaati hai
mujhe bhi ek exit Pehle murhney ki Azziyat hai
mere paish-e-nazr bhi ek un-deakhi musaafat hai
yahaan se loutna ya aur manzil tak Pahonch-pana
mere bas mein nahe Shayad
mein phir bhi ja rahi hoon, ek un-deakhy baya-baano mein
yahaan koi parinda hai na sayaa hai na paani hai
Musalsal Rayegaani hai...
yahaan kis ko Pukaaroon mein
ke ab apni saada bhi apney kaano'n mien nahe aati
balaa ki sargiraani hai...
yahaan koi bhi nahe Shaayad
mien kis se raasta Pooch'on
yahan to nau so giyarah(911) ki sahoolat bhi nahe haasil
mien Jis Duniya ki hoon us ki hakoomat bhi nahe haasil
bataa Katbi Sitaray! ye kahaan ki besabati hai
na mujh ko Chain partaa hai, na mujh ko Neend aati hai
.
.
.
Ghalat Exit se murh jaayien to Manzil Chhoot jaati hai
[SIGPIC][/SIGPIC]
قطرہ اے شبنم کی طرح اڑ جاینگے گل سے
ایک یاد سی رہ جائے گی گلشن میں ہماری
.•´¸.•*´¨) ¸.•*¨) ¸.•´¸.•*´¨)¸.•*´¨
.`·.¸(¨`·.·´¨) . * .*..*...*
*......`·.¸.·´* (¨`·.·´¨
¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥ ´¨ `♥•.
M A H ¡
..•´¸.•*´¨) ¸.•*¨) ¸.•´¸.•*´¨)¸.•*´¨
.`·.¸(¨`·.·´¨) . * .*..*...*
*.....`·.¸.·´* (¨`·.·´¨¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥• .¸¸.•♥´¨`♥•